NAAG MANI
UPDATE-13
Abhi hum kal raat aur aaj subah ke incident ke bare me disscussion kar hi rahe the ki tabhi rastogi uncle ka phone ring karne laga.
Rastogi—hello…haa..bolo..kya hua…?…whattttt………OMG…impossible..‼
Kumar (shocked)—kya hua uncle…..? aap itne achanak ghabra kyo gaye….?
Rastogi (ghabraye huye)—kumar…vo…vo….vooo…Tasveerrrrrr
Kumar—haan uncle boliye…koun si tasveer…?
Rastogi—vooo...voo..tumhari banayiii vahi tasveerrrr....
Uske baad rastogi uncle ne jo kuch bataya usko sun kar hame bahut bada jhatka laga.........
Ab Aage........
Kumar—kyaa hua uss tasveer ko..... ?
Rastogi—kuch log meri dukan me paintings kharidne aaye the…..unme se kisi ki nazar tumhari banayi ussi paintings par chali gayi jise maine exhibition me dene ke liye rakha hua tha….unhe vo painting bahut pasand aayi unlogo ne jaise hi uss painting me bani tasveer wali ladki ke chehre par hath lagaya vaise hi unhe heart attack aa gaya…aur hospital le jate waqt raste me hi unki mout ho gayi.
Kumar—kyaaaaa…..?
Main kuch kahne hi wala tha ki tabhi rastogi uncle ka phone phir se baj utha…..samne wale ki baat sunte hi unka poora chehra pasine se tar batar ho gaya….hum sab hairan pareshan unhe dekhe ja rahe the iss ummid me ki ab vo kuch batayenge lekin jab vo kuch nahi bole to mujhse nahi raha gaya.
Kumar—uncle…! Ab kya hua..? kiska phone tha….? Kuch to boliye…
Rastogi (sadme me)—kumar..vo…vo..…vo doctor jo abhi abhi alka ka ilaz kar ke gaya hai..uski bhi death ho gayi hai.
Kumar (shocked)—Whattttttt…..Par kaise…? Vo to bilkul theek the jab yaha se nikle the tab, phir achanak unhe kya ho gaya….?
Rastogi—Vo Jaise hi ghar pahuch kar kapde change karne ke liye almari kholi vaise hi kisi jahareeli nagin ne kaat liya…..uss nagin me jahar itna jyada tha ki unko hospital le jane ka mouka bhi nahi mil saka…turant hi unki mout ho gayi.
Nandini (muh me hath rakh)—OMG…ye to bahut hi bura hua….Jarur ye ussi nagin ka kaam hoga.
Kanchan (darte huye)—mummy..mujhe bahut darr lag raha hai….vo nagin mujhe bhi ek baar kaatne ki koshish kar chuki hai… Kiku vo apki baat manti hai…main ab apke sath hi rahungi…nahi to vo mujhe bhi nahi chhodegi.
Kumar (shocked)—Ye to bahut badi musibat ho gayi ab….pata nahi meri alka ka kya hoga ab…?
Rastogi—kya ab bhi tumhe ye sab sirf ek dhakosla aur andh vishwash lagta hai, kumar….?
Kumar—mujhe to kuch samajh me hi nahi aa raha hai uncle..
Nandini—suno ji…aap jaldi se uss aghori ko bulaiye…isse pahle ki vo nagin kuch aur anarth kar de, aap jaldi bulaiye unhe…mera dil bahut ghabra raha hai.
Kanchan—haaaa..papa jaldi kuch kariye…nahi to vo nagin mujhe bhi maar degi.
Rastogi—Pata nahi..ye bhola bhi kaha mar gaya….usko bheja to tha unhe apne sath laane ke liye….main abhi pata karta hu…aur tumhe kuch nahi hoga beta..hum sab hain na, tere paas
Rastogi uncle ne kisi ko call lagaya…kafi koshish ke baad unka call laga…..kuch der baat karne ke baad unhone gatagat do glass pani piya uske baad..
Rastogi—vo raste me hain…yaha thodi der me pahuch jayenge.
Abhi hum baate kar hi rahe the ki kuch hi samay me rastogi uncle ka driver uss aghori ko lekar pahuch gaya… uske poore sharir par chita ki bhasm jami huyi thi....hath me trishul. Hath ki kalayi, pair me bade bade kangan aur gale me rudraksh ki mala pahne huye...lambi jataye, badhi huyi dadhi...ye sab bhasmibhoot roop dekh kar koi bhi darr jaye.
Uske andar aate hi rastogi uncle doud kar unki aagwani karne ko gaye aur unko saastaang dandwat karke andar le aaye...nandini aunty aur kanchan ne bhi unko hath jod kar pranam kiya lekin maine kuch nahi kaha.
Shayad ye pahli bar tha jab mera samna kisi aghori ya baba jaisi vibhutiyo se ho raha tha...to mere liye ye sab thoda sahaj nahi tha.
Aghori—kaho rastogi, mujhe kisliye yaha bulaya hai.... ? main kabhi kisi ke yaha jata nahi hu kintu tumne baat hi itni vinamrata se ki thi ki main tumhe mana nahi kar saka.
Rastogi—baba, hamare ghar me ek vipatti aa gayi hai…jisne hamari jindagi ko uthal puthal kar diya hai.
Aghori—mujhe poori baat savistar batao pahle…
Phir rastogi uncle ne aghori ko shuru se lekar ab tak ki poori kahani vistar se batayi…..jise sun kar aghori ke chehre par bal pad gaye….uske chehre par kayi bhav ubhare.
Aghori—kaha hai vo ladki…? Pahle mujhe usse dikhao..
Nandini—aaiye maharaj...iss kamre me hai meri beti.
Aghori hamare piche piche mere kamre me aa gaya jaha par alka abhi bhi behoshi ki halat me padi huyi thi aur uske hath me bottle laga hua tha.
Aghori—dekho main kuch kriya karunga ye janne ke liye ki yaha kya chal raha hai aur vastav me iss ladki ki aisi halat kyo huyi... ? tum sab jaha tak sambhav ho tab tak iss ladki se kuch door ho jao...main nahi chahta ki tum me se koi bhi hatahat ho.
Aghori ki baat sun kar sab alka se door hatkar khade ho gaye...lekin main alka ke paas se nahi hatna chahta tha.. kanchan ne mera hath pakad ke jabran usse door kiya aur mujhse chipak kar khadi ho gayi.
Aghori ne apne kandhe par latak rahe jhole me se ek nar mund aur chita ki bhasm nikal kar ek taraf rakh di aur niche asan jama kar baith gaya.
Baithne ke baad usne nibu, sindoor, agarbatti ityadi bhi apne samne rakh ke uss khopdi ki pooja karne laga.. uss khopdi par sindoor, agarbatti, phool, nariyal aadi chadhane ke baad usne chita ki rakh se alka ke palang ke charo taraf rekha khich di.
Rekha khichne ke baad usne apni ungli ko cut karke khoon khopdi par girane laga aur do nibu lekar khopdi ki dono ankho ki jagah fit kar diya.
Hum sab door ek kone me khade hokar ye sab kriya dekh rahe the….mujhe na jane kyo uss aghori par gussa aa raha tha kintu main apna sanyam banaye huye chupchaap khada raha.
Usne rakh lekar dusre hath se khopdi pakad huye kuch mann hi mann mantra padhne laga aur rakh ko kabhi khopdi par to kabhi alka ke upar chhidakne laga.
Lagbhag aadhe ghante tak vo yahi kriya karta raha ki achanak khopdi me lage huye nibu bilkul lal ho gaye ekdam aag ki tarah aur vo booooooommmmm karke phoot gayi.
Aghori uchhalte huye tezi se kamre se bahar ja kar gira…..aisa laga jaise kisi ne bahut gusse me usko utha kar phenk diya ho…Ye dekh kar sabhi ke dil dahshat se dahal uthe.
Main bilkul awaak ho gaya ye dekh kar ki ye sab kya hua aur kaise hua…? rastogi uncle aur nandini bhag kar aghori ko uthane lagi lekin unhe bhi kisi adrishya shakti ne door phenk diya.
Kanchan (chillate huye)—mummyyyyy….papaaaaaaa…!
Maine bhag kar dono ko turant uthaya…dono dard se karahne lage tabhi uss shakti ne aghori ko phir se hawa me uthaya aur ghar se bahar patak diya.
Aghori ke muh se khoon nikalne laga....usse kayi jagah bahut jyada chote aayi thi...maine lapak kar usko sahara dekar khada kiya....uske hath pair thar thar kaamp rahe the.
Kumar—aap theek to hain na... ?
Aghori (haklate huye)—mujheeeee…….mmmm..mere sthann par chhod doooo….main isss ladki ka ilaz nahi kar sakta……
Rastogi—aaaaaa…baba…aisa na kahe…aap hi hamari akhiri ummid ho…
Aghori—Ye mere bas me nahi hai…..vo jo bhi shakti hai bahut taqatwar hai……isse sirf mere guru param siddh baba Bhairav Nath hi theek kar sakte hain……mujhe jaldi se mere adde par pahucha do nahi to main bemout mara jaunga yaha…vo bahut khatarnak hai.
Kumar—koun bahut khatarnak hai….?
Aghori—vo…vo…nagin..bahut khatarnak hai…..kal mere gurudev hi yaha aakar uska samna karenge….vo param shaktishali hain.
Hum sabhi aghori ki baat se kisi sadme jaisi avashtha me pahuch gaye….jabki nandini aur kanchan ke hriday me unke chehre se khouf ki jhalak saaf jhalak rahi thi.
Rastogi—bhola, aghori baba ko unke sthan tak surakshit pahucha do aur sath me unke gurudev se bhi milte huye aana aur unse yaha yatha shighra aane ki vinti karna.
Bhola—theek hai sahab.
Aghori apna teen tappar yahi chhod chhad kar jaldi se gadi me baith gaya…..vo bahut dara hua lag raha tha.. bhola unko lekar vaha se chala gaya.
Hum sab andar aakar kamre me baith gaye….sabhi ke chehro par kayi tarah ke sawal umad rahe the….tabhi mujhe jaise kuch yaad aaya to.
Kumar—uncle mujhe lagta hai ki hame exhibition me vo tasveer nahi bhejni chahiye.
Rastogi—lekin ab vo tasveer nominate ho chuki hai...aur kal hone wale exhibition me vo sabke samne rakhi bhi jayegi...ab hum kuch bhi nahi kar sakte..kewal tamasha dekhne ke alawa.
Kanchan—Papa..lekin ye kaam bahut jokhim bhara ho sakta hai, aaj huye hadse ko dekhte huye
Rastogi—Janta hu beta...par ab der ho chuki hai..ab to bhagwan hi malik hai..jane kya kya gul khilayegi kumar ki ye rahasmayi painting kal ke exhibition me... ?
Bht shaandar update
Lekin is hero pe mujhe zyada gussa aarha
Ye uski baat manta q nhi
Jb itna sab us naagin ne kiya
Lekin hero ki baat hmesha maani
So usko bhi uski manni chaiye
Bina baat itne logo ko marwa diya
Or ab oron ki bhi jaan khatre mein daal di
Brilliant update
Keep rocking bhai