Update 116
---------------------
ajju aur monu abhi bhi RAw office me hi the, chunki mr. prabhu se manjoori milne ke baad jab wo bahar aaye, to unhone ikram ko mr. prabhu ke faishle ke baare me bata diya tha. pehale to ikram ko unki baat par yakeen hi nahi hua, par fir jab use mehsoos hua ki wo log sach bol rahe he, to usne unhe bahi wait karne ke liye kaha, aur nisha ke pass jakar use mr. prabhu ke faishle ke baare me bata diya. kyun ki wo bina nisha ki permission ke un dono ko baha se jaane nahi de sakta tha.
ikram ki baat sunte hi nisha sidhe mr. prabhu ke pass ja pahunchi thi, lekin unse milkar jab wo bapis aai, to wo kaafi jyada gusse me lag rahi thi, aate hi nisha ne ikram ko bata diya tha, ki ab wo is operation ko poora karne ke liye khud hi jayegi. jise sun kar ikram ko yakeen hi nahi ho raha tha. kyun ki wo achchhi tarah se ye janta tha, ki ye ek jaal he jo specially nisha ke liye hi bichhaya gaya he. is liye wo nisha ko rokte huye bola
ikram- nahi zoya appi... aap yesha nahi kar sakti, aap janti ho ki ye ek chaal he
nisha- mere pass ab aur koi rasta nahi he ikram
ikram- par aap hi kyun???? aap kisi aur ko bhi to bhej sakti ho
nisha- kisi ko bhejne ka koi fayda nahi he, operation to poora hoga nahi ulte hum apne agents se bhi haath dho bethenge
ikram- par aap janti he ki is operation me aap ki jaan ko bhi khatra ho sakta he, pichhle 3 saalon se hamre dushman keval aur keval aapke baare me hi jankariyan ikatthi karte aaye he, wo aapki kai saari khubiyon ke baare me jante he, unhone jaroor aap ki special powers ka koi na koi tod nikaal hi liya hoga. kyun ki itna to tay he ki dushmano ke bich ab ye baat raaz nahi rahi ki aap ke andar kai saari special powers he.
nisha- haan mai janti hun, par mujhe ab ye karna hi hoga. bhale hi isme ab meri jaan hi kyun na chali jaye, kam se kam me marne se pehale operation ko poora to kar hi sakti hun,
ikram- aap apne baare me nahi to kam se kam.......
ikram apni baat poori bhi nahi kar paya tha ki achanak nisha ne use tok diya.
nisha- bus ikram ab baat ko lambi khinchne se koi fayda nahi he. tum jo kehana chah rahe ho wo mai samajh gai hun, par mai faishala kar chuki hun. aur jo tum kehana chahrahe ho uska intjaam bhi me bahut pehal hi kar chuki hun... ab mere hone aur na hone se kahi bhi koi fark nahi padne bala he... haan kuchh intjaam karna aur baaki he... jo mai is mission par jaane se pehale poore kar dungi.
nisha ki baat sunkar ikram kuchh der shant raha. aur fir wo apna faishla sunate huye bola
ikram- to fie thik he zoya appi, mai bhi aap ke saath aa raha hun
nisha- nahi.... tumhari yaha jarurat he, meri absence me tumhe hi saara kaam dekhna padega.
ikram- nahi mai aa raha hun bus, bese bhi hum log sabhi operation me ek saath hi gaye he, tab bhi to yaha ka kaam manage hua hi he
nisha- ikram mere bhai meri baat maan jao... kum se kum yaha ka nahi to fir mere adhure kaam aur meri jimmedariyon ko poora karne ke liye hi yaha ruk jao.
par ikram filhaal nisha ki koi bhi baat manne ke mood me nahi tha. is liye wo bola
ikram- yahi to mai kehana chah raha hun aap se... ki aap ke upar kai saari jimmedariyan he... agar ye mission itna hi jyada jaroori he. to fir mujhe permission do.... mai akele hi is operation ko poora kar ke dikhaunga. vada karta hun ki agar meri mout bhi mere saane aa gai, to use bhi is mission ke poora hone tak wait karna hoga.
nisha- nahi mai tumhare saath ye risk nahi le sakti... tum ye baat achchhi tarah se jante ho...
ikram- aur mai aapke saath koi risk nahi le sakta appi..... mera kaam aapko is mission se kese bhi zinda bapis lana he.... rahi baat aapki jimmedariyon ki to aap khud mission se bapis aakar unhe poora karna.
ikram ki baat sunkar nisha ne use rokne ki ek aur kosis ki
nisha- mai is special team ki head hone ke naate tumhe is mission par jaane ki ijajat nahi de sakti ikram. ye mission mai akele hi poora karungi.
nisha ki baat sunkar ikar ne bhi apna aakhri faishla suna diya
ikram- nahi appi... ab to khuda bhi mujhe aapke saath jaane se nahi rok sakta he, agar aap mujhe apne saath chalne ki ijajat nahi degi, to bhi mai aapke saath aaunga. chahe baad me mujhe aapka aadesh na menne ke badle me mout ki saja hi kyun na de di jaye. ye jaal agar aapke liye he, to dushmano ko pehale meri lash par se hokar gujarna hoga, tab wo aap tak pahunch payenge.
nisha janti thi ki ab kisi bhi tarah se ikram ko rok pana namumkin he, isliye usne ikram ke aage apne hathiyaar daal diye. aur boli
nisha- to thik he, taiyari kar lo.... hum kal hi operation chakraview ke liye jayenge.
nisha ki baat sunkar ikram khush hota hua bola
ikram- oh thank you... thank you zoya appi.... mai abhi sari taiyaari kartha hun...
itna bolkar wo baha se jaane laga, par fir achanak use yaad aaya ki ajju aur monu abhi bhi nisha ki permission ka wait kar rahe he, isliye wo paltkar bola
ikram- appi bahar hall me jija ji aur manoj bhai yaha se jaane ke liye aapki permission ka wait kar rahe he. unse kya keh dun
nisha- ab bhala meri permission milne aur na milne se unpar kya fark padne bala he???? unhe jaane do, kyun ki unhe yaha rokne se ab koi fayda nahi he....
ikram- thik he appi, unse kuchh kehan he kya?????
nisha- nahi...
itna sunte hi ikram jaane laga, ki tabhi nisha ne use toka
nisha- ikram ruko jara
itna sunte hi ikram ruk gaya, jabki nisha ek paper par kuchh likhne lagi, aur jab wo likh chuki to usne bah paper achchhi tarah se turn kiya, aur ikram ko dete huye boli
nisha- ise apne jija ji ko de dena
ikram ne wo paper le liya, aur nisha ke office se bahar nikal gaya.
--------------------------------------------------------
ikram jab ajju aur monu ke pass hall me pahuncha, to use dekhte hi monu usse poochh betha
monu- agent 10... agar tumne apni poori tasalli kar li ho, aur agar tumhari agent zero ki agya ho, to hum log ab yaha se prasthan kare?????
monu ki baat ikram ko buri tarah se chuv rahi thi. par fir bhi wo apne aap ko jese tese controll kar ke bola
ikram- ji haan mr. manoj... aap log yaha se ja sakte he.....
ikram ki baat sunkar monu ke chehare par ek viyai muskaan aa gai. par jese hi uski nazar ikram ke chehare par padi, to wo hairaan reh gaya. kyun ki ikram ka chehara is wakt latka hua tha, jo ki uski hatasha ko saath saaf saaf darsha raha tha. jise dekh kar monu ko use chidane ka ek aur mouka mil gaya tha. isliye wo bola
monu- kya hua agent 10.... tumhari agent zero ki to hawa nikal gai lagti he
monu ke dwara agent zero yaani uski zoya appi ke liye yese sawdo ka praog, ikram se bardast nahi hua. aur wo bola
ikram- mr. manoj ek baat hamesha yaad rakhiyega ki agent zero RAW ki deputy chief he. aur filhaal aap na keval RAW ke ek sadashya he, balki RAW ki special task action team ke member bhi hai. jiski head agent zero hi he. isliye aapko unke liye samman janak sawdo ka prayog karna chahiye.
ikram ki baat sunkar monu buri tarah se hadbada gaya. par use apni is mamooli si jeet par kuchh jyada hi naaz ho raha tha. isliye ikram ke dwara kahi gai baat ko ignore karte huye monu use fir se chidate huye bola
monu- amma miya tum to ek chhoti si haar ko apne dil par laga ke beth gaye agent 10, ye kya bachchon ki tarah apna muh latka kar beth gaye. are hota he kabhi kabhi yesha bhi hota he
is baar ikram ne monu ki baat ka koi jabaab nahi diya, bus khamoshi se apni jeb se wo paper nikal kar ajju ko de diya, jo nisha ne use diya tha. us paper ko apne haath me lete huye ajju poochh betha
ajju- kya he ye????
ikram- agent zero ne aapko dene ke liye kaha he, i hope ise padne ke baad aap ise nast kar denge
monu ko is baat me bhi majak sujh raha tha, isliye wo fir bol pada
monu- lagta he agent zero ka dil aa gaya he hamare agent 1 matlab ki ajay par, isi liye cupke se love latter likh kar bhej diya he.
monu ki baat sun kar ikram ne gusse me monu ko dekha, aur fir aakhir kaar bol hi pada
ikram- aakhir tumne agent zero ko samajh kya rakkha he????? kya tumhari soch itni ghatiya he, ya fir tum har ladki ko keval isi nazar se dekhte ho???? tum kya sochte ho ki har ladki ki zindgi keval boyfriend ya pati tak hi seemit hai???? kya mr. ajay ke dowar do-do ladkiyon ki zindgi ke saath khilbaad karna hi kaafi nahi he, jo tum kisi aur ko bhi is list me saamil karne par tule huye ho??????? tumhari baato ko sunkar mujhe hairani hoti he mr. manjo, ki divya jesi samajhdaar ladki ne tumhe kese apna pati bana liya???? agar aapke yese vichaar use pata chal gaye, to yakeen maniye dobara aap kisi ladki ke baare me yesha kuchh kehane ke layak hi nahi bachenge.....
ikram ki baato ka monu par koi khash asar nahi hua, aur na hi use ikram ke muh se divya ka naam sunkar ascharya hua. kyun ki wo itna to samajh hi gaya tha. ki uske aur ajju ke baare me sab kuchh agent zero janti he, aur agent zero ka right hand hone ke naate ikram ka ye sab janna normal he... isliye wo dobara ikram ko chidata hua bola
monu- tum to yese bhadak rahe ho, jese agent zero tuhari behan ho....
ikram- haan yesha hi kuchh samajh lo mr. manoj... aur mujhe is baat par garv hai. par tum meri ye baat jaroor yaad rakhna ki dobara yese kisi sawd ka prayog agent zero ke liye mat karna... ye salah mai apne liye nahi, balki tumhare liye de raha hun... kahi yesha na ho ki tum anjane me hi yese sabdo ka prayog kar jao, jo ki tumhari maryada ke virudh ho..... kyun ki tum bhi kisi ladki ko apni behan mante ho....
ikram ki baat sunkar monu kuchh der to serius raha, par jald hi wo samhal gaya... aur ikram ko dekhkar muskurate huye bola
monu- are bhai tum to agent zero ke pakke chele lagte ho... aur shayad isi liye usne tumhe apna right hand banaya hai... par tum apni in badi badi bato se sach nahi chhipa sakte... aur sach ye hai ki aaj humne tumhe aur tumhari agent zero ko bina lade hi sikast de di hai...
itna bolkar monu hanshne laga. jiske jabab me ikram bola
ikram- hansh lo mr. manoj aaj din he tumhara, ek din yesha bhi aayega jab mai tum par hanshunga. bese bhi jo log apni majbooriyon ka bahana bana kar apne farz se bhag jaate he unke upar hanshne ke mouke aate hi rehate he.
ikram ki baat sunkar monu tilmila utha aur gusse me bola
monu- ye mister.... tum jante hi kitna ho hamare baare me???? tumhe sayad pata nahi he ki kitni probelams se gujhar rahe he hum log
ikram pehale se hi gusse me tha. aur monu ke is prakar bolne par wo bhi bhadak gaya, aur bola
ikram- probelams kise nahi hoti mr. manoj???? sabhi ki koi na koi personal probelams hoti he, hamara ek field agent he... kal uske mata pita ka accident ho gaya tha, wo dono hospital me apni aakhri sanshe gin rahe he, jabki kal hi wo agent ek operation ke liye india ke bahar chala gaya. kya kahoge uske baare me??? kya use apne mata pita se pyaar nahi he???? are wo is desh ke har mata pita ki surakchha ke liye apne mata pita ko yun hi chhod kar chala gaya ha, hamare ek agent ki wife ki aaj delavery hone baali he, wo pehali baar maa ban rahi he, par hamara agent ek mission par gaya hua he, isliye apni biwi aur hone baale bachche ke pass filhaal nahi aa sakta he, to kya kahoge tum ki wo apni biwi aur hone baale bachche se pyaar nahi karta he??? are wo to isliye unse itna door he taaki is desh ke baaki mard apne biwi bachchon ke saath surakchhit reh sake. par tum nahi samjhoge ye sab
ikram ki baat sun kar monu ka sir saram se jhuk gaya, usne socha hi nahi tha ki uska majak itna serious ho jayega. isliye wo maafi mangte huye bola
monu- i am sorry agent 10... mere kehane ka matlab ye nahi tha, wo to bus yun hi gusse me nikal gaya.
monu ke sorry bolne par ikram ne apne aap ko niyantrit jaroor kar liya tha, par uska gussa abhi bhi poori tarah se sant nahi hua tha. isliye usne berukhi se jabab diya
ikram- koi baat nahi mr. manoj... ab aap log yaha se ja sakte he, mujhe aapke dwara chhode gaye operatin par jaane ki taiyari karni he
ikram ki baat sunkar monu chonk gaya. aur bola
monu- whattttt????? to kya ab tum is operation par ja rahe ho???
monu ke sawal ka berukhi se jabab dete huye ikram bola
ikram- haan mr. manoj... ab mai aur agent zero dono hi is operation par jayenge
ikram ki baat sun kar monu ek baar fir chonk gaya, kyun ki wo janta tha ki agent zero kabhi bhi chhote mote operations par nahi jati he. isliye wo poochh betha
monu- par kyun????? ye to bahut mamuli sa operation he,
ikram- yahi to galat fehami he tumhari, ye koi mamuli operation nahi he, ise operation chakraview naam yun hi nahi diya gaya he. ye ek trap he agent zero ke liye, hamare kai saare dushmano ne milkar agent zero ko marne ke liye ye trap banaya he, itni baar unse haar ka saamna karne ke baad to ye swabhavik hi he, ki wo sidhe sidhe agent zero ko hi apna dushman man le, pichhle kai dino se wo agent zero ki sabhi khubiyon ke baare me jankaari ikatthi kar rahe the, jaroor unhone unka tod nikala hoga, aur bese bhi jab bhediyon ka poora ka poora jhund kisi serni par hamla kar de, to wo saare bhediye milkar us serni ko maar bhi sakte he, kuchh yesha hi is baar hone baala he, is desh ke dushman bhediyon ki tarah jhund me hind ki serni par ghaat lagaye bethe he.
ikram ki baat sunkar ajju bhi chonk gaya. wo serious hote huye bola
ajju- to kya is operation par hame bhejne ka yahi karan tha?????
ajju ke sawal par ikram ek feeki hanshi hanshte huye bola
ikram- shayad haan mr. ajay, agent zero ka manna he ki aapne aaj tak hamare kisi bhi operation me hissa nahi liya he, jiski bajah se hamara koi bhi dushman aapse parichit nahi he, aur na hi abhi tak kisi ko aapki powers aur aapki limitations ke baare me pata he, aap is operation par jakar dushmano ko na keval chonka sakte the, balki unka poora ka poora plane fail kar ke is operation ko badi aasani se complete bhi kar sakte the. agent zero ne bataya tha mujhe, ki aap dono bahut khash he, isi liye aap dono ko agent 1 aur agent 2 code diya gaya he, jo ki agent zero ke baad sabse jyada yogya agents ko hi diya jata he. aapki super natural powers bhi is operation chakraview me hamare kaafi kaam aa sakti thi, par chhodiye ab is matter par baat karne se koi faayda nahi he. aap log jaiye apni personal problems solve kijiye, RAW aap logo ke bina bhi ab tak apna kaam karti aai hai, aur aage bhi kar legi,
itna bolkar ikram ne un dono ko bahar jaane ke liye gate open kar diya, aur wo dono bina kuchh kahe baha se chale gaye, aaj jo bhi RAw office me hua usse un dono ka man kaafi upset tha, halanki wo dono apni baat manwane me kaamyab rahe the, par ikram se hui baaton ne unhe jhakjhor diya tha. itna to tay tha ki wo khud dil hi dil me ye baat accept kar chuke the, ki is operation par na jakar unhone thik nahi kiya he, khash kar ajju ne RAW me apna safar suru karne se pehale hi, apni velue anya logo ke saane kaafi kam kar li he. ye dono unme se nahi he ki apne farz se muh mod le, par un dono ne kuchh yesha hi kiya tha.
ek pal ko to ajju ke man me aaya, ki bapis jakar is operation ko apne hand over le hi le, par agle hi pal guru ji ki baate uske kaan me gunjne lagi, use yaad aaya ki uske pass samay kam he, use kisi bhi haal me nisha ko dhundna hi he. isliye usne apne man me aaye vicharon ko bahi daba diya.