- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 83
Nisha kuch nahi bol paayi....
Jab Rahul ne Nisha ko bahut der se chup dekha tab wo fir se bola.....
Rahul:- Abb chup kyu ho gayi....Bol na tu Aditya ko jaanti hai ya nahi....
Rahul ne apna sawaal dohra kar puccha.....Usko to pata tha ki Nisha Aditya ko jaanti hai par wo ye sab Nisha ke munh se sunna chahta tha.....Nisha ne bhi socha abb der karna accha nahi hoga.....Aur usne kaha.....
Nisha:- Ha mai jaanti hu Aditya ko....Aur yakin karo ki mai tumhe sab kuch bataana chahti thi lekin kabhi mauka hi nahi mila....
Nisha aage aur bhi kehna chahti thi lekin Rahul ne uski baat bich me hi kaat kar kaha....
Rahul:- Sab pata chal chuka hai mujhe.....Abb kuch bataane ki jarurat nahi.....Tum aisi niklogi ye kabhi socha nahi tha maine....Kya socha tha tumhaare baare me aur kya nikli tum....
Rahul itna keh kar gusse se apne room ki taraf badhne laga.....Lekin fir se Nisha ki aawaj ne usse rok diya....
Nisha:- Rahul pehle meri baat to suno.....Mujhe pata hai Aditya ne tumhe kya kaha hai....Lekin wo sab jhuth hai....Ek baar meri baat to suno....
Nisha ne laghbhag gidgidaate hue kaha.....Lekin aaj Rahul par iska koi asar nahi pada.....Aaj usse Nisha ki haalat ka bhi koi parwaah nahi tha....Usne picche mud kar Nisha ki taraf gusse se dekha aur kaha....
Rahul:- Apni gandi jubaan se mera naam fir kabhi mat lena....Aur mai pehle hi keh chuka hu ki mai saari sachchayi jaanta hu aur kuch nahi sunna chahta.....Aur ek aakhiri baat bhi sun lo.....Tum mera gussa pehle bhi dekh chuki ho....Lekin tum ye nahi jaanti ki mera gussa kitna khatarnaak hai......Aur fir se mujhe bulaaya yaa fir pareshaan kiya to dikha dunga mera gussa kya hai.....
Abb kuch hi months baaki hai meri exams ka .....Uske baad mera study bhi complete ho jaayega aur mai iss manhoos jagah ko chhod kar hamesha ke liye chala jaaunga.....Tab tujhse chhutkaara bhi mil jaayega.....Lekin jab tak yaha hu tab tak mujhse baat karne ka himmat bhi mat karna.....
Rahul ne bahut gussa aur nafrat me kaha.....Aur ye keh kar Rahul apne room me chala gaya.....Iss baar Nisha ka himmat nahi hua Rahul ko rokne ka......Wo wahi niche baith kar kuch der tak roti rahi.......Pehla pyaar toot jaane ka dard kya hota hai wo Nisha abb mehsoos kar rahi thi.....Bas bhagwan se ek hi baat pucch rahi thi ki "Aakhir maine kya galat kiya tha jo mujhe ye saza mil raha hai"......
Rahul ne bhi ek baar window se Nisha ki taraf dekha.....Nisha ki aansu bhi aaj usse jhootha lag raha tha.....Wo soch raha tha ki apne plan bigad jaane ki vajah se ro rahi hai......Aur Rahul Nisha ko ignore karte hue apne bed par aakar baith gaya....Usko bhi accha nahi lag raha tha.....Saccha pyaar baar baar tootne se kya dard hota hai wo koi Rahul jaise insaan se pucch le.....
Iss baar bhi Rahul laghbhag wahi haalat me pahunch gaya tha jab pehli baar Priya ne usse dhokha diya tha....Uss vakt to Rahul utna matured nahi tha aur tut sa gaya tha......Aage kya karna hai, kaise ye dard sehna hai aur aage kya hoga ye baatein usko sataati thi......Chaah kar bhi Priya ko bhulaa nahi paa raha tha.....Raj hi tha uss vakt jisne usko aage badhne me madad kiya tha aur baad me uski life me Nisha ke aa jaane se wo sambhal gaya tha lekin abb Rahul ka fir se wahi haalat ho gaya tha.....
Lekin iss baar Rahul pehle jaisa kamjor nahi tha.....Usne decide kar liya ki abb wo apna life ye jhuttha pyaaar me kabhi waste nahi karega.....Usse aage badhna hi hoga.....Issi me uska aur uska family ka bhala hai....."Kya jhuttha pyaar apne maa baap ka saccha pyaar se bada hai jo mai bas issi baat ko soch kar tadap raha hu"...."Kab tak mai yahi bakwass baatein soch kar khud ko aur taklif deta rahunga"....."Nahi mai aage badhunga"....."Isme meri koi galti nahi hai Nisha ne mere saath bewafaayi kiya, issme mera kya galti, saara galti ussi ka hai"...."Abb mujhe apne kaam par dhyaan dena chahiye......Kuch months baad exams hai......Accha marks laana hai mujhe.....Aur uske baad Nisha se dur chala jaaunga."......Rahul yahi soch raha tha aur usne decide bhi kar liya......
Abb vakt dhire dhire bitne laga......Rahul Nisha ko ignore karta raha.....Lekin apne dil se nahi nikaal paa raha tha......Kabhi kabhi Nisha ke saath bitaaye unn pyaar bhare palon ki yaad Rahul ko aa jaata to na chaahte hue bhi uske hottho me muskuraahat aa jaata.....Lekin agli hi pal Nisha ki bewafaayi soch saari feelings ko maar deta.....Dil baar baar kehta tha ki Nisha bewafa nahi ho sakti lekin dimaag ye baat nahi maanta.....Aur har baar jeet dimaag ka hi hota hai......Kabhi kabhi to Rahul fraustrated bhi ho jaata ki kyu wo baar baar Nisha ke baare me sochta hai.....Kyu uski muskuraata hua chehra ki na chahte hue bhi yaad aa jaata hai.....Lekin bechare ko pata nahi dil aur dimaag par kisi ki kaabu nahi hota......
Udhar dusri taraf Nisha pal pal mar rahi thi Rahul ka aise ignore karne se.....Wo Rahul se baat karna chahti thi, Rahul ko samjhaana chaahti thi lekin Rahul har baar usko ignore karta tha.....Abb Rahul kabhi garden me aata bhi nahi tha.....Bahut kam mulaakat ho raha tha Rahul aur Nisha ka.....Aur jab bhi Rahul ka najar Nisha ke upar padta Rahul ki aankho me nafrat aur gussa hi hota tha.....Jab bhi Nisha Rahul se baat karna chahti thi Rahul ki aankho ka gussa dekh uski saari himmat gaayab ho jaata....Thoda dar bhi lagta tha ki Rahul gusse me kuch ulta sidha na karde....Rahul ka gussa pehle hi wo dekh chuki thi.....
Nisha har pal tadapti thi Rahul se baat karne ke liye , usse samjhaane ke liye lekin wo kuch kar nahi paayi....Abb uska chehra ek dam se murjhaa gaya tha aur aankho me aansu ki lakeer hoti thi.....Lekin dil me ek umeed bhi tha ki ek din Rahul uski baato ka yakin karega....Aur usse pyaar bhi karega......Nisha ko bas ussi din ka intejaar tha....Umeeed thoda kam tha lekin khatam nahi hua tha.....
Riya ne kai baar Nisha se uski iss haalat ke baare me puccha.....Lekin Nisha har baar manaa kar deti thi sach bataane se.....Kisi tarah baat ko taal deti thi.....Riya ko shak ho gaya tha ki koi badi baat hai jo Nisha usse chupa rahi hai......
Udhar Raj ko bhi Rahul par shak ho gaya tha ki kuch to hua hai jisse Rahul fir se badal gaya hai aur hamesha chhidha hua rehta hai.....Lekin jab bhi Raj usse kuch pucchta to Rahul baat ko taal deta yaa fir gusse me Raj ko bahut kuch sunaa deta tha.....
Lekin jhuthh kab tak chhup sakta hai....Ek din Riya ne Nisha ke munh se sachaayi ugalwa hi liya.....Nisha ne bhi Riya ko saari baat bata diya aur Riya ne bhi usko yakin dilaaya ki wo kuch karegi aur Rahul ko sachaayi ka pata jarur chalega......
Nisha se baat jaan ne ke baad Riya ne Raj ko saari baat bata diya.....Suru me to Raj ko Rahul par bahut gussa aaya ....Lekin ye time gussa karne ka nahi tha.....Uske baad Raj aur Riya dono ne decide kiya ki wo dono kal Rahul ke flat me jaayenge aur Rahul ko samjhaayenge....
Dusre din dono hi subah Rahul ke flat me pahunch gaye.....Jab Rahul ne itna subah Raj ko dekha tab usse kuch shak hua ki Raj kis baare me baat karne aaya hai aur ussi tarah khud ko prepare kar liya Raj ki sawaalon ka jawaab dene ke liye....
Rahul:- Bhaiya aap yaha itni subah???
Raj:- Ha...Kuch jaruri baat karna hai tujhse.....
Raj ki baat se pata chal raha tha ki wo Rahul se kitna naraaj hai.....Lekin Rahul ko isse kuch bhi fark nahi pada.....Wo bas Raj ki aane waale sawaal ka intejaar kar raha tha...
Raj, Riya aur Rahul abhi garden me baat kar rahe the.....Riya aur Raj ko dekh Nisha bhi niche aa gayi dil me ek umeed lekar ki sab kuch thik ho jaayega......Lekin usse pata nahi tha ki Rahul ka galatfehmi baat ko aur bhi bigaad dega.