aalu
Well-Known Member
- 3,073
- 13,048
- 158
bhai ek queery hain kya strip club mein larkiya sirf kapre shed karti hain ya, physical relations bhi banati hain.UPDATE 36
Recap -
Aanchal ke masoom se chere par padi, jo is waqt mere neeche behad lachar si padi thi, aur chamak ke bad ek ghor garzana hui, jise meri tandra bhang hui, aur me bed se uth betha, aur room ka darwaza khol kar us kali barsati raat me bhaar ki aur dod pda.
Ab aage -
Basrish ki boonde mere chere par pad rahi thi, aansu aur pani doni aese mile the ki alag karna namumkin sa tha. Lekin in cheezo ki fikr na karte hue me us anderi raat me dode chale ja raha tha, mujhe apne aap se ghin si aa rahi thi, ye feeling shayad ghin nahi ek sandeh tha, ki jo me aanchu se pyar kartu hu wo pyar he ya Hawas, shayad hawas hi he ye feeling, mujhe kuch samaj nahi aa raha tha, jis karan me bina soche samjhe bhaga ja raha tha, par mujhe ye samajna chahiye tha ki me jis cheez se bhag raha hu wo me hi hu, me apne aap se kitna bhi bhag lu, par apne aap se bhag ke bach nahi paunga
Me bhagta raha, bhagta raha, fefdo ka dum tutne ke seema tak bhagta raha, jab fefdo me sans aur pairo ka dum aur jism ne saat chhod diya, to me dhadam se neeche gir pada, na jane wo konsi jagah thi jha me pada tha, par jagah chahe koi bhi ho wha ik adbhut si shanti thi, baarish ki boode aur meri sanso ki awaz ke alawa mujhe kuch sunai nahi de raha tha, aur fir ye awaze bhi kam hoti chali gai, aur aankho ke samne andhera chata chala gaya, aur fir ek suneye ne mujhe gher liya, aur sab kuch shant ho gaya.
Me us andhere me na jane kab tak pada raha, par ye andhera bhari nahi andruni tha, mere man ka andhera, me chata ho use bahar nikal sakta tha, par me chah nahi pa raha tha wha se bahar aana.
Pakshio ki awaze mere kan me pad rahi thi, saat hi lehro ki kal-kal, par me sab kuch nazar andaz karte hue bas ek shav ki tarah pada tha. Shesa mere mathe par ek narm khal ka ahsaas mujhe hua, us khal ki madham garmi ne mano mere shav numa jism me ek-eek tarang peda kar di, uske bad ek awaaz “Raj” ne pure jism me khoon ka door se chalu kar diya.
Chata to me aakhe khol kar us awaaz ke shrot ko dekh sakta tha, par us awaaz ke shrot ke dekhne ke liye mujhe aankho ki zaroorat nahi thi, me bhali bhanti us awaaz ko phechanta tha, kaise na phechanta us awaaz ko, us awaaz ki tapad me mene kitne saal guzar diye tha, wo awaaz meri ‘Aanchu’ ki thi.
Aanchu ne mujhe ek bar aur pukara, uski awaaz me fikr jhalak rahi thi aur saath hi ek guzarish aur tapad thi, meri atma uski wo tapad mehsus kar mano ro hi padi ho, par meri majboori meri wo gilani thi jo mujhe aankhe kholne nahi de rahi thi.
Achanak aanchal ne mere sar ko utha-kar apni goud me rakh liya, aur mere sar par hath ferne lagi, par haye meri majboori, mera apraadh boodh jo mujhe aankh na kholkar aanchu ko dekhne ke liye bebas kiye hue tha.
Meri in sari socho aur udheed-bun ko us ek qatre ne toda jo meri aanchu ki palko se tapka tha, me kuch bhi bardast kar sakta tha, Meri gilani, Aanchu ka meri taraf gussa, kuch bhi, par Aanchu ki aankh me ansu nahi.
Mene turant aankh khol di, meri aankhe uske naino se meeli, wo mujhe hi take ja rahi thi, aur mere aankhe kholte hi ushe hotho par ek madham si muskan ter gai, aankho me aansu aur hotho pe muskan, aur chere par shitiz se aate suraj ki halki lalima, ek aese alokik drashye ho dikha rahi thi, jo jeevan me ek hi bar dekhne ko milta he.
Mene bolne ke liye hoth fad-fadaye hi the, ki Aanchal ne apni ungliya unper rakh di, aur aankho se kuch na bolne ka ishara kiya.
Kafi der tak me aanchu ki goud me sar rakhe leta raha, suraj ab shitij se uper aa chuka tha, jisne andhera ka muh kala kar diya, na jane kyu ap us ugte suraj ki roshni aur tapish ne mere ander ka adhera bhi kuch kam sa kar diya, aur mujhe apne ander ek nai urja si mehsus hui.
Aanchal ki aankhe jo suraj ko tak rahi thi, unhone eeka-eek meri aur dekha, uske labo to madham se muskan bas itni ki pata lage muskan he par aankho se dekha na jasake, us na dikhne wali muskan ke utar me mere hotho par bhi ek choti si muskan ter gai, shayad raat ka dosh hum dono se zada halat ka tha, par halat ke uper sara dosh mad-kar, mera gunah kam nahi ho jata, wo mujhe paras-par dheekar raha tha.
Is apradh bodh se meri aankhe ek bar aur neeche jhuk gai, jise aanchal ne bhi dekh liye. Usne apha hath se mera gaal dhere se shelaya, aur meri nazre fir se uski aur kari, par is bar nazre milte hi me khud ko rok nahi paya, aur meri aankhe nam ho gai, aur muh se shabd fut pade.
ME:
I am sorry aanchu, me janta hu jo mene galti ki he wo muafi ke layak to nahi par...
Meri baat bhi usne puri na hone di aur mere hotho par apni nazuk si ungli rakh di, aankho se ye jata diya ki kuch bhi kehene ya bolne ki zarurat nahi, aur apni muskan gheri karte hue us lamhe me dubne ka nyota de diya.
Mene bhi uske is nyote ko sweekar kar liya aur chup-chap let gaya, halki-halki hawa ret par ter rahi thi, unhi gustak hawao ne Aanchal ki lato ko cheda, aur late uske chand se chare par ghrehan ki tarah aa gai.
Mujhe ye bardast na ho saka, mene haath badha kar un lato ko chand se mukhde se fir se alag kar diya, meri harkat par Aanchal ki hasi nikal gai. Par wo sirf hasi kuch boli nahi.
Shayad us aprateem labme me kuch bolna us khubsurat lamhe ki toheen hota, isliye theen hi kiya usne kuch na bolkar.
Hum dono kafi samay us jagah rahe, ab beach par bheed badhne lagi thi, subhe-subhe thelne walo ka jatha aana shuru ho gaya tha, paksio se bhi keede-makodo ki nasta karna shuru kar diya tha.
AANCHAL
Ab chale
Aanchal dhere se boli, mene uske swal ke utar me dheeme se gardan hila di aur uski goud se ser utha liya, wo dheere se khadi hui aur hath meri aur badha diya. Mene uska haath tham liya aur uske sahare uth gaya.
Aanchal ne meri nazro me fir se dekha, mano kuch dhund rahi ho, aur fir muskurate hue aage badh gai, mujhe uski us rahasyemai muskan ka matlab samaj nahi aaya, par mujhe jane ki bhi koi icha nahi hui.
Me to bas itne me khush tha ki Aanchal ne raat ki baat to dil se nahi lagaya, aur muujhe mere ghinone apradh par muaf kar diya, usne ye shabdo se to nahi par apni harkat se jatla diya tha.
Me uske peeche chal diya, wo yaha car se aai thi, to wo car ke paas ponch gai, me bhi car ke paas ponch gaya, fir usne lock open kiya aur dodo car me beth kar ghar ki chal pade.
EXT. HOUSE - LATER
Raste bhar mere aur Aanchal me kuch baat nahi hui, par uske chere se muskan nahi ga rahi thi, uska aang ka rom-rom mano chehek raha tha, mano kuch mil gaya ho, par kya ye mujhe nahi maulm pada.
Ghar ke darwaze par Aanchal e bell bajai, to Niti ne darwaza khola, use dekh akr lag raha tha ki abhi-abhi so kar uthi he.
NITI
Are tum dono itni subha-subha kaha se aa rahe ho?
Aanchal ne turant jawab nahi diya balki use side karte hue, aage badh gai aur jate-jate jwab diya.
AANCHAL
Ise bahar ghumne ka man tha to ghuma ke la rahi hu
Usne ye baat kuch sharat me boli aur fir kitchen me chali gai. Niti ne bhi aage koi swal nahi kiya aur fir se paas ke couch par ondhe muh pad ke so gai.
Mene nazre dodai to malum pada Rana yaha nahi he, shayad wo raat me hi nikal gaya hoga.
AANCHAL
Le Coffee pele
Mere vichar ki shrankhla ko Aanchal ki baat ne toda, jo haath me coffee liya samne khadi thi. Mene uske haath se coffee le li aur pas ki chair par beth gaya, tab tak Aanchal bhi apno coffee le aai, aur mere baju me beth gai.
Dono coffee ka maza lene lage, mujhe laga wo kuch baat shuru kare gi, par wo kuch na boli, aur me kya bolu ye mujhe samaj nahi aa raha tha.
Kher aese ki udheed-bun me coffee khatam ho gai, Aanchal ne cup mere haath se liya aur kitchen ki aur badh gai.
Ab mene bhi raat ki baat ko ek bure khwaab ki tarah samaj kar bhul jane ki sochi, kyuki mere samne aur bhi badi chunotiya thi ab, Randhir Ahlawat ko zald se zald club ki internal jankari deni thi collect karke, taki wo Raka ko kisi tarah rok sake.
Aur Aanchal ko waha se sahi salamat le jana tha, tabhi mujhe yaad aaya aaj to Mehreen ki bhi fligh he, mene apne mathe par haath mara, raat ke jhemele me ye sab to bhul gaya.
Fir me jaldi se apne room ki aur badha, room me ponchte hi ek bar aur raat ki ghatna mere dimag me kondh gai, na jane kyu par use sochte hi mere shareer me jhur-jhuri si dodh gai.
Mene fir is soch ko darkinar karte hue, aage ke plan ke bare me sochne shuru kiya, aur fresh hoker, wapas Aanchal ke ghar ki taraf aa gaya.
Me seedhio se neeche aaya to teeno ladkiya ki aawaze aana shuru ho gai. Hall me aaker dekha to Aanchal nasta ready kar rahi thi, aur Niti dinning table par beethi Neembu pani pee rahi thi, shatad raat kuch zada ki pee li isne.
NITI
Hello darling kaise ho, kaha gaye the subha subha apni didi (dheeme se GF) ke saath ghumne
Niti ne shararat aur dheeme se GF wali baat jod di, me uski baat par muskura diya aur paas ki chair par beth gaya.
ME:
Bas aese hi hawa khane chale gaye the, ye chhod Mehreen kaha he uski flight ka time ho raha he, wo ready hui ya ...
Mere baat ko beech me kat-te hue Mehreen ki awaaz aai.
MEHREEN
Me to ready hu, in dono ko bol
Mene peeche mud kar mehreen ki aur dekha, aaj wo alag hi khil-khili lag rahi thi, shayad itne dino ke baad apne pariwar se milne ki khusi thi jo uske hao-bhao se jhalak rahi thi.
Itne me aanchal kitchen se nasta le aai.
AANCHAL
Ha ha hum bhi tyaar hue bad 10 minute me tab tak tu aur Raj nasta kar lo
Ye bolker Aanchal, Niti ko kheenchte hue tyaar hone chali gai.
Mehreen bhi paas ki chiar par beh gai aur hamne nasta shuru kar diya.
MEHREEN
Raj thank you, me bata nahi sakti ki mujhe kitni khusi he aaj wapas ghar jane ki, aur is sabka shrey tumhe jata he
Uski aankho me khusi aur kartagyeta ka mila jula pani tha. Mene uske haath par apna hath rakh kar uska dhandas badhaya.
ME:
Isme thank you ki kya baat, that;s what friends for? hahaha
Meri hasi par wo bhi muskura di.
MEHREEN
Fir bhi thank you, aur kabhi moka mile ko Chandigarh zarur aana milne.
Mene ha me gardan hila di.
Tab tak hamara nasta bhi ho gaya, aur Aanchal aur Mehreen bhi tyaar hoker aa gaye.
NITI
Chal meri Banno teri widai karke aate he hihihi
Niti ne Mehreen ko cheeda, Mehreen ne bura sa muh banaya. Fir hamne uska thoda-bahot saman car me rakha aur airport ki aur nikal gaye.
Hum airport se kuch door hi te ki Niti ne car rokne ko bola.
NITI
Raj car rok de
Mene car rok di aur Niti ki aur aascharye se dekha.
NITI
Peter aaj sher me nahi he, to agar hum (Niti & Aanchal) ise aage gaye to club me alarm baj gayega, aur Peter he nahi jo cover kar sake isliye...
Me uski baat samaj gaya, Mehreen ise khush nahi thi ki uski friends use airport tak see off karne nahi aa sakti, par wo janti thi agar possible hota wo dono zarur aati.
Kher fir Niti aur Aanchal ne Mehreen ko wahi se see off kiya, Mehreen, Niti aur Aanchal teeno ki aankhe num thi, shayad is mushkil jagah saath rehte-rehte unke beech ek pariwarik rishta ban gaya tha.
Mehreen ne Niti aur Aanchal ko chandigarh aane ka nyota diya, jise Niti aur Aanchal ne halke se muskura har gardan hila kar swikar kar liya, par janti to wo teeno hi thi ki shayad ab aage mulkat ho ya na ho, iski koi guarantee nahi, par shabdo se koi iska izhaar nahi kar raha tha.
Fir Niti aur Aanchal ko waha choodkar me Mehreen ko lekar airport aa gaya, uski flight ka time ho chala tha.
MEHREEN
Theek he raj me chalti hu, moke lage zarur aana ghar, mujhe behad khushi hogi.
Mehreen ye bolker terminal ki aur jane lagi.
ME:
Mehreen suno
Mehreen wapas palat gai, mene apne haath me liye theli use de di, usne swalia nazro se meri aur dekha.
ME:
Isme kuch paise he tumhare kaam aayenge.
MEHREEN
Par...
ME:
Mano meri baat rakh lo, mushkil waqt me paisa hi kaam aata he, me waha par tumhari kuch madad to nahi par sakta, par agar tum inhe accept kar logi mujhe ye sukan rahega me tumhare liye kuch par paya.
Mehreen ne mere aagreh par paise rakh liya.
MEHREEN
Tumne jitne meri madad ki he utna kisi ne nahi ki, iske liye me umr bhar tumhari shukr-guzar rahungi. Thank You
Mehreen ne fir mujhe dheere se gale lagaya.
MEHREEN
Apna aur Aanchal ka dhyaan rakha.
Ye bolkar wo gate ke ander chali gai, me use jate hue tab tak dekh-ta raha jab tak wo bheed ka hissa bankar nazro se oojhal na ho gai.
Mehreen ko sahi salamat vida karke, kafi sukkon mila mano ek boj kam sa ho gaya. Kher Mehreen ko bhej ke ek mission to pura hua, ab aage us Lanka jiase CLUB ki baari.
To be Continued...
Dosto Update 36 de diya he, Comments karke apne pratikriya zarur de.
(Update me deri ke liye shama prarthi he )
yeh episode awesome tha, anchala ne aaj shayad raj ko khud ke liye ek sachha pyar dekh liya, jo itni weak moment mein bhi na tuta.
uska khud pe control uske prati atut pyar ko darshata hain, ussi baat ko mehsoos karke shayad anchal aaj subah khus ho rahi hogi.