• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy NAAG MANI

Rohan008

Active Member
883
2,602
158

NAAG MANI

UPDATE-14

Rastogi—lekin ab vo tasveer nominate ho chuki hai...aur kal hone wale exhibition me vo sabke samne rakhi bhi jayegi...ab hum kuch bhi nahi kar sakte..kewal tamasha dekhne ke alawa.

Kanchan—Papa..lekin ye kaam bahut jokhim bhara ho sakta hai, aaj huye hadse ko dekhte huye

Rastogi—Janta hu beta...par ab der ho chuki hai..ab to bhagwan hi malik hai..jane kya kya gul khilayegi kumar ki ye rahasmayi painting kal ke exhibition me... ?

Ab Aage......

Kumar—uncle phir to aap ko hi dekhna padega…main alka ko aisi halat mein akeli nahi chhod sakta.

Rastogi—hmmmm, ye baat bhi sahi hai....chalo jo bhi hoga dekha jayega kal...vaise bhi ab hum kar bhi kya sakte hain... ?

Kanchan—Jiju..vo nagin to aap ki baat maan jati hai....pahle bhi usne kayi baar aap ki kayi kahi huyi baate mani hain..to aap usse kaho na ki hamara aur alka didi picha chhod de.

Kumar—Sali sahiba...vo mahaj ek ittefaq bhi to ho sakta hai.

Nandini—nahi beta…itna sab kuch hone ke baad mujhe to ye koi ittefaq nahi lagta hai…ab to bas vo baba aa jaye tab hi kuch pata chal sakega.

Kanchan—Papa..aap driver ko call kar ke pucho na ki vo kab tak aa rahe hain …uss aghori ke guru dev

Rastogi—beta..vo khud hi phone karega, tum pareshan mat ho…mujhe abhi doctor sahab ke yaha bhi jana padega vo hamare family member jaise hi the.

Nandini—main bhi chalungi kuch der ke liye.

Hum baat kar hi rahe the ki alka dhire dhire apne hath hilane lagi, shayad usko ab hosh aa raha tha…ye dekh maine uska sir apni god me rakh liya.

Rastogi—alka se ab iss ghatna ke vishay me koi baat nahi karega….uske dimag par dabav dena sahi nahi hoga abhi.

Kumar—aap sahi kah rahe hain uncle.

Lagbhag dus minute aise hi hath pair hilane ke baad alka ne apni ankhe kholi aur apna sir meri god me mahsoos karte hi mujhse lipat gayi.

Nandini—thank god meri beti ko hosh aa gaya.

Kanchan—ab kaisi tabiyat hai didi…?

Alka ne jab kanchan aur nandini ki awaz suni to sabke samne meri baho me lipatne par sankoch vash vo thoda lajjit hokar uthane lagi, lekin maine usse apni god me hi lita liya…aunty ne bhi alka ko lete rahne ko kaha.

Alka (dhire se)—Ji ab theek hai.

Kanchan—issi baat par main coffee bana kar lati hu.

Rastogi—that’s a good girl.

Kuch der baithne ke baad rastogi uncle aur nandini apne family doctor ke ghar milne chale gaye jabki kanchan yahi mere paas rah gayi…raat me dinner ke baad vo bhi mere bagal me hi let gayi.

Kumar—mere sath so rahi ho Sali sahiba…agar raat me mujhse tumhari didi ke dhokhe me tumhare sath kuch ulta sidha ho gaya to phir mujhe dosh mat dena.

Kanchan (kaan me)—to apko roka kisne hai Jiju.

Alka—chalo so jao..mujhe to need aa rahi hai..mai soti hu.

Kanchan (mann me)—aap ko kya batau Jiju…dil to mera bhi aap ke upar aa gaya hai, Jab se aap ne uss nagin se meri jaan bachayi hai tab se ye dil mera nahi raha kintu majboor hu…kabhi kabhi sochti hu ki izhar kar hi du, lekin darr lagta hai ki kahi aap mana na kar de…main to chahti hu ki mere sath aap sab kuch kar lo..dil ko ek sukun to rahega ki jisko dil diya,aur tan bhi usko hi diya.

Lekin kanchan ke dil ki ye baat shayad kisi ne sun li aur usko ye bilkul bhi pasand nahi aaya….uski ankhe gusse se ekdam lal ho gayi aur vo apni gusse bhari nazaro se kanchan ko ghurte huye uske muh se fufkar nikalne lagi.

Khair raat maine jagte huye hi bitayi..kyon ki main ab kisi bhi tarah ka risk nahi lena chahta tha…raat me aisa kuch bhi nahi hua jaisi ki sab ko ashanka ho rahi thi.

Agli subah behad khushnuma palo ke sath shuru huyi kyon ki alka ne need khulte hi ek meetha chumban mere adhro par diya..maine usse apni god me utha kar bathroom pahucha kar bahar aa gaya aur kanchan ko jagane laga lekin kanchan ne need me hone ka bahana kar ke mujhe khich kar apne upar gira liya aur jaldi jaldi dus barah chumban mere hotho aur gaalo par ankit kar diye.

Main hatprabh hokar usse dekhta rah gaya ki abhi abhi jo hua wo kya tha…? Meri to kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki kanchan ne ye sab jaan bujh kar kiya hai ya vo sachmuch need me koi khwab dekh rahi thi.

Khair main jyada na sochte huye alka ke fresh hone ke baad bahar laya to tab tak kanchan bhi uth chuki thi aur mujhe dekh kar haule haule mushkura rahi thi…jisse main samajh gaya ki ye sab isne jagte huye hi kiya hai.

Kuch der baad rastogi uncle aur aunty aa gaye..break fast unhone yahi sath me kiya jo kanchan ne hi ready kiya tha uske baad hum aaj ke bare me charcha karne lage.

Rastogi—achcha beta, ab main chalta hu exhibition me shamil hone ke liye…tum sath me rahte to jyada better rahta

Kumar—maine problem kal hi bata di thi uncle

Kanchan—isme itni problem kya hai…? Hum sab didi ko bhi sath me liye chalte hain na.

Kumar—nahi…nahi…aap jaiye uncle

Alka—chaliye na..jab sab ka dil hai to

Kumar—magar….

Alka—agar magar kuch nahi…

Kumar—theek hai..chalo…jao ready ho jao.

Rastogi—aaj kafi fresh lag rahi hai alka beti

Kumar—haa uncle…lekin kya ye taajjub karne wali baat nahi hai ki alka ne hosh me aane ke baad se abhi tak ek bar bhi kal wali ghatna ka koi jikra nahi kiya hai aur uske chehre par vo kal jaise darr aur khauf bhi nahi dikh raha hai.

Rastogi—Ye baat to maine bhi notice ki hai…khair theek hi hai ek tarah se….aur vo baba bhi aaj shaam tak aa jayenge, vo raat yahi ruk kar kuch kriya karenge uss nagin ko apne vash me karne ki.

Kumar—Jaisa apko uchit lage uncle….main to thahra nastik admi..in sab baba vaba ke chakkaro ko nahi manta lekin alka ke liye kuch bhi karunga.

Alka aur kanchan ke ready hote hi hum sab sath me rastogi uncle ki gadi me hi exhibition ceremoney ke liye nikal gaye….bade hi bhavya paimane par sajaya gaya tha haal ko.

Poore desh bhar se aaye painters ki banayi huyi paintings iss pradarshani ki shobha badha rahi thi..sab ki sab ek se badhkar ek thi….vaha ke MLA aaj ke program ke chief guest the.

Jab hum pahuche to program start ho chuka tha…ek jagah khali jagah dekh kar hum bhi baith gaye….kuch der tak sab ka bhasan chalta raha.

Uske baad sabhi judges bari bari se har ek paintings ke paas ja kar usme darshayi gayi khubiyo ka avlokan karne lage…sab har ek paintings ki dil khol kar tarif karte ja rahe the.

Kisi ki paintings me Prakratik sundarta ki karigari thi to kisi me science aur technology ke bare me bataya gaya tha paintings ke madhyam se..kisi me kuch to kisi me kuch….

Aise hi chalte huye sab achanak ruk gaye…unki nigah apne samne rakhi paintings par tik gayi….kisi ke muh se koi shabd nahi nikla…na to unme se kisi ne koi tarif ki aur na hi burayi..bas bina palak jhapkaye uss paintings ko dekhte rahe.

Karib pandrah minute tak kisi mook darshak ki bhanti dekhne ke baad antatah uss vidhayak mahoday ne apni juban kholi.

MLA—Marvelous,Amazing, What a beauty……aise lagta hai ki jaise sakshat samne khadi ho..lagta hi nahi ki ye kisi kagaz me banayi gayi chitrakala ka ek namuna hai balki bilkul sajeev lag rahi hai….kiski hai ye painting..?

Judge—Mr. Kumar….

MLA—Lekin isme to arjun-anjali likha hua hai…..Ye painting main kharid raha hu….iski teen guni keemat par

Hum sab shocked rah gaye…kyon ki maine to aisa kuch nahi likha tha….MLA uss painting ko hath me uthane ke liye jaise hi apne hath aage badhaya hi tha ki tabhi vaha vahi hua jiska mujhe aur rastogi uncle ko darr tha…poore haal me jaljala sa aa gaya…
Badhiya bhai
KEEP rocking :)
 
Top