• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mere pyar ki khamoshinya

Yash

Member
158
262
43
Update 57
Continue:

Yash k dukh ki inteha iss chiz se pata chal jaa rahi thi ki
wo rote hue wahin par let gaya...aakho se nikalte aansu
behkar wahin jamin par gir rahe the...kya aansu itne fizul
ho jate hain ki unki niyati jamin par girne ki ho jati hai...

yash kaphi der tak purse me rakhi tasvir ko dekhta raha...jab
aansu ka nikalna band hua to wo baith gaya...kuch der me thodi
rashni ho gayi...yash thandi aah lete hue wahan se utha aur
niche aa gaya...wo seedhe apne room me gaya...

Rashmi gehri neend me so rahi thi...yash ne paas jakar uske sar
par haanth phera...phir usne almari se apna eak jacket
nikala...aur use pehen kar wo ghar se bahar aakar bike me
bahar nikal gaya...


Thand me itnay subah gavn me abhi bhi sannata tha...charo or
kohra chaya tha...ganv ki haryali me subah kaphi hasin lag rahi
thi...usme jamin aur ped poudho par padi onsh ki bunde...
charo or thandi hawa chal rahi thi...
yash k liye bus yahi samay apni pareshaniyo se thoda aaram deta...

Wo chahe kuch bhi ho subah aise nikle bina nahi reh pata...
yahi waqt hota jo uske dil ko thoda sa aaram phunchata...
yash bike ko pahadi k upar le gaya...eak or bike khadi
karne k baad yash pahadi k uss chor me chala gaya jahan
usne jindagi k sabse hasin pal bitae the...

kuch der usne uss jagah ko dekha phir aankhe band kar usne
apne haanth ko phailaya aur kuch der waise hi khada raha...
aisa kar wo najane kis chiz ko mehsoos kar raha tha ye wo
hi jane par ye uski humseha ki adt thi...

yash phir wahan se pahadi ki dusri or chala gaya jahan par
bahot sare ped the wo wahan pedo k bich gumne laga...
black jacket jisme cap attech thi yash use pehne kaphi der
tak unhi jhadiyon me ghumta raha aur phir unke andar
me hi eak paththar k upar baith gaya aur cigrete peene laga...




Awarapan banjarapan
Ek hala hai seene mein
Har dum har pal
baichaini hai
kaun bhala hai seene mein


Is dharti par
jis pal sooraj
roj savere ugta hai
Apne liye toh thik ussi pal
roj dhala hai
seene mein
Awarapan banjarapan
Ek hala hai seene mein


Janne yeh kaisi aag lagi hai
usmein dhua naa chingari
ho na ho
is baar kahi toh khwab jala hai
seene mein
Awarapan banjarapan
Ek hala hai seene mein


jis raste pe
tapta sooraj
saari raat nahi dhalta
ishq ki aisi
raahgoojar ko
hamne choona hai seene mein
Awarapan banjarapan
Ek hala hai seene mein


kaha kisi ke
liye hai mumkin
sabse liye
ek sa hona
thoda sa dil
mera bura hai
thoda bura hai
seene mein
Awarapan banjarapan
Ek hala hai seene mein

najane kitne samay tak yash wahan baitha raha...
idhar subah saat baje rashmi ki neend khuli usne khud
ko yash k bed par paya uske upar eak kambal tha...
wo samajh gayi ki yash ne use sidha letaya hoga...

Rashmi phir uthkkar yash ko ghar me dhundhne lagi...
jab yash use ghar par na dikha to rashmi saamajh
gayi ki yash kahan gaya hoga...use yash ki abhi jyada
chinta nahi hui...kyonki wo janti thi ki yash subah
gaon me hi ghumne jata hai...

Rashmi fresh hone chli gayi...wahan se aakar wo taiyaar
hui phir wo ghar ka kaam karne lagi...tabhi uske phone
par shipra ka call aaya...use dekh rashmi ka gussa satve
asmaan par chala gaya...usne phone receive kiya...

Rashmi: kya hua ab kyon call kiya...kal pareshan karke tumhe
chain nahi aaya kya...

Shipra: rashmi tum aisa kyon keh rahi ho...chalo mai maafi
mangti hoon...ab ye batao yash wahan pahuncha ki nahi...

Rashmi: haan aa gae ab ho gaya tumhara kaam...ab mai phone
rakhu mujhe ghar ka kaam karna hai...

Shipra: itna rudely kyon baat kar rahi ho rashmi...mujhe to bus
yash ki chinta thi...

Rashmi: jhut mat bolo...agar tumhe itni hi chinta thi to kal
jab yash sheher aaye the to tumne unhe akela kyon choda...

Shipra: rashmi kya tumhe nahi pata ki yash ko cantrol karna
kitna mushkil hai...mai uske sath kal pub tak sath me gayi...
phir use apne yahan k room me bhi lane wali thi...par sirf do
minute k liye mai washroom gayi aur wo wahan se nikal gaya...

Rashmi ka gussa thoda shant hua...

Rashmi: chalo koi baat nahi...aage se dhyaan rakhna ki aisi
galti na ho...chalo mai abhi rakhti hoon mujhe ghar ka kaam
karna hai...

Shipra: rashmi eak minute...mujhe yash ko inn sab se bahar nikalne
ka eak idea aaya hai...isliye mai aaj tum logo se milne gaon aa
rahi hoon...

Rashmi: kaisa solution...

Shipra: wo mai tumhe aakar batungi...thik hai...aayush aur ajju ko bhi
tum wahan bula lena...

Rashmi: haan thik hai...kitne time aaogi tum...

Shipra: do baje ke aas paas...us samay yash wo anath ashram jata hai na...

Rashmi: haan...thik hai mai aayush aur ajju ko bula lungi...

Shipra ka phone rakhne k baad rashmi ka dhyaan baar baar usi k upar
jaa raha tha ki wo kya solution batane wali hai jisse yash ko
iss situation se nikala jaa sakta hai...usne bhagwaan k samne
haanth jode aur prarthna ki shipra ka idea sach me kaam aa jae...

nou baje k karib yash ghar aaya...rashmi uss waqt sofe me baithkar
sabjiyan kaat rahi thi...yash usse najre nahi mila paa raha tha...
wo sidha apne room ki or jane laga tabhi rashmi ne use awaz di...
yash ne use moodkar dekha rashmi ne use apne paas akar baithne
ko kaha...yash uski baat taalta nahi tha...

wo chup chap rashmi k bagal wale sofe par aakar baith gaya...

Rashmi: raat ki apki utar gayi ki nahi...

Yash: rashmi pls mujhe maaf kar de...

Rashmi: are isme maafi wali kya baat hai...mai to iss liye puch
rahi thi ki agar utar gayi ho to apke peene k liye aur mangwa
deti hoon...

Yash ko uska aisa kehna bilkool achcha nahi laga...uski aankho
me aansu aa gae...

Yash: rashmi pls mujhe tu sharminda mat kiya kar...mai khud
thodi na aisa karna chahta hoon...par kya karun ye dil hi
itna dukhta hai na ki mai khud ko rok nahi pata...

yash ki aankho se aansu nikalne lage...rashmi ko ye dekhar khud
hi achcha nahi laga...wo yash k paas aayi aur usne yash k aansu
apne haanto se saaf kiye...

Rashmi: are mai to majak kar rahi thi...pls ro mat...

Yash: kya karun rashmi mera dil humesha unhi sab baton me chala jata
hai... mai chahkar bhi sab baten bhul nahi paa raha...wo lagatar
roye jaa raha tha...

Rashmi: aapko jo beet chuka hai uski parawah hai...par mai jo apna
sab kuch chod apke paas aayi hoon...apko meri bilkool bhi fikar
nahi hai...kyaa aap mere liye apni jindagi nahi jee sakte...

Yash: ab bahot der ho gayi hai rashmi...mai chahkar bhi wapas nahi
lout sakta...iss jindagi me maine bahot kuch kho diya hai jo ab
kabhi wapas nahi aa sakta...

Rashmi: jo chiz wapas nahi aa sakti uske baare me aap soch hi kyon
rahe ho...pls yash mere liye na sahi papa mummy k liye to apni jindagi
jeeyo...kitna pareshan hai wo apke liye...mai unse apki har harkat
chupane ki koshish karti hoon par wo eak baap hain unhe sab pata
chal hi jata hai...

Yash suki ye baat sun kar khamosh ho gaya...par usne kuch kaha nahi
rashmi ne jab ye dekha to usne ab baat aage badhana munasib nahi samjha
kyonki har baar jab wo aisa kuch kehti to yash ghar se chala jata...

Rashmi: chalo chodo inn sab baaton ko aap jao fresh ho jao mai apke liye
nasta banati hoon...phir apko anath ashram bhi to jana hai bachcho ko
padhane k liye...

Yash chup chap utha aur wahan se apne room chala gaya...thodi der
wo taiyaar hokar bahar aaya...taiyaar kya na wo ab pehle jaise kapde
pehenta tha nahi ab uske chehre me wo chamak thi...par insaan ki
sadgi uske sath humesha rehti hai chahe jo bhi ho wo yash me bhi
aaj tak maujud thi...

Rashmi ne use nasta diya aur khud uskke sath baithkar nasta karne lagi...
uske baad yash sofe me baithkar t.v dekhne laga...rashmi nbhi wahin
uske paas baith gayi...

Yash: rashmi tu meri khatir apni jindagi mat barbaad kar...

Rashmi: kyon aap aisa kyon keh rahe ho...

Yash: aaj tu job pe nahi gayi...

Rashmi: are aaj plant band hai usme kuch tachnical
foult aa gaya hai iss liye aaj office ki bhi chutti d hai unhone...

Yash: phir bhi tujhe bahar se kitne job k offer aa rahe hain...
tu mere liye yahan mat reh...

Rashmi: kyon mujhse picha chudana chahte ho...

Yash: aisi baat nahi hai...mere karan tu apne carrier se kyon compromise kar rahi hai...

Rashmi: aap rehne do...aap kuch bhi kaho mai ab apko chod kar nahi jane
wali...mai chali jaungi to apka khayal koun rakhega...aur pls ab aap
phir se mat shuru ho jana...mai chahe jo bhi kahun apka mera rista
dard se juda hua hai...

Yash rashmi ki or dekhta raha...uska dil rashmi ki masumiyat ko dekh
pighal gaya aur uske aankh me phir nami aa gayi...

yash k liye ab ye aam baat ho chuki thi uski aankhe choti choti baaton
se nam ho jati thi...usne rashmi ko ye jahir nahi hone diya aur chup chap
t.v dekhne laga...usne roshni se to apne aansu ko chupa liya par apne dil
se na chupa saka...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 58
Continue:

dopehar me yash jab ghar se bahar gaya to rashmi ne shipra ko call lagaya..
usne bataya ki wo gaon aa gayi hai aur aayush use lekar ghar aa raha hai...

thodi der me sabhi ghar par aa chuke the...

Aayush: shipra ab to batao kya baat hai jisse hum yash ko depression se ubar
sakte hain...

Shipra: aayush tum eak baat batao yash ko ab bhi koun si chiz se bahot
lagav hai...

Aayush: mujhse aur rashmi se...

Shipra ne apna sar pakad liya...

Aayush: kya hua...

Shipra: mai janti hoon ki Yash ko tum dono se lagav hai par tum dono
kya uske sath sakti se pesh aa sakte ho...tum dono ko maine kaha
tha ki yash se doorie bana lo tum dono ye kar paye...

Rashmi: mai unhe nahi chod sakti...kyon ki shipra isse ulta bhi ho
sakta hai ki wo aur depresion me chale jaen ye to tumne bhi kaha tha...

Shipra: haan to tum dono ko chod de to use kis chiz se lagav hai...
jise wo chod nahi paa raha...

Ajju: sharab...

sabhi ne uski or ghur kar dekha...

Ajju: maine to sahi kaha hai...

Shipra: haan par wo use apna gam bhulane k liye pita hai...par agar hum
use kuch kaam de de jisse usko aim mil jae to uska dhyaan sharab me
nahi jaega aur wo apne aap jindaagi me aage badhega...

Aayush: mai samjha nahi...

Shipra: mai batati hoon...jab bhi yash shaher me jata hai to tum dono
ko wo kahan milta hai...

Ajju: are haan wo ghar drasti ka...are haan bhai use uss ghar se
bada lagav hai...uss ghar k karan eak baar kitna panga ho gaya tha
jab yash raat me uss ghar me nashe ki halat me ghus gaya tha...

Aayush: haanpar wo ghar to uske mama ne kab ka kisi aur ko bech diya
hai...

Shipra: mai yahi to batane aayi hoon...wo ghar ka jo naya malik hai
wo use resale kar raha hai...

Rashmi: par isme yash ki depression ka solution kahan hai...

Shipra: solution isi me hai...agar hum yash ko uss ghar ko kharidne
k liye motivate karen to use jo aim chahiye life me wo use apne aap
mil jaega...

Aayush: haan yaar par yash ghar kharidne k liye paise to rajesh uncle se
maang lega aur wo use mana nahi karenge...

Shipra: karenge hum kahenge unse yash k liye aur sath me unhe yash ko
jindagi ki asli tasvir dikhane k liye bhi kahenge...ki pyaar hi jindagi
nahi hoti uske jane k baad bhii aap apno k liye jeete ho...hum chahe
lakh yash ko samjhae par uncle anty use jo kahenge uska yash par alag asar
padega...

Aayush: sach kahun shipra mujhe tumhari baat eak sahi lag rahi hai...
uss ghar ko kharidne k liye yash kuch bhi karega...use apne nana k
uss ghar se bada lagav hai...

Ajju: haan maine bhi yash ki aankho me ghar k liye lagav dekha hai...

Shipra: to thik hai aaj tum yash se baat kar lo maine yash ki kal ki
chandigarh ki reservation karva di hai...

(Rajesh ne ab railway ki noukri chod di thi aur eak private company
join kar li thi...)

Rashmi: aap sab ko visvas to hai na ki baat ban jaegi...kahin baat
aur na bigad jae...

Ajju: bhabhi baat bigadne k liye ab bacha hii kya hai aisa chalta
raha to hum yash ko humesha k liye bhi kho sakte hain...

rashmi ajju ki baat par khamosh ho gayi...sabhi ko shipra ki baat sahi
lagi...

Shipra: achcha aayush ab ye tum dono k upar hai ki tum yash ko ghar
lene k liye kaise convince karte ho...maine apni company se char
din ki chutti le li hai taki rashmi ko akela na rehnaa pade...

Rashmi: thank u shipra...

shipra: koi baat nahi bus yash thik ho jae...hum sab ki khushi usi me
hai...

Aayush ne yash ko phone lagaya ki wo abhi kahan hai aur raat ko sath me
bar chalne k liye kaha yash ne pehle to sath chalne k liye mana kiya
par baad me aayush ka dosti ka vasta dene par wo maan gaya...

Shaam me yash pehle ghar gaya...wahan shipra rashmi k sath sofe pe baithi
thi...shipra ko dekh yash ko thoda ajeeb laga...phir use kal raat ki baat
yaad aayi...

Shipra: rashmi kisi ko bina batae chodkar chale jana kitni gandi baat
hoti hai na...kisi ko sirf apni hi chinta hai...hum thodi na kisi
k liye maine rakhte hain...

Yash: shipra sorry wo...use samajh me nahi aaya ki wo shipra ko kya
excuse de...

Shipra: chalo koi baat nahi wo to mere office ki char din ki chutti
thi isliye yahan ghumne aa gayi...

Yash: achcha kiya...wo itna keh kar apne room chala gaya...

Uske jane k baad shipra use jata dekhti rahi...

Shipra man me:
kitna change ho gae yash tum pehle kisi ko hurt
karne k bare me sochte nahi the ab apni harkato
se hurt kar dete ho aur tumhe pata bhi nahi chalta...

Rashmi ne jab ye dekha ki shipra kisi soch me dubi hui hai to usne
uske haant par apne haant rakhe aur ishare se use soch ka karan pucha
shipra ne bhi bus apna sar na me hila diya...

thodi der me yash bahar nikal gaya aur gaon k auter me bane bar pe
jake baith gaya...thodi der me wahan aayush aur ajju bhi aa gaye...
yash ne unn dono ko gale lagaya aur kal raat k liye maafi mangi...

aayush: ab adat ho gayi hai yaar tu chod na chal kuch mangate hain...

uske baad aayush ne bear ka order kar diya...waiter ne teeno ko glasses
me bear serve kiya...teeno ne apni apni glass uthayi aur jaise hi
unhone eak sip le hogi ajju glass rakh kar bol pada...

Ajju: aayush yaar wo khurana ji bol rahe the na ki unhe sheher me eak
ghar chahiye...

Aayush: haan to kya hua...

Yash unki baaton par khaas dhyaan nahi de raha tha...wo humesha ki
tarah khamosh apna bear pee raha tha...

Ajju: bhai eak ghar mila hai yaar...

Aayush: haan to kal chal kar unhe dikha denge...waise wo ghar kahan
par hai...

Ajju: are wo hi ghar to hai jahan eak baar yash ka lafda hua tha aur jiske
samne se humne kal use uthaya tha...

Yash ne jab ye suna to usne aayush ki or dekha...aayush bhi usi ki
or dekh raha tha par jab se uski najar mili to usne turant ajju
ki or dekh kar kaha...

Aayush: sale uss manhus ghar ka naam mat le...aur koi jarurat nahi hai
use kisi ko dikhane ki...use pata tha ki yash ko ye bura jarur lagega...

Yash: bhai aisa mat bol yaar...wo ghar mere liye mandir se kam nahi hai...
ajju pls yaar wo ghar mujhe hi lena hai mai pehle bhi uske owner se
baat kar chuka tha par usne mana kar diya...

Ajju: haan bhai wo pehle ghar sale karna nahi chahta tha par teri wajah
se wo ghar bech raha hai...

Aayush: ab to sala uss ghar ko aur nahi lenge...yash koi jarurat nahi
hai uss ghar ko lene ki...

Yash: nahi bhai pls bhai mai uss ghar ko jarur lunga...usne gidgidate
hue kaha...

Aayush: bhai thik hai par humare paas itne paise kahan hai...

Yash: bhai mai papa se mang lunga...par wo ghar jarur lunga...

Ajju: bhai wo jaldi hi uss ghar ko bech dega...

Yash: bhai mai papa se baat kar leta hoon tum log yahin ruko...

yash uthkar bahar jane laga tabhi Aayush ne uska haanth pakad kar use roka...

Aayush: bhai ruk yaar tu pagal kya hai phone par uncle se tu agar ye kahega
to wo bhadak jaenge...tu eak kaam kar kal hi chandigarh nikal jaa...

Yash: haan yaar phone par itne paiso ki baat karna thik nahi hoga...
mai kal jaa kar reservation karwa leta hoon...

Ajju: bhai tera reservation pehle hi ho chuka hai ye le ticket...
mai tera dost hoon yaar jab mujhe pata chala ki wo ghar sell
ho raha hai to maine ye reservation turant karva liya...

Aayush uski iss baat par use ghur kar dekhne laga ki reservation karane
ka credit wo le raha hai...ajju ne usse najre chura li...

Yash: thankss bhai mai kal hi nikal jaunga...shipra bhi aayi hui hai...
wo rashmi k sath reh jaegi...

Ajju: shipra aayi hai...achcha

Yash: bhai mai ab nikalta hoon ghar jaakar jane ki taiyaari karni hogi
aur rashmi ko bhi jane k bare me batana hai...

Aayush: haan bhai tu abhi nikal hum tujhe kal station chod denge...
par bhai bear...

Yash: bhai ye tum log peelo...mai abhi chalta hoon...

Wo wahan se nikal gaya...aayush aur ajju ne eak dusre ko muskura k dekha
ye aaj bahot din baad hua tha ki yash daru chod kar gaya ho...
usko aasha ki kiran dikhayi dene lagi...

aayush: sale tu pura credit khud le raha tha...

Ajju: sorry bhai maine to bus jaldi jaldi me ye keh diya...
chal bhai aaj to jyada pine ko milegi yash bhi pana chod kar
chala gaya...

dono khushi khushi plan successful hone par peene lage...

Yash ne ghar jaa kar rashmi aur shipra ko chandigarh jane ki baat batayi
wo dono bhi plan k successful hone paar khush ho gae...yash apne room
me jakar bag jama liya...rashmi ne uski madad ki...

Raat me teeno ne mil kar khana khaya phir sone chale gae...aaj rashmi
shipra k sath soyi...yash sari raat ghar k baare me sochta raha use
neend bahot let me aayi...

neend let me aane se yash ki neend subah der se khuli...rashmi ne
hi use aakar jagaya...phir yash fresh hone chala gaya...
rashmi ne uske liye safar k liye khana pack kiya...

Aur yash k liye nasta lagaya...yash pehle excitement me kha nahi raha
tha par jab rashmi ne use jabardasti apne haanth se khilane lagi
tab jakar usne nasta kiya...

Thodi der me wahan aayush aur ajju car lekar aa gae...yash unke sath
baithkar sheher nikal gaya...aaj yash pehle se achcha lag raha tha...
aayush aur ajju ne use sheher pahunch kar station par chod diya...

wo dono usko train tak chodna chahte the par yash ne unhe bahar se hi jane
ko keh diya...no ne car se utar kar yash ko gale lagaya aur wapas ganv
ki or nikal gae...

Par unke jane k baad yash jab station k andar pahuncha to uske paon
station pahunchte hi tham se gae...use purane din yaad aane lage...
akhir uski barbadi ki shuruaat yahin se to hui thi...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 59
Continue

5 Years Ago ( Panch Saal Pehle )

Yash aur Drishu station me khade sabhi gharwalo ka intzaar kar rahe the...
Drishu ganv se wapas aane k baad thodi dukhi thi...aaj use apne ghar jo jana
tha...yash k sath jab se wo ganv se wapas aayi thi usse alag hone ka uska
man nahi ho raha tha...station me bhi wo uska haant chod hi nahi rahi thi...

Yash: kya baat hai drishu tu udas lag rahi hai...

Drasti: nahi wo bus aaj mujhe ghar jana hoga na...

Yash: to usme kya baat hai...hum koun sa dusre jagah jaa rahe hain...

Drasti: aap nahi samjhoge yash...

Drasti k chehre par koi bhi emotions nahi the...

Yash: kya baat hai drishu...

Drasti: hum inn dino me itne karib aa gaye hain ki ab sach kahun to apse eak
pal ki bhi doorie bardaast nahi hoti...

Yash ko bhi uski baat sach lagi par wo kuch kehta uske pehle hi train k
aane ki siran gunj uthi...dono apne jagah se khade ho gae...drasti ne yash
ka haanth jor se pakad liya...

Jab train samne aayi to yash ki najar samne gate par khadi rajesh par padi
yash ne use hans kar dekha par jawab me rajesh ne use dekhkar koi utsah nahi
dikhaya...yash ko uss baat se hairani hui...

Khair train rooki yash aur drasti dono haant pakde hue hi train k paas pahunche
par jaise hi rajesh utra usne yash ko train k undar jane ko kaha...Yash ne socha
ki saaman utarne k liye jana hoga...

Par jaise hi wo undar pahuncha dekh kar dang reh gaya parvati, puspa, Preeti
aur neha ki
aankhe nam thi...Aur jairaj abhi bhi bearth me leta tha..asal me jairaaj ki
tabiyat raat me hi bigad gayi thi aur wo hosh me nahi tha...

Rajesh, yash aur ashwini ne jairaaj ko train se utara...uske baad rajesh aur
ashwini use lekar car me use lekar hospital chale gae...yash sabhi ko auto me
hospital gaya...drasti bhi achanak hue iss ghatna se sadme me aa gayi thi...

hospital me docters ne jairaaj k test kiye...aur uska treatment start kiya...
thode der me docters ne bataya ki jairaaj ka heart attack aaya hai...
sabhi chintit ho gae...par unke haant me aansu bahane k alawa kuch nahi tha...

Khair raat me ashwini aur yash hospital me ruke...baki sab ghar wale rajesh
k ghar me chale gae...rajesh rukna chahta tha par achanak use office se call
aa gaya ki use turant do din k liye aut of town jana hoga...Raat jaise taise kati...

Subah ashwini aur yash icu k bahar baithe the tabhi docter ne unhe bataya ki
jairaaj ki tabiyat aur bigad rahi hai...aur uska heart bahot kamjor pad
usko ilaj k liye mumbai k hospital le jana hoga..jahan uske heart ki surjary karni
hogi aur usme pacemaker lagwana hoga...

phir ashwini ne docter ko side me lejakar kuch baat ki phir usne yash ko wahin rukne
ko kaha aur wo wahan se rajesh k ghar pe aa gaya...Puspa aur preeti apne ghar jaa
chuke the drasti aur neha bhi unke sath chale gae the...rajesh bhi apne kaam se
bahar jaa chuka tha...

Parvati ne rajesh ko dekha to usne jairaj k tabiyat k baare me pucha...
wo khud hospital jane k liye hi nikal rahi thi...
Par Ashwani shant raha jab parvati ne usse phir pucha to wo apne
sar par haant rakh kar rone laga...

Parvati ne apne bhai ko rote dekha to usne kandhe par haant rakhte hue uske
rone ka karan pucha...jab ashwini ne sab bataya ki use jairaj ko mumbai
le jana hoga par uske paas to abhi hospital me dene layak paise nahi hai...
parvati ne usse kaha ki wo uski fikar na kare...usne ashwini se kharch
pucha to wo khud dang reh gayi...

ashwini ne use kaha ki jairaj theek ho jaega to ghar bech kar sare paise
wapas kar dega...parvati ne use kaha ki wo eak baar rajesh se baat kar
le par ashwini ne use kaha ki isse use sharmindagi hogi...

Parvati ko rajesh se bina puche paisa dena thik to nahi laga par
jairaj k baare me sochkar usne bank jaakar ashwini ko paise nikalwa
k de diya...

Dusre din ashwini apne eak dost k sath mumbai k liye nikal gaya...
ghar par sare log jairaj k theek hoone ki prarthna karne lage...
har pal uske liye sadiyon ki tarah bitne laga...parvati aur yash bhi ab
drasti k ghar par hi aa gaye the...

Sabhi ki aankho nennd aur chain sab gayab ho gae the...yash aur drasti
inn sab chizon se sadme me aa gaye the...wo logo ka sara samay abhi
ghar walon ka dhyaan rakhne me hi laga raha...unki nazre agar eak
dusre se milti bhi to wo dono bus eak dusre ko muskura kar dekh lete...

jairaaj ki chinta ushe bhi ghar walon ki tarah hi thi...do din baad rajesh bhi
apne kaam se wapas aa gaya...par wo aaya tha to uske chehre par eak tension saaf
jhalak rahi thi...sabhi ne socha ki kaam ka stress hoga...par ye stress
kisi aur chiz ka tha...asal me ashwini ne usko jairaj ki death ki khabar
pehle se hi bata di thi...aur wo uski body lekar wahan se wapas aa raha tha...

Dusre din ka jab ashwini wapas aaya to sare ghar par mataam cha gaya...
par jairaj apni jindagi jee kar gaya tha...bhale hi use ashwini se
sukh na mila ho par rajesh ne uski seva eak bete ki tarah hi ki thi...

samay kisi k jane k baad nahi rukta...din betate gae sabhi apne apne
kamo me vyast hone lage...puspa ka ab jyadatar samay puja path me
bitta...jairaj k pansion k paise ab bhi puspa k naam par aate the
to paise ki taklif nahi thi...

Do mahine beet chuke the jairaj ko gae hue sabhi log apne aap me wapas aa gae the
yash aur drishu ki padhayi unhe inn sab se nikalne me madad kar rahi thi...
waise bhi abhi unke upar sabhi k pyaar ka saya tha...bus kabhi kabhi
yaad aane se unki aankhe nam ho jati...unka pyaar bhi unke gum ka sahara tha...
yash ne apne aap ko drasti k liye majboot kar liya tha aur uska pehle ki
tarah hi dhyaan rakhta tha...

Parvati bhi apne maa k paas jaldi jaldi jane lagi thi taki uska dukh kuch
kam ho sake...par sabse alag baat ye thi ki ab ashwini kuch badla badla
lag raha tha...jairaaj k khatam hone ka uspe koi asar nahi dikh raha tha...
wo ab ghar pe bahot kam hi rehta...din me to wo pehle bhi ghar par kam
rehta tha...par ab wo raat me bhi kaibaar ghar se bahar rehta...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 60
Continue:

Pareshaniya bata k nahi aati...eak din rajesh ghar par jaldi wapas aa gaya...
yash uss waqt ghar par nahi tha...parvati ne use jaldi aane ka karan pucha
to rajesh ne use muskurate hue dekha aur apne paas bulaya...parvati uske
paas jakar baith gayi aur rajesh ko sawaliya nazaro se dekhne lagi...

Rajesh: parvati actual me maine aaj job se resign kar diya hai...

Parvati uske iss baat se ghabra gayi...wo kuch kehti usse pehle hi
rajesh ne use roka...

Rajesh: ghabrane ki koi baat nahi hai balki ye to khushi ki baat hai...mujhe
eak chandigarh based construction company se mujhe offer mila hai jise mai
mana nahi kar sakta...

Parvati: par yahan par bhi to apki job achchi chal rahi thi...

Rajesh: actual me meri mere boss se pat nahi rahi hai kuch din se actual me
jab babuji ki khabr mujhe mili thi to mai kaam chod kar wapas aa gaya tha...

Parvati: to phir hume ye ghar bhi chodna hoga...

Rajesh: nahi maine hr department se baat karli hai 6 mahino k liye...
par haan mai aur tum to chandigarh jaenge par yash yahin rahega
to hume ab wo ghar jald se jald le lena chahiye...mujhe do din
baad mere office se kuch paise milenge...aur jo paise tumhare account
me hain use milakar pure paise ho jaenge...

parvati uski baat sun kar ghabra si gayi...

Parvati: ghar ki kya jarurat hai yash preeti log k sath reh jaega...

Rajesh: nahi parvati...risto me doorie honi badi jaruri hai nahi to wo
bojh lagne lagte hain...yash k liye hum ghar lekar hi jaenge...

Parvati rajesh ki iss baat par chup ho gayi par uske andar ka dar
bahot badh gaya...Yash ko jab ye baat pata chali to usne iss chiz ko
lightly liya...par drasti kko iss baat se bada dukh pahuncha ki
parvati ab usse door ho jaegi...

par rajesh ne use samjhaya ki wo
log usse door nahi ho rahe aur yash to yahin rahega...
Drasti ne jab ye suna to uska man thoda shant hua...

Dhere dhere samay betata gaya...drasti k exam ho chuke the...
par ab eak ajeeb si chiz jo pehle kabhi nahi hui thi wo ghar
me honii chalu ho gayi thi...wo thi Rajesh ki parvati se ladayi...

har samay parvati aur rajesh k bich behas hoti hi rehti...jo rajesh
kabhi bhi parvati se pyaar k bina baat bhi nahi karta tha wo ab usse
sidhe mooh baat nahi karta tha...

Shuruaat me to yash ko iss baat ka pata na chala...par dhere dhere
ghar k mahoul me parivartan se use pata chal gaya ki kuch gadbad hai...
ab parvati pehle ki tarah hasmukh nahi rehti thi...rajesh bhi kisi
se jyada baat nahi karta tha...yash ko ab ghar katne ko doudta tha...

Isi bich eak din parvati ki tabiyat achanak kharab ho gayi...
use yash hoospital le gaya...par uss din test karvane k baad
docter ne use ghar bhej diya...par dhere dhere parvati ka chehra
murjhane laga....

eak din to had hi ho gayi yash college se waapas aaya aur jab ghar
k andar dakhil hua to usi waqt rajesh ne apna haant parvati ko
marne k liye uthaya tha...yash doudte hue apne kamre me chala
gaya...shaam me usne bari bari parvati aur rajesh dono se ladayi ka
karan pucha to dono ne use inn sab se door rehne ko kaha...

Drasti k exam aur jairaj ki wajah se yash ne kisi ko bhi ye baaat nahi
batayi thi bus wo aayush ko hi sab share kar raha tha...drasti k
exam jaise hi khatam hue to yash ne use ghar k mahoul k bare me bataya...
drasti ne usse kaha ki wo ghar par rehne aaegi saayad uske samne wo log
na lade...yash ko bhi ye thik laga...

Yash ne socha ki sayad uski maa drasti ko sab sachchayi bata de...
Par drasti k ghar par aa jane se bhi koi changes nahi aaya...
even rajesh aur parvati ne to drasti ko bhi ignore saa kar diya...

parvati bhi usse kam hi baat karti thi...drasti ne bhi usse
tension ka karan pucha to usne bhi sirf itna kaha ki wo iss baat
ki tension na le ye sab to pati patni k bich chalta rehta hai...

Drasti aur yash dono hi iss baat par bahot tense feel kar rahe the...
pichle kuch din unke pyaar par bhari pad rahe the phir bhi jab yash college se
wapas aata to drishu uske tension ko apne pyaar se kam karne ki bharpur koshish karti...uske khane se lekar uske sone tak wo uske paas hoti...

inn dino bhale hi unka physical contect na k barabar ho gae the...par
ab wo emotinaly aur mantally aur karib aa gae the...unke bich ab ladyi
to door ki baat hai dono eak dusre ki aankho se ab baat karne lage the...

yash kabhi kabhi parvati aur rajesh k ladne aur behas ki awaze sun kar rone lagta to drasti use apne gale se laga leti aur use samjhati ki wo inn sab chizo ko mind mat kare sab pehle jaisa ho jaega...wo uske aansu pochti uske galon ko chumti ar use chod kar na jati...

Yash uske samjhane par chup to ho jata Par usko ye samajh me nahi
aa raha tha ki jo maa usse itna pyaar pyaar karti hai jo uske bina
reh nahi pati hai wo usse kyon ye sab ka karan chupa rahi hai...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 61
Continue:


May ka akhri time aa gaya tha...Garmi apne ufan par thi raste me dopehar
k samay sannata tha...Rajesh ko uske purane office me kisi kaam se bulaya
gaya tha...yash k papers hali me khatam hue the...aur drasti ki chuttiyan
chal rahi thi isliye wo abhi bhi yash k ghar par hi thi...

Parvati apne kamre me so rahi thi...pareshaniyon ki wajah se yash aur
drasti jo itne din me close nahi hue the...Wo dono yash k room me eak
dusre se lipte hue apne pyaar ko mehsoos kar rahe the...

Par tabhi unke niche se parvati ki awaz sunayi di...wo yash ko pukar
rahi thi...uski awaz me eak dard tha...yash aur drasti hadbadate hue
alag hue ... parvati ki awaz sun dono alag hue phir doudte hue niche
aa gae...parvati hall me behosh padi thi...

Yash aur drasti dono iss baat se daar gae...dono jaldi se parvati k paas
gae aur usko utha kar sofe pe leta diya...ddrasti paani lene kitchen me
gayi aur wapas aakar uspe paani chidka par koi faeda nahi hua...

Yash ne phir rajesh ko call kiya...rajesh ne jab ye suna ki parvati behosh
ho gayi hai to usne parvati ko turant hospital le jane k liye kaha...

yash ne parvati ko apne god me uthaya aur use car me hospital le gae...
rajesh bhi unke pahunchne k thode der baad hi wahan aa gaya...

Sabhi kaphi tence ho gae the...yash k to hosh hi ud gae the...
use kuch samajh me nahi aa raha tha...

Thodi der baad docter bahar aaya aur rajesh ko lekar wo cabin me chala gaya...
Cabin se nikalne k baad rajesh ne eak baar yash ki or dekha uske aankho
se aansu nikal rahe the par usne unhe khud saaf kiya aur muskurate
hue yash ki or chala gaya...

Rajesh: beta darne ki koi baat nahi hai bus thodi kamjori hai parvati ko
sab thik ho jaega...

Par yash iss baat se bhadak gaya...

Yash: kya thik hoga papa aap har roj mummy se ladte ho...kya unki tabiyat
nahi bigdegi...mai apko keh deta hoon ki maa ko agar kuch hua to mai
apko kabhi maaf nahi karunga...

uski awaz bahot tez thi isliye paas me khadi drasti ne uske kandhe par haanth
rakha aur use ishare se chup rehne ko kaha...yash wahan se uthkar bahar chala
gaya...

Rajesh: beta kya tumhe bhi aisa lagta hai ki tumhari bua ki halat meri wajah
se hai...

Drasti: nahi fufaji aap aisa kuch kar hi nahi sakte ki bua ko usse dukh pahunche
mai janti hoon ki aap bua se kisi bade chiz k liye naraj ho...

Rajesh iss baat par toot gaya aur usne drasti ko apne gale se laga liya...

Rajesh: thanks beta mujhe samajhne k liye...uski aankho me aansu the...

shaam me parvati ko hosh aaya to use hospital se chutti mil gayi...
par ghar pahunchne k baad uski tabiyat din ba din bigadne lagi...
puspa aur preeti use dekhne k liye aae par na yash ne unhe ghar
k halat k bare me bataya na drasti ne...

Parvati ab bed se jyada uth bhi nahi pati thi...ab kya kahen kayi baar to
bathroom tak wo bed par hi kar deti...jise drasti hi saaf karti thi...

Drasti ne parvati k tabiyat kharab hone k baad ghar ka sara kaam sambhal
liya...Subah ki chai se lekar raat k khane tak wo sab kaam karti thi...
rajesh bhi ab usse achche se pesh aata tha...par yash ko rajesh se ab tak
narajgi thi...

Eak Raat yash aur drasti upar k room me baithe the...
Yash parvati k liye pareshan tha aur drasti use samjha rahi thi...

Drasti ne pehle hi khana bana kar kichen me rakh diya tha...
ab har roj rajesh hi parvati ko apne haanth se khana khilata tha...
Tabhi rajesh bhuje hue udas man se yash k room me aaya aur usne
drasti se kaha...

Rajesh: beta tumhari bua khana nahi kha rahi hai...pls jao na tum hi log
use khila do...

Rajesh ne drasti ko isliye kaha tha ki yash usse ab bhi naraj tha...
uski awaz me eak dard tha jise yash aur drasti dono mehsus kar sakte the...
rajesh aage bina kuch kahe hi niche chala gaya...

Yash aur drasti ne eak dusre ki or eak baar dekha phir dono niche
aa gaye...parvati apne bed par leti hui thi...khana side table par tha...

Yash: kya maa aap khana kyonn nahi kha rahe ho...

Parvati: beta ab bahot thak gayi hoon aur bhuk bhi nahi lag rahi...

Drasti: bua aap aisa karoge to jaldi thik kaise hoge...

Parvati ne eak tak drasti ko dekha...phir yash aur drasti ko apne
paas bulaya...aur phir dono ke haanth ko pakda aur sath me rakh diya...

Parvati: drishu mujhse vaada kar ki tu yash ka khayal jindagi bhar rakhegi...

Drasti aur yash uski achanak kahi iss baat par hairaan ho gae...

Yash: maa aap aisa kyon keh rahi ho...

Drasti: haan bua...

Parvati: tu to humesha apni bua se kuch na kuch mangti rehti hai aaj
bua ne kuch manga to haan bua keh rahi hai...

Drasti: bua aap mujhse kuch bhi maang sakti ho...mai yash ka khayal
jindagi bhar rakhungi...

Drasti k mooh se achanak hi yash nikal gaya jisse wo dar gayi...
usne turant kaha..

Drasti: yash bhaiya ka...

Parvati: koi baat nahi meri bachchi...waise bhi samajh me yash tujhse bhi chota hai...

Yash: kya maa aap bhi na...chalo ab khana khalo...

Parvati: nahi beta mujhe bhuk nahi hai...

Yash: maa apko pata hai na aaj kal apke khaye bina ghar me koi bhi nahi khata...
pls maa khalo na apne yash k khatir...uski aankho me aansu the...

Parvati chup chap yash k haanth se khana khane lagi...

Tabhi drasti jo unki or dekh rahi thi aur uske bhi aankho me aansu the
use na jane kya sujha wo gane lagi...

Drasti:
Tu kitni achhi hai,
tu kitni bholi hai
Pyaari pyaari hai,
o maa o maa....
O maa, o maa.....

Parvati ne uski or majak se marne ka ishhara kiya to usne apne kaan pakad liye...
aur phir yash k mathe ko usne chum kar use "mera Raja beta"...

parvati, yash, drasti aur bahar khade rajesh jo unki sari baat sun raha tha
sabke aankho me aansu the...

Parvati k khane k baad sab sone k liye chale gae...rajesh abhi bhi
tv dekh raha tha ar uska dhyaan t.v ki or nahi tha...wo chup chap andar
aaya...parvati neend me so rahi thi...usne jaa kar parvati k sar par haanth phera
aur usse dhere se kaha...

Rajesh: i love u parvati...tum chinta mat karo mai kal ganv jaa k jamin
bech aaunga...sirf tumhare liye...phir wo so gaya...

Subah rajesh uthkar ghar se ganv k liye nikal gaya nikalne se pehle usne
parvati k sar ko chuma...

Drasti uss waqt uth chuki thi...
yash k uthne se pehle usne sara nasta taiyaar kar liya...yash jab niche aaya
to drasti ne use nasta khilaya...tab tak nou baj chuke the...

yash ne idhar udhar dekha to use ghar me khamoshi najar aayi jaise ghar me koi
nahi hai...usne drasti se kaha...

Yash: drishu ghar me itni khamoshiyan kyon hai...

Drasti: are wo papa gaon gaye hain aur maa soyi hai...

Yash ne nasta chodkar kaha...

Yash: mai maa ko utha leta hoon...saath me nasta karenge...

Drasti: haan jao utha do bua ko bhi...

Yash parvati k kamre me gaya...aur usne parvati ko awaz di...
par parvati ne koi responce na diya...

Yash: maa utho na...chalo sath me nasta karte hain...

Phir bhi parvati ne koi jawab nahi diya...Yash ko ye bada ajeeb laga wo
parvati k paas gaya aur usne parvati k sar par haanth rakha to use wh
bada thanda mehsus hua...usne phir parvati ko awaz di...

Yash: maa...usne roni awaz me parvati ko hilate hue kaha...

Paravti phir bhi na hili..tab yash ne use jor se hilate hue awaz di...
drasti uski awaz sun kar bhagti hui room k andar aayi...

Yash: dekho na drishu maa bol nahi rahi hai...

Drasti bhi ab bahot dar gayi...usne bhi parvati ko akar awaz lagayi...
jab unke bahot uthane par jab parvati nahi uthi to dono dar k rone lage...

Drasti: yash mai fufaji ko call karke wapas bulati hoon...hum bua ko lekar
hospital le jate hain...usne rote hue yash se kaha...

Yash doudte hue pehle auto lene gaya kyonki car rajesh le gaya tha phir
wapas ghar me aakear usne parvati ko bed se uthaya aur use auto me le gaya...
aaj yash ko parvati ka sharir pehle se bhari lag raha tha...

rajesh bhi abhi jyada aage nahi gaya...drasti ka phone aane par wo wapas
lout aaya...

Hospital jane k baad jab docter ne parvati ko check kiya...phir jo usne
yash aur drasti ko kaha usse un dono ki duniya hi palat gayi...

Doster: She is no more...sorry...

Sara mahoul khamoshiyon me kho gaya...rajesh bhi tab tak wahan pahunch chuka tha...
jab docter ne yash aur drasti ko parvati k na hone ki khabar batayi thi to
wo wahin par khada tha...

Chahe wo hospital tha par teeno apne aap ko rok na paae...teeno jor jor se
rone lage...rajesh wahin ghutne k bal geer gaya...aur drasti yash k kandhe
par apna sar rakh kar rone lagi...yash to pagal hi ho gaya...

Yash ko to visvas hi nahi ho raha tha ki parvati iss duniya me nahi hai...
wo docter k kehne par bhi parvati ko uthane ki koshish karne laga...

Yash: utho na maa...pls maa...docter pls...maa uth na maa...maa dekh mai
dekh na mujhe dar lag raha hai pls maa...maa uth na maaaaaa...maaaa.maaa
maaaaa...uth naaaa maa pls maa pls maaaa plsss maaaa...maaa uth na maaa
mujhe dar lag rah hai maaaa pls maa dekkh na kitni der ho gayi hai....
maaaaaa....plsssss maaaaaa....docter pls aap phir se maa ko check karo na
maaaaa....plsssssmaaaaa....drishu maaa ko utha na drishu pls drishu plsss...

wo lagatar roye jaa raha tha...aur paglo ki tarah hadbadate parvati ko hilate
ye hi sab baar baar badbadate jaa raha tha...

Parvati jo yash ki eak aah par kaamp uthti thi aaj khamoshiyon me lipti
uske samne leti hui thi...use aaj yash ka rona bhi sunayi nahi de raha tha...

Rajesh bhi wahin hospital k farsh pe ghutno k bal sar ko pakad kar roye jaa
raha tha...drasti yash k baahn ko pakad kar wahin jamin par baithti chali gayi...

Yash ka rona jari raha...ab wo rone k alawa kar bhi kya sakta tha...
uski pyaari maa jo usse door chali gayi thi...

Maa bachon ki jaan hoti hai
Voh hote hai kismat waale jinke maa hoti hai
Kitni sundar hai, kitni sheetal hai
Nyaari nyaari hai
o maa o maa...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 62
Continue

Shaam tak parvati ka antim sanskar ho gaya...sabhi log wahan maoujud the...
Aur sabhi ki aankho se aansu beh rahe the...yash ne badhawasi me hi agni
diya...Use samajh me nahi aaya tha ki akhir ye hua kya hai...

Gaon se rajiv bhi parivar saamet aaya tha...Ashwini ka bhi pura pariwar
waahin par tha...Drasti bhi sadme me thi...wo yash ko dekhkar lagatar
roye jaa rahi thi...uski masoom aankhe aaj aansu se bhig chuki thi...

Drasti aur Yash ka rona dekhkar achche ro padte...akhir parvati ki umar
hi kya thi...use to abhi apne bete ka sukh lena tha...par niyati ko
koi nahi taal sakta tha...

Jairaj k dukh se abhi ghar ubra bhi nahi tha ki ye achanak se eak dukh
ka pahad unke upar aa gaya...Sabhi rone k alawa kuch bhi nahi kar
sakte the...rajiv rajesh ko pakde hue use sahara to de raha tha...
par rajesh k dil ko sahara dene wali aaj usse door ho gayi thi...

Docter ne uske khatam hone ka karan kidney damage bataya...aur usne ye
bhi kaha tha ki parvati ko ye pehle se hi malum tha par usne khud sabse
ye baat chupane k liye docter ko kaha tha...

Koi nahi samajh paa raha tha ki ye achanak se kya ho gaya...
ghar pahunchne k baad yash ko aayush ne sofe pe le jaa kar baithaya...
rajesh bhi uske bagal me hi baitha tha...usne yash ko eak
baar dekha aur use jor se pakad k rone laga...

Par yash eak murti ki tarah use koi response nahi de raa tha...wo wahan se
utha aur sidha apne kamre me chala gaya...

Rashmi aur rashmi ki maa bhi wahin khade the...sabhi mehmano ne
ab rajiv se jane ki baat kahi...rajiv unhe chodne bahar tak gaya...
Rajiv aur uska parivar bhi kuch der me wahan se chala gaya...

(Rashmi ki maa ka naam savita hai...apko maine bataya tha ki uske papa ki
death ho chuki hai...bus story ko achcha banane k liye maine uski maa ka jikr
jyada nahi kiya tha)

Raat me preeti ne sab k liye khana banaya...par aaj khana koun khata
pura khana waise ka waisa hi pada raha...ashwini ko chod aaj pura parivar
wahin tha...drasti, puspa, preeti aur neha guest room me soye the...

Rajesh apne kamre me aur Yash k sath aaj aayush ruka tha...sabhi apne apne
bed par lete to the par aaj neend kisko aane wali thi....Bus yash ko
eak gehri neend ne aaghosh me le liya tha...

Rajesh apne kamre me lete parvati ki tasveer ko dekhte hue ro raha tha...

Rajesh: tum mujhe akela chod kar chali gayi na...tumne mujhe bataya bhi nahi
ki kya baat hai...mai aaj gaon jamin ko bechne hi jaa raha tha...tum paise nahi
dena chahti thi ghar k liye wo to thik hai par apna ilaj to karwa sakti
thi...pls parvati wapas aa jao maine to ab tumse jhagda karna bhi band kar diya
tha...sorry parvati pls parvati wapas aajao...

Darasal parvati aur rajesh ki ladayi ka karan wo ghar tha jo rajesh sheher me le
raha tha...Rajesh ne parvati k account me 20 lakh dale the jise parvati
use nahi de rahi thi...Rajesh ne apne office se mile 10 lakh ko to ghar k
liye deposit kar diya tha jo non refundable tha...Rajesh inhi sab karan se
bahot dhukhi aur frustated ho gaya tha...

Parvati ne uske sath kabhi aisa nahi kiya tha had to tub ho gayi thi jab
parvati ne rajesh ko ganv ki jamin bechne k liye keh diya...jo rajesh k
dil k bade karib tha...isi baat ko lekar hi rajesh ka haanth parvati k
upar uthte uthte reh gaya tha...

Jab Parvati ki tabiyat kharab hui to use uske samne paise bade chote lagne lage
akhir wo parvati se pyaar bhi to bahot karta tha...par use kya pata tha ki
uski iss eak baat se parvati usse itni door chali jaegi...

Rajesh uski tasvir ko dekhte dekhte rota raha...Use parvati k sath bitae har
eak pal yaad aa rahe the...unhone jindagi me sare palon me eak dusre ka sath
kabhi nahi choda tha...shuruaat me garibi bhi aayi par parvati ne uff tak
na ki...rajesh ko uski hasin, uski har baat yaad aa rahi thi...
use parvati ko apne seene se lagane ka man ho raha tha par ab wo use
yaad karne k alawa aur kuch bhi nhi sakta tha...

Dil k dard ki intah itni hui...
Aansu bhi aaj paani ban gae...
jindagi ab eak bojh lagne lagi...
aaj tum humse rooth kar chale gae...

Ek Aah Bharee Hogi
Humne Na Sunee Hogi
Jaate Jaate Tumne
Aawaz To Di Hogi
Har Waqt Yehi Hai Gham
Us Waqt Kahan The Hum
Kahan Tum Chale Gaye
Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye
Jahan Tum Chale Gaye



Rajesh ne rote hue sari raat gujar di...

Parvati ki tehrvi tak sab unke sath me hi rahe...Rajiv bhi bich bich me aata
raha...Par aayush ne yash ko eak minute k liye bhi nahi choda...

Rajesh ko apne aap me nahi tha isliye kriya karam me jo bhi kharach ho raha tha
use rajiv ne pura kiya...tehravi k baad ghar par ab sirf ghar par yash aur
Rajesh bach gae...drasti ko entrence exam dilane rashmi k sath jana pada...
wo jana to nahi chahti thi par jab aayush ne use bataya ki drasti aisa
kar rahi hai to yash ne hi use jane ko kaha...

Ghar k maohul me ab eak dum khamoshi thi...Yash aur Rajesh k bich parvati k
jane k baad se koi baat nahi hui thi...Rajesh subah uth gaya aur use achanak
itne din se ho rahe kharche aur ghar k bache baki paise dene ka ehsas
hua wo ghar se bank ki or nikal gaya jahan parvati ka account tha...

Par wahan jaa kar use pata chala ki uske account me eak bhi paise nahi hai...
Rajesh ko iss baat se jhatka na laga...use pehle se hi ehsas tha ki uske
account me paise nahi hai...usne turant rajiv ko call kiya...

Rajiv ne jab uski baat suni to wo ghar k bhi baki bache paise dene ko
raji ho gaya...Rajesh ne jab use kaha ki wo ganv ki jamin ka souda
hote hi use paise wapas kar dega to wo gussa ho gaya ki rajesh use
ab paraya samajhne laga hai...

Rajesh wahan se ghar chala gaya...Ghar par wo khana bahar se lekar gaya tha
usne yash ko niche se hi awaz dekar bata diya ki wo khana kha le...par yash ne
use koi jawab nahi diya...Rajesh bhi ab samajh chuka tha ki yash use hi parvati
ki mout ka karan samajh raha hai...pura din yash upar hi tha ya to wo kabhi rone
lag jata ya sirf parvati ki tasvir ko niharte rehta...

char ghante baad rajiv ghar pahunch gaya Rajesh ne yash ko uska identity card
lane k liye kaha kyon ki wo ghar usi k naam me kharidne wala tha...

Yash ne jab rajesh ki awaz suni to usne gusse me apne side table ko khola
usne identity card usi me rakha tha...usne identity card nikala hi tha ki
uski najar eak kagaj par padi...par jaise hi wo use uthane wala tha
rajesh ne use phir se awaz de di...

Yash phir turant niche gaya aur usne pehle rajiv k pair chue aur phir identity
card usko de diya...

Rajiv: bet kal tumko humare sath chalna hoga...

Yash: kahan uncle...

Rajiv: kal eak ghar ki ragistry tumhare naam se karvani hai...

Yash rajiv k samne kuch bhi nahi kehna chahta tha usne bus thik hai kaha
aur upar aa gaya...

Rajiv aur rajesh ghar k paise dene k liye nikal gae...
yash ko ab rajesh ka uske naam par ghar lena dhakosla
lag raha tha...wo uske upar kaphi gussa tha...par
phir se uska dhyaan uss paper ki or gaya jo side table me rakha hua tha...

use aisa laga jaise use wo paper apni
or bula raha hai...Yash ne jakar uss panne ko khalo...
uske aandar eak letter tha uske naam par jo parvati ne likha tha...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 64
Continue

Mera pyara lalla,

Mai sabdo me kabhi bhi tujhe nahi bata paungi ki mai tujhse
kitna pyaar karti hoon. tu mere aankho ka tara hai.
Maaf karna beta mai tujhe chod kar jaa rahi hoon. haan
mujhe pata hai ki aaj tu jab ye chidhdhi pad raha hoga to
tujhe meri badi yaad aa rahi hogi. man to mera bhi nahi
ho raha tujhe chod kar jane ka par ab mera samay iss duniya
me pura ho chuka hai.

Mai tujhse bite kuch din k liye mafi mangti hoon mere lal
ki maine tere upar dhyaan nahi diya. par mai kya karun
mai apne aap me nahi thi. Kai baar insaan se wo ho jata
hai jiski saja pure pariwar ko bhugatni padti hai.
Meri eak galti ne meri puri duniya hi barbaad kar di.

Mai janti hoon ki mere jane k baad tu apne papa ko hi
inn sab chizo ka kasurvar manega . Par wo apni jagah
par humesa sahi the balki sahi se bhi jyada the...
mai ye chidhdhi tujhe batane k liye likh rhai hoon
ki aisaa kya hua tha jisse humara swarg jaisa ghar bikhar
gaya .

Inn sab ka karan bus eak andha visvas tha. Eak behen ka
apne bhai k liye . baat jyada din purani nahi hai.
tere mama ne tere nana k ilaj k liye mujhse bees lakh
mange the. ab tu to janta hi hai ki teri maa ko duniya
dari ki kitni samajh hai . mujhe to telephone aur cell phone
ka bhi antar bhi tune bataya tha.

Baap k prem aur bhai k upar visvas ne mujhe paise tere mama
ko dene pe majboor kar diya . ab tu hi bata kya eak beti apne
baap ko marte hue dekh sakti thi . phir bhi wo paise mere
pati k mehnat ki kamayi thi . maine jab ashwani se kaha ki
mai eak baar tere papa se puch leti hoon to usne ye kehkar
mana kar diya ki wo tere nana k thik hone par pure paise
wapas kar dega chahe jo bhi ho .

Mujhse yahin par galti ho gayi beta . ashwani ne tere nana
k upar wo paise na lagakar khud rakh liye . mujhe ye baat
baad me mumbai k hospital se pata chali . darasal jab maine
baad me ashwani se paise k bare me baat ki to usne saaf mana
kar diya ki wo itni badi rakam kahan se laega . Babuji k
jane k baad uske tewar bhi badal gae the...

Aswani unn paiso se eak dusre sheher me business khol liya
ye baat usne hi mujhe paiso k bare me puchne par batayi .
Sath me ye bhi saaf keh diya ki chahe jo bhi ho jae ab wo
paise wapas nahi karega...

Lalla wo bhale hi mujhse pyaar nahi karta par mujhe apne
chote bhai se bahot pyaar tha . sawal bus uska hota to
mai na sochti aur tere papa ko bata deti . par yahan
sawal uske sath do pariwaro ka tha . ab tu hi bata
beta kya tu drishu k bina reh pata, kya tujhe preeti
k lad pyaar k bina chain aata .

Isliye maine sara bojh apne kandhe par le liya aur chup
rahi . isi bich tumhare papa ne moukri se resign kar diya
aur unhone tumhare liye eak ghar lene ki sochi .
taki tum bina kisi fikar k yahan reh kar padh sako .
unhone jab mujhe bataya to mai bahot dar gayi par kuch keh na payi .

mai bahot tension me aa gayi tabhi mujhe achanak eak din
sharirk taklif mehsus hui maine hospital jaa kaar check
karaya to pata chala ki mere kidney me kharabi aa gayi .
maine janbujh k ye baat tumhare papa aur tumse chupayi
kyon ki tumhare papa mere paas rakhe paise se hi mera ilaj
karwate . isliye maine khud ko khamoshiyon k daldal me
daal diya...

Office se mile paise ko tumhare papa ne ghar k malik ko
bayana de diya . aur yahin se wo bechare pareshan hone
lage . maine apne rakhe paise dene se unhe mana kar diya .
bechare tumhare papa ko kuch samajh me nahi aa raha tha
ki mai aisa kyon behave kar rahi hoon . bus isi baat
me meri unki ladayi hoti .

Wo mujhse paise se jyada mere badle behavior k liye .
pareshan the . tum dekh lena jab unhe mere account me
eaak bhi paise nahi milenge tab bhi wo kisi ko ye
baat nahi bataenge...

Beta tumhare papa se jyada mujhse duniya me kisi ne bhi
pyaar nahi kiya . ab mai jate jate unke bete aur unke bich
dooriyan bana k kaise jaa sakti thi isliye maine tumhe
ye baat likhi . pls beta apne papa ko bura mat samajhna
wo to sirf humari khushi k liye jeete hain...

Bus beta apne man me kisi bhi k liye mail mat rakhna .
Ashwani ne jo bhi kiya majboori me kiya . mujhe ab
pata chala ki insaan paise k liye kitna majboor ho
jata hai ki risto k maine hi badal jate hain .
Use maine maaf kar diya hai aur mai janti hoon ki
drasti aur preeti k liye tum bhi usko maaf kar doge .

Dil to nahi kar raha hai beta par ab sharir ki taklif
bahot bad gayi hai . Mujhe pata chal gaya hai ki aaj ka din
shayad meri jindagi ka akhri din hai . apna khayal rakhna
mere lal . Mujhe bada afsos hai ki jis bete ko pane
k liye mai itna tadpi thi use aaj chod k jana pad raha
hai par drasti k hone se meri fikar kuch kam ho gayi hai.

Tum dono jindagi bhar eak dusre ka saath dena.
drasti aur apne papa ka khayal ab tujhe hi rakhna hai.

Beta mai tujhse maa hone k nate do chize maangna chahti hoon
aur mujhe pura visvas hai ki tu dono kaam ko jarur pura karega
mujhse pyaar hi tu itna karta hai.

Pehla mujhe aisa lagne laga hai ki tere mama babuji k ghar
ko sayad bech denge use bacha lena beta wo tere nana ki
jindagi thi. aur pyaar k maine mujhe tujhe nahi samjhane
padenge. mujhe mere sanskar par pura bharosa hai.

Aur dusra beta ye ki tere papa kabhi bhi jindagi me akele
nahi rahe hain. kal teri bhi shadi ho jaegi. to wo akele
reh jaenge. mai janti hoon ki tu unhe kabhi bhi nahi chodega
par eak insaan ka akelapan bus uska jeevan sathi hi door
kar sakta hai. mere jane k baad wo kahenge to nahi par
mai tere papa ko achche se janti hoon wo ghut ghut kar
jeenge. unke liye har eak din bhari padega.

Tujhe meri kasam beta apne papa ka ghar dubara basa dena.
unki shadi karwa dena wo nahi manenge par tu unhe mana
lena. abhi umar hi kya hui hai tere papa ki.
hero jaise dikhte hain na wo.

Man to nahi kar raha beta rukne ka. par tujhse baat karne
k liye to ye jindagi hi choti pad gayi. aaj jab mai jaa
rahi hoon to mujhe sabse jyada tere janm ka din yaad aa
raha hai. khushiyan lekar aaya tha tu mera lalla.
mera raja beta apna humesha khayal rakhna aur mere
sanskar ko apne roop me humesha duniya me rakhna.

Itna achcha insaan banana ki mujhe upar se tujhpe garv
ho sake. mera rajkumar beta humesha rajkumar ki tarah
jindagi jiye yahi mera tere liye ashirwad hai...

Beta mai tujhse humesha pyaar karti rahungi. apni aankhe jab bhi
tu band karega mai tere samne houngi. mai jaa rahi hoon
to dono baap bete bhuk hartal me mat chale jana.waise drasti k hote hue mujhe tum dono ki fikar nahi hai.
wo tujhko sambhal legi.

Ab beta haanth kaamp raha hai.shayad mera samay aa gaya hai.khush rehna betu.sabko pyaar se rakhna.
teri maa tujhse bahot pyaar karti hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 65
Continue

Yash ki aankho se parvati k antim khat ko padhte hue lagatar
aansu gir rahe the...wo ro raha tha..ye uski maa ne k uske
jeevan k antim chando ki baaten thi jo wo apne bete ko batana
chahti thi...yash ka dil iss waaqt apni maa ko yaad karte hue
dard karne laga...

Usi waqt aayush wahan pahunch gaya...usne yash ko raota dekha
to use chup karane niche jhuka to uski najar yash k haant k
panno par padi...usne yash k haant se wo panna liya aur use
padhne laga...pura khat padhne k baad uske bhi aankho me
aansu aa gae...

Wo bhi yash ko pakad kar rone laga...

Yash: bhai maa mujhe chod kar chali gayi bhai...dekh na bechari
kitne taklif me thi...

Aayush: haan bhai par ab rone se kya hoga wo wapas to nahi aa jaegi...

Dono eak dusre se lipte ro rahe the...tabhi achanak yash aayush se alag
hokar khada ho gaya...

Yash: ye sab uss ashwani ki wajah se hua hai...aaj mai use nahi chodunga
wo uss khat ko lekar bahar gusse me nikalne laga uski aankhe lal
thi...

Aayush ko dar tha ki gusse me yash kuch aisa waisa na kar de to usne yash
ko rokne ki koshish ki...par yash k na manne par wo bhi uske sath drasti k
ghar aa gaya...

Darwaza ashwani ne hi khola yash usko dekhte hi usspar toot gaya...
usne ashwani k color pakad liye...aur use dhakka dene laga...

Yash: tune hi meri maa ko mara hai mai tujhe jinda nahi chodunga...

yash uska jhapad marne laga ashwani uske waar se sambhal ji nahi paya
aayush ne yash ko bahot rokne ki koshish ki par yash ruka hi nahi...
wo to bus paglo ki tarah use maare jaa raha tha...

Par tabhi preeti uske samne aa gayi...

Preeti: yash ye kya badtameezi hai...

Yash: mami iss insan ne hi iss ghar ki do jaan li hai...eak nanaji ki aur dusri
maa ki...mai ise jinda nahi chodunga...

Neha aur puspa bhi wahan aa gae the...

Preeti: tu pagal ho gaya hai kya kaisi baat kar raha hai...

Yash: mai pagal nahi hua hu...agar apko visvas nahi hai to ye dekhiye...

Yash ne latter preeti k haant me dete hue kaha...

parvati ka khat bari bari se preeti,puspa aur neha ne padha...

Preeti to badhawasi me kuch bol nahi paayi...par puspa ne kaha...

Puspa: ashwani tum itna gir gae beta...mujhe visvas nahi hota...

Neha: papa maine aaj tak sabse jyada apse pyaar kiya par aaj mujhe apse
nafrat ho rahi hai...aap bahot gande ho...

Ashwani tab tak khada ho gaya...

Ashwani: chup ho jao...paise ki tangi maine dekhi hai...aur tum sab eak baat sun lo
agar mai apne baap aur behen ko iske liye bali de sakta hoon to mai kuch bhi kar
sakta hoon...aur ae ladke jaa tujhe jo karna hai kar le...mai nahi darta...

puspa, preeti aur neha teeno iss baat se dar gae...

Ashwani itna keh kar room k andar chala gaya...uske jane k baad yash wahin jamin par
ghutno k bal baith kar rone laga...

Yash: mami dekho na mama ne kya kar diya...mama ki waajah se hi aaj kya ho gaya...

Preeti ne uske paas jake use jamin se uthaya...

Preeti na beta na rote nahi hai...chal aa mere sath upar chal...

Preeti yash ko lekar upar chali gayi usne yash ko bed pe baithaya...
aur phir uske pairo pe gir gayi...yash ko ye bada ajeeb laga...
usne rona band kar diya...

Yash: mami ye aap kya kar rahi ho...

Preeti: beta pls meri eak baat maan le...pls apne mama ko maaf kar de...
mere suhag ko maaf kar de...

Yash: mami aap ye kya keh rahe ho...

Preeti: beta mujhe inn sab chizo k bare me pehle se pata tha par mai
nahi janti thi ye itne gir jaenge...par ye jaise bhi hain mere suhag
hain...agar tu mujhe apni maa ki tarah manta hai to pls beta...
inhe maaf kar de...wo lagatar roye jaa rahi thi...

Yash ko samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare...

Preeti: beta agar inhe kuch hua to mai bhi jee nahi paungi...chahe ye jaise bhi
hain mere pati hain...mai jee nahi apungi...beta tujhe meri kasam aaj k
baad tu iss baat ka jikar bhi kisi se nahi kaega...

Yash ko preeti ki ye baat dil par lag gayi...usne preeti ko niche se uthaya...

Yash: mami sayad maa ne isi karan mama ko maaf kiya hoga aap chinta mat karo
mai kisi ko kuch nahi kahunga...par aaj k baad mera uss admi se koi rista nahi...
ye bus mai apke aur ghar walon k liye kar raha hoon...

Itna keh kar wo sidha ghar se bahar nikal gaya...neha ne bus rote hue use
parvati ka khat use de diya...yash ne uski or eak baar dekha aur phir aayush k
sath bahar nikal gaya...

unke jane k baad preeti aur neha ashwani k paas gae...

neha: papa aapne ye kya kar diya...
ab aap yash bhaiya aur fufaji se kaise najre milaoge...

ashwani chup baitha raha...

Preeti: bolo na apki beti kya keh rah hai...

ashwani: mujhe unse koi farajk nahi padta...aur waise bhi
maine soch liya hai ki mai ye ghar bechkar yahan se chale
jaenge humesha k liye...

Preeti: par aap eak saks k baare me bhul rahe ho wo yash ki'
tarah shant nahi rahegi wo apko uski tarah maaf bhi nahi karegi...
aaj wo nahi thi isliye aap bach gae...par jab drasti aaegi to aap
use kaise manaoge ki wo yash se alag ho jae...

Ashwani: mai sab sambhal lunga...par tum sab meri eak baat yaad rakho
jo bhi mere khilaf gaya mai use jinda nahi chodunga...

Yash ghar se bahar nikalne k baad yash thoda gambhir lag raha tha...
wahan se wo dono eak park me gae...wahan usne aayush se kaha...

yash: bhai mai toot gaya hoon yaar koi itna ganda kaise ho sakta hai...

Aayush: kya pata yaar mai khud nahi samajh paa raha hoon...uss baat ko chod papa
k bare me kya socha hai tune...bhai sach kahun akele jindagi katna
bahot mushkil hota hai...maine rashmi ki mummy ko dekha hai bechari
bahot taklif me din kaat rahi hai...

Yash na jane kya sochne laga wo chup raha...

Aayush: bhai kya ho gaya tu chup kyon hai...

Yash: Bhai akele din katna bahot mushkil hota hai...

Aayush: haan yaar tu khud soch drasti eak din k liye bhi tujhse door
ho jati hai to tu uske pyaar me pagal ho jata hai...

Yash: haan bhai...mai to maa ki yadon sahare jee lunga...par papa
kaise jee paenge...eak jeevan sathi hi apne jeevan sathi ka dukh dard
samajh sakta hai...mai chahkar bhi papa k dukh ko door nahi kar paunga...
yash ye kehte kehte phir rone laga...

Aayush: chup hoja bhai agar tu hi aise toot jaega to papa ko koun sambhalega...
tujhe hi ab unke bare me sochna hai unhe sambhalna hai...

Yash: haan bhai chal ghar chale maine papa se maa k jane k baad baat tak
nahi kiya hai...unhe kitna bura lag raha hoga...

Aaayush aur yash uske baad yash k ghar wapas aa gae thodi der me
rajesh aur rajiv bhi ghar aa gae...rajesh ko dekh kar yash use gale laga
kar rone laga...rajesh bhi apne bete k itne din baad karib aane se toot
gaya aur use pakad kar rone laga...

thode der me dono shant hue...yash ne rajesh ko bahot sahara diya aur kaha
ki wo uske sath me hai aur wo chinta na kare...rajesh ne bhi use waisa hi kiya...
Rajesh ka man yash ke sahare se thoda shant hua...

Rajiv aaj wahin rukne wala tha...wo aur rajesh uske kamre me chale gae...
yash aur aayush thodi der unke sath baithe aur phir wo dono yash k kamre
me upar aa gae...dono chup chap baithe the tabhi aayush ne kaha...

Aayush: bhai eak baat kahun pls bura mat manana...

Yash: haan bhai bolna...

Aayush: bhai maine jab se maa ka khat padha hai tab se mere dil me eak baat
chal rahi hai...

wo thoda chup hua phir usne kaha...
Aayush: bhai maine rashmi ki mummy ki taklife dekhi hai...wo kuch dikhati
nahi hai par wo bahot akeli hai...rashmi ko usne kabhi bhi nahi jataya
par rashmi ko anadaja hai ki iss bhid bhad ki jindagi me wo bilkool
akeli hai...kal rashi ki shadi ho jaegi to wo bilkool akeli reh jaegi...

wo phir chup ho gaya...yash uski baat ko kuch kuch samajh gaya par wo aayush k mooh
se wo sunana chahta tha...aayush ne phir jo kaha wo bahot badi baat thi...

Aayush: bhai mai janta hoon ki maa ko gae abhi kuch hi din hue hain...par unki
hi eak akhri ichcha k bare me sochkar ye keh raha hoon...kya hum papa ki
shadi savita maa(rashmi ki maa) se karwa de...

Yash uski or eak tak dekhta raha...Aayush bhi uski hi aankho me dekh raha tha...

Aayush: bhai kya hua...tujhe kya meri bat ka bura laga...

Yash: nahi bhai...par kya aisa ho skta hai...agar aisa ho gaya to mere man se maa ki
antim ichcha ka bhoj utar jaega...

Aayush: tu uski fikar mat kar mai rashmi ko mana lunga aur wo phir apni maa ko...
savita maa bus rashmi k liye hi dusri shaadi nahi ki thi...par baat jab iss
ghar se hogi to mere khayal se mana nahi karegi kyon ki wo tujhe aur uncle
ko achchi tarah se janti hai...aur jab unhe parvati maa aur teri baat ka pata
chalega to wo waise bhi mana nahi karegi...

Yash: Bhai par ye jaldbaji nahi hogi...

Aayush: nahi bhai iss chiz ko hum jitni jaldi karwa de utna hi achcha hai
teen mahine me papa ko chandigarh jana hai...

Yash: haan bhai tu baat kar le aur rajiv uncle ko jara pehle se bata dena...
mai preeti mami se baat kar leta hoon...

Yash ne phir preeti ko phone laga use saari baat batayi...preeti ne use kaha
ki use uske upar fakr hai...par yash ko kya pata tha ki uski yahi eak harkat
uss par bahot bhari padne wali hai...

Phir aayush ne bhi rashmi ko call kiya to usne bataya ki wo log paper de kar
shaher pahunch chuke hain aur drasti apne ghar nikal chuki hai...

Aayush aur Yash phir rashmi k ghar chale gae...rashmmi ko aayush aur yash
ka aise achanak aana ajeeb laga par usne wo jahir nahi kiya...
usne dono ko andar bulaya...

Aayush: Rashmi mummy kaha hai...

Rashmi: mummy to ghar par nahi hai...aap dono baitho mai chai bana k lati hoon...

Aayush: nahi rashmi chai banane ki jarurat nahi hai...actually mai aur yash tumse
kuch baat karne aaye hain...

Rashmi: kya baat...aap dono bade tense lag rahe ho...

Aayush: Rashmi mai koi bhi baat kahun usse pehle tum ye padh lo...

Aayush ne rashmi ko parvati ka akhri khat diya...jise rashmi ne le liya...
jab rashmi ne use padhna start kiya to use samajhte der nahi lagi ki
wo khat parvati ne likha hai...wo thoda sadme me aa gayi thi...
eak ladki ka dil thoda kamjor hota hai...

Rashmi jaise jaise aage padhti gayi uske aankho se apne aap aansu behne lage...
akhri line tak to sisak sisak k rone lagi...usne yash ki or dekha aur uski
udasi dekh wo use dekhte roti rhi...

Rashmi ne yash k haanth me apne haanth rakhe aur usse kaha...

Rashmi: bhaiya mai sapne me bhi nahi soch sakti thi ki ashwani uncle itna niche
gir jaenge...jab drasti ko ye baat pata chalegi to wo pagal hi ho jaegi...
aaj bhi bechari kitna ro rahi thi...usne paper bhi naam matra k liye diyaa aaj...

Yash: rashmi pls ye baat tu usko mat batana behen...nahi to bahot bada kalank ho
jaega...wo chup nahi rahegi...

Rashmi: to aap kyon chup ho...unke karan apki maa iss duniya me nahi hai...

Yash: apni mami k liye...bachpan se unhone bhi mujhko drasti aur neha jitna hi
mana hai...kabhi mujhe mehsus nahi hone diya ki mai unka beta nahi hoon...

Rashmi: par ye galat hai bhaiya...mai abhi drasti ko phone kar saari baat batati
hoon...

Yash: nahi rashmi tujhe aayush ki kasam aisa anarth mat karna unka pura ghar
bikhar jaega...maa bhi yahi chahti thi uss ghar ko bachane k liye hi unhone
jaan de di tu kya unki kurbani ko aise hi jane degi...

Rashmi ko yash ki ye baat dil pe lag gaayi...usne bus naa me sar hilaya...aur
yash ka haant pakde roti rahi...

Aayush ne uske aansu poche aur use shant kiya...jab rashmi shant hui to
aayush ne usse kaha..
Aayush: rashmi hum tumse eak baat aur kehne aae the...pls bura mat manana...

Rashmi aayush ki or dekhne lgi ki wo aisa kyon keh raha hai...usne yash ki or
dekha to yash ne aayush ko dekha...

Aayush: rashmi parvati maa ka uss ghar bachane k sath eak akhri ichcha ye bhi thi ki
yash uske papa ki shadi dubara karva de...hum ye chahte hain ki aayush aage kehne se
pehle rook gaya...

Rashmi: haan bolo na chup kyon ho gae...

Aayush: rashmi tum to khud janti ho inssan ko apne jeevan sati k bagair
jindagi jeena kitna kanto se bhara hota hai...humne ye socha hai ki hum yash k
papa ki shadi karva de...

Aayush pehle rashmi k man ki baat janana chahta tha...

Rashmi: isme itna sochne wali kya baat hai...ye to bahot achchi baat hai...
mai khud maa ko kitni baar keh chuki hoon ki wo dubara shadi kar le par
wo meri manti hi nahi...

Aayush: kyonki wo nahi chahti ki unka pyaar bat jae...par agar unko bhi
unki hi tarah ka koi milega aur tum samjhaogi to wo jarur maan jaegi...

Rashmi: mai samjhi nahi...

Aayush: darasal maine aur yash ne ye socha hai ki yash k papa se agar hum maa
ki shadi karva de to dono ko sahara mil jaega...

Rashmi uski baat par shocked reh gayi...yash ne jab dekha to use dar
lagne laga ki kahin rashmi bura na maan jae...

Yash: rashmi pls bura mat manana ye to bus humne socha hai...agar tum mana
karogi to hum kabhi iss bare me baat nahi karenge...

Rashmi: nahi yash bhaiya aisi koi baat nahi hai asal me mujhe bhi maa ki
humesha chinta lagi rehti hai...har waqt kam kar kar k wo thak jati hai
maine unko kai baar kaha hai ki wo shadi kar le...

Aayush: matlab tujhe humari baat ka bura nahi laga na...

Rashmi: bilkool nahi balki ye to mere liye khushi se kam nahi hai...
shayad bhagwaan ko bhi yahi manjoor tha...maa bhi yash bhaiya ka dukh
dekh uss din ghar par aa kar bahot royi...unhe bhi papa k jane k
din yaad aa gaye the...bus ye sab jara jaldi nahi ho raha...

Yash: nahi rashmi...tum jab choti thi to anty k paas tum thi...
unhone tumhe dekhkar jeena sikh liya...ab na mai chota hoon
na hi papa k paas koi lakhshya...wo jyada din maa k dukh
ko jhel nahi paenge...

Rashmi: aap log ab nischint ho jao mai mummy ko mana lungi...bus aap
log uncle ko mana lo...

Aayush: yash maine kaha tha na ki rashmi humara sath jarur degi...

Rashmi: deti bhi kyon na mujhe bhi to ab pura parivar mil jaega...
yash bhaiya ko to mai pehle se hi pasand karti thi aur unko humesha
maine apna bada bhai hi mana haai...

Yash ne uthkar uske sar par apna haant phera...kuch der aur wahan rook kar
wo log wapas ghar par aa gae...yash k man se ab bojh hatne wala tha...
usne parvati ki tasvir ko dekh bavuk hote hue kaha...uski aankhe nam thi...

Yash: maa maine tera kaam kar diya...par maa tu mujhe bahot yaad aati hai...
aayush ne uske kandhe par apna haant rakh diya...
 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 66
Continue

Yash ko phir drasti ka khayal aaya...usne drasti ko call lagaya par usne uthaya
nahi...yash ne socha shayad wo thak gayi hogi is liye call nahi le rahi...
Yash ko raat me dhang se neend nahi aayi thi isliye wo so gaya...

Shaam me use aayush ne jagaya...yash ne uthte saath apne mobile ko dekha
usme phir bhi drishu ka call nahi aaya tha...yash ko khamosh dekh aayush
ne usse pucha...

Aayush: bhai kya hua...

Yash: aayush drasti ne abhi tak call nahi kiya yaar...

Aayush: wo busy hogi...achcha sun maine papa ko bataya hai ki tune rajesh
uncle ki shaadi k liye rashmi se baat ki hai...to unhone kaha ki unhe
tumpe naaj hai aur wo aaj raat uncle se baat kar lenge...abhi wo dono
bahar gae hain...

Yash: bhai ye tune achcha kiya...

Aayush: haan bhai ab ghar ka mahoul normal to nahi ho sakta par inn sab
se kuch to dukh kam hoga...

Raat me rajiv aur rajesh jab ghar par wapas aae to rajesh ne chillakar yash
ko bulaya...yash jaldi se niche gaya wo aayush k sath apne kamre me tha...

Rajesh: beta mai ye kya sun raha hoon...tum merii shadi karvana chahte ho...

Yash: haan papa...

Rajesh: par kyon beta mai thik hoon...mujhe kisi ki koi jarurat nahi hai...
mere sath tum ho rajiv hai drasti aur aayush hai...phir mujhe kis baat
ki chinta...

Yash: papa jab hum sab apne appne jindagi me aage badh jaenge tab...

Rajesh iss baat par khamosh ho gaya...yash uske paas gaya aur uske
kandhe par haant rakh kar kaha...

Yash: papa jindagi bahot baadi hai aap
kab taak ise akele jeeo ge...apne liye na sahi meri khushi k liye
ye shadi kar lo...apko meri kasam...

Rajesh uske chehre ko bus dekhta raha phir chup chap apne kamre me chala gaya...
rajiv aur aayush khana lene bahar chale gae...
yash ne abhi rajesh ko
akela chodna hi uchit samjha...
wo apne kamre me aa gaya...

Raat me sab ne thoda thoda khana khaya...rajesh k kamre me rajiv soya...
aayush yash k sath tha...par yash ka dhyaan drasti k upar hi tha usne
aaj usko caal nahi kiya tha...
usne eak do baar aur try kiya par jab
drasti ne koi reply nahi kiya to usne socha ki itne din k stress se
thak gayi hogi...
wo uske baare me sochte sochte sone ki koshish karne
laga...
Dusre din dopehar me yash aur baki sab ghar ki ragistry k liye gae...

ragistry hone k baad...
r
ajiv gaon wapas chala gaya...
par aayush yash k sath hi raha...
ghar pahunchne k baad yash ne aayush ko kaha ki drasti ne usse kal se koi baat nahi ki hai to ab aayush ko bhi
chinta hone lagi...usne yash ko drasti k ghar jaa kar check karne k liye kaha...

Dono drasti k ghar par aa gae...darwaza puspa ne khola...

Yash: nani pranam drasti hai ghar pe...

Puspa: haan beta aana andar aa...usne darte hue yash ko andar bulaya...

Puspa ne preeti ko bulaya jiske sath neha bhi bahar aa gaayi...ashwani wahin
hall me baitha tha...yash ki nazar jab usspar oadi to uska khoon khoulne laga...
par preeti ko dekhkar use preeti ki kasam yaad aa gayi...

Yash preeti k paas gaya aur jaise hi usne jhuk kar uske pair chune chahe
upar drasti ne chilla kar kaha...

Drasti: band karo ye dhakosle baji...

drasti ye kehte hi niche aayi uska chehra aur aankhe dono lal dikh rahe the...
wo kaphi gusse me lag rahi thi...aankho k niche daag tha jisse saaf pata
chal raha tha ki wo ro rahi thi...

Yash aur aayush ne jab use iss roop me dekha to wo dono shocked reh gae...

Yash: kya ho gaya drishu tu aisa kyon bol rahi hai...

Drasti: aapki himmat kaise hui mere papa k upar haant uthane ki...
aap samajhte kya ho apne aap ko...

Yash: drishu...wo kuch keh pata usse pehle hi preeti ne drasti se kaha...

Preeti: jane dena beti ghar me aisi bate hoti rehti hai...

Yash ne uski or sawaliya najro se dekha...

Drasti: nahi maa ye bahot badi baat hai mai ise aise nahi jane dungi...
kya samajhte ho aap baap bete apne aap ko...tum dono kuch bhi karoge
aur hum usko sehte rahenge...

Yash: drasti mujhe kuch bhi samajh me nahi aa raha tu kya keh rahi hai...

Drasti: problem hi yahi hai ki tum logo ko kuch samajh me nahi aata...
pehle fufaji lad lad kar bua ko pareshan kiya...ab unki chita bhi
dhang se shant nahi hui hai aur wo dusri shadi kar rahe hain...

Yash: wo to maine hi unhe kaha hai...

Drasti: wo hi to mujhe samajh me nahi aa raha itni jaldi kis baat ki hai...
kya galat kaha tha mere papa ne ki kuch din rook jao...to apne unn par
haant utha diya...kya ek bhai apni behen k marne k baad itna bhi nahi
keh sakta...aap logo k seene me dil nahi hai kya...

Yash ko ab samajh me aa gaya ki ye sab ashwani ki chal hai...wo drasti ko
sab batane hi wala tha ki uski najar preeti ki or gayi jo sisak sisak kar
haant jode ro rahi thi.

Yash: drishu tu jaisa soch rahi hai waisa nahi hai...

Drasti: to phir kya hai mr yash diwan...usne chilla k kaha...
kar lete fufaji shaadi kuch din baad...kya bigad jata unka...
aur aap...apne mere papa par haant utha diya...maine kabhi
sapne me bhi nahi socha tha ki apke masum se chehre me itna
swarthi insaan baitha hoga..

aap sirf isliye fufaji ki shaadi
karwa rahe ho ki apko dar hai ki kahin apne unhe mana kiya
to wo apko property se bedakhal kar denge...

yash chup chap uski baaton ko sun raha tha par Aayush se ab ye bardast
se bahar ho raha tha...wo samne aaya aur usne kaha...

Aayush: drishu tu galat keh rahi hai...tujhe nahi pata...

Aayush itna hi keh paya tha ki yash ne uska haant pakad liya...aur use na me ishara
kiya...

Aayush: par yaar...

Yash ne eak najar preeti ki or dekha...to aayush samajh gaya ki yash kya kehna
chahta hai...aayush ko chup hota dekh drasti phir bol padi...

Drasti: ho gae na chup aap bhi...aap to kehne k liye yash k sabse achche
dost ho aur bua ko aap apni maa mante the...kya maa k jane k baad bachche
unhe bhool jate hain...

Aayush: drishu tu jaisa soch rahi hai aisa bilkool nahi hai...

Drasti: to phir kya hai...koi batao na mujhe kya hai...

Drasti itna kehne k baad rote hue apne room ki or upar bhag gayi...
yash use jata dekhta raha...par yash se ye bardast na hua wo bhi
drasti k kamre me chala gaya...

Drasti apne bed par lete hue sisak sisak kar ro rahi thi...uske haanto me
parvati ki tasveer thi...usne yash ko kamre me aata dekha to wo phir khadi
ho gayi...

Drasti: ab kya lene aae ho yahan...

Yash: apna pyaar...uski bhi aankho me aansu the...

Drasti: pyaar visvas jaise sabd apke jaban pe achche nahi lagte yash...
mai bahot badi bewkoof thi jo apse pyaar kar baithi...jo apni maa k
chita ka apmaan aur aur apne bado par haant utha sakta hai wo bhala
kya kisi se pyaar karega...

Yash: bus itna hi pyaar aur visvas tha tumhe mujhpar...

Drasti uski iss baat se toot gayi aur apne bed par baith kar rone lagi...

Drasti: yash mujhe agar papa ne bus kaha hota to mai na manti, apne kaha
hota to mai ye sochti ki aap jhut bol rahe ho...par maa kabhi jhut nahi
bolti...unhone bhi papa ki har baat haan kaha...

Yash ko iss baat par preetii k liye badaa bura laga...

Yash: haan drasti shayad mai hi galat hoon...

Drasti ne jab yash k mooh se ye suna to uska gussa uss par hawi ho gaya...

Drasti: aap hi galat ho yash...aur aaj k baad yaad rakhna ki apka
aur mera rista humesha k liye khatam...ab apse mera koi rista nahi
na pyaar ka nahi nafrat ka...aap jaisa insaan mere nafrat k layak
bhi nahi...mai apki shakal bhi nahi dekhna chahti...apna manhoos
chehra mujhe aaj k baad kabhi mat dikhana...

Yash ko drasti ki ye baat dil par lag gayi...usne bus drasti ko eak
baar aur kaha ki woo jaa raha hai jiska drasti ne koi jawab nahi
diya...wo toote hue dil k sath rota hua niche aa gaya...

neha,preeti aur puspa ne jab uski halat dekhi to unse dekha na gaya...
wo teeno uske paas aa gae...

Preeti: beta mujhe maaf kar de...tu to meri majboori samajhta hai na
mera lalla...

Neha: bhaiya aap bahot achche ho...drasti ki baat ka bura mat manana
unko papa ne jhut bola hai...mai abhi jaakar drishu ko sari baat
bata kar aati hoon...par yash ne usko pakad liya...

Yash: nahi bachcha sun aaj se mai yahan nahi hounga...ab tujhe hi
apni drasti ka khayal rakhna hai...aur sun jaise mami ne mujhe
kasam di na waise hi tujhe mera vasta tu kabhi bhi drishu se
ye sab nahi bataegi...

preeti uski iss baat par bilak bilak k rone lagi...
yash se ab bardast nahi ho raha tha...usne sab se apna haant chudwaya...
phir usne puspa aur preeti k pair chue aur neha k mathe ko chuma...
akhri baar upar ki or dekha aur phir jaldi se wahan se bahar aa gaya...

Bahar nikalne k baad jab wo aayush k piche bike me baitha to usne drishu
k room ki or dekha to wahan khidki band thi...yash ne aayush ko bike
wahan se le jane k liye kaha...aur dono wahan se chale gae...

Din nikalte gae...shuruaat me to yash ko aisa laga ki drasti uske
bina nahi reh paegi wo roj uske ghar k samne jata aur khada rehta...
kabhi kabhi drasti use dikhti jise dekh wo thandi aanhe leta aur
wapas aa jata par kabhi kabhi din bhar khade rehne k bawjood use
wo dikhayi na deti...

uss wakye k 1 mahine baad rajesh aur savita ki shadi hui...pehle to savita
ne mana kar diya par jab rashmi ne parvati ki chidhi aur apni kasam
use di to wo raji hui par usne eak shart rakhi ki wo aage bachcha
nahi legi...rajesh bhi yahi chahta tha to unhe koi problem nahi hui...

Rajesh ne shadi se pehle ashwani ko call kiya par usne receive nahi
kiya to aayush ne use ye keh diya ki ashwani aur uska pariwar iss
shadi se naraj hai iss baat par yash ne unse sare sambandh tod iye hain...
Rajesh ne jab yash se baat ki to usne bhi yahi kaha aur rajesh ko
unke bagair shadi karne k liye mana liya...

Rashmi ne drasti ko phone kar jab shadi k baare me bataya to usne call
kat diya aur uska call ignore karne lagi...rashmi jab uske ghar bhi gayi
to drasti ne uske samne bhi yash aur rajesh ko bhala bura kaha...
jisse rashmi uspar bhadak gayi...par use bhi yash ne apne kasam de
rakhi thi isliye wo kuch na keh payi...usne bus drasti ko itna hi kaha
ki jab use baad me asliyat ka pata chalega to wo bahot pachtaegi...

Shadi hone k baad rashmi aur savita yash aur rajesh k paas aakar
rehne lage...savita ne apni job chod di kyonki use rajesh k
sath chandigarh jana tha...

Yash har roj drasti k ghar k paas jata har eak do deen me use drasti
dikh hi jati...yash ko uske chehre par udasi saaf najar aati...par wo
uske samne me jane ki himmat na juta pata...par rajesh ki shadi k
kuch din baad se yash ko wahan ghar ka eak bhi sadasya najar aana
band ho gaya...
jisse yash ko chinta hui...

Usne kuch din aur dekha jab koi nahi dikha to usne ghar k paas jakar dekha
to tala laga dekha...usne bagal waale ghar se pucha to usne bataya ki
ashwani ne ye ghar bech diya hai...yash ko iss baat se bahot dhakka
laga...phir usne khud ko sambhalte hue pucha ki wo log kahan gae hain
to bagal wale ne iss bare me koi jankari nahi hai bataya...

Yash iss baat se eakdum toot gaya ab itni badi duniya me wo drasti ko
kahan kahan dhundta...usne har koshish ki par kisi ko nahi pata tha
ki wo log kahan gae hain...

Waqt bitata gaya do mahine me yash kaphi toot gaya...yash k college
bhi start ho gae the...wo college to jata
tha par sirf naam k liye uska dil to kahin aur hi choot gaya tha...
rashmi aur aayush uski halat dekh bada dukh lagta...

College me shipra bhi uske dukh ko dekhkar badi dukhi rehti...use asal
me pata nahi tha ki yash k sath kya kya hua tha...use jab pata chala
use bhi bada dukh hua...wo pura koshish karti ki yash ko sambhal sake
par yash ko jo bhi sabhal sakte the sab usse door ho gae...


Rashmi ne wahin eak college me admission le liya...rajesh aur savita
ne rashmi ko sath chalne k liye kaha par wo yash ka dhyaan rakhne
k liye uske paas jidd kar k rook gayi...use din ba din yash se
bahot jyada lagav hota jaa raha tha...wo use apna soutela nahi
saga bhai manane lagi thi...

Rajesh aur savita chandigarh chale gae...bich me rajesh eak din bada
pareshan hua ki ashwani ka pariwar kahan hai par yash ne usko
keh diya ki unhone humse sare sambandh khatam kar diye hain...
rajesh ko isse dhakka laga par wo kar bhi kya sakta tha...

Yash ne kuch din ta to khud ko sambhala...par maa k jane ka dukh
phir uska pyaar bhi usse choot gaya tha yash k liye ye bardast
k bahar ho gaya...aur wo dhere dhere nashe ka saahara lene laga...

Shuruaat me to aayush khud uska sath deta par yash badta hi
chala gaya...usne dhere se apni padhayi bhi chod di...
aur bhagkar eak din gaon chala gaya...

Wahan usne anath ashram ki or dekha to use aisa laga ki usme
jo chote bachche hain wo usi ki tarah bebas hain to wo wahin
rehkar unhe padhane laga...use isme thodi shanti milti...
bachcho k sath wo kuch der k liye hi sahi apne gum se thoda
door hota...

jab aayush ko pata chala ki yash gaon me hai to wo, shipra aur rashmi
uske piche gaon gae...yash ne unn dono ko waas jane k liye
kaha...par rashmi nahi mani usne apna course gaon k college
me transfer karwa liya...aur wahin yash k sath rehne lagi...

Rajesh ko jab pata chala ki yash ne college chod diya hai to wo uss
par gussa hua aur chandigarh se gaon aaya...par jab usne yash
ki halat dekhi to wo samajh gaya ki wo depression me aa gaya hai...
use laga ki agar wo uske sath jabardasti karega to yash kuch
kar na baithe...

Savita ne bhi yash ko bade pyaar se samjhane ki koshish ki...
par sabhi ka samjhana bekar ho gaya...

Samay nikalta gaya yash ka depression badhta gaya...yash raat me
nashe me hi bike se sheher jata aur drasti k ghar k samne baitha rehta...
eak baar to wo jyada nashe me ghar k andar hi chala gaya...jisse uske
upar police complain hote hote bacha...har baar rashmi aayush ko phone
karti aur aayush yash ko raste se utha kar gaon chodne jata...

Har raat wo sharab peeta...kehte hain na agar nashe me insaan jakhm
k marham dhundega to wo badhta hi jata hai...sharab kam hui to
cigrete me haant pahunch gaya...

Jab bhi subah nasha utarta to use khud bura lagta...apne se
jyada rashmi k liye jo uska apne sage se bhi badhkar khayal rakh rahi
thi...
teen saal baad rashmi ki bsc aur aayush ka engineering ho gaya...
rashmi ne gaon k eak camputer center me PGDCA ka corse kiya aur
phir use plant me hi noukri mil gayi...wo chahti to
higher studies k liye bahar bhi jaa sakti thi par apne yash bhaiya
k liye usne ye sacrifise bhi de diya...

Aayush k pita ne use bahar noukri karne k bajae gaon me hi eak copmputer
ki shop khol kar de di...rajiv humesha noukri se jyada buisness ko prathmikta
deta tha...aayush engineering karne k bawjood uski baat taal nahi
sakta tha...wo gaon me aakar rehne laga...

Idhar aaysuh jab gaon aaya to usi saal uske bachpan ka dost Ajay
uske ghar k bagal me rehta tha wo bhi bahar se padhayi kar
wapas gaon aa gaya...

Ajay k maa baap dono bachpan me hi guajar gae the aayush k maa baap ne hi
use pala tha...uski dadi thi par wo bhi jab wo 18 saal ka tha to wo
use chod kar iss duniya se chali gayi...aayush ka baap use apne bete
ki tarah manta tha...usne bcom kiya tha par aayush k papa k kehne
par wo bhi aayush k sath camputer ki dukan me uska sath dene laga...

Shuruaat me ajay ko yash eak shaarabi lagta tha...par jaab aayush ne use
yash ki kahani batayi to uski bhi aankhe nam ho gayi...maa baap k
na hone ka dard ajay bkhubi janta tha use bhi yash se agav ho gaya...

Shipra bich bich me yash aur rashmi se milne gaon aaya hi karti...
yash to uska call receive nahi karta tha par wo rashmi ko har roj
call kar yash ka hal chal puch hi leti...

Inn sabhi ka dhyaan bus humesha yash par hi laga rehta par yash to bus kisi ki yadon me khoya rehta...eak uski maa jo ab bhagwan k paas chali gayi thi...aur dusri uski jaan uska pyaar drasti jo ab kahan hai kaisi hai kya kar rahi
haai ye ab uske liye janana ek sapne se kam nahi reh gaya tha...

Har roj wo subah uthkar sirf eak hi baat kehta ki usse aisi
kya bhul ho gayi ki uske jivan me itna duskh bhar diya...
samay ki race me wo bahot piche rook gaya tha...

Uski duniya bus ab yadon me kahin goom ho gayi thi...
Apni maa aur apni drishu ki yadon me...

 
  • Like
Reactions: mashish

Yash

Member
158
262
43
Update 67
Continue

Present Time

Yash achanak se utha aur uske mooh se maa nikla...wo pasina pasina ho chuka tha...
Shayad usne bura sapna ya jo ho chuka hai use dubara sapne k roop me dekha tha...
Raat k teen baj rahe the...Train eak station me ruki thi...A.C coach hone ki
wajah se bahar ki awaz saaf sunayi nahi de rahi thi...

Yash niche utra...Pure platform me eak bhi insaan khada nahi dikhayi de raha tha...
Jo wahan moujud the wo chadar bicha k so rahe the...Tabhi eak chota ladka wahan
pe aaya...uske haant pe chai ki ketli thi...usne yash se pucha...
Sahab chai peeoge...yash ko uspe daya aa gayi...usne uss ladke se chai lee
aur use sou ka eak note de diya...

Uss ladke ne ysh ko kaha...sahab mere paas itne bade note ka change nahi hai...
Yash ne use koi baat nahi rakh lo kaha...us ladke ne use kaha...sahab bhagwan apki
sari manokamna puri kare aur wo khushi khushi wahan se chala gaya...

Uske jate hi train kk chutne ka siramn baj gaya yash train par wapas aa gaya...
Usne man me socha meri mano kamna kabhi puri nahi hogi bhai tu humesha khush
reh...train k chut te hi yash ne eak cigrete jalai aur chai k sath use peene
laga...

Pure train me yash hi bus akela jaag raha tha...train k darwaze par wo khada
tha...station k baad sheher aaya...shaer k croos hote hi charo or andhera
cha gaya...yash ko sivay apni parchai k aava kuch bhi nahi dikhayi de raha
tha bahar...

Jab train ki speed badhi to wahan khada hona mushkil ho gaya uske liye
wo wapas aakar apne biirth pe let gaya...phir usne apne wallet ko apni
pocket se naikala aur use khol kar tasvir dekhne laga...

usme do photo thi eak uski maa ki aur dusri uski drasti ki...
wo use niharta raha...par aaj eak alag baat hui yash humesha
unn tasviro ko dekh imotional ho jata tha par aaj wo bus unhe
nihar raha tha...pata nahi uske man me kya chal raha tha...

Shayad apni maa ki eak atim ichcha use imotional hone se rok rahi
thi...usne dono tasviro ko bari bari s chuma aur phir kaha...
I love u both...aur phir tasviron ko good night bol kar wapas
apne pocket me rakh liya...

Subah uski nennd kisi k jagane par khuli ...wo samne wale seat par baithe ek
bujurg uncle the...unhonne yash se kaha ki chandi garh aane wala hai beta
ab uth jao...yash uthkar turant freash hone gaya...usne uss bujurg ko
apne saman ko dekhne k liye keh diya tha...

Yash fresh hokar wapas aaya hi tha ki Chandigarh ka station aa gaya...
usne utarte hi apne papa ko phone lagaya jinhone use bataya ki savita
use lene aa rah hai...aayush ne unhe call kar bata diya tha ki yash aane wala
hai...

Yash rajesh ka call kat pata usse pehle hi savita wahan aa gayi...
yash ne uske pair chue par savita ne use uthakar uske mathe ko
chum liya...

Yash uske chehre ki r dekha to use apne maa ki yaad aa gayi...
savita puri parvati ki tarah taiyaar hui thi....usne aage jo kaha
usse yash ka man gadgad ho gaya...

Savita: Aa gaya lalla chal ghar chalen...

Yash ko aisa laga jaise parvati usse baat kar rahi ho...
station se dono ghar par aa gae...rajesh kaam par jaa chuka tha...
savita ne yash ko nahane k liye kaha aur uska pasandida khana banane
lagi...yash ne jab wo khana khaya wo bhi parvati ki tarah hi bana tha...

Yash eak minute kk liye ruka to savita ne pucha...

Savita: yash khana achcha nahi bana hai kya...

Yash: nahi maa bahot achcha bana hai bilkool parvati maa ki tarah...

Savita iss baat se eakdum khush ho gayi...yash ne aaj pet bhar k khana kaya...
pata nahi drasti k ghar ki baat jab se aayush aur ajju ne use batayi thi
wo andar se badlav mehsoos kar raha tha...use abhi koi dukh taklif nahi ho
rahi thi na hi wo depresion mehsoos kar raha tha use to bus eak hi
khayal tha kaise jairaaj k ghar ko kharida jae...

usse wait nahi ho raha tha ki kab rajesh aae aur wo ghar k baare me usse
baat kare...wo baar baar savita se puch raha tha ki rajesh ab aaega...
 
  • Like
Reactions: mashish
Top