Iron Man
Try and fail. But never give up trying
- 41,839
- 105,943
- 304
Awesome updateUPDATE 5
Bua ke aane se ek fayda to hua ki mera school phir se shuru ho gaya lekin ab wo pahle wala bada private school nahi tha balki sarkari school tha jahan garib logo ke bachhe padhte the jo hamari colony se koi 2km door tha jahan mujhe paidal hi jana padta tha lekin mujhe is se koi farak nahi padta tha main roj ki hi tarah ghar se subah jaldi nikal jata aur apni favorite jagah nadi ke kinare baith jata aur school ke baad bhi wahin apna time pass karta.
Khair jaise taise time beetne laga lekin isi bich ek do baar meri mere bhai bahno se ladai ho gai jisme meri koi galti nahi thi aur wo sab mujhse bade the to main unse takat me bhi kam tha dono baar sale tino ne milkar mujhe achhe se dhoya aur papa ko bhi bata diya jiske baad papa ne bhi meri jam kar dhulai kar di wo to achha hua jo naina ko mere chillane aur rone ki aawaj aai to usne apne papa ko bhej kar mujhe bacha liya warna to mera baap itne gusse me tha ki wo mujhe maar hi dalta khair uske baad naina ke papa mujhe unke ghar le gaye ki aaj ki raat main unke ghar hi gujar lu.
Waise to naina ke papa ko mujhse koi lena dena nahi tha lekin meri aaj ki pitai dekh kar shayad unhe bhi mujhse hamdardi ho gai thi aur unhe laga ki mera mere ghar me rahna thik nahi tha kyonki aaj to unki wajah se main bach gaya tha lekin agli baar mujhe kaun bachata
"Is duniya me aisa koi hai jise tumhari chinta ho ya jise tum apna kah sakte ho?" Naina ke papa ne puchha
Ab mujhe samajh nahi aaya ya yun kahiye ki mujhe pata hi nahi tha ki kya aisa koi hai bhi ya nahi lekin tabhi mujhe bua ki yaad aai jis tarah unhone mera school shuru karwaya tha mujhe laga ki shayad wo hi hai jo mere kisi kaam aa sakti thi
"Shayad meri bua....." Mere muh se nikla
Meri kismat se naina ke papa ke paas mere fufaji ka number tha unhone unse bua ka number lekar meri baat batai to bua ne subah aane ka kaha aur wo raat maine naina ke ghar hi gujari.
Bechari naina meri halat dekh kar khoob royi lekin iske alawa wo kar bhi kya sakti thi lekin aaj ke baad mere dil me apne maa baap bhai bahan sabhi ke liye bahut jyada nafrat paida ho gayi thi aur maine soch liya tha ki kal agar bua ghar nahi aayi to waise bhi main ghar chhod kar bhag jaunga.
Agar main thoda bada hota aur mujhe dadaji ki wasiyat ka pata hota to shayad main aisa kabhi nahi sochta lekin us chhoti si umar me main aisa karne ke alawa aur kuchh kar bhi nahi sakta tha lekin haan apni pitai ko aur us se hue dard ko bhulna mere liye asambhav tha aur maine soch liya tha ki ek na ek din is sab ka badla jarur lunga.......
Badle ki chingari jal uthi hai ,
Wakt aane par sabka hisab hoga ,
Koi nahi bachega , sabka katega