Update 1
Ye kahani meri jindgi ka wo pal or dard hai jisko na kah sakta hu. Ek baat such hai pyar suchcha hai to wo kabhi kam nahi hota na bhul sakta. Aise hi meri ye kahani ka hero yash or uske pyar drishti ki hai.
yeh kahani hi to hai jo hume apne aap ko logo se apne feelings share karne ka jariya bana sakti hai...
Har insaan ki jindagi ki Kahani hoti hai..kisi ki kahani Khushi se Bharpur hoti hai to kisi ki kahani dukh se Bhari hui...
Par Kahani hoti jaroor hai...Khamoshiyan eak kahani hai mohabbat ki,junoon ki,Tanhai ki,Tadap ki, aur Eak ehsas akelepan ki..Teen saal ho chuke the rajesh ki shaadi hue,,,par in teen salon me rajesh aur parvati ne kya kya dukh nahi jhele...
Rajesh ko noukri na milna..Parwati ki god abhi tak suni thi...Rajesh k maa baap roz dono ko iss
cheez k liye tana diya karte the ...Rajesh ka baap kisan tha aur Rajesh ne ghar k khilaf jaa kar engineering ki thi...
uska baap bhi usko kisan banana chahta tha...
roz ki ladai jhanjhato k chalte Rajesh ne ghar chod diya aur eak kirane ki dukan me noukri karne laga...
aisa nahi tha ki Parvati garbhwati nahi ho sakti thi...
do baar miscourage hua tha uska..bhagwan se wo dono roj in do khwaishon k liye roj mannat mangte the...
kehte hain bhagwan k ghar der hai andher nahi...pehle Parvati Garbhvati hui...aur jab uska aathva mahina aaya to rajesh
ko railway ki noukri ka appointment aaya..na chahte hue bhi usko parvati ko chod kar jana pada...
phir aaya iss kahani ka asli kirdar jisne aa kar Parvati ka naritva pura kiya..."YASH"..
.Parvati ki to khushi ka dhikana nahi tha...
Kafi dukho k baad paya tha usko...Kehte hain jahan gud wahan makhkhi jo maa baap
Rajesh AUR Parvati ko tana dete the wo ab unke gun gate nahi thakte the...
Jindagi Roshan karne aaya tha Yash...Rajesh to kaam me vyasth hota tha par Parvati to yash ko hi apni jindagi maan
kar chal rahi thi...uske nanhe kadmo ne uski jindagi jo puri ki thi...bhuri aankho wala Yash apne nanihal ka bhi ladla tha...
Uska nanihal bhi usi sheher me tha jahan Rajesh ki posting thi...
Yash k nanihal me uske nana-nani aur mama mami the...Uski mami usko apne bete ki tarah manti thi
par uske mama usse thodi duri bana ke rakhte the...
Yash ke mama uski maa se chote the aur Yash ke hone k ek saal pehle
hi unki shaadi hui thi aur unki koi santaan nahi hui thi...
Waqt bitata gaya Yash ab bada ho gaya tha...
Aur uski mami ne eak ladki ko janam diya aur uska naam unhone Drishti rakha...
Hospital me drishti ko dekhkar usne apni maa se pucha ki ye koun hai to uski maa ne bataya ki ye angel hai aur tumhe iska khayal rakhna hai...yash khamosh khada tha par uske Dil me ye baat
ghar kar gayi ki usko Drashti ka khayal rakhna hai...
Aur yahi se suruat hui eak pyaar ki kahani ki... pyar ki khamoshiyan