zabardast update..!!
UPDATE – 66 SAMAR : CHAPTER TWO - BEGINSDoctor--nurse...nurse....jaldi aao idhar....is patient ko critical head injury huyi hai. Ise operation theatre me leke jaao aur jaldi Dr. Rakesh ko bolo ki ise operate kare...fast-2....
Sanjeevani hospital me is waqt bhagdad machi huyi thi, hospital me kya poore shehar me bhagdad machi huyi thi. Shehar me har taraf traffic jam laga hua tha, log apne parijano ko leke hospital jaa rahe the. Jinke rishtedar ki koi khabar nahi thi vo bhi shehar ke sabhi hospitals ke chakkar laga rahe the taaki kahin na kahin to unhe unke rishtedaar mil jaayein.
Reporter--aaj 15 August ke din jab poora desh khushiyaan mana raha tha, tabhi kuch aisa hua jisse poora desh hil gaya. Ye sab kuch tab shuru hua jab kaafi dino se ho rahi serial killings ka 1 gawaah *** news channel par us serial killer ki pehchaan bataane aaya......
Gita--suniye ji...vo kahin dikha kya aapko?
Madan--nahi Gita...vo mujhe kahin nahi mila....tum 1 kaam karo....reception pe jaake poocho, mai kisi doctor vagera se poochta hoon....tumhaare paas uska photo to hai na?
Gita--haan mere paas hai...
Madan--reception se kuch pata na chale to logon ko photo dikha ke poocho....hume use dhoondana hoga Gita....
Gita turant reception ki taraf daud padi....Madan ke paas se 1 doctor hadbadi me kahin jaa raha tha to Madan ne uska haath pakda aur apne phone me photo dikhaane laga.
Madan--Dr....aapne ise dekha hai kya....
Doctor--ohh bhaisaahab....yahaan pata nahi aaj kitne log aa rahe hain....sabki shakal yaad rakhunga kya mai....mera haath chhodo...mujhe patients ko dekhne jaana hai.....
Doctor apna haath chhuda ke wahaan se chala gaya par Madan bechaara chehre par bebasi liye sabse poochta raha. Usne hospital ke sabhi kamro me bhi dekha par koi faayeda nahi hua, use dikha to logo ke khoon se lathpath jism, rote huye unke parijan aur unhe bachaane ke liye joojhate huye doctor aur nurese. Thodi der baad Gita use dhoondati huyi aa gayi.
Gita--mila kya vo aapko?
Madan--nahi Gita.....kahin nahi mil raha hai vo?
Gita--mera dil bahot ghabra raha hai....kahin use kuch ho na gaya ho....
Madan--shubh-2 bolo Gita....use kuch nahi hua hoga....vo theek hoga. Hum doosre hospital chalte hain...kahin na kahin zaroor milega vo....
Dono hospital se nikalne lage ki tabhi Madan ka phone bajne laga, Param ka phone aa raha tha.
Madan--hello bhaiya...mai kabse aap logo ka phone try kar raha tha. Aap sab theek ho na?
Param--haa Madan.....hum log sab theek hai. Tum log theek to ho na? Kisi ko kuch hua to nahi na?
Param ki baat sunkar Madan rone laga, uska rona sunkar Param ghabra gaya.
Param--Madan....Madan....tu ro kyon raha hai? Kya hua bhai.....sab theek to hai na......
Madan--bhaiya....bhaiya Samar.....
Param--Samar.....kya hua Samar ko....
Madan--bhaiya....vo kahin nahi mil raha hai?
Param--mil nahi raha hai.....uske phone par call kiya?
Madan--use bahot baar call kiya par phone switch off aa raha hai. Uske dosto se poocha to unhe bhi kuch nahi pata hai....mera dil ghabra raha tha to Gita ko leke hospitalon me dhoond raha hoon use par yahaan bhi nahi mil raha hai vo....
Param--chhote...tu ghabra mat. Vo theek hoga, mai Rishikesh ke liye nikal raha hoon abhi. Saath me milkar dekhenge fir...
Madan--bhaiya....use kuch hua to nahi hoga na? Agar use kuch ho gaya to kya jawaab doonga mai Harinder ko, vo bharosa karke mere paas chhod gaya tha use.....
Param--use kuch nahi hoga chhote.....vo humaari behan ki aakhiri nishaani hai. Use kuch nahi hone denge hum.....
Dono bhai baat kar rahe the ki tabhi Gita ka phone bajne laga, usne turant phone utha liya aur baat karne lagi. Kuch der vo phone par baat karti rahi aut fir achaanak se bol padi.
Gita--suniye....kisi ka phone aaya tha. Vo bol rahi thi ki Samar City Hospital me hai...
Madan--kya.......city hospital.....kya hua use?
Gita--usne ye nahi bataaya.....maine poocha bhi usse to usne phone kaat diya...
Param--chhote....chhote.....kya hua bhai?
Madan--bhaiya...kisika call aaya tha Gita ke paas. Usne kaha ki Samar city hospital me hai, hum dono wahin jaa rahe hain abhi.
Param--theek hai, tum dono jaao wahaan. Jaisa bhi ho mujhe khabar dete rehna....
Madan ne call kaati aur Gita ke saath city hospital ke liye nikal pada, kuch der me dono hospital pahoche. Reception par jaakar unhone Samar ki photo dikhaayi aur uske baare me poocha to pata chala ki vo is waqt OT me tha. Dono turant OT ki taraf daud pade, jab vo OT pahoche to unhe wahaan khade 1 guard ne rok liya. Unhone guard ko Samar ki photo dikhaayi aur use ye bhi bataya ki vo Samar ke mama-mami hain. Unki baat sunke guard ne unhe bol diya ki andar operation chal raha hai, jab doctor aayega to hi vo dono doctor se mil paayenge. Vo dono bhi kya karte, bas bebas hokar baahar intezaar karne lage. Kuch der baad 1 doctor baahar nikala to Madan ne use rok liya.
Madan--doctor....mai Samar ka mama Madan hoon. Kaisa hai vo?
Doctor--sir....dekhiye uski haalat bahot kharaab hai. Multiple body parts me major injuries hai jaise head, shoulder, back muscles, back bone, hip bone....sab jagah chotein hain. Body pe multiple cuts hain jaise kise ne chaakoo se waar kiya ho, even 1 bullet wound bhi hai....
Jaise hi doctor ne bullet ke baare me kaha, Gita ne darr ke maare apne mooh par haath rakh liya. Dara to Madan bhi hua tha lekin is waqt use mazboot rehna tha.
Madan--bullet....hey bhagwaan. Yeh sab kaise hua doctor?
Doctor--pata nahi sir....kuch log use yahaan leke aaye the. Vaise bhi aaj ke din jo itna sab kuch hua hai, usme yeh normal hai. Filhaal to humne surgery karke bleeding rok di hai par vo abhi behosh hai, kab hosh aayega kuch keh nahi sakte. Hum use ICU me shift kar rahe hain, wahaan hum use observation me rakhenge.
Gita--doctor, woh bach to jaayega na?
Doctor--maine kaha na mam...is waqt kuch nahi keh sakte. Sirf prarthana kar sakte hain....
Unse baat karke doctor doosre patients ko attend karne chala gaya, kuch der baad Samar ko ICU me shift kar diya gaya. Madan ne call karke Samar ki haalat ke baare me Param aur Harinder, dono ko bata diya. Dono ne use kaha ki vo jald se jald Rishikesh aa jaayenge, shaam tak Shubham ne bhi Samar ke baare me poochne ke liye Madan ko phone kiya. Jab use pata chala ki uska dost hospital me hai to woh bhi turant hospital aa gaya.
Meri jab aankh khuli to maine khudko zameen par leta hua paaya,aaspaas sirf andhera chhaaya hua tha. Us andhere me mujhe kuch bhi dikhaayi nahi de raha tha. Pehle to kaafi der mai ye sochke pareshaan hota raha ki mai aakhir hoon kahaan par fir maine socha ki light jala leta hoon, apne aap pata chal jaayega. Mai light jalaane ke liye zameen se utha lekin tabhi mere dimaag me aaya ki yahaan light ka switch kaise dhoondun. Kuch der mai khada sochta raha aur fir haath saamne ki taraf karke chalne laga taaki kam se kam is kamre ki deewar to mile. Mai kaafi der tak seedha chalta raha par mujhe kamre ki deewar nahi mili, maine doosri dishaaon me bhi koshish kari par nateeja same raha. Mai pareshaan hokar 1 jagah khada ho gaya, maine socha ki madad ke liye kisi ko pukaarta hoon.
Mai(chillate huye)--hello.....koi hai yahaan pe? Hello.....arre bhai koi hai kya....
Mai wahaan khada hokar chillata raha par koi nahi aaya, thodi der baad mai shaant ho gaya aur mann hi mann apni kismat ko gaali bakne laga ki kahaan fass gaya mai. Kuch der baad mujhe 1 disha me halki-2 roshni dikhaayi padi, maine socha ki chalo kam se kam is andhere se nikalne ka raasta to mila. Mai us roshni ki taraf badh gaya. Jaise-2 mai us disha me aage badhta jaa raha tha, roshni bhi tez hoti jaa rahi thi. Kuch der baad mujhe roshni ki disha se kisi ki aawaz sunaayi di, vo aawaz mujhe mere naam se pukaar rahi thi. Mai pehle to kaafi der tak sochta raha ki kon hai yeh lekin jaise-2 mai roshni ke paas pahochta gaya, vo aawaz saaf hone lagi aur kuch der baad mai samajh gaya ki vo aawaz kiski thi.
Mai--maa....maaa.....mai idhar hoon maa. Mai aata hoon aapke paas.......
Maa ki aawaaz sunke mai us roshni ki disha me tezi se daudne laga, mai us roshni ke srot ke paas pahochne hi waala tha ki tabhi kisi ne mera kandha pakad ke mujhe peeche ki taraf kheecha aur zameen par gira diya. Zameen par girte hi mujhe bahot tez gussa aaya.
Mai--kon hai be maadarchod? Behan ke lode....samne aa....teri maa chod doonga....
Aadmi--itni jaldi maut se haar maan li tune....
Vo aawaaz sunke mai sakpaka gaya kyonki vo aawaaz meri hi thi, maine socha ki yeh kon hai jo meri hi aawaz me bol raha hai. Us andhere me mai uska chehra saaf nahi dekh paa raha tha, kuch der baad us bande ne 1 torch jala li aur uski roshni apne mooh par de maari. Torch ki roshni me jaise hi mujhe us shaqs ka chehra dikha to meri hawaaiyaan udd gayi, us shaqs ka chehra bilkul mere jaisa tha. Mere jaisa kya, vo mere duplicate hi tha.
Mai--tu....kon hai be tu?
Shaqs--abbe chutiye....mujhe nahi pehchaan raha. Mai hoon....teri power....tera dimaag. Kahaan jaa raha tha tu us taraf?
Mai--saale...acha khaasa mai is andhere se nikal kar ujaale me jaa raha tha aur tune mujhe dhakka maarke gira diya, aur abhi ye maut se haar ki kya baat kar raha tha tu?
Dimaag--vo ujaala dekh raha hai....vo maut hai teri. Maine tujhe teri maut ke paas jaane se bachaaya hai, tujhe to mujhe thanks bolna chahiye....
Mai--vo roshni maut kaise ho sakti hai be....
Dimaag--ye andhera dekh raha hai....ye zindagi hai teri.....andhero se bhari jahaan koi nahi hai siwaaye humaare. Bas tu aur mai hai yahaan par....bilkul akele.....aur vo roshni aazaadi hai, bekaar duniya se, bekaar logon se, bekaar baaton se, ter bekaar zindagi se. Jis tezi se us taraf jaa raha tha usse to aisa lagta hai ki marne ki bahot jaldi hai tujhe....
Mai--nahi bhai....abhi nahi marna. Abhi to bahot kaam karne hai...... Un sabko kiye bina mai nahi marne waala....
Dimaag--to aankhein khol aur uth jaa....
Mai--aankhein khol matlab....
Dimaag--tu bhi samajh chuka hai ki yeh sab asli nahi hai....ye andhera,vo roshni,mai...kuch bhi asli nahi hai...tu kahin baahar aankhein band kiye leta hua hai aur ye sab sirf tere dimaag me chal raha hai. Aankhein kholkar uth jaa mere bhai.....yahaan rahega to is andhere se nikalne ki koshish karta rahega aur vo roshni tujhe apne paas aane ke liye lalchaati rahegi....
Apni baat bolke vo wahaan se jaane laga, use jaata hua dekh maine socha ki yeh bhai kahaan chal pada ab.
Mai--ab tu kahaan jaa raha hai?
Dimaag--tujhe yaad hai maine kya kaha tha. (apne sar ki taraf ishara karte huye) Jab bhi tujhe yahaan chot lagegi to mai vacation par chala jaaunga. Yaad karne ki koshish kar mere bhai....tujhe yahaan chot lagi thi jiska matlab hai ki mere jaane ka time aa gaya hai.
Mai--mat jaa bhai.....mai is andhere se akele kaise nikaloonga.
Dimaag--Apni zindagi ke andhere se nikalne ka raasta tujhe khud hi dhoondana padega. Par chinta mat kar....us raaste par mai kahin na kahin tujhe zaroor miloonga.(Itna bolkar vo firse jaane laga) Chal....ab uth jaa.....
Maine apni poori taaqat lagaake aankhein kholi, kaafi din baad aankh khulne ki wajah se jaise hi aankhon me light padi to meri aankhein chaundhiya gayi. Light aise chubh rahi thi aankho me lekin main chaahke bhi unhe band nahi kar paa raha tha. Maine koshish kari ki palke jhapka loon lekin aisa nahi kar paaya, thodi der baad aankhein apne aap light ke hisaab se adjust ho gayi. Maine apni nazar ghuma ke side me dekha to Raghav bhaiya aur Shubham ko wahaan baitha hua paaya, maine unhe bulaane ki koshish kari lekin mere mooh se aawaz hi nahi nikli. Maine socha ki haath se ishaara kar deta hoon lekin haath bhi nahi hil rahe the, haath kya body ka 1 bhi part nahi hil raha tha. Mai un dono ko bataana chaah raha tha ki mujhe hosh aa gaya hai lekin mai bata nahi paa raha tha, vo dono bhi apne-2 phone me lage huye the to unka dhyaan bhi mujh par nahi aa raha tha. Us waqt mai khudko laachaar aur bebas mehsoos kar raha tha, aisa lag raha tha jaise mai kisi pinjde me band hoon jahaan mujhe apne haath pair tak hilaane ki aazaadi nahi hai. Shaayad oopar waale ko mujh par taras aa gaya aur kuch der baad Shubham ki nazar mujh pe padi, vo uth kar mere paas aaya aur meri khuli aankhein dekhkar usne Raghav bhaiya ko bulaaya. Bhaiya ne bhi jaise hi meri khuli aankhein dekhi to unki aankho se khushi ke aansoo chhalak pade, same haal Shubham ka bhi tha. Bhaiya ne Shubham se kaha ki vo doctor ko bulaake laate hain aur fir vo baahar nikal gaye, Shubham wahaan akela reh gaya.
Shubham--thank God bhai...tujhe hosh aa gaya. Pata hai hum log kitni chinta kar rahe the teri....
Mai Shubham se baat karna chaahta tha lekin chaahkar bhi mai kuch bol nahi paa raha tha.
Shubham--bhai tu bhi pata nahi kya-2 kaand karta rehta hai, saale itna sab kuch hua kaise tere saath?
Mai(mann me)--Shubham.....Shubham mere bhai....mai kuch bol nahi paa raha hoon....
Shubham--abbe kuch bolega bhi....
Mai(mann me)--abbe lodu...bol hi to nahi paa raha hoon....
Shubham--abbe ye aise expression less hoke kya dekh raha hai be mujhe....kuch to bol le lodu....mooh me lund fasa liya kya tune.....Sam....Sam.....o bhai kuch to bol.....
Mai(mann me)--behan ke laude...agar bol paata to teri itni gaaliyaan sunta kya mai....mujhse sawaal poochna chhod aur jaldi jaake doctor ko bula....meri yahaan gaand fatti padi hai.....na bol paa raha hoon aur na hi body ka koi part hil raha hai.....
Itne me Raghav bhaiya doctor ko bula laaye, doctor ne aake mujhe check kiya. Shubham ne us doctor ko bata diya ki mai naa hi kuch bol raha hoon aur na hi mere expression change ho rahe hain. Doctor ne ward boy ko bulaaya aur use mere kuch tests karwaane ka bol diya, uske baad vo log mujhe MRI,CT Scan, lauda lasun ke liye le gaye aur fir mere saare tests karwaake waapis room me le aaye. Kuch der baad mera poora pariwaar us room me ghus aaya aur unhone mere stretcher ko gher liya, mere poore pariwaar se mera matlab daadi,mere dono maama,dono maami, chacha-chachi,Raghav bhaiya aur Shubham. Un sabko wahaan pe dekh ke mujhe bahot khushi huyi lekin mai apni vo khushi bhi express nahi kar paa raha tha. Kuch der baad mujhe realize hua ki papa kahin dikhaayi nahi de rahe, jab kaafi der tak papa nahi dikhe to mai samajh gaya ki papa nahi aaye hain. Us waqt mujhe bahot dukh hua ki unke bete ki yahaan gaand mar gayi hai aur vo dekhne bhi nahi aaye use lekin once again, mai apne dukh ko bhi express nahi kar paaya. Shubham ne sabko meri haalat ke baare me bata diya, kuch der baad doctor room me meri reports leke aaya. Jab usne wahaan bheedh lagi huyi dekhi to pehle to usne sabko khoob sunaaya ki mere room me sabne bheedh kyon laga rakhi hai lekin sab ke sab thehre dheeth. Doctor ki daant ko sabne ignore kiya aur usse 1 saath poochne lage ki mujhe aakhir hua kya hai, doctor bhi unse pareshaan ho gaya aur vo un sabko mere baare me bataane laga.
Doctor--vo coma me hai....
Jaise hi doctor ne coma kaha to daadi ne turant darr ke maare apna mooh pe haath rakh diya aur thodi der baad rone lagi,same haalat dono maamiyo ki thi.
Mai(mann me)--arre coma kaha hai usne, marne nahi waala mai. Bach jaaunga....arre rona band karo yaar....
Doctor--arre ro kyon rahe hain aap log?
Chacha--doctor...coma kaise....mera matlab use to hosh aa gaya hai na?
Doctor--dekhiye sir...ye 1 tarah ka partial coma hai. Isme uske aaspaas jo kuch bhi ho raha hai, use sab dikh raha hai, sunaayi bhi de raha hoga lekin body completely paralysed hai. Na vo kuch bol paa raha hai, na hi apne kisi body part ko move kar paa raha hai.
Chachi--vo kab tak theek hoga doctor?
Doctor--kuch keh nahi sakte....kuch ghante lag sakte hain. Kuch din ya kuch saal bhi....
Doctor ne jaise hi "kuch saal" kaha to daadi aur zor se rone lagi, chachi unke paas gayi aur unhe chup karaane lagi.
Doctor--maaji please chup ho jaaiye.....dekhiye jab vo yahaan laaya gaya tha tab uska bachna bhi mushkil lag raha tha lekin abhi dekhiye, aankhein khole leta hua hai na aapke saamne. Aap log himmat rakhiye, vo jald hi theek ho jaayega. Vo aap logo ko dekh raha hai, agar aap uske saamne aise royengi to uski bhi himmat tootegi.
Mai(mann me)--himmat gayi maa chudaane,abhi to poora shareer toota hua hai.....
Doctor kuch der aur unhe gyaan deta raha aur fir uske baad wahaan se chala gaya, uske jaate hi sab ne fir mujhe gher liya aur sab mujhse kuch na kuch kehne lage.
Daadi--hey bhagwaan....kyon mere bache ko uski jawaani me ye din dikha raha hai. Uski jagah mujhe uthaale.....
Chachi--maaji aap chup ho jaaiye, doctor ne abhi kaha tha na ki aapko aisa dekh kar uski bhi himmat tootegi....
Raghav--chhote....uth jaa bhai....dekh sab pareshaan hai tere liye.....
Mai(mann me)--aap to sirf pareshaan ho....mai to pareshaani ke saath-2 dard me bhi hoon.....
Shubham--ae bhai....uth jaa naa yaar. Hum sabko pareshaan karne me maza aa raha hai kya tujhe,uth jaa naa yaar....
Mai(mann me)--kya pareshaan kar raha hoon bhai....tum log khud pareshaan ho rahe ho. Atleast tum log apna dukh express to kar paa rahe ho. Mai to itni der se ye bhi nahi bata paa raha hoon ki mere right waale gote me khujli ho rahi hai....apne haath se apna gota khujaakar jo charamsukh mujhe milta, uski praapti bhi nahi kar paa raha hoon mai. Tum logo ka dukh,dard,takleef sab mai samajh paa raha hoon lekin mera dukh dard koi nahi samajh paa raha hai, mai to kisi ko bhi nahi bata paa raha hoon.....mere Mann Ki Baat......