• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy MAYAJAAL (SciFi Paranormal)

Status
Not open for further replies.

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Waah kya baat kya baat bhai. Ek aur dhamaka. I know Ab to maja hi aayega____

Congratulation for the second part of CHAMATKAAR_____

Keep posting____
Keep rocking____
 

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,852
158
Waiting bhai
 

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,852
158
Waiting bhai
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
MAYAJAAL
(CHAMATKAR-PART II)

UPDATE—4

Dove ne ped par baithe uss bandar ko nishana bana kar apni chhoti si pistol se jaise hi fire kiya to vo bandar fire ki awaz sunte hi jump maar ke dusre ped par kood gaya aur vaha se gayab ho gaya.

Dove—ohhh shit..! ye bandar to bhag gaya….ab kya kare…..?

Romeo—karna kya hai…iss ladke ke dimag ko samrat ke sharir me fit kar dete hain..

Vaan—samrat ka sharir to lagbhag nasht ho chuka hai, to unke sharir me iss ladke ke dimag ko lagane ka koi matlab nahi hai.

Silvasa—to phir kya kare….?

Vaan—mere khyal se kyo na kisi kabra ko khod kar koi laash bahar nikal le jiska sharir sahi salamat ho to uske andar iske dimag ko fit kar dete hain…shayad kuch baat ban jaye.

Romeo—lekin marr chuke admi me jaan thodi hi aa jayegi…uska dimag to vaise bhi nashta hi hona hai.

Dove—madam vaan ne jo kaha hai vahi karte hain.

Silvasa—theek hai to aaj raat me hi ye kaam karna sahi rahega....

Sab raat hone ka intazar karne lage….udhar ramu ke sharir me samrat ka dimag fit hone ke baad bhi abhi tak koi prati kriya dekhne ko nahi mili thi.

Raat hote hi romeo aur silvasa ek sunsan shmashan me ja kar kabra khodne lage…aasman me chandni chhayi huyi thi jiska prakash dharti par charo taraf bikhra hua tha….unke paas atyadhunik hathiyar the jisse unhe jyada samay nahi lag rha tha.

Chaar paanch kabra khodne ke baad bhi unhe koi bhi laash sahi salamat avashtha me nahi mili to ek jagah baith kar soch vichar karne lage…..tabhi unki nazar ek kabra par gayi jo ki sabse alag thi aur uske upar lage board par bade bade aksharo me likha hua tha.

“AADIRISHI”

Unhone mann hi mann kuch faisala lekar uss kabra ki taraf badh gaye aur kabra khodne ka kaam shuru kar diya.

jaise hi unhone kabra khodna shuru kiya to achanak mousam ka rukh badalne lag gaya….aasman me tez bijli kadakne lagi…aur andhera chhane laga.

Romeo—yaar ye mousam achanak kaise badal gaya….?

Silvasa—mujhe bhi tajjub ho raha hai….andhera bhi ho gaya hai…tum torch ki roshni dikhao mai khodta hu.

Romeo torch ki roshni dikhane laga aur silvasa kabra khodne ke kaam me jut gaya…..barish hona shuru ho chuki thi…..unhone kabra me dafan tabut ko bahar khich kar aur usme rakhi laash ko bahar nikal liya tabut ko phir se jamin me gada kar kabra me mitti bhar di.

Uss laash ka sharir bilkul sahi salamat dekh kar dono turant use kandhe me tangkar vaha se ravana ho gaye…laash ke milte hi madam vaan ramu ke dimag ko uss laash ke sharir me fit karne ke kaam me lag gayi….aur antatah usne uss laash ki khopdi me ramu ke dimag ko fit kar diya.

Vaan—lo ye kaam bhi ho gaya.

Silvasa—lekin itni mehnat ka fayda kya…? Dimag fit kar dene se murda sharir me jaan thodi hi aa jayegi.

Vaan—so to hai.

Iss prakriya me poori raat lag gayi….samrat ko abhi tak hosh nahi aaya tha….sab gahri chinta me doobe huye the.

Romeo—abhi tak samrat ko hosh kyo nahi aaya hai.... ?

Vaan—main khud yahi chinta me hu.

Dove—ab iss laash ka kya kare….?

Vaan—isko ussi kabra me ja kar dafan kar do……subah hone hi wali hai….uske pahle hi ye kaam khatam kar lo.

Silvasa—jab yahi karna tha to itna sab karwane ki kya jarurat thi…?

Romeo—bina matlab pareshan kar diya yaar.

Silvasa—chal ab phir se isko vahi le chalte hain.

Romeo aur silvasa uss laash ko phir se utha kar shamshan me le aaye....idhar samrat ke sharir me halchal honi shuru ho gayi….uske aaspaas moujud uske sahyogiyo ke chehre ye dekh kar khil uthe.

Jabki vahi dusri taraf romeo aur silvasa ne jaise hi uss laash ko kandhe se utar kar jamin me rakha to unhe bahut bada jhatka laga.

Dono ki ankhe hairat se khuli rah gayi...kyon ki uss laash ke sharir me harkat honi shuru ho gayi thi jo ki kisi avishwashniya ghatna se kam nahi thi.

Aur agle hi pal uss laash ne ankhe khol di....romeo aur silvasa to dahshat kha kar piche gir gaye aur phir jaldi se uth kar vaha se bhag khade huye.
 
Status
Not open for further replies.
Top