parkas
Well-Known Member
- 26,910
- 60,074
- 303
Bahut hi shaandar update diya hai bhai...Update 112
------------------
ikram ko nisha ka yun apne vastvik roop me aane ka matlab samajh me nahi aaya. par agle hi pal uski nazar divya par padi chuki thi. divya ko baha dekh kar ikram sab samajh gaya is liye wo khamosh hi raha. ikram ko yun khamosh dekh kar nisha boli
nisha- aao ikram inse milo ye he.....
nisha ki baat poori bhi nahi ho pai thi, ki ikram unhe beech me tokte huye bola
ikram- are inhe to mai janta hun, ye he divya bhabhi..... manoj bhai ki wife...
ikram ke muh se apna aur monu ka naam sunkar divya hairaan reh gai... par isse pehale wo kuchh keh pati ikram unke paas jakar fir se bola
ikram- bhabhi ji mai hun aapka sabse chhota devar ikram.... ab aap agar apne charan thoda meri taraf kar de, to mai aapke charan sparsh bhi kar lun...
ikram ke vartav se divya poori tarah se hairaan thi. nisha uski halat ko samajhte huye boli
nisha- divya apne pair aage kar do... ye bina charan sparsh kiye manne bala nahi he.
nisha ki baat sunkar divya ne kuchh nahi kaha, aur chup chap apne pair ikram ki taraf kar diye. ikram ne turant divya ke charan sparsh kiye, aur fir muskurakar divya ke saamne jhuk kar adab karte huye kaha
ikram- adab bhabhi ji.....
ikram ki is harkat se ek baar fir divya hairan reh gai.... par isse pehale wo kuchh kehati ikram khud hi bola
ikram- jyada hairaan hone ki jaroorat nahi he bhabhi ji... mene apni aur aapki dono ke hi parampara ka dhyaan rakkha he. mai muslim hu, isliye aapko adab kiya, aur aap hindu he isliye aapke charan sparsh kiye.
abki baar ikram ki baat sunkar divya hairaan hone ki jagah muskura di... aur fir boli
divya- adav devar ji.... bese to ye hamari pehali mulakat he... fir aap mujhe kese pehachan gaye...
divya ki baat sunkar ikram bola
ikram- zoya appi ne bataya tha aapke baare me... bese mai aapko naydu ke adde par bhi dekh chuka hun...
ikram ki baat sunkar divya fir se hairaan hote huye boli
divya- what?????? tum the baha????? par hame to dikhai hi nahi diye....
divya ki baat sunkar ikram hanshte huye bola
ikram- dikhai to aapko zoya appi bhi, kuchh bhi karte huye nahi di hongi...
divya- par tum the kaha????
ikram- naydu ke adde ke bahar aap logo ne jo shandaar nazara dekha tha, usme is nacheej ka hi haat tha.....
divya- what????? yakeen nahi hota....
divya ki baat sunkar nisha muskurate huye boli...
nisha- iski bate sunkar dhokha mat khana divya... ye apne kaam me mahir he... he is a X-Army officer...
itna bolkar nisha ne table par rakkha hua paper waigt utha kar, ikram ke ko nishana bana kar fenka. par aakhri wakt par ikram ne na keval peechhe ki taraf jhuk kar apna bachav kiya, balki ek haath badakar us paper waight ko pakad kar bapis table par rakhte huye bola
ikram- kya zoya appi.... paper waight bhi bhala koi khelne ki cheej he... aapke haath me to aapka archar hi achchha lagta he.... par use mere upar try mat karna please....
divya bechari ikram ke karname ko dekhkar hairan thi... uke muh se ek sawd bhi nahi nikla. par nisha hanshte huye boli...
nisha- ab tune agar apni bakwash baate band nahi ki, to kal mai use hi ajma kar dekhungi...
nisha ki baat sunkar ikram kaan pakad kar uthak bethak lagante hua bola
ikram- sorry sorry sorry zoya appi....
ikram ki is harkat ko dekhkar nisha aur divya dono hi hansh pade.... fir nisha ikram se boli
nisha- kya baat he ikram????? tum kisi kaam se aaye the????
nisha ki baat sunkar ikram ko jese hosh aaya... aur wo apne sir par chapat lagate huye bola
ikram- oh teri.... mai to aapki baato mai bhool hi gaya.... asal me baat ye hai ki wo water coolor kharab ho gaya he...
ikram ki baat sunkar nisha ne use gusse me ghoora... par ikram ko apni galti samajh me hi nahi aai. jab ikram ne koi pratikriya nahi di, to nisha badi muskil se apne gusse ko controll karte huye boli
nisha- theek hai... mai kuchh der baad aakar use repair kar dungi....
nisha ki baat sunkar ikram turant bola
ikram- are.... par aap kyun theek karengi???? ye kaam to hamare technician ka hai....
nisha- theek hai to mai khud jakar technician ko use repair karne ke liye bol dungi...
ikram- par ye kaam bhi aap kyun karogi???? mai kis liye hun...
ikram ki baate sunkar nisha ko bahut tej gussa aa raha tha. par badi muskil se wo apne gusse ko controll kiye huye thi. jabki divya ko ye sab dekh kar hanshi aa rahi thi. ikram ki baat sun kar nisha boli
nisha- so what.... jab ye kaam mera nahi hai... to fir mujhe kyun bata rahe ho????
nisha ki baat sunkar aakhir kaar ikram ko apni galti ka yehsah ho hi gaya, aur wo lagbhag haklate huye bola
ikram- are mai to zoya appi.. wo mai...
par nisha ne ikram ko apni baat kehane ka mouka hi nahi diya, aur thode gusse me boli
nisha- ikram.....
ikram ke liye itna ishra kaafi tha ki filhaal use yaha se chale jana chahiye.. isliye wo bapis jane laga. par achank gate ke pass jakar ruk gaya. aur palat kar bola
ikram- wo zoya appi... wo ek baat aur he...
ikram ki baat sunkar nisha jhallate huye boli
nisha- ab kya he ikram...
ikram thoda hichkichata huye bola
ikram- wo mai keh raha tha ki wo pooja....
ikram apni baat is baar bhi poori nahi kar paya tha. kyun ki is baar bhi nisha ne use beech me hi tok diya aur boli
nisha- ab pooja ne kya kiya he????
ikram- wo pooja mujhe aaj dinar par chalne ke liy bol rahi thi....
abki baar ikram ki baat sunkar nisha aur divya ki hanshi chhut gai. isse pehale nisha ikram se kuchh keh pati divya bol padi...
divya- to kya hua ikram bhai????? dinar par hi to buala rahi he, koi jung ladne thode hi le ja rahi he... chale jao...
divya ki baat sunkar ikram bola
ikram- mujhe nahi jana kisi ke saath dinar par... mujhe uske irade kuchh theek nahi lagte he... aap use samjha dijiye ki mujhse jara door hi rahe....
ikram ki baat sunkar nisha muskurate huye boli
nisha- ab kabhi na kabhi to tumhe kisi na kisi ladki ke saath dinar par jana hi padega... to fir pooja ke hi saath chale jao... bese pooja ek achchhi ladki he... tumhari baar baar ladkiyon ko mana karne ki problam bhi khatam ho jayegi... aur mujhe meri bhabhi bhi mil jayegi....
ikram- aap ko pata he na zoya appi ye possiable nahi he????? kam se kam abhi to nahi...
ikram ki baat sunkar divya poochh bethi
divya- bhala wo kyun?????
ikram- kyun ki mene tay kiya he, ki jab tak zoya appi aur jija ji ke beech sab kuchh theek nahi ho jata... tab tak mai kisi ladki ki taraf dekhunga bhi nahi.... to ab mera ghar basne ya na basne ki saari jimmedari zoya appi ke kandho par hai....
ikram ki baat sunkar divya hairaan hote huye boli
divya- tumhare shadi karne se kya fark padega bhala????
ikram- bahut farak padega bhabhi ji.... mera manna he ki shadi hone ke baad ek ladki ke keval 2 thikane hote he. pehala uske pati ka ghar, aur dushra uske bhai ka ghar... meri shadi ke baad meri jimmedari do jagah bant jayegi... aur mai yesha hone nahi de sakta....
ikram ki baat sunkar divya ke pass kehane ke liye kuchh bhi nahi bacha tha. wo ikram se bahut jyada prabhavit ho chuki thi. par ek baat use kaafi der se khatak rahi thi... isliye wo ikram se poochh hi bethi...
divya- jab se tum yaha aaye ho... nisha di ko lagataar zoya keh kar hi bula rahe ho. jabki is wakt wo apne vastvik roop mai moujood he. aur yaha hum teeno ke alawa koi aur nahi he. fir bhi tumne ek baar bhi nisha di ko unke asli naam se nahi bulaya...
divya ki baat sunkar ikram muskura kar bola
ikram- jab meri pehali mulakar zoya appi se hui thi, tab mai inka naam nahi janta tha. isliye mene inhe zoya appi keh kar hi bulaya tha. inka asli naam to mujhe bahut baad me pata chala tha. ye bhale hi duniya ke liye nisha ho, par mere liye to ye zoya appi hi hai... aur hamesha rahegi....
itna bolkar ikram office se bahar chala gaya. ikram ke jaane ke baad nisha boli
nisha- asal me ikram ki badi behan ka naam zoya tha... jise kuchh atankwadiyon ne kashmeer me maar dala tha. mera zoya bala chehara bhi asla me ikram ki badi behan zoya ka hi hai....
nisha ki baat sunkar divya khamosh hi rahi... asal me use bhai-behan ke riste ka vastvik arth aaj pata chala tha... use mehsoos ho raha tha ki ikram jesa bhai har ladki ke pass hona cahiye...... un dono ke beech kaafi der tak khamoshi chhai rahi. jise aakhir kaar divya ne bang kiya...
divya- aapne ikram ke baare me sach hi kaha tha... kamaal ka inshan he... par dil ka saaf he... kaash yesha bhai har ladki ko mil jaye, to duniya me kabhi koi ladki dukhi nahi hogi...
divya ki baat sunkar nisha keval muskura di... kyun ki wo janti thi ki divya sach bol rahi he... par ye hona mumkin nahi he... ek baar fir dono ke beech khamoshi chha gai, jise ek baar fir se divya ne hi bhang kiya
divya- nisha di mujhe aapko kuchh batana he....
nisha- kya????
nisha ki baat sunkar divya kuchh der chup hi rahi, aur fir usne nisha ko renu aur vikash ke baare me wo sab bata diya jo jiya ne use bataya tha. jise sunkar nisha ki aankho me khoon utar aaya... isse pehale wo koi reaction de patai. divya ne use apne dwara jiya aur ajju ko samjhane baali baat bhi bata di. aur fir vikash ke ghar par aa kar sabke saamne apni galti accept karne, aur maa ke dwara apna faishla sunane baali baat bhi bata di...
jab nisha ne is poore mamle me maa ke interfare ki baat suni, to wo thoada normal ho gai. par uska gussa abhi bhi shant nahi hua tha... jise dekhar divya boli
divya- nisha di please... kuchh bhi yesha mat karna jisse renu heart ho...
divya ki baat sunkar nisha boli...
nisha- tum nischint raho divya, mai yesha koi kaam nahi karungi... par vikash ko uski galti ka yehsash jaroor karwaungi... use bhi to mehsoos ho ki aakhir dard kya hota he...
diva- par nisha di....
nisha- ab koi par bar nahi... mene faishla kar liya he... jise ab koi bhi nahi badal sakta... lekin tum nischint raho... isme door door tak renu aur baaki kisi bhi inshan ka naam nahi aayega... vikash ko saja milegi jaroor, par is tarah se ki kisi ko pata bhi na chale ki iske peechhe kis ka haat he.
nisha ki baat sunkar divya ne filhaal khamosh rehana hi behtar samjha... nisha kaafi der tak apne gusse ko controll karne ki kosis karti rahi, aur jab uska gussa uske niyantran me aa gaya to wo divya se boli
nisha- aaj papa ko pata chal gaya ki mai zoya nahi balki nisha hun....
nisha ki baat sunkar divya chonkte huye boli...
divya- what...... to fir ab??????
nisha- ab kuchh nahi... papa ne vada kiya he ki ye raaz keval un tak hi rahega... par is sart par ki mai zoya bankar hi sahi, par unse milti rahun.... aur haan unhe tumhare baare me bhi mene bata diya he. isliye jaroorat padne par tum dono ek dushre ki help le sakte ho... bese to iski noubat aayegi hi nahi.... par fir bhi agar yesi noubat aai to please is baat ka dhyaan rakhna ki mera raaz kisi ko pata na chale....
nisha ki baat sunkar divya kuchh der tak in naye halato ke baare me sochti rahi, aur fir boli
divya- aap nischint raho nisha di... meri taraf se koi galti nahi hogi... par ab hum kya kare????
nisha- filhaal tum bahi karo jo abhi kar rahi ho... mujhe tumhara plane pashan aaya he. aur mene bhi uncle se yesha hi kuchh karne ke liye kaha he... tumhari sabse pehali jimmedari ye hai ki, ab yesi koi noubat na aaye jiski bajah se hamare parivaar ke sadashyo me aur jyada doori ho... iske alaba agar tum kisi bhi prakar se inhe aur jiya ko mama ji ko maaf karne ke liye mana sako to.....
nisha ki baat sunkar divya boli...
divya- possiable hi nahi he di.... dono pehale hi saaf saaf keh chuke he ki unhe maaf karne ka adhikar keval aapka he. aur aap unhe tab maaf karengi jab aap sake saamne aayegi. jo ki filhaal hote huye nahi dikh raha. fir bhi agar mai maa ke sath ya papa ke saath milkar kosis karu, to ajju thoda bahut mama ji ke prati pighal bhi sakta he. par jiya... use to ab jese mama ji se matlab hi nahi he... uski nazar me uske pita mar chuke he... wo to mama ji ki har baat ko ab sak ki nazar se dekhne lagi he.... isliye usko manana ab kisi ke vash ki baat nahi he....
divya ki baat sunkar nisha kuchh der chup hi rahi, aur fir boli
nisha- maa aur renu ka vyabhaar ab inke aur jiya ke prati kesha he....
divya- pehale se achchha he... par ab bhi thodi bahut kami reh gai he. mujhe lagta he ki jald hi wo bhi door ho jayegi....
nisha- tumhare samjhane ka kuchh asar inpar hua ya nahi...
divya- matlab?????
nisha- matlab ye ki inhone drink karna band kiya ya nahi.....
divya nahi band to nahi kiya... par kuchh dino se limt me hi pee rahe he... par abhi mai poori tarah se sure nahi hun.... kyun ki pata nahi kab ajju ke man me kya aa jaye... bese inka aur ajju ka plane indore jakar aapke baare me pata karne ka hai.... agle hafte hi ye indore jaane baale he.
nisha- ye log indore nahi jaa payenge......
divya- matla?????
nisha- matlab ye ki mene kuchh soch rakkha he inhe line par laane ke liye... filhaal mai inhe indore ki jagah kahi aur bhejne baali hun. yeshi jagah jaha in dono ki meri kya kisi ki bhi yaad na aaye....
divya- aur agar plane kaamyaab na hua to?????
nisha- to fir usse bhi koi fark nahi padta.... indore me inke haath kuchh bhi nahi lagne bala he... balki ye bahut kuchh kho jaroor sakte he....
divya- matlab????
nisha- matlab ye ki ho sakta he ki meri tumse ye aakhri mulakaat ho......
nisha ki baat sunkar divya pareshan hote huye boli
divya- ye sab aap kya bol rahi ho nisha di.... mujhse koi galti hui hai kya????
divya ki baat sunkar nisha muskurate huye boli
nisha- nahi jethani ji... aapse koi galti nahi hui he... mene to bus yun hi bol diya... ab itna hak to mera banta hi he. apni jethani ji par.....
divya- hak to aapka poora banta he nisha di. par ye sab bolne ka hak nahi he aapka.... aaj ke baad ye fir kabhi mat bolna....
divya ki baat sunkar nisha apne kaan pakadte huye boli...
nisha- ok baba i am sorry.... ab kabhi nahi kahungi ye sab... bus ab to khush....
nisha ki is harkat par divya muskura di... kuchh der khamosh rehane ke baad nisha ne divya se poocha
nisha- lunch kiya ya nahi....
divya- nahi... mai aapka hi wait kar rahi thi... aaj mai aapke liye maa ke haath ka bana khana laai thi....
divya ki baat sunkar nisha muskurati hui boli....
nisha- are wah... aaj to kamal ho gaya... subhay subhay papa ne maa ke hatho ke bane aalu ke parathe khila diye. aur ab tum maa ke haato ka khana khila rahi ho... ek kaam karte he ikram ko bhi yahi bula lete he... mere pass subhay ke maa ke haatho ke bane parathe bhi rakkhe huye he. aur ikram bhai jaan ke hato se bana hua lunch bhi rakkha hua he. ek baar ikram ke haato ka khana khaogi, to saare hotel aur restrorent bhool jaogi...
itna bolkar nisha ne ikram ko call kar diya. aur pehali hi ring par ikram ne cll recive bhi kar liya
nisha- kaha ho tum ikram...
ikram- appi wo mai water coolar theek karwa raha hun...
nisha- wo sab baad me karwana... pehale divya ke office me aa jao... aaj tumhe maa ke hatho ka khana khilati hun...
nisha ki baat sunkar ikram bola
ikram- appi bus do minute... mai abhi aaya...
nisha- are suno to sahi...
ikram- ab kya he appi????
nisha- mere cabin me bhi lunch rakkha hua he... use bhi lete aana...
ikram- theek he...
iske baad call cut ho gaya. jabki nisha aur divya ikram ke aane ka wait karna lagi.....
Awesome and excellent update.
Vikash ki pitai ab honewali hai...
Divya aur ikram ki mulakat ho gayi. Ikram ke pichhe pooja padi hai dekhte kya hota hai...
Nisha ka plan kam karta hai ha nahi...