• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy MAYAJAAL (SciFi Paranormal)

Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
Bhai ye story kahi to padhi thi yad he lekin me chahuga ki ap is me apna bhi add karo taki ye or majedar ho jaye to maja ayee




Yours John
Maine to isko ek movie me dekha tha...but starting ke kuch updates ko chhod kar baki poori story totally alag hogi...aage jo bhi hoga vo mera full imagination hoga.
Vaise bhi ye kahani Chamatkar story ka second part hai to uske according hi chalegi.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,311
304
ye story mayavi ganit ki copy paste hai
jo ki xossip posted thi, writer ka naam yaad nahi
Aap koun?:confuse:

ye bilkul alag story hai . aapko nahi padhni hai ye story to mat padhiye.. Par writer ko disturbe mat kijie.
 

anuj09

Member
458
970
93
Nice update bro
Waiting next
 

Zas23

Well-Known Member
4,624
4,625
158
MAYAJAAL
( CHAMATKAR PART- II)

UPDATE-3

Sadak par paaydal marte huye ram kumar urf ramu aaj kuch jyada hi vichlit tha…usko ehsaas ho gaya tha ki math jeevan bhar uske palle nahi padegi…aur math ke bina jeevan hi bekar tha…yahi sabak uske maa baap aur teachers diya karte the.

So usne apna jeevan samapt karne ka nishchay kiya…uske raste me ek chota sa jungle padta tha…uske andar ek gahra talab hai..ye bhi usko pata tha.

Usne apni cycle sadak se niche utar di….ab vah uss gahre talab ki oor ja raha tha…chunki usne tairna sikha nahi tha, isliye vah aasani se doob kar mar jayega…yahi vichar aaya uske mann me.

Jaldi hi uski cycle talab ke kinare pahuch gayi….usne speed tez kar di…uski speed dekh kar aisa laga jaise ki vo cycle ke sath hi pani me ghus jana chahta tha.

Achanak usko laga ki piche se kisi ne uski cycle rok li hai….usne ghum kar dekhna chaha, lekin ussi samay uski gardan bhi kisi ne pakad li…..koi uski gardan daba raha tha….dhire dhire uss par behoshi chha gayi.

Ab Aage…….

Ek chhote se kamre me tez neeli roshni phaili huyi thi….iss roshni me chaar bachche aas paas khade huye kisi gambhir chintan me doobe huye the.

Lekin haqiqat to yah thi ki dar asal ye bachche nahi balki boune prani hain…kyon ki inke chehre par dadhi aur moonchhe moujud thi.

Unke sharir ka poora ranga gahra peela colour ka tha jo ki iss baat ka suchak tha ki ye boune prani iss dharti ke arthat prithvi vasi to bilkul bhi nahi hain.

Issi kamre ke ek kone me ramu moujud tha jo ki abhi bhi behosh avastha me tha….lekin kamre ki sabse aakarshit karne wali vastu thi, ek taboot numa shishe ka baksha.

Jiske andar unhi charo ke jaisa ek bouna prani nishchal avastha me pada hua tha….uske sharir me koi bhi halchal nahi ho rahi thi.

“To ab kya irada hai, Mr. Romeo” unn charo me se ek ne vatavaran me chhayi nistabdhta ko todte huye kaha.

Romeo—hame apne samrat ko kisi bhi keemat par bachana hai…warna prithvi naam ke iss anjan grah par ham jyada samay tak jinda nahi rah payenge.

“Saari galti hamare yaan ke auto pilot ki thi…..yaha ke vayu mandal me utarte huye usne yaan ko poori tarah se dis balance kar diya….natize me hamare samrat ka sharir lagbhag poora hi nasht ho gaya.” Teesra vyakti bola.

“Theek kahte ho silvasa…..ab hamare samrat ke sharir me kewal unka mastisk hi sahi salamat bacha hai aur agar hamne der ki to vah bhi nasht ho jayega…..kyo romeo…..?” Pahle wala bouna admi bola.

Romeo—haa..Dove……ab aage madam vaan ko apna hunar dikhana hai…..unhe jald se jald samrat ka dimag uss ladke ke sharir me transplant kar dena hai, jisko hum jungle me talab ke kinare se pakad kar laye hain.

“Theek hai.” Teesra vyakti jo dar asal madam dove thi bol uthi.

Aur phir vo sab apne apne kaam me jut gaye….ramu ko taboot ke bagal me lita diya gaya tha… phir vo mastisk transplant ke operation me jut gaye.

Inki technology dharti ki apeksha kayi guna adhik viksit thi….jaha dharti vasiyo ke doctors ko ek normal operation me bhi poora din nikal jata hai..vahi ye har kaam chutkiyo me nipta dete the.

Ek taraf ramu ka sir khola ja raha tha to dusri taraf samrat ka…..ye operation poore ek ghante tak chalta raha…aur phir thodi der baad samrat ka dimag ramu ke jism me fit ho chuka tha….jabki ramu ka dimag alag ek tray me nazar aa raha tha.

“Ab poora ho gaya hai operation….hum iss ladke ke dimag ko nasht kar dete hain.” Madam Vaan ne ramu ke sharir ko achchi tarah se test karne ke baad kaha.

Romeo—mere dimag me ek idea aaya hai.

Silvasa—kaisa idea…?

Romeo—khidki ke bahar uss ped par baithe bandar ko dekho….iss dimag ko uss bandar me fit kar ke jungle me chhod dete hain….agar hosh me aane ke baad samrat ke dimag ne iss ladke ke sharir ko kubul nahi kiya to ek manusya ka dimag bekar me hi nasht ho jayega.

Dove—theek kahte ho tum romeo.

Madam Dove ne romeo ki baato me apni sahmati jatayi…aur phir apni choti si pistol nikal kar uss ped par baithe bandar ki taraf taan di usko behosh karne ke liye.

Dusri taraf jab aaj ramu kafi der tak ghar nahi louta to uski maa nirmala pareshan ho gayi…usne janki se bhi pucha lekin usne apni anbhigyata jahir kar di.

Nirmala (pareshan hote huye)—kaha gaya hoga….? Ab tak ghar nahi aaya….kahi aata jata bhi to nahi hai vo.

Janki—mummy..kahi ghum raha hoga apne awara dosto ke sath..aa jayega…bhukkhad kahi ka….jab bhukh lagegi to khud hi khane ke liye bhaga bhaga ayega.

Nirmala—tu chup kar..tujhe to koi fikar hi nahi hai ki vo tera bhai hai.

Janki—petu hai vo…..jab dekho khata hi rahta hai…aur ladta hai poora din…aap usko to kuch bolti nahi bas mujhe sunati rahti ho.

Jab kuch aur intazar ke baad bhi ramu ghar nahi aaya to vo dukan pahuch gayi….rajesh bhi soch me pad gaya…uske dimag me kayi tarah ke sawal panapne lag gaye.

Rajesh (mann me)—kaha gaya hoga ye…? Aaj subah hi maine uski jam kar pitayi ki thi, kahi uski vajah se to gussa ho kar kahi nahi chala gaya….? Lekin iske pahle to usne aisa kabhi nahi kiya.

Rajesh aur nirmala pata karne school pahuch gaye….school pahuch kar dono sidhe principal Mrs. Bhatiya ke cabin me chale gaye.

Rajesh—madam hum andar aa sakte hain…?

Principal—aaiye….kahiye main kya kar sakti hu apke liye….?

Rajesh—dekhiye hamara beta ramu aap ke school me padhta hai…ham uske parents hain….ramu abhi tak ghar nahi aaya hai…isliye hame aap ke paas aana pada.

Principal—dekhiye school ki chhutti to do baje tak ho jati hai…..uske baad kisi ke yaha rukne ka sawal hi paida nahi hota…..aur aap ke ladke ram kumar ko main achchi tarah se janti hu..vo to kabhi library bhi nahi jata hai.

Rajesh—phir bhi aap agar staff se ek baar puch le to…..! chhutti huye char ghante ho rahe hain…ramu abhi tak ghar nahi pahucha hai.

Nirmala—uski to kahi idhar udhar jane ki aadat bhi nahi hai…school se sidha ghar gi aata hai.

Ussi samay vaha kisi kaam se agrawal sir ne pravesh kiya….vo rajesh aur nirmala ko achchi tarah se jante the…unhe baitha dekh kar vah unki oor ghum gaye.

Agrawal—achcha hua aap log aa gaye….aap ka ladka ram kumar maths me bilkul gol hai..agar aap ne uski taraf dhyan nahi diya to iss saal bhi uska paas hona mushkil hai.

Principal (beech me rokte huye)—ek minute….! Mr. aur Mrs. Verma yaha isliye aaye hain kyon ki inka ladka ab tak ghar nahi pahucha hai.

Agrawal—jarur vah kisi park vagairah ki taraf nikal gaya hoga…..aaj maine usko saza di thi…ho sakta hai ki dil bahlane ke liye kahi picture dekhne nikal gaya ho…?

Principal—dekhiye aap dono aisa kare ki thodi der aur apne ladke ka intazar kar le…ho sakta hai ki ab tak vah ghar pahuch gaya ho….agar aisa nahi hota hai to hame aur police ko inform kare.

Dono—theek hai.

Rajesh aur nirmala dono thandi saans le kar uth khade huye…..unke chehre par pareshani aur chinta ki lakire aur bhi gahri ho gayi thi.
Nice update
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
ye story mayavi ganit ki copy paste hai
jo ki xossip posted thi, writer ka naam yaad nahi

Bhai Jaha tak mujhe yaad hai to apka ye shayad pahla comment hai meri kisi bhi thread par
Apka hardik swagat hai.

Dost apki jankari ke liye bata du ki meri story to mayavi ganit ki copy paste nahi hai
Balki copy paste to vo story thi jo ki aapne xossip par padhi thi.

Shayad aap ko pata ho ya na ho ki Mayavi Ganit Famous Novel Writer Zeeshan Zaidi ka Award Winner novel hai.
Maine apni har story (Saajan aur Saand ko chhod kar) kisi na kisi novel se start ki hai.
Aur do ek update ke baad poori kahani meri khud ki imagination par aadharit hain.
Chamatkar ki starting maine Harry Potter se ki.
Naag Mani ki starting Amrita Preetam ke novel se ki
Rishabh Mohini ki starting Devki Nandan Khatri ke novel se ki
Mayajaal ki starting Zeeshan Zaidi ke novel se ki.

Lekin meri har kahani unke novel par do teen updates tak hi based hoti hai.
Uske baad ke updates me meri kahani aur unke novel ka door door tak koi vasta nahi hota hai.

Ek novel ke upar kitni hi kahaniya likhi jati hain...kitne hi movies aur serials bante hain
Tab to aapne kuch nahi kaha hoga dost ki ye copy paste hain.

Vaise main aap se request karunga ki aap mayavi ganit ko yaha post kar de.
Meri ye story to chalti hi rahegi...aap achchi tarah se samajh jayenge ki meri story copy paste hai ki nahi.
 
Status
Not open for further replies.
Top