- 158
- 262
- 43
Update- 32
Continue
Aayush ne sahil ko iss chiz k liye alert kar diya...aur samjha diya ki use kya
karna hai...
Shaam ko jab sahil ne drasti ko ghar choda to yash ne uska picha kiya par use kya
pata tha ki uska picha bhi koi kar raha hai...Sahil ko yash ki pal pal ki jankari
aaj aayush de raha tha...jab sahil apne ghar k andar gaya...to yash bhi piche k
raste uske ghar k boundry me ghus gaya...ayush ne call kar sahil ko bata diya
ki use kya karna hai...
Yash jab sahil k ghar ki khidki se jhank raha tha...tab sahil ko abhas ho gaya
tha ki yash khidki k paas hai...usne phone par baat karne ka natak kiya...
Sahil: hello bhai thanks yaar...ye wali ladki to khud hi
jal me phans rahi hai...kal iske school se sidha usko yahan le kar aaunga...
aur iska bhi kaam kar dunga...nahi yaar koi pareshani nahi hai...tu uski har
khabar to mujhe dete hi rehta hai...chal rakh
abhi uss ladki ka call aata hi hoga...
Yash ne jab ye suna to uske pair kampne lage...usse khada bhi nahi hua jaa raha
tha wo chah k bhi kuch nahi kar sakta tha...kyonki agar wo andar jata to sahil
k guards use andar kar dete...usne apne aap ko bahot kadhinai se control kiya
kyonki mamla uski drishu se related tha...usne ye bhi chiz pareshan kar rahi thi
ki aakhir sahil ki madad koun kar raha hai...
usne socha ki kal function k baad wo drasti k samne sab doodh ka dhoodh aur paani ka paani kar dega chahe jo bhi ho jae...
wo wahan se dare hue man se nikal gaya...yash ko wapas jata dekh aayush sahil k
ghar k andar chala gaya...
Aayush: sir kya baat hai aap to cha gae...kya chehra ho gaya tha uska...
Sahil: yaar maine aaj tak kabhi kisi se baat nahi ki hai...jo diloge tumne
mujhse bolwaya agar mai kisi k mooh se sun loon to uski jaan hi le loon...
tumhare dimag me aise khurapati chiz aate kaise hain...
Aayush: bus sir bhagwan ki den hain...
Sahil: aayush ab mujhse aur nahi ho paega do din se mai poora kaam pending chod
kar baitha hua hoon...
Aayush: sir aap chinta mat karo kal function k baad apka kaam poora ho jaega...
Ab bus intzaar to kal ka hi hai jab yash khud apne pyaar ko wapas bulaega...
Aayush wahan se nikal gaya...
Yash ka dimag to ghar pahonchne k baad bhi Drasti ki taraf hi tha...
Yash man me:
kya jarurat thi yaar usko yaar us sahil se baat kare ki agar mai na hota to
sahil to kal uske sath galat kar hi leta...mai kal eak minute bhi drasti ko
apni nazron se door nahi hone dunga...
tabhi Shipra ka call uske paas aa gaya...usne call receive kiya...
Yash: shipra sorry yaar mai do din se bahot busy tha...
Shipra: yash koi baat nahi mai to bus ye janana chahti thi ki tum thik to hona
do din se tumhara kuch pata hi nahi chal raha tha...
Yash: wo thoda kisi kaam me busy tha...
Shipra: yash tumse kuch keh sakti hoon...
Yash: haan kaho na...
Shipra: yash mai janti hoon ki tum humare riste ko lekar sure nahi ho...
Yash: nahi aisi koi baat nahi hai...
Shipra: nahi yash meri baat suno...apne man me koi bat mat rakhna jo bhi ho
mujhe bata dena mai bura nahi manungi...
Yash ko shipra ki baat dil ko chu gayi...
Yash: nahi shipra mujhe jab bhi kuch lagega mai tumse bata dunga...
Shipra: ye hui na baat...pehle hum friends hai ye baat humesha yaad rakhna aur
humara ye rista kabhi nahi tutega...
Yash: haan shipra tum sahi keh rahi ho...
Shipra: aur eak baat batana chahti thi maine hum dono ka naam dance se katwa
diya hai...tum iss baat ko dil pe mat lena ki tum dance k liye time nahi de
pae...friends k bich sab chalta hai...
Yash: shipra u r so sweet mujhe laga ki tum mujhse gussa hogi...thank u yaar
meri friend banane k liye...
Shipra: thank u to mere friend banane k liye bhi...
dono ne kuch der aur baat ki yash ka man thoda halka hua...jab shipra ne phone
kata usi samay aayush ka call aaya...
Yash: haan aayush bol...
Aayush: bhai aaj kuch hua to nahi...
Yash: nahi yaar jo hoga kal hi hoga ab...
Aayush: kya hoga...
Yash: rehne de na yaar mai sambhal lunga...
Aayush: achcha sun kal function me aa raha hai na...
Yash: haan yaar aa raha hoon...chal ab rakh kal milte hain...
aayush samajh gaya tha ki teer sahi nishane par laga hai...ab to bus intzaar
tha kal ka jab iss poore natak ka nat ho jaega...
aaj sab raat me kal ka intzaar kar rahe the...kya hoga ye kisi ko nahi pata tha
sivay aayush k...use yash par poora bharosa tha ki wo uske idea k mutabik hi
kaam karega...
School me sab aa chuke the...par function start nahi hua tha...sab ko intzaar
tha chief guest ka...yash bhi aa chuka tha aayush aur rashmi uske saath the
shipra bhi uske bagal me baithi thi...par drasti ko na dekhkar yash ne
rashmi se pucha...
Yash: rashmi drasti nahi aayi...
Rashmi: bhaiya aapko nahi pata kya kuch bhi...
Yash: kya nahi pata...
Rashmi: how strange yaar sayad drasti apko surprise dena chahti thi...nahi to
jis drasti ki saari baat sabse pehle apko pata chalti thi uske baare me aap
mujhse puch rahe ho...
Yash: surprise aisa kya ho gaya...
aayush: yaar mai tujhe batana bhul gaya tha drasti aaj dance kar rahi hai...
Yash: kya wo dance kar rahi hai...wo shoked ho gaya...phir use khayal aaya
aur usne aayush se pucha: aur tujhe bhi pata hai...
Aayush: bhai mujhe laga tujhe pata hoga...poore school ko pata hai...
yash usko ghur raha tha...aayush ne baat palat te hue kaha...bhai chod na
yaar function enjoy kar...sala ye chief guest kab aaega...aune aisa yash
ka dhyaan sahil ki taraf lejane k liye kaha...
Par yash ka dhyaan to ab drasti se hat hi nahi raha tha...uske dil pe bahot
thes pahunchi thi drasti k dance kaene wali baat par...uski aankhe naam
ho gayi wo maan me sochne laga...
Yash maan me:
kya din aagaya yaar jo drishu mujhse bina puche koi bhi kaam nahi karti thi
aaj usne school me dance bhi karne ka faisla kar liya...sab ko pata hai
bus mujhe nahi...itna paraya kar diya drishu mujhe...
yash ne bahot cantrol
kiya par uski aankh se eak aansu ki boond nikal hi gayi jise aayush ne
dekh hi liya...aayush ye dekh kar khush ho gaya yahi to chahta tha...
usne rashmi ki taraf thumps up ka ishara kiya...
tabhi Sahil bhi wahan aa gya...yash ka khoon Sahil ko dekh kar khoul gaya...
Pehle principal ne stage me speech diya phir Sahil ko kuch kehne k liye stage
par bulaya...sabhi tali baja rahe the par Yash nahi baja raha tha...
taliyon ki gadgadahat use chubh rahi thi...
Sahil Stage me:
Respected principal sir, teachers and students,
thank u for giving me honour by inviting me in ur school on school Foundation day
aaj yahan aakar mujhe mera bachpan yaad aa gaya...school k din life k sabse
khubsurat din hote hain...aap log bhi inn khubsurat days ko enjoy karo...
sath sath apni base bhi majboot karo kyonki jindagi me padayi k alawa
koi bhi chiz badi nahi hoti iske bina jivan vyarth hai...koi saath de ya na
de par ye knowledge apka sath kabhi nahi chodta...ye meri life ki experience
hai...ab jyada bor nahi karunga apko...enjoy everyone happy foundation day...
Sabhi ne phir se tali bajayi sahil neeche aa gaya...
Aayush yash se phir se sahil ki burayi karna chahta tha taki yash ka dhyaan
sahil ki baaton par na jae...tabhi yash ne keh diya...
Yash: yaar kitna natak karta hai ye insaan...
Aayush yash ki baat sun kar khush ho gaya use pata chal gaya ki yash k maan
me sahil k liye bahot nafrat ho chuki hai...
function start hua...sabhi apne apne itam prastut kiye kisi ne gana gaya,
kisi ne speech di,kisi ne standup comedy,kisi ne dance...par drasti ka
dance nahi aaya...tabhi Stage se aayush ka naam bulaya gaya...yash
aayush ka naam sun kar hairaan ho gaya...aayush ne jate jate hue yash
se kaha...
Aayush: (jhukkar) bhai ye tere liye surprise meri taraf se...
Aayush stage par:
Yash ye tere liye mere bhai:
Tere jaisa yaar kahan kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya tera-mera afsana
Tere jaisa yaar kahan...kahan aisa yarana...
Meri zindagi sanvaari mujhko gale se laga ke
Baitha diya falak pe mujhe kaaq se utha ke -2
Yaara teri yaari ko maine to khuda mana
Yaad karegi duniya...Tera mera af sana...

Tere jaisa yaar kahan...
Kahan aisa yarana...
Mere dil ki yeh dua hai kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena woh din kabhi na aaye -2
Tere sang jeena yahan tere sang mar jana
Yaad karegi duniya....Tera mera afsana...

yash ki aankhe bhar aayi apne sabse achche dost k mooh se khud k liye gana sunkar
aayush ne stage se sidhe aakar use gale se laga liya...aayush ki bhi aankhe
bhar chuki thi...dono apni jagah par baithgae...shipra ko aayush ka
behaviour bada ajeeb laga...eak minute me to aayush aisa react karta jaise
use yash se koi matlab nahi hai aur dusre hi pal uske liye gana ga raha
tha...wo bhi ashmanjas me aa gayi...
uske dusre hi pal stage se drasti ka naam pukara gaya...poora stage me andhera
ho gaya...jab spot light stage par padi sabhi ki saanse tham gayi...drasti
ne eak blue rang ka ghagra pehna tha jisme uska poora kamar dikh raha tha
jab wo samne aayi to samne se bhi uska poora pet dikh raha tha...chaati k
cleavage bhi saaf saaf dikhayi de rahe the....usne odhni bhi nahi li thi...
uske baal khule hue the...choli se uske ubhar spast dikh rahe the...yash to
kya hall me baitha har eak saks uski sundarta aur madakta me kho gaya...
yash ko har eak baithe saks se jalan hone lagi...sath hi sath drasti k
lie uska gussa aasmaan chune laga...
Drasti ne kamar aur hanth hila hila kar dance start kiya...
Ranjha, ranjha kardi ve main aape ranjha hoyi
Ranjha, ranjha saddo ni mainu heer na aakho koyi
Ooh, ranjha ranjha na kar heere jag badnami hoye
Patti patti jhar jaave par khushboo chup na hoye
Begunah pakda gaya yaaro, ishq mein jakda gaya yaaro
Aankh ke dosh mein dil yaaro, bewajah pakda gaya yaaro
Aankh se hatt ti nahin, arrey hatt ti nahin, arrey hatt ti nahin
Sotey sotey bolta hoon, kabhi bolte bolte sota hoon
Kya jaane kya hota hai, kabhi jalti aag dadolta hoon
Ek baar to aake dekhe woh bhi

Jal ja, jal ja ishq mein jal ja, jale se kangan ho
Jalti raakh laga le maathe lagey to chandan hoye
Ranjha, ranjha kardi ve main

Waqt katt ta bhi nahin, waqt rukta bhi nahin
Dil hai sajde mein magar, ishq jhukta bhi nahin
Bina tere raatein, arrey raatein kyun lambhi lagti hain
Kabhi tera gussa, kabhi teri baatein kyun achchi lagti hain
Drasti yash ki taraf hi dekh kar dance kar rahi thi...wo jaise yash ko
dikha rahi thi ki agar yash usse door gaya to wo apni jindagi kaise
jeagi...drasti k chehre par eak udasi thi...jise sirf drasti hi samajh
sakti thi...
uski kamar ki thirkan pe jahan sab taliyan baja rahe the
wahin yash ka dil pe thappad pad rahe the...uske pahnava jahan
sab ko uttejit kar raha tha wahin yash ka sharir isse jal raha tha...
yash ki najar jab bhi sahil par jati wo aur bhi jalne lagta...
gaana khatam hone k baad sabhi ne bahot hooting ki...prinipal ko khade hokar
sab ko chup karana pada...function aage chalta raha par tabhi sahil apni jagah
se utha aur principal k sath kahni jane laga...yash uthta usse pehle aayush
utha aur yash se kaha...
Aayush: bhai mai eak minute bathroom se aaya...
Yash ko yah bada ajeeb laga...thodi der wait karne k baad wo sahil jis taraf
gaya tha wahan jane laga...wo hall se nikla hi tha ki use kisi k baat karne
ki awaz sunayi di...usne gaur kiya to wo sahil ki awaz thi...
Sahil: thanks again yaar tune mast ladki set karayi hai...khud hi aa gayi...
tabhi dusre ki awaz ko sun kar Yash k hosh udd gae ye aayush ki thi...
Aayush: nahi sir ye to apki persnality ka asar hai...aaj bhi apki hi taraf dekh
kar kamar lachka rahi thi drasti...sir ab der mat karo nahi to yash apke
piche phir aa jaega...drasti pehle hi nikal chuki hai...
Sahil: ok yaar...milta hoon saam me...
Aayush: ok sir enjoy with her...
Yash ko visvas nahi ho raha tha ki uska best friend usko dhoka de sakt hai...
uske pair jamin me dhans gae the...wo hosh me nahi tha...wo bahot time
tak wahan khada raha phir use achanak drasti ka khayal aaya...
wo drasti kehta hua wahan se nikla to aayush sahil ko bahar chod kar wapas aa
raha tha...use pata tha ki yash ne unki baaten sun li thi....
Aayush: kahan bhai...kahan jaa raha hai...
Yash ne use dhakka diya...
Yash: mat keh sale mujhko bhai...tu kuch bhi kehlane k layak nahi hai...
Aayush: kya ho gaya yash...yash ka aayush ko dekhkar khoon khoul raha tha...
Yash ne aayush ko marna start kar diya...aayush ko bhi ummid nahi thi ki yash uss
par haanth utha dega...usne yash ko roka...
Aayush: kya ho gaya hai ab bataega bhi...usne apna pet pakde hue kaha...
Yash: mujhse puchta hai kya ho gaya maine teri aur sahil ki baat sun li hai...
Aayush: to kya ho gaya yaaar jab drasti khud hi uske paas ja rahi hai to tujhe
kya problem hai...
Yash ne ye sun kar use eak jhapad aur mara...
Yash: mujhe nahi pata tha tu itna kamina hai...agar aaj mujhe drasti ko bachane
na jana hota to tujhe yahin jinda gaad deta...taki aage koi dost apne dost ko
dhoka na de sake...
Yash itna keh kar sahil k ghar ki or nikal gaya...raste me hi use sahil ki gadi
dikh gayi...yash ne apni bike uske gadi k samne le ja kar road k bicho bich
rok diya...
Sahil aur drasti gadi se utare...
Sahil: yash ye kya majak hai...agar tumhara accident ho jata...
Yash ne bus usko apna haanth dikha diya...aur drasti ka haanth pakad liya aur
use le jane laga...tabhi drasti ne usse haanth chudate hue kaha...
Drasti: ye kya harkat hai...aap kis haq se mujhe yahan se le ja rahe ho...
chodo mera haanth...usne yash se haanth chudana chaha...
Yash: mai tumhari koi baat nahi sununga chalo ye aadmi thik nahi hai...
Drasti ne usse apna haanth chudwa hi liya...aur kaha...
Drasti: aapki problem kya hai...aap jab apni jindagi k baare me faisla le
sakte ho to mai kyon nahi...
Yash ne uska haanth phir pakadna chaha tabhi Sahil bich me aa gaya...
Sahil: oh ab tu sun tu akhir maan kyon nhi jata ki tujhe ladki k sath
jabardasti karne k case me andar kar doon...
Yash: aur tu kar bhi kya sakta hai kayar...maine tera chehra dekh liya hai...
Sahil: mujhe teri baat se koi farak nahi padta...ab hat nahi to mera dimag apni
jagah se hat jaega...
Yash: jo karna hai kar le mai nahi darta tujhse...
usne sahil ko kinare kiya phir drasti k samne aa gaya...
Yash: drasti mai tumhare samne haanth jodta hoon meri baat maan lo pls mere
saath chalo...tu mujhe uske baad jaise kahegi mai karunga...
wo ghutne k baal baithkar rone laga...
Drasti: aap kyon natak kar rahe ho aap to mujhse pyaar bhi nahi karte...
Yash buri tarike se toot chuka tha uske dil ki sachchayi uske juban par aa gayi...
Yash: nahi drasti mai tere se bahot pyaar karta hoon...tere bina kisi aur k
baare me sochta bhi nahi hoon...tujhe kuch ho gaya to mai ji hi nahi paunga...
tu meri jindagi hai...itne din tujhse door rehkar mar mar k jiya hoon mai
eak eak pal sadiyon ki tarah bita hai...pls mat jaa...pls mat jaa...pls
wo rota raha...
pura mahoul shaant ho gaya...drasti ki bhi aankho me aansu aa gaye...
yash ne hosh ohawas ne apna pyaar kabul kar liya tha...
drasti bhi guutno k bal baith gayi...aur usne yash ko pakad liya...
Aayush aur Rashmi bhi wahan pahunch gaye...sahil ne unko muskura kar thumpsup
ka ishara kiya...dono k chehre par muskaan aa gayi...
Drasti: kyon sataya itne din phir mujhe...
Yash: mai bhi tadpa hoon yaar eak eak pal jab jab maine tumko taklif di hai
mujhe bhi dard hua hai...
Drasti: phir taklif hi kyon di...are duniya se mere liye lad sakte ho...
to jab apko pata hai ki meri khusi aapme hai to khud se door kyon kiya...
Yash: mujhse galti ho gayi drasti...mai ye nahi samajh paya tha ki humari
khushi eak dusre me hai, eak saath rehkar hai...
Drasti: promise karo aage se aisa nahi karoge...usne sisakte hue masumiyat se
kaha...
Yash: promise nahi karu...wo itna kehkar sisakne laga...
tabhi uski nazar drasti par padi wo abhi bhi usi ghagra choli me thi...use achcha
nahi lag raha tha...usne jaldi se apni shirt nikali aur drasti k upar dal di...
Drasti ne use hanskar dekha aur pagal kaha...
tabhi yash ki nazar aayush par padi...wo phir khada ho gaya aur drasti ko bhi
khade kiya...
Yash: yash tujhe pata hai iss sahil k saath aayush bhi mila hua tha...
sabhi ne jab ye suna to shaant ho gae...par achanak rashmi hunsne lagi...
uske sath sath sabhi hunsne lage...yash ne drasti ko dekha to wo bhi muskura
rahi thi...sahil k chehre par bhi smile thi...
Yash: drasti ye husne ki baat nahi hai...wo kuch aur bolta usse pehle hi
sahil bol pada...
Sahil: yash ye sab natak tha jo humne tumse tumhare dil ki baat nikalwane
k liye kaha tha...phir usne saaari kahani yash ko bata di...yash isse bahot
bada jhatka laga...
Yash ne drasti ki or dekha aur na me ishara karne laga...
Drasti ko laga ki yash gussa hoga ao kuch kehne wali thi ki yash ne kaha...
Yash: kuch mat kehna itna pyaar karti ho tum mujhse...aur mai kitna bewkoof
tha jo tumhe khud se door kar raha tha...thank u drishu mera dimag sahi
jagah lane k liye...
Yash: sorry sir maine apko bhi bahot kuch keh diya...mujhe to apko thanks
kehna chahiye tha ki apne mujhe apne pyaar se milwaya...
aap jaise log kahan hote hain jo apna kimti samay inn sab chizon ko den...
Sahil: are nahi bhai aisi koi baat nahi hai...mai kya koi aur bhi ye karta
chalo ab ant bhala to sab bhala...par ye mat sochna ki maine ye sab tunhare
pyaar k liye bus kiya hai...
Yash: mai samjha nahi sir...
Sahil: yash ye jindagi hai na eak baar hi milti hai hume ise eak baar hi jeena
hai...tum abhi school me ho ye bahot hi kimti samay hai tumhare life ka...
mai nahi chahta tha ki tum iss mod par eak rista khatam hone se life me
piche chale jao...dost jab riston aur pyaar ka sath chuta ta hai na to
dil ka har hissa bikhar jata hai aur dimag kaam karna band kar deta hai...
ye maine dekha hai...
Yash: sir thanku...
Sahil: are yaar thank u mat kaho...aur agar kehna hi hai to aayush ko kaho
ye sara plan usi ka tha...aise dost bhi kismat se hi milte hain...
achacha ab mai chalta hoon teen din se bahot busy raha ab kaam bula raha hai...
Yash: jane se pehle eak baat puchun sir...
Sahil: haan pucho...
Yash: sir kya apne bhi kabhi pyaar kiya hai...
Sahil k chehre par eak halki se muskaan aa gayi...aur usne kaha...
Sahil: badi lambi kahani hai kabhi waqt milega to fursat se sunaunga...
drishu take care...aur yash be strong yaar aise kamjor rahoge to piche
reh jaoge...Aayush apna aur arshmi ka khayal rakhna...Bye friend kabhi
jarurat ho to phir mulakat hogi...
Sahil wahan se nikal gaya...sabhi use hairani se jate hue dekhte rahe...
bina swarth k aaj kal koun kiski madad karta hai...wo bhi bina jatae bina
ehsan dikhae...ye to kisi dil se jeene wle insaan ki hi bus ki baat hai...
Tune mere jaana..
Kabhi nahi jana..
Ishq mera dard mera.. haaye...
Tune mere jaana..
Kabhi nahi jaana..
Ishq mera dard mera ...
Aashiq teraaa....
Bheed mein khoya rehta hai
Jaane jahaan
Poochho toh itna kehta hai
Tune mere jaana..
Kabhi nahi jana..
Ishq mera dard mera.. haaye..
Sahil k jane k baad sabhi kuch der shant rahe phir yash ne aayush ki taraf
dekha aayush ki nazar jab usse mili to usne apna mooh mod liya...
Yash: aayush bahot lagi kya yaar...uske mooh par nishan pad gaye the...
sorry mere yaar maaf kar de...usne kaan pakad k kaha...
Aayush se ye dekha nahi gaya wo yash k gale lag gaya...
Aayush: bhai maafi mat mang yaara...teri dosti k liye to mai aise kitne
maar jhel sakta hoon...
Yash: to roz kha liya kar...
Aayush: haan yaar...use khayal aaya ki yash ne kya kha hai...saale kya bola...
usne yash ko marne ka ishara kiya phir uske gale lag gaya...
Yash: drasti sach me mujhe maaf kar de...maine tujhe bahot dukh diya hai...
Drasti ne uske mooh par apne haanth rakh diye...
Drasti: ab chodo ye sab baaten...jo hua achcha hua isse humara pyaar
aur majboot hua hai...
Yash: wo sab to thik haai par aayush aur rashmi ko kaise pata chala...
Drasti: wo sab mai apko baad me bata dungi...ab chalo natak karne
k chakkar me maine dress tak change nahi ki hai...aise apki shirt
pehen k ghar thodi na jaungi...
Yash ne muskura kar use apne gale laga liya aur apni nak drasti ki nak se chuwa diya...
Aayush: oh bhai ye road hai...chalo ab nahi to koi dekh lega...
Sabhi school gae...wahan function bhi bhi chal raha tha...drasti ne apne
dress change kiye...phir charo apne apne ghar chale gae...rashmi aayush
k sath...aur drasti yash k sath...
Aaj aakhirkar Yash ki khamoshiyon ka ant hua...
ab ye ant tha ya kuch aur...
ab aage kya hoga ye to niyati hi jaane...par aaj eak pyaar ka
joda eak ho gaya tha...aur Drasti ka pyaar jeet gaya tha...
uski jidd uske pyaar ko uske paas le hi aayi...
Next update me pyar ki suruwat khamoshi ke sath........