- 158
- 262
- 43
Update 68
Continue
Shaam me Rajesh ghar aaya...yash samne sofe pe hi baitha tha...yash uski taraf
aaya aur uske pair chue...rajesh ne use apne gale se laga liya...
Rajesh: kaise ho yash...
Yash: papa thik hoon...aap thode kamjor ho gae hain...
Rajesh: nahi beta ab budhape ki taraf kadam badh rahe hain to kamjori to aaegi...
Savita: khana peena to hai nahi beta ye to bus bahane banate hain ...
aap dono baitho mai chai bana k lati hoon...
Yash ko aaj eak baat ki khushi ho rahi thi ki savita ne uske papa ka dhyaan achche
se rakh rahi thi...rajesh aur yash jaakar sofe pe baith gaye...yash ka man ho raha
tha ki wo rajesh ko abhi keh de ghar k baree me ar usne socha ki raat me kehna
hi sahi hoga kyonki rajesh abhi abhi kaam se waapas aaya tha...
Rajesh: yash tumahri teaching kaisi chal rahi hai...unn bachcho ko achche se
padhate ho ki nahi...
Yash: bus papa jo bhi mujhe pata hai unhe bata deta hoon...becharo ka iss duniya
me koi nahi hai...
Rajesh: achchi baat hai beta...tum achcha kaam kar rahe ho...usne thandi saans
lete hue kaha...Rashmi kaisi hai...
Yash: achchi hai papa ghar ka bahot achche se dhyaan rakha hai usne...
Savita phir chai lekar aa gayi...teeno ne phir sath me chai peeya...
uske baad Rajesh aur yash saath me t.v dekhte hue baate karne lage rajesh usse gaon ki jankaari le raha tha jiska jawab yash k paas na ke barabar tha...savita kitchen me khana bana rahi thi...
Yash: papa apse eak baat kehni thi...
Rajesh: haan bolo na...
Yash: papa wo wo...use kehte nahi ban raha tha...
Rajesh: daro mat kaho...
Savita bhi khana bana kar unke paas aakar baith gayi...
Savita: kya bate chal rahi hai baap bete me...
Rajesh: are kuch nahi yash koi baat kehne hichak raha hai...
Savita: are yash apne papa se baat karne me kaisi hichak...
yash ne phir himmat karke kaha...
Yash: papa wo nanaji ka jo ghar haai na wo resale ho raha hai...kya hum use le
sakte hain...kya hai na maa ko uss ghar se bada lagav tha...Aur nana ji ki to
wo jindagi thi...
Rajesh thodi der shant raha...Yash ko uski khamoshi khae jaa rahi thi...wo
kaphi nervous ho raha tha ki rajesh haan bolega ya nahi...waise to aaj tak
rajesh ne use kisi bhi chiz k liye mana nahi kiya tha par ghar eak bahot
badi chiz hoti hai...
Rajesh: thik hai beta hum uss ghar ko le lenge...
Yash ne jab ye suna to uski khushi ka dhikanaa nahi raha...par tabhi rajesh ne
phir se kaha...
Rajesh: par beta uss ghar ki kimat kitni hai...
Yash ne jab ye suna to use jawab dete na bana...actually usne iss bare me to
aayush aur ajju se pucha hi nahi tha...yash khamosh rajesh ki or dekhta raha...
Rajesh: beta maine aaj tak tumhe kisi bhi chiz k liye mana nahi kiya...iske liye
bhi mana nahi karunga...par tumse eak baat kehna chahta hoon dekho apne papa ki
baat ka bura mat manana...
Yash lagatar rajesh ki or dekhe ja raha tha...
Rajesh: beta mai janta hoon ki tumhare sath bura hua hai...tumhari maa ki death
ho gayi...phir tumhari best friend jo tumhari jaan thi drishu wo tumse alag ho
gayi...ye kisi bhi k sath hota to wo waisa hi react karta jaise tumne shuruaat
me kiya tha...par koyi bhi inssan tumhari tarah haar maan k nahi baith jata...
yash ko rajesh ki ye baat seedhe dil pe lagi...
Rajesh: beta mai janta hoon ki ye bahot kadvi baat hai par kya tumhare sath jo
hua wo mere sath bhi nahi hua hai...mere maa baap ki death hui...phir jise mai
ane pita ki tarah maanta tha mere sasur iss duniya se chale gae...aur akhir me
tumhari maa ka sath jeevan bhar k liye mujhse choot gaya...kya mai inn sab se
tumse kam pyaar karta tha...
Yash: nahi papa aisa kyon bol rahe ho...
Rajesh: beta jab tumne shuruaat me padhayi chodi to maine kuch naa kaha socha
ki tum abhi chote ho tumhe achanak itna dukh hua dhere se sambhaal jaoge...
par paanch saal betaa tumne apne pure career ko barbaad kar diya...
Tum samay se bilkool pichad gae beta...
savita chup chap unki baate sun rahi thi usne bich me bolna munasib nahi samjha...
yash ka sar ab niche ho gaya tha...
Rajesh: Yash tum mere bete ho...duniya me mujhe aaj tumse pyari koi chiz nahi hai
aisa bilkool apne man me mat lana ki mai tumhe ssuna raha hoon...yahan bus
eak baap apne bete ko samjha raha hai...tum parvati se pyaar karte the par
Tumne mere bare me kabhi nahi socha...haan mai janta hoon ki eak maa apne bachcho se
jyada close hoti hai par eaak baap ka kya yash kya maine tumhe pyaar nahi diya...
Rajesh thoda imotional ho gaya tha uski awaz thodi bhari bhi ho gayi thi...
par usne khud ko sambhal liya...
Rajesh: jindagi bhar kiske liye mai kamata aaya hoon...aaj bhi mujhe kamane ki kya
jarurat apne ghar se itni door aake...par bus mera beta sukhi rahe use kisi bhi
baat ki taklif na ho...par yash tumne mere bare me eak baar bhi nahi socha...
Yash: nahi papa mai apse bhi utna hi pyaar karta hoon jitna maa se karta tha...
Rajesh: nahi beta tumne mujhme aur parvati me bhedbhav kiya hai...paanch saal
se tum uske liye depreesion me par tumhe ye nahi laga ki tumhare papa ko tumhari
jarurat hai...kya saavita se shadi karva kar tum apne bete k farz se mukt ho gae...
meri baat bhi chodo rashmi ko le lo wo bechari tumhare liye din raat pareshan rehti hai par tum uske bare me sochte ho...apne dosto k bare me sochte ho jo din raat tumhare piche lage rehte hain...
Yash to rajesh ki baat sun jaise aaj nennd se jaga ho...usne sach me in sab ki
or dhyaan hi nahi diya kabhi...
Rajesh: tum sirf apne dukh aur unn do logo k bare me sochte ho jo tumhe chod kar
apne apne karano se chale gae aur ab kabhi wapas nahi aane wale...
mai tumhara pita hoon beta...pls eak reqst hai apni jindagi yu barbaad na karo...mujhe sach me bahot dukh hota hai...
Itna kehkar rajesh utha aur ghar k bahar savita ko dahi lane k bahane se nikal gaya.
par aaj usne yash k pure shaksiyat ko khagjhor diya tha...koi aur ye sab kehta to
shayad yash uss or dhyaan bhi na deta...par aaj ye baat uske pita ne usse kahi thi
yash bhi wahan se nikal gaya...rajesh to kuch hi der me wapas aa gaya...
Rajesh: savita maine kya yash ko jyada keh diya...
Savita ne uske kandhe par haant rakh kar use kaha...
Savita: bilkool nahi humare yash k liye ye bahot jaruri tha...dekhna ab wo khud
apne aap aage badhne ki koshish karega...
Rajesh aur Savita ka rista pati patni se jyada dard, sath aur dosti ka ho gaya tha
dono eak dusre ka sahara ban chuke the...
Raat jyada nahi hui aath k aas paas hue the...Chandigarh k sector 21 market me abhi
kaphi bedh badh thi...yash eak cofee shop me jaa kar baith gaya...humesha ki tarah
aaj wo ro bilkool nahi raha tha...balki aate jate logo ko dekh wo soch me chintan
kar raha tha...
Yash man me:
sach me mai bada hi swarthi hoon...papa ne sach hi kaha maine sirf apne dukh ko
dekha...sabhi mujhse kitna pyaar karte hain...Duniya me kis insaan ko dukh nahi
hoga...har logo k paas apne dukh hai...
sabhi ne apne pariwar me kisi na kisi
ko khoya hai par koi meri tarah haar maan kar nahi baitha...meri wajah se
papa kitna pareshan hai...rashmi k lagav par bhi maine kabhi dhyaan nahi
diya...ab mai inhe kabhi dukh nahi pahunchunga...
Aayush, ajju, shipra sab ne mera kitna dhyaan rakha...sach me to mai ab unke
dosti k kabil bhi nahi raha...sab ko kitna dukh pahuchaya hai maine...
Tabhi wo achnak se wahan utha...usi samay waiter wahan aaya aur bola...
sir apki cofee...yash ne use bill k paise diye aur wahan se bina cofee
peeye hi nikal kar ghar par aa gaya...
Rajesh aur Savita sofe par baithe uska hi intzaar kar rahe the...yash ko dekhkar
savita apni jagah se uthi...
Savita: aao yash mai khana nikalti hoon...
Yash: maa eak minute ruko na...papa apne sach kaha ki maine aap sab ko bahot
taklif di hai...mai pichle dino ko wapas to nahi la sakta par apse eak vaada
karta hoon ki aaj k baad aap logo ko kabhi bhi shikayat ka mauka nahi dunga...
Rajesh apni jagah se khada hua aur usne jaakar yash ko apne gale se laga liya
Rajesh: haan beta mujhe tujhpar pura visvas hai...
Yash uske gale kage hue hi...
Yash: papa mai janta hoon ki mai bahot pichad gaya hoon par mai puri koshish
karunga ki jinadagi me kuch kar sakun bus apna ashirwad banae rakhna...
Rajesh: nahi yash jindagi me kabhi bhi deri nahhi hoti...insaan jab jagta hai
tab uske liye subah hoti hai...mera ashirwad to humesha tere sath hai...
Dono bhavuk ho rahe the tabhi savita yash k kandhe par haant rakh kar boli
Savita: Ashirwad to mera bhi tumhare sath hai...par pls aap dono abhi mere
upar kripa karo aur khana khane baith jao...usne majak karte hue kaha...
Yash aur rajesh dono iss baat par hauns pade...aur phir teeno ne eak sath baith
kar khana khaya...khana khane k baad teeno sath baith kar cofee pee rahe the
tabhi rajesh ne kaha...
Rajesh: yash tum jo bhi karna soch samajh kar karna...aur ghar ki chinta mat
karo mujhe aayush ne pehle hi bata diya tha uske baare me...
Yash ko ye sun kar hairani to hui par usne aage kuch nahi pucha kyonki
uske dost ne jo bhi kiya tha uske liye hi kiya tha...
Yash: papa kya kimat hai uski...
Rajesh: beta 80 lack haai par wo jitna important hai humare liye usse jyada
koi kimat nahi ho sakti...
Yash: phir bhi papa hum itni badi rakam kahan se laenge...Aage abhi rashmi ki
shadi bhi to karvani hai...
Rajesh: haan beta yeh sochkar mai bhi chintit tha par savita ne uska hal bhi
nikal liya...hum apne sheher k ghar ko bech rahe hain usse hume 45 lakh tak
mil jaenge...jo savita ka apartment tha uski keemat bhi 25 k aas paas hai...
Baki k 10 lakh mai apne savings se dunga...
Yash: par papa savita maa ne wo ghar badi mushkilo se liya tha...
Savita: beta ab mera jo bhi hai wo tumhara hi to hai...tumhari khushi k samne
wo ghar kuch bhi nahi...waise bhi ghar insaano se banta hai...naki insaan
ghar se...aur tumhare nanaji ka ghar to rahega hi hum sab k liye...
Yash ne jab ye suna to wo savita ki or dekhta reh gaya uski eak maa ki ichcha ko
bachane k liye uski dusri maa apne sare jeevan ki punji laga rahi thi...
Yash: par papa phir bhi rashmi ki shadi k liye...
Rajesh: betaa sab ho jaega...mere paas uske liye bhi sab sadhan hai...abhi bhi
mai loan le sakta hoon 47 ka hi to hua hoon...abhi itna bhi budh nahi hua...
Rajesh ki iss baat par teeno husne lage...
Rajesh: maine aayush ko keh diya hai dono ghar ko sale karne k liye...eak to
ghar tumhare naam par hai aur savita kal tumhe power of aterny banwa kar de degi...
Yash ne savita ki or dekha aur phir usse kaha...
Yash: savita maa thank u so much..aap sach me maa ki tarah hi ho...wo bhi meri
khushi k liye kuch bhi kar deti thi...
Savita ki aankhe iss baat par khushi se nam ho gayi...usne muskurate hue
yash sirf pagal keh diya...
Aaj sach me kitne dino k baad khushi ka mahoul aaya tha...yash aaj bahot
din baad dil se khush hua tha...uski pareshani aaj uske liye bahot choti
reh gayi thi...use to bus ab apne chahne walo ko kisi bhi tarah khush
rakhne ka man ho raha tha...
Yash: papa kal mai chala jaunga pls mera reservation karwa dena...
Savita: par yash aaj to aae ho beta..kuch din aur rook jao...
Yash: nahi maa meri behen ghar par akeli hai...aur waise bhi jindagi k bikhre
panno ko sametne me ab mai deri nahi karna chahta...
Rajesh aur Savita yash k mooh se aisi bat sun kar khush ho gae...
Rajesh: jane do savita...ab mujhe yakin hai ki ye mera yash ban k mujhe wapas
se dikhega...
teeno bade hi khush the...raat me yash hall me soya...rajesh ne bus eak
bedroom wala apartment liya tha...shuru me usne 2bhk liya tha paar koi na
aata dekh usne phir 1bhk apartment kiraye me le liya...
Sote samay yash ne phir apne purse ko khola aur usme rakhi photo ko dekhne
laga...par aaj jyada udas nahi tha...drasti ki tasvir dekh uske dil me eak
tees jaarur uthi par usne uspe dhyaan na diya...dono tasviro ko chum kar
usne tasvir ko good night wish kiya aur sone ki koshish karne laga...
Dusre din savita ne yash ko power of aterny banwa k de di rajesh pura din yash
k sath hi raha usne yash ka reservation tatkal se raat wali train me karwa diya...
teeno din me market bhi gae...rajesh aur savita ne wahan yash aur rashmi dono
k liye kapde liye...phir Raat me yash ko dono chodne station gaye...
Jab yash train me baithne jaa raha tha to rajesh aur savita dono ki aankho me
aansu the jinhe dekh yash bhi bhavuk ho gaya...par usne dono ko shaant kiya
aur jaldi gaon aane ko kaha...
Train chuti to yash darwaze par khada rajesh aur savita ko dekha...dono eak sath
khade the...yash ko uss amay aisa laga jaise parvati uske man me aakar
bahot khush ho aaj...yash ko savita puri parvati ki tarah lag rahi thi
rajesh k sath...shayad rajesh k liye usne khud ko pura parvati k roop me
dhaal liya tha...yash ne unko hath hila kar bye kaha unhone bhi yash waise
jawab diya...