--- 17
veer haveli se nahi gaya tha. veer jane ke liye nahi aya tha.
ek kamre mein aman thakur, karan aur surya bethe hue the.
aman thakur veer ke liye dukh se bola tha --- veer ne hamari priksha li. aur bhagwan ne humen priksha mein safalta ka moh dikhaya. hum veer ki nazron mein uski family ban gaye. veer ne bhagwati ke jaisa sab kia tha. gusse se mai pagal hone laga tha. lekin mai bada hairan bhi hua tha. fir neha ke veer priksha wali baat ne veer ke liye uljhane aur dard to diye. par veer ke liye nafrat ne dil mein janam nahi liya. mai veer ka kuch nahi hon. bhagwati veer ki apni thi. woh veer par vishwas bana gai. vishwas ko tootne nahi dia usne. par yahan veer ka apna parivar veer par vishwas ko haar gaya. veer ke shabdo ko sun, vishwas haar gaya. kitna galat kia sabne.. tum dono mere bete ho karan surya!.. agar aisi hi koi ghatna tum dono ke sath bhi ghat ti. zarur mai bhi vishwas haar jata. par aise??.. aise kabhi nahi haarta. veer ki ankhen cheekh cheekh kar uske dard ko dikha rahi thi.. par yahan sab ko bhagwati aur maheshwari, sasu maa ke nagn shareer hi nazar aaye. veer ke darawaze shabd hi sunai diye.. aahh ab mai samjh gaya hon. veer ne apni maa aur dadi ke kapde phaad kar sab kuch aaine ki tarah saaf kar dia. bohut glat kia sabne veer ke sath.. koi apne bete ke sath, woh bhi veer jese bete ke sath aisa kaise kar sakta ha.
karan sir jhukaye nam ankhiyan liye bhege svar ke sath bola: mai samjhta tha, mard hon. kabhi rovonga nahi. par aaj mera dil ro raha hai veer bhaiya ke liye
surya: mummy ka apmaan hua wahan bhi aur yahan bhi. mami aur nanu ke sath bhi wahi hua jo veer ne wahan mummy ke sath kia. par ek bar ke bar kuch bhi bura nahi laga. veer ne to humen apne dard se avgat karwane ke liye, hamare vishwas ki khoj ke liye aisa kia tha.. papa!, main bhi kabhi khud ko dilwala samjha karta tha. ek pal ke liye veer bhaiya par vishwas tootne laga tha. par ab dil veer bhaiya ke liye ro raha hai.
wahi veer bhagwati aur neha aarti ke sath ek kamre mein tha
bhagwati apne sath kapde laai thi. van se dress mangwa kar usne pahn lia tha. bhagati aur aarti neha teeno bhi sisak rahi thi. aur veer sab ke chahre bar bar dekhta ja raha tha.
veer kuch der sab ko dekhta raha. fir hasne laga
veer: kyaa hua. tum teeno aise moh latkaye kyun bethi ho
teeno ne sir utha kar veer ko dekha
veer bina kisi bhav ke: tum ro rahi ho.. lyun??.
bhagwati sisakti hui boli: tumhare liye
aur veer has pada: par main to nahi ro raha.. tum bhi mat rovo
bhagwati: tere dil bada dil nahi hai hamara. pata nahi hamare dil phat kyun nahi gaye
aarti: sach mein veer bhaiya sabne bohut bura kia
neha veer ke pass bethi veer ke ghav ko dekhti ja rahi thi. jahan pahle teen goliyan lagi thi. ab wahan kuch bhi nahi tha. koi nishan bhi nahi tha. veer ke right hand ne kamal kar dikhaya tha.. jahan jahan goli lagi thi. veer ne apna right hand wahan rakha tha. bullet khud se nikal gai thi. ghav khud se bharne lag gaye the. ye dekh teeno aur aman thakur, karan aur surya teeno bhi kanp uthe the. veer ko ab koi maar nahi sakta. koi ghv nahi de sakta. woh jaan gaye the.
veer ne neha ke hath ko pakad chum lia. neha thakur sharma gai
veer ne uske gaal par hath fera. neha kasmasati hui apni mummy aur bahan aarti ko tirchi nigah se dekhne lagi
veer: aram se betho neha.
aur neha chaunkti hui seedhi ho bethi. aarti ko bhi sharam aa rahi thi. uski behan ka pati uski bahan ke gaal par hath fer raha tha. pahle ki baat aur thi. pahle ferta to alag bat samjhi jati. par ab romance count ho raha tha.
veer romance ke mood mein nahi tha. bass neha ka mood badalne ke liye aisa kar gaya tha
veer jhatke se utha: chalo khule mein chalte hain
sab veer ke sath bahar jane lage
tabhi door se helicopters ka shor sunai dene laga. media wale police wale aur kai dusre abhi bhi haveli se door maujud the
veer ne ek guards se kuch kaha. woh bhaag kar order pr act ke liye chala gaya
is bar aane wale helicopters haveli ke andr utarne diye gaye.. veer neha, hbagwati aarti, manorma aur rambha ke sath haveli ki ek side khule mein chairs par ja betha.
rambha veer ke qadmon mein beth gai. veer ne mana nahi kia. rambha ki deewangi ka lavel hi alag tha. veer ne jan lia tha. rambha ko isse khushi milti ha. aur veer rambha se uski khushi nahi chheen sakta tha. khud dukhi tha.. par rambha jaisi masum, payari aur akeli larki ke liye uske dil mein place hi place thi.
veer animal force bhi veer ke saamne bethi hui thi. helicopters ka shor sun aman thakur karan aur surya bhi wahin veer ke pass aa gaye the.
ek side saare guards jo behosh pade the. ek ek karke hosh mei laaye ja rahe the. jo ghayal the, unka treatment pahle se chalu tha
helicopters ke andr se veer ki bua chhaaya aur nana ka pura utarta dikhaai dia tha.
veer sab ko bina kisi bhav ke apne karib aate hue dekh raha tha. aur sab veer ko dekh bhagne lage the. par veer ki animal force ko dekh unke qadamon se jan nikalne lagi thi.
wahi haveli ke andr side ki khidkiyon se veer ki maa aur sab jhank rahe the. barson sab veer ke sath apne vyavhyar par, vishwas kho dene par khoon ke ansu rote rahe the. par aaj jo kuch hua, badi zabardast chot lagi thi sab ke dil par. rona bhul gaye the. veer ko paane se pahle hi haar gaye the. veer se shama mangne se pahle hi pahle ke jaisi galati kar bethe the..
ab aane walun ko dekh veer ko dekh rahe the. zindagi ka koi rang kisi ke chahre par nahi tha. koi bhi kaid nahi tha. par ab woh veer ke saamne jane ki himmat nahi kar pa rahe the. ek baar firse apni hi nazron mein gir gaye the. aur ye girna lamha lamha unki jaan nikalta ja raha tha.
veer ne apni force ke ek bande ko ishara kia.. wo haveli ke sabhi guards ko ek line me khada karne laga. jo ghayal the.. unhe bhi khada karne laga
veer apni animal force se bola to veer ki nazren apni bua chhaya, uske parivar, nana nani, mamaon masiyon aur unke parivar walun par thi.. faltu ke sabhi log with pilot helicopters wapis se fly karte hue haveli ke bahar ja chuke the. veer ko koi bhi faltu person haveli ke andr nahi chahiye tha..
veer sab ko sunata hua apni sheron cheeton se bola tha: jo bhi mere karib aaye.. usay cheer phaad kar khaa jana.
aur bua chhaya ekta alka aur sab jahan darr gaye the. wahin veer ke liye rone tadapne bhi lage the. kuch bhi to woh nahi jante the. haan par haveli ki khidkiyon se veer ke apne asli parivar ko murda face ke sath dekhte jaan kar situaion ke ghambir hone ka andaza laga gaye the.
chhhaaya zarur roti hui boli thi: veer beta
aur veer ne ek nazar usay dekh kar apne right hand kar paryog shuru kar dia tha. veer ne ek ek karke apne right hand davara saare guards ko check kia. fir jo gaddar nikle.. unko ek side karta gaya.. kuch minat lage is sab karwai mein
fir veer apni chair par ja betha aur rambha ko apni god mein bitha kar pyaar se uske gaal ko sahlata hua kiss karne laga. rambha ki ankhon mein ek pal ke liye jhijhak aai. par fir khud ko smabhal gai. wo to veer ko devta maan chuki thi. aur devta usay sabke saamne prem de kar uske samman ko badha raha tha. usay bura kyun lagta
veer sab ke saamne kiss karne laga. aur sab veer ko dekh ascharya aur sharam mein padne lage.
veer kiss ke bad bola: rambha, tum dhire dhire mazbut banti ja rahi ho. ab yahan haivani khel khela jane wala hai. tum darrna mat
rambha samman se boli thi: nahi durungi.. mai samjh sakti hon. aap kya karne wale hain.. aap apni marzi kariye.. mai khud ko sambhal lungi
veer ne manorma ko dekha.. woh bhi boli: aap jo bhi karenge. humen apne sath paayenge
veer fir chillaya: tab fir animal force ko hukam do manorma.. saare gaddaron par toot padenn.. aaj man marzi karte hue maze maze se gaddaron ke mass aur khun se apni bhuk piyas mitaani shuru kar den
aur veer ke moh se aise shabd sunkar karan, aman surya aur neha aarti dusre sab kanp uthe.
manorma bina samay gunwaye apni khas seeti khas andaz mein bajane lagi.. aur saare sher saare cheetey jo veer ki baat sun aur samjh chuke the. manorma ki seeti sunkar gaddaron ko dekhne lage. aur woh bhagne lage. par bhag se roka nahi gaya kisi ek bhi gaddar ko
haveli ke khule mein woh bhaag rahe the. sher cheeteh unke peeche bhaag rahe the.. hamle kar rahe the. cheer phaad rahe the.. dahaadte hue khushi ka izhaar kar rahe the. pahli bar aisi insani dawat mili thi sab ko.. insani khoon aur bhuk se piyas bujhane lage
maheshwari tevra kar gir padi thi.. giri padi sookhe patte ki trah larz rahi thi.. kon aisa tha jo dahshat ki inteha par nahi tha. kon tha jo kanp nahi raha tha....
manorma aur rambha thi do.. jo nahi kanp rahi thi.. chhaaya thakur aur uska parivar, veer ke nana nani, saare mama, unki patniyan aur bachhe masiyan unke parivar sab ke sab jahan the.. wahi gir pade the.. sheron cheeton ko dekh pahle hi unki jaane nikalne lagi thi. ab jab sheron cheeton ko gaddaron par humla karte, unko cheerte phaadte dekha to giri padi hi kanp larzne lagi thi.
har ek ka khoon sookhne laga tha. woh jo ghar se chappalen tak pahne bina veer se milne ke liye nikal bhage the. veer ke saamne pohnch, veer ko dekh aur jaan kar himmat khote ja rahe the..
veer aane wale apnu ke kuch fasla rakh badi shaan ke sath chair par betha taang par taang rakh gaya.
fir sab ko ghoorta hua manorma ko order dene laga. manorma ne veer ke order ka palan kia.
saare sher cheeteh veer ke aage aadhe aadhe khade ho gaye.. khoon se lathde moho wale sher, babbar sher cheetey sab ek dusre ki orr moh kiye khade ho gaye.. beech mein gape ban gaya tha.. veer usi gape ke kinare beech mein betha tha
veer ne manorma ke kan mein kuch kaha.. manorma sunkar firse seeti bajane lagi.. aur saaare sher babbar sher cheeteh manorma ko pure dhayan se sunne lage.
veer apni bua chhaya thakur, aur sab ko dekhta hua bola: jo veer ko pana chahta hai.. woh meri darinda force ke beech mein se guzar kar mere pass pohnch jaaye. mai dil se uska sawagat karunga.
veer ke aise shabd sunkar sab ke bache khuche hosh bhi gum hone lage.. sher cheeteh sab ko dekh zor zor se dahaad rahe the. unko moho se khoon tapak raha tha.. mass idhar udhar bikhara pada dikhai de raha tha.. maut se bhi badhkar dahshat ka mahaul bana dala tha veer ne..
koi bhi apne andr itni himmat nahi pa raha tha...
fir sabse pahle ekta thakur ne himmat kari.. woh uthi. badi mushkil se uthi thi... pahle chali. fir bhagi.. woh veer ko paane ke liye deewani hui ja rahi thi... ekta ko bhagte dekh saari anmil force ne ek sath ekta thakur ko dekh kar dahadna shuru kar dia.. ekta thakur jo kuch himmat kar guzri thi.. saare sheron, saare cheeton ko ek sath dahadte sunkar larz uthi.. bhagti bhagti ekta thakur beech raste mein hi gir padi... animal force ka dahadna nahi ruka..
aur ekta thakur ke jo thode se hosh the woh bhi gum hone lage.. nam aur dahshat bhari ankhon se sheron cheeton ki do lino ke beech dikhai de rahe veer ko dekhne lagi... kahne lagi.. veer meri aisi priksha kyun??.. mai to tumhari apni thi na.. pahle kitna pyaar karte the tum mujhse.. ab kya hua tumhe...
aur veer kisi bhav ke ekta thakur ko dekhne laga..
baki sab samjh bethe the. ekta thakur ka akhri samay aan pohncha hai............ agle hi shan sab shocked rah gaye the.. haveli ke andr se veer parivar ki koi larki "veeeeeeeeeeeeeeeeeeeeerrrrrrr" kahti chillati bhaagti hui aai.. ekta thakur ke pass se guzarti hui saare sheron, babbar sheron aur cheeton ki zara bhi parwa kiye bina bhaagti hui veer(jo pahli baar hairat ki inteha par pohnch uth khada hua tha) ke seene se ja lipti.. aur dekhne wale dekh kar AB ascharyachaki rah gaye the.... veer ke honto par barson bad ek sachi muksan ubhari thi... pahli bar khushi se dil sisak pada tha..... gale se lagne wali ko dono bahun mein bheench ro rahi apni ke gaalon ko chumne laga.