• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Mera bhi shayiri thread

U like this

  • must thin

    Votes: 0 0.0%
  • may be

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    16
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Tasawur Mein Tujh Se Guftgoo Rehti Hai
Tera Pyar Paane Ki Justajoo Rehti Hai

Mere Dil Mein Tere Siwa Koi Aur Nahi
Wahan Faqat Sirf Tu Hi Tu Rehti Hai

Teri Judai Mein Ashq Behte Rehte Hain
Kayi Dino Se Ankh Lahoo-Lahoo Rehti Hai

Mujhey Tanhai Ka Kabhi Ehsaas Nahi Hota
Tu Har Pal Mere Charsoo Rehti Hai

Asghr Ki Koi Aur Khwaish To Nahi Jaanam
Sirf Tujh Se Baat Karne Ki Arzoo Rehti Hai …

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Chalo Yoon Hi Jeena Dushwaar Kar Lete Hain
Aao Hum Kisi Bewafa Se Pyar Kar Lete Hain

Koi Pyari Si Surat Dekh Kar
Apni Chahat Ka Izhar Kar Lete Hain

Pyar Mein Kayi Bar Dhoke Khaye Hain
Yeh Khata Phir Ik Bar Kar Lete Hain

Suna Hai Ke Mohabbat Qurbani Chahati Hai
Khud Ko Maarne Ke Liye Tyar Kar Lete Hain

Ab Aur Na Tadpao Apne Dost Asghr Ko
Aao Zindgi Bhar Ke Qaul-Qarar Kar Lete Hain…

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Jab Bhi Tum Se Rabat Mohaal Hota Hai
Tum Kya Jaano Mera Kaisa Haal Hota Hai

Meri Har Soch Mein Tum Hote Ho
Mujhey Sirf Tumara Khyal Hota Hai

Ajnabi Ho Kar Bhi Apne Se Lagte Ho
Kya Mohabbat Mein Aisa Bhi Kamaal Hota Hai

Yeh Dil Ke Saudey Bhi Ajeeb Hote Hain
In Ke Aage To Shaah Bhi Kangaal Hota Hai

Tera Dard Sanbhaal Ke Rakha Hai Aise
Jaise Gareeb Ki Gathri Mein Laal Hota Hai…

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai
Phir Kyon Mohabbat Mere Klaam Se Hai

Jis Ka Mashgla Tha Auron Ko Dukh Dena
Aaj Wo Udas Ghamon Ki Shaam Se Hai

Mohabbat Mein Kisi Tafreeq Ke Hum Nahi Qaabil
Humein To Mohabat Khaas-O-Aam Se Hai

Jis Ki Deed Ko Aankhein Tarash Rahi Hain
Usey Na Fursat Apne Kaam Se Hai

Hum Ne Mohabbat Ka Agaaz To Kar Diya Asghar
Hume Na Koi Garaz Anjaam Se Hai

– M.Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Hum Mohabbat Ko Aam Karte Hain
Har Kisi Ka Ehtraam Karte Hain

Jo Hum Se Nafrat Karte Hain
Hum Unhein Bhi Slaam Karte Hain

Waqt Palak Jhapkate Guzar Jata Hai
Hum Jab Un Se Kalaam Karte Hain

Un Ka Andaaz Aisa JaanLeva Hai
Wo Ek Nazar Se Ghulam Karte Hain

Abhi Tak Un Ka Dil Na Jeet Sake
Har Roz Ek Khat Un Ke Naam Karte Hain…

– M.asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Usey Meri Mohabbat Ka Yaqeen Ho Gya Hai
Khushi Se Bagh-Bagh Dil E Ghumgeen Ho Gya Hai

Mere Tan Mann Ko Badi Taskeen Mili Hai
Jab Se Wo Dil Mein Makeen Ho Gya Hai

Mere Pyar Ne Us Ke Husan Ko Aisa Nikhara
Wo Pehle Se Aur Bhi Haseen Ho Gya Hai

Ab To Woi Meri Shayari Ka Unwan Hai
Us Ke Aane Se Jeevn Rangeen Ho Gya Hai

Log To Mohabbat Mein Deewane Ho Jate Hain
Lekin Asghr Jaisa Nadan Zaheen Ho Gya Hai…

– M. Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Kisi Baadal Ki Tarah Awara Hoon Main
Tu Mera Chand, Toota Sitara Hoon Main

Tum Kya Jano Kitna Dukhiyara Hoon Main
Ranj-O-Alam Ka Mara Hoon Main

Tere Hi Dam Se Meri Har Khushi Hai
Tu Mera Aasra, Behsahra Hoon Main

Jo Tum Se Kabhi Mil Na Paye Ga
Aisa Samundar Ka Kinara Hoon Main

Main Jahan Hoon, Jis Haal Mein Hoon
Har Haal Mein Tumara Hoon Main

– M. Asghar Mirpuri
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Main Iss Tarah Usey Slaam Bhejta Hoon
Har Roz SMS Ik Gumnaam Bhejta Hoon

Mera Dil, Jigar-O-Jaan Hai Wo, Dost
Jise Mohabbaton Bhare Paigham Bejhta Hoon

Apne Ashaar Ka Guldasta Bana Kar
Mein Sirf Usi Ke Naam Bhejta Hoon

Jis Ne Mujhey Deewana Bana Rakha Hai
Usey Apni Chahat Ke Paigham Bhejta Hoon

Mere Daaman Mein In Ke Siwa Kuch Nahi
Slamati Ki Duayein Subh-O-Shaam Bhejta Hoon

– M. Asghar Mirpuri
 
Status
Not open for further replies.
Top