Update 108
--------------------
subhay ke lagbhag 8 baj rahe the. maa aur divya kichin me sabhi ke liye nasta taiyaar kar rahi thi. aur uncle hall me beth kar naste ka intjaar kar rahe the. jabki baaki log office jaane ke liye taiyaar ho rahe the. jab naste ki saari taiyaari ho gai, to maa divya se boli
maa- divya ja tu bhi jakar taiyaar ho ja. aaj tera office ka pehala din hai. mai nahi chahati tu aaj ke hi din late pahunche.
divya- par maa....
maa- ab koi par bar nahi.... mai dekh lungi sab kuchh. ab jaa bhi...
divya ke saamne maa ki baat manne ke alawa koi rasta nahi tha. isliye wo chup chap apne room me taiyaar hone ke liye chali gai. divya ke jaane ke kuchh der baad uncle ne hall me se hi maa se kaha
uncle- lagta he aaj aalu ke parathe banaye ja rahe he??????
uncle ki baat sunkar maa kichin se hi boli
maa- haan... par aapko kese pata chala?????
uncle- khushboo se.... tumhare haath ke bane khane ki khusboo ko to mai door se hi sungh kar bata sakta hun ki tumne kya banaya he.
uncle ki baat sunkar maa hanshte huye boli
maa- achchha ji.... to ye baat he... bese mai jaan sakti hun ki aaj subhay subhay achanak ye makkhan baaji kyun ho rahi he.
maa ki baat sunkar uncle bole
uncle- lo bhai ab kya mai apni biwi ki tareef bhi nahi kar sakta hu kya?????
maa- jee nahi.... kyun ki ab aapki umar apni biwi ki tareef karne ki nahi, balki bhagwan ke bhajan karne ki ho gai he.
maa ki baat sunkar uncle chid kar bole
uncle- kya matlab?????
maa- matlab ye he pati dev ji, ki ab aap buddhe ho gaye he. aur ghar me kai saare jawan bachche he. unke samne ye sab baate karna aapko sobha nahi deta.
maa ki baat sunkar uncle aur bhi jyada chid gaye. isliye wo bole
uncle- buddha hoga tera baap.... mai to abhi jawan hun...
uncle ki baat sunkar maa bhi chid kar boli
maa- suniye ji, aapko mujhse jo kuchh bhi kehana he keh sakte ho. par bina matlab ke mere pita ji ko beech me laane ki jaroorat nahi he
par uncle kaha manne baale the. wo maa ko thoda aur uksate huye bole
uncle- mai to bolunga.... tumne mujhe buddha kyun kaha....
isse pehale maa aur uncle ke beech ki ye chhed chaad aur aage badti, baha hall me renu, ajju aur monu bhi aa gaye. isliye maa uncle ki baat sunkar shant hi rahi. kuchh der ki khamoshi ke baad uncle bole
uncle- suno....
maa- haan.... kya baat he
uncle- mai keh raha tha. ki mera nasta tum pack kar do. aaj mai bahi park me beth kar hi nasta karunga. bese bhi mere dost baha aa gaye honge chess khelne ke liye.
uncle ki baat sunkar maa ne kaha
maa- thik he.....
uncle- aur suno.... aalu ke parathe thode jyada pack karna, aur saath me dahi bhi rakh dena.
uncle ki baat sunkar maa kichin se bahar aai. aur ghoor kar uncle ko dekhne lagi. jabab me uncle unhe dekhkar muskura diye. uncle ko yun muskurata dekh maa ne kuchh nahi kaha. aur bapis kichin me jakar apne kaam me bussy ho gai.
----------------------------------------------------------
uncle is wakt apne ghar se thode door bane ek park me baaki logo se door akele bethe huye the. unke saame chess bord rakkha hua tha. sayad wo chess khelne ke liye apne kisi dost ka intjaar kar rahe the. unhe jyada der intjaar nahi karna pada. kuchh hi der baad unhe saamne se ek behad khoobsoorat ladki blue jense aur pink top me, apni taraf aati hui dikhai di. jise dekhkar unke chehare par muskaan aa gai. wo ladki uncle ke pass aate hi unke saamne bethte huye boli
"hello uncle.... kese he aap"
uncle- mai to ek dum badiya hoon zoya beta.... tum batao tum kesi ho....
zoya- aap khud hi dekh lo... ek dum bhali changi hun...
zoya ka jabab sun kar uncle chess par apni chaal chalte huye bole
uncle- aaj aane me der kar di...
zoya bhi apni chaal chalte huye boli
zoya- haan uncle... wo thoda traffic me fansh gai thi. isliye late ho gai.
uncle- tum bhi badi ajeeb ladki ho.... itni door yaha is chhote se park me subhay subhay keval chess khelne aati ho...
zoya- nahi uncle chess khelna to bus bahana he. yaha to mai aapse milne aati hun...
ye bolkar zoya khilkhila kar hansh di. jabab me uncle bhi hansh diye. par uncle ki hanshi jyada der tak nahi tik saki. kyun ki zoya ne unke ek pyade ko maar diya tha. jise dekh kar uncle bole
uncle- achchha beta.... mujhse hosiyari. mujhe baato me uljha kar mere pyade ko maar diya. par tum shayad bhool gai ho, ki tumhara haathi mere oont ke nishane par he.
itna bolkar uncle ne zoya ka haathi maar diya. jise dekh kar zoya kuchh palo tak hairaan reh gai. par agle hi pal usne muskurate huye apne ghode se uncle ke oont ko maar diya. aur uncle se boli
zoya- lagta he uncle aaj aapka dhyaan kahi aur he.
uncle apni agli chaal chalte huye bole
uncle- haan sayad... aaj subhay subhay budiya se jhagda ho gaya mera...
uncle ki baat sunkar zoya hairan hote huye boli
zoya- whattt... maa ji se aapka jhagda..... par kyun?????
uncle- pata nahi... us budiya ka dimaag kharab ho gaya lagta he.....
uncle ki baat sunkar zoya apni chaal chalte huye boli
zoya- galat baat he uncle... aapko maa ji ke baare me yesha nahi bolna chahiye....
zoya ki baat sunkar uncle laparwahi se apni agli chaal chalte huye bole
uncle- koi galat baat nahi he.... suruaat usne hi ki thi. mai to subhay subhay uski tareef kar raha tha bus.... par usne mujhe buddha bol diya...
zoya- to kya hua???? aap bhi to unhe budiya bolte ho....
uncle- wo to mai keval tumhare saamne bolta hun... bese to mai usse achchhe se hi baat karta hun
zoya apni agli chal chalte huye boli
zoya- fir kya hua????
uncle- hona kya tha???? mene bhi usse bol diya ki "buddha hoga tera baap.... mai to abhi jawan hun.", itna sunte hi mirchi lag gai use....
uncle ki baat sunkar zoya muskurate huye boli
zoya- fir?????
uncle apni agle chhal chalte huye bole
uncle- fir kya???? bachche aa gaye baha.... aur hum dono ki bajah se hone baal teeshra vishwa yudhh hote hote reh gaya.
uncle ki baat sunkar zoya khilkhila kar hansh padi. par agle hi pal uska hanshna ruk gaya. kyun ki uncle ne uske dushre haathi ko bhi maar diya tha. isse pehale zoya kuchh kehati. uncle bole
uncle- ise kehate he jese ko tesha. tumne mujhe uljhakar mere pyade ko maara tha. aur ab mene tumhare haathi ko maar diya.
par agle hi pal zoya ne apne ek pyade se uncle ke ghode ko maar diya, aur muskura kar boli
zoya- uncle ji wo to sirf chara tha. asal me aapka ghoda kuchh jyada hi pareshan kar raha tha. use maarna jaroori tha. bese ghar ke baaki logo ke kya haal chal he
zoya ki baat sunkar uncle apni chaal chalte huye bole
uncle- sabhi log bussy he apne apne kaamo me. bese aaj kal renu aai hui he ghar par... aur shayad ab wo yahi rahegi....
uncle ki baat sunkar zoya thodi chonk gai, par fir jald hi samhal kar boli
zoya- whaat.... par kyun????? koi problam hai kya use????? kya uska uske pati se koi jhagda hua he?????
uncle- filhaal to yesha kuchh nahi hua he. par 2 din pehale vikash aaya tha ghar par renu ke saath. usne sayad apne baare me kuchh yesha bataya he, jiski bajah se sabhi log usse naraj he. shayad renu aur uska jhagda kai dino se chal raha he. usi ka ye natija he.
zoya ne uncle ko kuchh der gour se dekha, aur fir apni agle chal chalte huye boli
zoya- aapko poori baat nahi pata kya?????
uncle- nahi.... are us din mai shaam ko yaha radha ko lekar aaya tha. kya bhool gai????? usi din ki to baat thi. jab mai ghar par pahuncha, tab tak ajay aur jiya renu ke saath uske ghar par uska saman laane jaa chuke the. baaki logo ne jyada kuchh bataya nahi mujhe.
zoya ne hairani se uncle ko dekha aur boli
zoya- par kyun?????
uncle- bachche jab bade ho jate he, to wo apne aap ko apne maa baap se jyada hoshiyaar samajhne lagte he. jabki yesha nahi hota he. agar bachche itne hi hoshiyaar hote to fir unki life me kabhi koi problam hoti hi nahi. ab tum apne aap ko hi le lo. tum khud apne aap ko mujhse jyada hoshiyaar samajhti ho... par asal me ho nahi....
uncle ki baat sunkar zoya chonkte huye boli
zoya- matlab?????
zoya ki baat sunkar uncle ne muskurate huye uske oont ko apne bazeer se maar diya aur bole...
uncle- matlab ye ki tumne ek baar fir galti kar di... apne oont ko akela chhod diya. aur dekho wo maara gaya.
uncle ki baat sunkar zoya ne muskurate huye apni aagli chal chali, aur fir boli
zoya- to fir kya maa ji ne aapko kuchh nahi bataya?????
uncle- nahi... usne bhi mujhe kuchh nahi bataya... wo bhi apne aap ko kuchh jyada hi hoshiyaar samajhne lagi he. kyun ki saare bachche uski hi baat maante he. aur usse hi har baat discus karte he.
uncle ki baat sunkar zoya muskurate huye boli
zoya- achchha to ye baat he.... aapko is baat ka bura lag raha he, ki koi aapse kisi bhi baat ke liye discus nahi karta he.
zoya ki baat sunkar uncle ne zoya ko ek nazar dekha. aur fir apni agli chal chalte huye bole
uncle- nahi ye baat nahi he zoya... mene hamesha hi apne sabhi bachcho ko space diya he. mene kabhi bhi apna koi faishal kisi par thopa nahi he. sabhi ki ichchha ka dhyaan rakkha he. agar bachche apni maa ke jyada kareeb he, to bhala isme bura lage baali baat kya he. bese bhi saari duniya to yahi maanti he, ki maa hi bachcho ko sabse jyada pyaar karti he. jabki pita ko poori duniya ek patthar dil inshan ke roop me hi dekhti he. keval isliye kyun ki ek maa khul kar apni bhavnao ko pradarshit kar pati he. jabki ek baap chaah kar bhi yesha nahi kar pata. dukh hote huye bhi apne dil par patthar rakh kar khathorta ka mukhota lagaye rehata he. kabhi bhi kisi dushre inshan ke saamne apne aanshu nahi baha pata. kya keval isi liye ek baap apne hi bachcho ke liye paraya ho jata he????? kya bachcho ko pyaar karne ke saath saath unhe ye jatana bhi jaroori hota he, ki unka baap bhi unhe unki maa ki hi tarah pyaar karta he??????
ye sab kehate kehate uncle ki aankho me aanshu aa gaye. jise dekh kar zoya ne apne hanky se unke aanshu poonche aur boli
zoya- nahi uncle... bachcho ko ye jatana bilkul bhi jaroori nahi he, ki aap unhe kitna pyaar karte he. kyun ki bachche jitna pyaar apni maa se karte he. utna hi pyaar apne pita se bhi karte he. par pita ki hi tarah wo bhi apne pita ko ye jata nahi paate.
uncle- mujhe is baat ka bilkul bhi bura nahi lagta he zoya, ki mere bachhe mujhe pyaar nahi karte. ya mujhe apni maa ke barabar darja nahi dete. balki mujhe is baat ka bura lagta he, ki mere bachche apni samashya ko na to khud suljha pa rahe he. aur naa hi mujhe uske baare me bata kar, use suljhane me meri help le rahe he. bus apne aap ko dukh diye ja rahe he. sara parivaar dhire dhire kar ke bikhar raha he. aur mai kuchh nahi kar paa raha hun.
uncle ki baat sunkar zoya boli
zoya- sayad wo log aapko dukhi nahi dekh sakte uncle, ho sakta he isi liye aapse ye sab chhipa liya ho.
uncle ke andar ka gubbar nikal chuka tha. isliye wo jald hi samhal gaye. ek baar fir unke chehare par kathorta ka mukhota aa chuka tha. dono ke beech kuchh der khamoshi rahi. aur fir is khamoshi ko zoya ne hi bhang kiya. usne mahoul ko fir s halka fulka banane ke liye uncle ke ek aur pyade ko marte huye kaha
zoya- lagta he uncle aap ye baaji mujhse haarne baale he....
apne pyade ko marta dekh kar, uncle ne bhi zoya ka dushra oont maar diya, aur bole
uncle- pyade ko maar kar game nahi jeeta jata zoya beta.... dekho tumhara dushra oont bhi mar chuka he. ab bus tumhare ghode aur tumhara bazeer hi bacha he.
zoya- wo kaafi he aapko harane ke liye uncle
itna bolkar joya ne apne ek ghode se uncle ke duhsre ghode ko maar diya. par agle hi pal uncle ne apne pyaade se uske ghode ko bhi maar diya. aur bole
uncle- ab to bus ek ghoda aur bazeer hi bacha he....
itna bolkar uncle muskura uthe. zoya ko laga ki uncle ab kaafi had tak samhal chuke he. is liye wo boli
zoya- uncle mujhe lagta he. ki ab samay aa gaya he ki aap ghar ke baaki logo ko ye yehsash kawaye ki aap ghar ke mukhiya he.
zoya ki baat sunkar uncle thoda chonk gaye... aur fir bole
uncle- matlab?????
zoya- matlab ye uncle, ki ab tak aap jin baato ko ignore karte aaye he... unme interfare karne ka samay aa chuka he... ab tak jo hua so hua.... par agar ab aap apne parivaar ko aur jyada bikharta hua nahi dekhna chahate he, to fir aap ko bhi ghar ke baaki mamlo me dakhal andaji karni hi padegi. aap yadi apni par aa jaye to us ghar me aapke bina ek patta bhi nahi hil sakta. mujhe lagta he ki gahr ke baaki logo ki galtiyon ko sudharne ka samay aa chuka he. aur unki galtiya keval aap hi sudhar sakte he.
zoya ki baat sunkar uncle ke chehare par ek chamak aa gai... wo muskurate huye bole
uncle- sayad tum theek keh rahi ho....
itna bolkar uncle kisi soch me doob gaye. jise dekhkar zoya boli
zoya- ab kya hua uncle?????
zoya ki awaj sunkar uncle chonkte huye bole
uncl- hunnn.... are kuchh nahi... mai to bus ye soach raha tha ki suruaat kaha se karu...
uncle ki baa sunkar zoya muskurate huye boli.
zoya- suruaat karne se pehale aap ko saari jaankari bhi to honi chahiye. sabse pehale aap ghar ke sabhi sadashyao ke baare me poori jankar ikatthi karo. matlab ki ye pata karo ki asal problam kya kya he???? uske baad use solve karne ki kosis karna
zoya ki baat sunkar uncle laparwahi se apni agli chal chate huye bole
uncle- asal problan kya he ye mai janta hun, aur mai uska solution bhi janta hun.
uncle ki baat sunkar zoya hairani se boli...
zoya- kya he wo????
uncle ne zoya ke sawal ka koi jabab to nahi diya, par zoya ke reaction ko dekh kar, ek baar fir unke chehare par muskurahat dikhai dene lagi. jiska arth zoya ko samajh me nahi aaya. isliye wo uncle ke bolne ka wait karne lagi.