• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Muhabbat Ho Gai Hai Tum Se

Death_ReaPer

Member
103
40
28
Update#10
Safeer: Mein Banda bhi badi bedardi se marta hn I'M A MAN WHO SLAUGHT THE MAN WITH HIS HAND mujhey hathyaar ki zaroorat nai aur mujhey koi farq nai perta tu kis ki najaiz aulaad hai ager tu yahan se 1 min k ander ander nai gya na tou terey ghar ki aurton ko yahan la k nachaun ga tu aur tera baap kch nai kr pao gey chal dafa ho ja.

Waleed: (gussay main jatey huey) Deikh loon ga tujhey.

Waleed chala gya Safeer ne us ladki ko galey se laga lia jo k aur koi nai bulkeh Nisha thi Safeer ki choti behan.

Safeer: Merey hotey huey es Universe main koi bhi tujhey meli aankh se nai deikh sakta tu meri Gudiya hai.

Nisha: I know bhai and I love u.

Safeer: I love you too.

Yahan yeh sab chal raha tha waheen Safeer k ghar walon ko paseena aaya hua tha.

Meesum: Safeer yeh Dialogue kesay bol sakta hai bilkul wohi andaaz wohi gussaa kaheen uski ki yaaddast wapis tou nai aa gai.

Akbar: Nai chotey yeh sab itefaq bhi ho sakta hai.

Meesum: Itefaq 2 baar nai hota hai bhaiya mujhey tou lagta hai who Formula inject hi nai krna chaiey tha us sey kaheen es ki yaaddast wapis aa gai Pakistan ki her galli main khoon bahey ga.

Akbar: Kuch nai ho ga mein ne kaha na kch nai ho ga beta hai who hamara.

Waleema bhi ho gya dono family ne ek sath khana khaya aur mehmanon ne alag us k baad mehman chaley gaey aur dono family baaton main mashroof ho gaey thodi deir baaton k baad janey ka time hua.

Safeer: Acha DD maa apna khyaal rakhna hum chaltey hn.

Mawra: (Safeer ko galey laga k rotey huey) Tu bhi apna khyaal rakhna mein Nisha se phone pe puchti rahun gi ager mujhey pata chala k tu aram nai kr raha tou deikh lena haan.

Safeer: Aap ka hukam sir aankhon pe (Qasim ko galey laga k) Meri DD maa ka khyaal rakhna.

Qasim: Tum befikr raho.

Safeer ki Family apney ghar ko rawana ho gai ghar pounch k sab apney room main chaley gaey Nisha ne Safeer ko garam doodh la k dia aur tablet bhi jo k Mawra ne usey kaha tha jatey hi deney ko us k baad sab sou gaey Nisha Safeer k room main hi soyee thi.

Ek Gaun ga ground yahan ek Ladki aur ladka ultey laitey huey hn aur un k sir ko kisi ne apney paun se dabaya hua hai jis se dono ko dard ho raha hai us ground main 100 k kareeb gundey they jo hans rahey they un Ladka aur ladki pe.

Ladki: (rotey huey) Dada mujhey bachao Dada yeh mujhey maar dein gey Dada bht dard ho raha hai Dada.

Ladka: Tujhey kch nai ho meri jaan mein tujhey kch nai honey doon ga tera Dada tujhey kch nai honey de ga.

Ladki: Dada bht dard ho raha hai Dada.

Ladka: Aey usey shod de us bechari ne tera kia begada hai usey janey de who bht choti hai usey dard ho raha hai janey de usey.

Aadmi: Hahahahahahaha deikho kesay bheek mang raha hai yeh.

Us Aadmi ne ladki k sir ko nishana bana k gun chala di jis se us ladki ka sir Tarbooz ki trhah phat gya.

Ladka: (cheikhtey huey) Amnaaaaaaaaaaaaa.

Nisha: Kia hua bhaiya aap cheikhey kiun kia hua hai aap ko.

Safeer: (rotey huey) Guddi meri Guddi ko maar dia Guddi.

Safeer k ghar waley bhi itni bheyanak cheikh sun k jaag gaey they aur Safeer k room main aa gaey they Safeer ki baat sun k who ghabra gaey Raheela Safeer k paas ja k usey galey se laga lia.

Safeer: Guddi ko maar dia Guddi.

Raheela Safeer se alag ho k us k kandhey ko pakad k zor se hilatey huey.

Raheela: Safeer hosh main aao.

Safeer ne apna sir jhatka aur phr idher udher deikhney laga apni family ko apney pass deikh k shocked ho gya sath main us ki family preshan bhi dikhi.

Safeer: Kia hua aap sab yahan kia kr rahey ho aur preshan kiun hn aap log kch hua hai kia.

Es sey pehley Nisha kch bolti Raheela ne usey chup rehney ka ishara kia aur Safeer ko galey se laga lia.

Raheela: Na mera bacha shaid tu ne bura sapna deikha aur dar k uth gya tou hum bhi chaley aaye deikhney k kia hua hai aur koi baat nai hai.

Safeer: Theek hai aap sab ja k aram kro mein theek hn.

Raheela Nisha ko apney sath le gai aur baqi sab bhi room se nikal gaey Safeer phr se sou gya sab neechay chaley gaey Akbar k room main.

Nisha: Mujhey bolney kiun nai dia aap ne aur yeh Amna aur Guddi kon hn jis ka bhaiya ziker kr rahey they.

Raheela: Bht lambi kahani hai tujhey mein khud bataun gi lekin ek baat kaaan khol k sun le ager tum ne es baat ka ziker apney bhaiya se kia tou usey hamsha k liey kho do gi.

Nisha: What? Yeh kia bol rahi ho ami mein abhi DD ko phone krti hn.

Raheela: Kiun bachpana kr rahi hai raat deikh kitni hai usey pata chaltey hi esi waqt aa jaey gi kiun us ki neend haram kr rahi hai tujhey pata hai Safeer k liey usey apni fikr nai rehti.

Nisha: Theek hai lekin mujhey bhaiya k barey main janna hai jo mein nai janti aur yeh Amna aur Guddi kon hn.

Raheela: Mein tujhey bataun gi lekin abhi nai sahi time aaney pe lekin ghalti se bhi Safeer k samney us ka ziker mat krna ja ab ja k sou ja.

Nisha: Theek hai ami.

Nisha k janey k baad sab waheen they aur preshan bhi they lekin ek aur tha jisey kch maloom nai tha aur who thi Salman ki wife Masooma.

Masooma: Koi mujhey bataye ga k yeh sab kia hai Nisha ko tou taal dia kiun k who abhi choti hai lekin mujhey tou bata saktey hn aap.

Salman: (Derwaza lock krtey huey) Amna aur Guddi ek hi hn yeni Guddi Amna ka nick name hai jo k Safeer ne rakha tha aur Amna Chachu aur Chachi ki ekloti beti hai.

Masooma: What? Lekin kahan hai who humari aur Mawra ki shadi main bhi nai dikhi.

Salman: 7 Saal pehley khoon ho gya us ka.

Yeh ek aur Shocked tha Masooma k liey Chacha aur chachi rou rahey they baqi sab ki aankhon main bhi aansu they.

Masooma: Tou Safeer k sath yeh sab.

Raheela: Amna us k liey beti jesi thi Jesa Safeer Mawra k liey hai Safeer ki yaaddast chali gai ek trhah se humein dukh hona chaiey tha k us ki yaaddast chali gai lekin us ki yaaddast jana humarey liey achi khaber thi kiun k 7 saal pehley 1900 se zyada log marey they Safeer k hathon.

Masooma: Oh my *** matlab us waqt us ki umer kia ho gi.

Raheela: 15 saal Esi liey hum nai chahtey k us ki yaaddast wapis aaye kiun k ab Safeer zyada khaternak hai aur Amna ka qatil bhi abhi zinda hai lekin Formula apna aser dikha raha hai who sahid us ki memory ko redeveloped kr raha hai jo k achi baat nai hai.

Akbar: Abhi k liey itna hi chalo jao sab apney room main.

Subhah nashtey k waqt sab dining table pe beithey they k Safeer ki aankhon pe kisi ne hath rakh diey.

Safeer: DD maa.

Tabhi Peechay se Mawra aagey aayee aur Safeer ko galey se laga lia.

Mawra: Mera bacha.

Us k baad Mawra ne Safeer ko apney hathon se khilaya aur us k liey doodh garam kr k tablet k sath dia us k baad usey room main le ja k usey lita dia.

Mawra: Tu aram kr mein baqion se mil k aati hn.

Safeer: G DD maa.

Mawra: Nisha tu bhai k pass ruk.

Nisha: G DD.

Mawra Neechay aaye aur sab ko Akbar k room main aaney ko kaha jab sab aa gaey us ne room ko lock kr dia.

Raheela: Kia hua Mawra humey yahan ko bulaya hai.

Mawra: Raat ko kia hua tha Safeer k sath.

Sab shocked they k Mawra ko kesay pata chala kaheen Nisha ne tou nai bata dia.

Raheela: Tumhey kesay pata chala.

Mawra: Us k room main mein ne Camra lagwaya hua hai bhool gaey aap raat ko sou rahi thi es liey nai pata chala subhah uthtey hi recording deikhi tou pata chala.

Us k baad Raheela ne sab bata dia k kia hua tha jisey sun k Mawra Preshan ho gai phr kch deir batein hueen k aagey kia krna hai us k baad Mawra Safeer k room main chali gai.

Akbar: (phone pe COAS se) Hum aap se milna chahtey hn zaroori hai milna.

COAS: Theek hai aap aa jaen.

Akbar aur Meesum tyaar ho k nikal gaey GHQ Rawalpindi ek ghantey ki drive k baad wahan pounch gaey kiun k Akbar COAS reh chuka tha es liey sab usey pehchantey they aur Mojuda COAS ne bhi keh rakha tha k yeh jab bhi aayen rokna nai hai.

COAS: Assalamualikum.

Akbar + Meesum: Walikumassalam.

COAS: G bataye kis liey aana hua.

Akbar: Safeer se mutalik baat krni thi.

COAS: G kahiey.

Akbar: Aap ko tou pata hai us ka past, kia hua tha us k sath aur us ne kia kya tha jo formul us main enject kia gya hai us sey us ki yaaddast redeveloped ho rahi hai ager wapis aa gai tou bht bura ho ga Pakistan main yeh aap bhi jantey hn kiun k Amna ka qatil ab bhi zinda hai.

COAS: G mein janta hn ab kia krna hai.

Akbar: Safeer k ander jo formula hai usey kya khatam kia ja sakta hai.

COAS: Mujhey nai lagta lekin phr bhi mein Zulfiqar se puchta hn.

Akbar: Who Safeer ka dost hai es barey main us sey baat zaroor kariey ga aap zara ghuma k baat kariey ga.

COAS: Aap befiker rahein.

COAS ne apney room main lagi Screen per kch kia aur ek lab ka view samney aaya yahan Zulfiqar kaam kr raha tha.

COAS: Zulfiqar mein COAS bol raha hn.

Zulfi: (kaam shod k) G sir.

COAS: Zaroori baat krni hai lab ko khali krwa do.

Zulfi: (Lab khali krwa k) G sir boliey.

COAS: Acha Zulfiqar yeh batao k jo Formula aap ne bnaya hai us ko khatam kia ja sakta hai mutlab hum kisi k ander se formula khatam krna chahtey hn tou kia aesa kia ja sakta hai.

Zulfi: Sir jab formula bnaney ki baat ki gai thi us waqt yeh goal nai rakha gya tha k isay khatam bhi krna hai es liey sirf Formula pe hi kaam hua lekin mein ne us pe bhi sath sath kaam kia tha sorry sir mein aap ko batana bhool gya lekin mein ne us ko khatam krney waley formula pe bhi kaam kia hai.

Zulfiqar ki baat sun k Akbar aur Meesum khush ho gaaey sath min COAS bhi.

COAS: Nai humein khushi hai k aap ne yeh kaam kia hai.

Zulfi: Lekin sir es main bhi ek masla hai.

COAS: Woh Kia.

Zulfi: Sir jis trhah who Formula enject krney k baad apna aser dikhaney k liey usey kayee saal ka arsa derkaar hota hai usi trhah usey khatam krney k liey utna hi arsa derkar hai kiun k sir Formula puri body main pheilney k liey jitna arsa le ga utna hi us ko khatam krney k liey le ga.

Zulfi ki baat sun k Akbar aur Meesum mayoos ho gaey k es ka koi faida nai hai.

COAS: Theek hai Zulfiqar aur haan es baat ka pata hum dono k elawa kisi ko bhi na chaley.

Zulfi: Aap befiker rahein sir.

COAS: (screen band kr k) Ab kia krna hai.

Akbar: Es ka koi faida nai hai humein kch aur sochna ho ga acha ab hum chaltey hn.

Akbar aur Meesum ghar aa gaey yahan sab un ka intezar kr rahey they siwaey Safeer aur Nisha k kiun k unhey maloom hi nai tha kisi baat ka.

Mawra: G baba jani kia kaha unho ne.

Akbar ne sari baat bata di jisey sun k sab preshan ho gaey k Mawra ne kisi ko phone milaya.

Mawra: Helo Komal.

Komal: G madam kesay yaad kia.

Mawra: Mein ne apney betu ka blood sample bheija tha.

Komal: G madam mein ne usey study kr lia hai Formula bht hi powerful hai aap bata sakti hn k kab usey enject kia gya tha.

Mawra: Haan aaj se 6 saal pehley enject hua tha.

Komal: Madam us ko khatam krney k liey 6 saal ka hi period chaiey ho ga humein yeh formula bht powerful hai jis ne bhi bnaya hai he is Genius.

Mawra: Kia aur koi rasta nai hai forun khatam krney k liey.

Komal: No madam aesa krney se kch negative bhi ho sakta hai.

Mawra: Theek hai.

Akbar: (narazgi se) Beta yeh tum ne Formula k barey main kisey bataya hai yeh top secret tha Pakistan Army ka jisey Army k 10 logon k elawa koi nai janta aap ne usey bahir k kisi ko bata dia.

Mawra: Kisi ko nai bataya baba jani.

Akbar: Tou yeh Komal kon hai.

Mawra: Meri duniya mera Betu hai mujhey jitni property mili thi aur cash mila tha us sey mein ne ek alag hi duniya bnayee matlab mein ne us sey intelligence service bnayee, Scientist bnaye, Army bnayee jo sirf aur sirf Merey Betu ko protect karein gey.

Es baat ka Safeer ko bhi nai maloom mein ne yeh bht hi khufiya tareekey se kia hai mein apney betu se bht pyaar krti hn mera sab kch usi k liey hai es liey ap befiker rahein Formula ka kisi ko pata nai chaley ga.
 
  • Love
Reactions: Mian.Jee

Naik

Well-Known Member
21,018
76,682
258
Superb fantastic update brother
Great going keep posting
Waiting for next update thank you
 
Top