Update : 3 (Shuruwat)
Kudrat bhi kitni ajeeb haina, aaj dusre din bhi subah kaafi rangin si thi, aasmaan me halka kesariya sa rang tha aur suraj ne apni roshni charo aur bekhirni shuru kar di thi
Pakshiyo ke kilkarne ki awaaz aaj bade dino ke baad asman me sunayi de rahi thi..kehte hai ki jab bhi bura waqt aata hai toh voh apne saath apne piche achche waqt ko bhi lekar aata hai
Aryan aaj jaldi hi police station aa chuka tha, aur voh apne table par baithe hue mast garma garam chayi ki chuskiya le raha tha
Patil jab police station pahucha toh use thoda shocked laga kyunki aaj se pehle yaha par yeh police station itna jaldi kabhi nahi khulla tha, fir turant uski najar Aryan ki jeep par padi jise dekh voh turant hi samaj gaya ki aaj Aryan ne jaldi aakar police station ko khola hai
Voh bina deri kiye sidhe Aryan ki cabin me chala gaya aur Aryan ko greet karte hue kehta hai “ram ram sahib, aap itni jaldi, muje bula liya hota”
Patil ki aur dekhte hue Aryan kehta hai “are nahi patil, mai akshar hamesa jaldi hi utha karta hu, aur upar se gaanv ki yeh hasin si subah ko mai miss nahi karna chahta tha, toh socha aaj jaldi chala jao” aur voh khada hokar apne room me bani khidki ke pass aagaya aur voh bahar asmaan ki aur dekhne laga
Patil bhi uske pass aakar kehta hai “aapne sahi kahab saabji, pichle dino me beeti vardaato ne hume puri tarah se janjdokar rakh diya tha, humne toh kabhi isspar dhyaan nahi diya”
Aryan vese hi asmaan ki aur dekhte hue kehta hai “kudrat bhi kitni ajeeb haina, kabhi voh itna sundar drishya dikha deti hai ki pura mann shaant sa ho jaata hai, toh kabhi kuch aisa dikha deti hai ki insaan ki roonh tak kaamp uthe”
Patil “haa saab, yeh toh aapne ekdum sahi bola, yeh sab kudrat aur uss upar vaale ki maaya hai, use koi nahi samaj sakta, ab dekhiye na, itne vishaalkay jungle me kabhi kisi ne sapne me bhi nahi socha hoga ki kabhi iss tarah ki dardnaake maute hogi idhar”
Aryan fir apni kursi par aakar baith te hue kehta hai “acha patil, ek baat bata, tuje kya lagta hai..yeh sab jo khoon kharabe ho rahe hai, kaun kar raha hai”
Patil “saab ji, yeh mai toh kya…koi nahi janta ki yeh sab kaun kar raha hai”
Aryan kuch sochte hue apni jep mese voh kagaj nikalta hai, jisme kal ke hadse me mara gaya shaks ki PM report thi, use voh ghaur se dekhte hue puchta hai “muje kuch samaj nahi aa raha, aakhir iss tarah koi maar kese sakta hai..koi toh hathiyaar hoga, par kya..??”
Tabhi uss kamre me Sunil aata hai, aur Aryan ko dekhte hi puchta hai “kya bhai, tu toh aaj badi jaldi aagaya, good morning”
Aryan “haa yaar, socha subah subah gaanv ki thodi shair kar lu”
Sunil “voh sab toh thik hai, aajka kya plan hai, kahi ghumne chale”
Aryan thoda gusse se kehta hai “kal yanha par ek aadmi ko behrimi se mara gaya hai aur tuje ghumne ki padi hai..??”
Sunil vahi par baithe te hue kehta hai “mere bhai, adaat daal de, iska kuch nahi ho sakta”
Aryan “kuch ho nahi sakta yaa fir tu kuch karna nahi chahta..??”
Sunil “toh fir tune kya socha hai”
Aryan “dekh, jo kuch bhi maine kal dekha, uss hisab se toh muje saaf lag raha hai ki koi na koi hathiyaar ka istemaal jarur hua hai”
Sunil “humne pura jungle chaan maara, aajtak hume koi bhi hathiyaar nahi mila, aur naa hi koi surag mile hai”
Aryan “chalo maine maan liya ki khooni ne hathiyaar kahi chupa diya hai yaa fir voh apne saath le gaya, par ek baat muje khatak rahi hai”
Sunil “konsi baat”
Aryan “insaan ka sharir, marne ke baad ek raat me kankaal nahi banta..aur jabki maine khud dekha tha ki uss admi ka sharir buri tarah se sad chuka hai, aur maans toh maano bacha hi nahi hai”
Patil “saab, uss jungle me bahut se jungle janwar rehte hai, kya pata voh hi saara maans khaa liye ho..??”
Aryan “nahi patil, agar yeh kaam kisi janwar ka hai, toh uske pairo ke nishaan laash ke aaspass hone chahiye, jabki vaha par vaisa kuch nahi tha”
Fir voh kuch sochte hue “sunil, voh aadmi akhir hai kaun…?? Aur voh aakhir iss jungle me kar kya raha tha, aur sabse bada sawaal, aakhir voh vanha pahucha kese..??”
Sunil “are Aryan, chod na yaar, kya tu subah subah laash ki baato ko lekar baith gaya hai”
Aryan “nahi sunil, ab toh muje iss case ki guthi ko suljaani hi hogi”
Sunil “dekh mere bhai, mai tuje pehle hi bata deta hu, yaha kuch nahi ho sakta, apni duty ke 2 saal khatam kar aur vapas apne ghar chale jaa”
Aryan ko sunil ki iss baat se thodi si shanka ho rahi thi, voh thoda kadak hokar bata raha hai “kya hai yeh sab..?? jo bhi dekho voh muje yanha se bhagane ki baate kar raha hai, aakhir manjara kya hai..?? kahi aisa toh nahi haina ki inn sab khoon ke piche tum sab mile hue ho”
Sunil “tu bol kya raha hai..?? Aryan mai toh bas itna kehna chahta hu ki humne aur tere se pehle aaye hue sabhi logo ne bahut koshishe ki, lekin hum iss jungle ke case ko aajtak nahi sulja paaye hai, aur toh kar, tere se pehle aane almost saare inspector maare gaye hai”
Aryan “yeh ajeeb hai, aisa kese ho sakta hai”
Patil “saab ji, sabke marne me kya ajeeb hai..??”
Aryan “ajeeb yeh hai ki headquarters me toh aisi kisi baat ka jikar nahi kiya jaata, infact vaha kisi bhi inspector ki maut ki koi khabar nahi hai, aur naahi muje inn sab ke baare me kuch bataya gaya hai”
Sunil “aisa kese ho sakta hai mere bhai, tere pehle yaha par Sharma tha, uski maut tere aane se thik 10 din pehle hui thi..aur humne toh har kisi ke maut ke baare me headquarters me report kiya hai, aur tu keh raha hai ki vaha iss baare me kisiko nahi pata..??”
Aryan kuch sochte hue “iss jungle ka case koi aam case nahi hai..mere hisab se hume ek aur baar uss jungle me jaana chahiye”
Sunil jo abhi tak Aryan ko bhagane ki baat kar raha tha, voh khud soch me pad jaata hai, voh Aryan se kehta hai “Aryan, dekh maine hamesa se iss case se jitna ho sake utna dur jaane ki koshish ki hai, aur maine sabhi ko yahi salah di hai ki jitna ho sake utna iss case se dur rahe, par agar jo tu keh raha hai..voh sach hai ki headquarters inn baato ko chippa raha hai toh koi na koi baat jarur hai, mai tere saath hu, hume iss case ki jad tak jaana hi hoga”
Patil “saab ji, mai bhi aapke saath hu, mai nahi chahta ki mere marne ke baad meri bhi maut ko chupaya jaaye”
Aryan “thik hai, toh yeh tay raha, ki hum iss case ki chaanbin hamare tarike se karenge, hume yeh case dubara se kholna hoga..aur shuru se dekhna chahiye, koi na koi surag toh hume jarur milega”
Sunil “patil, ek kaam karo, iss case se related jitni bhi files hai, unhe fauran yanha le aao”
Patil uss kamre se bahar nikal jaata hai, aur vahi Aryan kuch sochte hue apne headquarters phone lagata hai aur kuch der baat karne ke baad voh sunil se kehta hai “mere andaaza sahi tha, sunil..yaanha par koi bahut hi badi saajish rachi jaa rahi hai, hume uss jungle me dubara jaana hoga”
Sunil “abhi..??”
Aryan “haa abhi” aur fir voh dono police station se uss jungle ki aur chal diye janha par kal voh katl hua tha
Karib 25 min me voh dono hi crime scene par maujud the, Aryan “yaad rahe sunil, hume bariki se sab kuch dhundna hoga, kuch bhi chutna nahi chahiye”
Karib 2 hours sabkuch dekhne ke baad bhi inn dono ke haath kuch nahi laga tha, Aryan kehta hai “muje laga tha ki yanha par hume kuch toh milega”
Sunil apne kamar par rakhte hue “haa yaar, lekin yanha par toh iss paid ke alawa kuch nahi hai”
Aryan kuch sochte hue “voh paid” fir voh uss paid ki aur dekhta hai aur kehta hai “laash aakhir voh paid tak pahuchi kese..?? aur humne kal dekha ki laash ke kankaal par khoon laga hua tha, par yeh paid par ya iske aaspass khoon ke koi nishaan nahi hai, kahi aisa toh nahi ki koi iss kankaal ko yaanha laakar faink diya hai”
Sunil “yeh baat toh maine sochi hi nahi, agar kankaal yanha par kisine fainka bhi hai toh uske khoon ke dhaabe yanha par jarur hone chahiye”
Aryan “jabki yanha par aisa kuch nahi hai..toh ho sakta hai ki jo khoon uss kankaal par laga hua tha voh uss aadmi ka ho hi nahi aur kisi aur ka ho..??”
Sunil “voh PM report, usme kuch bhi likha nahi rehte”
Aryan “hume fauran police station vapas jaana hoga, muje voh saare PM reports dekhne hai”
Fir voh dono vapas police station aa pahuche the, jab Aryan apne cabin me gaya toh vaha par 7-8 badi badi files rakhi hui thi, jise dekhkar voh sawaliya bhari najro se sunil ki aur dekhne laga
Sunil samaj jaata hai ki Aryan kya puchna chahta hai “list lambi hai, inn sab ko dekhne me kaafi time lagne vaala hai”
Aryan “upar se voh doctor bhi nahi hai, muje uss blood ka test karwana tha”
Sunil “uss buddhe ke saath reh-reh kar mai thoda bahut toh sikh gaya hu, ek kaam karta hu, mai jaakar blood test karta hu tab tak tu inn files ko dekhna shuru kar”
Aryan ko sunil ki baat sahi lagti hai, aur voh files dekhne lag jaata hai, aur vahi Sunil vaha se hospital ki aur chala gaya
To be continued…