Update 070
--------------------
Nisha jab mission cobra complete kar ke RAW office pahunchi to uska baha jordaar swagat kiya gaya. uski team ke sabhi logo ne aur kai aur agents ne is poore operation ko queen ki sahayta se live dekha tha. is poore operation ko itni saandaar tarike se poora karne ki bajah se sabhi logo ke najro me agent zero ke liye respect kai guna adhik bad gai thi. par chunki pichhle kai dino se nisha apni team ke sabhi members se ghul mil gai thi is liye unke bich me thoda bahut hanshi majak hone laga tha.
sonal- "hind ki serni" ka swagat he
nisha- kya sonal ab kam se kam tum log to rehane hi do
kapil- are nahi agent zero aapki tareef me jitna kaha jaye utna kam he. hame aapke saath kaam karne par bakai me garv he.
priya- sahi kaha, aapne apni technikal ability se pehale hi hum sabhi ko impress kiya hua tha. aur ab jo aapne kaarna kiya he usse aapke liye hamare man me ijjat aur bhi jyada bad gai he.
nisha- ab tum log mujhe sarminda kar rahe ho.
kapil- are nahi aapne bakai me ye respect earn hi he
nisha- come on kapil ye kya aap aap laga rakkha he. bese bhi ye ham sab ki jeet he.
gagan- haan wo to he.bese bhi ham sab ne is operation ko poora karne me kitni mehanat ki he. dekho raat din kaam karne ki bajah se meri aankhe ek dum laal ho gai he. aur pata he hamne itni saari mehanat yaha head office me aaram se sofe par beth kar is poore operation ko dekh kar hi he
gagan ki baat sun kar sabhi log hasne lage. par gagan abhi kaha rukene bala tha
gagan- bese ab ham log aapko kya keh kar bulaye. agent zero, hind ki serni ya fir zoya appi
gagan ki baat sun kar pass me hi khada ikram muskura diya
nisha- jo dil kare us naam se bula sakte ho.
priya- to thik he ham sabhi log bhi aap ko zoya keh kar hi bulayenge.
priya ki baat sunkar nisha keval muskura di. abhi unki baate chal hi rahi thi ki tabhi mr. prabhu baha par aa gaye.
mr. prabhu- hello everyone mere pass ek good news he.
sabhi log gour se mr. prabhu ko dekhne lage
mr. prabhu.- aaj se agent zero RAW ki deputy chief he. is liye sabhi log mere alawa keval aur keval agent zero ko hi report karenge. aur meri absence me mera poora charge agent zero ke pass hi rahega.
mr. prabhu ki is ghosna se sabhi log taliya bajane lage. par nisha is ghosna se khush nahi thi. is liye wo boli
nisha- thanks sir, par mai ye charge nahi le saki
mr. prabhu- what?????? par kyun????
nisha- sir yaha mujhse bhi kai senior agents he. jo deserve karte he. bese bhi mene abhi tak apne aap ko proov bhi nahi kiya he. mai kese...
nisha ki baat poori bhi nahi hui thi ki mr. prabhu bol pade
mr. prabhu- tum deserve karti ho. bese bhi yaha sabhi log jante he ki agent zero code RAW ke best agent ko hi diya jata he. jo aage chal kar RAW ka chief bhi banta he.
nisha- par sir...
mr. prabhu- koi par bar nahi. this is final. iske alawa koi aur baat karni ho to office me aakar mujh se mil sakti ho.
itna bolkar mr. prabhu baha se chale gaye. unke jaate hi sabhi log nisha ko mubarakwaad dene lage. kuchh der baad nisha mr. prabhu ke office me thi
mr. prabhu- deputy chief na banne ke alawa koi aur baat karni ho to kar sakti ho.
nisha- sir kya me deputy chief banne ke baad bhi field operation kar sakti hun
mr. prabhu- nahi
nisha- par sir mai field operation karna chahati hun. isi liye mene deputy chief banne se inkaar kiya.
mr. prabhu- nahi matlab nahi
nisha- par kyun sir, kya mujhse koi galti hui he
mr. prabhu- are nahi yesi baat nahi he. par mai nahi chahta ki ab tum kisi bhi field operation par jao
nisha- kyun sir
mr. prabhu- iska jabab mai tumhe nahi de sakta. ab se tum yahi offise kaa sara official kaam dekhogi. aur sabhi operation to apne hishab se agents ko assign karogi. aur baaki yaha ka jo bhi technical kaam he wo bhi tumhare under me rahega. tum keval mujhe report karogi. aur mere baad sidhe NSA evam hamare mahamahim rastrapati ji ko report karogi. is that clear
Nisha- sir i am sorry par mai ye posr accept nahi kar skti.
nisha ki baat sun kar mr. prabhu hairaan reh gaye. aaj tak kisi ne bhi is prakar se unke aadesh ko nahi tala tha. unhone apne gusse ko controll me kiya aur bole
mr. prabhu- par kyun
nisha- kyun ki mai field operation karna chahati hun. deputy chief banne ke baad mai wo nahi kar paungi. jab tak aap mujhe field operation ki permission nahi dete mai ye post accept nahi karungi
mr. prabhu badi muskil se apne gusse ko controll kiye huye the. wo bole
mr. prabhu- come on nisha ye kya rat laga rakkhi he. mai personally nahi chahata ki ab tum koi bhi field operation kar ke apni jaan jokhim ne daalo. operation cobara to mene keval tumhe is liye diya tha taaki tumhe deputy chief banane par koi apatti na kare. aur tumne wo bakhoobi kiya he. par tum field operation ke douran mout ke saath hi aankh micholi khelne lagti ho. jo ki khatarnaak he. aur me nahi chahta ki tum ab kisi musibat me pado.
mr. prabhu prabhu ki baat sunkar nisha heraan reh gai. uske dimaag me is wakt aandhiyan chal rahi thi. use samajh me nahi aaya ki aakhir kyun mr. prabhu ki uski itni jyada fikar ho rahi he. isliye usne mr. prabhu ki aankho me dekhna suru kar diya. chunki megnatic field ki bajah se nisha mr. prabhu ke dimaag ko nahi pad paa rahi thi. par nisha ne haar nahi maani aur aakhir kaar wo safal rahi.
mr, prabhu ke dimaag ko padte samay nisha chonk gai. use mr. prabhu se ye ummeed nahi ki thi. agle hi pal nisha ke chehare par muskaan thi. jise dekh kar mr. prabhu heraan reh gaye
mr. prabhu- what??? tum meri baat sun kar hansh rahi ho. oh shit.......... kya tum mera dimaag pad rahi ho
mr. prabhu ki baat sun kar nisha ki muskaan aur bhi jyada chodi ho gai.
mr. prabhu- par par ye kese possiable he yaha to megnatic fiel he. fir tum kese mera dimaag pad sakti ho.
nisha- bas sir thodi jyada mehnat karni padi mujhe.
itna bolte hi nisha ke chehare par bachcho jesi muskaan fir se aa gai. ab mr. prabhu ne apne hathiyaar daal diye aur bole.
mr. prabhu- dekho nisha mene hamesha se hi apne desh ki sewa karne ka sapna dekha tha. aur usme me safal bhi raha aur ab bhi apne sapne ko jee raha hun. is sapne ko jeete jeete mujhe ye hosha bhi nahi raha ki meri apni bhi koi life he. mene kabhi bhi apna ghar nahi basaya kyun ki mujhe lagta tha ki ise me apne farz ko sahi se nahi nibha paunga. is baat ka mujhe kabhi afsos bhi nahi raha. tab tak jab tak ki mai tumse nahi mila. aaj mujhe apne us faishle par bakai me afsosh hota he. kyun ki aaj agar meri family hoti to mere bachche tumhari hi umra ke hote. aur wo tumhari hi tarah desh ki sewa kar rahe hote, tumhe dekh kar mujhe lagta he ki kaash tum meri beti hoti.
mr. prabhu ki baat sun kar nisha muskura kar boli.
nisha- beti na sahi beti jesi to hun hi na sir aur aap mere pita ke saman. aaj se aap yahi samajh lijiye ki mai hi aapki beti hun.
nisha ki baat sunkar mr. prabhu ki aankhe nam ho gai. wo bole
mr. prabhu- kya sach me tum mujhe apne pita hone ka adhikaar deti ho
nisha- jee sir
mr. prabhu- to fir pita ka adhikaar bhi deti ho aur sir kehkar bhi bulati ho
nisha- sir mai aapko pita keha kar apne pita ke saath anyay nahi kar sakti kyun ki unhe to meri vastvikta apne antim samay me hi pata chali thi. is liye mai ye sambodhan ke val unhe hi kar sakti hun. aur bese bhi is sawd ne mujhe kaafi lambe samay tak chhala tha. agar me yese kisi sawd ka prayog aapke liye karungi to har baar mujhe mera atiti yaad aayega.
ye sab bolte bolte nisha ki bhi aankhe nam ho gai thi. jabki mr. prabhu nisha ki baat sun kar mr. prabhu thoda serious ho gaye
mr. prabhu- beta mai samajh sakta hun tumhari condition
par agle hi pal nisha ne apne aanshu ponchhe aur muskura kar boli
nisha- pita ji na sahi par aap ko uncle to bula hi sakti hun
nisha ki baat sunkar mr. prabhu bhi muskura uthe aur bole
mr. prabhu- koi baat nahi uncle bhi chalega. aakhir uncle bhi to pita ke samaan hi hote he. thik he aaj se tum mujhe uncle keh kar hi bulana.
nisha- thik he uncle par keval akele me, kyun ki sab ke saamne to aap RAW chief he to mai aap ko sabke saamne sir keh kar hi bulaungi.
mr. prabhu- thik he koi baat nahi. jesa tum uchit samjho
nisha- par uncle abhi hamari baat khatam nahi hui he. abhi tak aapne mujhe field operation ki permission nahi di he
nisha ki baat sunkar mr. prabhu ne apna sir pada liya. aur aakhir me apne hathiyaar daalte huye bole.
mr. prabhu- thik he thik he tum field operation par jaa sakti ho. par keval kuchh chunindeeda operation par hi. aur iske badle me agant zero ko mujhse vada karna hoga ki wo meri nisha beti ka hamesha khyaal rakkhegi. use surakchhit rakkhegi.
nisha to mr. prabhu ki baat sun kar khushi se uchhal padi
nisha- oh thankyou thankyou thankyou uncle. aap yakeen rakhiye mujhe kabhi bhi kuchh bhi nahi hoga
mr. prabhu- nahi yakeen nahi vada
nisha- ok baba vada ab to khush
nisha ki baat sunkar mr. prabhu bhi muskura diye
--------------------------------------
kuchh hi dino me nisha ne deputy chief ka saara kaam achche se samajh liya tha. aur use apne hisaab se manage karne lagi thi. deputy chief bante hi nisha ne sabse pehale apne sab agents me micro chipe inject karani suru kar di thi. jiski bajah se nisha ka kaam kaafi had tak aashan ho gaya tha. saare agents queen ke maadhyam se direct nisha se connect rehate the. aur unka adhikansh kaam queen khud hi manage kar leti thi.
micro chipe insert hote hi nisha ne ek special task action team ka prastav mr. prabhu aur NSA ke pass bhej diya jiska kaam vishesh paristhitiyon me field operation ke doraan apne agents ki help karna. yaa fir kuchh selected operation ko poora karna tha.
kuchh hi dino me nisha ko iski permission mil gai. nisha ko hi is team ka head banaya gaya tha. is liye use apni team members ko chunne ki azadi thi. nisha ne RAW ke database ko queen ki help se achchhe se check kiya aur apni team ke members ka selection kar liya. jisme uski team member kapil, gagan, sonal, priya aur ikraam ke alawa 7 log aur the jinki detail kuchh is prakar thi
sabse pehali agent thi hina khan jo ki ek IPS officer thi, hina bahadur imaandar aur kaafi intelegents police officer thi. agla agent tha yogendra yadav jo pese se streat fighter tha, wo lagbhag har prakar ki fighting style me maahir tha. agla agent ka naam tha rohit teja, jo ki air force se tha aur ek pilot tha, rohit kisi bhi prakar ke plane, helicopter ko chala sakta tha.
agla agent kartar singh jo ki ek truck driver tha, par wo na keval har prakar ki gaadi ko chala sakta tha balki use repair bhi kar sakta tha, agli agent thi dolly saxena jo ki ek news reporter thi, wo jyadatar videsho me jakar news ko cover karti thi khash kar sports se related. apne is pese ki bajah se wo kai desho ki yatra kar chuki hi. aur baha ke baare me bahut kuchh jannti thi. jaise baha ki language baha ka culture bagerah bagerah.
agla agent mohit chohan jo indian army se tha, aur har prakar ke hathiyar chalane me maahir, iske alaba wo hathiyaro ko repair bhi kar sakta tha aur jaroori saman mil jaye to bana bhi sakta tha. aur aakhri agent thi monika soni jo ki ek docter thi, monika har parkar ki surgery kar sakti thi.
sabhi agents ki list final karne ke baad nisha mr. prabhuke pass unki raay aur ijajat lene gai thi. list ko gour se dekhne ke baad mr. prabhu bole.
mr. prabhu- good achchha selection he. meri taraf se done he. par is list me do naam aur add kar lo jisse tumhari teem member ki sankhya tumhe milakar kul 15 ho jayegi.
nisha- jee uncle mai abhi do aur agents ka selection kar ke aapke pass final list lekar aati hun
mr. prabhu- nahi tumhe mehant karne ki jaroorat nahi he. mene wo do naam pehale se hi soch rakkhe he
nisha- kon he wo?
mr. prabhu- mr. ajay sharma aur mr. manoj dubey
mr. prabhuki baat sunkar nisha hairaan reh gai aur isis hairat bhare andaaj me boli
nisha- whaaatttt. par uncle....
mr. prabhu- koi par bar nahi. mene faishla kar liya he ki ab ajya aur manoj ka is desh ke prati apna farz nibhane ka samay aa gaya he.
nisha- par uncle un dono ki hame koi awashyakta nahi he. mai aakele hi wo saare kaam kar sakti hun jinke liye aap unhe RAw me lana chahate he.
mr. prabhu- tum ne hi to kaha tha ki RAW ke liye ajay tumse behtar he. aur ab tum hi mana kar rahi ho
nisha- uncle tab condition alag thi aur ab condition alag he
mr. prabhu- jara samjhao to mujhe kese alag he
nisha ke pass mr. prabhu ki is baat ka koi jabab nahi tha is liye wo khamosh hi rahi. nisha ki khamoshi ko lambba badta dekh mr. prabhu bole
mr. prabhu- asal me pehale tumhe apne upar confidenced nahi taha aur aaj tumhe in dono par confidence nahi hai. hai na?????
nisha- nahi uncle yesi baat nahi he
mr. prabhu- to fir kesi baat he nisha
nisha- asal me mere mana kar ki bajah kuchh aur hi he
mr. prabhu- kya bajah he???? mujhe batao. agar mujhe laga ki tumhari bajah jayaj he to mai vada karta hun ki in dono ko RAW me samil nahi karunga
nisha kuchh der khamosh rahi aur fir boli
nisha- uncle asal me bajah thodi personal he.
mr. prabhu- koi baat nahi me sun raha hun
nisha- sir inhone apni life me kafi musibaton kaa saamna kiya he. abhi abhi to inki life kuchh samanya hui he. is liye mai nahi chahati ki ye log ek jung khatam kar ke dushri jung me kood jaye.
mr. prabhu- ye kya baat kar rahi ho nisha tum. yaha moujood har ek inshaan ne apni life me kaafi sangharsh kiya he. tumne to khud kitna sangharsh kiya he apni life me aur ab bhi kar rahi ho. par fir bhi tum yaha ho. beta zindgi ka dushra naam hi sangharsh he. ye jung to saari zindgi chalti hi rahegi. har din ek naya sabera nikalta he aur har din ek nai raat bhi aati he. RAW me rehkar ye log sangharsh nahi karenge to kisis aur madhyam se apni zindgi me sangharsh karenge. mai to bus inhe ek sahi direction dene ki kosis kar raha hun. taaki inki zindgi ki jung ek jayaj jung me convert ho jaye
nisha- par uncle aap achchhi tarah se jante he ki mai in dono ko lagne baali ek halki si kharonch bhi bardast nahi kar sakti.
ye bolte bolte nisha ki aankho me aanshu aa gaye. mr. prabhu nisha ki man ki sthity samajh rahe the. isliye unhone nisha ke hatho ko apne haath me lekar pyaar se thap thapaya aur kaha.
mr. prabhu- are ye kya hua meri hind ki serni ko. dushmano ke chhakke chudane baali agent zero aaj apni hi kamjori ki bajah se haar gai he. are beta tum hi to kehati ho ki aaj tak koi maai ka laal peda nahi hua jo ajay ko chhu bhi sake. fir aaj kya ho gaya tumhe. aur manoj to yese profession me he jaha din raat jaan ka khatara bana hi rehata he. fir kyun itna kamjor pad rahi ho
nisha mr. prabhu ki baato ko achchhi tarah se amajh rahi thi aur wo janti thi ki wo jo bhi keh rahe he ek dum sahi keh rahe he. par fir bhi wo kisi bhi tarah ajju aur monu ko RAW me samil hone se rokna chahti thi. wo kisis bhi keemat par in dono ko ab aur musibat me nahi dekh sakti thi. is liye ek baar fir wo boli
nisha- par uncle mai RAw ki deputy chief hun aur special task action team ki head bhi hun jisme aap in dono ko samil karna chahte ho. sabhi agents ke field operation mai hi deside karti hun. aur aap ye achchhi tarah se jante he ki mai apne aap ko kitna bhi samjha lun. kitna bhi majboot kar lun par mai inhe kisi musibat mai nahi dekh sakti. isliye ho sakta he ki mai kamjor pad jau. aur inhe kisi yese mission par bhejun hi nahi jisme jara sa bhi khatra ho. to fir me mere farz aur baaki agents ke prati nyaay nahi kar paungi. isse achha to ye he ki mai pani deputy chief ke pad se resign kar dun.
mr. prabhu- nahi tumhe yesha karne ki awashyakta nahi he. aur mujhe yakeen he ki tum in sabhi chunotiyon ka saamna bina kamjoor pade poori imandaari se kar logi. tum ye soch kar chalo ki ye tumhari pariksha he aur tumhe ise har keemat me pass kar hi he.
nisha- par uncle...
mr. prabhu- ab aur koi par bar nahi. mene faishla kar liye he ki mai in dona ko RAw me samail kar raha hun. par haan mai tumhe iski ijajat deta hun ki jab tak tum apne aap ko majboot nahi bana leti. jab tak tumhe yesha nahi lagta ki in dono ke bina RAw ka koi kaam nahi rukne bala tab tak tumhe in dono ko kisis bhi field operation par bhejne ki jaroora nahi he. jab tum khud ko taiyaar kal logi tabhi in dono ko koi field operation assign karna. thik he?????
nisha- jee uncle..
mr. prabhu- ab to khush ho na
mr. prabhu ki baat sukar nisha ke chehare par ek fiki si muskan aai aur chali gai. iske baad wo mr. prabhu ke office se bahar nikal gai. aur apni aage ki yojna par kaam karne lagi.
nisha ne sabhi agents ke saath ek meeting fix kar di jo ke 2 din baad thi. jisme unhe is special task team ke baare me detail se bataya jaane bala tha. aur unhe unke naaye agents code assign kiye jaane the.
in sabhi kaamo ke alawa nisha lagataar queen ko upgrade bhi karti jaa rahi thi. filhaal nisha ne kapil aur sonal ke saath milkar queen me ek special feature add kiya tha. jiski sahayta se queen bina kisi 3d projecter ke poore office me kahi bhi apni 3d image display kar sakti thi. queen ne apni image ko change kar liya tha. ab wo cartoon ki jagah ek ladki ke roop me dikhai deti thi. jo ki kuchh kuchh nisha se milti julti thi.