Update 17
yash aur drasti car me baith gaye...sabhi ne unhe khayal rakhne ko kaha...
wo log gaon ki tarf nikal pade...Yash bus khamoshiyon me apne sare sawalon
k jawab talash raha tha...
-------------------------------------------------------------------------------
continue:-
Gadi apni raftaar par chal rahi thi...jaise jaise sheher piche choot raha tha
gaon ki hariyaali nazar aane lagi...drasti ki nazren raste k kheton khaliyano
ko nihar rahi thi...halki halki bunda bandi me nazare sundar aur manmohak
ho gaye the...Drasti ka man utsah se bharne laga...wo bahut khush ho gayi...
Jindagi me pehli baar gaon dekha tha usne...
Idhar yash saanti se baitha apni soch me vyast tha...uska chehra saant tha
par man to uska bahut saari baton me laga hua tha...aaj jivan me pehli baar
use dil se ghabrahat ho rahi thi...wo bhi drasti k sath...na jane kyon
uska dil ki dhadakne rukne ka naam nahi le raha tha...chor nazron se wo drasti
ko dekhta to aaj uski saans rook jati...lal gulab ki tarah honth, kaan me bali,
nak me choti si nose ring, phoole phoole gal...kya kya dekhe yash man me yahi
kyon aaj tak mai anjaan tha iss feelings se...wo apne soch me duba hua tha...
Tabhi achanak drasti ne apna hath uske hanth par rakh diya...Yash ka pura
sharir kaampne laga...kya ehsas tha uska...ye sparsh bhi ab usko alag
lag raha tha...bahut alag is duniya ke bandhano se alag...
Drasti: kitna sundar nazara hai bhaiya...mujhe sach me bahut achcha lag raha
hai yahan apke sath aake...wo aur bahut sari tarif karne lagi...
Yash chup ho kar use dekh raha tha...drasti ko yash ka chup rehna achcha nahi
laga...
Drasti: kya bhaiya aise to mai bore ho jaungi...sorry maine apko dara diya
tha aaj subah...
Yash: nahi drishu aisi baat nahi hai...tu to mere sath kuch bhi kar sakti hai
hai...
Drasti: Agar aap gussa nahi ho to pls chup mat raho...dekho kitna achcha nazara
hai...
Yash: tu dekh mai to humesha hi ye nazare dekhta hoon...
Drasti: Sach me bhiya aap bahut lucky ho...kash mai apke sath humesha hi yahin
rehti...
yash khamoshi se uski baate sun raha tha...drasti bahut khush thi ye use achcha
lag raha tha...
Yash: tu jab chahe mere sath mere sath yahan aa sakti hai...
Drasti: sach me...thanku so much...
raste gujar rahe the gaon ki mitti ki khushbu badti jaa rahi thi...drasti ki
baaton me yash ko apne khayalon se dur kar diya tha...
wah bus drasti ko niharta ya uske sawalon ka jawab de raha tha...
Drasti: gaon me kya kya hai ghumne k liye...
Yash: kuch khas nahi eak pahad ke upar mandir hai, talab hai aur haan
nadi hai...
drasti: oh ho tab to hum nadi aur talab me naha sakte hain...
Yash: wo koi watar park nahi hai...bahut ganda pani hota hai uska...aur
bahut sare gande ladke bhi hote hain wahan...
Drasti: haan mummy ne mujhe bataya tha...
Yash: kya isliye tumne aaj ye salwar suit pehna hai...
Drasti: nahi ye to maine kisi aur k liye pehna hai...par sayad uska dhyan
hi nahi gaya...
Yash: kiske liye...
Drasti: buddhu apke liye...
Yash ko bahut khushi hui ye sun kar usne drasti se pucha...
Yash: kyon bhai...
Drasti: kyonki yash ji aap ka mood us din bahut kharab ho gaya tha jab maine wo
frok school me pehna tha...maine baad me bahut socha aur mujhe yakin ho gaya
ki aapka mood sach me mere dress k karan hi kharab hua tha...
Yash: par maine to aisa kuch bhi nahi kaha...
Drasti: apki khamoshiyan hi to sab se badi problem hai...par agar aap kisi
ko dil se jante hain to der hi sahi aap uski saari khamoshiyan pad lete hain...
Yash: nahi drishu aisi baat nahi ki tu uss dress me achchi nahi lag rahi thi...
par kisi aur ka tujhe gandi nazron se dekhna mujhe achcha nahi lagta...
Drasti: bus yahi mujhse nahi keh sakte the...khair koi baat nahi...
Yash: tu sach me uss dress me bahut cute lag rahi thi...
Drasti: to thik hai jab aap kahenge mai waise dress pehnungi...
Yash: kyon tu meri patni hai jo mera har kaha manegi...ye usne jaldi me kaha
par use khud hi sharmindagi hone lagi...
Drasti: patni nahi par usse kam bhi nahi hoon...waise bhi jab aap par
mera hukum chalta hai to aapka bhi to mere upar pura adhikar hai...
yash ko drasti ke iss baat se halka mehsus hua...use dar tha ki kahin drasti
na man jae....dono baaten kar rahe the yash ka dhyaan to bus drasti ki
baton me hi tha...akhir me gaon aa gaya...
gaon jyada bada nahi tha par wahan par sarkari power plant khulne se
bahut devlopment ho gayi thi iss liye wahan gaon k sath sath sheher ki
saari sukh suvidhaen thi...
rajesh ne wahan bhi makan ko pakka kara diya
tha makan singal story tha jisme paanch kamre aur kitchen the bich me aangan
tha...bathroom ghar k eak kone me tha...ghar k hi piche unke khet the jo nadi
k tak jate the...
gaon k eak taraf pahad thi jisme devi ka
mandir tha...
gadi ghar k samne ruki to rajiv wahan pehle se hi tha...yash ne gadi se utar kar
rajiv k pair chue aur drasti ko bhi unse milaya...drasti ne bhi rajiv k pair
chue...
Rajiv: aur beta kaise ho...ghar me sab thik hain
Yash: haan uncle sab thik hain...
Rajiv: Aayush padhai me dhyaan deta hai...ki wahan bhi awara gardi karta hai...
Yash: nahi uncle wo padhai me dhyaan deta hai...
Rajiv: tum log jao fresh ho jao mai dophar me khana le aaunga...
yash: nahi uncle uski koi jarurat nahi hai...hum kuch kar lenge...
Rajiv: kaise jarurat nahi hai...aur waise bhi tum jaise aayush k friend ho
waise mai bhi tumhare papa ka friend hoon...
Yash: phir bhi uncle sirf khane ki hi to baat hai...aap pls pareshan na ho hum
manage kar lenge...
Rajiv: chalo thik hai par aaj dopehar kaa khana mai hi launga...
Yash: thik hai uncle...
rajiv itna kehkar nikal gaya...yash ne gadi se saman nikala aur drivar ko
jaane ko bol diya...Drasti aur yash dono ghar k andar chale gaye...
Drasti ko ghar bhi bahut pasand aaya...
Drasti: kitna sundar ghar hai...mai to kabhi yahan se nahi jana chahti...wo sara
ghar dekhne lagi...yash bhi uske saath hi tha...dono ne sara ghar dekha...
phir dono fresh hone chale gae...rajiv ne noukar bhejkar chai bhej diya tha...
jo unhone eak kamre me baithkar piya jisme eak t.v aur sofa tha...phir yash k
phone par aayush ka call aa gaya...un dono ne bahut der tak idhar udhar ki
baaten ki...yash baat karte karte ghar ki chhat k upar chala gaya...
Jab yash niche aaya drasti kamar par apna dupatta bandhe hue jhadu laga rahi thi
Yash: tum jhadu kyon laga rahi ho...
Drasti: shayad dadaji aur dadiji jaldi me nikal gaye the...ghar thoda ganda ho
gaya hai...
Yash: mujhe bula leti mai bhi help kar deta...
Drasti: mere hote hue aap ye sab kaam kyon karoge...
Yash ko uski har baat achchi lag rahi thi...woh bus muskura kar reh gaya...
drasti ne sara ghar saaf kar diya...rajiv dono k liye khana le aaya...
dono ne rajiv k sath lunch kiya...jate hue rajiv ne yash ko apni bike ki chabi
de di...yash ne mana kiya ki iski kya jarurat...par rajiv ne zidd kar use
chabi de di...fir dono ne sath me t.v dekha...shaam me kheton me kaam
karne wale majdoor aaye aur yash ko apne sath kheton par le gaye...
Yash jab kheton se wapas aaya tab thoda andhera ho gaya tha...jab wo ghar k
andar ghusa usne drasti ko awaz lagayi...Drasti kitchen me khana bana rahi thi..
wo kichen k bahar aayi...Yaash use dekhta hi reh gaya...bala ki khubshurat lag
rahi thi wo...Suit to usne change nahi kiya tha...uske baal khule the masumiyat
jawani ki tarange...dupatta kandhe se hokar kamar par bandha hua tha...figur to
uska kamal tha hi...khana banane ki wajah se mathe par thoda paseena aa gaya tha...
Yash: kyon rakhti ho mera itna khayal...
Drasti: aap jab mera khayal rakhte ho to mai kyon nahi...waise abhi to mai
bus khana bana rahi thi...
Yash: achcha khane ka saman tha...
Drasti: haan dadiji sab chod kar gayi thi...
dono ne sath me khaya jab sone ki baari aayi yash aur Drasti alag alag kamro
me jaa kar so gaye...bhale hi dono alag kamre me the par yash ka dil to dusre
kamre me drasti k sath hi tha...aaj subah se jo bhi hua yash unn sab k bare me
sochne laga...
Yash man me:
mere dil me kab se ye baat aayi pata hi nahi chala pyaar to mai drasti se
karta hi tha par aaj uska ehsas hua...kitni pyari hai meri drishu haan meri
drishu meri jaan hai wo bachpan se hi...ab mai usse kabhi alag nahi ho sakta
kitni sundar hai wo...kaise kab our kyon mujhe hua pyaar ye sawal sab bemani
hai mujhe to bus pyaar hua hai apni drishu se...
Sapno ki duniya me khoya yash apne dil me naya pyaar sajae...pura din bhar
yash ko eak minute bhi drasti ka khayal man se nahi nikla...kitana pyaara
hota hai pyaar...
Yash ki khushi ka koi dhikana nahi tha par apne naye pyaar ki khushiyon me
khoya tha...par aane wala waqt kaise hone wala hai ye usne abhi socha hi nahi
tha...Sach kehte hain pyaar me insaan saari duniya bhool jata hai...use na to
aaj ki fikar thi naa aane wale kal ki...uske to band nazron me bhi drasti ka
chehra ghum raha tha...raat ki khamoshiyan aur pyaar k pehle ehsas me yash
ko kab nind aa gayi use pata bhi nahi chala....
Subah yash ki neend pehle khuli usne drasti ko surprise karne ki sochi...
usne fresh hokar dono k liye nasta banaya...phir drasti ko bade pyaar se uthaya
drasti fresh ho kar bahar aayi usne yash k banae naste ko dekhkar surprise
ho gayi...Yash ne naste me poha banaya tha...
Drasti: kya baat hai yashji...aaj to lagta hai suraj dusre taraf se nikla hai...
har roz to apko kisi ko uthana padta hai...
Yash: chal jyada baaten mat kar nasta kha...sun aaj mai tujhe gaon ghumane
lejaunga...
Drasti: kyon apko khet nahi jana mere kisanji...
Yash: nahi mujhe nahi jana...waise bhi wahan kuch kaam nahi hai...dadaji
to baat baat par papa ko ghar bulate rehte hain....
Drasti: aisa nahi kehte akhir wo unke bete hain...unko bhi man lagta hoga
apne bete ko dekhne ka...
Yash: oh ho humari drishu to samajhdar ho gayi...chalo naha lo phir hum ghumne chalte hain...
Drasti: haan thik hai...
drasti nahane chali gayi aur yash t.v dekhne laga...yash ko drasti ki
masumiyat aur samajhdari bhari baaton par bahut pyaar aa raha tha...
thode der me drasti ne yash ko bathroom se awaz lagai...
Drasti: yash bhaiya suno na...
Yash: kya hua drishu...
Drasti: bhaiya mai apne kapde room me bhool gayi hoon bed par rakha hai aap la
do na...
Yash ko ye bada ajib laga...bhale hi wo drashti se bahut pyaar karta tha...
par uska pyaar abhi itna bhi aage nahi badha tha...phir achanak yash
ne socha usne to sirf kapde mange hain...
wo apna sar hilate hue drasti k room me jakar uske kapde drasti ko rakha
aur bathroom ki taraf jane laga...par jaise hi usne drasti ko awaz lagai
drasti ne baithe baithe kundi kholi par darwaza thoda khulne k bajae
pura khulta chala gaya...
yash ko darwaze k defect ka pehle se pata tha...
usne apna mooh turant dusri or kar liya...udhar drasti ne darwaze ko pakadne ki
bahut koshish ki par sharir pe pani hone karan wo uske haanth se slip ho gaya...
usne jaldi se apne hantho se apne sharir ko dhakne ki koshish ki...par jaise hi
uski nazar yash par padi usne chain ki sans li wo apni nazar pehle hi dusri or
kar chuka tha...usne jaldi se uth kar darwaza band kiya...
Drasti: bhaiya kapde...usne darwaza thoda sa khol kar kaha...uska pura sharir
sharam se lal ho gaya tha...
Yash ne apne haanth ko piche kar drasti ki taraf kapde ko kiya...drasti ne
kapde liye aur jaldi se darawaza band kar diya...yash k liye to ye normal si
baat thi usne iss par jyada dhyaan nahi diya...par eak ladki ke liye ye normal
baat nahi thi...drasti uss samay keval apne inner wear me thi...eak ladki
uss situation me ya to apne maa k samne aati hai ya apne pati k samne...
Drasti k man me bahut ghabrahat ho rahi thi iss ghatna se...par jab usko yash ka
piche mud jana yaad aaya to yash k liye uske man me bahut pyaar k sath
uske liye bahut izzat aa gayi thi...uska man yash ki iss harkat se bahut
khush ho gaya tha...sach baat thi yash ki jagah koi aur hota to wo ye mouka
haanth se jane na deta...drasti jaldi se taiyaar hokar bahar nikli...
Bahar yash baithkar t.v dekh raha tha...drasti apne room me jaa kar taiyaar
hone lagi...yash ne jab dekha drasti nahi aa rahi to yash ne uske kamre
me jane ki sochi...wo jab uske kamre me pahuncha drasti bus taiyaar hokar aa hi
rahi thi...dono eak dusre se takra gaye...
Yash: oh sorry drishu mujhe dekh kar chalna chahiye tha...
Drasti: koi baat nahi bhaiya mai hi jaldi me apke room ki taraf aa rahi thi...
Yash: chal chalen bahar...
dono bike par baithkar bahar nikal gaye...yash ne brown t shirt aur black jeans
pehna hua tha...piche drasti green kurti aur white lagis pehni hui thi...
usne yash k kandhe par haanth rakha hua tha...jo bhi unko raste me dekh raha tha unhe boyfriend girlfriend hi samajh raha tha...
hare bhare raston me
thandi thandi hawaen chal rahi thi...barish ka mousam hone ki wajah se
thodi se badli bhi thi...gaon ki mitti ki soundhi soundhi khushbu se sara
vatavaran faila hua tha...yash aur drasti koi bhi baat nahi kar raha tha...
dono apni apni duniya me khoye hue the...yash k liye to ye jivan k sabse
khubsurat palon me eak tha...man hi man uska dil gunguna raha tha...
" pehla nasha pehla khumar
naya pyaar hai
naya imtihaan
kar loon mai kya apna haal
aae dile bekarar
mere dile bekarar
tu hi bata"
drasti ka haanth uske kandhe par tha...wo eak taraf mooh kar ke baithi thi...
yash use side mirror se kabhi kabhi dekh raha tha...drasti k chehre ko dekhkar
uske dil ko thandak milti...
Idhar drasti subah hue vakye ke baare me soch rahi thi...yash bhaiya ne kitni
jaldi apna mooh dusri or kar liya...kitna saaf dil hai unka...mai sach me bahut
khusnasib hoon ki mujhe itna chahne wala koi mila...jo mujhe bus pyaar karna
janta hai na mujhse kuch mangta na mujhse kuch demand karta...kya hota agar
yash bhaiya na hote to...kitni alag hoti meri life...
dono k bich koi baat nahi ho paa rahi thi...thi to khamoshiyan par ye khamoshi
bhi bahut bahut kuch bana rahi thi...sayad eak aatut bandhan ya isska koi aarth hi
nahi tha...kya ye khamoshi yunhi saari jindagi rehne wali thi ye to bhagwan hi
janta tha...
yash ne gadi ab eak pahad k upar chadne lagi...pahadi jyada badi nahi thi...
yash ne gadi uske upar k mandir k samne roki...
pahadi k charo or bade bade ped the...bich me eak piapal pad k niche eak chota
sa devi ka mandir tha...yash our Drasti gadi se utar gaye...pehle dono ne devi
k darshan kiye...yash drasti ka hanth apne hanth me liye hue use mandir me le gaya...dono aaj bahut shaant the...drasti yash k chehre k dekhe jaa rahi thi..
aaj uska man yash se hat hi nahi raha tha...Yash ne drasti ko apni our dekhte
dekha to use ishare se bhagwan ki taraf hath jodne ko kaha...drasti fir bhi
use dekhe jaa rahi thi...yash ne fir chutki baja kar use ishare se kya hua
pucha...drasti ne na me ishara kiya aur hath jod kar bagwan se man me prarthna
karne lagi ki bhagwan use aur yash ko kabhi alag na kare...
yash ne bhagwan se drasti ki khushi mangi...mandir k pandit ne aakar dono ko
aarti dikhai...yash ne pehle khud aarti li fir drasti k sar par haanth phera...
drasti bahut khush ho gayi...yash ne drasti ko 10 ka note aarti me rakhne k
liye diya jise drasti ne aarti ki thal me rakh diya...
phir pandit ne dono ko prashad diya...drasti ne panditji se eak bhagwan me chada
phool manga...aur dono mandir ki pichle side chal pade jahan se pura gaon dikhta
tha...dono eak chattan k upar baith gaye...
Drasti: kitna sundar nazara hai na...drasti ne yash k kandhe par sar rakh kar
kaha...
Yash: haan drishu aaj ka mousam bhi bahut achcha hai...
Drasti: mujhe bahut achcha lag raha hai yahan...bahut sukun mil raha hai...
Yash: haan drishu mujhe bhi bahut achcha lag raha hai...
dono fir se khamoshiyon me ghum ho gaye...par dil me khamoshiyan kahan thi...
aaj eak dil ko bahut sukun mil raha tha apne pyaar k karib hokar...
dusra dil bhi dhadak raha tha...bus der thi to janne ki wo chahta kya hai...
dono wahan kaphi der baithe rahe phir yash ne drasti ko chalne k liye kaha...
drasti ne apna mobile nikala apna chehra yash k chehre k pass lejakar eak
salfie le li jisme piche se pura gaon dikh raha tha...
drasti: ye hume iss jagah ko kabhi bhulne nahi dega...
Yash: bhulna chahta bhi koun hai usne drasti ki aankho me dekhte hue kaha...
drasti: bhaiya jab hum bade ho jaenge to yahan har chuttiyon me aayenge...
Yash: haan drishu hum jarur aaenge...
yash aur drasti kuch der aur wahan ruke fir dono ghar aa gaye...dono ne sath
milkar khana banaya drasti ne yash ko bahut mana kiya...par yash na mana
aur uski madad ki...dono ne khana khaya phir thodi der aram karne k baad
dono ghar k piche nadi ki taraf nikal gaye...
Dono ne eak dusre ka haanth pakda hua tha...dono nadi k paas pahunch kar eak
kinare me baithkar apna paon nadi me dal diya...drasti to chote bachche ki tarah
yash k haanth ko pakad kar uske kandhe par apna sar rakha hua tha...
drasti: bhaiya chalo na ndi k kinare kinare chalte hain...
Yash: chal par hum jyada dur nahi jaenge...raat hone wali hai...
dono nadi k kinare kinare chalne lage drasti kabhi yash ko dekhti to kabhi yash
drasti ko ...dono ki nazre takrane par dono bus smile pass kar deti...
achanak hi unke samne na jane kahan se do ladke aa gaye...
dono aon k bahut hi badmaash ladke the...sharab peena, juan khelna,ladkiyon
ko chedna yahi sab unka kaam tha...gaon ki kai ladkiyon ka sath unhone **
tak kiya tha...par wo ladkiyan garibi aur sharm se kuch nahi keh patin...
unme se eak gaon k mukhiya ka beta tha aur dusra bhatija...eak ka naam
hariya tha aur dusre ka kalu...
Hariya yash se: abe londe chal nikal yahan se...
Yash: kya hua bhai...kya humne koi galti kar di...
Kalu: dekha hariya maine kaha tha na ye lounda chodu hai...
Yash: abe jaban sambhal k baat kar...
itna sunte hi hariya ne use piche se pakad liya aur kalu ne drasti ka haanth
pakad liya...drasti jor jor jor se chillane lagi...par sab bekar tha yash aur
drasti bahut door aa chuke the unhe sunane wala wahan koi nahi tha...
Kalu: are hariya sach me ye to makhkhan hai
Kalu: are hariya ye to sach me malai hai iska haanth jab itna mulayam hai to
iska pura sharir kaisa hoga...
Yash ka khoon khoulne laga...uski aankhe lal ho gayi...usne gusse me kaha...
Yash: abe o kutte agar tune use kuch kiya to smajh lena ki tera akhri din hoga...
Kalu: hariya bahut udd raha hai ye shehri babu...daba de iska tetua...
Hariya: abe rehne de maza to tub aaega jab iski mehbooba ka kaam iske samne
karenge...
Kalu: sahi keh raha hai tu rook isko iski aoukat dikhata hoon...
drasti inn sab se bahut dar chuki thi uski aankhon se aansu lagatar behte jaa
rehe the...kalu ne use apni aur khicha...drasti uske taraf ho gayi usne...fir
kalu ne uske kurti k gale ko pakda aur use khicha...drasti ki kurti kandhe ki
taraf se khichti chali gayi aur phat gayi...jisse drasti ka pura kandha dikhne
laga...uske bra ke straps k sath sath uske breast k cleavage bhi dikhne lage...
Yash se ab bardast nahi hua usne apni puri takat lagai jisse wo hariya ki pakad
se ajad ho gaya...yash ne hariya ki color pakad kar uske muh me jordar punch mara
jisse hariya k muh se khoon aane laga...aur wo jamin par gir gaya...hariya ko
pit te dekh kalu ne drasti ko dhakka diya...aur wo yash k upar toot pada usne
usne yash ko piche se dhakka diya...jisse drasti ki chikh nikal gayi...
yash nadi me girte girte bacha...yash sambhal kar kalu k pass aaya...
aur usne kalu k pet me apne lat se mara jis se kalu bhi zameen par gir gaya...
pata nahi yash k undar koun se tufani takat aa gayi thi...Drasti wahin zameen par padi padi apne hantho se apne kurti ko sambhale ghutne k bal baithi ro rahi thi...
Yash uske pass gaya aur use uthaya...uske aansu poche par jaise wo kuch kehne
ko hua kisi ne uske sar par jor se kisi chiz se war kiya...yash ka sar phat gaya
aur khoon ki dhara behkar uske chehre par aane lagi...drasti ki aankhe puri
badi ho gayi aur mooh pura khul gaya par dar se kuch awaz nahi nikli...
yash ne piche mood kar dekha to hariya eak lakdi ka danda liye khada tha...
yash k aankho k samne andhera chane laga...wo wahin gir gaya...
itne me kalu bhi khada ho gaya...hariya aur kalu dono ne drasti ko pakda
aur use jamin par leta diya...drasti jor jor se chikhi jaa rahi thi...
yash ko awaz laga rahi thi...par yash sar ki jabardast maar se behosh ho gaya tha
Kalu ne drasti ka haanth pakda aur hariya ne uska pair...drasti bahut haanth pair
maar rahi thi...aur yash ko bhi awaz de rahi thi...
Hariya: aise nahi manegi ye randi saali...
Kalu: de saali k pichwade me eak laat sab garmi nikal jaegi...
hariya khada hua aur usne drasti k pait par eak lat mara...drasti maar se
karah uthi wo bahut jor se chillai" yashshsh bhbhiii bachao"
Yash ki aankhe khool gayi usne...uski aankho me khoon tha...usse utha bhi
nahi jaa raha tha...usne puri takat lagai...aur utha...usne paas me
padi lakdi ki daal uthai...aur puri takat se doud kar hariya ko jor se kandhe me
mara phir kalu k mooh par laat se maara...usne drasti ko uthaya...aur side par
baitha diya aur apna shirt nikal kar...uske upar daal diya...
wo phir palta...hariya ko pakad kar usne tabadtod mukko ki barsaat kar di...
jisse hariya sambhal hi nahi paya...kalu bhi bich bich me aaya...par yash pe
to jaise khoon hi sawar tha...wo use maare jaa raha tha...
Yash: saale meri drishu ko marta hai...harami meri jaan hai wo...mere pyaar
par haanth uthaya tune...jab drasti ne ye suna to yash ki taraf dekhne lagi...
aaj mai tujhe jinda nahi chodunga mai...mere pyaar ko mara hai tune...
meri ashiqi ko lalkara hai tune...meri mohabbat ki izzat lutega tu...
yash baar baar yahi bol raha tha...drasti saann ho gayi thi...uske liye
to ye bahut badi baat thi...ki yash usse pyaar karta hai...usne bas pyaar k
baare me suna bus tha...par usse bhi koi mohabbat kar sakta use nahi pata
tha...
yash ne hariya ko maar maar kar adhmara kar diya tha...par wo ruk nahi raha
tha...usi waqt wahan yash k kheton me kaam karne wala eak budha noukar babulal kuch aur
noukaron k sath wahan aa gaya...wo sab drasti ki awaz sun kar wahan doude chale
aaye the...
drasti ki halat aur yash ko hariya ko marta dekh wo sab samajh gaye...
unhone yash ko rokna chaha...par yash rukne ka naam nahi le raha tha...
yash: sale kutte meri mohabbat ko gali deta hai...mere pyaar ko marta hai...
wo bus yahi badbadate hue hariya ko mare jaa raha tha...ab to kalu bhi uske najdik nahi jaa raha tha...
Babulal: chote malik rook jaiye ye maar jaega...usne yash ko jor se pakda...
yash uski pakad me hi behosh ho gaya...uske sar se khoon lagatar bahe jaa raha tha...uske akhiri sabd yahi thi..."mere pyaar ko marta hai kamine meri drishu ko marta hai"