- 3,851
- 4,679
- 159
UPDATE 38
Recap -
Plane ka darwaza khula aur usme se ek admi bahar nikla aur stairs se neeche utar aaya.
ADMI
به تبریز راکا خوش آمدید
RAKA
امیدوارم همه چیز مرتب باش
د سرلشکر حمید
ADMI
همه چیز مرتب شده و منتظر سفارش شماست
Ab aage -
Aaj club me kuch zada hi chel-pehel ho rahi thi.
CHELA 1
Jonny bhai intzam sahi chal raha he
Jonny ne aas-paas dekha.
JONNY
Sale kaise na ho mera birthday he kisi aese gere ka nahi, is bar to bade sir bhi aa rahe he party me to mahool ful jamega hahaha
Jonny ki baat se mujhe bhi yaad aaya ki Aanchal ne jis function ki baat ki thi wo yehi hoga.
Jonny aue uske chele baat karte hue D’Silva ke office me chale gaye. Tabhi meri wrist par ek vibration hua, mene us taraf dekha to Randhir Ahalawat ne jo watch mujhe di thi wo vibrate kar rahi thi.
Iske vibration ka matlab tha ki yaha ke jammers ko ye watch bypass kar gai aur ye batane ke liye unhone test packets bhej kar mujhe ping kiya tha.
Ye baat jankar mujhe behad khusi hui, kyuki Randhir ke anuman ke mutabik Raka is club me zaroor aayega par kab ye unhe nahi malum tha, me ye soch hi raha tha ki mere dimag ki batti jali “SIR” ye jonny ne sir kise kha, kahi iska matlab RAKA se to nahi.
Agar aesa he to iska matlab Raka yaha 3 din baad aayega, ye socthe hi mere reed hi haddi se kampan uthte hue pure jism me lehar dod gai.
Na jane kyu me Raka ke yaha aane se dar sa gaya tha, jis tarah Randhir na uska bhanak chitran kiya tha use mere ander uske prati ek bhe sa beth gaya tha. Mene fir is taraf zada dhyan ne dete hue apne agle step ki aur kadam badhaya.
As per Randhir plan, Raka ko pakadne ke liye unhe sabse pehele is club ki aur iske charo taraf ke security ka control chahiye tha, jiske liye mujhe ye pata karna tha ki is club ka central control kaha he.
Me is baare me apna dimag laga hi raha tha ki, uper datacentre room ka darwaza khula to meri nazar us aur gai.
Ye dekhkar mera dimag me khayal aaya ki centrel control kisi aese jagah hi hota he jo kafi secure ho, is club me is datacentre se zada secure jagag ek hi he aur wo he neeche wala basement, par me waha zaker dekh chuka hu udher aesa kuch nahi so control centre ho, to ho na ho centrel control is datacentre se ander hi hona chahiye.
Ab is theory me kitni sachai thi ye to is datacentre se ander zaker ki pata chalta, isliye me chup-chap uper ki aur chal pada, abhi club me guest aane shuru nahi hue the to zada bheed-bhaad nahi thi, iske chalte kafi saare guards duty par abhi tak nahi aaye the.
Me kisi tarah nazro se bachte hua datacentre ke gate tak poncha, mujhe laga tha shayad koi lock nahi hoga aur hoga to normal lock hoga, par meri sari theories ke vepreet yaha to card swipe lock tha.
Me ab soch me pad gaya ki ander kis tarah jaya jaye check karne ke liye ki tabhi mere kandhe par kisi ka haath pada.
Mene peeche ghum kar dekha to wo wohi russian admi tha jo hame(Rana, Manoj aur mujhe) phele din mila tha.
ADMI
Boy, Don’t you know, your are not authorized to come this section of property without permission.
Usne ye baad behad sard leheze me boli thi.
ME:
Oh soory, but I am not guest here, I work in this club as a...
Usne meri baat puti nahi hone di.
ADMI
I don’t give a fuck, I know you work with Jonny but even his authority is till that line
Unse ek red line ki aur ishara kiya jo peter ke office kahtam hote hi thi.
ADMI
Beyond that it’s under my jurisdiction, and no one is allowed to come here; be it Jonny aur his father or anyone. Got it?
Us russian admi ne ye baat behad shanti par puri authority ke saat batlai thi.
Me hami me gardan hila kar waha se chala aaya, jab me neeche poncha to raghu se meri mulakat hui jo shayad ye sab majra dekh raha tha.
RAGHU
Kya be kya karna gaya tha waha, tujhe malum nahi udher un firangio ke alawa koi nahi jata
ME:
Par aesa kyu wo to club ka hi hissa he na. To waha jana mana kyu he?
RAGHU
Abe ye club dikhne me eek he, par yaha rule do chalte he ek D’Silva sir ka aur dusra K-2 ka, dono apne-apne ilake me rehte. samjha?
ME:
K-2 ye kon he?
RAGHU
Abe wohi gora jisne tujhe hadkaya tha, uska naam k-2 he, ab kyu he ye mujhe bhi nahi pata, jab se me yaha hu sab use K-2 hi khete he
Mujhe aaj nai baat pata lagi, mujhe to lagta tha D’Silva yaha ka baap he, par aaj pata laga uski power ki bhi limit he idher, par aesa kyu ek club do rule, ye mujhe samaj nahi aaya, me is peheli ka jawab soch hi raha tha ki mere dimag ki gnati baji. Ho na ho baat wohi he.
ME:
Acha raghu bhai kya koi bhi us (data centre ki aur ishara kiya) jagah nahi ja sakta K-2 ke alawa, D’Silva Sir aur Jonny sir bhi?
RAGHU
Nahi wo dono bhi udher nahi jate, eek tarah se koi bhi udher nahi jata siwae K-2 aur uske bharosemand aadmio ke aur PETER ke
Peter ka naam sunte hi meri fuse uda.
ME:
Kya peter? D’Silva Sir nahi ja sakte par peter ja sakta he, aesa kyu?
RAGHU
Dekh mujhe itna malum nahi ki Kyu? Par aesa he aur mere se phele se aesa chalta aa raha he, aur tu bhi jata isme apna dimah na laga aur apne kaam se kaam rakh, chal me chalta hu
Raghu ye bolker nikal gaya, aur chhod gaya sirf sawal ki Peter me aesa kya khaas se ki wo access kar sakta he us datacentre ko aur baki koi nahi siwaye K-2 ki team ke.
Is sari ghatna se ye baat to saaf ho gai thi ki ho na ho wohi mail control centre he yaha ka, isliye uski protection in russian ke hatto me thi.
Is nai jnakari ko jab mene pheli sari jankario se joda to chain judne lagi, aur agar mera anuman sahi he he to iska matlab D’Silva ko is baat ki jankari nahi he ki is club se ander koi bhayanak cheez band he aur na hi ki sari dancers ek distributed chabi he us cheez tak ponchne ki.
Tabhi meri wrist par ek bar aur vibration hua aur saath hi ek red light blink hui.
To Be Continued....
Update 38 de diya dosto, apne vichar zarur de.

Last edited: