- 8,204
- 18,251
- 174
Sorry ........ Is Thread Ko Main Kuch Waqt K Liye Close Kar Raha Hon.....
Last edited:
Bhut hi shandar update
Zaberdast shuruwat bhaiUpdate....No:1
***************
Year:1915
**********
Place Unknown
****************
hindustan ke bhayanak junglon ke beecho beech me basi ek basti...
us basti se kuch door jungle me kuch aage ek bachha neeche zameen par baitha hua ro raha tha.. bachhe ki jism par anginat chiyuntiyan reeng rahi thee, kuch chiyuntiyan us bachhe ko kaat bhi rahi thee, un chiyuntiyon ko dekhkar, un chiyuntiyon ke bachhe ko kaatne ki bina par bachha bohut dard bhari awaz me ro raha tha.. wo bacha idhar udhar dekhte hue ro raha tha.. apne hath pair chala tha tha..
kuch faasle par ek darakht ke peeche chhupi hui us bachhe ki maa apne bachhe ko dard me dekh kar khud bhi ghamzada thi... wo bhi andar hi andar ro rahi thi.. parr wo apne aansu apni ankhon me nahi aane dena chahti thi.. wo khud se ladte hue apne aansu bahne se roke hui thi..
kuch der aise hi apne bachhe ko pathreeli junglee zameen par rote bilakte hue wo dekhti rahi.. fir wo apne bachhe ke paas ja pohnchi. bachha apni maa ko dekh kar aur bhi zor se rone laga. maa bachhe ke paas baithi aur apne jigar ke tukde ke jism par maujud chiyontiyon ko ek ek karke alag karne lagi..
bachha apni maa ko dekhkar apne dard ko yaad karte hue aur bhi rone laga.. maa ke paas aate hi bachhe ki ankhon me aansu aa gaye the..
maa ke chehre par muskan thi, wo apne bete ko pachkarte hue ants ko apne bete ke sharir se alag kar rahi thi..
maa:- mera bera ro raha hai..(bachha rote hue, aansu bahate hue haan me sar hilane laga) itto saa to hai mera beta, dard to hoga hi naa. abhi to mere bete ne baithna shuru kiya hai, abhi to mere bete ne chalna bhi shru nahi kiya, kaise wo itna dard sehn kar sakta hai.... maa apne bete ko muskurate hue dekhne lagi..
kuch der me maa apne bachhe ko lekar basti ki or badh chali..
2 mahine baad
wahi bachha ek baar firse jungle me tha, aur is baar bhi wahi scene tha..bachha
usi jaga baitha hua tha aur bachhe ke jism par is baar bhi anginat chiyuntiyan ghoom fir rahi thee, bachhe ko kaat bhi rahi, jiske karan bachhe ka jism laal pad chuka tha... bachhe ko dard bhi ho raha tha, dard ke karan bachhe ki ankhon me aansu bhi aane lage the.. lekin is baar bachhe ke rone ki awaz nahi aa rahi thi..
maa is baar apne bachhe ke saamne hi baithi hui thi.. aur chiyuntiyon ko apne bete ke sharir par reengte hue, apne bete ko kaat'te hue dekh rahi thi.. maa ne apne bete ke gaal kar ek kass ke chanta maar dia.. bachha maa ko dekhne laga.. maa muskan deti hui apne bete ko dekhne lagi.."muskuraao" maa ne ek aur chanta maara apne bete ke naram naram gaal par aur usay muskurane ka kehne lagi.. bachhe ki ankhon me dard ke maare aansu a gaye.. maa ki ankhon me ghusse dekhte hue bache ki ankhon me aansu aa gaye..
2 mahine baad... fir se wahi scene..
maa ne is baar apne bete ko thappar nahi maare the, is baar wo apne bete ko junglee kantedaar tehni se peet rahi thi, jahan wo lakdee lagti wahan halka sa khun bhi nikalne lag jata...
maa:- muskuraao.......... maa ne is baar ghusse se aur cheekh kar kaha.. bachhe ke jism par ladkee ke kaaran kai jaga se khun risne laga tha.. bachha apne zakhmo se beniyaaz apni maa ki ankhon me dekh raha tha.. maa ne kaha muskuraao.. to bachha apni maa ki ankhon me dekhta hua muskurane laga.. maa apne bete ki ankhon me dekhti hui, kuch janchti hui, kuch dhund rahi thi.. maa ne ek aur chanta apne bete ke gaal par maara.. ankhon me dekhti hui boli "muskuraao" bacha dard se beniyaz maa ko dekhkar muskura raha tha..
maa ne jhat se apne bete ko apne gale se laga liya.. apne bete ke gaalon ko apne bete ke saare jism ko wo choomne lagi.. maa bohut khush thi..
kuch der maa apne bete par apna pyaar lutati rahi..
maa:- beta hamesha aise hi rehna, dard khud ke andar hota hai, khud ki soch me hota hai, us dard ko sehn karne ki shakti bhi khud me honi chahiye.. tum ek sher ke bete ho, aur sher ka beta sher hota hai mere bachhe.. aur tumhe sher nahi babbar sher banna hai..
babbbbbarrrrrrr sherrrrrrrrrrrrr.. meri baat tum samjh rahe ho na tumm rudra..
rudra:- han maa..... rudra abhi se hi sabb samjhne laga.. maa ne ek ek lamha rudra ki nigrani ki thi, ek ek lamha rudra ka khayal rakha tha, ek ek lamha rudra ko trainning se guzara tha..
maa:- ruda teri maa yahan junglon ki rehne wali nahi hai... aur tu bhi hamesha yahi par rehne wala nahi hai.. tujhe main tere baap se bhi badhkar ek sherdil insan banaogi beta.... aur tujhe mera ek kaam bhi karna hai. bohut kuch saha hai maine, bohut kuch khoya hai maine... jo kuch khoya hai maine wo firse paane ki chaah ab bhi hai mujhe..
mere bata mujhe mera haq dilayega. mere adhure chaah pure karega mera beta... tu aisa karega naa rudra..
rudra:- haan maa mai karunga..
**********************************************************************************
Year:1936
**********
main puri tarha se hosh me nahi aaya tha.. mujhe apne aas paas kai awazen sunaai de rahi thee...
"hima tere arjun ko hosh aa raha"...... "leela bhagwan ne ter jamai ko firse lauta dia hai"....... "dekho dekho wo hosh me aa raha hai" .... "sab side me hatt jao"
mukhtlif awazen thi, jo mujhe neem behoshi me sunaai de rahi thee.. kuch der me main puri tarha se hosh me aa gaya tha.. sab mujhe dehkne lage.. aur mai sabko..
mere saamne mela laga hua tha.. mitti kar bana hua bada sa kamra tha.. main sabko dekh kar idhar udhar dekhne laga.. mai kisi ko bhi pehchan nahi paa raha tha.. par sabki ankhon me khushi thi mujhe dekhkar..
main uthkar baithne laga to 4 hathon me mujhe thaam liya.. ek boodhi aurat boli..
wo:- arjun beta lete raho.. abhi tumhare zakham theek nahi han.. us boodhi aurat ke bolne par mujhe apne sarr me dard ka ehsas hone laga, aisa lag raha tha, jaise mera sarr hi phatt jayega. parr ek baat badi herankun bhi thi mere liye.. jitna mujhe dard ho raha tha, utni hi sehn shakti bhi main khud me paa raha tha.. boodhi aurat ki baat ko nazar andaz karte hue main uth kar baith gaya.. mujhe jin 4 hathon ne thama tha.
wo 4 hathon me se 2 hath meri hi umar ki ek ladki ke the, aur do hath usi ladki se milti julti ek kamsin ladki ke the, jo abhi abhi jawan hui dikh rahi thi.. sab ki sab choli ghagra pehne hue thee.. sabki sab kisi gaon ki lag rahi thee..jaisa hal kamre ka tha, ye zarur koi gaon hi tha..
ek aur aurat boli;- hima betiya apne pati ki ab achhe se seva karna, firse na ise gumm kar baithna..
hima:- ji mata ji ab mai koi galti nahi karungi.. ek bar apne arjun ko kho chuki hon, firse nahi khone dungi..
main dono ki baten sunkar heran reh gaya, ye ladki hima meri patni hai, par mujhe kyun nahi yaad aa raha tha. mujhe to ye bhi yaad nahi aa raha tha, k main ho kaun.
sab fir kuch na kuch bolne lageee.. koi mard ghar me nahi tha.. sari hi aurten thee, ladki sirf hima ki behen hi thi..
mere sarr par zakhm the warna to sabb mere sarr ko choom choom kar mere sarr ke baal hi uda kar rakh deti..
aise hi khushi sabke chehron parse phoot rahi thi.. adhe ghante baad ek ek karke sab jaane lageee.. to mujhe kuch rahat si mehsus hui.. warna to sabb ki minmanahat se mian tang aa gaya tha..
kamre me boodhi aurat dono ladkiyan aur do 40-45 age ki aurten hi reh gaee.. abb mujhe kamre ka haal sahi se dikh raha tha.. kamra kachhi mitti ka bana hua tha. lakdee ke darwaze se bahar ka manzar bhi abb mujhe sahi se dikh raha tha.. saamne ek bada sehan tha.... pura ghar 1 canal ke area par phela hua lag raha tha.. ghar ke bahar ki deewar bhi kachhi mitti ki bani hui thi, aur oonchaai bhi zayada nahi thi, bahar chalte firte gaon ke log bhi dikh rahe the. din ke 2-3 baje ka time tha shayad....
main ek palang par baitha hua tha.. dono ladkiyan bhi palang par baithi hui mere pair daba rahi thee.. maine unhe mana bhi kiya tha, par wo dono nahi ruki thee.. dono bade chaao se mere pair daba rahi thee.. boodhi aurat aur dono badi umar ki aurten ek khatiya ko ghaseet kar palang ke paas laayen..
ek aurat:- abb kaise ho arjun beta.
arjun:- aap sab kaun han, mujhe kuch bhi samjh nahi aa raha, ye ladki(hima) meri patni kab bani, aur main hon kaha ka rehne wala, mujhe kuch bhi yaad kyun nahi aa raha, mere sath hua kya tha...
sab meri baat kr heran hui.. pehle aurton ki waja se mai bola nahi tha... sab meri halat ke chalte se mujhse kuch pooch nahi paai thee.. mere jism par aur sarr par kai zakham bhi the..
dono aurten aur boodhi aurat hima ko dekhne lagee.. hima bhi mujhe dekhne lagi.. aur achanak se hi uski ankhon me aansu aane lage.. hima ki behn najaane kya naam tha uska. wo bhi aansu bahane lagiiiiiiiiiii...
fir hima aur uski behen apni jaangon ko peet;te hue dahaden maar maar rone lageen. main aur baki sab dono ko dekh kar heran reh gaye..
2nd aurat:- hima beti tum aise ro kyun rahi ho. aur arjun beta aisi baaten kyun kar raha hai..
hima zaro katar rote hue, "maa mera arjun khud ko bhul chuka hai maa, maa mera arjun ab mujhe bhi nahi pehchanega"
matlab mai apni yaad dashat kho chuka tha... boodhi aurat uthi aur mere pas baith kar mere kandhe par hath ferne lagi..
boodhi:- sukhi ja lakhan ko bula kar laa, ved ji ko bhi firse bula kar laane ko bhi bol dena.. bhagwan jaane abb ye nayi kaunsi museebat hum par toot padi hai..
boodhi aurat bhi rone lagi. hima aur uski behen bhi ro rahi thee.. ek bachi aurat sabko baar baar dekhne lagi thi.. wo hima ko bade ghaor se dekh rahi thi.. hima ne bhi ye notice kar liya tha.. lekin wo us aurat ko dekh kr bhi andekha kar rahi thi..
2nd aurat hima ko janchti nazron se dekhne lagi thi.. aur hima ke chehre ka rang kuch baladle laga tha.. lekin wo aurat kuch boli nahi thi.. hima aur uski behen ne rona band nahi kiya...
shaam tak ka samay beet gaya tha, ved kya tha ek sanyasi tha, jogi type to dawa daaro karna janta tha.. wo aa kar mere jism par aur sarr pr jaane kya kuch lagata raha tha.. ghar ke mard bhi sab aa gaye the aur mujhse mera hal chal pooch rahe the.. saale mujse aise baat kar rahe the.. jaise main koi chor hon... ajeeb tha is ghar ka mahol bhi.. boodhi aurat, ek aurat aur dono ladkiyon ko chhod kar koi bhi mujhse seedhe mohn baat hi nahi kar raha tha..
bas rasmi si baaten aur fir anpe aap me magan...
khana khane k baad sone ka samay hua to hima mere sath mere hi palang par aa leti, andar aate hue usne darwaza band kar dia tha.. diye ki halki halki light me wo mujhe dekh rahi thi.. uski ankhon me din wali chahat mujhe kahi nahi dikhi.. ik begana sa ehsas mujhe uski ankhon se dikh raha tha..
ye ek aur heran kar dene wali baat thi.. main use dekhne laga to
hima:- kya dekh rahe ho arjun. yahi na main to tumhari patni hon to fir tumhe aisi nazron se kyun dekh rahi hon..
arjun:- haan yahi baat hai..
hima:- arjun tum mere pati nahi ho, aur na hi tum arjun ho, arjun to mera pati tha, dhokebaz nikla aur fir mujhe chhod kar kahi bhaag gaya.. arjun ki surat tumse milti ha, tum nadi me beh rahe the, to mere bhaiyon ne tumhe nadi se nikala aur fir tumhe arjun jaan kar yahan le aaye..
arjun:- achha kiya jo tumne mujhe bata dia.. mujhe bhi kuch ajeeb lag raha tha.. par samjh kuch nahi aa raha tha.. tabhi tumahre bhai mujhe vaisi nazron se ghoor rahe the...
hima;- mere bhai bohut ghusse wale han, wo to arjun se meri shadi bhi nahi karwana chahte the.. par maa aur dadi ne meri shadi arjun se karwa di thi... arjun bhaga to bhaiyon ne bohut bada hungama khada kar dia tha.. tab se lekar aaj tak wo arjun se nafrat karte han..
arjun:- jab sabko pata chalega k main arjun nahi hon.. is samay hum ek hi kamre me han to usau sochte hue baad me koi badi gadbad na ho jaaye..
hima:- tum chaho to yahan arjun bankar reh sakte ho, hum door ke kisi mandir me chal ke shadi bhi kar lenge........ hima ki nazron me chahat nahi thi,. wo aam se face se sath mujse baat kr rahi thi, akele kamre me ek paraye mard ke sath rehte hue bhi wo darr nahi rahi thi..
mujhe kisi pagal kutte ne kaata tha, jo main uski baat maan leta.. main khud ko bhula hua tha.. nahi janta tha k main kuan ho, hamesha hi to nahi main bhula hua reh sakta tha.. kabhi to mujhe apna guzra samay sab yaad aata.. for pata chatla k meri bhi ek family hai, kya pata k meri bhi ek patni pehle se ho..
arjun:- nahi main tumse shadi nahi kar sakta.. aur na hi main yahan reh sakta hon..
hima:- jaise tumhari marzi.. fir wo karwat badal kr so gai........
main bhi uski back ko dekhta hua ankhen bad chuka tha..
agle din mere zakhm bohut behter the.. dard ko sehne ki shakti to mujhme bohut thi, jaane kahan se aai thi itni shakti mujhse.. mujhe ek normal insan ke jaisi behaive kar raha tha.. mujhe aise dekh ke sab heran bhi the...
do din aise hi guzar gaye.. mere liye wahan rehna zaruri nai tha. to main kisi ko bhi bataye bina wahan se khisak liya..
mujhe hima ka bhi ehsas tha, uski behen bhi sab janti thi k main uska jija nahi hon, par usne bhi kisi ko kuch nahi bataya tha.. abb main chupke se firse khisak jaonga to sabb yahi samjhenge k arjun ek baar firse nikal liya.. pehle bhi to wo hima ko chhod kar bhaag chuka tha..
meri apni life thi kahan main sabke baare me sochta firon.... isi liye mere zakhm theek hue to main unhi kapdon me wahan se kisi ko kuch bhi bataye bina nikal liya tha...
wo gaon kya tha ek door daraz ki basti thi.. 50 ghar the wahan.. sab ke sab kachhe the.. choli ghagra ladkiyon aur aurton ka pehnawa tha.. mard saare hi dhti kurte me the............
basti ke bahar sab verana hi verana tha.. door bohut door mujhe pahadon ka ek silsila nazar aa raha tha.. un pahadon se pehle jungle tha... us jungle se pehle koi basti thi ya nahi, ye main nahi jaanta tha..
chal dia mai ek nayi manzil ki talash me.. khud ko bhula hua tha... jaane kab main khud ko dhund paaonga.. jaane kab meri memory mujhe wapis milegi.. jaane mere peeche kitne mujhe yaad karne wale the..
tez tez qadmon se chalta hua main jungle ki or badhne laga..
************************************************************************************
Year:1916
**********
maa apne bachhe ke sath ek ek pal usi trainning dete hue guzar rahi thi.. basti ke log use dekh kar heran bhi hote the.. aur khush bhi the.. us maa ki lagan ko dekh kar sab ko uspar garv hota tha.. koi bhi maa itni mehnat kabhi apne bachhe par nahi karti, jitni ye kar rahi thi..
basti ke kinare par bana hua lakdee ka ek bada jhonpda jisme wo maa apne bachhe aur ek boodhe baba ke sath rehti thi..
is samay bhi wo maa apne bete ke sath jonpde ke bahar maujud thi.. aur uska beta rudra jhonpde ke bahar rakhe hue chote chote pathron par uchhal raha tha.. aur maa use sath sath bata bhi rahi thi.. rudra girta to maa rudra ko utha kar gale se laga kar choomti nahi thi..
maa:- utho mere sher bete, mard ko dard nahi hota, aur wo khud ke pairon par khada hone ke liye kisi ka mohtaj bhi nahi hota.. shabash utho aur fir se koodo un parthron par.. rudra ab dusre saal me dakhil ho gaya tha. rudra ke chehre mar masoomiyat khatam ho chuki thi..... jab uski maa bolti to wo badi gehri nazron se apni maa ko dekha karta..
aise hi maa rudra ki trainning kar rahi thi.. jaise jaise rudra bada ho raha tha, maa ke chehre ke bhav bhi badalte jaa rahe the, pehle rudra sab nahi samjhta tha, to wo khud ko badal kar rudra ke saamne aaya karti thi, abb rudra apni maa ki baaten apni maa ke chehre ke bhav samjhne laga tha, to maa bhi apne asli rang me wapis lautne lagi thi..
baba bhi kuch faasle par ek bade patthar par baitha hua rudra aur maa ko dekh raha tha..
baba:- radhika bittiya abb to tera rudra sab achhe se seekhne lag gaya hai..
radhika: abhi kahan hemant baba, abhi to shuruaat hai.. aur seekh to iske khun me hai baba, sher baap ka beta hai to uske jaisa hi banega.. parrr main ise iske baap se bhi badkar banana chahti hon... agar rudra apne baap se bhi badhkar na bana to mera maqsad mujhe sahil nahi hoga baba..
rudra bhi ek patthar par ruk kar apni maa ki baat sunne laga, apni maa ke chehre ki sakhti ko dekhne laga.. rudra itni si age me hi apni ke sare rang samjhne laga..
rudra wahi se bola
rudra;- maaaaaaaaaa... aapka rudra banega apne baap se bhi badhkar banega.. warna mera sarr kaise aapke saamne utha reh sakta hai maa..
baba:- bohut achhe rudra bete.. aise hi lagan se sab seekhte raho aur apni maa ko wo sukh de do.. jiske liye wo tadap rahi hai.. abhi to jane kitne saal aur beetenge..
maa:- samay jitna bhi beet jaaye baba, mujhe koi parwa nahi hai... main intezar karungi tab tak jabtak mera rudra ek babbar sher nahi bann jaata.. aur mujhe vishwas hai baba mera rudra wo zarur banega jo main chah rahi hon... inta bol kar radhika asman ki aur dekhne lagi... aur khamosh zuban se hi uparwale se baaten karne lagi..
kuch to uske mann me, koi to dard tha uske dil me.. koi to tha maqsad uske jeene ka..
koi to waja hogi jo wo apne nanhe munne bete ko doodh peene ki umar me hi sabb sikha rahi thi.. use dard dekar dard sehne ki shakti de rahi thi..
************************************************************************************
Year:1936
**********
jab mai basti se nikla tha to din ke 9 baje ka samay tha.. abb mujhe chalte hue 4 ghante beet chuke the.. aur main jungle ke bohut aage tak ponch chuka tha.. kai chhote mote junglee jaanwar mujhe dikhe the.. lekin koi bhi khatarnaak nahi tha..
jungle me rehte hue mujhe bhuk piyas ki koi chinta nahi hui thi.. jane kaise mujhe khud se hi ehsaas hone laga tha, kuch jungle belon aur podon ko dekh kar mujhe laga k meri zarurat ye junglee belen aur pode puri kar sakte han.. jab mere mann me ye vichar aaye the to main andar hi andar bohut heran bhi hua tha.. par fir khud ki herangi ko bhul kar main apni bhuk aur piyas mita li thi..
jungle me mujhe dusra ghanta beet raha tha.. aur mai mast maula bankar jungle me aage aur aage badh raha tha.. mujhe koi darr nahi tha... mujhe is jungle ko cross karke aage jaana tha, aur dekhna tha k aage mujhe koi shehar ya koi abadi wala ilaka dikhta hai ya nahi.....
jungle me hi maine ek mazbut lakdee bhi utha li thi.. kisi darinde se bhi mera saamna ho sakta tha.. usi dande ko thame me tez qadmon se jungle ke beech me se guzar raha tha..
jungle ke oonche neeche se guzarte hue mujhe kai janwar dikhe.. darindo se abhi mera saamna nahi hua tha..
parr fir adhe ghante baad mujhe darinde to nahi mile parr junglee kutton ka ek jhund mujhe mil hi gaya.. wo bhi mujhe dekh chuke the..
unhe bhi shayad kai dino baad ek insan ka gosht khane ko milne wala tha.. wo bhi khush ho gaye aur mujhe chamakti ankhon se dekh kar bhunkne lage.. unke bhunkne ki awaz bohut thii, aas paas agar koi chota mota janwar chhupa hua bhi tha to wo dumm daba kar bhag khada hua..
kutte tadaad me 9 the, wo sab mujhe dekh bhonkte hue meri or badhne lage.. dande par meri pakad mazbut ho gai.
meri ankhon ki chamak bhi in kutton ko dekh kar badh gai thi.. mujhe kutton ko dekh kar bhi darr nahi laga..
jaane kyun mere honto par ek khuni muskan si aa gai... main bhi betabi se kutton ka khud ke paas hone ka intezar karne laga.. shayad kabhi mera in hi jaise kuton se kabhi takra ho chuka tha.. main khud se hi postion me bhi aa gaya tha.. main khud par hairat karna chhod kar kutte se ladne k liye tayyar ho gaya...
kutte junglee the, khunkhaar the, pal bhar me hi mere paas pohnch gaye..
sab ke sab paas pohnchte hi jump laga kar mujhpar hamla bhi kar chuke the... right side me main jumo karta hua jutton se bacha aur last me jo kutta tha.. mera hath me main mazbut jungle ki lakdee ka bana hua danda uske sarr par pada.. wo cheekhne ke kaabil bhi nahi raha tha.. uska pura sart khul chuka tha.. aru khule sarr ke sath wo jungle ki sarr sabaz zameen ko rangeen karne laga..
baaki ke kutte apne sathi ko mara dekh kar ruk gaye.. lekin apni bhuk aur man pasand shikar ko wo kaise chhod dete.. sab firse mujhpar jhapat pade...
khud ko kutton se bachate hue main kabhi idhar to kabhi udhar jump kar raha tha.. har baar mere hath me maujud danda ek kutte ke sarr ko khol kar use jungle life se mukt kar raha tha..
adhe kutte mare to wo bhi jaan gaye k unke saamne bhi koi anari shikari nahi hai.. wo sab ek sath jama ho kar mujhe ghoorne laga.. mujhe dekhte to kabhi apne mare sathiyon ko.... unki ankhon me darr nahi tha. sab mujhe khunkhar nazron se ghoor rahe the..
aur main
main bhi shayad inke jaisa hi darinda tha.. meri ankhon se bhi aag nikal rahi thi.. main bhi kutton ko ghoorne laga.. wo junglee the, kisi ko apne saamne theherne ki ijazat nahi de sakte the..
fir kya tha saale planning karte hue alag alag hokar mujhpra jhapak pade.. wo nahi jaante the.. k main un sabb se bhi badh kar khunkhaar darinda hon.........
kuch der me wo bhi apne sathiyon ke paas pade hue the.. mera ek ek waar bohut hi perfect pada tha sabke saron parr... jaane mujhme inti taqat kahan se aa gai thi.. har ek kutte ka sarr aise khul raha tha.. jaise unhe patthar se kuchal dia gaya ho.
kuch der mare pade kutton ko dekhne ke baad main firse apni manzil ki or badhne laga.. danda mere hath me tha.. bohtu mazbut lakdee ka bana hua tha... bada sath dia tha is dande ne mera.. warna junglee kutton se bina kisi hathiyar se ladna asaan kaam nahi tha..
dande ko ghoorte hue mujhke baare me sochte hue main aage badhne laga..
main kaun tha, aisa kya hua tha jo main khud ko bhul baitha tha.. kaun kaun tha meri family me aur meri family thi kahan..
aisi hi sochon me dooba mai jungle me aage aur aage badhta chala gaya.. jitna bada jungle tha.. shayad raat meri jungle me rehte hue hi beetne wali thi......
Past aur present mai chala rahe ho
Rudra aur surya ek alag hi chal rahi hai jugal bandi bhaisaab
Ap kya likhte ho aap hi jano
Ek bache ko kya bana rahi hai ko kya bana rahi hai uski maa
Bhaut acha ja rahi hai story waiting for next
Zaberdast shuruwat bhai
Bahot behtareen shaandaar