Donon update padhati hai
Donon awesome
Dekhte hai aage kya hota hai

Donon awesome
Dekhte hai aage kya hota hai

Update 110
-------------------
jabki nisha apne aap ko aage hone baale, ghatna kram ke liye taiyaar karne ka prayash kar rahi thi. kyun ki ab usne uncle ko jo batane ka nirnay liya tha. uske liye nisha ko kaafi jyada himmat ki awashyakta thi. jab nisha apne aap ko taiyaar kar chuki. to wo ek gehari sansh lekar boli
nisha- uncle mujhe aapko kuchh aur bhi batana he. meri zindgi ka ek yesha raaj he jo ab tak keval mere aur ajju ke alawa maa aur renu hi janti he. maa ne hum dono se vachan liya tha ki hum ye raaz aur kisi ke saamne na laaye. par mujhe lagta he ki mere is raaz ko janne ka hak jitna maa ka he, utna hi aapka bhi he. kyun ki mujhe mere asli mata pita ka pyaar to kabhi bhi nahi mila. mene to aapko aur maa ko hi apna mata pita mana he. aur aap dono se mujhe unka pyaar bhi mila he. isliye apne bachcho ke raaz janne ka jitna hak maa ko hota he, utna hi hak pita ko bhi hota he.
uncle- pagli mujhe apna pita bhi manti he, aur fir uncle keh kar bhi bulati he. koi bhala apne pita ko uncle keh kar bulata he kya???????
uncle ki baat sunkar nisha ki aankh me aanshu aa gaye. usne apne aanshuo ko ponchha aur boli
nisha- uncle mera raaj janne ke baad bhi, yadi aap mujhe apni beti ke roop me swikaar kar lenge, to mai vada karti hun ki aaj se mai aapko papa keh kar hi bulaungi. aur yadi mera raaz janne ke baad, aap mujhse nafrat karege, ya mujhe saja dena chahe to mai use bhi aapka ashirwaad samajh kar khushi khushi accept kar lungi. aur bhavishy me dobara kabhi aapko apna chehara nahi dikhaungi.
nisha ki bat sunkar uncle thoda serious ho gaye. aur nisha se poochh bethe
uncle- nisha beta.... aakhir baat kya he?????
nisha ne ek gehari sansh li, aur fir uncle ko apne aur ajju ke riste ka vastbik sach bata diya. aur sir jhuka kar uncle ke bolne ka wait karne lagi. uncle nisha aur ajju ke riste ki hakikat janne ke baad kuchh der tak khamosh hi rahe, aur fir muskurate huye bole
uncle- jo galti tumne jaan bujhkar ki hi nahi, mai bhala uski saja tumhe kese de sakta hun nisha. haan agar tumne ye sab jaan bujhkar kiya hota, to shayad mai iske liye tumhe jaroor saja deta. par nafrat to mai fir bhi nahi karta tumse. kyun ki kisi ko pyaar karna koi gunah nahi hota. bese bhi agar ye duniya ki nazar me paap he, to is paap ki jitne jimmedaar tum dono ho, utne hi hum bhi he. kyun ki tum dono ko shadi karne ke liye humne hi taiyaar kiya tha. isliye jo bhi hua uske liye apne aap ko dosh dena band kar do. tumhara ye raaz janne ke baad bhi, tumhare prati mera najariya aaj bhi bahi he. mere pyaar me ab bhi ratti bhar bhi fark nahi pada he. mai ab bhi garv se keh sakta hun, ki tum meri sabse badi beti ho. to kya ab mujhe tumhara pita kehlaane ka hak he?????
uncle ki baat sunkar, nisha ke chehare par ek muskaan aa gai. aur wo fir se uncle ke gale lagte huye boli
nisha- thank you papa... meri galtiyo ko maaf karne ke liye..... mai vada karti hun, ki aaj ke baad mai yesha koi bhi kaam nahi karungi, jiski bajah se aapka sir sharm se neeche jhuke.
uncle ne pyaar se nisha ke sir par haath fera aur kaha
uncle- yesha kaam to tumne tab bhi nahi kiya tha beta.... jo kuchh bhi hua usme tumhari koi galti nahi thi. jo hona tha so ho gaya. shayad kismat me yahi sab likha tha. bese kya ab bhi koi yesha raaz bacha he jo mai nahi janta?????
uncle ki baat sunkar nisha uncle se alag ho gai. aur kuchh der tak sochne ke baad uncle se boli
nisha- haan papa... yesha bahut kuchh he jo mere aur ikram ke alawa aur koi nahi janta. ajju bhi nahi. par mera dil keh raha he ki mai aap ko apne se judi har baat bata dun. taaki agar mujhe kabhi kuchh ho gaya to kam se kam aap meri adhuri zimmedaari poori kar sako.
nisha ki baat sunkar uncle hairaani se uski taraf dekhne lage... kyun ki nisha ke dwara kahi gai aakhri line ne unhe buri tarah se chonka diya tha. nisha ne ek gehari sansh li aur fir uncle ko uncle ko RAW ke alawa apna har raaz bata diya, jise sunkar uncle hairaani se nisha ko dekhte rahe. aur jab nisha ne baolna band kiya to wo bole
uncle- nisha beta mujhe tum par naaz he. tumne ab tak jo bhi mukam hashil kiya he, wo ek aam inshan ke bus ki baat to bilkul nahi he. par mere liye to tum hamesha meri bahi purani nisha hi rahogi. tumhari in powers aur tumhare is mukaam se mujh par koi fark nahi padta. tum kal bhi mere liye meri beti thi aur aaj bhi mere liye meri beti hi ho. jo ki ek aam inshan he. jiske andar feelings he. aur jo apne parivaar se be intaha pyaar karti he.
uncle ki baat sunkar nisha khamosh hi rahi. nisha ko khamosh dekh kar uncle fir bole
uncle- beta tumne mujhe sab kuchh bata diya he... par ab tak ye nahi bataya ki ye ikram aakhir tumhe mila kaha????? aur ye kyun aur kese tumhara bhai ban gaya?????
uncle ki baat sunkar nisha kuchh der khamosh rahi. aur fir kuchh sochte huye boli
nisha- i am sorry papa.... mai ye baat aapko nahi bata sakti.... kyun ki ye meri zindgi ka yesha raaz he jo mere saath hi dafan ho jayega. ise raaz rakne ki mene kasha li he. par mai aapko itna jaroor bata sakti hun ki ye raaz desh ki suraksha se juda hua he. i hope aap meri majboori samjhege.
nisha ki baat sunkar uncle muskurate huye bole
uncle- koi baat nahi meri bachchi.... mere liye itna ishara hi kaafi he. aur mai tumhari majboori bhi samajh sakta hun. isliye tum apne man me koi guilt ki bhavna mat rakhna. kyun ki mai janta hun ki meri beti kabhi bhi koi galat kaam nahi kar sakti. i hope tum meri tarah desh ke har pita ho apne upar garv karne ka mouka dogi. bus ek request he tumse. ki tum jo bhi karo aur jese bhi karo bus apne aap ko zinda rakhna... kyun ki hum sab ki jaan tumhare andar basti he....
uncle ki baat sunkar nisha muskurate huye boli
nisha- mai is baat ka aapse vada to nahi kar sakti par kosis jaroor karungi papa, par mene abhi abhi aapko jo kuchh bhi bataya he, wo mere aur ikram ke baad keval aap hi jante he. aap samajh rahe he na ki mai aapse kya kehana chah rahi hun?????

uncle- haan mai achchhi tarah se samajh raha hun, ki tum kya kehana chahati ho. tum nischint raho beta, ye sabhi raaz hamesha ke liye mere andar dafan rahege. agar tum khud bhi ye baate kisi aur ko bata dogi. tab bhi mai in sab se anjaan hi bana rahunga.

nisha- thank you papa...
nisha ki baat sunkar uncle muskurat huye bole
uncle- pagal kahi ki.... koi bhala apne pita ko thank you bolta he kya... bese ab tumhara aage ka program kya he????? tum sabke saamne kab aane baali ho?????
uncle ki baat sunkar nisha is baar fir khamosh hi rahi.... kyun ki ye wo sawal tha, jiska jabab filhaal uske pass bhi nahi tha. isliye nisha kaafi der tak khamosh hi rahi. use yun khamosh dekh kar, uncle ne use ek baar fir toka
uncle- kya baat he nisha????? kya koi problam he????? agar tum mujhe nahi batana chahati to koi baat nahi....
uncle ki baat sunkar nisha boli
nisha- nahi papa.... yesi baat nahi he. par aapke sawal ka jabab filhaal mere pass bhi nahi he. kyun ki mene iske baare me abhi kuchh socha hi nahi he. pata nahi mera dil kyun baar baar mujhse ye keh raha he ki abhi nahi, abhi samay nahi aya he. aur pichhle kuchh samay se mujhe bure bure khyaal bhi aa rahe he. jese ki mujhe mehsoos ho raha he, ki mera saath aap sabhi ke liye bus yahi tak ka he.
nisha ki baat sunkar uncle thoda serious hote huye bole
uncle- ho sakta he ki itne samay tak apno se door rehane ki bajah se ye sab ho raha ho????
nisha- ho sakta he papa... par jab tak mere man ki uthal puthal shant nahi ho jaati, tab tak mai is baare me sochna bhi nahi chahati. lekin jis tarah se poora parivaar ek ek kar ke bikhar raha he. wo bhi mujhse bardast nahi ho raha he. isliye mai sab kuchh theek karna chahati hun. lekin uske liye mujhe aapki help chahiye
uncle- mai to hamesha se tumhare saath hun beta. bolo kya plane he????
nisha- me chahati hun ki hum ek saath do taraf se apna kaam kare. mai ajju, vikash aur renu ko raste par laati hun. aur aap baaki logo ko samhalo.
nisha ki baat sunkar uncle kuchh sochte huye bole
uncle- theek he... me taiyaar hun....
nisha- par iske liye hame sabhi logo ke baare me saari jankaari chahiye. aur ye kaam keval aap hi kar sakte he....
uncle- tum uski fikar mat karo... mai sab pata kar lunga.... abhi tak mene jan bujhkar intrest nahi liya tha. par ab mere pass karan bhi he. aur mere saath tum bhi ho...
nisha- to theek he papa, aap aaj se hi is kaam par lag jaiye. aur haan sabse pehale mujhe renu aur vikash ke beech ki baat janni he.... mai janna chahati hun, ki aakhir yesha kya hua he un dono ke beech???? aap to jante hi he ki mai renu ki aankh me ek aanshu bhi bardast nahi kar sakti hun.... halanki mai kaafi dino se sab par najar rakh rahi hun... is liye mai bahut kuchh janti hun... par renu ke baare me ab tak mujhe kuchh bhi pata nahi chala he... renu ne pichhle 3 saalo me office ke silsile me mujhe kai baar mail kiye he. baaki logo ke baare me bhi unse mujhe mail karke kaafi kuchh bataya he. par aaj tak apne aur vikash ke baare me kuchh bhi nahi bataya he... pata nahi kyun????? par mujhe ye sab kuchh theek nahi lag raha he.
nisha ki baat sunkar uncle bole
uncle- tum fikar mat karo beta.... mai sab pata kar lunga....
uncle ki baat sunkar nisha boli
nisha- to theek he papa..... aap pehale ye kaam kijiye.... tab tak mai ajju ka intjaam karti hun... kyun ki ab samay aa gaya he, ki unhe raste par laya jaye.... bahut ho gaya nashe me doobe rehana. ab unhe unki galtiyon ka yehsash karwane ka samay aa chuka he. sayad mujhe ye kaam bahut pehale hi kar dena chahiye tha. par koi baat nahi... ab bhi jyada der nahi hui he...
nisha ki baat ka uncle ne koi jabab nahi diya. bus uski baat par muskura diye. par fir achanak se kuchh sochte huye bole.
uncle- nisha tumne kaha tha, ki tumhari roop badalne baali powers ke baare me mere aur ikram ke alawa ek aur inshan janta he. wo teeshra inshan kon he?????
uncle ki baat sunkar nisha kuchh der soch me pad gai. aur fir wo muskurate huye boli
nisha- apna hi koi he papa.... aur wo hamare bikharte huye parivaar ko fir se ek karne me hamari madad bhi kar raha he. yani ki ab hum 3 logo ka ek group ban chuka he. jiska kaam bhatke huye ko raste par lana he.
uncle- par wo hai kon?????
uncle ki baat sunkar nisha kuchh der sochti rahi. aur fir usne uncle ko uska naam bata diya. jise sunkar uncle hairaan reha gaye. aur bole
uncle- use tumhare baare me kab pata chala?????
nisha- kuchh din pehale hi use mere baare me pata chala he papa. aapki hi tarah usne bhi mujhe zoya ke roop me bhi pehchan liya tha.
uncle- to fir ab????
nisha- filhaal to aap apne tareeke se kaam kijye, aur wo inshan apne tareeke se kaam karega. par yadi aap dono me se kisi ko bhi help ki awashyakta hui, tab aap ek dushre ki help le sakte he. mai aaj hi use aapke baare me bata dungi.
nisha ki baat sunkar uncle kuchh sochte huye bole...
uncle- shayad yahi theek rahega...
uncle ki baat sunkar nisha kuchh der khamosh hi rahi, aur fir boli
nisha- papa maa kesi he????
nisha ki baat sunkar uncle hanshte huye bole
uncle- lo bhai.... poori ramayan khatam ho gai.... tab kahi jakar tumhe apni maa ki yaad aai he....
uncle ki baat sunkar nisha bhi muskurate huye boli
nisha- maa ki yaad to hamesha hi aati he... par aap se mil leti hun yesha lagta he ki unse bhi mil liya.....
uncle- bus bus bahut ho gai makkhan baazi.... tum khud hi zoya bankar unse kyun nahi mil leti ho
uncle ki baat sunkar nisha boli
nisha- na baba na.... aapki hi tarah wo bhi mujhe turant pehchan lengi....
uncle- tum agar apni adato ko controll karna suru kar dogi, to koi bhi tumhe nahi pehchan sakta he....
nisha- pata nahi papa... par abhi mai maa ka saamna karne ke liye taiyaar nahi hun.... maa ka samna karne ke liye mujhe bahaut jyada himmat ki jaroorat he. jo filhaal mere andar nahi he. kyun ki mere yun achanak jaane se, unhe jo dukh pahuncha he, mai uska saamna nahi kar sakti hun.
nisha ki baat sunkar uncle bole
uncle- theek he jesi tumhari marzi..... par fir bhi kabhi tumhara man unhe dekhne ka ho, to mujhe bata dena.... mai unhe bahane se yaha le aaunga. aur tum door se unhe dekh lena.
uncle ki baat sunkar nisha khush hote huye boli
nisha- haan ye theek rahega... to fir aap kal hi le aao na unhe...
nisha ka ye utabla pan dekh kar uncle bole
uncle- nahi kal nahi... abhi to mujhe use manana padega... jhagda jo ho gaya he hamara... ek do din ruko fir lata hun use....
nisha- theek he papa..... jesa aapko uchit lage.
itna bolkar nisha bapis zoya ke roop me aa gai. aur uncle se boli
nisha- papa ab mujhe jana hoga... kaafi samay ho gaya he...
aur fir nisha baha se jaane lagi. to uncle ne use ek baar fir toka...
uncle- nisha.... ek minute....
uncle ki awaj sunkar nisha ek baar fir ruk gai. uncle uske pass aye aur bole
uncle- apna contact number to deti jao.... agar koi jaroori baat hui batane ke liye to...
uncle ki baat sunkar nisha ne apne sir par haat mara aur boli
nisha- uffffff..... mai bhi kitni murkh hun...
itna bolkar nisha ne apna cell phone nikala aur uncle ke number par ek ring kar di. uncle ne turant nisha ka number zoya ke naam se save kar liya. uske baad nisha baha se chali gai. uncle kuchh der tak bahi bethe rahe. aur fir wo bhi ghar ki taraf chal diye. par aaj unke chehare par ek alag hi muskaan thi.
Awesome update.Update 110

Khel gaye guru last ki line ka jawab dediya lekin pehli line me jo kaha use skip kar diya aapneajju aur nisha ki direct mulakaat me abhi samay he.....