Update 079
-----------------------
ajju, jiya, vikash,renu aur vikash ke papa marrige gardan se sidhe vikash ke ghar pahunche. chunki raat bhar jaagne ke bajah se wo ghar bahuchte hi so gaye. renu jiya ke saat ek kamre me hi so gai thi. dopehar ke kareeb 2 baje sabki aankh kuli. iske baad ajju aur jiya baaki ki rashmo me bussy ho gaye. chunki vikash ke papa ke alawa ghar me uske saath aur koi nahi rehata tha. is liye saari taiyaari jiya aur ajju ko hi karni thi.
saari rashme aur hote hote raat ke kareeb 9:30 baj gaye the. jiya is wakt vikash aur vikash ke papa ke saath hall me beth kar baate kar rahi thi. jabki jju is wakt renu ke kamre me uske saath moujood tha. renu kaafi der se khamosh bethi hui thi is liye ajju ne usse poochha
ajju- kya baat he renu itni khamosh kyun ho???? kya ghar ki yaad aa rahi he.
renu ne bina kuchh kahe na me sar hila diya. fir kuchh der khamosh rehane ke baad boli
renu- bhai aapke hote huye mujhe ghar ki yaad kese aa sakti he
ajju- to fir???????
ek baar fir renu kuchh der khamosh rahi. aur fir ajju ki taraf dekhne huye boli
renu- bhai ab kya hoga?
ajju- matlab??????
renu- mama ji ko nisha bhabhi ke baare me pata chal gaya he.
ajju renu ki taraf muskura kar bola
ajju- to koi baat nahi. mama ji bhi to apne hi he. bese bhi aaj nahi to kal sabko ye baat pata chalni hi thi.
renu- pata nahi mujhe kuchh thik nahi lag raha he. yesha lag raha he jese koi bahut bada toofan aane bala he
ajju- tu pagal he, yesa kuchh nahi hone bala. asal me tu ham dono se bahut pyaar karti he is liye hum dono se related har baat par pareshan ho jaati he.
renu- bahi yesa kab tak chalega. aap dono kab tak yun dushro se chhip kar rahoge. mujhse ab bhabhi ka akelapan aur nahi dekha jata. aur aap bhi ab unhe bahut kam samay de paate ho.
ajju- mene kal hi mama ji se bol bhi diya he ki ab wo jiya ko sab sach sach bata de. jab wo jiya ko nahi batate tab tak besa hi chalne denge jesa ab tak hota aaya he. kaash agar nisha ne mama ji ki bato me aakar wo kasam na khaai hoti to ye sab nahi hota.
renu- bhabhi to kisi ka bura nahi sochti, wo to sab ki khushi ke liye kuchh bhi kar sakti he. fir mama ji unke saath yesha kyun kar rahe he. aur pata nahi jiya didi ko kya ho gaya he kuchh dino se. wo bhi nisha didi ke naam se chidne lagi he. unki har baat ka birodh karne lagi he. jabki bhabhi ne ho hamesha unki khusi hi chahi he
rnu ki baat sun kar ajju ek lambi sansh lekar reh gaya. kyun ki wo khud nahi janta tha ki aakir nisha se in logo ko problem kya he. ajju ko khamosh dekh kar renu fir boli
renu- bhai kya aap ki bhabhi se baat hui
ajju ne ek gehari sansh li aur bola
ajju- nahi.... par tum ye kyun poochh rahi ho?
renu- pata nahi!!!! par jab se bhabhi ghar aai he thoda pareshan lag rahi he. sayad unhe aap se kuchh jaroori baat karni he.
ajju- haan wo kai baar mujhse bhi keh chuki he, par jab bhi hum ek dushre se baat karne ki kosis karte he kuchh na kuchh yesha ho jata he ki hamari baat hi nahi ho pati. achchha kiya jo tune mujhe yaad dila diya. mai kal hi uske pass jakar baat karta hun. bese bhi nisha kabhi yesha karti nahi he. chhoti moti problam wo khud hi handle kar leti he. jaroor koi khash baat hogi. khair chhod ye sab baate aur ye bata ki aaj teri baat hui kya nisha se
renu- nahi!!!! par mujhe unki bahut yaad aa rahi he.
ajju- to fir mai call karu use??? tu baat karegi?????
renu- bhai aaj rehane do. maa bata rahi thi ki marrige gardan se saara kaam khatam kar ke dopehar me wo aai thi aur aate hi dushre kaamo me bussy ho gai. uar kaal to poori raat yun hi nikal gai thi. bese bhi kai dino se unhone thik se rest bhi nahi kiya he. isliye aaj unhe aaram karne dete he. mai kal subhay unhe call kar lungi.
ajju- thik he jesi teri marzi.
abhi wo baat kar hi rahe the ki baha jiya aa gai. jiya ke aate hi ajju baha se chala gaya aur vikash aur vikash ke papa ji se baate karne lga. jaki jiya suhagraat ke liye renu ko taiyaar karne lagi.
jiya is wakt kaafi khush thi. wo thodi bahut renu se chhedchhad bhi kar rahi thi. jabab me renu bus muskura kar reh jati. aaj jab se wo vida hokar aai thi tab se usne jiya se ek sawd bhi nahi kaha tha. aur ab bhi khamosh hi thi. jiya ko lag raha tha ki sayad sharm ki bajah se wo kuchh bol nahi rahi he. ya fir use ghar ki yad aa rahi he. kuchh der baad jab jiya renu ko taiyaar kar chuki. to use dekht huye boli.
jiya- renu aaj to tum bahut jyada sundar lag lag rahi ho. vikash sach me bahut lucky he jo use teri jesi khoobsoort patni mil.
jiya ki baat sun kar renu ek bal ke liye muskurai aur fir thodi udash ho gai. jise dekh kar jiya ne usse poochaa
jiya- kya baat he renu, tum itni udash kyun ho
renu ne jiya ki aankho me dekha aur khuchh palo tak khamosh rehane ke baad boli
renu- sorry jiya didi, agar kabhi bhi meri kisi baat se bura laga ho to.
renu ki baat sun kar jiya hairaan reh gai. use samajh me nahi aaya ki wo kya he. aur aakhir renu ko kya ho gaya he. kyun ki aaj renu jese vartav kar rahi he besi to wo kabhi bhi nahi thi. aaj use ek alag hi renu dekhne ko mil rahi thi. uskio chanchalta poori tarah se gayab thi. aur zindgi me aaj pehali baar usne apne vartav ke liye usse maaf maagi thi. renu ki is harkat ki bajah se anjane me hi jiya ke muh se nikala gaya
jiya- tu pagal ho gai he kya????? mene kabhi aaj tak teri baato ka bura mana he kya kabhi??? tujhe maafi maangne ki koi jaroorat nahi he. tu to bachpan se hi hum sabki pyaari rahi ho. teri to hajaro galtion ko mai maaf kar sakti hun
jiya ki baat sun kar renu khamosh hi rahi. par jab usne dekha ki jiya use hi dekh rahi he to boli
renu- didi agar kisi ne koi galti agar kabhi ki hi na ho to kya usse naraj hua ja sakta he.
jiya samajh gai ki renu ka ishara nisha ki taraf he. isliye ek pal ke liye to use renu par gussa aaya par agle hi pal muskura kar boli
jiya- agar koi apana he usse kabhi bhi naraj nahi hua jata. bese me achchhi tarah se samajh rahi hun ki tum kiske baare me baat kar rahi ho.
renu ne jiya ki baat par koi reaction nahi diya. bus khamosh hi rahi. is khamoshi ko todne ke liye jiya boli
jiya- bese tujhe pata to hai na ki aaj raat kya hone bala he.
is baar rnu ne naa me sir hila diya. jiske jabab me jiya boli
jiya- mai maan hi nahi sakti ki tujhe pata na ho. tere jaisi advance ladki suhagraat ke baare me jaanti hi na ho ye possiable hi nahi he
jiya ki ye baat renu ko andar se hear kart gai. uski aankho me aanshu aa gaye. jo ki jiya ki najro se chhip na sake. par fir bhi apne chehare par muskaan laati hui wo boli
renu- aur fir bhi aap meri jaisi advance ladki se apne bhai ki shadi hone di jiya didi
renu ke jabab ne jiya samajh gai ki uski baat renu ko heart kar gai he. par ab kya kiya ja sakta tha. teer to kaman se nikal hi chuka tha. isliye baat ko samhaalte huye jiya boli
jiya- are mere kehane ka matlab ye tha ki nisha didi ne to tumhe bataya hi hoga
renu- nahi unhone mujhe kuchh nahi bataya he
jiya- yesa kaise ho sakta hai, tum to nisha di ke itne kareeb ho
renu- kareeb to aap bhi thi bhabhi ke. hum sab se bhi jyada aap kareeb thi un ke.bhabhi, aap, ajju bhai, aur monu bhai kitne kareeb the ek dushre ke. aap log to 4 jishm ek jaan hua karte the.
renu ki baat sunkar jiya kuchh palo ke liye purani yaado me kho gai. jinhe yaad karke uske chehare par muskaan aa gai. par jald hi wo apni yaado se bahar aa gai aur samhal kar boli
jiya- kuchh to bataya hi hoga nisha di ne tumhe
renu- sach me jiya di unhone mujhe kuchh bhi nahi bataya.
jiya- mujhe to kai saare tips de rahi thi wo
renu- wo aapka aur unka relation he. jise aap chahe to do behano ke bichh ka relation maan le yaa chahe to do best friend ke bich ka realtion. yaa jo aap ka dil kare wo maan le
jiya- aur tumhara bhi nanad bhabhi ka relation he.
renu- bus yahi antar to he unme aur baaki sab me. dushro ki najro me mai ek ladki, ek patni, ek behan ho sakti hun par unki najro me mai unki beti jesi hun. jabki meri najro me wo maa ke saman he. aur ek maa kabhi apni beti se is prakar ki baat nahi karti aur na hi ek beti apni maa se ye umeed karti he. mene thik kaha na jiya didi.
renu ka jabab sun kar jiya buri tarah se bokhala gai. use samajh me nahi aaya ki wo kya bole is liye thoda chid kar baat palatte huye boli
jiya- kya didi didi laga rakkha he. tu pehale ki tarah mujhe bhabhi kyun nahi kehati.
renu- mai to pehale bhi aap ko didi hi kehati thi
jiya- are par tere bhaiya se shadi ke baad to tune mujhe bhabhi kehana suru kar diya tha na. aur ter muh se to mujhe bhabhi sunna hi achchha lagta he.
renu- tab se lekar ab tak hamre reisto ke maayne kaafi badal gaye he jiya didi. ab to mai chah kar bhi aap ko bhabhi nahi keh sakti. kyun ki ab aap meri badi nanad ho. aur is riste ka samman to mujhe rakhna hi padega. hai na.
ek baar fir jiya ke pass kehane ke liye kuchh nahi tha. is liye wo kamre se bahar nikal gai. jiya ke jate hi renu suhag sej par beth kar vikash ka intjaar karne lagi. aur apne dimaag me chal rahe toofaan ko shant kar ke aane baale haseen palo ka intjaar karne lagi.
-------------------------------
Varun aur sadhna dono hi apne room me ek dushre ki baho me lete huye the. dono ke hi sareer par is wakt ek bhi kapdha nahi tha. dono hi kuchh der pehale hi pyaar ke ek toofani dour se gujre the. aur ab apni sansho ko niyantrit karne ka prayash kar rahe the.
varun ke ek hath par is wakt sadhna apna sir rakkhe huye thi aur apne ek hath se varun ke sine ko sehala rahi thi. jabki barun apne duhre hath se sadhan ki pith air kamar sehala raha tha.
achanak varun ne sadhan ke hontho par pyaar se ek kiss kar liya. jabab me sadhna muskura di aur fir usne bhi varun ke hontho par ek kiss karte huye kaha.
sadhna- love you jaan
varun- love you too jaan
kuchh der fir dono ke bich me khamoshi rahi. is sadhna ne hi bhang kiya.
sadhna- aap se ek baat poochhun
varun- hun....
sadhna- aap mujhse kitna pyaar karte he.
varun- ye kesha sawal he?????
sadhna- sidha sa to sawal he, plz jaan batao na ki aap mujh se kitna pyaar karte he
sadhna ki baat ko sun kar varun khamosh raha. aur fir bola
varun- jaan pyaar koi yeshi chij to hai nahi jise gin kar yaa naap kar bataya jaye. pyaar to ek yehsash he. aur is yehsash ko mapa nahi ja sakta. pyaar kabhi bhi kam ya jyada nahi hota. pyaar to bu pyaar hi hota he.
sadhna- baate to koi aap se banana sikhe.
varun- nahi mai sach keh raha hun. achchha tum hi bata do ki tum mujhse kitna pyaar karti ho.
varun ki baat sun kar sadhan sochte huye boli
sadhna- uuuummmmmm sabse jyada
sadhna ki baat sunkar varun muskura diya. aur fir bola
varun- aur bhala ye "ye sabse jyada" kitna hota he
sadhana fir ek baar sochte huye boli
sadhana- uuuuuummmmmmmm..... chalo chhodo mujhe nahi karne aapse koi baat. aap to mujhe meri hi baato me uljha rahe he.
ek baar fir sadhna ki baat sunkar varun muskura utha. aur fir bola
varun- tabhi to mene kaha tha ki pyaar ko mapa nahi ja sakta. par fir bhi tum ye janna chahati ho ki mai tumse kitna pyaar karta hun to iska mere pass keval yahi jabab he ki mai tumse utna hi pyaar karta hun jitna kabhi ranjhe ne apni heer se kiya hoga ya majnu ne apni laila se kiya hoga
varun ki ye baat sunkar sadhna muskura uthi. aur boli
sadhn- sachchiiii........ kya aap hamesha hi mujhe itna pyaar karenge.
varun- saari zindgi. aur har din ye pyaar badta hi jayega
varun ki baat sun kar ek baar fir sadhna muskura uthi. aur fir usne varun ke gaalo par pyaar se ek kiss kar liya. aur saamne baali diwaal par dekhne lagi jis par uske aur varun ke kai saare phota lage huye the. jabab me varun ne bhi sadhna ke gaalo par ek kiss kiya aur wo bhi sadhna ki tarah saamne diwaal ki taraf dekhne lagi
sadhna- nisha didi bhi kamal he na. unhone hamri shaadi ka kitna khoobsoorat tohfa diya he hame.
varun- haan ye baat to he. ye ab tak ki meri sabse best gift he
sadhna- par unhe hamari ye pics mili kaha se
varun- ye to nisha mem hi jaane, wo kuchh bhi kar sakti he
un dono ke bich ek baar fir khamoshi chha gai. jise sadhan ne hi bhang kiya
sadhan- agar aap bura na maano ti aapse ek baat aur poochhun
varun- isme bura manne ki kya baat he, tumhara mere upar poora adhikaar he. poochho kya janna chahti ho
sadhna kuchh der khamosh rahi aur fir boli
sadhna- aap pehale jiya ko pyaar karte the na?????
varun ne sadhna ke aankho me dekha aur muskura kar jabab diya
varun- nahi... mene kabhi bhi jiya se pyaar nahi kiya. par haan jab jiya poonam ke roop me mere saath kaam karti thi tab mai use pasand jaroor karta tha. par mere man me tab wo feelings nahi thi jo aaj tumhare liye he.
sadhan- matlab??????
varun- matlab ye ki mere man me jiya ke liye kabhi koi feelings nahi rahi. meri feelings poonam se judi thi jo ki poonam ke saath hi khatam bhi ho gai thi.
sadhan- to fir poonam ke liye aapke man me kya feelings thi
varun- ek achchhe dost ki feeling jo mai aur aage le jana chahta tha. par usse pehale hi jiya hamare saane aa gai
sadhna- dost to aapki jiya bhi he
varun- haan wo ab bhi meri dost he. par tab ki dosti me aur ab ki dosti me antar he
sadhan- kya????
varun- tab wo mere saath kaam karti thi meri saathi thi par ab wo meri boss he.
sadhan- aur?????
varun- tab uski shadi nahi hui thi, ab wo marrid he aur apne parivaar ke saath bahut khush he.
sadhna- aur????
varun- aur uska chehara, pehale usak chehara alag tha aur wo apne bastvik chehare ke saath he.
varun ka jabab sunkar sadhna kuchh der khamosh rahi aur fir boli
sadhna- ek baat aur poochhun
varun- hun...
sadhan- aapne nisha didi aur jiya dono ke saath hi kaam kiya he. aapko kya lagta he ki in dono me kon jyada best he.
sadhna ki baat sun kar varun kuchh der khamosh raha. jese kuchh soch raha ho aur fir bola
varun- dekho sadhan me nahi janta ki tum ye saal kyun poochh rahi ho, aur is wakt tumhare man me kya chal raha he. kyun ki mai janta hun ki jiya tumhari behan he. par nisha mem se tumhara direct koi relation nahi he. par manoj sir aur renu tumhare relative he jinki bajah se tum bhi nisha mem ko didi bolti ho.
sadhan- jee nahi pati dev mere man me kuchh bhi nahi chal raha he. me to bus yun hi janna chahti thi. par agar aap is sawal ka jabab nahi dena chahte to koi baat nahi
varun- nahi yesi baat nahi he. par jiya aur nisha dono hi alag alag personality he. in dono ki tulna karna hi bekaar he. dono hi aapne kaam me best he.
sadhan- par kuchh to antar laga hoga aapko dono ke kaam karne ke tareeke me.
ek baar fir sadhana ki baat sun kar varun kuchh der khamosh raha aur fir bola
varun- ek antar he jo mene dono me dekha he aur wo ye ki jiya aaj bhi poonam ki hi tarah he.
sadhna- matlab???
varun- matlab ye ki use agar koi kaam diya jaaye ya ya kisi kaam ke baare me jara sa bhi bata diya jaaye to wo us kaam ko sabse best tarike se poora karti he. par khud se koi naya kaam wo nahi kar pati he. kyun ki new project ya new idea ke liye wo risk nahi le pati he. usne compony ko bahut best tarike se handle kiya hua he. par aaj bhi company usi star par he jis star par nisha mem ne use chhoda tha. matlab ki company ki koi growth jiya ke saamne nahi hui he. par koi loss bhi nahi hua he.
kuchh der rukne ke baad varun fir bola
varun- jabki dushri taraf nisha mem he. jinhone hamri company ko is mukaam tak pahunchaya he. halanki iski suruaat ajay sir ne ki thi. par ajay sir kabhi bhi company ko jyada namay nahi de paye he. nisha mem ne na keval hamri company ko nai uchaiyo par bhi pahunchaya he balki dushre kaamo ko bhi unhone akele apne dum par handle kiya hua tha. ek samay to yesha aaya tha ki nisha mem hospital me admit thi aur bahi se hamri company, news chanel, hospital, NGO, aur security company ko ek saath handle kar rahi thi. aur bo bhi tab jab unki halat bahut jyada gambheer thi. jiya kabhi bhi itne saare kaam ek saath handle nahi kar sakti he.
varun ki baat samapt hote hi sadhan boli
sadhan- huuunn to iska matlab ye hua ki nisha didi best he
varun- nahi.... iska matalb ye he ki dono hi best he . par jiya me nisha mem ki tarah energy aur unki tarah kaam ke prati joonoon nahi he.
iske baad dono ke bichh khamoshi chha gai. kuchh der yun hi rehane ke baad varun ne ek baar fir sadhan ke hontho par apne honth rakh diye aur uske ubharo se khelne laga. yun achanak huye hamle ke liye sadhan taiyaar nahi thi.
uuuuuuuummmmmmmm
aaaahhhhhhhh
uuuuuummmmmmm
ssssssssssssss
par bechari kya kar sakti thi jab tak use kuchh samajh me aata tab tak varun us par poori tarah se hawi ho chuka tha. sadhan kuchh der yun hi chatpatati rahi aur fir usne apne aap ko varun ke hawale kar diya. aur fir kamre me ek baar fir kamuk awaje gunjne lagi
uuuuuuuummmmmmmm
aaaahhhhhhhh
uuuuuummmmmmm
ssssssssssssss