• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Mera bhi shayiri thread

U like this

  • must thin

    Votes: 0 0.0%
  • may be

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    16
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Mujhey Garoor Rehta Hai Teri Aashnai Ka
Magar Sath Gham Bhi Hai Teri Judai Ka

Bheedh Mein Akelepan Ka Ehsaas Hota Hai
Tere Bin Yeh Haal Hai Meri Tanhai Ka

Tumhi Ne Hamaari Koi Khabar Na Li Jaanam
Varna Humein Daava Tha Teri Dilrubai Ka

Apne Pyar Ki Qaid Se Tum Azad Na Karna
Mera Bhi Irada Nahi Hai Reehayi Ka

Asghr Ko Kyon Tana Dete Ho Bewafai Ka
Jab Tum Khud Saamna Nahi Kar Sakte Sachai Ka…

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Mujhey Chehra Uska Yaad Rehta Hai
Mera Dil Khushi Se Abaad Rehta Hai

Usey Mera Khyaal Nahi Aata Kabhi
Jis Ki Yaad Mein Asghr Nashaad Rehta Hai

Ek Bar To Mil Jao Khuda Ke Liye
Dil-E-Beqrar Karta Yehi Fariyaad Rehta Hai

Har Ghadi Hichkiyan Jo Aati Rehti Hain
Lagta Hai Ke Asghar Kisi Ko Yaad Rehta Hai…

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Tum Ko Zamaney Me Kaha Aisi Ab Chahat Milegi
Na Aansu, Na Gam, Na Shiddat Milegi
Dil Tod Kr Mera Yuu, Fir Tumko Bhi Kaha Rahat Milegi

Guzarish Hai Tum Se Yuu Berukhi Na Dikhaiye
Is Dour-E Bewaafi Me Kaha Koi Aisi Deewaangi Milegi

Mere Haatho Se Khaai Huye Nivaalo Ki Jaisi Fir Khushi Kaha Milegi
Lafzo Me Hai Bohat Dard Chupa Hua Mere
Tum Ko Khoney Ki Itni Takleef Kisi Or Ke Dil Me Fir Na Milegi

Thaam Lo Daaman Hamara, Jo Ruthey Hum Ek Baar
Fir Na Mohabbat Ki Hmaari Koi Aaahat Milegi

Jee Lengey Hum Bhi Kahi Kisi Andhero Me
Ye Zindagi Jo Is Dafaa Juda Huye Toh Fir

Sukhey Huye Gulaabo Ki Tarah Ab Humaari Mohabbat
Bas Yu Kitaabo Me Milegi

– Ukaab
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Wo Chal Diye Humara Naazuk Dil Tod Kar
Jee Rahey Hain Deevaron Se Sir Phodh Kar

Ab To In Mein Ansoo Bhi Nahi Rahey
Ro Lete Hain Aankho Ko Nichod Kar

Hum Se Rah-O-Rasam Na Badhaiye Janan
Abhi Farigh Huey Hain Dil Ke Tukde Jod Kar

Hum Ne To Apna Sab Tere Naam Kar Diya
Ab Tu Bhi Chali Aa Sab Kuch Chodh Kar…

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Tanhaiyon Ke Saaye Mein Chain Kahaan
Aankh Khul Jaye To Fir Khwab Kahaan

Jee Jalaate Hain Subah Ke Thande Jhonke
Kho Gye Mohabbat Ke Voh Nazaare Kahaan

Ishq Ik Mushqil Imtehaan Tha Pehle
Ab Mohabbat Ke Voh Aadab Kahaan

Ab Kahaan Wafa Karne Wale Milte Hain
Us Pak Zamaane Jaise Insaan Kahaan

Ab To Khud Ki Dhadkan Se Bhi Darta Hai Dil
Ab Is Dil Mein Dilbar Ka Ghar Kahaan

Duniya Sunsaan Hai Kisi Registaan Ki Trah
Pehle Wali Voh Mehfilein Haseen Kahaan…
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
romantic-girl.jpg


Sochta Hoon Kya Ho Ga Haal Uska,
Bar-Bar Kyon Aata Hai Khyal Uska,

Jis Se Mujhey Behad Pyar Mila,
Main Bhool Nahi Sakta Jmaal Uska,

Jis Ke Hijhr Mein Rote Ik Umar Guzri,
Abhi Tak Hua Nahi Visaal Uska,

Ab Ke Baras Wo Mujhe Bahut Yaad Aaya,
Meri Nazar Mein Yeh Hai Saal Uska,

Asghr Ki Yaadon Ke Sahare Jiye Ja Raha Hai,
Yehi To Hai Sab Se Bada Kamaal Uska.

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Kyon Khamosh Hain Mere Lab Na Puchho,
Mujh Se Meri Udasi Ka Sabab Na Puchho,

Teri Furqat Mein, Main Kaise Jeeta Raha,
Yeh Baat Mujh Se Ab Na Puchho,

Pyar Mera Deen, Mohabbat Mera Dharam,
Mohabat Karne Walon Ka Mazhab Na Puchho,

Teri Yaad Mein Rote Sahr Ho Jaati Hai,
Kaise Guzarti Hai Meri Shab Na Puchho…

– M.Asghar Mirpuri
 
Status
Not open for further replies.
Top