- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 27
Rahul apne room me jaakar apne gusse ko bahut mushkil se control karta hai .... Aaj wo bahut shocked aur gussa ho gaya tha Nisha ko waapas dekh kar....Kya kare kuch samajh nahi aa raha tha....2 saal pehle ka thappad aur aaj kuch der pehle ki jhagda ye sab soch kar Rahul ko phir se gussa aane laga tha....
Abb Rahul ko yaha par 2 saal aur rehna tha....Rahul soch raha tha ki kaise Nisha ka saamna kare....Wo shaanti se rehna chahta tha.....Koi jhagda nahi karna chahta tha....Lekin jab bhi Nisha uske saamne aati thi uske dil aur dimaag me Nisha ke liye nafrat aur gussa aa jaata tha...Khud ko control nahi kar paata tha....Aise me wo shaanti se nahi reh sakta hai....Ye baat sochte huye usne tay kiya ki wo ye flat chhodkar kahi aur rahega....Agle hi pal usne fir se socha ki kaise wo ek ladki se haar kar chala jaayega....Life me to use aise bahut se log milenge jo usko pasand nahi aayega....Fir kaise sab se haar kar picche hat ta rahega.....Kuch der aise hi sochne ke baad usne decide kiya ki wo Nisha ko ignore karega....Usse koi baat nahi karega aur apne kaam se matlab rakhega....
Uske baad Rahul Raj ko phone lagata hai....Aone parents ko to pehle hi bataa diya tha ki wo abb new flat me shift ho gaya hai.....Abb Raj ko bhi batana tha....
Raj:- Ha bhai....Bol kya baat hai???
Rahul:- Agar koi baat nahi hogi to aapko call nahi kar sakta kya???
Raj:- Nahi mera wo matlab nahi tha....Jab bhi man kare phone kar sakta hai....Tu jab mujhe phone karta hai to kaam ki baat karta hai.....Issliye pucch liya baat kya hai....
Rahul:- Ye batane ke liye phone kiya tha ki mai new flat me shift ho gaya hu....
Raj:- Kab aur kyu???
Rahul:- Bas kuch der pehle....Kuch problem ho gaya tha pehle waale flat me issliye...
Raj:- Tera life to bilkul mast ho gaya hai....Flat me akele rehna aur masti karna....Jab chahe tab baahar ghumne jaana....Saala mera to life bahut hi boring ho gayi hai .... Subah college jaao aur college se aane ke baad din aur raat bhar hostel ke chaar diwaaron ke bich kaid ho jaao....
Rahul:- Mera to life aur bhi buraa ho gaya hai....Khud khana banana padta hai, kapda dhona padta hai, Market jaana padta hai aur bahut kuch....Akela rehna chahta tha issliye flat me reh raha hu warna mai bhi hostel me hi rehta....
Raj:- Chhal chhod ye baatein.....Bata aas pass ke log aur mahaul kaise hai waha???
Aas pass ke log sunte hi Rahul ko fir se Nisha ki yaad aa gaya....Fir se uska mood off ho faya aur gusse bhari aawaj me bola....
Rahul:- Abhi jyaada log se mila to nahi hu....Sirf ek ladki se
Raj:- Sirf ek ladki se....Aur tere aawaj me itna gussa kyu hai....Ladki se milne ke baad to honthon pe mushkaan hona chahiye....Gussa nahi
Rahul:- Kyunki ye wahi ladki hai....Jisne mujhe 2 saal pehle thappad maara tha...
Jab Raj ne ye baat sunaa to usse pata chal gaya ki Rahul abhi bhi 2 saal pehle waali baat ko abhi tak bhula nahi paaya hai....Phone ki aawaj me bhi uska Nisha ke liye gussa aur nafrat mehsoos kar chuka tha...
Raj:- Dekh bhai....Apne gusse ko thoda control kar....Kahi gusse me badle lene ke liye kuch ulta sidha mat kar dena.....Aur aisi chhoti chhoti baaton ko abhi tak kyu yaad kar raha hai???
Rahul:- Ye chhoti baat nahi hai....Koi bhi mujhpe haath uthaaye ye mujhse bardaasht nahi hoga....Us time galti mera tha issliye mai chup tha....Ab wo mujhe pareshaan kar rahi hai....Abhi tak to khud ko control kar raha hu....Agar limit se jyaada ho gaya to mujhe hi nahi pata mai kya karunga.
Iske baad Raj Rahul ko samjaane ki koshish karta hai lekin Rahul samajhne ke liye taiyaar hi nahi tha....Kuch der baad phone cut ho jaati hai....Aur Rahul bhi apne kaam me lag jaata hai....Der raat tak wo sochta rehta hai aaj ke din ka saara ghatna aur abb aaage kya karna hai....
Agli subah Rahul 5:30 am me utth jaata hai....Aaj Sunday tha issliye aaj college jaane ki koi tension nahi tha....Wo apne liye chhai banata hai aur baahar garden me aakar chhai peene lagta hai....
Wo subah ka mausam ko chhai ke saath enjoy kar raha tha....Kuch der chhai peene ke baad Nisha bhi waha garden me aa jaati hai....Rahul jo kuchh der pehle tak ekdam cool aur normal tha ....Nisha ke aa jaane ke baad fir se gussa ho gaya tha.....Lekin wo apne gussa ko chehre pe nahi dikhata hai....Normal rehne ki koshish kar raha tha.....Kyunki wo apne koi bhi expression Nisha ko nahi dikhaana chahta tha....Usne Nisha ko ignore karne ka soch liya tha....
Nisha bhi waha aakar side ke bench me baith jaati hai....Aur idhar udhar dekhne lagti hai....Rahul bhi use ignore karte huye apna mobile chalane lagta hai....Kuch der baad Nisha Rahul se kehti hai
Nisha:- Tumhaara naam kya hai???
Rahul sun to leta hai....Par koi jawaab nahi deta hai...
Nisha:- Tumse hi pucch rahi hu....Ham ek hi building me kuch time tak saath rehne waale hai issliye pucch rahi hu....Kabhi kabhi jaruri pad sakta hai.....Warna mujhe bhi koi interest nahi hai tumhaare naam pucchne me aur tumse baat karne me....
Rahul:- Mujhe tumhari koi jarurat nahi padne wali hai....Mai apna kaam khud kar sakta hu aur kisi pe bhi dependent nahi rehta.....Aur mai tumhaari koi help nahi karunga.....Fir bhi naam bata deta hu....My name is Rahul
Nisha:- And my name is.....
Nisha ne bas itna hi kahaa tha ki Rahul uske baat ko kaat te huye kehta hai....
Rahul:- Nisha
Nisha Rahul ki baat ko sun kar shocked ho jaati hai.....Aur dar bhi jaati hai ki Rahul ko uske naam kaise pataa chala...
Nisha:- Tumhe mera naam kaise pata??? Aur kya kya jaante ho mere baare me....Kahi uss din ki thappad ke liye mujhse badlaa lene ke liye to tumne mere baare me pata nahi kiya???
Nisha apni baatein bahut jaldi jaldi me kehti hai...
Rahul:- Cool down....Aaram se bolo.....Mujhe tumhaara naam MBBS ke entrance ke time me pata chala tha....Mai bas 1 week waha pe padha tha....Ek din tumne waha ek teacher se question puchha tha aur teascher ne tumhaara naam puchha tha....Bas iss liye jaanta hu tumhaara naam....Aur tumhaare baare me kuch nahi jaanta....Aur jaana bhi nahi chahta....Mujhe tumse koi matlab nahi hai.
Nisha:- Oh! To ye baat hai.....To kya tum bhi MBBS padhte ho????
Rahul:- Nahi BE padhta hu
Nisha:- MBBS ka entrance preparation aur BE padhte ho.....Mai kuch samjhi nahi..
Rahul:- Samajhne ke liye dimaag chahiye....Jo tumhaare paas nahi hai....Mai MBBS padhna chahta tha issliye MBBS ka entrance preparation kiya tha....Lekin scholarship me naam nahi nikla to padh nahi paaya....
Rahul ki baat sunke Nisha ko gussa aa gaya aur usne bhi Rahul ko kahaa..
Nish:- Scholarship me naam nikalne ke liye padhna parta hai, mehnat karna padta hai....Padhne ki time me ladki ko chhedoge, propose karoge aur flirt karoge to kaise naam niklega...
Nisha ne ye keh kar thoda sa smile kiya lekin Rahul ko ye baat bilkul bhi achha nahi laga....Rahul jis ladki se nafrat karta tha wo hi ladki uska mazaak banaye ye usse bilkul pasand nahi....Wo kuch kehna chahta tha lekin ignore karte huye gusse se apne kamre me chala gaya...
Nisha bhi samajh nahi paayi ki Rahul iss tarah achanak gussa kyu ho gaya...
Rahul apne room me pahunch kar
Rahul:- (Apne man me) Maine kal tay kiya tha ki mai usse ignore karunga....Fir kyu mai aaj usse baat karne laga....Kyu Nisha mujhe itna pareshaan kar rahi hai???Usse koi aur nahi milta kya....Baar baar mujhe pareshaan karti hai aur gussa dilaati hai....Ab bahut hua ab mai usse bilkul baat nahi karunga....Agar usne mujh se baat karne ki koshish ki yaa fir se mujhe gussa dilaaya to mujh se buraa koi nahi hoga.