• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,361
113,029
304
Update 064
----------------------

ajju pichhle do dino se farm house par nisha ke hi saath tha. yahi to wo samay hota he jab nisha saare kaam chhod kar keval ajju ke saath samay bitati he. ek tarah se ajju ke farm house par aane par wo sabhi kaam se chhutti le leti he. dono abhi abhi farm house ke pass bane jungal se ghum kar aa rahe the. dono ne apna apna haath ek dushre ki kamr me daal rakkha tha.

ajju- nishu ek baat poochun

nisha- hun

ajju- jab mai yaha nahi hota to tum bore nahi hoti kya, aakhir kaar 2 saal se tum yahi par ho aur is bich tum kahi gai bhi nahi

nisha- aap jab yaha nahi hote to mai apne aap ko kaam me itna jyada busy kar leti hun ki bore hone ka sawal hi nahi uthta,

ajju- aur jab koi kaam nahi hota us din

nisha- mai koi na koi kaam nikaal hi leti hun, varna archary ya aatm raksha ki practice karn lagti hun

ajju- kamaal he tumse saanti se raha nahi jata kya, kyun lagataar apne aap ko bussy rakhti ho

nisha- agar yesha nahi karungi to mai ek pal ke liye bhi jinda nahi reh paungi, aap ki yaad mujhe jeene hi nahi degi

ajju- kya tumhe jiya ke bapis aane ka afsos nahi hota

nisha- nahi, par is baat ka afsosh jaroor hota he ki kyun mene mama ji ki baat maan kar wo kasam le li, kitna achchha hota ki hum sab saath me rehte. ab to ye hona ek sapne ke poore hone jaisa lagta he

ajju- mujhe ab tak ye samajh me nahi aa raha ki aakhir mama ji kis baat ka intjaar kar rahe he, aakhir bata kyun nahi dete wo jiya ko ki sachchai kya he. ab to kaafi samay ho gaya he.

nisha- mujhe nahi lagta ki wo kabhi ye raaj khulne bhi denge, unke liye ab mai exist hi nahi karti.

ajju- par kyun??? kyun wo tumhare prati itne jyada badal gaye he

nisha- renu sahi kehti he, wo apni beti ke pyaar me andhe ho chuke he. aur fir wo meri sachchai bhi nahi jante

ajju- kaash ki tumne wo kasham na khai hoti aur mujhe bhi majboor na kiya hota

nisha- jo ho gaya use bhool jao, mai itne se hi khush hun ki thoda hi sahi par aap mere saath samay to gujaarte he.

baat karte karte wo dono farm house ke gaurdan me jaa pahunche the. chunki dopehar ka samay tha, aur baha kaam karne baale staff ke saare bachchhe school gaye huye the. isliye gaurdan khali tha. aur tabhi ajju ki nigaah achanak nisha ki practice baali jagah par padi, jise dekh kar wo bol betha

ajju- aakir ab iski awasyakta hi kya he, kyun lagataar practice karti rehti ho, hamaari jung samaapt ho chuki he.

nisha- jindgi ka dushra naam hi jung he. ek jung hum jeet chuke he, dushri filhaal lad rahe he. aage pata nahi kya haalat bane. is liye hame hamesha taiyaar rehna chahiye hai na.

ajju- to mai bhi to dekhun ki tum apni practice me kitni aage bad gai ho

nisha- aap majaak kar rahe ho,

ajju- nahi mai serious hun

nisha kuchh der khamosh rahi aur fir boli

nisha- kya dekhna chahte ho

ajju- do do haath ho jaye

nisha- mai kya paagal hun jo aap se do do haath karungi. mai janti hun ki aap ki powers pichhli do saalo me kaafi bad chuki he. aur physical strainght me aap ka mukabla mai nahi kar paungi

ajju- oh come on nisha, kahi yesha to nahi ki tumdar gai ho mujh se, bese tum to itni darpok kabhi nahi thi.

nisha- mai dar nahi rahi hun, bus itna bol rahi hun ki mera aur aapka koi mukabla nahi he, hum dono hi apne apne kaam me mahir he. aap ki powers mujh se alag he aur meri powers aap se

ajju- to fir aajmaate he na kis ki power jyaada he

nisha- powers to mujhme hi jyada he, aap ko haraane me mujhe jyada samay nahi lagega. par mai aap ko haraana hi nahi chahti. aap ki haar me bhi meri hi haar he

ajju ne nisha ko thoda aur uksaya

ajju- ab tum apni kamjori chhipane ke liye ye sab bol rahi ho na

itna bolkar ajju ne bahi pass me dali hui lohe ki ek moti road utha li aur apni taakt ka ek namoona nisha ko dikaane laga. dekhte hi dekhte ajju ne us road ko patle taar ki tarah ethna suru kar diya aur us moti si road ko ek spring ka aakar de diya

nisha kuchh der tak khamosh khadi rahi aur fir usne ajju se wo road le li jise ajju ne spring ka aakaar de diya tha. nisha ne dono haath se uske dono sire ko majbooti se pakda aur fir ajju ki ankho me aankhe daal kar ek jhatke me usk raod ko fir se pehle jaisa kar diya aur bahi jameen par bapis daal diya

ye dekh kar ajju hairan reh gaya, aur fir agle hi pal usne apni position lete huye kaha

ajju- to fir ho jaye

nisha bhi ab poori tarah se mood me aa chuki thi. usne bhi apni position li aur ajju ko pehle humla karne ka ishara kar diya. ajju ne nisha ki aankho me jhanka aur fir achanak nisha par hamla kar diya. ajju ne hamla karne me itni jyada furti dikhaai thi ki koi uski kalpana hi nahi kar sakta tha. par antim chhdo me nisha na keval apni jagah se hat gai, balki usne ajju ki pith me ek flying kik bhi maar di. ek to bese hi nisha ke apni jagah se hatne se ajju ka balance bigad chuka tha, upar se nisha ki kik ne rahi sahi kasar bhi door kar di, aur ajju muh ke bal niche ja gira.

ajju ne palat kar dekha to nisha kamar par apne haath rakh kar muskura rahi thi.

nisha- ek baar fir se ho jaye jaan

abki baar ajju ne position li aur fir achanak se bo pichhe hatne laga. aur jab wo kaafi door hat gaya to achanak usne nisha ki taraf dod laga di, nisha ajju ke dav ko samajh chuki thi is liye ajju ke dwara chhalang lagate hi nisha ne bhi ajju ki taraf chhalang laga di. chunki ajju ne kaafi lamba runer-up liya tha is liye wo lagbhag 10-12 feet hawa me uchhal gaya tha, par nisha bina kisi runer-up ke hi ajju se bhi jyada upar uchhl gai thi, aur isse pehle ajju apna baar kar pata nisha ne ek kik ajju ko maari, aur ekbaar fir ajju pith ke bal niche jameen par ja gira, aur lagbhag tabhi nisha bhi uske upar giri. aur girte hi usne ajju ke gaal par kiss kar liya. isse pehle ajju koi reaction de pata wo boli

nisha- maan jao jaan, tum mujhse jeet nahi sakte

itna bolkar wo uth khadi hui, ajju bhi uchhl kar khada hote huye bola

ajju- itni ashaani se to nahi

itna bolkar usne fir se nisha par hamla kar diya. is baar dono ke bich kung fu fight suru ho chuki thi. nisha ashani se ajju ke saare baar kaat rahai thi, aur fir dhire dhire nisha ne apni speed badani suru kar di. ab wo ajju ke baar rok nahi rahi thi balki ajju par baar kar rahi thi. aur ajju nisha ke ek bhi baar ko nahi ro pa raha tha, nisha ke baar itni jyada furti se ho rahe the ki use nisha ki movement dikhai hi nahi de rahe thi, use to nisha ke baar ka yehsash tab hota jab use dard hota. aur fir achanak nisha jhuk kar chakri ki tarah ghum gai jiski bajah se nisha ki ek jordaar kik ajju ke pairo par lagi aur ek baar fir ajju niche ja gira

ajju ke niche girte hi ek baar fir nisha ne use kiss kar liya aur boli

nisha- jaan practice par dhyaan do

ajju- tum thik kehti ho jaan mai tumse jeet nahi sakta.

nisha ne ajju ki taraf haath badaya taaki wo khada ho sake, par ajju ne nisha ka haath apni taraf ek jhatke se khinch liya. nisha ko iski ummeed bilkul nahi thi, isliye wo ladkhada kar niche ja giri. aur fir ajju uske upar sawar ho gaya, aur usne nisha ko ek ke baad ek kai kiss kar diye

nisha- no no no ye cheating he

ajju- jaan pyaar aur jung me sab kuchh jayaj he.

itna bolkar wo khada ho gayea. isse pehle nisha kuchh kehti ajju fir bola

ajju- jaan ab apne archar ka kamal bhi ek baar dikha hi do

nisha uchhl kar khadi ho gai aur bahi gaurdan me bane archar practice area ki taraf bad gai. ajju bhi uske pichhe pichhe baha ja pahuncha. nisha ne apna archar uthaya, aur kaman se ek teer nikal kar nishana sadha, aur agle hi pal teer target ke ek dum bicho bich ja laga.

ajju ne prasansha bhari najar se nisha ko dekha. par wo tab hairaan reh gaya jab nisha ne bahi electronic board par lage ek switch ko daba diya. switch ke dabate hi. target apne aap pehle se dugni doori par ja pahuncha. jo ki kaafi jyada doori thi. iske baad nisha ne ek baar fir nishana sadha aur teer chhod diya.

ajju ko is baar umeed nahi thi ki nisha itni jyada doori par nishana laga payegi. kyun ki aaj hawa kuchh jyada hi tej chal rahi thi. par ajju ko tab ascharya hua jab teer ek baar fir target ke bicho bich ja laga. pehle teer ke ek dum bagal me

iske baad ek baar fir nisha ne electronic board ke pass jakar ek aur switch daba diya. jiska natija ye hua ki target aniyantrit tarike se aage, peechhe, daye evam baye move hone laga. jise dekh kar ajju ke muh se nikal gaya

ajju- ab ye mat kehna ki tum is parakar ke target par nishana lagane baali ho

nisha- aap ne bilkul sahi socha hai, mai isi par nishana lagane baali hun, ek hi jagah fix target par nishaana lagane me wo maja nahi he jo us target par nishana lagane par he jiske baare me aap ko pata hi na ho ki jab aap ka teer us tak pahunchega to wo kaha hoga.

ajju- are you serious

nisha- bus dekhte jao

itna bolkar nisha ne apna nishana sadha aur teer chhod diya. aur is baar bhi teer thik nishane par laga. par nisha yahi nahi ruki usne ek ke baad ek teer chhodne suru kar diye. ajju ye dekh kar hairaan reh gaya ki wo nisha ko teer chhodte dekh raha tha, teer ko nishane par lagta dekh raha tha par nisha ke paas teer aa kaha se rahe the. kyun ki baha rakkhe teer ab bhi utne hi the jitne nisha ke nishana lagane se pehle the.

jab nisha ruki to target poori tarah teero se dhak chuka tha. ek tarike se nisha ne uske chithare hi uda diye the. ye dekh kar ajju poochh hi betha

ajju- kamaal he, par ek baat samajh me nahi aai, tumne itne saare teer chala diye par tumhare teer khatam nahi huye. kese kiya ye sab

nisha- vishwash ki taakat se jaan, kya bhool gaye vrindavan me guru ji ne hi to hame iske baare me bataya tha

nisha ke itna kehte hi ajju ko virandavan me dekha sapna yaad aa gaya. aur fir usne apna sir pakad liya

ajju- ye to had ho gai, mai to ise keval ek sapna hi samajh kar bhool gaya tha. par sayad tumhe wo yaad raha aur tumne uska abhyash bhi bakhubi kiya he

nisha- haan

ajju- to kya tum apne kundliny chakra bhi jagrit kar sakti ho

nisha- haan mai apne sabhi kundaliny chakra ko poori tarah se jagrit kar sakti hun

ajju- lagta he ki ab mujhe bhi practice suru kar hi deni chahiye

nisha- mene to aap ko kitni baar kaha he, par aap sunte hi kaha ho, ab chale mujhe bhook lagi he joro se, dekhe to sahi kya bana he aaj

itna bolkar nisha ne apna archar bapis rakh diya aur fir wo gaurdan ke bahar ki taraf chal di, uske saath saath ajju bhi gaurdan se bahar ki taraf chal diya.

par ghar ke andar jaate hi ajju ne nisha ko baho me utha liya aur use bedroom ki taraf le jaane laga

nisha- chhodo mujhe kya kar rahe ho aap

ajju- bahi jo ek pati apni patni ke saath karta he.

nisha- par ye koi wakt he is kaam ka

ajju- mujhe to din me hi jyada maja aata he

nisha- are pehle kuchh khaa to lo uske baad jo aap kahege wo hoga

ajju- nahi pehle ek round ho jaye, uske baad khana, aur khana khane ke baad man hua to hum dushra round bhi laga hi lenge

nisha- par khali pet

ajju- are jaan khali pet hi to sipahi jyada der tak jung ladta he

itna bolkar ajju ne nisha ko bistar pat patak diya aur fir room ke gate ko lock kar ke nisha par toot pada. nisha kuchh der tak kasmasati rahi aur fir wo bhi ajju ka saath dene lagi. kuchh hi der me wo dono thak kar choor ho chuke the. aur bistar par pith ke bal lete lambi labi sanshe le rahe the.
Awesome update
 
parkas

Well-Known Member
28,229
62,435
303
Awesome and excellent update....
 
  • Like
Reactions: redhat.ag and Naik

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,685
29,069
218
Update 027
---------------------------------

poonam ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha wo kabhi tv ki tarf dekhti aur kabhi ajju ke chehare ko. ajju ke chehare par aa rahe badlav ko dekh kar use apne andar kuchh tootta hua mehsoos hua. aur achanak poonam ne ajju ki color ko pakadte huye

poonam- to ye sab tumne kiya hai

ajju- haa mene hi kiya hai

poonam- aur us ladki ka kya hua

ajju ne is baat ka jabab nahi diya aur poonam ki aankho me dekhta raha

poonam- oh my god kahi tum ne sach me to unke saath

itna bolte bolte poonam ne ajju ko chhod diya aur bahi jameen par beth kar apne chehare ko apne ghutno me chipa kar rone lagi. jabki ajju kuchh der tak yu hi poonam ko dekhta raha aur fir

ajju- kuchh bhi nahi kiya mene us ladki ke saath abhi tak, itna bhi gira hua nahi hu mai jo yeshi harkat karu.

itna bolkar ajju baha se uth kar jaane laga to poonam ne uska hath pakad liya. ajju fir se bahi beth gaya

poonam- i am sorry sir pata nahi mujhe kya ho jata hai

ajju- koi baat nahi, bese bhi mai nafrat ke hi layak hu. maine kabhi kisi ko koi khushi nahi di yaha tak ki apno ko bhi nahi.

poonam- yesha mat kaho sir ham sab aap se bahut pyaar karte hai. aur aap ke baare me jaankar to mai aap ki aur bhi jyada ijjat karne lagi hu. bas mai ye nahi chahati ki aap koi galat kadam utha kar mujh se door ho jaye.

ajju ne bahut pyaar se poonam ke sir par haat fera, par ye pyaar besa pyaar nahi tha jo ek ladka ek ladki se karta hai is ki feeling kuchh alag thi. ye yehsas poonam ko bhi hua. usne ajju ki ankho me dekha

ajju- poonam mai sab samajhta hu, par mene jo rasta apnaya hai usme kabhi na kabhi wo din jaroor aayega jab mere hi hatho se koi gunah ho. ami apni nafrat mai itna aage nikal gaya hu ki ab bapis mudna sambhav nahi. tum ek achhi ladki ho zindgi abhi suru hi hui hai mai nahi chahata ki meri bajah se tum toot jao

poonam- aap sab samajthe hai sab jaante hai ki mai kya mehsoos karti hu aap ke prati fir bhi yesha bol rahe hai

ajju- isi liye yesha bol raha hu. poonam mai apne pyaar me itna aage nikal gaya hu ki ab mai kisi aur ko wo pyaar nahi de sakta. aur bese bhi pyaar ka ek hi roop nahi hota aur bhi kai roop hote hai

poonam- matlab

ajju- matlab ek ladka hamesha hi ek premi nahi hota wo ek bhai hota hai ek achha dost hota hai.

poonam- par????

ajju- mai samajhta hu. par tum bhi samajhne ki kosis karo. mai aaj us dorahe par khada hu jaha mere saamne do raste hai ek rasta tumhari taraf jata hai aur ek rasta jaha sayad mujhe aaj nahi to kal khushiya jaroor milengi aur ek rasta wo hai jaha kebal dukh hi dukh hai. par jara socho kya ye sahi hoga mai kebal apni khushi ke liye apni jarurato ke liye wo sab bhula du. mai bhula du ke bacpan me meri maa ko mujhse chhin liya gaya, mai bhula du mere papa ka khoon kar diya gaya mai bhula du ki chand peso ke liye mera pyar meri jindgi jiya ki jaan le li gai. bolo tum kya ye thik rahega. kya mai itna khudgarj hu. jabab do tum

poonam- maine yesha to nahi kaha. par iske liye aap kanoon ka bhi sahara le sakte he

ajju- mai jis raste par chal pada hu wo shirf dard aur dukh ka hai pata nahi kab meri jindgi ki akhri raat ho. par tumhare saath yesha nahi hai. tum ab bhi naye sire se jindgi jee sakti ho. maine kabhi yesha nahi kaha ki tum mujh se matlab nahi rakkho par jo rista tum chah rahi ho sayad mai tumhe na de pau. kya ham kebal ek achhe dost ban kar nahi reh sakte.

poonam- bilkul ham dost ban sakte hai par mere andar tumhare prati jo feeling janam le chuki hai unka mai kya karu

ajju- jab koi yesa insaan jo tumhe bahut pyaar kare jab bo tumhare saamne aayega to tum sab bhool jaogi. mujhe bhi.... aur ek yesa insaan hai tum janti ho use par ignore kar deti ho. wo tumhe bahut pyaar karta he. kebal ek baar meri baat maan kar uski taraf kadam bada do tumhari jindgi bahut khoobsoorat ho jayegi

poonam- aap kis ki baat kar rahe he

ajju- varun ki

poonam- nahi ye kabhi nahi hoga. agar tum mere saath apna rista kebal dosti tak rakhna chahate ho to ye hi sahi. par meri life me tumhare alaba aur koi nahi aa sakta.

ajju- agar mai hi na raha to????

poonam- kya bakwash hai ye sab???? mai tumhe kuchh nahi hone dungi.

ajju- kismat se aaj tak koi nahi jeet paya hai.

poonam- jab tumne mujhe dost banaya hai to itna to yakeen karo mujh par ki ye dost tumhe kuchh nahi hone degi

ajju ne aage kuchh nahi kaha bas yu hi betha sarab peeta raha.

raat ko lagbhag 9 baje ajju apne ghar par ya yu kahe pro. narayan ke ghar par pahucha. jaha pro. narayan yaani ajju ke mamaji sayad uska hi wait kar rahe the.

mama ji- tum akhir karna kya chahate ho

ajju- mai use saari duniya ke saamne ek dardnak mout dene bala hu.

mama ji- tum bahut khatarnak khel khel rahe ho

ajju- aap nischint rahe mama ji mai sab dekh lunga aap bas itna kijiye ki apne kisi police officer dost ko is baat ke liye manalijiye ki agar mai kamal ka address du to wo kamal ka incounter kar de.

mama ji- ho jayega ye par uska baap yadav tumhe nahi chhodega

ajju- wo is layak bachega tab na mene uske liye bhi ek plane socha hai, use to mai yesi mout marunga ki usne kabhi sochi hi nahi hogi. haa mai ye bol rha tha ki mujhe swiss bank me ek account khulbana hai

mama ji- kyu??????

fir ajju apne mamaji yaane ki pro narayan ko apna plane detail me batane laga lagbhag 1 ghante baad.

mama ji- are you sure

ajju- bilkul mamaji mai ye kar sakta hu

mama ji- thik hai mai intjaam kar dunga

ajju- mamaji aap nahi jaante aapne mujh par kitne yehsaan kiye hai.

mama ji- tum pagal ho kya. jiya meri beti thi jo mujhe karna chahiye wo tum kar rahe ho. mai kya kar raha hu bas tumhari thodi si help. bas aur kya?

ajju- aap mere liye sab kuchh ho, mere paas aap ke aur nisha ke alaba aur hai hi kon. aur fir bhale hi aap jiya ke pita ho par saadi ke baad ladki ki poori jimmedari uske pati ki hi hoti hai. aur mane jiya se saadi ki thi. pyaar kiya tha. meri poori life thi wo. mere hone baale bachchhe ki maa thi wo. un logo ne naa kebal jiya ke jaan li hai balki mere bachhe ki bhi jaane li hai.

mama ji- mai sab jaanta hu sayad ishi liye mane tuhe aaj tak nahi roka. sayad mere andar bhi badle ki bhavna thi kahi par ajju mai apne badle ke liye tumhe kisi musibat me nahi daal sakta.

ajju- aap nischint rahe maam ji jesa abhi tak hua hai age bhi bese hi hoga.

mama ji- thik hai par mujhe saari sthity batate rehna taaki mai kuchh galat hone par samhal saku.

ajju- jee mama jee

itna bolkar ajju sant ho gaya tab tak mangal kaka dono ke liye khana le aaye aur dono ne aaj kai dino ke baad ek saath beth kar khana khaya. khana khakar dono apne apne room me sone cale gaye.

agle din subhay tak ajju ke dwara bheja gaya vedio social site par chha gaya tha. delhi mai jagah jagah kamal ki giraftari ke liye pradarshan ho rahe the. news chanel bhi baar baar bahi news dikha rahe the. majboori me davab me aakar central goverment ne is mamle ki poori tarah se janch ke adesh diye aur delhi police ke DGP ne anan fanan me kamal ko jinda ya murda kirftar karne ke adesh jaari kar diye. ye ajju ke liye ek bahut badi samalta thi.

ajju ki jab ankh khuli to usne sabse pehle tv on kiya aur news chenal dekhne laga. jab use DGP ke adesh ke bare me pata cha to bahut khush hua. sayad ab wakt aa gaya tha agle kadam ka. ajju ne yadav ko phone kiya

yadav- hello kon????

ajju- bahi bol raha hu jisne tumhare bete aur beti ko kidnep kiya hai. jisne katal karte huye tumhare bete ka vedio charo taraf felaya hai.

yadav- tum akhir chahate kya ho

ajju- good ye hui na baat sidhe mudde par aane ki. mujhe kuchh khash nahi chaiye bas un sabhi account ki detail chahiye to tumne swiss bank me khulba rakhe hai. matlab ki sabhi bhrast central ministra apne 2 number ka pesha jin acount me jama karte hai unki poori detail chahiye.

yaday- ye tum kya keh rahi ho. mai un ke baare mai kuchh nahi janta

ajju- bahut ho gai teri notanki mai tere bare mai sab janta hu. ya to tu sab kuchh mujhe sach sach bata de ya fir mai pehle teri beti ke saath rape karu aur uska MMS banakar bech du jisse mujhe aram se 10-15 carore to mil hi jayenge. halaki ye bahut kam hai par koi baat nahi. par tum socho tumhara kya hoga. kitni badnaami hogi tumhari. uske baad mai police ko tumhare bete ka pata bata dunga. aur fir tum samajh rahe ho na kya hoga. fanshi hogi use fanshi. katal karta hua uska vedio viral ho chuka hai. jin bade bade netao ke pese tumne samhal kar rakkhe hai wo apna pesa to tum se bapis le hi lenge upar se tum aur tumhare parivaar ko dudh me se makkhi ki tarah nikal fenkenge.

ajju ki baat sunte hi yadav chikh pada

yadav- nahiiiiiiiii yesha mat karna mere bachchon ke sath. mai tumhe sab batata hu

fir yadav ajju ko swiss bank se related saari jaankari batane laga jise ajju ne apne pass note kar liya. fir ajju ne phone cut kar diya.

agle do din samanya tarike se bite. kuchh khass nahi hua sibay iske ki ajju ka bhi swiss bank me ek account open ho gya aur ajju ne sabhi netao ki black mony apne account me transfer kar li. ek tarike se usne yadav samnet sabhi mantriyo ko sadak par la diya tha.

jab tak ye khabar netao ko pata chalti tab tak yadav bhi apne ghar se lapata ho chuka tha. kyu ki wo jaanta tha ki agar ajju ne sara amount apne account me transfer kar liya to wo bhi nahi bach payega. sare neta mantri uske pichhe pad jayenge. bese bhi yadav ko unse koi matlab nahi tha. wo to bas apne bachcho ko lekar yaha se bahut door bhag jana chahata tha.

yadav chhip kar ajju ke bhone ka wait kar raha tha. use yakeen tha sara pesa transfer hote hi ajju uske bachho ko chhod dega. tishre din ajju ne apni agli chal chal di. usne sabse pehle apne mama pro. narayan se kaha

ajju- mama ji aap ko jis kaam ke liye bola tha wo ho gaya kya

mama ji- haa ho gaya tum bas kamal ka pata batao mere kuchh dost hai police vibhag me wo sidha kamal ka incounter kar denge.

ajju- mama ji yaad rahe uske sarir me itni goliya honi chahiye ki duniya ka koi bhi doctor un goliyo ko uske sarir se nikalne se mana kar de.

mama ji- bilkul yahi hoga

fir ajju ne raghu ko call karke kaha

ajju- kamal ko behosh kar ke use uske "Karol Bagh" bale makan me shift kar do. aur haa uske pass ek bhari hui gun aur uska mobile bhi hona chahiye.

raghu- jee bhai ho jayega

ajju- kitna time lagega.

raghu- lagbhag 2 ghante me mai kaam khatam kar dunga

ajju- thik hai kaam hote hi call kar dena

fir ajju ne phone cut kiya aur mama ji se kaha

ajju- 2 ghante hai hamare pass

mama ji- itna samay bahut hai

itna bolkar pro. narayan baha se uthkar bahar chale gaye aur phone par kisi se baat karne lage jabki ajju abhi bhe apne har me hall me sofe par betha hua tha. tabhi mangal kaka baha aaye

kaka- ajju beta kuchh chahiye kya

ajju- haa kaka kuchh peene ke liye le aao aur ye tv on kar do

mangal kaka ne tv on kar di aur fir sarab ka poora saman bahi table par laga kar chala gaya. ajju bahi beth kar drink karne laga aur remote se chanel change kar ne laga. achanak wo ruk gaya. national new chanel par kaml ke baare me news chal rahi thi. is chanel ka encour Vikash tha. jo ki crime story dikhata hai. ajju ne uske baare me kaafi jankari ikatthi kar rakkhi thi vikash ek achha insan tha. ajju ne kuchh soch kar vikash ko phone laga diya

vikash- hello kon????

ajju- mera naam jaan kar kya karoge bas apne matlab ki baat suno utna kaafi hai

vikash- kya?

ajju- mujhe pata hai is samay yadav ka ladka kamal kaha hai

vikash- to fir police ko khabar karo mujhe kyu call kiya hai

ajju- tumhare baad unhe bhi khabar karunga,

vikash- agar tumhari bakwash khatam ho gai ho to ab phone rakkho

ajju- jesi tumhari marji, bese to mene tumhare bhale ke liye hi phone kiya tha, ab tumhe ye garma garam news me intrest nahi hai to kisi aur news chanel ko de dunga.

vikash- kya news hai

ajju- kamal ka baap yadav kai netao ki black mony ko handel karta hai. usne apni beti ki kidneping ki jhooti khabar failai aur wo apne bachho ko aur sara pesa lekar bhagne ki firak me tha. par ye baat leak ho gai. isi bich kamal ka vedio bhi viral ho gaya.

vikash- tum ye sab mujhe kyu bata rahe ho

ajju- mene tumhare baare me kaafi jaankari ikatthi ki hai tum ek achchhe insaan ho. mai chahata hu kamal aur uske pita ko saja mile aur un netao ko bhi jo desh ka pesa loot loot kar videsho me jama karte hai. agar kaml ke baare me police ko pata laga to mujhe dar hai ki kahi neta log uska incounter hi na kara de. kyu ki kamal ke girafraar hone par police ko un netao ke naam bhi pata chal jayege jo kala pesa videsho me jama karate hai. tum samajh rahe ho na mai kya bol raha hu.

vikash- isme mai kya kar sakta hu.

ajju- mai chahata hu tum police ki poori karwahi live dikhao. yesha karne se police kamal ka incounter nahi kar paygi. aur agar tum police se pehle baha pahuch gaye to ho sakta hai tum uska interview bhi le lo aur ho sakta hai tumhe usse un netao ke naam bhi pata chal jaye jinhone kaka dhan jama kar ke rakkha hai.

vikash- huuuummmmm thik tum uska address batao

ajju- wo is samaju karol bagh bale apne makan me hai

itna bolkar ajju ne phone cut kar diya. achanak uski najar poonam par padi, jo ki pata nahi kab ander aakar uske pass hi sofe par beth gai thi.

ajju- tum kab aai

poonam- jab aap phone par bussy the.

ajju- koi kaam tha kaya

poonam- nahi to bas yese hi aap 2 din se office nahi aaye to socha ki khud chal kar mil lu.

ajju- poonam abhi mai bahut jyada bussy hu. tumhe yaha nahi hona chahiye

poonam- kamal hai pehle to khud hi dost banate ho aur fir dost ko hi yese samay apne se door jaane ke liye bolte ho jab uski jarurat ho.

ajju ne aage kuchh aur kehna thik nahi samjha. un dono ki baatchit ke douran pro. narayan bhi andar aa chuke the. unhone sab sun liya tha. par is samay unhone kuchh bhi bolna thik nahi samjha.

ajju- mama ji kaam ho gaya kya

mamaji- ha bas hamare ishare ka intjaar hai. tum kaho to unhe address bata du

ajju- nahi abhi nahi pehle kamal ko baha pahuch jaane do

fir ajju ne raghu ko call kiya

ajju- kya raha kaam ka

raghu- bhai abhi ham uske bangle par pahuche hi hai. bas 10 minute me kaam khatam kar ke nikal jayenge.

ajju- use hosh kab tak aayega

raghu- lagbhag 15-20 minute me aa jayega

ajju- thik hai baha se jaldi niklo aur sidhe form house par paucho. aur haa kuchh din underground hi rehna

raghu- jee bhai

fir phone cut ho gaya. ab ajju ne apna agla pentra chala usne yadav ko call kiya

ajju- kese ho yadav ji

yadav- mene tumhara kaam kar diya par mujhe abhi tak mere bachche nahi mile

ajju- kese milte tum to khud hi lapata ho

yadav- ye sab tumhari bajah se ho raha hai, mai tumhe jinda nahi chodunga, tumne saara pesa tranfer kar diya aur ye neta log meri jaan ke pichhe pade hai

ajju- ha ha ha ab to samajh me aa gaya hoga ki ye log kisi ke sage nahi hote. bese tumhare liye ek khus khabri hai mene tumhare bete ko chhod diya hai. wo is samay karol bagh baale tumhare makan par hi hai. tumhara pata to mujhe tha nahi is liye use bahi bhijba diya hai. abhi behosh he lagbhag adhe ghante me hosh aa jayega.

yadav- aur meri beti

ajju- use bhi chhod dunga. yeshi bhi kya jaldi hai. pehle mai uske saath thode maje to kar lu

yadav- kya bakwash kar rahe ho tumne to kaha tha. ki mere dono bachho ko chhod doge

ajju- to chodunga na mene kab mana kiya bas is baat ki garantee nahi li thi ki kis haal me chhodunga. ha ha ha

yadav- tum mere hatho se jinda nahi bachoge

ajju- pehle apne bete ko bachao. wo tumhare hi ghar me ek dam akela hai. ho sakta hai koi neta ka aadmi ya police bala use jaan se hi maar de. rahi baat beti ki to wo tumhe tab milegi jab tum uske badle me mujhe kuchh doge, pesa to tumhare paas bacha nahi he par ek aur jaroori jaankari hai jo tum mujhe de sakte ho par abhi nahi kuchh dino baad.

itna bol kar ajju ne phone cut kar diya. fir ajju ne mantri satya prakash ko call kiya

ajju- mantri ji ko namaskaar

mantri- kon ho tum

ajju- bas aap ka subh chintak

mantri- kyu call kiya hai

ajju- aap ko ye batane ke liye ki yadav apne bachho ko lekar yaha se bhagne ki firak me hai.

mantri- to mai kya karu

ajju- usne aap logo ka poora pesa apne paas transfer kar liya hai. mujhe laga sayad aap ko apna pesa usse chhiye

mantri- pesa to aur bhi aa jayega wo itna bada matter nahi hai. par uski gaddari ki saja use milni hi chahiye aur saath saath wo kabhi bhi apna muh khol sakta hai. khash kar uska beta kamal

ajju- kamal is samay kaha hae me jaanta hu. aur sayad police use giraftaar karne nikal bhi chuki hai

mantri- kaha he wo

ajju- apne karol bagh baale makan me chipa hua he abhi

mantri- to fir aaj ka din uski jindgi ka akhri din hoga

itna bol kar mantri ji ne call disconnect kar diya. fir ajju ne vikash ko call kiya jo ki news chanel me encour he.

ajju- vikash ji kya hua

vikash- mai bas baha pahuchne hi bala hu. apne saath 4-5 camra man aur kuchh extra camra le ke gaya hua. soch raha hu ki chuke se makan ke andar bhi fit kar du taaki andar ka bhi live footase mil jaye. ham log 10-15 minute me live ho jayebge.

ajju- mubarak ho

vikash- par bhai apna naam to batao tum akhir ho kon aur hamari help kyu kar rahe ho

ajju- dost samajh lo apna. bese ek buri khabar bhi hai. yadav ke aadmi kamal ko yaha se nikalne ke liye nikal chuke hae. aur kuchh mantri logo ke admi kamal ko maarne ke liye bhi nikal chuke hai. lagta he ek bada gangbaar hoga baha.

vikash- ham log dhyaan rakkhege

fir ajju ne phone cut kiya aur pro. narayan ko ishara kiya. pro. narayan ajju ka ishara samajh gaye aur fir uth kar bahar chale gaye. jabki ajju fir se sarab peene laga. kchh der baad ajju ne monu aur nisha ko call kar ke national news chanel dekhne ko bol diya. ye sab itni jaldi jaldi ho raha tha ki poonam ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha akhir ajju karna kya chahata hai.

poonam- akhir tum karna kya chhate ho

ajju- badla lena chahata hu apna

poonam- par kese??? pehle tum police ko khabar karte ho aur fir media baale ko baha bhejte ho taaki police uska incounter na kar de, fir tum ne yadav ko bhi call kar diya taaki wo apne bete ko bacha kar le jaye aur fir tumne un logo ko bhi call kar diya jo yadav aur uske bete ko maarna chahate hai.

ajju- ha ha ha tum nahi samjhogi sab log jab ekatthe honge to kaafi hangama hoga. gangwar bhi ho sakti hai. jyadatar delhi ke crimnal maare jayenge ya pakde jayenge. aur in sab me kamal ka jinda bachna na mumkin he. iske do fayde honge. ek to delhi ka crime level bahut kam ho jayega kyun ki jyadatar criminal ya to maare jayenge ya pakad liye jayenge dushra fayda yah hoga ki kamal ki mout ek accident kehlayegi. koi soch bhi nahi payega ki ye ek pre palne murder he. matlab mai police ke haato hi un logo ko marba dunga. aur media use live dikha kar hadse ka roop de degi.

poonam bas ajju ko dekhe ja rahi thi, wo samajh nahi paa rahi thi ki itni kam umar me koi bhi insaan itna khatarnak plane bhi bana sakta he. poonam ke man me ek tees uthi kaas ye insaan apna dimag kisi achchhe kaam me lagaye....

kuchh hi der me pro. narayan ander aa gaye. ab teeno milkar TV par najre gadaye huye the. tabhi achank vikash live ho gaya. aur ajju ne kamal ko call kar diya. kaafi der tak ring jaati rahi. fir alsai si awaj me kisi ne phone uthaya.

ajju- hosh me aao kamal babu

kamal ne jese hi awaj suni use jhatka laga

kamal- tum, aur ye mai kaha hu.

ajju- apne hi karol baagh baale makan me. mene tumhare baap se ek souda kiya tha. wo poora hua to mene chhod diya tumhe. kuchh hi dr me tumhare aadmi tumhe le jayenge. par...

kamal- par kya????

ajju- mujhe abhi abhi pata chala he ki kuchh log tumhe maarne bhi aa rahe he. aur sayad police ko bhi tumhari location ki jaankari mil gai he.

kamal- kya bak rahe ho??

ajju- bak nahi raha bahi bata raha hu jo sach hai. bese mene tumhare paas ek bhari hui gun chhodi hai. bahi kahi hogi sayad tumhare kuchh kaam aa jaye.

itna bolkar ajju ne phone cut kar diya. aur TV pat najre gada di. usne apne chal chal di thi ab use uske parinam ka intjaar tha. jese hi ajju ne phone cut kiya kamal bhi screen par dikhne laga. sayad news reporter vikash ne ek camra us room me bhi chhipa diya tha. kuchh hi der me us makan me jagah jahagh lage camre ke view dikhai dene lage.

jabki dushri taraf kamal ne sabse pehle apne kamre ki talashi li use takiye ke niche ek bhari hui gun mil gai. kamal ne wo gun apni kamar me khurash li. aur fir apne mobile se apne pita ko call karke baat karne laga.

ajju, pro. narayan aur poonam TV par najare gadaye huye the. ki achanak ajju ka phone baj utha. ajju ne bina kuchh bole hi kaan par phone lagaya. dushri taraf se kuchh kaha gaya

ajju- thik hai aata hu.

itna bolkar ajju ne phone apni jeb me rakkha aur bahar nikal gaya. ajju ki is harkat se poonam hairan reh gai. par pro, narayan par koi asar nahi hua wo bese hi TV par najre gadaye rahe.

kamal abhi phone par baat hi kar raha tha ki achanak 4-5 gadiya aakar uske makan ke bahar ruki. jinmese lagbhag 40-50 aadmi hathiyaro ke saath bahar nikle. kamal unhe dekhte hi pehcahn gaya. sayad wo uske hi aadmi the.

kamal ne phone cut kiya aur bahar ki taraf chal diya. wo abhi bahar nikla hi tha ki 4-5 gadiya aur aakar ruki jinme se bhi lagbhag utne hi aadmi hathiyaro se lesh the. un logo ne gaadi se utharte hi kamal aur uske aadmiyo par andha dundh fairing suru kar di kamal aur uske aadmiyo ko samhalne se pehle hi uske kaai log maare gaye.

kuchh hi der me sab ne apni apne position le lee aur dono taraf se goliya chalne lagi. trafic ruk gaya tha. sadke sunsaan ho gai thi. door tak golio ki awaj jaa rahi thi. aam aadmi apne apne gharo aur dukano me chip gaye . jis ko jo jagah mili bo chhip gaya tha.

ye sara ghatna kram live chal raha tha. lagbhag poora desh TV par najre gadaye huye tha. vikash aur uske saathi badi bahduri se aur apne aap ko chipaye huye ise shoot kar rahe the.

pata nahi ye ladai kitni der aur chalti agar baha police na aa jati lagbhag 200 police baalo ne us jagah ko charo taraf se gher liya. aur apne apne hathiyaar daalne ko kaha. achanak saanti chh gai. sabhi apni apni jagah par frize ho gaye.

fir sabhi log dhire dhire bahar nikal kar atmsamarpan karne lage tabhihi achanak ek daum kaale kapdo me ek nakabpose aadmi pata nahi kaha se baha aaya aur kamal ke sir par gun rakh kar use makan ke andar ghasitte huye le gaya. kisi ko kuchh samajh nahi aaya ye kya ho raha hai. aur ye nakabpose kon hai.

police lagatar sabhi logo se atmsamarpan ke liye bol rahi thi. is achanak hui ghatna se sabhi logo ne fir se apni position le lee thi bas fark itna tha ki is baar koi goli nahi chala raha tha.

wo nakabpose kamal ko bapis usi kamre me le gaya. chuki us kamre me pehle se hi ek camra fit tha is liye us kamre me hone baali har harkat live ho rahi thi. us aadmi ne kamal ko ek dhakka diya. kaml use dekh kar kaafi dar gaya tha.

kamal- kon ho tum aur mujhe yaha kyu laye ho

us aadmi ne koi jabab nahi diya aur aur kaml ke pet me ek jordar laat maari. ye itna jordaar baar tha ki kamal dar se chillata hua niche farsh par gir gaya. aur uski aankho se aanshu behne lage

kamal- ooooo maaaaaaa

fir us aadmi ne apne ek tang kamal ke baye kandhe par rakkhi aur apne dono hato se kamal ke baye haat ko pakad kar itni jor se khincha ki wo haath kamal ke kandhe se alag ho gaya. ek bhayanka dard bhari chikh charo taraf gunj uthi.

kamal- aaaaaaaaaaahhhhhhhh

ye chikh sun kar sabhi log seham gaye aur apni jagah par jad ho gaye. jabki andar kamal khoon se lathpath dard se bilbila raha tha. fir us nakabpose ne kamal ke dushre hath ke sath bhi bahi kiya. ek baar fir dard bhari chikh goonj uthi

kamal- aaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhh

kamal itne jyada dard ko sehan nahi kar paya aur behosh ho gaya. par wo aadmi kaha maanene bala tha. aur kamal par laate barsaane laga par kamal koi responce nahi kar raha tha wo aadmi achanak ruk gaya. usne bahi pass me rakkhi paani ki botal uthai aur kamal ke chehare par daalne laga.

jese hi kamal ko hosh aaya use ek tej dard ka yehsash hua aur bah fir se chikne chillane laga. us nakab pose ne kamal ki ek tang par apni tand rakkhi aur dushr tang ko apne hatho se pakad kar khinchne laga. kamal halal hote bakre ki tarah chillata raha

kamal- aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh

par wo aadmi nahi ruka aur dekhte hi dekhte usne kamal ko kamar se lekar seene tak chir diya. kamal ka chikhna aur chillan achanak band ho gaya. charo taraf khoon hi khoon bikhra hua tha.

apr sayad us nakabpose ko abhi saanti nahi mili thi usne apne kamar se ek gun nikaali aur mare huye kaml par ek ke baad ek fire karne laga us nakab pose ko hosh tab aaya jab use bahar bi goliya chane ke awaj aane lagi

hua yu ki jab us nakab pose ne fire kiya to bahar position liye aadmiyo me se ek ne dar ke maare fire kar diya tha. aur fir se police aur un aadmiyo ke bich goliya chalne lagi thi.

tv screen me is samay do pictures ek saath aa rahi thi ek me wo nakab pose dikhai de raha tha aur dushre me bahar police aur gundo ke bich incounter chal raha tha. wo nakab pose charo taraf kamre me dekh raha tha. achanak uski najar camre ke paas gai. wo dhire dhire camre ke paas pahucha. tv par is samay ke bal us nakab pose ka chehara dikhai de raha tha. uska poora muh majbooti se ek kaale kapde se chipa hua tha bas uski aankhi hi dikhai de rahi the.

tv par ye schene dekh kar nisha aur monu ki maa jo apne apne ghar par ye dekh rahi thi ke muh se achanak nikal gaya

"ajjjjuuuu"

aur fir wo camra off ho gaya. jabki bahar abhi bhi goliya chal rahi thi. kuuchh hi der me baha lashe bichh gai thi. 70-80 ke lagbhag aadmi maare ja chuke the. baaki buri tarah se ghayal the. unke bhi bachne ki umeed bahut kam thi. lagbhag 10 policeman bhi gahayal huye the. par unhe koi gambheer chot nahi aai thi.

jese hi ladai band hui police ki anya gadiya bhi baha aa chuki thi aur dekhte hi dekhte ambulance ki bhi baha line lag gai.

kuchh hi der me baaki news reporter bhi baha aa chuke the. aur moka dekh kar vikash aur uske saati bi bahar nikal aaye. vikash ne apne ek aadmi ko ishara kiya aur wo andar chalagaya sayad apne chhipe huye camre lene gaya tha.

jabki ajju ke ghar par sabhi log lagatar TV par apni najar gadaye the. kisi ko koi hosh nahi tha. aaju kab andar aakr bapis apni jagah par beth gaya kisi ko pata hi nahi chala. sabko hosh tab aaya jab ajju ke phone par ring aai.

ajju- haa di

nsiha- kaha ho tum is wakt

ajju- mama ji ke paas ghar par hu. tv par news dekh raha hu

nisha- nahi tum jhoot bol rahe ho, sach batao mujhe

ajju- mai sach hi bol raha hu chao to mama ji se baat kar lo

itna bolkar ajju ne phone pro. narayan ko de diya

mama ji- haa beta ajju sach bol raha hai

nisha ne koi jabab nahi diya, jabki pro. narayan se phone bapis ajju ko de diya

ajju- ab to yakeen ho gaya aap ko

nisha- tum laakh chehara chipa lo ajju par apni aankho ko mujh se nahi chipa sakte. abhi bhale hi mai tumhare aankho me tumhare man ki baat nahi pad paa rahi hu. par tumhari aankho ko pehchanne me kabhi galti nahi kar sakti. tv par jo nakabose tha wo tum hi the mujhe yakeen hai.

ajju ne nisha ki baat ka koi jabab nai diya. jabki nisha ne phone cut kar diya. jabki dushri taraf poonam bhi man hi man me yahi soch rahi thi ki khahi wo nakab pose ajju hi to nahi tha. par ajju ke bapis aane ka use pata hi nahi chala tha. is liye kahi na kahi wo confuse bhi thi. jabki monu ke maa bhi ajju ko pehchan chuki thi. aur is samay uski aanko me anshu the. ye dukh ke aansu the ya khushi ke keh nahi sakte.

ajju ne fir se apni najare tv par gada di, jis me is samay ghayalo ko hospital bheje huye dikhaya ja raha tha. baad me ek ek kar lasha ki sinakht kar ke use PM ke liye bheja jaane laga. kuchh hi der baad kamal ki lash dikhai di. jo ki bahut buri condition me thi.

ajju sayad ishi pal ka intjaar kar raha tha. us lash ko dekh kar ajju ko bahut tasalli mili. poonam ne jab ajju ke chehare ko dekha to hairan reh gai. ajju ki aankho me anshuo ki dhar the par chehare par muskurahat thi.

mama ji- aaj meri bachhi ki aatma ko santi milegi

ajju- ha mamaji aaj jiya ka intkaam poora hua par abhi maummy papa ka intkaam baaki hai.

mama ji- is reporter ne achchha kaam kiya hai. ise inaam milna chahiye

ajju- bilkul milega mama ji par abhi to mujhe apne aadmiyo ko jinhone mera saath diya unhe inaam baantna hai.

itna bolkar ajju khada ho gaya aur poonam ki taraf dekhne laga jo ki abhi tak sant bethi hui kuchh soch rahi thi

ajju- poonam agar tum chaho to mai tumhe office drop kar sakta hu

poonam- thik hai

itna bolkar poonam bhi khadi ho gai. aur dono bahar nikal gaye. ajju aur poonam ke bich raste me koi baat nahi hui. ajju ne poonam ko office ke bahar chhoda aur apne form house ki taraf nikal gaya.

jab ajju apne form house par pahucha to uske sabhi aadmi TV par us news ko dekh rahe the. Yadav aur uske bete ko atankwadi ghosit kar diya gaya tha aur is shoot out ko police ki bahut badi safalta mana ja raha tha. lagbhag sabhi chote bade crimnal maare ja chuke the.

news par aam aadmi is ghatna kram ko delhi ke liye bahut badi rahat maan rahe the. aur sayad sach bhi tha. kyu ki itne jyad crimnal ka mara jane se kuchh dino tak delhi me saanti rahegi hi. aur jo bache huye crimnals hai ya to wo delhi chod kar chale jayebge ya under ground ho jayenge.

ajju ko dekh kar sabhi aadmi khade ho gaye

raghu- kamal kar diya bhai aap ne

ajju- mene kuchh nahi kiya ye sab tum logo ki help se hua hai. bese jo 15 carore rupey kamal lekar aaya tha wo kaha hai

raghu- bo surakshit hai abhi laya

kuchh hi der me raghu peso se bhare huye beg le aaya

ajju- in peso ko apas me bant lo.

raghu- par bhai ye to bahut jyada hai. hame itne peso ki jarurat nahi hai.

ajju- bilkul hai tum logo ke parivaar ko in peso ki bahut jarurat hai. mai sabhi ke baare me to nahi janta par itne dino me kuchh logo to jaan hi gaya hu. sabhi ke parivaar hai. aur jyadatar log apne parivaar ki jaroorato ko poori karne ki liye is galat raste par aa gaye hai. kal din agar mujhe kuchh ho jaye to kam se kam tum logo ke paas itne pese to honge ki tum log apni jindgi achhe tarah se jee sako. aur koi galat kaam karne ki jarurat na pade.

ajju ke itna bolte hi aghu aur baaki log ajju ke pero me gi gaye.

raghu- bahi aap ne to hame apna hi bana liya. ye sach hai ki jayadatar laog kebal apni jaroorate poori karne ki liye hi is laine me aaye hai aur in peso se unki saari jaroorate poori ho jayengi. sayad kuchh log aaj ke baad ye galat line bhi chhod de. par mai jingi bhar aap ke saath hi rahunga. ami aap ka saath kabhi nahi chhodunga kabhi bhi nahi.

tabhi ek saath kai log bol pade

"haa haa haum bhi aap ka saath nahi chodege kabhi bhi"

ajju ne raghu ko utha kar gale se laga liya. fir ajju niche basement ki taraf chala gaya.

ajju ke kehane par simmi ke liye bhi TV ka intjaam kar diya gaya tha. wo bhi is samay TV par news hi dekh rahi thi. ajju ne baha jakar usko ghura

simmi- ab kya lene aaye ho yaha, tumhara badla to poora ho gaya na

ajju- bas ye dekhne aaya hu ki tumhe mera ye gift pasand aaya ya nahi

simmi- tune kamal ko marba diya ab kyu muje yaha kaid kar ke rakkha hua hai.

ajju- to fir kya karu tumhare saath tum hi bata do

is baat ka simmi ke paas koi jabab nahi tha. pehle din se use lag raha tha ki ajju unke saat rape karega par ajju ne kuchh bhi nahi kiya

simmi- mujhe chhod kyu nahi dete, aakhir tum chahate kya ho mujh se

ajju- filhal to tumhare baap se ek aur deal karni reh gai he. baaki tumhara faishla baad me karunga kyu ki kamal ke saath tum bhi to samil thi is gunah me

itna bolkar ajju ne yadav ko call laga diya

ajju- tv par kamal ko dekh kar dukh hua yadav

yadav- kameene ye sab tumhari bajah se hua hai. mai tumhe jinda nahi chodunga

ajju- maine kya kiya. mene to ek deal ki thi tum se tumne mera kaam kiya aur mene sahi salamat tumhare bete ko tumhare paas bhej diya tha. ab tum use un logo se nahi bacha paye is me meri kya galti hai.

yadav- wo log mere aur mere parivaar ke pichhe tumhare karan hi paade hai.

ajju- mr. yadav its only pure busness, akhir tum ne bhi to kai parivaaro ko barbaad kar diya hai.

yadav ko jabab dete nahi bana

yadav- mere beti kaha hai, kam se kam use to mere habale kar do. mene tumhari har sart poori ki hai

ajju- mene to deal kebal tumhare bete ki kee thi, beti ke liye dushri deal hai.

yadav- ab mere paas kuchh bhi nahi hai dene ke liye

ajju- hai yadav bahut kuchh hai tumhare paas jo mere kaam ka hai

yadav- kya?????

ajju- "chief" mujhe chief chahiye

yadav- kkkon chief, mai kisi chif ko nahi jaanta

ajju- pagal mat bano tum ne jo swiss bank ke numbers diye the un me se ek account kisi chief ke naam bhi tha.

yadav- mai us ke baare me sach me nahi jaanta

ajju- aur mai ye jaanta hu ki tum uske baare me jarur jaante ho, barna uska naam sunte hi tumhari awaj nahi ladkhadati

yadav- mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tum kya bol rahe ho

ajju- lagta hai tum apne beti se bilkul pyaar nahi karte. apne bete ko to kho hi chuke ho ab apni beti ko bhi khone ke liye taiyaar ho jao

yadav- nahiiiiiiii plz yesha mat karo mere saath

ajju- ha ha ha aur tumhari kismat to dekho ki tum apne hi bachho ka antim sanskaar bhi nahi kar sakte. kyu ki tum to khud hi underground ho. bahar aate hi wo log tumhe kaat dalenge.

yadav- sono meri baat mai batata hu tumhe

ajju- bolte raho

yadav- chief ko aaj tak kisi ne nahi dekha. aur na hi koi ye jaanta hai ki wo vastav me hai kon aur kaha rehta hai. wo saare kaam phone par hi karata hai. par mai itna jarur janta hu ki wo indore me hi kahi rehta hai.

ajju- ye tumhe kese pata

yadav- akshar drug ki delevery lene wo indore bulata tha.

ajju- ek baat batao ki professor sanjay sharma se chief ki kya dushmani thi.

yadav- tumhe isse kya matlab akhir ho kon tum

ajju- mujhe jabab chahiye

yadav- unhone koi formula banaya tha chief ko bahi formula chahiye tha.

ajju- poori baat detail me batao

yadav- baat kaafi purani hai us samay me chota mota gunda hua karta tha. ek din mere paas kisi ka phone aaya usne apna aap ko chief bataya us samay chief ko koi nahi jaanta tha. usne mujhe drug supply ka offer diya tha. pese achhe mil rahe the to mene hatho haat offer le liya. kaafi samay tak mai uske liye yu hi kaam karta raha. is dhande se mere paas kaafe pesa aaya jisse mene apne gang bada li. mai kaafi takatwar ho gaya tha. is liye mene choti moti dushri gang ko bhi apne se milana suru kar diya aur jo ham se nahi mile unhe khatam karna suru kar diya.

sab kuchh thik chal raha tha. chief bhi kabhi kabhar kaam padne par hi call karta tha. ki ek din achanak chief ka call aaya aur usne mujse kisi bhi tarah professor sanjay se unka formula hasil karne ke liye kaha. maine unhe kaair baar dhamkiya di par sanjay nahi maane to ek din mene unki bibi ka accident kara diya. par wo pata nahi kese bach gai. par us accident ke baad se wo dono delhi se gayab ho gaye. unka pata kisi ko nahi chal raha tha.

ek din achanak chief ka phone aaya mere paas. usne bataya ki is samay sanjay sharma apne gao me he. mai apne kuchh aadmiyo ke saat baha pahucha. par chief ne mujhe kuchh karne se mana kar diya. fir rk din chief ne pata nahi kese sanjay sharma ke ghar me ghus kar uski bibi se jabardasti karne ki kosis ki par nahi kar paya aur usne gusse me use maar diya. ye baat mujhe baad me pata chai. jab chief ne mujhe call kiya. usne mujhe baha ke local police thane ke inspector ko khareed kar us katal ke iljaam me sanjay sharma ko fasane ke liye kaha. mene wo kaam kar diya aur delhi bapis aa gaya. par pro narayan ne sanjay sharma ko bacha liya.

lekin uske baad chief ne sanjay sarma ke mamle ko bahi rokne ke liye bol diya. aur me yaha apne kaam me lag gaya.

abhi kuchh dino pehle ki hi baat hai chief ne mujhe sanjay sharma ko jaan se maarne ka order diya tha, mere aadmi gaye the use maarne par wo bach gaya. fir chief ne khud hi apne haato se usi din use maar diya. fir uske kehne par mene sanjay sharma ke bete ko apne baap ke iljaam me fasane ki kosis ki par uska beta bhi bach gaya.

ajju- jab bo baha sanjay sharma ko mare aaya tab tumhare aadmiyo ne use nahi deka

yadav- nahi kisi ko kuchh bhi pata nahi chala. par usne phone par bataya ki usne sanjay ko maar diya hai ab uske bete ki usi ke baap ke katal ke iljaam me andar kara do.

ajju- fir kya hua.

yadav- labhag 1.5 saal pehle chief ne ek aur kaam karne ke liye kaha tha kaam bahut mamuli tha. ek ambulance ko narmad highway par takkar marni thi

ajju- ye kaam bhi chief ka hi karaya hua he. aur kya jante ho

yadav- bas itna hi jaanta hua

ajju- kuchh to pata hoga ki chief ab kya karne baala hai

yadav- pakka to nahi jaanta par usne mujhe apne kuchh aadmi indore bhejne ke liye kaha he. baha wo kisi ladki ko kidnep kara kar usne marna chahata hai. ab uski ladki ka sanjay saharma mamle se kuchh lene dena hai ya nahi mai nahi jaanta.

itna sunte hi ajju ki aankho me khoon utar aaya

ajju- kon hai wo ladki, kya naam hai uska

yadav- sayad nnnisha naam hai uska

ajju- apne aadmiyo se kaho ki us ladki ko kuchh bhi nahi hona chahiye barna me tumhare beti ke tukde tukde kar ke tumhe bhej dunga.

yadav- ab mai kuchh nahi kar sakta. jab me apne aadmiyo ko kisi kaam par bhejta hua to unhe apne mobile band karne ke liye bol deta hu. wo log kaam hone baad hi mujh se contect karte hai.

ajju dahadte huye

ajju- kab nikle hai wo indore ke liye

yadav- kkkal gaye hai. aur aaj sayad unhe apne kaam ko anjaam dena hai. baha indore ke kuchh local gunde bhi unke help karenge. par tum ye sab kyu jaanna chate ho kya sambandh hai tumhara sanjay sharma se aur us ladki se

ajju- bahi sambandh he mera sanjay sharma se jo kamal ka tujh se tha. soch kamal ne mere payar ki jaan li to mene kamal ko kesi mout mara hai. wo nakabposh mai hi ta. ab mai tumhare chief ka kya haal karunga tum soch bhi nahi sakte. usne to mere maa baap dono ko hi maara hai.

yadav- tum jo janna chahate te mene sab bata diya ab meri beti ko chhod do. mai use lekar yaha se bahut door nikal jaunga. ab mujhe tum logo ke kisi mamle se kuchh bhi lena dena nahi hai.

ajju- nahi jab tak mai us ladki ko nahi bacha leta tumhari beti mere paas hi rahegi. agar us ladki ko kharonch bhi aai to mai tumhari beti ke saath kya kar bethunga ye mai khud bhi nahi janta

itna bolkar ajju ne phone cut kar diya. uski aankhe ek dum laal ho chuki thi chehara ek dum bhyanak aur sarir gusse se kanp raha tha.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb
 
redhat.ag

Member
340
1,995
123
Update 065
-------------------------

RAW ke secreate head office par, is samay emargency meeting haal me teeno sena pramukh, NSA, RAW cheaf mr. prabhu ke alawa nisha apni team ke saath thi, jisme priya, sonal, gagan evam kapil the.

NSA- agent zero kya tumhe lagta he ki hum taiyaar he

nisha- jee sir

NSA- to thik he fir suru karo ....

NSA ke itna bolte hi nisha apne laptop me bussy ho gai. aur fir usne apni teem ki taraf ishara kiya. jise samajh kar sonal, gagan aur kapil bahar chale gaye jabki priya bahi nisha ki help ke liye ruki reh gai.

asal me nisha aur uski teem ne pichhle 2 saalo me kaafi mehnat kar ke ek server design kiya tha. ye vastavme ek super computer tha jo ki ab tak banaye gaye sabhi computers se kai guna jyada powerfull tha. is super computer ko operate karne ke liye nisha ne ek operating system design kiya tha, jiska naam usne "Queen" rakkha tha. vastav me ye ek highly advanced AI(artificial intelegence) technique se less tha.

iske alawa nisha ne is operating system ka ek portable version bhi banaya tha, jo kisi bhi system par run ho sakta tha, wo ek client model tha jo ki queen se connected rahta tha. nisha ne iska naam "King" rakkha tha.

chunki nisha ke kehne par ISHRO dwara ek highly advanced satelight pehle hi launch kiya ja chuka tha. aur us satelight ka use na keval RAW balki defance se related sabhi jagah pehle hi suru kar diya gaya tha.

kaam karte karte nisha achanak ruk gai aur boli

nisha- sir humne ek highly advanced server banaya tha jo ki vastav me ek super computer he. isi server par humara apna server operating system load kiya gaya he jiska naam queen he, aur baaki sabhi devices par king ko run kiya gaya he. sabhi devices ko queen se connect kar diya gaya he. aur ab wo saare kaam khud se hi karti he. par agar hame koi dushra kaam karna ho, ya koi jankari chahiye ho to wo queen ko command dekar kar sakte he. queen par humne alag alag categary me access permission ke code set kiye he. matlab ki aap log milkar koi bhi data access kar sakte he par agar koi chhota agent koi data serch karna chahe to keval use utna hi deta queen deti he, jitni us agent ko honi chhahiye baaki ki information wo nahi deti. iska matlab hamara data poori tarah se safe he

aur tabhi achanak meting hall ki light off ho gai aur prjector ke madhyam se server ki process displaya hone lagi. takreeban 15 minute ke baad process samapt hui aur ek window open hui. iske baad us hall me lage 3D projector auto matic on ho gaye. aur projector ke pass hi ek ladki ki image dikhai dene lagi, ye bese to ek cartoon image thi par fir bhi bahut jyada khoobsoorat
lag rahi thi. wo is samay princess ki dress me thi.

chunki wo 3D form me thi is liye yesha lag raha tha ki wo un sab ke saath hall me hi moujood he, jise dekh kar army chief aakhir kaar bol hi pade
army chief- ye aakhir he kya??? aur "queen apne saare kaam khud hi karti he" isse tumhara kya matlab he???

army chief ke sawal ka jabab priya ne diya

priya- sir hame jo image dikh rahi he yahi queen he, ye asal me ek 3D presentation he jise queen hame dikha rahi he. humne queen me AI technology daali he jo ki ise inshano ki tarah sochne samajhne ki chhmta deti he. is liye ye hame apne aap ko ek inshan ke roop me show
kar rahi he.

army chief- matlab ye apne aap ko inshan samajhti he kya

army chief ki baat sun kar nisha boli

nisha- are nahi sir. ye to bus apne aap ko inshano ki tarah dikhane ki kosis kar rahi he. taaki usse hum log behtar tareeke se communication kar sake. rahi baat khud hi saare kaam karne ki to wo keval itna he ki iske pass jo bhi data aata he ya jo bhi data isse manga jata he uski saari process ye khud hi kar sakti he, iske liye hame alag se operaters ki jaroort nahi he. ek tarah se
humne iski help se kaafi jyada man power bacha li he.

NSA- ye to kamal ho gaya. par agar ye khud hi saare commands deti aur leti he to fir hum ise band kaise karenge

nisha- sorry sir ise band nahi kiya ja sakta

NSA- matlab????

nisha- sir ise is prakar design kiya gaya he ki ek baar start karne ke baad iske saare controlls iske haath me aa jayenge, uske baad keval ye khud hi apne aap ko shut down kar sakti he, wo bhi tab jab ise shut down karna awashyak ho, jaise koi techniqaly falt hone par

NSA- par ye to khatarnaak he aur tabhi queen ki image bolne lagi

queen- nahi sir ye khatarnaak bilkul nahi he, ye mere data base aur meri surakchha ke liye jaroori tha

NSA- agar kabhi koi gadbad hui to....

nisha- sir mai aap ka ishara samajh rahi hun, par jab tak hum ise apne private network par rakhte he ye poori tarah se safe he, par fir bhi koi gadbad hui to ise emergency termination ki command di ja sakti he. jiski bajhah se ise iski marji ke khilaaf bhi band kiya ja sakta he, par yehsa karne par iska apna khud ka data base reset ho jayega. par hamara data safe rahega

NSA- emergency terminate kaise karenge ise

nisha- uske liye aap pancho ko ek saath iske terminatan ki comaand deni hogi aur ye command biomatric process se hi di jayegi. iske liye voice aur fingerprint varificatin kiya jayega

iske baad nisha un sabhi ko queen ki emergency termination ki poori process batane lagi. aur jab nisha unhe saari process bata chuki thik tabhi sonal andar aai. uske pichhe gagan bhi tha

nisha- sir ab agar ijajat ho to hum hamari us khoj ke baare me baat kare jiske liye hum aaj yaha ikattha huye he.

chunki sabhi ke man me chal rahe sawalon ke jabab unhe mil gaye the is liye sabhi log khamosh ho gaye. fir nisha ne bolna suru kiya

nisha- sir humne ek yesi chip taiyaar ki he jo ki hamare agents ko hamesha hum se connect kar ke rakkhegi. ye chip hum apne sabhi agents ke andar inject karenge. aur fir wo chipe hamre agnet ke mind ko queen se connect kar degi. hamara agent jo bhi dekhega, sunega, ya sochega, wo saari information queen ke pass aati rahegi, aur satelight ki bajah se hum apne agent ki live
location bhi pata karte rahege. hame apne agents se contact karne ke liye kisi transmeater ya cell phone ki jaroorat nahi he. hame jo bhi information apne agent ko deni he queen us chip ke
madhyam se hamare agents ke mind me wo information de degi. aur agar hamara agent hum se contect karna chahta he to wo bhi direct communication kar sakta he

navy chief- tumhara matlab he ki tum logo ke dwara banai chipe inshan ko ek robot bana dega

nisha- nahi sir yesha nahi he. hamara agent poori tarah se apne niyantran me hoga. wo apne faishle khud kar sakta he. queen ka usme koi roll nahi hoga queen keval usse communicatin ka kaam karegi

navy chief- par ek baar chip humne apne agent me transplante kar di to fir us agent ki personal life personal nahi rahegi.

nisha- nahi sir yesha bhi nahi hoga. queen me iske liye yesi codding ki gai he ki keval bahi data agent ke mind se liye jaye jo ki hamare liye jaroori he. uska personal data bilkul bhi share nahi hoga. asal me sabhi agents ko ek password diya jayega jo ki unka secreate hoga. jab wo us password ko bolega tabhi wo chip activate hogi aur hamare pass data aana suru ho jayega. aur jab kaam khamta ho jayega to agent dobara password bolkar chip ko deactivate kar sakta he. par us douraan hamare agent ki location hum tak pahunchti rahegi. aur queen koi bhi information us agent ko de sakti he. par us agent ki koi information le nahi sakti.

NSA- aur kisi agent ne hum se gaddari ki, usne chipe ko deactivate kar ke hamari koi personal informatin kisi ko de di to

nisha- sir yahi hamari chipe ki khasiyat he. asal me humne kapil ki electro magnate baali khoj ka use bhi isme kiya hua he. raw se related saari jankari hamare agent ke mind me nahi balki us chip me store hogi. aur wo information keval tabhi use milegi jab wo chip ko activate karega. chip deactivate honi ki condition me agent ko keval itna yaad rahega ki wo ek RAW agent he
aur chip ko activate kese karna he. matlab ki koi bhi inshan RAW ki khufiya jaankari chah kar bhi kisi ko nahi bata sakta.

NSA- par wo chipe ko nikalwa to sata he na

nisha- nahi sir, is chip ko sonal ne design kiya he aur uski codding mene ki he. aap to jante hi he sonal neno technology expert he. wo chipe bahut choti he. aur use hum agent ki gardan ke pichhe reed hi haddi ke ek dum upar inject karenge. jaha se wo sidhe uske mind ko controll karegi. aur agar use nikalne ki kosis ki gai to agent ki jaan bhi ja sakti he.

meeting hall me nisha ki baat sunkar ek sannata chha gaya tha. kaafi der khamosh rehne aur sochne ke baad NSA ne kaha

NSA- thik he suru karo

nisha ne gagan ko ishara kiya aur wo ek baar fir meeting hall se bahar nikal gaya. kuchh hi der baad wo kapil ke saath ek agent ko andar lekar aaya. sonal ne use ek chair par betha diya aur fir dekhte hi dekhte use chair se achchhi tarah bandh diya gaya. iske baad nisha us agent ke pass gai aur boli

nisha- tum jante ho na ki tum yaha kyun aaye ho

agent- jee mem

nisha- ab hum ek chhoti si chip tumhare mind me inject kareng. jiske baare me tumhe bata diya gaya he. par sayad tum ye nahi jante ki is process me tumhe kaafi dard hoga

agent- mem agar dard ki chinta karta to RAW join hi nahi karta, RAW se pehle army me tha, kashmeer me kai baar atankiyon se aamna samna ho chuka he, aur kai baar goliyan kha chuka hun, dard se to puraana nata he mera, aur RAW ke liye bhi kai field operation kar chuka hun,

nisha ne ek gehri najar se uski aankho me jhanka aur fir sonal se boli

nisha- sonal suru karo

aur fir sonal apne kaam me laga gai. kuchh hi der me us hall me us agent ki dard bhari cheekhe gunjne lagi. takreeban 15 minute ke baad sab sant ho gaya. wo agent dard se kraah raha tha ki tabhi nisha ne priya se kaha

nisha- priya chipe ko activate karo aur use queen se connect karo

itna sunte hi priya apne kaam me lag gai. aur fir ek baar fir us agent ki cheekhe gunjne lagi. kareeb 15 minute ke baad ek baar fir se khamoshi chha gai par is baar khamoshi us agent ke behosh hone ki bajah se hui thi jise dekh kar army chief bhadak gaye

army chief- agent zero ye kya kiya tumne, kya hua he use, kahi tumhara experiment fail to nahi ho gaya, ya tumne kahi galat jagah wo chip laga di ho jisse uski jaan chali gai ho

nisha- relax sir yesha kuchh bhi nahi he. is experiment ko hum pehle hi bandaro par aajma chuke he. ye ek dum safe he

army chief- to fir ise kya hua he

nisha- asal me ye behosh he. queen ne ise behosh kar diya he. wo iske mind se RAW se releted saari jankar chipe me daal rahi he aur uske mind se wo jaankari mita rahi he. iske baad wo. hamre agent ke mind ke un hisso se connect hogi jaha inshan ke sochne samajhne ki chhamta, dekhne ki chhamta aur sunne ki chhmtaye hoti he.

nisha ke sant hote hi hall me queen ki awaaj gunj uthi

queen- saari jankari chipe me transfer kar di gai he,

kuchh der ki khamoshi ke baad ek baar fir queen ki awaaj gunji

queen- connection ho chuka he aur chip ka temprary password agent ke mind me store kar diya gaya he jise agent jab bhi chahe change kar sakta he. mai agent ko hosh me laa rahi hun

itna bolkar queen ek baar fir khamosh ho gai, jabki agent dhire dhire hosh me aane laga. uske hosh me aate hi nisha ne queen se kaha

nisha- queen hame dikhao ki ye kya dekh raha he.

nish ke itna bolte hi project ki screen par meeting hall dikhai dene laga.

nisha ne sonal ko ishara kiya jise samjhte hi sonal meeting hall se connect dushre hall me chali gai uske pichhe pichhe gagan aur kapil us agent ko chair ke saath utha kar us hall me chale gaye. andar jate hi sonal, gagan aur kapil ne apne chehre ko ek kaale kapde se dhak liya. jo ki bahaar screen par dikhaai de raha tha

army chief- ye sab kyun kiya

nisha- abhi pata chal jayega sir

itna bolkar nisha khamosh ho gai aur screen ki taraf dekhne lagi jis par dikhai de raha tha ki sonal us agent ke pass gai aur boli

sonal- ab kaisha mehsoos ho raha he

agent- ab pehle se behtar he bus sir thoda bhaari bhaari ho raha he

andar ho rahi saari baate bahaar dikhaai aur sunai de rahi thi.

sonal- tumhe yaad he na ki tum kon ho

sonal ke itna bolte hi screen par wo saari images dikhne lagi jo ki wo agent soch raha tha aur fir wo bola

agent- haan mai RAW agent hun aur mujhe sab kuchh yaad he

sonal- tumhe chipe ko activate aur de-activate karna pata he na

agent- haa

sonal- to use abhi deactivate karo

agent ne koi code apne man me dohraaya aur screen par kuchh bhi dikhna band ho gaya aur andar ki awaaj bhi sunai dena band ho gai.

Screen off hote hi hall me light on ho gai. sabhi logo ne lagbhag ek saat nisha ki taraf dekha jo muskurate huye apni jagah par khadi hui thi. Hall me poori tarah se khamosi thi jise NSA ki taliyon ki aawaaj ne bhang kiya, aur fir laghbhag ek saath hi sabhi log apne chair se khade ho gaye aur taliyan bajane lage. Is celebration ko sabse pehale NSA ne hi bhang kiya

NSA- well done agent zero. Tumne to kamala kar diya, hamari taraf se tumhe is chip eke use karne ki parmission he.

Nisha- thanks sir, par is poore experiment ki safalta ki hakdaar m ai nahi balki meri poori team hai. Ham sabhi ki samoohik mehanat ka hi ye natija hai.

NSA- bilkul ye ek team work he aur tumhari poori team tareef ki hakdaar he. Tum sabhi ki mehanat ki bajah se ab hum future me aur bhi jyada secure ho jayenge.

Iske baad NSA Mr. Prabhu ki taraf mud kar bole

NSA- bese prabhu kya agent zero code hamesa field agent ho hi diya jata he. Technical ability to agent zero ne sabit kar di, par kya field ka experience bhi hai ise ya nahi.

Mr. Prabhu- sir abhi tak agent zero lo koi bhi field operation par nahi bheja gaya he. Par mai iski chhmtaon se achchhi tarah se parichit hun. Aur ye mai daabe se keh sakta hun ki agent zero kisi bhi field operation ko bakhoobhi poora kar sakti he.

Ab is charcha me army chief bhi samil ho gaye the

Army chief- to fir agent zero ko koi field operation assign karo taaki ham sabhi log bhi iski chhamtaon dekh sake,

Mr. prabhu- agar NSA sir permission de to mai agent zero ko operation cobara assign karna chahunga.

Mr. prabhu ki baat sun kar hall me sannata chha gaya jise NSA ne hi bhang kiya

NSA- are you serious???? Mere khyaal se operation cobara ke liye kisi experienced agent ko bhejna hi sabse safe hoga, filhaal to agent zero ko koi chhota mota field work hi do taaki ye behatar tareeke se field work sikh sake.

Mr prabhu- par sir agent zero is operation ko handle kar sakti he

NSA- prabhu me tum par ya tumhare kisi bhi agent ki chhmtao par sawal nahi utha raha hun. Par tum ye bhi achhi tarajaante ho operation cobara kitna khatarnaak he. Agent zero abhi is prakaar ke operation ke liye taiyaar nahi he.

Is baat chit ko lamba khinchta dekh nisha bich me hi bol padi

Nisha- sir taiyaar to me janam se hi hun. Is liye mujhe is baat se koi farak nahi padta ki koi operation kitna khatarnaak he. Bese bhi chunoti jitni badi hoti he uska mukabla karne me utna hi jyada maja aata he.

Army chief nisha ki baat sun kar bhadak uthe

Army chief- tum jaanti bhi ho kit um kya keh rahi ho. Are operation cobara ke bare me kuchh pata bhi he ya yun hi josh me aakar kuchh bhi bole jaa rahi ho

Nisha- sorry sir mera uddesh aap ka apmaan karna nahi he par ek baat mai aapk sabhi ko clear kar dun ki mene bhale hi on record koi field operation na kiya ho par off record mujhe iska achchha khasa anubhav he.

Mr. prabhu ne bhi nisha ka samarthan kiya

Mr. prabhu- sir she is right. Operation cobara ke liye agent zero ek dum perfect he.

NSA ne nisha keg our se dekha aur bole

NSA- are you sure????

Iska jabab nisha aur mr. prabhu ne lagbhag ek saath diya

“100% sir”

Army chief- par mai sehmat nahi hun, operation cobara Indian army aur RAW ka joint operation hai, aur me iski ijajat nahi de sakta.

Nisha- sir aap nischint rahiye mai aap ko nirash nahi karungi. Aap ek baar mujhe moka dekar to dekhiye

Army chef- tum ek dum pagal ho, operation cobara ke bare me tum janti hi kitna ho

Nisha- sorry sir mujhe uske bare me kuchh bhi nahi pata par mujhe yakeen he me use poora kar sakti hun

Army chief- koi bhi faishla karne se pehale ek baar operation cobara ke bare me achchhi tarah se jaan lo.

Army chief kuchh pal ruk kar bole

Army chief- itna to tum janti hi hogi ki hamre kai agent alag alag desho me alag alag pehchhan ke saath rehate he, aur samay samay par hame information bhejte rehate he, yese hi hamare kuchh agent china me bhi he, kuchh din pehale hi unme se do agents jo ki COK(china occupied Kashmir) me tainat the ko pehchan liya gaya he, aur wo is wakt china army ki giraft me he, wo hamre kai saare secrete jante he. China un par har prakar ka torchar aajmayega, ho sakta he wo ab tak khamosh ho, par jyada din tak nahi reh paayenge. Jo ki hamare desh ki suraksha ke liye khatarnaak ho sakta he. Is liye operation cobara taiyaar kiya gaya jiske antargat yaa to unhe baha se surakchhit india bapis lana ya fir khatam kar dena samil he.

Army chief ek baar kuchh palo ke liye ruke aur fir nisha ko ghoorte huye bole

Army chief- ab bolo. Kya ab bhi tum ye operation karna chahati ho

Nisha ne army chief ke ankhon me dekhte huye kaha

Nisha- jee sir, mai taiyaar hun

Ek baar fir haall me khamoshi chha gai, jise NSA ne hi bhaga kiya

NSA- aal right prabhu agent zero ko operation cobra ki detail de do

Iske baad kisi ke pass kehane ke liye kuchh bhi nahi tha. Is liye meeting khatam ho gai. meeting ke baad mr. prabhu ne nisha ko operation cobara ki file de di aur use apne saath apni marzi ka koi bhi patner chunne ki ijajat mil gai.

Nisha ne operation cobara ko samajhne me jyada samay nahi liya, aur turant hi uski taiyaari me lag gai. sabse pehale to usne apne andar ek micro chipe inject ki jo use sidhe queen se connect karti thi.

Nisha ke andar jo micro chip inject ki gait hi wo baaki chip se alag thi. jiske bare me nisha kisi ko bhi nahi bataya tha. Asal me woe k master chip thi, jo dekhne me baaki chip ki hi tarah hi thi par uski khasiyat ye thi ki uski codding aam chip se alag thi. nisha ne is chip ki codding khash apne liye alag se kit hi. Jiski sahayta se nisha kahi se bhi queen ko direct control kar sakti thi. matlab ki jaha ek taraf sabhi agents ka control queen ke pass hoga, bahi nisha ke pass queen ka controll hoga.

Iske baad nisha ne apne patner ke roop me usi agent ko chuna jisko aaj meeting ke douraan chipe inject ki gai thi. jiski 3 bajah thi. pehali bajah ye ki wo Kashmir se tha. Isliye wo us ilake ke bare me parichit tha. Dushri bajah uska Indian army se hona. Jo uske bahaddur aur desh bhakt hone ka sboot tha, aur tishrei bajah ye thi ki nisha filhaal kisi aur agent par is chipe ka prayog nahi karna chahati thi. pehale wo is chip ke result ko dekhna chahati thi.
 
The__rock

New Member
4
8
18
Hlo bro
Mera 1 request h ki Nisha KO fir se Apne life m lekar aao or Puri family ko fir se sath m jor lo
This is a humble request.
 
Alok

Well-Known Member
11,340
27,991
258
:yourock: :yourock:
 
  • Like
Reactions: Naik and redhat.ag
Top