• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy NAAG MANI

RAAZ

Well-Known Member
2,456
6,460
158
Dost ye tumhara pahla message hai kisi ki bhi story par.
Agar tumhe lagta hai ki meri stories dusri jagah se copy ki huyi hain to yaha ke sabhi readers ko Link de do jisse vo bhi vahi se meri sabhi stories padh sake....kyon ki phir mera aage likhna to bekar hi hai na.

Koun sa writer story copy paste kar raha hai ya phir khud likh raha hai ye janna koi mushkil kaam nahi hai.

Jo bhi copy paste kar raha hoga uski har story me lekhan shailly alag alag hogi...koi kisi ki kahani copy paste to kar sakta hai lekin uska hunar uski kabiliyat, uske likhne ke andaz ko nahi chura sakta hai.

Main Avi bhai, Pritam da, Milan bhai. Harshit bhai, Vampire, Casi bhai etc...jaise great writers me se sabhi ki story to chura sakta hu lekin unka hunar, unki skills ko nahi chori kar sakta sakta.

Meri iss site par Saajan, Chamatkar, Saand, Naag Mani aur Rishabh Mohini..ye paanch story running hain.

Agar tumhe lagta hai ki ye stories maine copy paste ki hain to ab se aage ke update tum hi jaha par padhte ho mujhe nahi malum vaha se update mere readers ko uplabdh karana ya unhe uss site ka link de dena.

Kyom ki mere liye mere regular readers bahut anmol hain...vo mujhse to nahi hain kintu main aaj jo kuch bhi hu unn readers ke apar pyar, aur sneh ki badaulat hi hu.

Meri inn paancho stories ko jisne bhi mere likhne se pahle padhi hain main unn sabhi se anurodh karta hu ki vo mere readers ko bhi link de de jisse vo bhi padh sake.

Dusra tumne jaha bhi padha hai ek baar vaha par update posting date aur time dekh lena aur meri posting date aur time dekh lena... dono ko compare kar lena...meri story copy paste hai ya nahi tumhe khud hi malum ho jayega.

Ek aur baat main Saajan ka bina incest aur bina sex wala version bhi likh raha hu...
RAJ POCKET BOOKS ke liye...Jiske liye maine do novel ka anubandh kiya hai.....agle ek do saal me ye novel sabke liye india ke market me bhi uplabdh hoga.

Main apni dusri story "MAYAJAAL" ki ek jhalak bhi yaha aaj post kar dunga...usko bhi dekh lena ki shayad vo bhi to kahi copy paste nahi hai.

Aur main ab se update apni sabhi stories ka apne sabhi regular readers ko PM kar dunga....na to mujhe kisi ke likes ki jarurat hai aur na hi kisi ke reviews ki...maine inke lalach me likhna start nahi kiya hai...aur na hi mujhe legend banne ka koi shouk hai....ek bhi comment nahi ayega kabhi bhi, tab bhi main update dunga lekin jab mujhe time milega tab

Mujhe poori ummid hai ki tum ab se meri stories ke update mere readers ke liye yaha post karoge jaha bhi tumne padha ho...
Anand bhai aapko bola thaa na pehlay bhi aisay logo ka load na liya karo balki upar wale ka shukar ada karo ki aisay log aapko josh ko bada detay hain. Agar kutto ke bhokne se hati apninchal badalne laga to hati ka to kaam hi honjaana hain. Theek aisay hi logo ko bolne do aap apne karam path per chaltey raho. Kuch to log kahege logo ka kaam hain kahna.
 

King of light

Active Member
680
1,155
139
Anand bhai Mai aapse ek baat bolna chata ho ke bhai Maine bahot si stories padhi hai xossip pe
Mujhe yaad bhi nahi ke kitni stories padh Chuka ho Mai
Mai shuru se ek silent reader tha Mai aapki stories se pehle kisi bhi story pe apna Koi reply nhi kiya
Maine Avi bhai ki story main, meri family, aur mera gaon bhi padhi
Vo story ek Master peace tha or Avi bhai mere liye ek legend hai
Uske Baad bhi bhai bahot se writers ne stories likhi or bahot achi likhi
Mujhe vo stories bahot psnd ayi jaise un Mai se ek cheakta Chirag hai
Vo bhi bahot achi thi bhai
Par bhai Maine aaj tak in Mai se kisi bhi story pe reply nhi kiya Maine socha tha ke ab koi Avi bhai jaisa writer mujhe is site pe nhi milega is liye Mai jyada stories padhta bhi nahi tha
Fir aapne story likhna shuru kiya bhai kuch time to Maine aapki story padhi bhi nahi fir ek din Mai stories check kr rha tha
Padhne ke liye vha mujhe aapki story Mili
Maine Saajan Ko padna shuru kiya pehle to mujhe lga ke aap bhi aam writer ki tra ek incest story likh rhe ho but jaise jaise Mai padhta gya mujhe pata lga ke Mai itne Dino se kya miss kr rha tha
Aapki story padhne ke Baad Maine socha ke Mai in writer ke sath kitna galat krta aaya ho ye writer hame khush krne ke liye aapna kimti waqt hame dete hai stories ke roop Mai or ham inki stories padh ke inhe ek reply bhi nahi dete ye mujhe realise hua ke Mai shuru se galat kr rha hu mujhe reply krke in writers ka hosla badhana chaiye
Lakin jab tak Mai xossip Ko join kr pata vo band ho gayi thi fir net pe Mai xossip Jaisi or site dodhne lga or mujhe ye site Mili or is pe aapki story to Maine tabhi is site Ko join kiya or pehla reply aapki story pe kiya
Ek baat or khonga bhai ke aapne meri soch Ko galat sabit kr diya
Mai sochta tha ke ab mujh Ko Avi bhai jaisa writer nhi mile ga pr Mai galat tha mujhe Mila or usse bhi acha Mila Anad bhai aapke roop Mai
Bhai mujhe shuru se hi stories ka bahot shok tha Mene bahot c books padhi jaise Harry Potter is ke ilaba or bhi
But bhai aap mere liye best writer ho
Or bhai End Mai yhi khoga ke kisi bhi reader ki baat ka bura mat manna kyuki vo ekela aapki burai kr rha hai but aap un sab Ko bhi dekho jo hajaro ki sakhya mai aapko or aapki stories Ko bahot pyaar de rhe hain

Waiting for next update
 
Last edited:

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173


NAAG MANI

UPDATE-20

Uski cheekh sun kar vo call girl bhi uth gayi aur jaldi se khud ke nagn jism ko chadar se lapet kar darwaja khola... aas paas vaha moujud guards aur hawaldar bhagte huye vaha aa gaye.

Shukla (chillate huye)—mm...mujhe nagin ne kaat liya hai....mujhe doctor ke paas le chalo...fauran.

"Kaha hai....kidhar hai vo nagin." Uss nagin ka jikra sunte hi sabhi ghabra gaye kyon ki sab ab tak uske prakop aur aatank se bhali bhanti parichit ho chuke the.

Shukla—vo...vo...nagin....

Shukla apni baat poori kiye bina hi behosh ho gaya....log usko le kar turant doctor ke paas bhage....lekin tab tak uss khatarnak nagin ka jahar apna kaam kar chuka tha....usse bachaya nahi ja saka.

Ab Aage.......

Ek qaid khane me anjali salakho se bandhi huyi chaand ki oor dekhte huye kuch badbada rahi hai...uski ankho se chhal chhal kar ke pani jamin par aviral bah raha hai.

Arjun tum kab aaoge.... ? ye virah ka dukh mere sharir ko shalya ki bhanti pida pahucha raha hai....tum shighra aa kar mujhe iss taklif se mukt kar do.

Dekho arjun, kartik me sharad chandra ka prakash ho raha hai...jagat sheetal ho gaya hai kintu main tumhare viyog me ab tak jal rahi hu.

Apni chaudah kalao ko usne jo prkashit kiya hai, usse aisa lagta hai jaise dharti aur akash dono jal rahe hain....iss chandni raat me ye shaiyya , sharir aur mann ka agni daah kar rahi hai.

Kyon ki jo sabke liye chandrama hai vo mere liye rahu ho gaya hai.... mujhe to charo khand andhkar poorn lagte hain...kyon ki tum jo mere paas nahi ho.

Sara sansar deepawali ke utsav manane me dooba hua hai...meri samast sakhiya geeto aur khelo ke dwara deepawali ka tyohar mana rahi hain... kintu mere bhagya ki vidambana to dekho ki main yaha iss adharmi aur durachari ki qaid me hu.

Main tumhare virah me ussi prakar jal rahi hu jaise deepak me batti jalti hai.....mera roop rang to sab kuch tumse hi hai...jab se tum gaye ho tab se aaj tak main bas tumhare hi loutne ki pratiksha kar rahi hu.

Ye virah mera hriday jala raha hai aur vah sulag sulag kar raakh ho raha haai.....mera ye dukh tum tak koun pahuchaye.... ? ye dukh mere youvan aur jeevan ko bhasmant kar raha hai.

Virah ka ye dukh chakkar lagata rahta hai aur mere sharir ko khata rahta hai……vah jeete jee hi mujhko kha raha hai aur mrit hone par bhi na chhodega.

Mere sharir ka rakt samapt ho gaya hai, anshu bah gaye, haddiya sab ki sab shankh ke saman andar se poli ho gayi hain.

Tumhari yah anjali tumhara naam chillate chillate aise hi dum tod degi ….Kal kartik poornima hai…agar kal bhi tum nahi aaye to phir main uss dusht aghora ko uski napak mansha me kamyab hone se pahle hi apne sasharir prano ka utsarg kar dungi.

Tumhare aur mere paas sirf aaj ki raat ka hi waqt shesh hai, arjun…. mujhe iss papi se bacha lo…apni anjali ko bacha lo.

Aur uske agle hi pal vaha ek tez roshni jhil milane lagi.....anjali uss roshni me kahi gayab hoti chali gayi…..vo roshni dhire dhire kramshah ghatne lagi, phir samapt ho gayi…. aur antatah rah gaya to kewal ek chir ghana andhkar.

Aur sath me nazar aaya mujhe burf se aakshadit ek rasta …aur nazar aayi ek chhoti si jheel…jiske charo taraf manav ki anginat khopdi aur haddiyo ka dher laga hua tha….uss jheel ke aas paas burf jami huyi thi.


Aur tabhi….

“Nahiiiiiiii…..Anjaliiiiiiii.” achanak chillate huye meri ankhe khul gayi…..mera poora sharir pasine se lath path ho raha tha.

Rastogi—tumhe hosh aa gaya kumar….? Lagta hai aaj phir se tumne anjali ka sapna dekha kya….?

Rastogi uncle ki awaz sun kar main chounk gaya....maine to hotel ke bed par khud ko paya…meri ankho ke samne abhi bhi anjali ka vo dard me dooba chehra hi ghum raha tha aur sath me uski vo baate ki mere paas kewal aaj ka hi samay hai.

Kanchan—jiju aap raat me bina bataye kaha chale gaye the... ? pata hai kitni tension ho rahi thi mujhe.

Tabhi mujhe raat ki vo sari ghatnaye ek ek kar ke yaad aane lagi….kaise main uss vishal manav ke piche piche jungle paar karte huye burf ke upar pahuch gaya tha…kaise usne mujhe dhakka diya aur phir vo jamin ke andar sama gaya phir mera sar kisi bhari cheez se takraya aur uske baad kya hua dhyan nahi.

Kumar—main yaha kaise phucha….? Koun laya mujhe yaha... ? kyon ki main to….

Rastogi..main lekar aaya tumhe….jab tum der raat tak hotel nahi loute to hum bahut pareshan ho gaye…upr se hotel ke bahar kisi vishal manav ke nishan aur vichitra awaze sun kar to buri tarah se darr gaye the.

Nandini—mera mann to kisi anhoni ki ashanka se baith hi gaya tha….alka ko to pahle hi kho chuke hain hum ab tumhe nahi khona chahte the.

Rastogi—upar se uss receptionist ne kayi tarah ki utpatang baate bata kar hamara darr aur bhi gahra kar diya tha subah hote hi hum guard ko lekar tumhe khojne hotel se bahar nikle to tum hame vahi gate par hi behosh pade mil gaye.

Kumar (chounk kar)—kyaaaa gate par……? Par main to raat me pahad ke upar tha…aur vahi behosh ho gaya tha jab uss janwar ne mujh par hamla kiya tha….phir yaha mujhe koun laya…..?

Sab—kyaaaaa….? Tum raat me jungle ke andar gaye the….? Aur uss janwar ne hamla bhi kiya….?

Kumar—hmmmm

Kanchan—omg...jiju aap bhi na...chalo dikhao mujhe kaha chot lagi hai.... ?

Kumar (sir me hath laga kar)—takraya kuch to mere sir me tha jor se...par koi chot to samajh me nahi aa rahi hai... badi tajjub ki baat hai…jabki raat me to bahut dard ho raha tha.

Nandini—lagta hai sach me hi ye jagah rahasyamayi hai.

Rastogi—kya dekha sapne me anjali ke baare me….?

Kumar—uska dard..uski tadap…uski aas…uski ummid…uska pyar….(phir sab batate huye).

Rastogi—iska matlab uss arjun ka kahi tumse koi na koi rishta to jarur hai, kumar….jara socho….uss nagin ne hame roop kund jheel aane ko kaha aur aaj tumhe sapne me bhi ek jheel nazar aayi….kahi ye hi vo roop kund jheel to nahi….?

Kumar—pata nahi….

Rastogi—aur vo janwar avashya hi him manav yeti hi hoga shayad….par jab usne tum par hamla kiya to phir mara kyo nahi….?

Kanchan (gussa karte huye)—papa aap kya chahte hain ki vo jiju ko maar deta….?

Rastogi—nahi beti…main bhala aisa kyo chahunga….lekin ye baat sochne wali jarur hai…hamla karne ke baad tumhare samne agla vaar kiye bina hi jamin ke andar sama jana sath me ped ko kharochna…iska kya arth ho sakta hai…?

Kumar—ye to ab aaj din me ja kar dekhne ke baad hi pata chalega…?

Rastogi—ok, to phir fresh ho kar ready ho jao….lunch kar ke yaha se aage ke safar par nikalte hain.

Hum sab ready ho kar apne aage ke padav ki oor nikal pade….mujhe kya pata tha ki asli khatra to ab shuru hone ja raha hai.
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
Interesting update....
Nice description of yeti.
Kumar to yeti ki changul me fas gya.Aab esa lag raha hai ki ye yeti hi kumar ko aapne manzil ki taraf aur aapna asli parichay janne ke liye ek madad gar bhi ho saatha hai.
Dekhte hai aage kia hota hai.....
Great work.....
Keep it up.....
Take care...
Thanks for Reading & Supporting
Keep Stay Tuned With Us.

Today's Update is on Page.....86
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
nice update
Thanks for Reading & Supporting
Keep Stay Tuned With Us.

Today's Update is on Page.....86
 
Top