Killerpanditji(pandit)
Well-Known Member
- 10,277
- 38,703
- 258
Awesome update.Update 107
-------------------
jis din jiya renu aur vikash se milne news chanel ke office gai thi. uske agle din shaam ko vikash aur renu monu ke ghar par aaye. us wakt ajju, jiya, monu, divya aur maa hall me beth kar bate kar rahe the. jabki uncle radha ko lekar park me gaye huye the. bese bhi jyadatar samay uncle park me hi bitate the. renu ko yun achank baha dekh kar sabhi log hairan hone ke saath saath khush bhi the. aakhir kaar maa ne usse poochh hi liya.
maa- renu.... tum yun achank?????
maa ka sawal sunkar renu thoda pareshan hote huye boli
renu- are maa... wo aaj meri manju di se baat hui thi. unhone bataya ki kal jiya di ko feaver aaya tha. to bus unhe hi dekhne chali aai.
renu ki baat sunkar jiya boli
jiya- are baba kuchh bhi to nahi hua he mujhe. dekho ekdum theek hun. wo to kal thodi si thakan ho rahi thi. bus isi liye.
jiya ki baat sunkar renu thoda udash hote huye boli
renu- apki thakan ka karan mai janti hun jiya di....
renu ne isharo hi isharo me apni baat keh di thi. lekin kuchh hi log uski baat samajh paye the. par renu ka jiya ke prati badla hua vyabhaar dekh kar ajju aur monu hairaan the. aur khush bhi the. parantu filhaal wo iska karan poochh kar apni khushi ko kam nahi karna chahate the. sabhi log bahi hall me beth kar baate karne lage. jabki divya sabhi ke liye cofee banane chali gai. baat ko change karte huye monu ne vikash se prashan kiya
monu- aur partakar babu.... kesa chal raha he sab?????
monu ke sawal par vikash thoda hichkichate huye bola
vikash- sab theek hi chal raha he sir...
vikash ke muh se apne liye "sir" sunkar monu thoda hairan hua.... kyun ki shadi ke baad se vikash use renu ki tarah bhaiya keh kar hi bulane laga tha. par filhaal monu ne is baat ko bhi ignore karna hi theek samjha. lekin ajju ne ye baat pakad li. aur wo vikash se poochh hi betha
ajju- kya baat he vikash????? koi problam hai kya?????
ajju ke sawal se vikash thoda hadbada gaya. par jald hi samhal kar bola
vikash- haan... nahi to... koi problam nahi he sir...
ajju- to fir aaj tum monu ko bhaiya kehane ki jagah, sir kyun bol rahe ho????
ek baar fir ajju ki baat sunkar vikash hadbada gaya. par isse pehale wo apne aap ko samhal kar koi jabab de pata, renu beech me hi bol padi
renu- kuchh kuchh nahi bhai... bus kaam ka thoda sa presure hai... shayad isliye vikash ne bol diya hoga.
itna bolkar renu ne ek baar vikash ko ghoora. aur fir jiya se baat karne me busy ho gai. tab tak divya bhi sabke liye cofee le aai thi. cofee ship karte karte achanak vikash bola
vikash- mujhe aap sabhi se kuchh kehana hai.....
vikash ki baat sunkar sabhi hairani se use dekhne lage. par isse pehale wo kuchh kehata renu jo theek uske bagal me hi bethi thi. vikash ka haath dabate huye dheemi awaj me vikash se boli.
renu- koi bewkoofi mat karna yaha.... mene tumhe pehale hi yaha aane se mana kiya tha. ab jabki tum saath aa hi gaye ho to. cofee piyo aur chup chap nikal jao. mai thodi der baad aa jaungi. lekin please bhagwan ke liye koi yesi besi baat mat bolna....
renu ko vikash se yun dheemi awaj me baat karta dekh. divya ne use chheda
divya- are kya baat he renu???? milne jiya se aai ho. aur baat vikash ji se kar rahi ho???
divya ki baat sunkar renu muskurate huye boli
renu- kuchh nahi bhabhi.... wo to bus thoda office ki ek baat ka discus kar rahi thi.
divya renu ka bahana samajh gai thi. isliye ek baar fir usne renu ko chheda
divya- ye apan office ka kaam office me hi chhod kar aaya karo renu.... yaha hame kisi news chanel ki deputy MD nahi balki apni renu chahiye hoti he.
divya ki baat sun kar renu ne ek baar fir vikash ko ghoora. aur fir divya ko dekh kar muskura di. par kaha kuchh bhi nahi. jab renu ne divya ki baat ka koi jabab nahi diya to monu vikash se bola
monu- haan to vikash.... tum kuchh keh rahe the.
monu ki baat sunkar vikash ne ek nazar jiya aur renu par daali, aur fir ek lambi sansh lekar bola
vikash- baat asal me ye hai, ki mene aap sabhi se ek baat chhipai he. asal me shadi se pehale mai.....
vikash apni baat poori keh bhi nahi paya tha, ki ek baar fir renu ne use toka. par is baar usne dheemi awaj me nahi, balki normal awaj me kaha
renu- vikash mene tumse kaha he na, ki koi bewkoofi mat karo....
par vikash ne renu ki baat ignore kar di, aur dobara bolna suru kar diya
vikash- asal me mai aap sabhi ko ye batana chahata hun, ki shadi se pehale me drug leta tha.
vikash ki baat sunkar ajju aur monu buri tarah se chok gaye. par baaki logo ke reaction ko dekhkar agle hi pal wo samajh gaye, ki baaki log ye baat jante he. lekin fir bhi monu ke muh se nikal hi gaya
monu- what?????? kon sa drug????? aur ye baat tumne hame pehale kyun nahi batai?????
vikash ki baat sunkar vikash bola
vikash- bahi drug jiska anti dose ajay sir ki company banati hai. mai pehale hi ye sab aap logo ko batana chah raha tha. par mujhe dar tha ki kahi ye baat jaankar aap log renu ki shadi mujhse karane se inkaar na kar do. isliye mene us wakt aap logo ko ye sab nahi bataya.
ab tak khamosh betha ajju, vikash ki baat sunkar bola
ajju- to ab itne dino ke baad tum ye sab hame kyun bata rahe ho????
vikash- kyun ki mai renu se bahut pyaar karta hun... par mai ye bhool gaya tha ki jhoot ki buniyad par koi rista jyada dino tak nahi tikta he. mujhe meri galti ka yehsash ho chuka hai. us drug ne mujhe poori tarah se barwad kar diya he. nisha mem ko hamari shadi ke baad mere drug lene baali baat pata chal gai thi. isliye wo maaldives gai thi. is baar me mujhse baat karne ke liye. par mene unse bhi sach chhipane ki kosis ki. jiski bajah se unhone mere saath thodi sakhti ki thi. aakir kaar mene unhe sab sach sach bata diya tha. par mene unse vada liya ki wo ye baat kisi se na kahe. aur fir isi vaade ki bajah se ajay sir aur nisha mem ke bich me miss understanding ho gai thi. ek dum achanak se ye sab ho gaya tha. jiski bajah se mai bahut jyada dar gaya tha. is liye mai us wakt bhi khamosh hi raha.
vikash ki baat sunkar renu buri tarah se bhadak gai. aur gusse me boli
renu- bewkoof inshan... mene tumhe kitni baar samjhaya he. par tum hamesha koi na koi bewkoofi kar hi dete ho. tum jante bhi ho ki tum kya kar rahe ho?????
renu ki baat sunkar vikash bola
vikash- aaj pehali baar mai koi sahi kaam kar raha hun renu.... ab mai is jhoot ka mukhota aur nahi laga sakta. mai ek nai suruaat karna chahata hun. ab tak mene jo galtiyan ki he. unhe sudharna chahata hun.
vikash ki baato ka renu par koi asar nahi hua. wo fir se gusse me vikash se boli
renu- tum jante bhi ho, ki tum jo karne ja rahe ho uska anjaam kya hoga??????
vikash- nahi janta.... par itana jaroor janta hun, ki aaj ke baad mai najare jhuka kar nahi, balki najare mila kar baat kar sakunga.
vikash ki baat sunkar baha ek khamoshi chha gai. jab kaafi der tak koi kuchh nahi bola to aakhir me monu hi bola
monu- tumne us drug ka antidose liye ya nahi?????
vikash- mai aap logo se jhoot nahi bolunga. nisha mem ne 3 saal pehale mujhe us drug ka anti dose lene ke liye kaha tha. par mene apne male ego ke karan wo anti dose nahi liya tha. aur lagataar renu ko us antidose ke baare me jhooth bolta raha. par har baar renu ne mera jhoot pakad liya. mere dwara baar baar jhoot bolne ki bajah se mere aur renu ke beech dooriyan badti gai. jis din nisha mem ke saath wo hadsha hua tha. us din bhi mera aur renu ka us antidose ko lekar jhagda hua tha. isliye renu ke baar baar kehane par bhi mene ajay sir se uski baat nahi karwai thi. kash ki mai apni ego ko bhula kar us din ajay sir ki baat renu se karwa deta. to aaj haalaat huchh aur hi hote. nisha mem ne mujhse kaha tha ki jab tak mai us drug ka antidose nahi lunga, wo mere sareer me hi rahega. par apni male ego ke karan mujhe lagta tha, ki mai us drug ko cantroll kar lunga. lekin yesha nahi hua. us drug ki bajah se mene kai baar renu ko mentally aur physically heart kiya he.
vikash kuchh palo tak ruka aur fir renu ko dekhte huye bola
vikash- us drug ne mujhe saitaan bana diya tha. aur mujhe is baat ka yehsash bhi nahi tha. par jab mujhe is baat ka yehsash hua, to bahut der ho chuki thi. halanki kuchh dino pehale hi mene us drug ka antidose liya he. aur ab mere sareer se wo drug poori tarah se nikal chuka he. par pichhle 3 saalo me mene renu ko bahaut dukh pahunchaya he. mai yaha apni koi safai dene nahi aaya hun. par sayad ajay sir meri sthity samajh sakte he. kyun ki wo bhi usi drug ke shikaar ho chuke he.
vikash ke khamosh hote hi ajju lagbhag gurrate huye bola
ajju- tum jante bhi ho ki tumne abhi abhi jo kuchh bhi hum sab se kaha he. uska anjaam kya ho sakta he????
ajju ki baat sunkar vikash bina dare, poore atmviswash ke saath bola
vikash- nahi sir.... par itna mai jaroor janta hun ki ab mere pass khone ke liye kuchh bhi nahi bacha hai. apna pyaar to mai apni ego ki bajah se pehale hi kho chuka tha. par ab mai apni behan ko bhi kho chuka hun.
itna bolkar vikash ne ek baar jiya ki taraf dekha aur fir dobara bolna suru kiya
vikash- mujhe pata he ki itne bade dhokhe ke baad, aap logo ka mujh par yakeen karna lagbhag asambhav hai. par fir bhi mai aap sab se itna jaroor kehana chahata hun ki mene sachche dil se renu se pyaar kiya tha. aur aaj bhi karta hun. isliye mai apne pyaar ko dowara paane ke liye kuchh bhi karne ke liye taiyaar hun. pichhle 3 saalo me jo bhi mene kiya ya mujhse jo bhi galtiyan hui hai, mai uske liye us drug ko jimmedar nahi manta. kyun ki us drug ka antidose na lene ka nirnay mera hi tha. isliye mai yaha par aap sab se maafi maangne nahi aaya hun. kyun ki uska adhikaar to mai bahut pehale hi kho chuka hun. balki mai yaha apne liye saja ki ummeed lekar aaya hun. taaki mai apni galtiyon ka prayschit kar sakun. ab aap sabhi ka jo bhi faishla hoga mujhe manjoor hai.
itna bolkar vikash khamosh ho gaya. aur sir jhuka kar sabhi ke faishle ka intjaar karne laga. jabki ajju aur monu ka gusse se bura haal tha. gusse ki adhikta me wo dono lagbhag ek saath khade ho gaye. aur isse pehale wo kuchh kar pate ya keh pate. renu un dono ki taraf haath jodte huye lagbhag cheekh padi
renu- nahiiii..... bhai please nahi..... vikash ko kuchh bhi mat karna.... wo mera pati he... agar use kuchh bhi hua to mai bhi jinda nahi rahungi.....
renu ki awaj sunkar ajju aur monu bahai apni jagah par ruk gaye. aur fir dono ne lagbhag ek saath renu ki taraf dekha. renu ki aankho me is wakt aanshu the. jise dekhkar undono ka gussa hawa ho gaya. aur dono ne lagbhag ek saath renu ke pass pahunch kar use apne seene se laga liya.
ajju- tu pagal hai kya renu????? apne bhai par itna bhi yakeen nahi he tujhe..... bese hamari chhoti si natkhat gudiya kab itni badi aur samajhdaar ho gai. hame to pata hi nahi chala.
monu bhi ajju ki baat ka samrthan karte huye bola
monu- tu bakai me bewkoof hai.... itna sab kuchh akeli hi sehati rahi. aur hame bataya bhi nahi. haan hame vikash par gussa hai, par hum uske saath koi yesi besi harkat kar ke tumhe aur jyada dukhi nahi kar sakte he.
renu ne ajju aur monu ki baat ka koi bhi reply nahi diya, bus apne dono bhaiyo ke seene se lag kar roti rahi. jab kuchh der baad renu ke andar ka gubbaar nikal gaya, to wo dono bahi renu ke pass hi beth gaye. kaafi der tak baha yun hi khamoshi chhai rahi. aakhir kaar maa ne is poore mudde ko apne haato me lete huye bolna suru kiya
maa- vikash.... tumne ab tak jo bhi kiya wo galat tha. par tumne aaj yaha sabke saamne sach accept kar ke ye sabit kar diya he, ki tumhe bakai me apni galti ka yehsash ho chuka he. aur mujhe yakeen hai ki tum ab apni galtiyon se sabak lekar bhavishya me dobara koi galti nahi karoge. aur ek achchhe inshan ke saath saath ek achchhe pati bhi sabit hoge. rahi baat tumhe saja dene ki to uska adhikaar keval aur keval renu ko hi hai. aur tumhe maaf karne ka nirnay bhi keval renu hi kar sakti hai. hamme se koi bhi tumhe saja dena nahi chahata he, aur sayad renu bhi tumhe koi saja dena nahi chahati he. par bhavishya me tumhare saath rista rakhna hai ya nahi, iska nirnay keval renu karegi. aur hum sab uske faishle ke saath he. par jab tak renu is baat ka faishla nahi kar leti. wo yahi par hamare saath hi rahegi.
maa kuchh der ke liye ruki aur ek lambi sansh lekar dobara bolna suru kiya
maa- ek baat aur vikash.... aaj ke baad is mudde par kabhi bhi dobara baat nahi hogi. na hi humme se koi is mudde par tumse kuchh kahega. aur na hi tum aaj ke baad is mudde par kisi se bhi koi baat karoge. mai tumhe yaha aane jaane aur renu se milne ya baat karne se nahi rok rahi hun. aur na hi renu ko tumhare yaha jaane ya tumse milne ya baat karne se rok rahi hun. par jab tak renu koi faishla nahi kar leti. tab tak uska yaha hamare saath rahna hi theek hai.
fir maa ajju ki taraf dekhte huye boli
maa- ajju tum aur jiya, renu ke saath uske ghar par jakar uska jaroori saman yaha le aao.
vikash chup chap sir jhukaye maa ki baat sunta raha, jabki baaki logo ne bhi maa ki baat ka koi bhi virodh nahi kiya tha. aur sayad koi karna bhi nahi chahata tha. kyun ki maa ke nirnay se sabhi log sehamat bhi the. bese bhi aaj kai saalo baad maa ne is prakar ki kisi samashya me apna koi faishla sunaya tha.
maa ke dwara faishla sunane ke baad, kaafi der tak baha khamoshi chai rahi. jise kisi ne bhi bhang karne ki kosis nahi ki. bese bhi ab kisi ke pass kehane ke liye kuchh bhi nahi tha. kuchh der baad vikash baha se chala gaya. vikash ke jaane ke kuchh hi der baad ajju, jiya aur renu bhi baha se renu ka saman laane chale gaye. jabki baaki log ghar ke dushre kaamo me bussy ho gaye.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.Update 069
----------------------
Raat ke karreb 12 baj rahe the jab nisha aur ikram ugrawadiyon ke camp ke pass pahunche. Pehale un dono ne ache se us camp ko charo taraf se check kiya. Us camp me bahar pehara de rahe do logo kea law koi bhi nahi jag raha tha. Is liye nisha ne apne archar se ek ke baad ek do teer chode jo un dono ugrawadiyon ke sir ke aar paar ho gaye. Un becharon ko to chikhne ka koi mouka hi nahi mila.
Iske baad wo dono bina kisi awaj ke camp ke andar chale gaye. Camp me ku 20 kamre bane huye the. Jime se lagbhag 10 kamro me ugrawadi ghode becha kar so rahe the. Unki sankhya kareeb 60 se 70 ke ass pass thi. nisha ne ikram ko ishara kiya ki un kamro ko bahar se lock kar do, aur khud duhre kamro ki talasi lene lagi.
Ikram ne badi safai se bina kisi awaj ke un sabhi kamro ko bahar se lock kar diya jinme wo ugrawadi so rahe the. Taaki bob aha se bhaag na sake. Iske baad wo bhi nisha ke pass ja pahuncha. Baha kai kamre khali thi, aur kuchh kamro me rashan bhara hua tha. Is samay nisha jis kamre me moujood thi usme kaafi jyada matra me gola barood moujood tha.
Tab tak ikraam bhi baha aa pahuncha tha. Nisha ne ikram se bahut dhimi awaj me kaha.
Nisha- Jis bhi chij ki awasyakta ho utha lo.
Itna bolkar nisha handgranet ki tafa bad gai. usne baha se 2 hand granet utha liye. Jabki ikram ne ek ak 56 gun aur uki kuchh maggines le li. Aur kcuu hand granent bhi utha ke apne bag me aur apni jaket ki jeb me rakh liye. Iske baad nisha boli
Nisha- ikram Tumhare pass 2 minute ka samay he is camp se jitni jyada door ja sakte ho bhag jao
Ye bolte hi nisha ne ek hand granent apne haath me pakd liya. Ikraam nisha ki is harkat se samajh gaya ki wo kya karne baali he. Is liye wo bola
Ikram- nahi mai aapke bina kahi nahi jaunga
Nisha- tum samajhne ki kosis karo ikram hamre pass wakt bahut kam he.
Ikram- nahi aap jese hi iski pin nikalogi ye 30 second ke andar fat jayega. Is kamre me itna sara barood bhara he ki us dhamake se ye poora camp sookhe patto ke tarah hawa me ud jayega. Aur aap itne kam samay me bahar nahi nikal pogi
Nisha- tum meri cinta mat karo. Mujhe kuchh nahi hoga
Ikram- nahi hum dono yaha se ek saath bahar niklenge.
Nisha- ikram tumne mujhse vada kiya tha ki meri har baat manoge.
Ikram- par….
Nisha- bus ab koi par bar nahi, ye mera adesh he.
Ikram mojbbori me kebal itna hi bol paya
Ikram- zoya appi….
Nisha- ufff ikram….. mai vada karti hum mujhe kuchh nahi hoga. Aur me samay se pehale bahar nikal jaungi.
Iske baad nisha ikraam ko lagbhag bahar ki taraf dhakelti hui boli
Nisha- ab bhago yaha se jaldi. Tumhe meri kasam. Aur pichhe mud kar mat dekhna
Ikram ke pass ab koi rasta nahi tha. Teji se camp se baar hi tafa bhaga. Abhi wo kuchh hi doori par aaya thi achnak ek dhamaka hua. Ikraam bhagte bhagte achanak ruk gaya. Aur isse pehale wo kuchh samajh pata ek aur jordaar dhama hua aur poora ka poora camp hawa me sookhe patto ki tara ud gaya.
Dhamah itna tej tha. Ikram ko apne kaan ke parde fatte huye mehsoos huye. Aur us dhamake ki bajah se wo uchal kar door ja gir. Us dhamake se ek tej sosni hui aur kuchh palon ke liye yesha laga ki din nikal aaya ho. Aur fir sab kuchh sant ho gaya. Aur wo camp poori tarah se tawah ho gaya. Is dhamake me kisi ke bhi jinda bachne ki koi ummeed nahi thi.
Ikram ko jese hi hosha aaya wo khada hokar camp ki taraf jor jor se chikhne laga.
Ikram- zoya appiiiiiiiiiiiiiiiiiiii zoya appiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
Aur jab use koi halchal mehsoos nahi hui to wo ghutno ke bal beth gaya. Uski aankho me is wakt aanshu the. Aur wo camp ki hi taraf dekhe ja raha tha. Tabhi kisi ne uske kandhe par hatha rakha aur kaha
“ab jyada santy hone ki jaroorat nahi he”
Ye awaj sunte hi ikram khushi se uchaal pada aur pichhe mud kar bola
Ikram- zoya appi…. Aap thik to he. Kuchh hua to nahi
Nisha- mujhe kya hoga. Mai to ek dum thik thak hun. Khud hi dekh lo
Ikram ascharya se nisha ko dekhta hua bola
Ikram- aap itni jaldi baha se yaha tak kese aa gai….
Nisha- bus aarm se tehalte tehalte
Ye bolte huye nisha hansh padi
Ikram- come on zoya appi mai majak nahi kar raha hun
Nisha- mai bhi majak nahi kar rahi hun. Mene tumse kaha than a ki me samay se pahunch jaungi. Kyun ki meri speed aam logo se kuchh jyada he. Yesi bahut si baate he jo dhire dhire tumhe mere bare me pata chal jayegi.
Ikraam aankhe faad faad kar nisha ko dekhe jar aha tha. Yesha lag raha tha ki wo kisi jite jagte inshan ko nahi balki ek bhoot ko dekh raha ho. Isse pehale wo kuchh aur kehata nisha bol padi
Nisha- ab chalo yaha se, yaha jyada der ruukna khatre se khali nahi he. Is dhamake ki bajah se kuchh hi der me china ki poori army yaha aa dhamkegi.
Nisha ki baat sun kar ikraam ko jese bastvik sthity kha dhyaan aaya. Aur wo uth kar khada ho gaya. Iske baad wo dono teji se bhootan border ki taraf bhagne lage. Abhi wo kuchh door hi gaye the ki unhe china ki tara se kai saari gadiyon aane aane ki tej awaje aane lagi aur door se hi unki gaadiyon ki head light unhe dikhne lagi, jinhe dekhkar nisha boli
nisha- lo aa gaye un sapolo ke abba
ikram- par ye to bahut saare he, hum dono inka mukaabla nahi kar sakte
ikram ne apni baat abhi khatm hi ki thi ki tabhi unpar goliya chalne lagi,
ikram- army ki gadiyan to abhi kaafi door he to fir ye goliya kon chala raha he
nisha- goliya baha se nahi chal rahi he balki upar se chal rahi he,
ikram ne upar ki taraf dekha baha ek helicopter un dono ke thik upar ud raha tha, aur usse lagatar firing ho rahi thi.
ikram- iska kuchh karna hoga varna koi na koi goli jaroor hamari khopdi ke aar paar nikal jayegi
nisha- mene tum se kaha tha na ki mere saath mat aao fir bhi nahi maane
Vikram- agar nahi aata to itna action kaha dekhne ko milta, mujhe to maja aa raha he
nisha- tum sach me paagal ho. tumhare pass bandhne baali koi cheej he kya
ikraram- nahi yesha to kuchh nahi he, par mere paas ek tape jaroor pada he jiska use docter chot bagerah ko band karne ke liye karte he. usi se mene us officer ko bandha tha
nisha- lao jaldi do mujhe
ikram aur nisha lagaatar bhag rahe the aur isi douran ikram ne apni jeb se tape nikal kar nisha ko de diya. nisha ne bhi bhagte huye apne tarkash se ek teer nikala aur apni jacket ki jeb se ek handgranend nikal kar us teer par tape ki sahayta se band kar diya. aur fir apne archar par wo teer rakh kar bhagte huye helicopter par nisha sadha aur ikram se kaha
nisha- pin nikalo jaldi
ikram ne bina ek pal gawaye pin nikal di aur teer goli ki raftar se helicopter ki tarf bad gaya, agle hi pal ek dhamaka hua nisha aur ikram ke pass us dhamake ko dekhne ka smaya nahi tha. kyun ki kuchh hi der me helicopter ka malwa niche girene baala tha aur unhe jaldi se jald us jagah se door jana tha.
wo muskil se kuchh door hi aur ja paye honge ki tabhi un par pichhe se firing hone lagi
ikram- ek musibat door nahi hui aur dushri aa gai
aur tabhi unke bagal me ek dhamaka hua sayad kisi ne pichhe se mortar se gola daga tha
ikram- ab to gaye kaam se, goliya kya kaam thi jo ab gole bhi daagne lage kambakhat. ya khuda kuchh to reham karta hamare jaise nanhe nanhe masoom se bando ko maarne ke liye saitano ki poori fouz bhej di
yesi musibat ke samay bhi ikram ki baato ko sun kar nisha ke chehre par muskaan aa gai. par jald hoi samahl kar boli
nisha- hame bus kuchh hi door tak inse bachna he, aur fir hame indian army ki cover firing milni suru ho jayegi. kyun ki hum bhutaan border ke ek dum kareeb se gujar rahe he
ikram- par yaha se kuchh aur door jana hi muskil lag raha he, meri gun se unka kuchh hone bala nahi he, aur aap ke teer kisi ki jaan to le sakte he par mortar ka mukabla nahi kar sakte he
nisha- tumhare pass hand granend pade he kya
ikram- haan 4-5 meri jacket me aur lagbhag itne hi bag me pade huye he
itna sunte hi nisha ne apne kuchh teer aur tape ikram ko dete huye kaha lo jaldi jaldi un hand granends ko in teero par band karo. ikram nisha ka ishra samajh gaya aur usne un hand granend ko teer par band karna suru kar diya.
jaise hi pehla teer band hua nisha ne use archar par chadaya aur nishana sadha, is baar use pin nikalne ke liye ikram se kehna nahi pada kyun ki nishana sadhte hi ikram ne pin nikal di aur kuchh hi palo me pichhe ek dhamke ki awaj aai.
kuchh door jaane ke baad nisha ne ek aur teer chhod diya. aur ek baar fir bahi dhamaka, dekhte hi dekhte nisha aur ikram ne saare hand granand use kar liya. ab unke pass mukabla karne ke liye kuchh bhi nahi tha. aur tabhi unke bagal se hota hua ek gola china army ki ek gaadi se ja takraya.
nisha aur ikram ne hairani se pichhe mud kar dekha aur fir unhone ek aur gaadi ko udte dekha, hua asal me ye tha ki china army nisha aur ikram ka pichha karte huye bhutaan ki seema me aa chuki thi. jise dekh kar ikram khushi se chilla pada
ikram- hurre hum pahunch gaye zoya appi, hum pahunch gaye
aur fir indian army ki taraf se china army par lagatar firing aur gole barashne lage. majboori me china army ko pichhe hatna pada, jabki nisha aur ikram surakchhit bordar cross kar ke indian army ke camp me pahunch chuke the, jaha par sabhi army officer ne nisha aur ikram ko salute kiya. aur fir chowki incharge raghav ke saath vikram baha aaya. Chowki incharge raghav ne bhi nisha ko salute kiya aur kaha
raghav- hame aap ke is raste se aane ki soochna vikram se pehle army chief ke dwara mil gai thi, unka adesh tha ki poori takat laga do par aap logo par aanch bhi nahi aani chahiye, mai khud hi ek choti si tukdi lekar aap ki sahayta ke liye aane bala tha. par usse pehle hi aap log aa gaye, aap ne baakai me kamaal kar diya
nisha- ab tum mujhe sarminda kar rahe ho, mene yesha kuchh bhi nahi kiya hai, jo kiya hum sab ne milkar kiya. Aakhri wakt me agar tumhari sahayta nahi milti to meri saari mehnat bekar jati
raghav- aap nahi janti agent zero aap ne kya kiya he, jo kaam indian army ka har fouzi karna chahta he, jis kaam ko karne ka wo sapna dekhta he, wo kaam aaj aapne kar dikhaya he, aap ne un atankiyon aur un atankiyon ke aakaaon ke muh par ek yesha tamacha mara he, jiski gunj varsho tak unke kaano me gunjti rahegi
ragav aur bhi kuchh kehna chata tha, par vikram ne use bich me hi tok diya
vikram- ragahv kya tumhe nahi lagta ki inhe ab aaram ki jaroorat he, ye log kaafi thake huye lag rahe he.
ragav- oh i am sorry mai to bhool hi gaya chaliye pehle chal kar aaram kar lijiye. hum subhay aap se baat karenge. chaliye mai aap ko aap ke kamre tak chhod deta hun
itna bolkar ragav ek taraf bad gaya. nisha ikram aur vikram bhi uske pichhe pichhe chal diye.
-------------------------
agle din sabhi desi aur videshi media me ek hi news chhai hui thi. aur wo news thi
"aatank ke khilaf bharat ki badi karwahi
indian army ne bhutaan ke saat milkar ugrawadiyon ka safaya kiya. indian army ne na keval india me ghuspeth kar rahe ugrawadiyon ko maar giraya balki madhyam doori ki misile se unke camp ko bhi tawah kar diya jo india, china aur bhutaan ke border ke ek dum bich me tha. jiski bajah se jab bhi indian army koi karwahi karne ki sochti to china army uske bich me aa jati. jiska fayda har baar ugrawadi uthate the."
is poori news me nisha ke dwara kiye gaye kaam aur RAW ka kahi jikar nahi tha. indian media aur aala adhikariyon ne badi safaai se RAW ki karwahi china ke khilaf hi use kar li thi. aur bechara china wo kisi ko jabab bhi nahi de pa raha tha.
poori duniya me uski kirkiry ho rahi thi. aur kehta bhi kya bechara, ek to uske army head quater se indian kaidiyon ko chhudwa liya gaya tha, aur dushra uske dwara trained ugrawadiyon ka na keval safaya kiya gaya tha balki china army ko bhi kaafi nukshan uthana pada tha.
nisha jab so kar uthi tab tak suraj lagbhag sir par aa chuka tha. chuki wo ek sthaai chowki thi, is liye baha rukne ke liye sthaai nirmaan kiya gaya tha. nisha ko us kamre me theharaya gaya tha jo ki army ke bade adhikariyon ke liye banaya gaya tha. nisha ke kamre me hi atteched bathroom tha, is liye sokar uthte hi nisha fresh hone chali gai. chunki raat me hi vikram uska bag baha le aaya tha, isliye nisha ne naha kar apne kapde change kiye. aur bahar aa gai
wo is wakt dark yellow top aur dark blue jense me thi. bahar aakar nisha ne dekha ki ikram, vikram aur raghav beth kar baate kar rahe he, unse kuchh doori par wo log bhi bethe huye the jinhe nisha ne chhudwaya tha. nisha sidhe un logo ke pass pahunchi aur boli
nisha- aap log yaha???
tabhi pichhe se vikram, ikram aur raghav bhi baha aa gaye
vikram- ye sabhi bhi kal raat me hi mere saath yaha aa gaye the.
fir nisha ragahv ki taraf mudi aur boli
nisha- ragahv ji ab mujhe yaha se jana hoga, mera kaam ho chuka he
raghav- mem bura na mano to aap se ek request thi, meri poori bataliyan chahti he ki aaj dopehar ka khana aap hamare saath khaye, “hind ki serni” ke saath beth kar khana khana hamare liye garv ki baat hogi
ragahv ki request ke aage nisha kuchh bhi nahi keh saki aur usne sehmati me sir hila diya. lagbhag 1 ghante ke baad nisha ne poori bataliyan aur apne sathiyon ke saath beth kar baha khana khaya, wo khana khakar free hi hui thi ki tabhi ek special helicopter se army chief aur mr. prabhu baha aaye. jinhe dekh kar na keval nisha balki baaki log bhi chonk gaye
nisha- sir aap log yaha
army chief- “hind ki serni” ke swagat ke liye aana mere liye garv ki baat he, tumne wo kar dikhaya meri bachchi jiski jarurat hum sab kaafi samay se mehsoos kar rahe the.
nisha- sir ab aap mujhe sarminda kar rahe he. par ye “hind ki serni” ka kya chakkar he, kuchh der pehle ragahv bhi mujhe isi naam se bula raha tha
army chief- hum army baale thode ajeeb hote he, humme se koi jab bada karnama kar dikhata he to use isi prakar ke namo ka khitab mil jata he. tumare karname ko kal mene live dekha tha, aur tabhi mene tumhe ye khitab dene ka faishal kiya. aaj se tum army me “hind ki serni” ke naam se jaani jaogi, tumhe jab bhi hamari sahayta ki jarurat hogi apna parichay “hind ki serni” ke roop me de dena. tumhari har prakar se madad ki jayegi
nisha army chief ke utsah ko dekh kar keval itna hi bol pai
nisha- thanks sir
uske baad army chief aur mr. prabhu ke saath nisha, ikram aur RAW agents jinhe chhudwane ke liye ye operation kiya gaya tha helecopter me beth kar delhi ke liye rawana ho gaye. jabki baaki log jinhe nisha aur ikram chhudwa kar laaye the unhe bhi unki jagah par bhejne ka intjaam kar diya gaya tha.
bhai aaj to nahi kar sakta... par kosis karunga ki kal 2-3 updates ek saath de sakun. aaj kal yaha power cut ki problam chal rahi he. is liye thodi problam ho rahi he....Bhai update badhiya he is prakar jo inka plan tha usme ye update ek aur kadi paribar ki ekta ko bana ne me sahayak hoga
Bhai is bakat story jis mod par par chal rahi he usme ye ek update kam he plz ho sake to do update kardo plz
ajjuko jald hi apni galtiyon ka yehsash hoga bhaiVikas ko to apni galti ka ehsas ho gaya hai..
Ab Ajju ki kese apni galti ko shdharkar kab usko apni shakti ka ehasas hoga and Nisha ko wapis apni jingi me layega..
And Guruji ki bat anusar Jiya ko decide karna hoga ki Ajju and Nisha ek bar sath hoge k nai...
Please Ajju and Nisha ko ek bar sath lana kyoun ki wo dono ek jism ek jaan hai...