• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,086
53,509
304
Update 13

wo letter padh ke omkar ke pairo tale ki jameen khisak gayi ek pal to usko laga ke radha baj uski maja le rahi hai lekin wo khali room us khat k sachai bayan kar rahi thi omkar ki love story suru hone ke pehle hi khatam ho gayi thi jindagi main aaye is khali pan ka bojh uske pair nahi sambhal paye aur om us khat ko seene se laga kar dhap se niche baith gaya....................
--------------------------------------------
om waha kitna samay baitha raha ye use khud bhi pata nahi chala shayad do minute?? ya fi shayad do ghante lekin sawal wo nahi tha sawal ye tha ke radha chali gayi thi ab aage kya??

kuch pal bitne ke baad omkar hosh main aaya ab uske ander chupa hua crime books ka lekhak bahar aa raha tha radha ne kahi na kahi koi na koi clue to jaroor choda hoga..kuch bhi jispar se adha kaha gayi hai iska pata lagaya ja sake are bade se bada gunhegar bhi koi nja koi clue to chodta hi hai. ab omkar ke man main ek umeed ki kiran jaag gayi thi aur usne radha ki room ki talashi leni chalu ki almari, drawers , palang ke niche yaha tak ke kudedan bhi lekin kahi koi kagaz ka tukda ya koi chitthi nahi mili jisse ye pata lagaya ja sake ke radha kaha gayi hai omkar baar baar bas khud se ek hi baat kahe ja raha tha "kuch soch om kuch soch"

fir om ne ek najar ghadi par dali to dekha ke subah ke 3:30 baj rahe the ki achanak uske dimag ki tube jali ke "itne raat ko radha kahi chal kar to gayi nahi hogi...matlab rikshaw...lekin raat ke is samay is jagah rikshaw milna mushkil tha ...matlab usne cab bulayi hogi lekin cab bulane ke liye uske paas phone nahi tha............" bas ye khayal aate hi omkar bhag kar hall main aaya waha rakhe huye phone ka reciever uthaya aur dhadakte dil ke sath redial ka button dabaya kuch pal ki ring jane ke baad dusri or se awaz aayi

"Hello dial-cab how may I help you"

Ab omkar main jung jeetne wala josh aa gaya tha fir usne pucha

Omkar-hello main south goa se bol raha hu...kareeb ek-adh ghante pehle meri mrs ne ek cab order ki thi darasal us cab main uska laptop chut gaya hai kya aap check karke bata sakte hai ke us cab ka number kya tha

Dial-cab - je sir bilkul aap bas itna bata dijiye ke cab kaha ke liye book thi

Omkar ne bina koi fer kiye bata diya ke airport ke liye

Dialcab-sorry sir pichle kuch ghanto main airport ke liye koi call nahi tha ha lekin ek cab busstand ke liye book huyi thi

Omkar-arr...kya ye cabdial ka number hai

Dialcab-nahi sir ye dial cab hai jis company ka aap naam le rahe gai wo abhi abhi suru huyi hai jabki hum pichle 5 saalo se service de rahe hai

Omkar-oh sorry sorry same naam ko lekar confusion tha

Aur itna bol kar omkar me phone kaat diya lekin ab use pata chal chuka tha ke radha bus stand ki or gayi thi omkar ne jaldi se busstand jane ke liye ek cab book ki aur chal pada jab wo bus stand pahucha to waha ka vatavaran ekdum shant saamsum tha beech beech main buses jati thi aur chali jati thi Christmas kareeb aa raha tha iski nishaniya canteen ki khidkiyo par dikh rahi thi lekin omkar ki najar to bas radha ko hi dhundh rahi thi usne pura busstand chan mara lekin use radha kahi bhi dikhai nahi di aur akhir kaar wo thak haar kar enquiry window ki or chal pada aur waha ja kar pucha

Omkar-yaha se pichle do ghanto main kaha kaha ke liye buses gayi hai kya aap bata sakte hai

Aadmi-yaha se to kai jagah ke liye buses gayi hai aapko kaha jana tha

Omkar ne bagair kuch bole wk 100 ka note us aadmi ki or badhaya aur us aadmi ne bhi tote ki tarah waha se gayi huyi sari buses ke naam ginwaye radha un sabhi buses main se kisi bhi bus se ja sakti thi kisi bhi disha main ja sakti thi jiska omkar ko koi idea nahi tha ye ghas ke dher main sui dhundne jaisa tha aur omkar ab us busstand par apne sar par hath lagaye hatash air nirash khada tha uski radha usse kai door ja chuki thi kai kilometer door jiski use koi kalpana nahi thi......

15 din baad...........

Ashish chandwani ke office main baitha cold coffee pita hua bate kar raha tha

ashish-no sir 15 din ho gaye om ka koi pata nahi hai uska phone switch off aa raha hai aur uske hotel ka m,atlab home stay ka bhi mere paas koi contact nahi hai

chandwani-wo aisa kaise kar sakta hai ashishitne dino main kam se kam mujhe story ka concept to bhi mil jana chahiye the

ashish-main samajh saktra hu siur lekin main bhi kya karu

wo dono baat hi kar rahe the ke ashish ke phone par omkar ka phone aane laga usne chandwani se excuse manga aur phone utha kar bahar chala gaya

ashish-arew yaar ye kya hai yaar kaha the tum aur 15 dino se tumhara phone kyu band tha kaha hai tu??

omkar-main office main hu ashish

ashish-office main matlab tumhare office main

omkar-ha mere office main. main 10 din pehle hi aa gaya hu aur ek kaam kar chandwani ko lekar mere office par aa unko boilna unki book ready hai

ashish-are you serious.....??

omkar-yes aur ab der mat kar............
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,086
53,509
304
Update 14

omkar-main office main hu ashish

ashish-office main matlab tumhare office main

omkar-ha mere office main. main 10 din pehle hi aa gaya hu aur ek kaam kar chandwani ko lekar mere office par aa unko boilna unki book ready hai

ashish-are you serious.....??

omkar-yes aur ab der mat kar............
--------------------------------------------------------
ashish-acha acha main pahuch raha hu bas 1 ghante main aur chandwani ko bhi lekar aaunga

omkar new phone kata aur apne chape huye panno par se ek hath firaya usne apni kitab main radha ka naam badal kar mira rakh diya tha aur media tycoon anurag ko kisi sharma se badal diya tha lekin ye sare ferbadal sirf aur sirf kahani ke liye the omkar ke hisab seto us kitab ke har panne main bas radha hi basi thi. uske bare main likhte huye omkar itna kho gaya ke kai baar use radha uske aas paas hone ke abhas hone lage.

apan itne kam samay main kisi se itni mohabbat kaise kar sakte hai radha use itni jaldi kaise pasand aa gayi ye sawal omkar ko baar baar satata tha. kyuki radha koi akeli sundar ladki nahi thi ko omkar ne dekhi thi uski pehli do kitabe superhit thi tab use kai ladkiyo ke phones aate the ,kai ladkiya social media par uske sath flirt bhi karti thi lekin kisi bhi ladki ke liye uske man main wo feelings nahi the jo radha ke liye the.

'ek insan aapko kab pasand aata hai??' omkar ke man main dil aur dimag main hamesha sawal aur jawab chalte rehte the jo sawal uske man main chalte the unka jawab bhi usi ke paas hota tha

'ek insan aapko kab pasand aata hai??'
'shayad tab jab aapko lage ke usme aur aapme koi conection hai'
'matlab kaise??'
'matlab aise ke jab aapki aur us insan ki najre milti hai tab chehre par koi bhi bhav ho aankhen jhooth nahi bolti jab un aankhon ke bhav aapke man ko chu jaye, jab un aankhon main aapko apne liye pyaar dikhe tab samajh jao wo wo bhi aapko pasand hai'
'matlab radha bhi mujhse pyaar karti hai'
'pata nahi lekin shayad wo bhram hoga lekin ha mujhe aisa lagta hai'
'matlab aisa kab laga'
'us din raat main jab ski aankhen bohot kuch bayan kar rahi thi...bohot kuch kehne ki koshish kar rahi thi .wo kya tha ye mujhe pata hi nahi chal raha tha ya shayad pata chal raha tha lekin main samajh nahi raha tha'
'fir wo tumhe chod kar kyu chali gayi'
'ab tum ye negetivity mat failav'
'lekin tum bhi to kafi optimistic ho rahe ho'
'hoga lekin kya sach hai yte radha mile bagair nahi samjhega'

omkar ke dil aur dimag main ye jung akhand chalu thi kabhi dil jitta to kabhi dimag lekin is dil aur dimag ki jung main omkar ki halat kharab ho rahi thi un dus dino main omkar ne apne aap ko puri tarah kaid kar liya tha radha ke bare main likhne main uske bare main apni bhavnaye vyakt karne main usko kisi ka bhi disturbance nahi chahiye tha.

likhna khatam hone ke baad omkar pura khali ho gaya tha jab usne khud hi wo kitab padhi tab use ashcharya hua ke khun-maramari, chori kidnaping is par likhned wala pyaar se bharpur likhan kaise kar sakta hai ispar uska khud ka vishvas nahi ho raha tha. ye book market main successful ho ya na ho bas ek baar radha ne ise padha chahiye bas itni hi omkar ho man se icha thi aamne samne to wo apne dil ki baat use na keh saka shayad likhit shabdo ke roop main hi uski bhavnaye radha tak pahuch jaye.

omkar apne office main yahi sab bate sochta hua baitha tha utne main ashish aur chandwani waha pahuch gaye ekdum book tayar hai ye sunkar chandwani khushi se jhoom rahe the

chandwani-hello young man....

omkar-sorry sir mai aapko concept mail nahi kar paya

chandwani-its ok son no problem at all

omkar ne fir unko proof-reading ke liye ek room main baithaiya aur unke hath main apni kitab ke wo panne de diye

omkar-main aapke liye coffee bhijwata hu

chandwani-par ek coffee se kaam nahi chalega jab tak main ye book puri na padh lu tak tab bhejte rehna

fir chandwani haste haste room main chle gaye aur unke jane ke baad ashish aaya

ashish-ye kya hai bhai?? kaha tha tu jara batayega aur..are radha ka kya hua?? usko sath lekar aa gaye ho kya

ashish omkar ko chedne ke mood main tha lekin omkar ke chehre par ki udasi dekh kar use sara mamla samajh main aa gaya

ashish-om is everything alright??

omkar-no ashish nothing is right......nothing is right....

ashish-do you want to talk??

omkar-no usse acha tum ek kaam karo tum bhi chandwani ke sath ek baar padh lo jo hua hai jaisa hua main maine sab kuch likh diya hai

ashish-thik hai fir

itna bol kar ashish bhi us room main chala gaya jaha chandwani the aur kareeb 3 ghante baad wo dono bahar aaye chandwani ke chehre par ki khushi saaf jhalak rahi thi

chndwani-excellent...superb...well done young man (ashish se) maine kaha tha na ke ye shivdhanush dirf omkar hi todega

omkar-thank you sir..

chandwani-lekin mujhe end samajh main nahi aaya matlab mujhe aisi adhuri lagi kahani ..wo mira achanak chali jati hai ...are akahni ko koi end to chahiye na kamse kam wo kyu gayi kaha gayi us hero ka aage kya hua wagaire ......

omkar-yes sir kahani adhuri main jaan bujhkar rakhi hai

chandwani-matlab

omkar-matlab hum iska dusra part nikalenge 6-8 mahino main

chandwani-oho..splendid idea good business mind...

omkar- wo kisi film ka diualog hai na sir 'filmo ki tarah hamari jindagi main bhi end main sb theek ho jata hai....happies endings.......aur agar kuch theek nahi hai to wo the end nahi hai dosto picture abhi baki hai..................
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,086
53,509
304
Update 15

chandwani-oho..splendid idea good business mind...
omkar- wo kisi film ka diualog hai na sir 'filmo ki tarah hamari jindagi main bhi end main sb theek ho jata hai....happies endings.......aur agar kuch theek nahi hai to wo the end nahi hai dosto picture abhi baki hai..................
----------------------------------------------------
Omkar bol raha tha aur chandwani naye business ki opportunity dekh kar khish ho rahe the lekin is waqt agar omkar ko koi samajh sakta tha to wo tha ashish

Chandwani-alright omkar...rohan main ye prints mere proof readers ko de deta hu aur kuch badal karke final drafts tumko bhejta hu 2-4 din main aur fir.......fir chapayi chalu kitabo ki aur noto ki bhi

Itna bol kar chandwani waha se chale gaye aur waha ek ajeeb si shanti pasar gayi aur fir kuch pal shanti main betne ke baad ashish me bolna chalu kiya

ashish- tumne mujhe radha ka photo to nahi dikhaya lekin jis tarah se tumne uske bare main book main bayan kiya hai main imagin kar sakta hu ke wo kitni khoobsurat hogi

omkar-hmm..

ashish-so.. ab kya karne ka socha hai

omkar-kuch nahi..kuch nahi samajh aa raha hai ashish

ashsih-tumko ye to pata hai ke uski shaadi ho chuki hai aur tum is baat pe bhi comfirm nai ho ke wo bhi tumhe pasand karti hai dobara milne par.....matlab hum to ye bhi nahi keh sakte ke agar tum log dobara mile to wo tumhare sath aayegi

omkar-hmm..

ashish-fir bhi tum use bhulana nahi chahoge...??

omkar-wo itna aasan nahi hai ashish

ashish-main kaha keh raha hu ke aasan hai mujhe to bas itna lagta hai ke tumhe koshish karni chahiye....dekho om tum ek writer ho aur agar aise hi devdas bane rahe to ho gaya kaam

ashish ki baat sun kar omkar ne uski taraf gusse se dekha

ashish-main bas realastic baat kar raha hu om shayad meri bate tumhe abhi achi nahi lagengi lekin tum is par ek baar shanti se socho by the way rima ka 4-5 baar phone aa kar gaya hai usne tumhara phone try kiya lekin wo off tha

omkar-rima ka phone??? mere liye???

ashish-hmm itne din tumhara phone band tha to use chinta ho rahi thi to mujhse tumhari khabar janna chahti thi

omkar-strange!!

ashish-dekho om mujhe lagta hai shayad rima hi wo rasta hai tumhe is sab se bahar nikalne ka tumhare aur rima ke jhagde aur radha . start a new life usko ek baar phone karo aage jo uperwale ke man main hoga wo to hoga hi

itna bol kar ashish bahar chala gaya aur omkar bohot der tak apne hath main ke phone ko dekhta raha aur akhir kar usne rma ka number dial kar diya.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
"kaise ho?" rima ne waiter ko order dete huye omkar se pucha

omkar-ekdum mast tum sunao tumne to aur bhi wajan kam kar liya hai zero figure ke chakker main dubli ho gayi ho

rima-ha par aisa decide karke nahi kiya maine ...main south africa mainthi 1.5 mahina

omkar-wow.. kab

rima-last month reality show ke stils karne the so assignment ke liye gaye the aur tumko to pata hai main nonveg utna nahi khati hu isiliye khane pine ke jara wande hi ho gaye

omkar-sahi hai par bataya nahi tumne mujhe

rima-pehle socha to tha ki tumhe phone karu fir baad main gad bad gadbad main reh gaya par meri chodo suna main tu chandwani ka book kar rahe ho

omkar-kisne bataya?? ashish ne??

rima-ha par great yaar chandwani matlab ekdum bhari publication mast paisa kamaya hoga na..

omkar-ha well known publication hai mera goa trip bhi unhone hi sponser kiya tha

rima-cool.... so this dinner is for your success...

agle 1.5-2 ghante dono ne bharpur bate ki . like old times jaise beech main kuch hua hi nahi tha surwat main jo nervos panba tha ab wo chala gaya tha jaise purane dost milne ke baad ek dusre ke sath main kho gaye the

rima-so is it ok if I whatsapp you??

omkar-maine whatsapp use karna chod diya hai

rima-kya??kabse??

omkar-bas aise hi

rima-kyu main online dikhne ke baad meri yaad aati thi kya

omkar-kaise jaogi

rima ki baat sun kar omkar ne vishay badalne ki koshish ki

rima-honda city li hai nayi..

omkar-oho god good maitab tum apni wishlist puri kar rahi ho pehle south africa fir honda city I liked it..

rima-hmm aur isiliye aaj tumse milne ko aayi hu

ab rima thodi serious ho rahi thi

omkar-matlab??

rima- om I realy missed you dekho hum donoi se hi kuch galtiya huyi hai........

omkar-dono se.....

rima-ok mujhse....I m sorry main galat thi dekho wo time alag tha main sch main apne carrier ke nashe main beh rahi thi par baad main mujhe bohot guilty feel hua ab africa main mujhe bohot akela laga laga jaise aaju baju ghoomne wale sabhi log jhuthe nakab odhe the

omkar-anyways ab ye baat karke kya fayda hai??

rima-hai.. mujhse galti huyi hai mujhe ek mauka to do om

rima ki baat se omkar thoda pareshan ho gaya

rima-dekho main jaldi nahi karungi lekin is par sochna jaroor lets think of a patch up?? like old times

rima ne ye baat is tarah se boli ki fir ek baar omkar ka dil moh liya. omkar ko rima ka ye niragas pana bohot acha lagta tha khaskar uski aankhen jo bagair kuch bole bohot kuch keh deti thi omkar jitna ucha tha uti hi rima choti thi aur jab wo apna chehra uper karke om se bolti to wo use aur bhi jyada cute lagti kuch pal to om ko laga ke sab bhul kar rima ko baho main bhar le lekin usne control kiya

omkar-main wadfa to nahi karunga lekin sochunga ab chale??

rima ne kuych pal omkar ko dekha aur fir boli

rima-ok par hum ek dusre ke dost to reh sakte hai na

omkar-bilkul

rima-by the way tumhari bookmarket main kab aa rahi hai

omkar- date fix nahi hai par kareeb 1 mahine main

rima-cool mujhe inviote karna mat bhulna

omkar-bilkul nahi

rima-chalo den... bye fdor now...

omkar-bye...

fir dono ne ek dusre ko friendly hug diya aur apne apne raste nikal gaye. jab omkar ghar pahucha to uske phone par ek msg aaya wo rima ka message tha-

My heart was really racing when i meet you after so long.. felt the spark in between our relationship again. Dying to meet you again sooooon.. anyways, gn dear, sweet dreams- Rima.........................
 
Top