- 430
- 1,577
- 123
New Update 18 posted on page 45
Last edited:
Update tonightIntezar agle update ke liye
Update 18
Sameer aur Abhishek pahli bar shahar aaye the wo bhi shahar ke school me. School ki badi building aur maidan, charon taraf bagwani tatha use pure hisse gherate huye chardiwari. School me ek bada sa lohe ka gate aur jisme paidal walon ke liye ek chota gate bade gate me hi bna hua tha. Dono hastrapeasthe ke kahan unka gaon ka chhora sa school aur kahan ye badi badi imarton wala school. Unhe ye bhi samajh nhi aa rha tha ki dakhile ke liye kahan jana hain. Isliye dono gate ki taraf dekh rahe the jahan surakshakarmi khada tha.
Ye wohi waqt tha jab Mahima, Gunjan aur Chadani teeno auto se Utar kar indono ke bare bat kar rhi thi. Mahima aage badhi, Gunjan aur Chadani uske pichhe pichhe. Dono ke pas pahuchkar.
Mahima: Aap dono pahli bar aaye lagate ho?
Uski bat sunkar pahle Sameer aur Abhishek chok gaye ki kaisi anjan ladki hain jo ajanbi ladkon se bat kar rhi hain magar Mahina ke chehere ki shalinita aur uske satha do ladkiyon ko dekhkar unhe lga shayad unki pareshani ye samajh sake.
Sameer: Ha ji ham pahlibar aaye.
Mahima: koi problem hain?
Gunjan, Mahima ko Sameer batein karte dekh jal rhi thi magar wo janti thi ye tarika hain jisase wo Sameer dosti kar sakti hain.
Sameer: haji problem hain aur ye hain ki hame samajh nhi aa rha hain ki admission ke liye kidhar jaye kyoki hamare gaon me to principal sir cabin ho jata tha.
Sameer ki English pe pakad achchhi thi aur usane jab Mahima English shabdon ka prayog karte dekha to usane bhi jawab me English shabdon ka hi chayan kiya.
Mahima: to isme kya pareshan hain aap dono hamare sath chaliye hame bhi admission lena hain vaise kis stream admission lena hain kyoki usi block me jana padega.
Sameer: ji hame science side me admission lena hain aur mera admission schollership pe hona hai. Aur dost ka karna hain.
Mahima: oh ha ab main samajhi main apko kahan dekha hai. Aap to Sameer ho district topper aap ki photo news paper me chhapi thi. Hamar parichay to hua hi nhi Main Mahina is school se hoon aur ye meri dono dost Chadani aur Gunjan ye bhi apki tarah gaon se hain koun sa gaon hain Chadani tera.
Chadani kuch bolati usase pahle hi Gunjan bol padi.
Gunjan: are gaon ke bare me bad Jan lege abhi hame ek dusare ko jan le.
Gunjan ke bat pe sabhi muskura uthe aur Chadani samajh gayi Gunjan gaon naam kyo nhi batana chahati. Sameer bhi Mahima ke bat khush hua tha ki use log jante hain. Abhishek ko apne dost cum jija kyoki use pta tha uski bahan Sameer ko pasand karti hain ke charche sunkar garv hua.
Sameer: Ji mera naam to apko pta hain ye Mera dost Abhishek. Ham dono Bhawanipur gaon se hain.
Gunjan: apko koun nhi janta hain ek to aap district topper aur dusra Bhawanipur ke thakur Bhawani Singh ji ke bete hain. Chaliye pahle admission kara le fir aram se bat karege.
Gunjan ke muh se apne pita ka nam sunkar Sameer ko koi achary nhi hua kyoki paper me dono ka chhapa tha. Magar wo Thakur hain apne gaon ye bat Gunjan ko kaise pta ye thoda Sameer ke liye acharaj wali thi magar is samay wo bhi apna Dhyan admission me dena chahata tha isliye wo unke sath chal pada.
Sameer to school me tha Abhishek ke sath jahan Mahima ki madada se Gunjan aur Chadani ke sath apne dakhile ke prakriya puri kar rha tha..
Wohi shahr se dur ek kamare ek ladki aine ke samane "Main manti hoon ki hamari shadi ka unhe koi bhan nhi hain magar ab wo mere suhag hain to main ye kaise bhool gayi mang khali rakhna apshagun hota hain kahate hain ki bhari maang se pati ki umar badhati hain jab bhagwan ne unhe mera pati bna diya to main ye apshagun nhi kar sakti. Isase unke sath kuch anhoni ghat gayi to lekin bina kisi ko pta chale mere many me sindur bhi hona chahiye warna kisi ne mang me sindur dekh liya to kya jawab dugi. Mera ye naya rishta samaj swikar nhi karega. Kya karu, ha ye sahi rahega."
Ye soch kar ladki ne chutki me sindur liya aur apne tirchi mang se bal ko side kar sindur bhar diya. Uske use balon se chhupa chal padi apne maa ke pas rasoi me hath batane.
Yahan school me panchon admission liya fir school ke canteen me chale gaye kuch jalpan karne.
Chadani jo bade pyar se Abhishek dekhe ja rhi thi.
Chadani: Agle mah ki 1 tarikh se class lagane lagegi to aap log hostel ke liye bhi apply kar dijiye.
Abhishek ko Chadani dwara is tarah dekhan thoda ajib laga magar un logon ne admission me unka sahyog kiya tha isliye wo kuch na bola. Wo chhup chhup ke Gunjan bhi Sameer ko dekh rhi thi jis par kar kis ka dhyan nhi gaya magar Sameer ne ye bhi notice kar liya tha magar usane Abhishek jaisa sochkar kuch nhi bola. Thakur Sahab ne Sameer ko bata rakhabtha ki wo jaldi Shahar me ek ghar kharid dege taki unhe aur aane wale time bahano ki padhai ke liye thaharane dikkat na ho.
Sameer: ji hamare Pitaji hamare liye ye pe ghar kharid rahe hain kyoki abhi dono hain magar aane wale time hamari bahan aur bhai padhane aayege to unhe bhi rahane dikkat na ho isliye.
Mahima: agar aesi bat hain to hamare ghar ke pas ek ghar bikao hain aap apne pitaji bat karke aur unhe kal hi lekar aa jayiye taki aap log ghar pasand kar sake aur school pas bhi hain auto 15 minut lagate hain.
Mahima ki bat snunkar Gunjan aur Chadani ka dil kiya ki Mahima ko chum le kyoki isase wo jab chahe Apne Dilbar ka didar kar sakti hain.
Sameer: Sujhav achchha hain main pitaji se bat karunga is bare me.
Mahima: thik hain agar ana hua to ye raha address yahan aa jayiga.
Mahima ne kagaj pe apne ghar adress likh Sameer ko diya. Sameer in wo kagaj apne pocket rakha. Fir sabne nashta kiya jiski payment jor dekar Sameer ne kiya.
Jisase teeno ladkiyon ko Sameer ka vyahar dil ko chhu gaya. Fir sab apne apne raste nikal gaye.
School se loutane ke bad jab Sham ko Chadani Gunjan ke sath padhane baithi.
Chadani: tune mujhe kyo batane se roka chalo use nhi bataya kam se kam Mahima ko bta sakti thi. Are ye bhi chhodo apni kasam dekar tune khud bhi wo mujhe na bolane ko bola hain.
Gunjan: tu janti hain ye bat main sabko nhi bta sakti kahi galti se bhi ye naam aaya to wo mujhe pahchan jayega jo main nhi chahati. Main use ek anjan ladki tarah milna chahati hoon. Ye karan hain ki main Mahima ko batanae nhi diya aur tujhe bhi kasam dekar mana kar diya taki galti se bhi ye nam samane na aa jaye.