vmvish
Banned
- 290
- 369
- 63
Update 19
Note- dosto ab yaha se kahani wapas se flash back main ja rahi hai us raat se jab radha omkar ko goa main chod kar chali gayi thi...ab yaha se radha ki kahani chalu hoti hai ke usne omkar ko chhodne ke baad kya kya kiya aur kis tarah se wo jail main pahuch gayi..........
________________________________________
Lakho karodo rupayo ki lottry lage jaise to news reporter chilla raha tha......breaking news......radha dixit nashe ki halat main dhut gokarn police station main with attempted muder in her name.....
Aur omkar wo to bas aankhen fade badhi huyi dil ke tez chalti dhadkano ke sath TV screen ki or dekh raha tha..........
----------------------------------------------------------------
radha ka decision pakka tha omkar kuch rasta nikalo ya na nikalo radha ko wo jagah chodna aniwarya tha. uski apni jindagi se bohot si asha apkshaye thi ye saaf tha aur kisi omkar naam ke insan ke liye jiski pehchan bas kuch dino ki hai uske liye wo apni freedon chodne ko kadapi tayar nahi thi...omkar ko chodkar wo room main aayi.jate jate sofie aunty se baat nahi ho payegi is baat ka use reh reh kar dukh ho raha tha mahinabhar main bhi unke sambandh kafi ache ho gaye the.
"ek tarah se acha hi hua..shayad unse vida lena mushkil ho jata aur akhir kar main koi yaha hamesha to rehne wali nahi thi?? 4 dino baad jana hi tha so aaj jana pad raha hai.." bag bharte huye radha ne socha..usne room ki light band kar di aur andhere main baithi rahi omkar ke liye uske diul main kya tha ye use khud pata nahi tha. do dino ki pehchn main wo use itna apna sa kyu lagne laga is baat ka use baar baar vichar pad raha tha..bas do din ki pehchan main hi use I love you bolne ki kya jarurat pad gayi?? jaise usi aankhen bagair kuch bole bohot kuch keh jati hai aise apni aankhen bhi to pne ko aisa hi dhoka to nahi de rahi na aisa bhi ek khayal uske dimag main lekin bohot sochne ke baad bhi radha jo jawab nahi mil raha tha to uske omkar ka khayal apne dimag se nikal diya....
dedh ghanta beet chuka tha radha ne apne room ka darwaja halke se khola aur wo bahar aayi....dur lawn main jal rahi camp-fire ab bujh chuki thi lekin garam jalti lakdiyo main se dhua ab bhi nikal raha tha omkar kurchi par piche sir tikaye leta tha...kuch minute ruk kar omkar so chuka hai is baat ki pushti karke radha ne passage main ke phone se cab ko bulaya fir ek labi saas khichi aur bagair koi awaz kiye apna saman lekar banglow ke bahar aa gayi....fir ek nayi surwat.naye log..nayi jagah...shayad isi jivan ki apan ne asha ki thi...shayad yahi wo jivan hai jiske liye apan apna sara sukh vaibhav chod kar yaha aaye hai ye khayal radha ke dimag main aaya.......
radha cab se station par pahuchi..waise tostation par use koi kaam nahi tha lekin wo confirm thi ke agar omkar ko pata chala ki wo chali gayi hai to wo use kuch bhikarke dhund nikalega ho sakta hai wo station par hi pahuch jaye....akhir hai to wo crime book ka writer hi......omkare ka khayal dil main ate hi radha ke chehre par ek muskan aa gayi..omkar se pehli mulakat..uski aankhon main spray marna..agle din hotel main milnasabkuch ek pal main uski aankhon ke samne ghum gaya..cab chali gayi hai is baat ki pusti hone ke baad usne station se dusri rikshaw padki aur beach ki or jane ko kaha...
itni raat ko beach par jane ko bolne wali wo bhi akeli ladkideak kar rikshaw wale ke use sar se lekar pao tak ghura par radha ko uski parwa nahi thi vyahari jagat se ye shayad uska aakhri sambandh tha...sari bandishe.....sari gulamgiri.sare riti-riwaj sab chod kar wo apna jivan ab hippi lifestyle ko samparpit karne chali thi....
rikshaw wale ke paise chuka kar wo beach par aayi...andhere main sagar ki lehre aur bhi jyada gambhir lag rahi thi.....chand ki chandni ke ujale main patharo par padne wali samudra ki vishal lehre aur bhi chamak rahi thi.....waha samander ki ret raat ki thandi main aur bhi thandi ho gayi thi...thandi hawa ka ek jhoka radha ko chukar nikal waise hi usne apne sharir par apni odhni odh li aur us ret main se apni bag kheechte huye chalte rahi...sasdharan 1 kilometer chalne ke baad use use hasne bolne ke awaz sunai diye aur dur kah jalti huyi aag dikhai di jiski roshni main 2-4 log naach rahe the...
radha ko yahi jindagi chahiye the ekdum free...raat ke do baje so called sabhya samaj ke niyam ke anusar room main chup chap sone se apne dil kare waise jine ki maja kuch aur hi hoti hai ye baat radha ko fiur pata chali....radha ne apna bag uthaya aur jaldi jal;di kadam badhate huye wo us camp fir ke paas pahuchi...................
Adirshi Bhai,
Ek crime story writer to kaise jhansa dena hai, ye Radha na bakhoobi kiya hai, aur ja mili hai Charile ke Hippie group me...
Thanks !!