- 103
- 40
- 28
Update#11
Mawra: Meri duniya mera Betu hai mujhey jitni property mili thi aur cash mila tha us sey mein ne ek alag hi duniya bnayee matlab mein ne us sey intelligence service bnayee, Scientist bnaye, Army bnayee jo sirf aur sirf Merey Betu ko protect karein gey.
Es baat ka Safeer ko bhi nai maloom mein ne yeh bht hi khufiya tareekey se kia hai mein apney betu se bht pyaar krti hn mera sab kch usi k liey hai es liey ap befiker rahein Formula ka kisi ko pata nai chaley ga.
Raheela: Aur jo tumharey bachey hn gey un ka kia.
Mawra: Woh Qasim deikh lein gey wesay bhi mein Un se es barey main baat kr chuki hn un ko koi problem nai hai.
Dupeher ka khana kha k sab batein kr rahey they k Safeer bahar janey laga Mawra ne usey rok lia.
Mawra: Kahan ja rahey ho betu.
Safeer: DD maa mein ek kaam se ja raha hn thodi deir main aata hn.
Mawra: Security sath le k jana.
Safeer: DD maa yeh pass main hi jana hai security ka koi faida nai hai trafic alag se disturb ho gi.
Mawra: Theek hai tou koi ek tou sath jaey ga hi ruko.
Mawra ne kisi ko bulaya jisey deikh k Safeer shocked ho gya yeh wohi thi jo Safeer ko Afghanistan se le k aaye thi.
Safeer: Yeh? Yeh yahan kia kr rahi hai aur aap isey kesay janti hn.
Mawra: Ab yeh hi tumharey sath jaey gi ab ya tou security le k jao ya isey.
Safeer: Theek hai isey hi le jata hn.
Safeer bahir aaya gadi nikali sath main who ladki bhi beith gai Safeer ne gadi start ki aur nikal pada.
Safeer: Tum.
Ladki: Aliza.
Safeer: Haan.
Aliza: Aliza mera naam Aliza hai.
Safeer: Haan jo bhi hai mujhey kesay janti ho aur mujhey fghanistan se kesay le k aaye.
Aliza: Aap ki DD maa ne mujhey aap ki security k liey rakha hai es liey.
Safeer: (shocked) WTF! Yeh kab hua.
Aliza: Pichley ek saal se.
Safeer ko yahn jana tha wahan gadi roki yeh ek bangla tha bht hi khoobsurat.
Safeer: Mein kahan aaya hn ander kia baatein hn gi es baat ka pata tumharey elawa kisi ko nai lagna chaiey DD maa ko bhi nai is that clear.
Aliza: G.
Safeer gadi se bahir nikla Aliza bhi nikli Safeer ne ja k door bell bajai thodi deir k baad jesay hi derwaza khula aur us ki nazer Safeer pe pari us ne Safeer ko galey se laga lia Aliza shocked ho gai kiun k who ladki thi.
Ladki: Aap aa gaey pata hai aap ko mein ne kitna miss kia hai aap ko.
Safeer: Ander chal k baat krtey hn.
Ladki: Theek hai (aliza ko deikh k shocked ho k) Yeh kon hai.
Safeer: Security.
Ladki: Tou ladki hi mili thi security k liey aap jantey ho mujhey yeh sab pasand nai.
Safeer: DD maa ne rakha hai.
Ladki: Phir theek hai.
Teeno ander chaley gaey aur hall main sofey pe beith gaey.
Ladki: Kahan they itney din.
Safeer: APS school main hadsa hua tha jis ki wajah se mujhey KPK jana para wahan se mujhey Afghanistan jana para Masood ko marney usey tou maar dia lekin mujhey 4 goliyan lageen janti ho kis ne marein.
Ladki: (shocked) Kia aap ko 4 goliyan lageen aur aap mujhey ab bata rahey ho aur mujhey kesay pata ho ga k kis ne marein hn aap ko goliyan.
Safeer: Tum ne tum ne mujhey 4 goli mari hn AYESHA.
Ayesha k sath sath Aliza bhi shocked ho gai.
Ayesha: (rotey huey) Yeh aap kia keh rahey hn mein aap se pyaar krti hn bhala mein aap ko kiun nuqsaan pounchaun gi Afghanistan jana tou door deikha tuk nai hai mein kiun aesa krun gi.
Safeer: Meri nazrein dhoka nai kha sakti Ayesha.
Ayesha: (rotey huey) Aap ne ek baar pehley bhi kaha tha Safeer k mein ne aap pe goli chalayee hai lekin yakeen maney aap ko takleef deney se pehley marna pasand krun gi aap achi trhh se jantey hn k mein aap se bht pyaar krti hn.
Mawra: Aa gya betu kahan gya tha itni deir laga di chal khana kha le sab wait kr rahey hn.
Safeer: G DD maa.
Khana kha k sab Hall main beithey they Akbar ne TV lagaya hua tha newz deikhney k liey k achanak breaking newz aa gai.
Anchor: Naazrein Home Minister media se press conference kr rahey hn aayee aap ko le chaltey hn Press conference main.
HM: Aap log achi trhah se jantey hn k Pakistan kin halat se do chaar hai aesay main Army bhi apni gunda gardi se baaz nai aa rahi Merey betey ko dhamki di gai hai sirf es wajah se k who Army main hai aur doosron ko kch nai samjhta aur tou aur us k guards tuk maar diey us ne.
Safeer: (gussay main) Yeh kal ka surj nai deikh paey ga.
Safeer ne HM ko phone milaya jo k es waqt press conference main tha us ne cut kia Safeer ne us k Secretary ko phone milaya us ne pick kia.
Secretary: Hello kon.
Safeer: Death Reaper.
Secretary: (kanptey huey) G boliey.
Safeer: (gussay main) HM ko phone de.
Sacretary: (HM k kaan main) Sir zaroori phone hai baat karein.
HM: Kon.
Safeer: Speaker on kr.
HM: Kia bola.
Safeer: Speaker on kr Media bhi suney mobile ko mike k pass kr.
HM ne aesa hi kia yeh sab TV pe deikh rahey they Safeer ki Family kabhi Safeer ko tou kabhi TV pe deikhtey.
Safeer: Kia bakwaas kr raha tha bey zaban bht lambi ho gai hai teri jo man main aaye ga bhonkta rahey ga aaj k baad bhonkney laik nai shodun ga kal ka Suraj tu nai de paey ga terey pass 6 ghantey hn jahan shupna hai shup le mulk shod k bhagna hai bhaag le yeh teri zindagi ki aakhri raat ho gi.
HM: (gussay main) Tum jantey nai kis ko dhamki de rahey ho kon ho tum.
Safeer: Death Reaper.
DR ka naam suntey hi HM k paseeney shut gaey sath main media bhi saktey main gya HM wahan se bhaagney ko hua aur car main beith k driver ko ghar janey ko bola sath main us ne PM ko phone milaya.
PM: Haan bolo.
HM: Sir mujhey bacha lo DR ne dhamki di hai sir plz mujhey bacha lo.
PM: Kis ne kaha tha Army se panga lo tumharey betey ne jo kis kia who kam tha ek ladki ko uthaney ki baat kahi jo k EX COAS ki beti hai aur tu chala press conference krney Army k khilaaf sory mein kch nai kr sakta.
HM kch bolta phone band ho gya tha HM ne kisi aur ko phone milaya.
HM: Aurangzeb.
Aurangzeb: G bolo.
HM: Meri jaan ko khatra hai DR ne dhamki di hai mujhey bacha le.
Aurangzeb: Aap Jhang aa jao yahan se who bach k nai jaey ga.
HM: Aata hn.
Safeer Death Reaper k costume main khada tha aur us k samney 1000 k kareeb log gun le k khadey they DR ne idher udher nazer dhorayee tou ek building ki shatt pe khada tha aur sath main 2 aur log they.
DR: (derawni awaz main) Hahahahahaha Tujhey lagta hai k yeh Deewar tujhey mujh se bacha le gi 6 ghantey tujhey diey they jis main abhi bhi 15 min baqi hn 15 min main en ka safaya kr k terey pass aata hn.