• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy NATION OF DEAD (ZOMBIE APOCALYPSE)

BlooDBath175

Bhagwaan se bhi bada!!!!
Supreme
1,969
10,069
143
Polish-20220405-104706643

CHARACTERS OF STORY


Hero of story
V~KEY
SANDEEP (SUNNY)
Both are ex cobra units of army.


Aslam chicha

Shakil
Almaas:- Dead
Teno Mechanics he.

Aarti:- Doctor he
Khushali
sonu
Akshay
 
Last edited:

Asimtezabwala

New Member
84
202
33
Update:-15




{4 - 2 = 2}






Hum log ghar ke side mein chupe hue the aur aage kiya karna hai vo soch rahe the.Kuch der vicharvimsh karne ke baad aur sab ne apni apni ray dene ke baad humne ek upaye nikal liya.

Humne milke ye upaye nikala tha ki Aarti aur shakil help mangne ke liye darwaza khat khatayenge Aslam chacha vahi ghar ke side mein chupe Honge agar koi problem ho jaye to vo turant action le sake.unke ek aadmi ko jadiyo ki taraf leke aayege jaha main aur sunny chupe honge aur jaise vo aadmi Aarti shakil ke sath hamare paas se gujarenge to hum ghat laga ke usko maar denge.

Filhaal ke liye to yahi idea nikala humne.

Main:- To main aur Sunny vaha samne jadiya hai vaha chup jaate hai phir tum log apne apne kaam pe lag jana.

Main aur Sunny nikal gaye jadiyo ki taraf Aslam chacha chale gaye ghar ke side mein chup ne ke liye.

Aarti aur Shakil mere Sunny Aslam chacha ke chup ne ka intezar kar rahe the.Jaise hi hum sab chupe Aarti aur Shakil chale gaye ghar ki taraf.

Ghar ke paas pohach ke Aarti ne dawaza khat khataya to Kuch min baad darwaza khula.Aarti aur Shakil ne saamne dekha to ek aadmi ne Darwaza khola tha.


°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Darwaza khul ne se pehle……



jab darwaza bajane ki aawaz aai to adar vo charo Aadmi chokane ho gaye kyunki zombies bhi ho sakte the ya phir in logo ne jin ko bandhi banaya tha unke sathi bhi ho sakte the.

Aadmi 3 bola apne sathiyon se

Aadmi 3 :- Ab is waqt kon ho sakta hai.

Aadmi 1:- Hamara shikar hoga aur kon hoga madad mangne ke liye aaye honge humse.

Aadmi 4:- Khud shikar chal ke Shikari ke paas aaya hai to kaise jane de unko hum.

Aadmi 4 ki baat sun sab has ne lagte hai.

Aadmi 2 :- Haso nahi hume chokanna rehna padega.

Aadmi 3 apne sathi Aadmi 1 se bolta hai

Aadmi 3:- jao tum jaake darwaza kholo pehle dekh lena hole se ki kon hai.

Aadmi 1:- Ha mujhe pata hai ki kya karna hai.

Ye bol Aadmi 1 darwaza ke paas jata hai aur darwaze mein jo hole kiya huaa tha usme se dekhta hai to usko Ek ladka aur ek ladki dikhte hai.

Ye dekh vo khush ho jata hai aur normal hoke darwaza khol de ta hai.



°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Darwaza khul ne ke baad…….


Aadmi ne Aarti aur Shakil se pucha

Aadmi:- Ha ji boliye

Shakil bol ta hai us aadmi se

Shakil:- Maaf kijiyega hume aap ko itni raat gaye taklif dene ke liye.Main shakil hu aur ye meri aapa hai Arshi.Hume aapse madad chahiye thi aur aas paas koi ghar ya insaan dikha nahi isliye hum ne aap ka darwaza khat khataya.

Ji vo mere abbu ko chot lagi hai kya aap hamare sath chal ke unko yaha lane main madad karenge.

Shakil ye sab bina dare bola jisse us Aadmi ko shakil pe yakin ho gaya.

Aadmi ne ek baar aarti ki taraf dekha to Aarti bhi bina dare khadi thi isliye aadmi ko Aarti aur shakil pe yakin ho gaya.

Aadmi Aarti aur Shakil se bola

Aadmi:- Ruko main andar jake mere ek aur sathi ko leke aata hu taki tumhare abbu ko aasani se yaha leke aa sake.

Shakil:- Ji jaisa aapko thik lage.

Aadmi ne wapas Darwaza bandh kiya.




°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Andar Ghar mein…..


Aadmi Darwaza bandh karke Apne sathiyon ke paas chala gaya aur unko jake sab baate bata di jo aarti aur Shakil se hui thi.

Sab baat sunne ke baad Aadmi 3 bola

Aadmi 3:- Acha kiya tum akele nahi gaye ek kaam karo isko(Aadmi 4) apne sath leke jao tum.

Aadmi 3:- Ab hume aage se dhiyan rakh na padega.Ye to achha huye ki ye log der raat aaye hai isliye sab so rahe hai agar din mein aate to koi darwaza baj ne aawaz se chillata to hamara sach samne aa jata.Ab se hum jis ko bhi badhi banayenge unke muh me kapda thus denge.

Aadmi 4:- hume kaha pata tha ki log yaha se bhi gujar sakte hai par jo bhi ho in log ne hum ko kuch naya sikhaya hai.


Aadmi 2:- Ha ye sahi rahe ga ab se.

Aadmi 1:-Mein aur ye(Aadmi 4) jake apne naye shikar ko leke aate hai.

Ye bol Aadmi 1 Aadmi 4 ke sath darwaze ki taraf nikal gaye aur drawaze ke paas jake darwaza khol ne lage



°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Ghar ke bahar………


Aarti aur Shakil ko darwaza khul ne ki aawaz aai to un logo ne darwaze ki taraf dekha aur darwaza khul te hi unko us pehle wale aadmi ke sath dusra aadmi bhi dikhayi diya.

Aadmi 1 ne darwaza khol ke Aadmi 4 ki taraf ishara kar ke kaha Shakil aur Aarti se

Aadmi 1:- Ye mera Dost hai aur ye bhi mere sath aap ki madad karne ke liye aayega.Ab hume le chaliye aap ke abbu ke paas.

Shakil:- Ji aaiye hamare piche piche…

Ye bol shakil aur aarti jadiyo ki taraf jane lage aur unke piche piche Aadmi 1 aur Aadmi 4 bhi chal ne lage.

Jadiyo ke andar guse Aarti Shakil aur vo dono shakhs thoda andar gaye jhadiyo ke.

Mujhe aur Sunny ko ye log dikh gaye to main aur Sunny chhup te huye bina koi aawaj kiye unke piche chale gaye.


( Main aur Sunny in sab chizo mein mahir the kyunki hum log Cobra unit ke member the.World ki sab army Cobra unit se jungle war sikhane ke liye unko invite karte hai.)

Main Aadmi 1 ke paas jake apni Axe nikal ke pehle war kiya uske gale pe.Axe lagti hi Aadmi 1 ka gala aadha kat gaya aur side mein jul ne laga.

Aadmi 4 Aadmi 1 ki aisi halat dekh chilane hi wala tha ki Sunny ne piche se uska muh daba diya aur main us aadmi se bola

Main:- Chillaya to tere sathi se bhi bura haal tera karunga samja.Ab bata Kitne aadmi hai tumhare uss ghar mein.

Maine jaise hi sawal pucha to Sunny ne apna hath uske muh se hata diya

Aadmi 4:-Mujhe kuch mat karna main sab bata ta hu.

Sunny:- Tujhe hum zinda chod denge pehle hamare sawal ka jawab de.

Aadmi 4:- Adar hamare aur 2 aadmi hai.

Usne ye bola hi tha ki Sunny apna chura uske gale ke aar paar kar diya……..

Main Sunny se bola

Main:-
4 - 2


Sunny:- 2


****************************************
Update:-15
1099 Words hai..

Read and Have Fun👍🤘
Osm update wahla
 

Asimtezabwala

New Member
84
202
33
Update:-16





{4 - 4 = 0}





Maine aur Sunny ne undono ko mar giraya ab bache 2 jo ghar mein the.Un 2 ko ghar se bahar nikal na tha kyunki agar hum andar jate to hamari jaan ko khatra hota.

Ghar unka tha aur vo log ghar ke ek ek kone se wakif the.

Chhup ke hamla bhi kar sakte the hum pe Isliye unko Ghar se bahar nikal na jaruri tha aur sahi bhi tha.

Main:- Chalo jaldi Aslam chacha ke paas agar der kardi to inko dhundh te huye inke sathi bhi aa sakte hai.

Meri baat khatam hote hi hum sab chale gaye Aslam chacha ki taraf.

Aslam chacha ke paas pohach ke hum ne unko mahol ki jankari di.

Hum sab unko bahar nikal ne ke baare mein kuch soch hi rahe the ki Shakil bola

Shakil:- Bhai ek idea hai mere paas

Main:- bata bata bhai

Shakil:- Bhai Main aur Aarti behan Ghar ke samne ki taraf jaake ek sath pathar marenge to un ko lagega ki unke hi sathi honge aur jaise hi koi darwaza kholega to usko koi dikhega nahi.Jab koi dikhega nahi to woh ghar se bahar aake dekhega ya phir andar jaake apne dusre sathi ke sath bahar aayega AUR jab bahar aayega ya phir aayenge toh aap aur Sunny bhai darwaze ke dono side chhup ke khade honge to bas sahi mouke pe unko daboch lena.

Main:- Wah bhai Wah kiya dimag lagaya hai maan gaye tujhe Shakil.

Aslam:- Main kya karunga ye bhi bata de Shakil beta.

Shakil:- Aap yahi chhup ke rehna agar koi gadbad ho jaaye to aap turant action le sako isliye aap Vkey aur Sunny bhai ke backup honge.

Main:- To chalo phir lag jaate ke kaam ko anjaam dene mein.

Main aur sunny jaake chup gaye darwaze ke dono taraf.Aslam chacha ghar ke side mein chup gaye.Aarti aur shakil Ghar ke samne chale gaye.

Aarti aur Shakil ne apne apne hath mein pathar liya aur de mara ghar ke darwaze pe chokkne wali baat ye thi ki dono ke pathhar darwaze pe lage jiski umeed mujhe kam thi are kam kya na ke barabar thi.




°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Vahi Ghar mein..………..


Aadmi 1 aur Aadmi 4 ko aarti aur shakil ke sath jaane ke baad Aadmi 2 aake Darwaza wapas bandh kar deta hai aur apne dusre sathi ke paas chala jata hai.


Aadmi 3 aur Aadmi 2 apne sathiyo ka aane ka intezar kar rahe the.


Aadmi 3:-ye log Jyada der na kare to acha hai Kyunki abhi se main bechain hu ki un logo ke paas kiya kiya saman hoga.

Aadmi 2:- Bhai daru mil jaye to moj ho jayegi apni bohat din ho gaye hai bhai daru piye huye.

Aadmi 3:- Tu daru chod aur sab kamre ek baar check kar ke aa.

Aadmi 2:- Ji bhai karke aata hu.

Ye bol Aadmi 2 sab kamre check karne chala jata hai kuch der baad vo Aadmi 3 ke paas aake kehta hai

Aadmi 2:-Sab so rahe bhai ya phir mar gaye hai maine paas jake nahi dekha agar jata to vo jag jaate usse hamare aane wale shikar ko fasane mein mushkil hoti bhai.

Aadmi 3 :- Ye tune sahi kiya. Tujhe nahi lagta ki unko kuch jyada hi der ho gayi hai.

Aadmi 2:- Bhai apne bhai(Aadmi 1) ne bataya to tha ki us ladke aur ladki ke abbu ko chot lagi hai shayad uske abbu ko pairo mein chot lagi hogi isliye unko uthake la rahe honge.

Aadmi 3:- apne wale bande shane hai isliye unki puri madad kar rahe honge taki unko jara sa bhi shak na ho unpe.

Aadmi 2:- Main bhi vahi bol na chahta tha bhai.

Ye log aapas mein baat karne lag jate hai.

Kuch min baad darwaza khat katane ki aawaz aati he to Aadmi 3 apne sathi ko bolta hai

Aadmi 3:- shayad vo log aa gaye hai ja jake darwaza khol de.



°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°


Ghar ke bahar……….



Pathhar phek ne ke kuch sec baad mujhe aur Sunny ko darwaza khul ne ki aawaz aai to hum dono chokkane ho gaye.

Darwaza khula aur kuch hi sec mein ek aadmi bahar aaya jaise hi vo bahar aaya main uske piche gaya aur uska muh daba ke darwaze ke side mein lake chure se 4 war kiye lagataar uske sine pe jaha dil hota vaha.

Time kam tha to ek aur war kiya uske gale pe aur usko vahi side mein leta Diya.

Vo abhi bhi zinda tha aur Ghughhu ki halki si aawaj aa rahi thi uske muh se aur khun bhi nikal raha tha to maine apna ek pair uske muh par rakh diya aur jo halki si aawaz aa rahi thi vo bhi bandh ho gayi ab.

Ab mujhe aur Sunny ko intezar tha iske sathi ka jo kuch hi pal mein aayega jab ye wapas nahi jayega tab.

Kuch der ke baad hume aahat huyi kisi ke aane ki to hum phir se chokkane ho gaye.

Vo shakhs andar se chillaya

Aadmi :- a kaha gaya tu

Par usne jab kisi ki bhi aawaz nahi suni to vo bahar aaya thoda sa bikul darwaze pe par hamare range main nahi tha isliye hum chup chap khade rahe aur sahi mouke ka intezaar karne lage.

Hum thode side mein the isliye usko nahi dikhe varna agar nazdik hote darwaze se to hum aasani se dikh jate use.

Aadmi phir se chillaya

Aadmi:- Kaha hai tu agar meri aawaz sun raha hai to aa idhar.

Shayad unke paas to nahi chala gaya lagta hai ye log sadak pe hi honge.

Ye us shakhs ne dhire se bola tha par hume sunai de gaya tha.

Itna bol vo shaks bahar aaya ghar se aur sadak ki taraf jaane laga to main zapata uspe aur piche se uska gala daboch liya maine.

Sunny mujhe dekh aage aaya 3 war kiye us shakhs ke pet mein to vo aadmi chillaya aur meri pakad se chhut ne ki koshish karne laga.

Ab Aarti sakil aur Aslam ChaCha bhi aa gaye mere aur Sunny ke paas.

Main us shakhs ko chhod diya to Aslam chacha ne ghuma ke ek lath diya uske sar pe aur vo aadmi jor se chillaya vahi ladkhadane laga apna sar pakad ke par chacha ne uske ghir ne se pehle ek aur lath diya uske sar pe aur vo phir se chilla ke wahi let ke tadap ne laga to Sunny uske paas baith ke uska gala kaat diya.

Main Sunny se bola

Main:-
4 - 4

Sunny:- 0





****************************************

Update:-16
1097 Words hai....

Read and Have Fun👍🤘

Osm update wahla
 

Asimtezabwala

New Member
84
202
33
Update:-17






{Old & New Friends}







Un do aadmiyon ko maine Sunny Aslam chacha aur Shakil ne milke utha ke bahar side mein rakha.

Phir hum log andar gaye aur jake maine aur Sunny us kamre mein gaye jahan Akshay khushhali aur sonu ko bandhi bana ke rakha huaa tha.Maine aur sunny ne unke pass jake unke hath khole.

Aarti Aslam aur Shakil bhi hamare piche aa gaye the isliye main aur Sunny us kamre se nikale aur Sunny gaya baju wale kamre mein.Main gaya last wale kamre mein.

Main jaise hi us kamre mein gaya to vaha ek 27 saal ki ladki thi aur woh ro rahi thi.uske subkne aawaz mujhe saaf saaf sunai de rahi thi.

Main uske paas gaya aur uske hath khola to us ladki ne meri taraf dekha to Wo aur jor se rone lagi ab main thehra emotionless insaan isliye main kamre se bahar nikala aur chillaya

Main:- Aarti Aarti

Aarti dusre kamre se bhagti huyi mere paas aake boli

Aarti:- Ab kiya huaa tumhe jo aise chilla rahe ho

Aarti ke pichhe sab aa gaye the ek family bhi thi 4 jano ki.

Main:- Us kamre mein ek ladki hai jo ro rahi hai usko chup kara.Mere ko ye rona dhona bikul bhi pasand nahi hai.

Sab mujhe ghur ne lage to main sochne laga ki aisa to maine kiya bol diya.

Aarti aur khushali us ladki wale kamre mein gaye.kuch der baad Khushali Aarti aur vo ladki bahar aaye.

Maine Shakil aur Sunny se bola

Main:- Tum log jaldi kuch khane ka bana do aaj ki raat yahi nikal dete hai. Main aur Aslam chacha pani leke aate hai sab ke liye.

Hume pata to tha nahi ki saaman kaha rakha gaya hai isliye hum log Ghar ko check kar ne lage to hume khane ka saaman mil gaya aur paani ka stock bohat tha.

Humne saman sab uthake niche leke aaye 5 jaise chakkar lage kyunki saman sab 1st floor pe tha.

Jab sab saaman rakh diya to sab ne paani piya aur uske baad Aarti us ladki ke taraf ishara karke hum se boli

Aarti:- Aarzu ke bhai ki laash ko dafna na hai uska bhai mara hai kuch der pehle isliye woh ro rahi thi.

Main:- Is ghar mein to hume koi laash nahi mili Kaha hai uski laash batao hum dafna dete hai.

Aarti:- Shayad tumhare pair jis se takraya tha kahi vo to nahi.

Maine Sunny Shakil ko khana banane ke liye laga diya aur main Aslam Sonu aur Akshay chale gaye Aarzu ke bhai ko dafnane.

Kisaan ka ghar tha isliye hume sab Auzaar mil gaye gadda khodne ke liye.Hum Auzaar leke ghar ke piche chale gaye.

Aarzu ke bhai ko dafnane mein hum karib 1:30 ghanta jaisa ho gaya.vaha se aate huye hum sab(mere,sunny, Aarti,Aslam aur shakil) ke bags bhi leke aaye.

Khana already ban gaya tha par maine kapde nikale bag mein se aur nahne chala gaya.Jab maine nah liya to maine kapade dhoke balcony mein dal diye sukhane.main niche aaya to sab mera hi intezar kar rahe the isliye main unke paas jake baith gaya.

Khane mein chawal aur chicken tha to mast pet bhar ke khaya hum sab ne phir kaffi chawal bache the to us bartan ko dhak diya.

Sab vahi baith ke baat karne lage to Akshay bola

Akshay:- Thanks humari jaan bachane ke liye agar tum log nahi aate to hum yahi mar chuke hote.

Phir un logo(khushali,Akshay, Sonu,Aarzu aur woh chaar logo) ka thanks vagera sab chala thode time.

Maine us family aur Akshay ke group aur Aarzu se pucha

Main:- Tumlog hamare sath chal rahe ho ya phir humse alag jaa rahe ho.

Akshay turant hi bol pada

Akshay:- Hum to tumhare sath hi aa rahe hai.

Mujhe uski baat sun hasi aa gayi par khud ko control kiya maine

Family mese vo aadmi bola

Aadmi:- Hum bhi tumhare sath hi chalenge.

Main:- Thik hai pehle intro ho jaye sabka.

Phir maine hum sab ka intro diya uske baad Aadmi bola

Aadmi:- Mera naam Chahak sanghavi ye meri biwi Krupali Shanghavi aur ye dono mere bete hai Vishal aur Dhruv.Vishal Dhruv se 3 saal bada hai.


Chahak ki age 35 se 40 ke bich hogi

Krupali ki age same hogi shayad.
Vishal ki age 15 something hogi

Dhruv ki 12 ya 13…..

Unka intro ho jane ke baad maine Aarzu ki aur dekha par vo to apne hi khayalo mein khoi huyi thi isliye Aslam ne usse pucha

Aslam:- Beti tum hamare sath chalogi kal ya phir dusri jagah jana hai tumhe.

Aarzu:- Nahi chacha main aapke sath hi chalungi ab mera koi nahi hai to kaha jaungi.

Main khada huaa aur ek room mein jake gadda leke aaya aur bola

Main:- Tum Log bhi so jao ab raat bohat ho gayi hai.

Main terrace pe chala gaya kyunki ghar mein A.C to thi nahi aur ghar ke aas paas nahi koi building ke aisa kuch tha isliye hawa mast aayegi ye soch ke gaya tha.

Terrace pe mujhe khatiya dikhi to uspe gadda dal ke mast pasar gaya uspe kuch hi min mein neend aa gayi.

Subah main utha aur sab ko uthaya aur nah ke same kapde pehan liye aur jo sikhane dale the vo sukh gaye the isliye usko apne bag mein daal diya.jaise hi main niche aaya to Sunny ne chawal fry kar diye the to sabne nasta kiya.

Main Sunny se bola

Main:- Sunny main aur shakil ghar ke aas paas dekh ke aate hai agar gadi mil gayi to achha hoga hume aasani hogi aage ka rasta katne mein.

Sunny:- Itne log aayenge kaise car mein.

Main:- Agar ek gadi mil gayi to usko leke hum dusri gadi dhund sakenge agar kuch bhi na mila to paidal hi nikal jayenge Tab tak tu sab jaruri chize ek kathha karke pack kar.

Ye bol main aur Shakil nikal gaye gadi dhundh ne.

4 se 5 km gaye honge hum phir bhi hume koi acchi gadi na mili mil bhi to bina kaam ki.

Hum thodi aur dur gaye to hum ek
TRACTOR-TROLLEY dikhi to hum ne paas jake dekha to usme already FUEL(DIESEL) tha
Jo kafi tha ghar tak pahuchne ke liye.

Shakil aur main baithe Tractor pe aur Shakil ne tractor start karke chala diya Ghar ki taraf…......





****************************************
Update:-17
1076 Words hai....


Read and Have Fun👍🤘
Osm update wahla
 

Asimtezabwala

New Member
84
202
33
Update:-18







{Petrol pump & Motels}







Main aur Shakil Ghar pohche to shakil ne tractor Ghar ke just bahar rok diya.

Hum tractor se uttar ke Ghar ke andar chale gaye.Adar jaake dekha to Sunny aur sab se jaruri saman pack kar rakha tha.

Maine aur Shakil ne diesel ke can liye aur chale gaye tractor ki taraf aur usme diesel dalne lage.4 diesel ke can khali kiye tab jaake tractor ki tanki bhari. Tractor ki tanki bhi 60 litres ki thi.

Jab tanki bhar rahe the tab Aslam Sunny Akshay Sonu khushhali Aarzu Aarti Chahak aur uski family ne milkar sab saaman aur mere shakil ke bags bhi la diye the.

Hum sab ne mil ke Saman Trolley mein chada diya aur Jo khetiwadi karne ke Auzar the unko bhi rakh diya trolley mein Kyunki vo Auzaar ab hathiyar mein kaam lagenge. Sab ek bar check kiya aur Fir nikal Gaye Kotda ki taraf.

Shakil tractor chala raha tha main Akshay sonu aur chahak aage the aur baki ke log Trolley mein baithe the.


Kotda mein jake hum medicine aur stores se kuch jaruri saman leke wapas highway pakad ke Ahmedabad jana tha.Kotda chota tha isliye vaha easily sab kar sakte the.

Dusri koi badi city mein risk nahi le sakte the aur ab to choote bache bhi hamare sath the.

Subah karib 8:20 baje ke aas paas us ghar se nikale the 12 baje tak hum
Kotda city mein the.

Jaise hi maine medical shop dekhi to maine shakil ko bol ke tractor uske paas rukva diya. main utra aage se.Sunny Aslam aur aarti piche trolley mese utre.

Medical shop ke shatter ko tala mara huaa tha dono side isliye maine aur Aslam ne bada sa pathhar dhunda aur tale pe marne lage.

Jab main aur Aslam tale pe pattar maar rahe the to baki sab chokkane bhi ho gaye the Kyunki aawaz se zombies chale aate hamare paas.

Kuch hi min mein tala toda maine aur Aslam ne phir main Aarti aur Aslam andar gaye medical shop mein pehle pura clear kiya uske baad aarti lagi jaruri medicine nikal ne mein.

Maine sab khane ke jo packets the vo bhi le liye aur aarti ne bhi jiruri medicine ka thela bhar diya tha isliye hum log nikale bahar aur sab apni apni jagah pe baithe gaye.

Sab ke baith te hi shakil ne tractor vaha se mod diya highway ki taraf ab hamara next stop tha
Ahmedabad ki Sabarmati River(nadi).

3 baje ke aas paas hum highway bhi pahuch gaye the.Shaam ko 5 baj te hi maine Aslam ko shakil ki seat pe la diya aur usko piche trolley main bhej diya Aur sonu chahak Akshay ko bhi piche bhej diya taki unko aaram mil sake.Sunny ko aage la diya.

Isse sab ko pani pine ka aur nikal ne ka break bhi mil gaya.

Aslam ne chala diya tractor wapas hamari mazil ki taraf. Tractor ko bhi jyada speed mein nahi jane de rahe the aur hume jaldi bhi nahi thi. Hum sab petrol pump check karte aa rahe the par sab khali the.

Road pe humne Gadi bhi dekhi par sab tuti futi mili hum ko.Bich highway pe hume
MOTEL dikha to maine Aslam ko bola

Main:- Chacha vaha hotel ke paas le chalo.Vo hotel clear karte hai aur aaj ki raat usme hi kaat lenge.

Meri baat sun Aslam tractor hotel ki taraf le jane laga.Hotel ke paas jake Aslam ne tractor khada kar diya.

Main Sunny Aarti Aslam Akshay khushali sonu aur Chachak utre niche.

Main bola sab se

Main:- main sunny khushali Aarti aur sonu andar jake hotel clear karenge baki sab yahi khade raho.

Kyon Ki sab ko zombies ko maar na sikhna padega.

Aslam:- sahi kaha Vkey tumne aur tum sab apne apne hathiyar lelo.

Hum gaye apne apne hathiyar leke hotel ke darwaze ke paas aur darwaza zor zor se bajane lage to receptionist counter se ek ladki jo zombie ban gayi thi vo aayi.

Usko dekh hum pichhe hatane lage aur main bola

Main:- is zombie ko khushali aarti aur sonu marenge…..

Vo ladki zombie jaise hi hamare paas aayi to Aarti ne kiye pehla war hockey se uske thobde pe par vo giri nahi vo zombie ulta Aarti ki taraf badhne lagi uska fayda uthake khushali ne kiya dusra war Lohe ki nal ki pipe hoti hena usse us zombie ke sar pe kiya aur phir kiya tha vaha se aarti aur yaha se khushali var pe var kar ke us zombie ko leta ke us ke sar ka kharbuja bana diya.Sonu ka to chance bhi nahi aaya.

Dono
RANI LAXMI BAI bani huyi thi agar hum mese koi bich mein padta to hum ko bhi pel deti dono mil ke.

Jab vo zombie hilna bandh hui tab vo dono ruki to main bola

Main:- Wah kya mast picture dikhai tum dono ne.

Meri baat sun sab has diye aur sonu bola

Sonu:- Abse main meri Girlfriend (Khushhali) ko hi aage karunga aisi situation mein.

Sunny:- Hum ko kab batane wala tha tu ki ye teri GF hai.

Sonu:- Time hi nahi mila batane ka.

Main:- Chalo ab andar pehle kitchen clear karenge ek kitchen ke darwaze ke paas khada rahega kitchen clear karne ke baad sab rooms clear karenge.

Kitchen mein guse to vaha koi Zombie nahi tha uske baad humne ek ek kar sab rooms clear kiye.

Pure hotel mein hume sirf ek hi zombie mila tha.Puri hotel clear karne ke baad hum bahar aaye aur hum sab ne hamara saman ek ek kar andar hotel mein rakh diya Shakil bhi uth gaya tha to usne bhi hamari madad ki.

Uske baad hum mese kuch mil ke khana pakane mein lag gaye to main chala gaya nahne.

Nah Ke kapde dho ke sukha diye aur niche aaya to khana bhi ready tha.

Hum sab ne milke khana khaya uske baad hum sab ne decide kiya ki 2 jan jagenge aadhi raat tak uske baad dusre 2 jan unki jagah lenge.

To Aslam aur sonu ki pehli sift lagi jagne ki uske baad meri aur Akshay ki

Main are Akshay niche hi receptionist area mein so gaye.Aslam aur sonu hamare paas hi ruk gaye baki sab apna apna kamra select kar ke usme chale gaye........





****************************************
Update:-18
1061 Words hai....


Read and Have Fun👍🤘
Osm update wahla
 

Dude175

2nd Id Of BlooBath175
184
514
63
Update:-9





{Near to death}






Maine gadi full speed mein jaane di aur zombies ke herd ke thodi dur khadi kar ke bandh kardi gadi.

Main sab ko bola

Main:- Gadi ke sab shishe upar kardo aur koi bhi awaz mat karna.Zombies aawaj ke jariye jan pate hai sab.zombies ko kuch dikhta nahi hai vo sirf aag aur aawaj ka picha karte hai.

(Aag ki garmi se vo kiche chale aate hai)

Sab ne mere kahe anusar kar diya.
Ab hume zombies ke herd ka wait karna tha.

Kab woh hamse aage nikale aur hum aage badhe hamari manzil ki Taraf.

Jaise jaise time guzarta gaya vo paas aate gaye aur hum chup chap gadi ke andar shushe bandh karke ek dam khamosh baithe the aur zombies ke nikal jaane ka intezar kar rahe the.

Gadi mein itna sanata tha ki hum ek dusre ke saans lene ki aawaj ko bhi sun sakte the.Hum sab ka pasine se bura haal tha.

Hum Sab ko yahi dar tha ki aane wale kuch pal mein kiya hoga kyon ki aane wale pal mein ya to hum sab zinda yaha se nikalenge ya phir zombies banke inke sath ghumenge.

Kuch der baad zombies hamari gadi ke paas se nikal ne lage aur unki gurrane ki aawaz hame saaf saaf andar sunai de rahi thi.Sab ke dil mein dar tha.

Par kuch min baad jab zombies ka herd hamare paas se gijur gaya to hum sab ne rahat ki saans li.

Zombies ke herd ko humse dur jane ka Maine wait kiya aur jab hamari gadi se kafi dur chale gaye to maine gadi start ki aur hum nikal gaye vaha se.

Abhi hum ko mout ke muh se nikale huye aadha ghanta huaa tha ki samne ek aur zombies ka herd dikha hume.



Ye wala zombies herd chota tha unse par hum lad nahi sakte the inse.maine bhi gadi vahi rok di.

Main bola

Main:- To ab kiya karna hai jaisa humne piche kiya vaisa hi yaha karna hai ya fir koi aur rasta hai to batao.

(Inko puchna bhi zaroori tha kyunki sab ki ray lena mera fraz tha.Sab ko apna faisla lena unka haq hai aur yaha to jindagi or mout ka faisla lena tha)

Aarti:- isme socha na kiya hai jo humne kiya tha vo hi karenge.


Aslam chacha:- ha aarti beti sahi bol rahi hai aur dusra koi rasta to hai nai hamare paas iske alawa.

Unki baat sun maine gadi vahi bandh kar di aur sab ne gadi ke shishe upar chadha diye.

Main:- Sunny mujhe kuch gadbad lagti he yaha kyun ki hume Jaisalmer se aate time itne zombies kabhi nahi dikhe bhai.Jaise hi hum Gujarat border mein enter huye to hume 1 2 zombie to dikhe nahi sirf zombies ke herd hi dekhe hai ab tak.

Sunny:- Koi shayana inhe bahar nikal raha hai aur aawaz kar kar ke inhe yaha chod raha hai taki koi dusre State se andar na gus sake.


Sunny itna bola hi tha ki aarti boli

Aarti:- Dusro ne enter kiya to unka kya bigde ga.

Aslam chacha:- mujhe bhi samaj nahi aaya ki dusre state ke logo ko na aane dene se us ka kiya fayda hoga.

Sunny:- Bohat fayada hoga chacha jitne kam log itne kam rss istemal honge ruko pura samja ta hu.

Sunny ko maine bich me toka aur bola


Main:- zombies aa rahe hai chup ho jao sab.

Ye bol Maine samne ki taraf ishara kiya

Mera Ishara dekh jab sunny,chacha,Aarti aur shakil ne samne dekha to zombies ka herd hameri gadi ke bilkul karib aa chuka tha.

Hum sab vapas khamoshi se unke nikal jane ka intezar kar ne lage.

2 3 zombie to gadi se takra ke niche gir gaye the par vo vapas khade huye aur apne jund(herd) ke sath nikal gaye.

Kuch min baad vo hamari gadi se aage nikal gaye.Hum sab unko dekh rahe the aur unko hamse dur jane ka hm intezar kar rahe the.

Jab zombies ka jhund humse kafi dur chala gaya to Sunny ne apni baat continue ki

Sunny:- Dusre logo ke na aane se un sab ko ye fayda hoga ki petrol khana aur jaruri chize sirf unke liye hi reh jayegi isse vo kuch aur din nikal sakte hai.

Aslam chacha:- ye log aisa kar rahe hai to phir dusro ka kiya hoga.

Main:-Chacha jab baat jaan pe ban aaye to sab selfish ho jate he aur aisa karna hi samajhdari hai tabhi aap in halato se nikal sakoge aur kuch hafte ya fir kuch mahine zinda reh paoge.

Aarti:- Tum hamesha aisi hi bate karte ho.

Maine gadi ka sheesha niche kiya aur gadi start kar ke nikal di vaha se.gadi chalate chalate maine aarti ka jawab diya

Main:- Maine konsi baat galat kahi maine to sirf jindagi ka sach bataya hai agar mere aur Sunny ke jaan pe ban aayi to main kisi ko bhi maar sakta hu aur usko maar ke kha bhi sakta hu.

Mere liye mera zinda rehna aur Sunny ko zinda rakhna ye sab se jyada aham hai.

Meri baat sun koi kuch nahi bola bolta bhi kiya kyunki maine almaas ko bhi maara tha jaan se aur uska pachtawa bhi nahi tha mujhe.

Main chahta to almaas ko vahi adar library mein zinda bandh kar sakta tha par aisa karne se vo zombie mein tabdeel ho jata aur jo koi bhi aata unke jaan ko khatra hota Almaas se isliye uska marna behtar tha.

Main gadi chala raha tha to mujhe fuel pump dikha to vaha se thodi dur gadi rok di.

Kyunki main chance nahi lena chahta tha.Gadi ki aawaj sun zombie hamari taraf aa jate jisse hume hai mushkil hoti.

Main gadi mein hi bola sab ko

Main:- Yahi utar te hai aur aap sab ko pata hai ki kiya karna hai aage ab.

Shakil:- yaha kyu bhai

Main:- kyunki bhidu agar vaha gaye aur zombies huye toh hamari gadi ke aawaj se humari taraf aa jayenge.

Shakil:- samaj gaya bhai.


Hum sab gadi se utre aur pump ki taraf paidal jane lage




Life Is Near To Death.


******************** Update:-09
1037 words hai.....

read and have fun
🤘

😍👌
 

Dude175

2nd Id Of BlooBath175
184
514
63
Update:-10





{Wrong Turn}






Vahi dusri taraf ....



Akshay gadi chala raha tha sonu uske baju mein baitha hua tha aur khushhali piche baithi thi.

Akshay bola sonu aur khushali se

Akshay:-Vkey aur Sunny dono pagal hai acha hua hum alag ho gaye unse varna hum bhi mare jaate Vkey sunny Aslam aur vo ladka aur ladki ki tarah.

(Jub Akshay sonu aur khushhali hum se alag huye to vo log kuch dur jakar wapas aaye hame dekhne ki hum bach gaye ya hum fas gaye hai zombies ke bich.

Akshay sonu aur khushali madad hi karne aaye the hamari par unhone jab hamari gadi ko zombies se ghere dekha to un logo ne vahi se U-Turn le liya aur samaj baithe ki Vkey sunny Aarti Aslam shakil mar chuke hai.

Akshay khushali aur sonu bhi sahi the kyunki humari gadi zombies ke bich mein thi aur Akshay khushali aur sonu ko Vkey ka plan pata nahi tha isliye.)

Khushali:- mujhe to Vkey pura pagal lagta hai. Sunny to phir bhi thoda sahi laga mujhe par Vkey to pura mental hai.

Sonu:- Apocalypse mein Vkey ka dimag hil gaya lagta hai.Is Apocalypse mein Vkey jaise pagal hi survive kar jaate hai kyunki wo kuch bhi kar gujarne ko taiyaar rehte hai.

Khushali:- Aise pagalo ki wajah se hum bhi kabhi jaan kho dete hai par jo bhi ho hume ek fayda huaa Vkey se usne hume rss(resources) de diye.

Akshay:- ha vo to hai sala kitna dimag lagta hai.Sab usko pata hai ki konsi chiz kaise istemal kari ja sakti hai ya phir future mein kaam aa sakti hai.Mujhe Lagta hai vo in sab mein trained hai.

Khushali:- hume kya ab to vo sab mar chuke hai ab unko yad karke ya phir unki baat karke hume kya fayda.

Sonu:- Sahi kaha tumne khushali ab khud ke bare mein sochna hai aur yaha se jaldi kisi safe jagah pohchna padega hume.

Kuch der gadi chalane ke baad unke samne 2 raste aaye to Akshay ne gadi rok di aur khushhali,sonu ki taraf dekh ke puchha

Akshay:- Hum kis raste se aaye the tum dono ko yaad hai.

Khushali:- Mujhe kuch yaad nahi hai aur waise bhi main piche baithi thi jab uncle gadi chala rahe the.

Sonu:- Main sure to nahi hu par hum shayad right se aaye the.

Akshay:- To chalo phir right ki taraf vaise bhi agar dusri jagah pohche to vo bhi to nahi jagah hogi hamare liye.

Ye bol Akshay ne gadi right side ki taraf mod di.

Thodi dur jaake Akshay ko petrol pump dikha to usne gadi petrol pump ke paas jane di aur bilkul pump ke paas jake rok di.

Gadi rok ke Akshay sonu khushali utre.Akshay ne gadi mein fuel dala jab tak Akshay fuel daal raha tha tab sonu ne chote chote drum nikal diye un mein petrol bharne ke liye.

Akshay khushhali aur sonu ne petrol pump check karna jaruri nahi samja Kyunki na to unko rss chahiye the na hi unko washroom jana tha.

Akshay ne gadi mein fuel bhara aur drum mein bharne ke baad Akshay sonu khushali gadi mein baith ke nikal gaye vaha se.

Karib 2 ghante gadi chalane ke baad Akshay ki bich raste pe gadi khadi hui Mili par Akshay ne gadi roki nahi ulta aur speed mein jane di.Akshay ne gadi thodi aage hi gayi thi ke unke gadi pe pathar barsne shuru ho gaye right aur left side se.

Phir bhi Akshay ne jane di gadi par Akshay sonu aur khushali 3no dar gaye the

Khushali boli

Khushali:- vo sab kiya tha pathar kaha se aa rahe the.

Akshay:- Hamare right aur left side se aa rahe the aur pathar marne wale bhi 2 log hi the Shayad.

Sonu:- Mujhe kuch sahi nahi lag raha hum galat raste pe aa gaye hai. I think we took the
"WRONG TURN".


Sonu ne itna bola tha ki Akshay ne gadi ki break mar ne ki koshish ki kyunki Akshay ke samne rasta pura block kiya hua tha.

Bich raste pe 3 gadiya padi huyi thi aur aage jane ki jagah bhi nahi thi to Akshay ne break mar ni chahi par Akshay ne break marne mein deri kardi kyunki Akshay ki gadi already niche feki hui lohe ki kil(Nail,Spike) ke upar se ja chuki thi aur gadi ke tyres puncher ho chuke the.

Gadi ko control kar pana Akshay ke liye muskil ho raha tha aur time bhi kam bacha tha.

Akshay hadbadi mein gadi road se niche utar di aur woh control kar pata usse pehle hi gadi paas ke ped se ja takrai.

Na to Akshay na sonu aur na hi khushali ne seat belt pehne the isliye gadi takra te hi Akshay ka sar laga steering wheel pe sonu gaya sida gadi ke aage ke kanch ki taraf aur khushali jo piche baithi thi uska sar takraya petrol gauge (petrol kitna hai vo batane ka metre) aur dusre jo indicates the use takraya.

Jatka itna heavy tha ki Akshay khushali aur sonu 3no hi unconscious(Behosh) ho gaye.

Jab Akshay ki aankh khuli to us ke apne aankho ke samne ghor andhera paya aur apne aas paas Nazar ghumane laga ye check karne ke liye ki wo hai kaha.

Andhere ki wajah se Akshay ko kuch samaj nahi paya to Akshay hilne dulne laga to khudko bandha huaa mehsus kiya.Akshay ke haath piche ki taraf aur pair bandhe huye the.

Akshay ko apne halat jan ke hi usko kuch anhoni ka aabhas hone laga.

Akshay ke paas wale kamre mein khushali aur Sonu dono Akshay Jaisi hubahu stithi mein the.Filal khushhali aur Sonu behosh the.

Kuch der baad ek Aadmi dakhil huaa Akshay ke kamre mein.Aadmi ke kadmo ki aawaz se Akshay ko andaza ho gaya tha ki koi uski aur aa raha hai.

Akshay ke dil mein dar bhi tha ki ab kya hoga khushhali sonu aur uska.

Akshay ne apni himmat jutate huye aur apni aawaz ko kathor karke jo shaks uske kamre me Dakhil huaa tha usse pucha

Akshay:- Kon ho tum? Mujhe yaha kyu rakha gaya hai.Mere sath jo mere Mitra (dost, friend) the vo kaha hai.

Akshay itna hi bola tha ki utne samay mein Vo aadmi us ke paas aa chuka tha aur Akshay ke halat dekh uski hasi chut gayi.

Aadmi:- Hhaaaahahaaaaa hahahahaha

Aadmi apni shaitani hasi hasa.....







********************
Update:-10
1077 words hai....



Read and Have fun🤘
Nice update
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
10,853
69,368
259
Update update update aj update ayega apke zombies ka start karne ke baad dheklo zombies story ki baaaadh agayi h
 

Groot 1

I am Groot.
265
515
63
Update:-9





{Near to death}






Maine gadi full speed mein jaane di aur zombies ke herd ke thodi dur khadi kar ke bandh kardi gadi.

Main sab ko bola

Main:- Gadi ke sab shishe upar kardo aur koi bhi awaz mat karna.Zombies aawaj ke jariye jan pate hai sab.zombies ko kuch dikhta nahi hai vo sirf aag aur aawaj ka picha karte hai.

(Aag ki garmi se vo kiche chale aate hai)

Sab ne mere kahe anusar kar diya.
Ab hume zombies ke herd ka wait karna tha.

Kab woh hamse aage nikale aur hum aage badhe hamari manzil ki Taraf.

Jaise jaise time guzarta gaya vo paas aate gaye aur hum chup chap gadi ke andar shushe bandh karke ek dam khamosh baithe the aur zombies ke nikal jaane ka intezar kar rahe the.

Gadi mein itna sanata tha ki hum ek dusre ke saans lene ki aawaj ko bhi sun sakte the.Hum sab ka pasine se bura haal tha.

Hum Sab ko yahi dar tha ki aane wale kuch pal mein kiya hoga kyon ki aane wale pal mein ya to hum sab zinda yaha se nikalenge ya phir zombies banke inke sath ghumenge.

Kuch der baad zombies hamari gadi ke paas se nikal ne lage aur unki gurrane ki aawaz hame saaf saaf andar sunai de rahi thi.Sab ke dil mein dar tha.

Par kuch min baad jab zombies ka herd hamare paas se gijur gaya to hum sab ne rahat ki saans li.

Zombies ke herd ko humse dur jane ka Maine wait kiya aur jab hamari gadi se kafi dur chale gaye to maine gadi start ki aur hum nikal gaye vaha se.

Abhi hum ko mout ke muh se nikale huye aadha ghanta huaa tha ki samne ek aur zombies ka herd dikha hume.



Ye wala zombies herd chota tha unse par hum lad nahi sakte the inse.maine bhi gadi vahi rok di.

Main bola

Main:- To ab kiya karna hai jaisa humne piche kiya vaisa hi yaha karna hai ya fir koi aur rasta hai to batao.

(Inko puchna bhi zaroori tha kyunki sab ki ray lena mera fraz tha.Sab ko apna faisla lena unka haq hai aur yaha to jindagi or mout ka faisla lena tha)

Aarti:- isme socha na kiya hai jo humne kiya tha vo hi karenge.


Aslam chacha:- ha aarti beti sahi bol rahi hai aur dusra koi rasta to hai nai hamare paas iske alawa.

Unki baat sun maine gadi vahi bandh kar di aur sab ne gadi ke shishe upar chadha diye.

Main:- Sunny mujhe kuch gadbad lagti he yaha kyun ki hume Jaisalmer se aate time itne zombies kabhi nahi dikhe bhai.Jaise hi hum Gujarat border mein enter huye to hume 1 2 zombie to dikhe nahi sirf zombies ke herd hi dekhe hai ab tak.

Sunny:- Koi shayana inhe bahar nikal raha hai aur aawaz kar kar ke inhe yaha chod raha hai taki koi dusre State se andar na gus sake.


Sunny itna bola hi tha ki aarti boli

Aarti:- Dusro ne enter kiya to unka kya bigde ga.

Aslam chacha:- mujhe bhi samaj nahi aaya ki dusre state ke logo ko na aane dene se us ka kiya fayda hoga.

Sunny:- Bohat fayada hoga chacha jitne kam log itne kam rss istemal honge ruko pura samja ta hu.

Sunny ko maine bich me toka aur bola


Main:- zombies aa rahe hai chup ho jao sab.

Ye bol Maine samne ki taraf ishara kiya

Mera Ishara dekh jab sunny,chacha,Aarti aur shakil ne samne dekha to zombies ka herd hameri gadi ke bilkul karib aa chuka tha.

Hum sab vapas khamoshi se unke nikal jane ka intezar kar ne lage.

2 3 zombie to gadi se takra ke niche gir gaye the par vo vapas khade huye aur apne jund(herd) ke sath nikal gaye.

Kuch min baad vo hamari gadi se aage nikal gaye.Hum sab unko dekh rahe the aur unko hamse dur jane ka hm intezar kar rahe the.

Jab zombies ka jhund humse kafi dur chala gaya to Sunny ne apni baat continue ki

Sunny:- Dusre logo ke na aane se un sab ko ye fayda hoga ki petrol khana aur jaruri chize sirf unke liye hi reh jayegi isse vo kuch aur din nikal sakte hai.

Aslam chacha:- ye log aisa kar rahe hai to phir dusro ka kiya hoga.

Main:-Chacha jab baat jaan pe ban aaye to sab selfish ho jate he aur aisa karna hi samajhdari hai tabhi aap in halato se nikal sakoge aur kuch hafte ya fir kuch mahine zinda reh paoge.

Aarti:- Tum hamesha aisi hi bate karte ho.

Maine gadi ka sheesha niche kiya aur gadi start kar ke nikal di vaha se.gadi chalate chalate maine aarti ka jawab diya

Main:- Maine konsi baat galat kahi maine to sirf jindagi ka sach bataya hai agar mere aur Sunny ke jaan pe ban aayi to main kisi ko bhi maar sakta hu aur usko maar ke kha bhi sakta hu.

Mere liye mera zinda rehna aur Sunny ko zinda rakhna ye sab se jyada aham hai.

Meri baat sun koi kuch nahi bola bolta bhi kiya kyunki maine almaas ko bhi maara tha jaan se aur uska pachtawa bhi nahi tha mujhe.

Main chahta to almaas ko vahi adar library mein zinda bandh kar sakta tha par aisa karne se vo zombie mein tabdeel ho jata aur jo koi bhi aata unke jaan ko khatra hota Almaas se isliye uska marna behtar tha.

Main gadi chala raha tha to mujhe fuel pump dikha to vaha se thodi dur gadi rok di.

Kyunki main chance nahi lena chahta tha.Gadi ki aawaj sun zombie hamari taraf aa jate jisse hume hai mushkil hoti.

Main gadi mein hi bola sab ko

Main:- Yahi utar te hai aur aap sab ko pata hai ki kiya karna hai aage ab.

Shakil:- yaha kyu bhai

Main:- kyunki bhidu agar vaha gaye aur zombies huye toh hamari gadi ke aawaj se humari taraf aa jayenge.

Shakil:- samaj gaya bhai.


Hum sab gadi se utre aur pump ki taraf paidal jane lage




Life Is Near To Death.


******************** Update:-09
1037 words hai.....

read and have fun
🤘

😍👌
 

Ragnarok

Member
374
1,303
123
Story sahi disha mein ja rahi hai but knhi knhi mujhe dialogue dhile lage jaise kayi jagah pr character ke dialogue se aisa lgta hai wo khud ko proof krne ki koshish kr raha hai ... I know Abhi build up hoga..all over story abhi tak perfect hai
 
Top