Update 002
----------------------------
achanak ajju ki ankh khul jati hai. uska dil bahut jor se dhadak raha tha or poora sarir pasine se bhiga hua tha. ajju kuchh der ankhe band kar ke betha rehta hai or apne aap ko normal karne ki kosis karta hai. tabhi manoj yani monu ki awaj aati hai or wo sidha ajju ke kamre me gus jata hai.
monu ajju ka best friend hai umra 22 hai ajju ke ghar par ajju ke pita ramesh, maa uma evam uski behan reenu umra 18 hai. ye log ajju ko apne ghar ka sadshya hi maante hai. or ajju bhi unhe apna hi maanta hai. yaha tak ki ajju reenu se rakhi bhi bandhbata hai. or reenu ajju ko manoj ke tarah apna saga bhai hi manti hai.
monu- abe abhi tak so raha hai jaldi chal college nahi chalna kya agle mahine final exam hai.
manoj apni dhun me bolta hi jata hai par jaise hi wo ajju ki halat dekhta hai chonk jata hai.
monu- abe kya hua tere ko
ajju- kuchh nahi yese hi
monu- kya fir bahi sapna?
ajju- haa yar
monu- yar mujhe to lagta hai tujh par kisi bhoot pret ka saya hai kisi tantrik se pooja bagerah kar le
ajju- abe me nahi maanta in sab ko. na to bhooto ko na to bhagwan ko
monu- kya baat kar raha hai. tera baat khud itna bada pandit hai. or tu bhagwaan ko nahi manta.
ajju- dekh bhai ye sab kuchh nahi hota bas prakrati ko santulit karne ke liye purane logo ne ye sab bate banai hui hai. kher chhod tu nahi samjhega
monu- kya nahi samjhunga. or tu kis base par yesa bol raha hai.
ajju- hamare dharm me kai yesi chije hai jinhe astha se joda gaya hai. or wo is liye taki ham prakarati ka miss use na kare. uski raksha kare. evam samaj santulit rahe.
monu- wo kese
ajju- ab me tujhe kese samjhau. 5 min ruk me fresh hokar aata hu. fir bata hu.
ye bol kar ajju bahar nikal jata hai or manoj tv on kar ke local news chanel dekhne lagta hai.
lagbhag adhe ghante baat ajju naha dhokar taiyar tha or kichin me jakar manoj ke liye chay rakh deta hai chuki ajju ke ghar par ajju evam uske pita keval do log hi hai is liye ghar ke maximam kham ajju khud ki kar leta hai. isa liye wah apne liye or apne pita ji ke liye khana banane lagta hai. tabhi manoj kichin me aa jata hai.
monu- ab bata
ajju- dekh ham log kai chijo ko dharm se jod lete hai lekhin unka dharm se koi sambandh nahi hota. jese tulsi ki pooja, pipal ki pooja aadi.
monu- haa yaar ye to andh vishwash hai.
ajju- nahi andh vishwash nahi balki sudh vigyaan hai
monu- matlab
ajju- abe bolne to de bich bich me kyu tok raha hai. ab chup rehna. dekho hamare dharm ka saar ved or purano me hai jinhe rishi muniyo ne likha hai wo log bastav me vegyanik hote the. jab un logo ne tulshi par resarch ki to unhe pata jaga ki tulsi me kai yese tatv hai jinse kai alag alag rogo ki dabai banai ja sakti hai sath me usme tamba ki adhikta bhi hoti he jo bijli ki suchalak hota hai. is liye jis ghar me tulsi hoti hai us ghar par bijli nahi girti. ab hamare rishi muniyo ne socha ki ye baat sidhe sidhe aam insaan ko batayenge to bo yakeen nahi karenge. kuchh log yese bhi hoge jo unka majak bhi uday. or kuchh ko to samajh me hi nahi aayega ki ye hota kese hai. is liye unhone ise astha se jod diya. matlab ki use bhagwan ka darja de diya. natija ye ki aaj lagbhag har ghar me tulsi hoti hai.
monu- bo to thik hai par pipal
ajju- usi par aa raha hu pipal jesa ki tu bhi janta hai ek matra yesa ped hai jo raat me oxcijan chhodta hai is liye use bhi astha se jod diya. rahi baat ram, krishn to bhai kisne dekha unhe. kisi ne nahi. bastav me mera maanna ye hai ki ram, krishn bahut pehle aam insaan rahe hoge. par unhone samaj me rehne ke liye kuchh niyam banay hoge. chuki insaan ki fitrat hoti he ki apne se sakti sali ki hi baat mane. or jyadatar kaam dar ki bajah se karta hai. is liye bhagwan sabd ki rachna ki jo sarv saktimaan hai sarb vyapi hai. kuchh bhi kar sakta. or insaan darne laga. yahi bhagwan sabdh ram, krishn or any devi devta par lagu kar diya. taki unke niyam evam sidhanto ka palan ho sake. or dekho wo log safal bhi hai.
monu- matlab ki tu maanta hai ki bhagwan nahi hota
ajju- nahi me bhagwan ko manta hu par meri najar me ye prakarti hi bhagwan hai. ram, krishn ki pooja ki jagah agar me unke sidhanto par chalta hu to yah unki pooja se bhi bad kar hoga..
monu- sahi bol raha hai. is tarah se to mene soch hi nahi.
inke bato ke doran chay ban kar taiyar ho jati hai. to ajju do kap me chay chhan kar manoj ko deta hai ke kap manoj khud peene lagta hai or dushra kap utha kar ajju ki pitaji ko dene chala jata hai. kyun ki ajju ko chay cofee cigrate addi nahi pita. idhar ajju khana taiyar kar raha tha ki tabhi manoj bhagta hua aata hai.
monu- abe teri bato me ye batana to bhool hi gaya ki jiya aai hai. jiya manoj ki bua ji ki ladki hai. or ajju or manoj ki ham umra bhi hai. tino apas me acche dost bhi hai.
ajju- abe teri to jo baat pehle batani thi bo ab bata raha hai. lagta hai aaj panga hoga hi hoga.
monu- nahi hoga me us se bol ke aaya hu ki ham sidhe college niklenge bapisi me tu mere ghar par aakar milega. kyun ki aaj test hai. or me principal ki dant nahi sunna chahata. samjha
ajju- samajh gaya bhai. khana ready hai. tu khayega kya
monu- haa sath melkar khayenge.
or fir dono khan khakar college ke liye nikal jate hai.