• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,086
53,510
304
Adirshi Bhai,

Kahani ab kuchh-kuchh samajh me ane lagi hai

Phone ke on hone se Insp Bosle ko ab pata hai ki Anu Goa me hai. Lekin woh Anurag ki khunnas ke karan, pehle taftish karega, uske bad hi Anurag ko batayega.

Aur ye Om ne apna ILU kuchh zyada hi jaldbazi me nahi nikal diya ?

Thanks !!
Bahut bahut sukriya bhai :thanks:
 

vmvish

Banned
290
369
63
Update 10

omkar ka dil is waqt joro se dhadak raha tha agar radha chali gayi to apan shayad pagal ho jayenge aisa usne lagne laga aur isi wo sath uske dil se ek pukar nikli jo uske mu se shabde bankar bahar aayi

omkar-radha ruko radha................I LOVE YOU.................................
--------------------------------------------------
omkar ke shabd sun kar radha jaha thi wahi ruk gayi lekin utne main hi ek auto rikshow aakar waha ghar ke samne ruki jisme se sofie aunty utri unko thoda hath par aur sar par laga hua tha auto wale se puchne par usne bataya ke unko kisi bike wale ne takker mari thi waise to sofie aunty theek thi par ghabrahat ke mare ab bhi unke hath thar thar kaap rahe the radha unko ander lekar gayi aur yahi mauka dekh kar omkar ne bhi radha ki bags uthayi aur ander lekar chala gaya.kuch 10-15 minute baad radha sofie auny ko room main sula kar wpas aayi to usse om ne pucha

omkar-kaisi hai wo ab

radha-theek hai thodi der neend hogi to unko acha lagega

omkar se baat karte huye radha ka dhayan uski bags ke uper gaya jo om lekar aaya tha usne ek baar om ko dekha aur apni bags lekar apne rooms main chali gayi

wahi dusri or bhosle ko intercom par dig sahab ka phone aaya tha aur wo is waqt unke office main khada unko kadak salute mar raha tha aur fir bhose ek khurchi par baith gaya jiske baad dig sahab ne usse pucha

DIG-bhosle is waqt konsi case hai tumhare paas

bhosle- waise to koi important case nahi hai sir par wo anurag ki missing patni ka case main hi dekh raha hu

DIG-anurag matlab anurag dixit

bhosle-yes sir unki patni kuch hafto se missing hai

DIG-any lead

bhosle-yes sir usi bare main aapse baat karni thi goia se ek confirm lead hai bas waha jakar case close karna baki hai bas

DIG-usko chodo abhi main ek case de raha hu use study karo ek ladki ki chedchad ki complaint hai pehle use dekho aur us anurag ko main sambhal lunga tum use goa ke bare main kuch mat batana you can go now

bhosle ke goa plan par achanak pani gir gaya tha aur wo nirash ho kar yes sir bol kar waha se chala gaya.

sham ke 7:30 baj rahe the asman main kesariya fir neela-gulabi rang bikherte huye suraj doob raha tha aur saat hi raat ka andhera bhi chane laga th aur om wha bangle ke lawn main ekdum vicharmagna apne hi khayalo main gum waha baitha tha uske man main aneko sawal chal rahe the jaise

"kon hai ye radha"
"us din ki radhja aur aaj ki radha itna virodhabhas kyu"
"dopher main itni chidne wali konsi baat ho gayi ke wo sidha yaha se jane lagi"
"mujhe ye itni kyu pasand hai itni ki jab wo jane lagi to maine use sidha I LOVE YOU bol diya"

aise akeko sawal omkar ke man main chal rahe the uthal puthal macha rahe the aur uski tandi tooti wo lawn main lage lights se tab usne dekha ke radha uski or chle aa rahi hai aur uskehath main ek wisky ki bottle aur do glass bhi the usne wo bottle table par rakhi aur glass bhi aur fir om se drink karne ke bare main pucha to usne haa main jawab diya

radha- on the rocks ya soda lagega

omkar-soda chalega

radha- ok main abhi fridge main se leke aati hu aur kuch chips ke packet bhi hai wo bhi lati hu

omkar-lekin radha ye sab kis liye

radha-tum dophar se anginat sawal apne chehre par lekar ghoom rahe ho na uske liye main na irrited ho gayi hu tumhara sawalo se bhara hua chehra dekh kar aur shayad uske baad mujhe aur shayad tumhe bhi iski jarurat padegi.

itna bol kar radha kitchen ki or chali gayi kya kise pata lekin wo samne aati thi to omkar ki dil ki dhadkan apne aap badh jati thi use waha se jate huye dekh kar omkar apne aap se bola

omkar- damm...I love her yaar


fir jitni der main radha wapas aayi utni der main omkar ne campfire ke liye banayi jagah main kuch lakdiya samet kar aag jalayi kyuki hawa kafi thandi chal rahi thi aur fir do peg banakar aaram se baith gaya jiske baad radha ne apni kahani batani chalu ki........................

Adirshi Bhai,

Ye DIG kiski taraf hai ?

Usne Bhosle ko Goa ke bare me "bhool jao" kyu kaha ?

Waise bhi ab hame agle update me Radha ki history jan ni hai...

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 11

fir jitni der main radha wapas aayi utni der main omkar ne campfire ke liye banayi jagah main kuch lakdiya samet kar aag jalayi kyuki hawa kafi thandi chal rahi thi aur fir do peg banakar aaram se baith gaya jiske baad radha ne apni kahani batani chalu ki........................
----------------------------------------------------------------
radha-main radha.......rader anuradha...............anuradha dixit marrid to anurag dixit the well known media business tycoon

omkar bade hi prayatno se apna chehra sthir rakhne ki koshish kar raha tha lekin ander se wo marrid to in do shabdo ko sun kar pura hil gaya tha radha ne apni baat jari rakhi

radha-radha..waise to mere mata pita ne bohot hi sunder naam rakha tha mera lekin shadiyo main jo dulhan ka naam badalne ki vichitra pratha hai na wo aade aa gayi aur anuragh ka anu mere naam ke aage jud gaya lekin isse bhi koi problem nahi thi main ne accept kar liya. honeymoon ko waise to mujhe europe jana tha waise honeymoon ko jagah koi bhi ho usse koi farak nahi padta lekin agar foregin trip karni hai to europe bura nahi hai lekin hum gaye kaha to shanghai ko kyu to waha anurag ko koi business conference attend karni thi aur ab conference ke liye ja hi rahe hai to honeymoon bhi ho jayega.........
matlab har waqt patni ne pati ke kandhe se kandha mila ke ya fir use piche se uske har decision main ha milani hi chahiye aisa hi hai lekin koi baat nahi maine samajh liya aur wo honeymoon khatam karke hum wpas aaye anurag ke us mahal main .waha sab kuch tha sari suvidhai thi paisa tha lekin sirf ek cheez nahi thi aur wo tha pyaar. aaju baju main sirf chehre par jhuthi hasi liye ghoomne wale log. mujhe jo pyaar chahiye tha wo sirf filmo main hi dekhne ko mil raha tha.
pehle pehle maine apne aap ko samjhane ki puri koshish ki,apne aap ko badalne ki bhi koshish ki naye dost bhi banane chahe lekin kuch bhi karlu wo mujhse ho hi nahi raha tha
'oh look mrs.dixit'
'wo dekho anurag ki wife ... god she is so dull'
'mrs anurag'
aise shabd jagah jagah mere kano main pad rahe the mano mera koi astitva hi nahi reh gaya tha aur in sab se pareshan hokar main mere college ke dosto ke sath ekbaar party ke iye gayi ha matlab unlogho ko jame aise hotel main aur mujhe bhi paise aise faltu mai kharch nahi karne the shayad wo show-off hota to hum party karne gaye man khol kar jiye mast mood set ho gaya tha lekin pura satyanash hua ghar aane ke baad anugar ne mujhe bohot sunaya aur kaha ki jo bhi tamasha karna hai ghar min karo ghar ke bahar nahi aur us din ke baad mere sath bodyguard ke naam par ek aadmi hamesha rehne laga

bolte bolte radha ne apna glass khali kar diya

radha-om tumko YOLO pata hai

omkar-YOLO?? means Y O L O.....You Only Live Once right

radha-yes you only live once colle ke time main main ye quote apne gardan pe ink karwaya tha lekin us ghar main ye tatoo mujhe chubne laga tha

itna bol kar radha ke aankho se do bund aansu uski galo par behne lage

radha-I certainly deserve more in life tumko pata hai colege main heart-throbe thi dikhne main achi padhai main bhi achi sabse milne julne wali meri ek smile par kai log fida ho jate aur koi nahi to kisi IT professional se shadi karke main america main settle ho sakti thi mujhe bhi normal lifr jine ka adhikar tha lekin mere naseeb main ye sone ka pinjra likha hua tha

itna time jo aansu roike huye the wo ab behne lage the

radha-tumko hi dekh lo tum kitna jante ho mujhe bas 2 din fir bhi tumne mujhe I love you bol diya aise hi kai log the mujhse pyaar karne wale lekin un sabko chod kar maine anurag se shadi ki kyuki use mere math pita ne pasand kiya tha..
aur akhir ek din mera patience khatam ho gaya aur mainwo ghar chod kar yaha goa main aa gayiyaha mujhe chahiye wo sbkuch tha main jaise chahu jee sakti thi mujhe pehchanne wala yaha koi nahi tha lekin ab shayad sab khatam mujhe jana hoga umhari ek galti ki wajahse I m sure mera phone tracking par hoga aur ab tak to anurag ko pata bhi chal gaya hoga ki main yaha hu so ths is it om subah jab tum uthoge to shayad main yaha na rahu

omkar aur radha ki najar ek dusre se mili un aankho mainek prakar ki nirasha thi om aur radha ki najar mili to radha ne apni najre hata li.
jane kya kehna chahti thi radha ki wo aankhe om se kya un aankho main bhi om ke liye kuch tha ya ir ye sirf om ke man ka ek khel tha
kya ye radha aur om ki aakhri mulakat thi??????

radha ki kahani sunne ke baad omkar om bhi usme khone laga tha radha ki life ka wo pyaar ka khalipan omkar ki life main bhi tha wo aur rima sath ho kar bhi kabhi sath nahi the pyaar ki bhookh use bhi thi aur woi radha se hi milega iski guranty bhi.

radha uth kar uske room ki or chali gayi aur chod gayi omkar ke man main prachand chalbichal wo bas yahi soche ja raha tha ke radha ko jane s kaise roka jaye aur isiu soch ke sath wo bola

omkar-radha....

radha-hmm

omkar-I m sorry

radha-kya??matlab kis liye..

omkar-wo maine tumhe subah gate ke paas I love yoiu bola is liye

radha-ohh so you don't love me

omkar-no!! matlab yes!!matla ..ye bahut bachkani harkat thi ka...

uske baad om kuch nahi bola aur kuch pal ki shanti ke baad

omkar-tumhe sachme jana padega kya................subah jane ke pehle ek baar mujhse milogi

radha-main subah jaldi jaungi om sofie aunty uthne ke pehle

omkar-please radha ruk jao main koi rasta nikal lunga

radha-tumko lagta hai kuch hoga

omkar- I think so...

radha-alright den abhi raat ke 12:30 baj rahe hai 5 ghante ka waqt hai tumhare paas uske baad shayad main yaha na rahu


itna bol kar radha apne room ki r chali gayi aur ab om ko apne uper bhayanak gussa aa raha tha ki kya jarurat tho phone suru karkje dekhne ki lekin ab is baat ka koi matlab nahi tha aur wo ye sochne main lag gaya ke ab radjha ko kaise roka jaye lekin nadi ki thandi hawa aur wisky ka nasa iske chalte kab om ko neend ne apne agosh main le liya pata hi nahi chala.......................

Adirshi Bhai,

To anuman sahi hi nikla.

"Anu-Radha" ek un-happily married trophy-wife hai...

Usko apni zindagi achhe se jeeni hai. Ek sone ke pinjre me qaidi ban kar nahi.

Dekhte hai ki lekhak mahoday kya samadhan nikalte hai Radha ki samasya ka...
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 12

itna bol kar radha apne room ki r chali gayi aur ab om ko apne uper bhayanak gussa aa raha tha ki kya jarurat tho phone suru karkje dekhne ki lekin ab is baat ka koi matlab nahi tha aur wo ye sochne main lag gaya ke ab radjha ko kaise roka jaye lekin nadi ki thandi hawa aur wisky ka nasa iske chalte kab om ko neend ne apne agosh main le liya pata hi nahi chala.......................
---------------------------------------------------
subah 3:30 baje nadi ki sard hawa ke chalte omkar ki neend khul gayi raat ko wo sochte sochte wahi so gaya tha lekin jab wo utha to uysko apne aap par bahut gussa aa raha tha ke itna important timeusne sone main gawa diya lekin tabhi achanak usko ashish ki yad aayi aur usne jara bhi deri na karte huye ashish ko phone lagaya lekin disri or se koi jawab nahi aaya aise hi omkar ne 2-3 baar ashish ka phone ghumaya lekin halat same hi rahe

omkar-yaar ye ashish kya khumbhkaran hai kya sala kitna soyega ek aur baar try karta hu

aisa apne aap se bol kar omkar ne ek aur baad ashish ko phone try kiya aur luckily is baar disri or se use ashish ka hello sunne ko mila

omkar-ashish??abe ashish uth yaar omkar bol raha hu

omkar ka awaz sunte hi ashish ekdum neend main se jaag gaya aur table par rakhi ghadi par najar dali aur fir bola

ashish-om sab thik hai na itni raat ko phone???

omkar-kuch bhi theek nahi hai yaar acha sun mujhe tumhari help chahiye bhai

ashish-kyu kya hua ab kya kar diya tune

omkar-are wo radha hai na wo ja rahi hai yar use jane se rokna hai kuch rasta bata de bhai

ashish-matlab kaha ja rahi hai wo itni raat main aur main use rokne ke bare main kyu batau bhai

omkar-dekh agar wo chali gayi na tro..to main pagal ho jaunga aur fir teri naukri bhi chali jayegi

ashish-om side sidhe batayega ke kissa kya hua hai

aur fir omkar ne ashish ko sari kahani ga kar sunayi

ashish-are to bhai usko bol na samjha na ke shyad phone tracking par na ho ya fir aisa bol ke dekh ke phone sahi se suru hua hi nahi tha

omkar-tumko kya lagta hai maine ye sab nahi bola hoga are ye sab pehle hi bol diye hu maine lekin usko koi risk nahi lena hai aur usko aisa pakka lagta hai ke phone traking par tha.....

ashish-acha 2 min ruk main abhi restroom se aata hu

omkar-teri....

ashish-oye chupo ek to aisa raat berat ko uthata hai dimag to chalna chahiye na are yar thoda mu par pani to mar ke aane de

aur uske baad ashish om ki baat sune bagair phone chalu chod kar bathroom main chala gaya aur do min baad usne phone uthaya

omkar- ha ab bol sujha kuch...

ashish-ha bhai sujha to hai lekin meko nahi teko

omkar-bhai ab pahelia bujhana band karke batayega

ashish-are tera dusra book jo tune robarry par likha tha yaad hai

omkar-ha to uska kya

ashish-abe usi main to sloution hai tune hi to bataya tha ke us book main tune drishyam film main ka ek scene dala tha

omkar-abe yaar nahi aa raha yaad bata na jaldi kya solution hai

ashish-dekh radha ka simcard le aur use kal koi sasta sa phone kharid kar usme daal de aur fir us phone ko truck main daal de jaha jaha phone jayega waha wo track hoga aur unlogo ko lagega ke radha goa main hai hi nahi

omkar-gazab bhai ab aayega maja thanks yaarayou are genious

ashish-are bhai mera kya usme teri hi idea hai maine to bas yaad dilayi

omkar-thanks bhai tu na hota to kya hota mera main abhi ye baat radha ko batata hu

ashish- om ek baat puchu tumse

omkar-are puch na bhai ye jaan bhi mang le to hajir hai tere liye

ashish-are you sure bout radha?? matlab wo tumhe sachme pasand hai ya temporary

omkar-main ekdum sure hu bhai aur uske bare main to main galat ho hi nahi sakta

ashish-lekin wo shadi shuda hai bhai aur agar usne kal decide kar liya uske pati ke paas wapas jane ka to??

omkar-main wo samay hi nahi aane dunga usko itna pyaar karunga ke wo us anurag ko bhul jayegi

ashish-agar ye baat hai to go ahead yaara apne dil ki suno aur wapas aate time dono ko lekar aao

omkar-dono??

ashish-ha radha aur chandwani ki story wo puch raha tha bhai kuch ho raha hai kya agar jama to usko concept to bhi mail karde

omkar-ye chup re abhi to sirf aur sirf radha wo chandwani ka baad main dekhenge chal bye good night

fir om ne phone kata aur chal pada radha ke room ki or aur raste main jate jate usne uske bikhre baal bhi sahi kiye aur darwaje par knock kiya lekin uske knock karte hi darwaja apne aap khulne laga ander kamre main puri tarah se andhera tha aur ek ajeb si shanti thi om ne room ki light on ki to ander koi bhi nahi tha om ne sabhi taraf najar ghumayi us room main koi bhi nahi tha yaha tak ke radha ke kapde bag chapple kuch bhi nahi ek baar to om ko laga ke wo galat room main aa gaya hai lekin fir uski najar table part rakhe ek kagad pr padi to usne wo uthaya

om,
sorry tumhe bgair mile ja rahi hu lekin jana pad raha hai, is jindafgi se mujhe bohot apeshaye hai aur mujhe wo puri karni hai mujhe fir se us jindagi main wapas nahi jaha hai om , I hope you understand
shayad tum koi rasta nikal bhi lete lekin tumne I love you bol kar hamare beech banne wali ek dosti thop di hai aur hum kitna bhi koshish kar le tab bhi tmhe aur mujhe ek dusre ke prati mehsus hone wali bhavnaye aa hi jati. main janti hu You love me main wo tumhari aankho main dekha hai shayad tum nahi bhi batate ta bhi
par mjhe wo hi to nahi chahiye mujhe relations nahi chahiye na hi koi attachmentmujhe ahi padna us sab main fir se .shayad main galat hu aur aaj nahi to kal iska ehsaas hoga mujhe lekin tab tab mujhe meri life apne terms par jeeni hai
wish me luch om dua karo ke main meri indagi apni tarike se je saku apne sapne pure kr saku aur ha tumhe tuhari book ke liye bohot bohot shubhkamnaye main bhi tumhari kitab ki rah dekh rahi hu aur main jaha bhi rahu tumhari book jarur padhungi
aur ha ..wo last ka packet sofie aunty ko dena use kholna mat ye samajh ke ke usme mera pata ya contact number milega room ka rent hai usme aur aisi hi kuch bate so be a gentalman
goodbye den..
radha.....


wo letter padh ke omkar ke pairo tale ki jameen khisak gayi ek pal to usko laga ke radha baj uski maja le rahi hai lekin wo khali room us khat k sachai bayan kar rahi thi omkar ki love story suru hone ke pehle hi khatam ho gayi thi jindagi main aaye is khali pan ka bojh uske pair nahi sambhal paye aur om us khat ko seene se laga kar dhap se niche baith gaya....................

Adirshi Bhai,

Ye kya, kahani theek se shuru bhi nahi hui hai aur Heroine ne already Hero ke dil ke tukde-tukde kar dale ?

Ab ye Om apni Radha ko kaha ja ke dhoondhe ??
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 13

wo letter padh ke omkar ke pairo tale ki jameen khisak gayi ek pal to usko laga ke radha baj uski maja le rahi hai lekin wo khali room us khat k sachai bayan kar rahi thi omkar ki love story suru hone ke pehle hi khatam ho gayi thi jindagi main aaye is khali pan ka bojh uske pair nahi sambhal paye aur om us khat ko seene se laga kar dhap se niche baith gaya....................
--------------------------------------------
om waha kitna samay baitha raha ye use khud bhi pata nahi chala shayad do minute?? ya fi shayad do ghante lekin sawal wo nahi tha sawal ye tha ke radha chali gayi thi ab aage kya??

kuch pal bitne ke baad omkar hosh main aaya ab uske ander chupa hua crime books ka lekhak bahar aa raha tha radha ne kahi na kahi koi na koi clue to jaroor choda hoga..kuch bhi jispar se adha kaha gayi hai iska pata lagaya ja sake are bade se bada gunhegar bhi koi nja koi clue to chodta hi hai. ab omkar ke man main ek umeed ki kiran jaag gayi thi aur usne radha ki room ki talashi leni chalu ki almari, drawers , palang ke niche yaha tak ke kudedan bhi lekin kahi koi kagaz ka tukda ya koi chitthi nahi mili jisse ye pata lagaya ja sake ke radha kaha gayi hai omkar baar baar bas khud se ek hi baat kahe ja raha tha "kuch soch om kuch soch"

fir om ne ek najar ghadi par dali to dekha ke subah ke 3:30 baj rahe the ki achanak uske dimag ki tube jali ke "itne raat ko radha kahi chal kar to gayi nahi hogi...matlab rikshaw...lekin raat ke is samay is jagah rikshaw milna mushkil tha ...matlab usne cab bulayi hogi lekin cab bulane ke liye uske paas phone nahi tha............" bas ye khayal aate hi omkar bhag kar hall main aaya waha rakhe huye phone ka reciever uthaya aur dhadakte dil ke sath redial ka button dabaya kuch pal ki ring jane ke baad dusri or se awaz aayi

"Hello dial-cab how may I help you"

Ab omkar main jung jeetne wala josh aa gaya tha fir usne pucha

Omkar-hello main south goa se bol raha hu...kareeb ek-adh ghante pehle meri mrs ne ek cab order ki thi darasal us cab main uska laptop chut gaya hai kya aap check karke bata sakte hai ke us cab ka number kya tha

Dial-cab - je sir bilkul aap bas itna bata dijiye ke cab kaha ke liye book thi

Omkar ne bina koi fer kiye bata diya ke airport ke liye

Dialcab-sorry sir pichle kuch ghanto main airport ke liye koi call nahi tha ha lekin ek cab busstand ke liye book huyi thi

Omkar-arr...kya ye cabdial ka number hai

Dialcab-nahi sir ye dial cab hai jis company ka aap naam le rahe gai wo abhi abhi suru huyi hai jabki hum pichle 5 saalo se service de rahe hai

Omkar-oh sorry sorry same naam ko lekar confusion tha

Aur itna bol kar omkar me phone kaat diya lekin ab use pata chal chuka tha ke radha bus stand ki or gayi thi omkar ne jaldi se busstand jane ke liye ek cab book ki aur chal pada jab wo bus stand pahucha to waha ka vatavaran ekdum shant saamsum tha beech beech main buses jati thi aur chali jati thi Christmas kareeb aa raha tha iski nishaniya canteen ki khidkiyo par dikh rahi thi lekin omkar ki najar to bas radha ko hi dhundh rahi thi usne pura busstand chan mara lekin use radha kahi bhi dikhai nahi di aur akhir kaar wo thak haar kar enquiry window ki or chal pada aur waha ja kar pucha

Omkar-yaha se pichle do ghanto main kaha kaha ke liye buses gayi hai kya aap bata sakte hai

Aadmi-yaha se to kai jagah ke liye buses gayi hai aapko kaha jana tha

Omkar ne bagair kuch bole wk 100 ka note us aadmi ki or badhaya aur us aadmi ne bhi tote ki tarah waha se gayi huyi sari buses ke naam ginwaye radha un sabhi buses main se kisi bhi bus se ja sakti thi kisi bhi disha main ja sakti thi jiska omkar ko koi idea nahi tha ye ghas ke dher main sui dhundne jaisa tha aur omkar ab us busstand par apne sar par hath lagaye hatash air nirash khada tha uski radha usse kai door ja chuki thi kai kilometer door jiski use koi kalpana nahi thi......

15 din baad...........

Ashish chandwani ke office main baitha cold coffee pita hua bate kar raha tha

ashish-no sir 15 din ho gaye om ka koi pata nahi hai uska phone switch off aa raha hai aur uske hotel ka m,atlab home stay ka bhi mere paas koi contact nahi hai

chandwani-wo aisa kaise kar sakta hai ashishitne dino main kam se kam mujhe story ka concept to bhi mil jana chahiye the

ashish-main samajh saktra hu siur lekin main bhi kya karu

wo dono baat hi kar rahe the ke ashish ke phone par omkar ka phone aane laga usne chandwani se excuse manga aur phone utha kar bahar chala gaya

ashish-arew yaar ye kya hai yaar kaha the tum aur 15 dino se tumhara phone kyu band tha kaha hai tu??

omkar-main office main hu ashish

ashish-office main matlab tumhare office main

omkar-ha mere office main. main 10 din pehle hi aa gaya hu aur ek kaam kar chandwani ko lekar mere office par aa unko boilna unki book ready hai

ashish-are you serious.....??


omkar-yes aur ab der mat kar............

Adirshi Bhai,

Om ab Radha se bichhad chuka hai.

Lekin lagta hai usne Radha se inspiration le ke book ko likh dala hai...

Right ?
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 15

chandwani-oho..splendid idea good business mind...
omkar- wo kisi film ka diualog hai na sir 'filmo ki tarah hamari jindagi main bhi end main sb theek ho jata hai....happies endings.......aur agar kuch theek nahi hai to wo the end nahi hai dosto picture abhi baki hai..................
----------------------------------------------------
Omkar bol raha tha aur chandwani naye business ki opportunity dekh kar khish ho rahe the lekin is waqt agar omkar ko koi samajh sakta tha to wo tha ashish

Chandwani-alright omkar...rohan main ye prints mere proof readers ko de deta hu aur kuch badal karke final drafts tumko bhejta hu 2-4 din main aur fir.......fir chapayi chalu kitabo ki aur noto ki bhi

Itna bol kar chandwani waha se chale gaye aur waha ek ajeeb si shanti pasar gayi aur fir kuch pal shanti main betne ke baad ashish me bolna chalu kiya

ashish- tumne mujhe radha ka photo to nahi dikhaya lekin jis tarah se tumne uske bare main book main bayan kiya hai main imagin kar sakta hu ke wo kitni khoobsurat hogi

omkar-hmm..

ashish-so.. ab kya karne ka socha hai

omkar-kuch nahi..kuch nahi samajh aa raha hai ashish

ashsih-tumko ye to pata hai ke uski shaadi ho chuki hai aur tum is baat pe bhi comfirm nai ho ke wo bhi tumhe pasand karti hai dobara milne par.....matlab hum to ye bhi nahi keh sakte ke agar tum log dobara mile to wo tumhare sath aayegi

omkar-hmm..

ashish-fir bhi tum use bhulana nahi chahoge...??

omkar-wo itna aasan nahi hai ashish

ashish-main kaha keh raha hu ke aasan hai mujhe to bas itna lagta hai ke tumhe koshish karni chahiye....dekho om tum ek writer ho aur agar aise hi devdas bane rahe to ho gaya kaam

ashish ki baat sun kar omkar ne uski taraf gusse se dekha

ashish-main bas realastic baat kar raha hu om shayad meri bate tumhe abhi achi nahi lagengi lekin tum is par ek baar shanti se socho by the way rima ka 4-5 baar phone aa kar gaya hai usne tumhara phone try kiya lekin wo off tha

omkar-rima ka phone??? mere liye???

ashish-hmm itne din tumhara phone band tha to use chinta ho rahi thi to mujhse tumhari khabar janna chahti thi

omkar-strange!!

ashish-dekho om mujhe lagta hai shayad rima hi wo rasta hai tumhe is sab se bahar nikalne ka tumhare aur rima ke jhagde aur radha . start a new life usko ek baar phone karo aage jo uperwale ke man main hoga wo to hoga hi

itna bol kar ashish bahar chala gaya aur omkar bohot der tak apne hath main ke phone ko dekhta raha aur akhir kar usne rma ka number dial kar diya.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
"kaise ho?" rima ne waiter ko order dete huye omkar se pucha

omkar-ekdum mast tum sunao tumne to aur bhi wajan kam kar liya hai zero figure ke chakker main dubli ho gayi ho

rima-ha par aisa decide karke nahi kiya maine ...main south africa mainthi 1.5 mahina

omkar-wow.. kab

rima-last month reality show ke stils karne the so assignment ke liye gaye the aur tumko to pata hai main nonveg utna nahi khati hu isiliye khane pine ke jara wande hi ho gaye

omkar-sahi hai par bataya nahi tumne mujhe

rima-pehle socha to tha ki tumhe phone karu fir baad main gad bad gadbad main reh gaya par meri chodo suna main tu chandwani ka book kar rahe ho

omkar-kisne bataya?? ashish ne??

rima-ha par great yaar chandwani matlab ekdum bhari publication mast paisa kamaya hoga na..

omkar-ha well known publication hai mera goa trip bhi unhone hi sponser kiya tha

rima-cool.... so this dinner is for your success...

agle 1.5-2 ghante dono ne bharpur bate ki . like old times jaise beech main kuch hua hi nahi tha surwat main jo nervos panba tha ab wo chala gaya tha jaise purane dost milne ke baad ek dusre ke sath main kho gaye the

rima-so is it ok if I whatsapp you??

omkar-maine whatsapp use karna chod diya hai

rima-kya??kabse??

omkar-bas aise hi

rima-kyu main online dikhne ke baad meri yaad aati thi kya

omkar-kaise jaogi

rima ki baat sun kar omkar ne vishay badalne ki koshish ki

rima-honda city li hai nayi..

omkar-oho god good maitab tum apni wishlist puri kar rahi ho pehle south africa fir honda city I liked it..

rima-hmm aur isiliye aaj tumse milne ko aayi hu

ab rima thodi serious ho rahi thi

omkar-matlab??

rima- om I realy missed you dekho hum donoi se hi kuch galtiya huyi hai........

omkar-dono se.....

rima-ok mujhse....I m sorry main galat thi dekho wo time alag tha main sch main apne carrier ke nashe main beh rahi thi par baad main mujhe bohot guilty feel hua ab africa main mujhe bohot akela laga laga jaise aaju baju ghoomne wale sabhi log jhuthe nakab odhe the

omkar-anyways ab ye baat karke kya fayda hai??

rima-hai.. mujhse galti huyi hai mujhe ek mauka to do om

rima ki baat se omkar thoda pareshan ho gaya

rima-dekho main jaldi nahi karungi lekin is par sochna jaroor lets think of a patch up?? like old times

rima ne ye baat is tarah se boli ki fir ek baar omkar ka dil moh liya. omkar ko rima ka ye niragas pana bohot acha lagta tha khaskar uski aankhen jo bagair kuch bole bohot kuch keh deti thi omkar jitna ucha tha uti hi rima choti thi aur jab wo apna chehra uper karke om se bolti to wo use aur bhi jyada cute lagti kuch pal to om ko laga ke sab bhul kar rima ko baho main bhar le lekin usne control kiya

omkar-main wadfa to nahi karunga lekin sochunga ab chale??

rima ne kuych pal omkar ko dekha aur fir boli

rima-ok par hum ek dusre ke dost to reh sakte hai na

omkar-bilkul

rima-by the way tumhari bookmarket main kab aa rahi hai

omkar- date fix nahi hai par kareeb 1 mahine main

rima-cool mujhe inviote karna mat bhulna

omkar-bilkul nahi

rima-chalo den... bye fdor now...

omkar-bye...

fir dono ne ek dusre ko friendly hug diya aur apne apne raste nikal gaye. jab omkar ghar pahucha to uske phone par ek msg aaya wo rima ka message tha-


My heart was really racing when i meet you after so long.. felt the spark in between our relationship again. Dying to meet you again sooooon.. anyways, gn dear, sweet dreams- Rima.........................

Adirshi Bhai,

Seedha Sadha lekhak hai bechara Om

Uski life ki aise firki na hi ghumao

Ab ye Rima fir se uski zindagi ko complicate karne ko wapis a rahi hai (apni guitly feelings ke sath) !!

Kabki Om ka dil ab uski missing Radha ke liye dhadak raha hai...

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 14

omkar-main office main hu ashish

ashish-office main matlab tumhare office main

omkar-ha mere office main. main 10 din pehle hi aa gaya hu aur ek kaam kar chandwani ko lekar mere office par aa unko boilna unki book ready hai

ashish-are you serious.....??

omkar-yes aur ab der mat kar............
--------------------------------------------------------
ashish-acha acha main pahuch raha hu bas 1 ghante main aur chandwani ko bhi lekar aaunga

omkar new phone kata aur apne chape huye panno par se ek hath firaya usne apni kitab main radha ka naam badal kar mira rakh diya tha aur media tycoon anurag ko kisi sharma se badal diya tha lekin ye sare ferbadal sirf aur sirf kahani ke liye the omkar ke hisab seto us kitab ke har panne main bas radha hi basi thi. uske bare main likhte huye omkar itna kho gaya ke kai baar use radha uske aas paas hone ke abhas hone lage.

apan itne kam samay main kisi se itni mohabbat kaise kar sakte hai radha use itni jaldi kaise pasand aa gayi ye sawal omkar ko baar baar satata tha. kyuki radha koi akeli sundar ladki nahi thi ko omkar ne dekhi thi uski pehli do kitabe superhit thi tab use kai ladkiyo ke phones aate the ,kai ladkiya social media par uske sath flirt bhi karti thi lekin kisi bhi ladki ke liye uske man main wo feelings nahi the jo radha ke liye the.

'ek insan aapko kab pasand aata hai??' omkar ke man main dil aur dimag main hamesha sawal aur jawab chalte rehte the jo sawal uske man main chalte the unka jawab bhi usi ke paas hota tha

'ek insan aapko kab pasand aata hai??'
'shayad tab jab aapko lage ke usme aur aapme koi conection hai'
'matlab kaise??'
'matlab aise ke jab aapki aur us insan ki najre milti hai tab chehre par koi bhi bhav ho aankhen jhooth nahi bolti jab un aankhon ke bhav aapke man ko chu jaye, jab un aankhon main aapko apne liye pyaar dikhe tab samajh jao wo wo bhi aapko pasand hai'
'matlab radha bhi mujhse pyaar karti hai'
'pata nahi lekin shayad wo bhram hoga lekin ha mujhe aisa lagta hai'
'matlab aisa kab laga'
'us din raat main jab ski aankhen bohot kuch bayan kar rahi thi...bohot kuch kehne ki koshish kar rahi thi .wo kya tha ye mujhe pata hi nahi chal raha tha ya shayad pata chal raha tha lekin main samajh nahi raha tha'
'fir wo tumhe chod kar kyu chali gayi'
'ab tum ye negetivity mat failav'
'lekin tum bhi to kafi optimistic ho rahe ho'
'hoga lekin kya sach hai yte radha mile bagair nahi samjhega'

omkar ke dil aur dimag main ye jung akhand chalu thi kabhi dil jitta to kabhi dimag lekin is dil aur dimag ki jung main omkar ki halat kharab ho rahi thi un dus dino main omkar ne apne aap ko puri tarah kaid kar liya tha radha ke bare main likhne main uske bare main apni bhavnaye vyakt karne main usko kisi ka bhi disturbance nahi chahiye tha.

likhna khatam hone ke baad omkar pura khali ho gaya tha jab usne khud hi wo kitab padhi tab use ashcharya hua ke khun-maramari, chori kidnaping is par likhned wala pyaar se bharpur likhan kaise kar sakta hai ispar uska khud ka vishvas nahi ho raha tha. ye book market main successful ho ya na ho bas ek baar radha ne ise padha chahiye bas itni hi omkar ho man se icha thi aamne samne to wo apne dil ki baat use na keh saka shayad likhit shabdo ke roop main hi uski bhavnaye radha tak pahuch jaye.

omkar apne office main yahi sab bate sochta hua baitha tha utne main ashish aur chandwani waha pahuch gaye ekdum book tayar hai ye sunkar chandwani khushi se jhoom rahe the

chandwani-hello young man....

omkar-sorry sir mai aapko concept mail nahi kar paya

chandwani-its ok son no problem at all

omkar ne fir unko proof-reading ke liye ek room main baithaiya aur unke hath main apni kitab ke wo panne de diye

omkar-main aapke liye coffee bhijwata hu

chandwani-par ek coffee se kaam nahi chalega jab tak main ye book puri na padh lu tak tab bhejte rehna

fir chandwani haste haste room main chle gaye aur unke jane ke baad ashish aaya

ashish-ye kya hai bhai?? kaha tha tu jara batayega aur..are radha ka kya hua?? usko sath lekar aa gaye ho kya

ashish omkar ko chedne ke mood main tha lekin omkar ke chehre par ki udasi dekh kar use sara mamla samajh main aa gaya

ashish-om is everything alright??

omkar-no ashish nothing is right......nothing is right....

ashish-do you want to talk??

omkar-no usse acha tum ek kaam karo tum bhi chandwani ke sath ek baar padh lo jo hua hai jaisa hua main maine sab kuch likh diya hai

ashish-thik hai fir

itna bol kar ashish bhi us room main chala gaya jaha chandwani the aur kareeb 3 ghante baad wo dono bahar aaye chandwani ke chehre par ki khushi saaf jhalak rahi thi

chndwani-excellent...superb...well done young man (ashish se) maine kaha tha na ke ye shivdhanush dirf omkar hi todega

omkar-thank you sir..

chandwani-lekin mujhe end samajh main nahi aaya matlab mujhe aisi adhuri lagi kahani ..wo mira achanak chali jati hai ...are akahni ko koi end to chahiye na kamse kam wo kyu gayi kaha gayi us hero ka aage kya hua wagaire ......

omkar-yes sir kahani adhuri main jaan bujhkar rakhi hai

chandwani-matlab

omkar-matlab hum iska dusra part nikalenge 6-8 mahino main

chandwani-oho..splendid idea good business mind...


omkar- wo kisi film ka diualog hai na sir 'filmo ki tarah hamari jindagi main bhi end main sb theek ho jata hai....happies endings.......aur agar kuch theek nahi hai to wo the end nahi hai dosto picture abhi baki hai..................

Adirshi Bhai,

Hero ki love story, uski hi kitab ki tarah filhal mukammal nahi hai !!

Aise kaise "End" kar de...
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 16

rima-chalo den... bye fdor now...

omkar-bye...

fir dono ne ek dusre ko friendly hug diya aur apne apne raste nikal gaye. jab omkar ghar pahucha to uske phone par ek msg aaya wo rima ka message tha-

My heart was really racing when i meet you after so long.. felt the spark in between our relationship again. Dying to meet you again sooooon.. anyways, gn dear, sweet dreams- Rima.........................
----------------------------------------------------------------
agla ek hafta omkar ke liye kafi boring bita jyadatar time usne ghar main hi baith kar bitaya aur usme dimag ko tras yane chandwani ke office se aane wale proof readers ke e-mails unlogo ko mira aur kahani ke hero ke beech main aur bhi thode scenes chahiye the. unke hisab se page lay-out ke hisab se kahani main aur kuch contents ki jarurat thi.

omkar aur radha mian jo kuch bhii hua tha wo sab omkar ne kahani ke jariye likh diya tha isiliye ab aur kuch likhna matlab kuch imagin karke hi likhna tha aur uske liye use fir se radha ke bareme sochna jaruri tha halanki iska matlab ye nahi tha ke wo radha ko bhula chuka tha ya use bhulane ki safal koshish kar raha tha par naye scenes likhna matlab radha ko puri tarah se apne anterman main utarna jaruri tha. un dono main intimate matlab romantic aisa kuch bhi nahi hua tha lekin kahani ko maddenajar rakhte huye kahani ke hero aur heroine ke beech prem-prasang jaruri the

sofie aunty ke bungle ke piche jo nadi thi wo omkar ko bohot pasand aayi thi kai baar wo use aur radha ko waha imagin karta tha aur is kahani ka scene likhne ke liye usne wohi jagah chuni aur apne samne rakha laptop chalu kiya aur likhne ko surwat ki..........

nadi ke kinare ki or janewala rasta bohot hi chota tha jiske dono aur ghani jhadiya lagi huyi thi jisse wo rasta aur bhi chota dikhne laga tha omkar radha ke piche piche chal raha tha

radha-tumhe pata hai om ye nadi na sofie aunty ke bunglow ka U.S.P. hai gar sirf uis hisse ke photos nikal kar facebook par page banaya jaye na tobhi din main hajaro ke phone aayenge...main jab kabhi yaha se jaungi na to ek page jaroor banaungi taki hamesha tourist yaha aate rahe.....

radha apni hi dhun main bole ja rahi thi lekin omkar ka us or dhayan hi nahi tha uska to man guta hua tha radha ke kale ghane balo main.....chalte chalte radha apne balo se khel rahi thi kabhi wo hawa ke sath apne baal khule chod deti to kabhi unko apni ungliyo main ghum aleti to kabhi apni gardan ko halka sa jhatka dekar unhe idhar se udhar kar deti aur omkar ..wo to bas pagal hua ja raha tha

wo rasta khatam hua aur omkar ki najro ke samne aaya nadi ka vishal patra aur use dekh kar hi omkar hosh main aaya

radha-dekho...kaisa hai?? acha laga na..???

ekhadfe chote bacched ne badi mehnat se nikali huyi drawing hath main pakad kar sir aur sirf ache comment ki kamna karna aise bhav is waqt radha ke chehre par the

gulabi rang ke T-shirt par radha ne safed rang ka see-through shirt pehna tha aur niche asmani rang ki slacks. ghar se nikalte waqt lagaya hua jasmin ka perfumehawa ke jhoke ke sath sath omkar ke rag rag main bas raha tha. aankho par lagaya hua goggle balo main fasati huyi radha boli

radha-hello.....bataona kaisi lagi jagah

omkar-oh yess..bohot badhiya....coffere ka unlimited supply aur laptop ko battry backup mile to main ek hafte main yaha baith kar ek book likh sakta hu

radha- you know what om ...sometimes we need tyo get lost to find ourselves....yaha aane par mujhe sab bhul jane ka man karta hai

thoda aage jane par waha patther ki ek choti diwar bani thi radha uspar ja kar baith gayi

omkar-tumko patther langan aata hai???

omkar mitti main se ek chapta patther uthate huye bola

radha-kya???

omkar-ruko dikhata hu....

aisa bol kar omkar ne wo patther nadi ko or feka aur wo patther 7-8 baar bounce hote huye dur chala gaya

radha-bevkuf use stone skipping kehte hai

itna bol kar radha hasne lagi aur omkar ne mu bana liya

omkar- kehte honge main to patther langhan hi bolunga

lekin sach baat to ye thi ke omkar radha ke hasne main kho gaya tha use kuch samajh nahi aa raha tha kuch sunai nahi de raha tha panchiyo ki kilbil, hawa se hilte jhado ki awaz door se aane wali samandar ki awaz kuch bhi kuch bhi sunai nahi de raha tha

omkar apne aap aage badh kar radha ki or gaya use apne paas khicha aur uske hontho par apne hoth tika diye............


bas....yahi wo pal tha.....shayad yahi wo pal tha jise iternity kehte hai jag puri duniya stabdh ho jati hai...shayad isi pal main prithvi ne apni gati rok di thi..............

Adirshi Bhai,

Ye nadi kinare wala scene ab bechara lekhak apni kahani me extra "Masala-Tadka" add karne ke chakkaro me likh raha hai !!

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 17

lekin sach baat to ye thi ke omkar radha ke hasne main kho gaya tha use kuch samajh nahi aa raha tha kuch sunai nahi de raha tha panchiyo ki kilbil, hawa se hilte jhado ki awaz door se aane wali samandar ki awaz kuch bhi kuch bhi sunai nahi de raha tha

omkar apne aap aage badh kar radha ki or gaya use apne paas khicha aur uske hontho par apne hoth tika diye............

bas....yahi wo pal tha.....shayad yahi wo pal tha jise iternity kehte hai jag puri duniya stabdh ho jati hai...shayad isi pal main prithvi ne apni gati rok di thi..............
------------------------------------------------------------------
likhte likhte achanak omkar ruk gaya.....sirf likhan se hi uske sari body main romanch daud gaya tha. radha ko kiss karne ke khayal se hi uske dil ki dhadkane tej ho gayi thi. wo kurchi se utha aur fridge se ek juice ki can le aaya aur fir us juice ko gatagat gale ke niche utara aur aankhen band karke shant hokar kurchi par baith gaya.

aisa nahi tha ke omkar ne kisi ko kiss hi nahi kiya tha.rima ke sath wo kai baar kiss se bhi aage badh chuka tha lekin ye anubhav uske liye bilkul naya tha. aisa bhi nahi tha ke use radha ke liye physical attracation tha balki iske pehle to usne radha ke liye aisa socha bhi nahi tha ye to bas publisher k demand ke wajah se usne ye kalpanik scene likhne ki surwat ki thi.............man shant hone ke baad usne dobara laptrop apne paas khicha aur dobara likhne k surwat ki.................
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
us kiss main radhja ne omkar ko rokne ki bilkul bhi koshish nahi ki khule chode huye uske baal omkar ke kheechne se omkar ke chehre par aa gaye the

omkar-sorry....really sorry.....

apan kya kar rahe the ye dhayan main aate hi omkar baju main sarak gaya aur radha kuch pal aankhen band karke stabdh baithi rahi aur fir jaise kuch hua hi na ho aise awaz main boli

radha-tum logo main apman hua to aisa karte hai kya??

omkar-really sorry radha mujhe pata hi nahi chala ki maine aisa kyu kiya that was not intesional

radha- its ok mujhe to achanak ek pal ke liye charlie ki yaad aa gayi........

omkar- charlie..? kon....?

radha-main jab goa aayi na to hippi banne ka khayal dcimag main lekar......shayad ab bhi wo plan on hai...ha to ek baar ghoomte huye beach par mujhe ek hippi ka group mil gaya.....rangbirange kapde...aade tedhe badhe huye baal, buri si dadhi hathme guitar ya drums...aur ladkiya bhi waisi hi.....lekin mujhe mast lage wo log. ekdum free......isiliye main unse milne ke liye gayi aise hi pagal jaisi hippi banne ke liye kya qualification lagta hai puchne.....tab us charlie ne aise hi mujhe ekdum kareeb kheecha aur kiss kiya...

omkar-fir??

radha- fir kya maine use mujhse dur dhakal diya....tab wo bola ki you are not ready for this

omkar-matlab??hippi banne ke liye kiss karna aana chahiye aisa koi criteria hai kya??

radha-nahi re..matlab uska bolna ye tha humne matlab aisa ekdum free rehna chahiye na jan ki chinta na man ki....kon kya bolega duniya kya sochegi agar iski chnta karte baithe to wo hippi kaisa.....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
likhte likhte omkar achanak ruk gaya aur last likha hua page dobara padha ....achanak ye hippi..achanak ye hippi aur ye charlie naam kaha se aa gaya uske dhayan main nahi a raha tha aur fir ekdum uske dimag ki tubelight jali aur use yaad aaya ke radha ne use sachmuch hippi aur charlie ke bare main bataya tha ye bate kalpanik nahi thi....usne bagair der kiye phone uthaya aur ashish na number milay

omkar-ashish mujhe wapas goa jana padega..

ashish-kyu? kya hua??

omkar-mujhe lagta hai mujhe pata hai radha kaha milegi

ashish-matlab??

aur fir omkar ne ashish ko akhri ka page padh kar sunaya aur fir bola

omkar-radha ne mujhe kaha tha.....aur mujhe pakka yakin hai ke wo us hippi group ki or gayi hogi...

ashish-are par us bat ko ab mahina beet chuka hai om radha ab bhi wahi hogi is baat ka kya proof hai tum to jante ho ye hippi log kabhi ek jagah nahi tikte

omkar-ha mujhe pata hai lekin try karne main kya jata hai

ashish-aur us right-up ka kya?? mujhe lagta hai om tum chandwani ka kaam pura karke hi jao...mujhe pata hai tumhari radha ke liye kya bhavnaye hai but be professional...tum jab tak contents nahi de doge chandwani ka kaam adhura rahega...pehle bhi tum aise hi gayab huye the aur mujhe unki bate sunni padi thi

omkar-main gayab nahi hua tha ashish utla maine samay ke pehle kaam pura kiya tha socho agar nahi kiya hota to...?

ashish-I know...I know mujhe pata hai lekin agar mujhse puchoge to main kahunga ki kaam pura karke hi jao kyuki agar tum ek baar gaye to waha tumhe kitna samay lagega kuch keh nahi sakte..........lets play it safe om...

ashish ka bolna bhi sahi tha aur omkar ke paas dusra rasta bhi nahi tha lekin is dil ka kya kare jo manta hi nahi

omkar-fir ab kya kiya jaye???kisi dusre ko bhej ke dekhe to??

ashish-main dekhta hu kuch rasta nikalta hi kya to lekin please tab tak tum kahyani par focus karo....ok?

omkar-thik hai...

omkar ne phone rakh diya aur ek baar fir apna laptop uthaya aur kahani likhne main magn ho gaya


jis din radha karib ko chod kar gayi thi usse ek raat pehle ke dono ki baato ka page omkar ne apne laptop par open kiya aur in bato main aur bhi kuch mudde jodne ke hetu se omkar ne likhne ko surwat ki...............................

Adirshi Bhai,

Radha ke bare me sochte-sochte hi Om ko Charlie ka smaran hua hai

Lekin woh us ke bare me jankari ekatrit karne ke liye un hippies ke peechhe kyu nahi gaya ?

Waise lag hi raha hai ki Radha zaroor YOLO ko yatharth karne hetu hippies sang ho li hai...

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi

vmvish

Banned
290
369
63
Update 18

omkar ne phone rakh diya aur ek baar fir apna laptop uthaya aur kahani likhne main magn ho gaya

jis din radha karib ko chod kar gayi thi usse ek raat pehle ke dono ki baato ka page omkar ne apne laptop par open kiya aur in bato main aur bhi kuch mudde jodne ke hetu se omkar ne likhne ko surwat ki...............................
----------------------------------------------------------------
omkar-dekho radha .....thik hai you are not happy with your husband....bt not happy with life...?? mujhe nahi jam rahi ye baat.......tumhari life maye kailogo ke liye dreamlife hogi.......celebraty pati...bharpur paisa.....ghumne ke liye 24 gahnte gadiya,party life,celebraty status....I mean whats wrong??

radha-hogi ye sab bate par duso ke liye mere liye nahi...

omkar-par kyu??

radha-kyuki mujhe mera freedom jyada important lagta hai om.....mujhe shaadi ke bad apni puri jindagi aankhon ke samne dikh rahi thi...... pehle bacche unki dekhbhal fir unki padhai aur uske baad wapas dusra baccha...wohi chakra wapas wapas....shayad is kaam ke liye meri madad ke kiye honge bhi 10 lg lekin usse jawabdari to kam nahi ho jati na.......mujhe ye rutine life nahi chahiye abhi to nahi...

omkar-just because its rutine iska ye matlab nahi ki wo boring hai....ise hi to jindagi kehte hai..jo har koi jeeta hai...sirf usme apne hisab se rang bharne padte hai..usme thoda masala daal kar yahi rutine life colourful banana padta hai..jab tumho bacche nahi chahiye the to waisa kehna tha na use shadi se pehle uski jndagui kyu barbad kar rahi ho...??

radha-waisa hai hai..main aisa nahi keh rahi hu ke mujhe jindagibhar bhatakana hai par jo kuch bhi samay mere paas hai unhe waste bhi nahi karna hai aur in sab main maine apne solemate ki bas thoda sath chaha to kya galat kiya.. jaisa main icha na hote huye bhi uski 5-star boring partiues attend kar rahi thi waise wo bhi to kisi mahine main mere sath aa sakta tha pahado par nadike kareeb ghumne..

omkar-thik hai chodo bhi kuch dusri baat karte hai

radha-yahi yahi mujhe acha nahi lagta..tum sab mard ek jaise hote ho..jara do shabd bol kar kisine tumhari baat kya kaat di tum baat hi band kar deted ho..

omkar-ab isme puri purush jati ko ghasitne ki kya jarurat hai? aur tumhari stri jati to ekdum h sahi hai hai na

chud ke sath omkar ne jawab diya..................
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ab omkar likhte likhte ruk gaya tha aur kitab main aur 2 panne jod diye...fie save karne k liye internet par upload karna jaruri tha lekin sites hi nahi khul rahi thi hamesha ka internet band ka message dekh kar omkar ko chid ho rahi thi usne ghadi par najar dali to sirf saat hi baj rahe the wo ek do ghante aur likh kar files chandwani ko bhej sakta tha aur agar aisa hota to wo shayad kaam se free hokar radha ko dhundne ja sakta tha

khidki se uske raste ke dusri or bane cafe coffee day par najar dali shukrawar ka din tha aur do nayi filme release hone ki wajah se CCD khali hi tha....omkar ne apne laptop ka charger nikala apne aang par ek sports jacket dala aur chal pada CCD ki or waha baith kar Wi-Fi use karne ka uska irada tha....CCD ka darwaja kholte hi uske naak main halka sa coffee ka sugand ghusa aur ek mast coffee order karnw ke vichar se usne apni jeb main hath dala tab uske dhayan main aaya ke wo apna wallet ghar par hi bhul aaya hai to usne coffee ka khayal dimag se nikala au r ek cone main rakhe sofe par baith kar kaam ko surwat ki...sabse pehle to usne save ki huyi file cloud backup par upload ki aur uske baad usne rukh kiya kahani ki or.....kareeb aadha-pauna ghanta beetne ke baad waiter hath main coffee tray lekar aaya aur use onkar ke samne rakh diya..

Omkar-ek minute.......maine to kuch bhi order nahi kiya haii......

Lekin omkar use kuch bol pata usse pehle hi wo waha se chala gaya tha aur omkar use rokne ke liye uthne hi wala tha ke uski najar padi us coffee tray par chipke ek sticky note par jispar likha tha..

'One hot cup of hazelnut cappuccino....with 30 secs of hitting....sturd not shake...two spoon smakers chocolate sunday sirup with extra creamy hazelnut sirup....enjoy your coffee....'

Omkar ne chamakkar aaju baju dekha....ye omkar ki favorite coffee thi aur aakhi duniya main sirf ek hi aisi vyakti thi jo ye baat janti thi jo is waqt cafe ke dusre tok par omkar ki or has kar dekh rahi thi.....Rima......omkar ne jaise hi uski or dekha wo haste huye uske paas aayi...

Omkar-Rima..?tum..??yaha..kaise??

Rima-are tum se hi milne aayi thi par tumhare darwaje par tala laga tha to wapas ja rahi thi fir socha ke ek baar tumhe yaha dekh lu to aa gayi aur tum mil gaye

Onkar-Thanks for the coffee first..

Aisa bol kar omkar ne coffee apne hoto ko lagayi aur pehle ghut ke sath hj usne bade sukh ke sath apni aankhen band ki aur bidbudaya........"perfect.."

Omkar-by the way kaise kaam nikal liya aaj..?

Rima-kyu main kaam ke bagair nahi aa sakti kya.....chill ek good new deni thi tumhe waise to news hi hai good ya bad rum dwcide karo....

Omkar-ab bolo bhi yaar....

Rima-well news aisi hai ke hum dono ek baar fir se sath main kaam kar rahe hai...

Omkar-kaise??

Rima-are tumhari nayi book ka photo cover main hi bana rahi hu chamdwani ke office se phone aaya tha

Omkar-are waa phone kaise kya aa gaya??

Rima-buddhu pehli teno books ka cover majne hi banaya hai na to sidhi sidhi baat hai peha phone mujhe hi aana tha air main bhala kyu na bolu wo to tumhara portfolio pic bhi badalne ki baat kar eahe the last page par ka so agar tum kal free ho to kal kare shoot??

Rima pure utsah ke sath bate kar rahi thi aur omkar bas mantramugdh ho kar use dekh raha tha jaie pehle wali rima hi uske samne ho aur anjane main hi uske man main radha aur rima ka comparison suru ho gaya rima matlab pura utsah akahnd behne wala jaise samudra hi khauli huyi lehar uske ulat radha bilkul shant nishchal kisi nadi ki tarah....

Omakr pura khoya hua tha tabhi rima ne use hosh main laya

Omkar-nahi kal nahi karte hai agle hafte main karenge kabhi

Rima-thik hai jaisa tum kaho par mujhe book ka concept to batao main cover page par kaam suru karti hu model bhi dhundni padegi

Omkar-mat dhundo mujhe hi us heroine ke jaisi model nahi mil rahi hai to tumhe kaha se milegi

Rima-matlab??

Omkar-mere khayal se kisi artist se pencil sketch bana liya jaye to kaisa rahega

Rima-thik hai par atleast thodi story to brief kar hi sakte ho

Omkar-ok

Aur fir omkar ne kahani batane ko surwat ki aur kahani khatam hone ke baad waha do pal shanto pasar gayi

Onakr-kya hua?? Achi nahi lagi kahani??

Rima-om ek baat puchu?? Are you in love ?? Ye jo bhi hai mira ye tumhe goa main mili na and its a true story right??

Rima ke swal sun kar omkar baura gaya tha use kya jawab de yahi samajh main nahi aa raha tha aur aise main use ashish ke phone ne bacha liya

Ashish-om tum jaha bhi ho pehel news lagao

Omkar-kya baat ho gayi achanak

Ashish-wo pata chal jayegi tum bas news lagao

Fir omkar aur rima dono uth kar counter ke paas gaye aur waha ke tv par news channel lagaya to 10-15 seconds baad news flash huyi

Breaking news.........business man anurag dixit ki patni radha dixit gokarn police station main kaid.....nashe ki halat main pakdi gayi radha dixit par attempted murder ka aarop hai.....

Ye news sun kar uske pairo ke niche ki jameen hi khisak gayi pair ladkhada gaye agar omkar ke baju ki diwal ka sahara na liya hota to shayad gir jata lekin fir bhi usne sar par hath rakh kar aage ki news dekhi

Ab camera news room se police station main pahuch gaya tha prachand gardi se bhara gokarn police station jiski jail main ek andhere kone main radha jhumti halat main baithi thi omkar ne to ek pal use pehchana hi nahi radha ke pith tak lambe kale baal kat chuke the aur unki jagah golden colour ke shoulder cut balo ne le li thi hato par kandhe par gale par ajeeb se tattoo bane the aur galo par sukhe huye khoon ke daag the

Lakho karodo rupayo ki lottry lage jaise to news reporter chilla raha tha......breaking news......radha dixit nashe ki halat main dhut gokarn police station main with attempted muder in her name.....


Aur omkar wo to bas aankhen fade badhi huyi dil ke tez chalti dhadkano ke sath TV screen ki or dekh raha tha..........

Adirshi Bhai,

Aap kaise kaise jhatke de rahe ho, woh bhi ek dam se achanak...

Kamzor dil wale aisi kahani na padhe kya ?? :hinthint:

Attempted murder ? Full on Tattoo's... YOLO bhari pad gaya kya bechari Radha pe ??


Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi
Top