vmvish
Banned
- 290
- 369
- 63
Update 70
"ok so first thing first..hame ye dekha hai ke maroon sadi marriot ka dresscode hai ya nahi" radha phone par kuch dhundhte huye boli.."uske liye hame pehle marriot jana padega tab tak main yellow lily ka bandobast karti hu" radha
raat ka khali rasta usme omkar full khud josh se bhara hua 120 ki speed main 15 minute main wo marriot ke paas pahucha
"gadi bahar hi lagana hame jana padega" utarte huye radha ne kaha
"ok" bolke omkar ne car rode ke side park ki aur dono hotel main enter huye
reception desk par night duty ke liye do teen ladkiya khadi thi jinhone ragini jaisi hi maroon sdi pehni thi
"de taali" radha ne hath aage karte huye kaha
"ab bataogi please..soch soch ke dimag fat raha hai mera" omkar ne kaha
"batati hu..hame ragini ko yaha bulana hai abhi" radha reception ke paas jate huye boli
"abhi? pagal ho kya raat ka 1.30 baj raha hai" omkar ne apne hath ki ghadi ki taraf dekhte huye kaha par radha ne dhayan nahi diya aur reception par chali gayi
"excuse me.." table par apni ungliya bajate huye radha boli
"yes mam? may I help you?" samne ki ladki ne pucha
"a.aapka pasha restaurent kab tak chalu rehta hai?"
"sorry mam its closed now..."
"a..midnight bufet rehta hai na chalu"
"ha chalu rehta hai na par 12- 1 ka samay hai uska"
"sirf 1 ghante ke liye suru nahi kar sakte"
"sorry mam kitchen bhi band ho gaya hai"
"ok par coffee..cake to mil sakta hai na"
"sorry mam"
"a...aap ragini ko janti hai?"
"ragini wo day shift ko rehti hai wo na....ha matlab kareebi pehchan nahi hai par pata hai.."
"cool wo piche khada hai wo dikh raha hai?" omkar ki taraf ishara karte huye radha ne kaha
"hmm kaun hai wo?"
"he is a well known writer omkar..abi uske book ka first part release hua tha..mohabbatein.."
"really...yess.. maine padha nahi haipar suna hai " exice hokar us ladki ne kaha
"aapne agar pasha 1 gante ke liye open kiya to uske book ke agle part ka publication wo marriot main karega..kitni publicity hogi"
"par iska pasha se kya lena dena ? aur ragini ka kya?"
"he is going to propose ragini tonight..pasha main" radha
"abhi? itna late?...wow..how romantic and thrilling par pasha main kyu?"
"ab ye sab tumhe book ka pehla part aur dusra part release hone ke baad padh kar pata chalega...tumhara naam kya hai?" uske batch par naam padhne ki koshish karte huye radha boli
"rohini.."
"rohini..if you help him now..book main tumhara naam aayega..this momentis climax and you are going to play very important role in it"
radha ne sahi jagah teer mara tha rohini soch man pad gayi
"mam mujhe permission leni padegi..itni raat main sir ko phone karna.."
'arre kaisi permission? tumhe bas 4 lights lagane hai terrace par ke thodi candels thats it..coffee chocolate cake who cares.."
"ok done mam...who cares I will arrenge.."
"good ab dusra kaam ragini ko phone lagana hai yaha ke number se main batau waisa batana ok?"
"yes mam.."
rohini ko climax ka scene apna imp role sab pasand aaya tha..wo radha jo bole sab karne ko tayar thi..radha ne use sab samjhaya aur omkar ke paas aayi
"ragini aaye tab tak hum yellow lily lekar aate hai chalo"
radha aur omkar bahar gaye tab rohini ragini ko call laga rahi thi
ragini sone ki koshish kar rahi thi par use neend nahi aa rahi thi aur fir coffee banane ke liye wo uthi to uska phone bajne laga..marriot ka number dekh kar use ashcharya hua
"hello?"
"hello...ragini na? main rohini bol rahi hu..marriot desk"
"ha rohini kya hua? itni raat main call kiya.."
"sorry yaar tumhari neend kharab ki par kaam important hai" rohini
"hmm its ok..bolo"
"ragini yaar abhi sir ka phone aaya tha..yaha pasha main marathi movie ka scene shoot hone wala hai..10-12 logo ka crew hoga...to tumhe aana padega yaha..jyada samay nahi bas 1 ghante ke liye"
"abhi?? arre nahi possible hoga.....main adhi neend main hu"
"sorry yaar..but can't help sir bhi aa rahe hai..unhone kaha hai proper support ke liye..pasha bhi open kiya hai"rohini
"shit yaar kya pagalpan hai..main baat karti hu sir se "
"unke phone ki battery down hai...wo on the way hai..isiliye maine call kiya hai aur mary bhi off duty hai ....main cab book karti hu tumhare liye tum ready ho jao tab tak aa jayegi"
ragini ko waise bhi neend nahi aa rahi thi so shooting wagaire main timepaas ho jayega isiliye wo tayar ho gayi
"aur apna regular dress pehan kar aana maroon sadi bye for now and sorry" rohini
"no problem dear cab ka number sms kar dena
ragini ne room ka light on kiya chehre par pani maar kar halke makeup ke sath wo tayar ho gayi..is awaz se uski mom ki neend khul gayi to wo dekhne aayi ke kya hua hai...
"mom jo jao aap kuch nahi hua hai office jana hai main aa jaungi thodi der main" fir ragini ne unhe scene samjhaya tab tak cab aa gayi thi to ragini nikal gayi
***
"dada jara fresh phool do yaar" omkar us phool wale se lad raha tha
"arre sir fresh hi hai lo ye do aur ache phool laga diye khush"
itne main radha ka phone baja ki ragini nikal gayi hai to usne omkar ko samjhaya ke phool ache hai aur unhe ragini se pehle hotel main pahuchna hai to wo phool lekar waha se nikle marriot ke liye
omkar radha waha pahuche tab rohini unhe bahar hi mili
"how much time more?"radha ne pucha
"bas paanch minute main cab pahuch jayegi" rohini
"ok chalo uper chal kar dekhte hai kya kya hua hai" radha
omkar ko kuch samajh nahi aa raha tha wo to bas radha ke piche chal raha tha..teno lift se 11th floor ke terrace par pahuche
colorful lights ki roshni se pasha jagmaga raha tha rohini ne wahi table sajwaya tha jaha ragini aur om pehli baar mile the table par do candels the
"yahi table hai na" radha ne pucha
"omkar ne ha ka ishara kar diya itne main rohini ko message aaya ke ragini aa gayi hai usne radha se pucha to usne use uper bulane ka ishara kar diya jisse rohini ne ragini ko uper bula liya
"ok omkar tum yaha chip kar baitho...ragini ke aane ke baad hum use yaha baithayenge..hum chale gaye ki its all yours..tumhe jo karna hai karo" radha jaldi jaldi bol rahi thi
"radha please I want you here tum ruko na yaar chip kar" omkar
"pagal ho kya mujhe nahi dekhna hai tumhara milan..main chali..aur ragini ko pata mat chalne dena main yaha thi ok?" rohini aur omkar ki taraf dekhte huye radha boli
"par radha..."
"go.." omkar ko andhere kone main dhakelte huye radha boli" kal mujhe phone par batana kya hua and all the best"
itne main terrace par lift rukne ka awaj aaya aur radha service lift ki taraf chali gayi..
omnkar andhere main se dekh raha tha ragini ko terrace par aate huye...itne thand main bhi uske hath pair garam ho gaye the
"rohini batao kya scene hai?" ragini
"hmm 20 minute man crew yaha pahuchegi..yaha terrace par shoot karna hai unhe..unhone floor plan bheja hai....acha hua tum aa gayi mujhe solid tension aa gaya tha" rohini
"tension? tum to has rahi ho"
"tension ki wajah se ho raha hoga" idhar udhar dekhte huye rohini boli
"wierd..acha kaha hai floor plan"
"damn main desk par hi bhul gayi ek minute main lekar aayi"
"tum kyu ja rahi ho message kar do"
"nahi kisi ko pata nahi hai main lekar aati hu tum baitho"
"ok"
ragini omkar ki taraf peeth karke baith gayi aur rohini halke se omkar ko all the best ka ishara karke chali gayi
ab terrace par is samay omkar aur ragini hi the....raat ke waqt chalti hawa ka awaj aa raha tha..ragini apne baal theek kar rahi thi
omkar dabe pairo se bagari awaj kiye apne hath main phool lekar ragini ke paas aaya...uska dil kafi joro se dhadak raha tha..
omkar ragini ke ekdum paas aaya aur halke se bola "ragini.."
ragini ekdum jhatke se uthi...omkar ko waha dekh kar use kuch samajh hi nahi aa raha tha..."omkar?? tum yaha??"
omkar ne apne piche chupaya hua yellow lily ka bunch ragini ke samne kiya "ekbaar yahi tumhe mujhe yellow lily diye the yaad hai..yahi table tha na wo?"
ragini ki aankhen badi ho gayi
omkar apne ghutne par baithne laga
"no..om...please stop...sidhe khade raho kya kar rahe ho" do kadam piche hat te huye ragini boli
"wahi jo mujhe kafi pehle karna chahiye tha" omkar
"no omkar..you are out of your mind..ye sab tumne kiya?? yaha koi shgooting nahi hai na" ragini
"hmm"
"this is insane..omkar..please utho..ghar jao 5 dino main tumhari shadi main radha ke sath..bhul gaye kya?"
"shadi hai nahi thi" omkar ragini ke paas jate huye bola
"thi?? om tum shadi tod kar aaye ho?" ragini ne chidh kar kaha
"nahi..radha aur maine mil kar decision liya hai" omkar
"kyu? pagal ho kya tumlog? radha ka number do...abhi..koi shadi cancel nahi huyi hai" apne khule baal bandhte huye ragini boli
phone ke liye aage kiya hua hath omkar ne niche kiya fir dusre hath se ragini ne bandhe huye baal khol diye
"baal mat bandha karo please..aise hi achi dikhti ho.."
"arre ye chal kya raha hai..omkar shadi koi khel hai kya..aise kaise tod di"
"aaj na todte to kabhi na kabhi ye hona hi tha..trust me maine akele e nahi kiya hai...sach kahu to radha ne mujhse pucha"
"kab?"
"abhi ghanta bhar pehle.."fir omkar ne ragini ko sara kissa sunaya jise sun kar ragini table par apne sar ko hath laga kar baith gayi
"fir ab main?? radha ne mana kiya to main aur samjho maine mana kiya to..fir rima? ya koi aur.." ragini
omkar ragini ke samne baitha
"ragini...meri taraf dekho kya dikh raha hai tumhe.." omkar
"kuch nahi..kitna andhera hai yaha" haste huye ragini ne kaha
"ab koi aur nahi sirf aur sirf tum..mujhe nahi pata mujhe kya hua hai...mujhe radha pasand thi..pasand hai..par uske sath main jindagi nahi bita sakta..main kafi bhatka..man main aaye wo decision liye..bahut log karte hai aisa...par kabhi to sache pyaar ka ahsaas hota hai na" omkar
"ha? fir aise achanak kaise ahsaas ho gaya tumhe?" ragini
"tum wo tantra-mantra sikh kar aayi na vipassana se tab se mujh par jadu huyi hai..tum nahi thi tab kitna tadpa hu main hi janta hu"
"aur kya guarentee hai tumhara decision fir nahi badlega" ragini
"tumhara sawal sahi hai..maine aisa behave kiya hai you can take time..jo chahiye wo meri pariksha lo par please na mat kehna" omkat bhavna vivash ho gaya tha bolte bolte uska awaz kaapne laga tha usne garden jhuka li
ragini ne uska chehra uper kiya aur kaha.."tumne mujhe itna tadpaya aur main itni jaldi ha kar du"
omkar kuch nahi bola
"om..radha ko takleef nahi huyi hai na?" ragini
"believe me ragini..mutual nirnay hai..tum subah radha se baat kar lena fir faisla karna"
"uski jarurat nahi hai..mujhe vishwas hai tum pa..main ha kahungi par ek shart par" ragini
"ab to tumhari sari sharte manjoor hai " omkar ne bagair deri kiye kaha
"arre suno to pehle"
"hmm bolo"
"mujhe shadi ke baad naam badalna hai" ragini
"kyu?"
"mujhe badalna hai..ragini naam badal kar radha..chalega?"
omkar ki aankhen badi ho gayi
"radha omkar ki na huyi ye nahi chalega...radha omkar ki hi thi..main janti hu tum use kabhi nahi bhuloge....aur bhulna bhi mat..main bhi use nahi bhulungi...aaj usne mujhe meri jindagi de di hai....radha om yahi naam sahi hai badloge mera naam?" ragini
omkar ne ragini ko baho main bhar liya
"o mister pehle propose karo sahi se" omkar ko dhakalte huye ragini ne kaha
omkar ne bouquet hath main liya aur fir se ghutno par baitha
"arre abhi diye the tha flowers fir se wahi gift"
"shhhh.." omkar ne use shant baithne ka ishara kiya
"ragini..."
"yesss......I LOVE YOU...I LOVE YOU...I LOVE YOUUUUUU.." jor se chillate huye ragini boli
raat ke us shant vatavaran main ragini ka wo awaz gunj utha
omkar ne apne hath main ke phool hawa main udaye aur ragini ko baho main bhar liya
teno ki aankhon main khushi ke aansu the...ragini, omkar aur in dono se door anabhigya..andhere main service life ke paas kone main khadi radha ke................
[samapt..]
Adirshi Bhai,
Gazzab ki Happy Ending !!
Itni badhiya kahani...
Mazza a gaya padh ke....
Din me jaldi start karta toh neend haram nahi karni padti.
Par aap ki hi galti hai.
Aap itna badhiya likhte ho ki bina ruke raha hi nahi jata.
Thanks !!