Update 76 part 2
Sana ab us ladke ke baare mein sochkar bahut guilt feel kar rahi thi usko andar hi andar bahut dukh hota hai ki usne kisi dusre ghair mard ke baare mein socha hai .
Sana man mein - mein bahut buri hun shayad. mein aryan ka alawa kisi ke baare mein aise soch bhi kaise sakti hun usne mere liye meri behan ruksana tak ko reject kar diya par mein shii mujhe ab khud par gin aa rahi hai
Sana yeh notice kar rahi thi ki woh ladka uske bilkul paas khada hai
Arun- hi shayad mein agar galt nhi hun toh aapka naam sana hai woh abdul ji ke badi ladki
Sana ab us ladke ki taraf normally hi dekhti hai kyunki woh has ke usko signal nhi dena chahti thi
Sana- kya mein aapko janti hun
Arun- ji nhi par mein apko achhe
se janta hun aur sach kahu toh aap toh bahut khubsurat hai maine apki bahut photos dekhi hai par apko aise sakshat dekh kar lag raha hai ki camera apki khubsurati ko achhe se capture nhi kar paya
Sana arun ki baat Sunkar gusse mein aa jati hai usko apni tarif se toh koi dikkat nhi thi par woh arun ko yeh message nhi dena chahti thi
Sana- oye mr mein toh tumhe janti bhi nhi aur tumhe mera naam kaise pta chala Sath mien tumne meri photos kaha se dekh li dekho mein ek shadishuda aurat hun isliye agar tumhe lgta hai tumhari mere sath koi daal gal jayegi toh bhul jayo
Arun - are nhi nhi sana ji aap galat samajh rahi ho darasal mein apko papa ko kafi acche janta hun
Sana- toh kya ho gya mere abbu ko aadha MP janta hai dekho tum koi bhi ho mujhe usse kya yahan se jao agar mere husband ne tumhe mere sath baat karte hue dekh liya toh woh tumhara muh tod denge
Arun - apka husband kuch nhi karega dekhiye aap gussa kyu kar rahi ho maine kaha na mein apke papa ko achhe se janta hun chinta mat kijiye shayad aap jaisa soch rahi hai aisi koi baat nhi hai
Sana man mein- aakhir yeh ladka hai kon
Sana- toh laddu bantu agar tum mere abbu ko jante ho dekhiye bhai aap jayo mujhe apse koi lena dena nhi hai waise bhi mujhe apka naam tak nhi pta aur aap mujhse sidha baat karne aa gye kitni galat baat hai aur mujhe apse baat karna mein koi interest nhi hai isliye dur hatto mujhse
Arun- by the way mera naam Arun hai dekhiye bura mat maniyega mujhe laga tha ki apse milkar bahut achha lagega par sach kahu toh bilkul bhi acha nhi laga aap bahut gusse wali hai
Sana- bahut bakwas kar li tumne ladke ab niklo yahan se nhi toh thapad maar dungi
Arun- mujhe lagta hai mujhe apse baat hi nhi karni aana chahiye tha aap bahut rude ho
Arun sana se baat karte hue sirf smile kar raha tha aur sana usse puri tarah chirr gyi thi tabhi aryan bhi arun ko dekhta hai aur uske paas aane lgta hai
Sana man mein - are yaar mr immature bhi aa gya ab yeh is ladke ko galiya dega aur kya pta koi thapad wapad bhi maar de aaj ka din hi khrab hai mujhe kya ab khaye yeh thapad maine toh pehle hi samjhaya tha ki yahan se chalta bane
Aryan ab arun ke pass usko gale se laga leta hai
Arun - kaisa hai aryan 1.5 saal ho gye yaar tujhse mile huye
Aryan- bas badiya hun aaj kya baat hai kisi date par jaa raha bada taiyar shaiyar hua hai
Aryan- kahan yaar tujhe lgta hai mein koi date par jaa sakta hun mere se yeh sab nhi hota bhai
Aryan - tu abhi bhi nhi badla waise tum meri patni se mile
Aryan- sana yeh mera dost hai Arun isse hi mein Milne aaya hun
Sana man mein - kya yeh hai aryan ka dost mujhe yakeen nhi hota ki koi itna gentleman type ladka bhi mr immature ka dost ho sakta hai
Arun - han bhai mila toh hun par tumhari wife bahut gusse wali hai shayad yeh toh mujhe thapad marne wali thi
Aryan - kya sach mein
Aryan ab sana ki taraf dekhta hai
Sana- sorry ji mujhe nhi pta tha ki yeh apke dost hai
Arun - koi baat nhi maine hi apko aise approch kar ke galti kar di shayad aryan ke aane ke baad apse baat karni chahiye thi aur agar mein keh deta ki mein aryan ka dost hun toh aap mujhse aise baat nhi karti
Sana- sorry mujhe laga aap mere upar chance maar rahe hai isliye mein gussa mein bol rahi thi
Aryan- kya are yeh tum kya bol rahi ho aur kya bhai tumne meri biwi ko aisa bhi kya bol diya ki usko aisa laga
Arun - kuch nhi maine bas bola ki aap bahut khubsurat hai
Aryan - kya bhai itna bada jhuth tumne kaise bol diya
Sana- aryan ji ( gusse mein )
Sana man mein - tum ghar chalo mr immature phir tumko btati hun bahut baatein aa gya hai tumhe
Aryan - are baby mazak kar raha hun aur kya be arun tune aate hi meri biwi ke sath flirt karna shuru kar diya are yaar tu woh hi hai na jo ladkiyon se achhi tarah baat nhi kar paata tha
Arun- bhai yaar ab thoda change ho gya hu par nhi yaar inke sath flirt kar ke maine tere se maar khani hai mein toh bas sach bol raha tha
Aryan - chal ab baith bhi jaa kab tak aise hi khade hokar baatien kartien rahenge
Aryan aur arun table par baith jaate hai aur arun sab ke liye coffe ka order deta hai
Sana - sorry arun ji maine apse badtamizi ke sath baat ki
Arun- dekhiye aise sharminda mat kijiye mujhe. aap mere bhai ki wife hai toh agar aapne thoda kuch bol bhi Diya toh kya hi ho gya
Sana arun ki baat sunkar thoda sa smile karti hai
Aryan - ab tum logo ka sort ho gya toh hum baat kar sakte hai
Arun - han kyu nhi woh hi toh karne aaya hun mein
(Arun aisa bolkar ekbar sana ki taraf dekhta hai aur sana hesitation mein aakar apna sar niche kar leti hai aur tabhi unki coffe bhi wahan aa jati hai )
Arun - par usse pehle mujhe ek chiz dikhani hai tumhe aryan chaloge
Aryan - han kyu nhi
Arun- sana ji aap apni coffe enzoy kijiye hum zara abhi aaye
Sana ab apna muh han mein hila deti hai
Aryan aur arun dono ab cofee shop bahar chale aate hain aur arun aryan par thoda gussa karta hai
Arun- tu inko yahan par kyu lekar aaya tujhe pta nhi tha ki humne kya baat karni thi
Aryan - woh mere sath thi isliye lekar aana pada
Arun - toh charlie inko ghar chorrkar aata na
Aryan - nhi aa sakta hun mujhe kaam ke liye pehle hi bahut late ho gya hai
Arun - achha chorr yeh sab kaam ki baat karte hai
Aryan - han toh bol kon the woh log
Arun ab aryan ko kuch cars aur weapon ki photos dikhata hai
Arun - yeh dekh in cars ne tere upar hamla kiya tha yeh sab ki sab bahar kisi dusri State ki cars hai aur unme weapon dekh sab ke sab automatic hai ek bhi koi ghatiya hathiyar nhi
Aryan - BC par yeh log hai kon
(Aryan unke hathiyaron ki photo dekh kar thoda chonk gya tha )
Arun- mujhe koi professional killers lag rahe hai par yeh koi local gang ka kaam nhi hai filhal itna toh mein sure hun
Aryan- par yeh mujhe samajh nhi aa raha ki yeh mere piche kyu pade hai
Arun - ho sakta hai yeh teri wife ke piche ho aakhir kaat itne bade business man ki ladki hai woh
Aryan- par phir bhi isko koi wajah bhi toh honi chahiye
Arun - ab wajah kya hai yeh toh khabriyo ko active mode mein lane ke baad hi pta lagega jo ki mein kar chuka hun aur tu chinta mat kar mein zaldi hi pta laga ke tujhe bta dunga
Aryan - par pehle yeh bta ki tu mujhe yeh sab kyu btayega tera kya fayda hai isme
Arun - pehli baar toh hum dost hai aur dusra dilawar chacha bahut serious hai ki koi dusri badi gang ka banda is shehar mein kasam bhi na rakh sake isliye yeh ab sirf tera matter nhi hamara matter ho gya aur tu bhi toh hamari family hai isliye chacha ke kaha ki 2 gadiyan hamesha tere ghar ke bahar tujhe aur teri family ko protection dengi isliye tu tension free hoja tujhe hamare sath kaam karne ki koi zarurat nhi filhal
Aryan yeh baat sunkar thoda tension free ho jaata hai aur yeh bhi sochta hai ki shukar hai ki woh dilawar ke liye kisi time par kaam karta tha aur dilawar bhi uska is mushkil waqt mein sath de raha hai
Aryan - shukriya dost tera aur dilawar bhai ka yeh ehsan mein hamesha yaad rakhunga
Arun - kaisa ehsan bhai tune kya mere upar ehsan kiya tha jab toh mere liye akele ek gang se lad gya tha aur meri jaan bachai thi
Aryan - teri baar sunkar woh purane din yaad aa gye
Arun - tu rehne de mat yaad karo un dino ko ab teri shadi ho gyi hai apni zimmedari par dhyan de in salo ka mein sambhal lunga
Aryan arun ki baat sunkar thoda tension free ho jata hai par phir bhi usko apni parivar ki chinta hoti hai
Aryan aur arun ab thodi dusri important baatien discuss karte hai aur sana ke paas aa jate hai jo is waqt apni cofee pi rahi thi
Sana- bahut late ho gye aap dono aisi bhi kya baatien kar rahe the
Arun- kuch nhi bas mein isko apni nayi car dikha raha tha
Sana car ki jab baat sunti hai toh uske chehre par ek chamak aa jaati hai
Sana- kya sach mein are toh mujhe bhi lekar chalte arun ji maine apki car dekhi hai woh bahut kamal ki hai sach mein
Aryan- phir kabhi dekh lena hume ab jaana chahiye chalo
Arun - par pehle coffee toh pi le
Aryan - nhi yaar sorry abhi nikalna chahiye Hume tere ko btata na mein bahut late ho gya hu.
Arun - chalo thik hai milte hai phir waise milne se yaad aaya tu aa raha hai na parso party pe sana ji ke sath
Aryan - han na bilkul kyu nhi
Sana man mein - konsi party isne toh mere se koi party ka zikar tak nhi kiya
Sana- konsi party aryan ji apne toh ek baar bhi zikar nhi kiya
Aryan - are btaya toh tha tum shayad bhul gyi hogi
Sana- achha toh mein bhul gyi thik hai aap bol rahe ho toh btaya hi hoga
Sana man mein - abhi bhi aryan tum mujhse baatien chupate ho koi kadar nhi hai tumhe meri na hi tumne sapne wali baat btayi aur na hi yeh party wali tum abhi bhi bilkul nhi badle
Aryan man mein - pehle aaj maa band bajayegi phir yeh ab mein kya bahana lagaunga
Aryan- achha arun bye dost ab hum chalte hai
Arun - ok toh milte hai party pe
Aryan ab arun ke gale lgta hai phir arun apna hath sana se milane ke liye aage badata hai
Arun - sana ji apse yeh mulaqat toh thik hi rahi shayad hamari agli mulaqat isse toh achhi ho waise aap se milkar achha laga
Sana ab aryan ki taraf dekhti hai ki woh arun se hath milaye yah nhi aur aryan hath milana ka ishara kar deta hai
Sana bhi ab arun se hath mila leti hai
Sana- han kyu nhi arun ji bilkul aur mujhe bhi apse milkar achha laga sach mein aur badtamizi ke liye sorry
Arun- are aisa mat boliye shayad mujhe apko aise approch nhi karna chahiye tha meri hi galti thi
Sana ab arun ke sath normal ho gyi thi isliye woh ab smile bhi kar rahi thi
Sana- han woh toh hai yeh toh aryan ji aa gye nhi toh apke thapad par jaata
Aryan - ab tum logo ka ho gya ho toh sana jaldi karo mujhe nikalna hai kaam pe
Sana- are han chalte hai waise bhi bahut late ho gye hain
Arun abhi dono ko bye karta hai tabhi sana arun ke pass wapis aaati hai aur aryan bhi yeh dekh kar hairan ho jaata hai aur woh bhi un dino ke pass aata hai
Sana- waise aap mere abbu ko kaise jaante hai
Arun- kuch nhi bas ek do baar Mila hun business meetings mein par han hamari baat hoti rehti hai phone pe
Sana- kya sach mein waise arun ji maine suna hai ki abbu yahan patalkota aaye hai kya aap unse mile hai
Arun- nhi abhi toh nhi han par mujhe yeh khabar hai ki woh ek hafte se isi shehar mein hai
Sana- please agar aap unse mile toh ...
Sana ab bolte bolte chup ho jaati hai kyunki woh apni personal life ka kisi ghair ke aage zikar nhi karna chahti thi
Aryan man mein - is aurat ko bhi jab dekho apne baap ko lekar emotional ho jaati hai mujhe toh yeh samajh nhi aata iska khusat baap isko puchta bhi nhi hai aur yeh kya karti hai mujhe ab ispar gussa aa raha hai yeh arun ab hamare rishte ke baare mein kya sochega
Arun - ji boliye ruk kyu gyi
Sana- kuch nhi aap rehne dijiye mein khud hi unhe bta dungi achha arun ji bye kafi acha laga apse milke
Arun - ji mujhe bhi
Aryan - chalo sana bahut late ho jayega
Sana- han han thik hai chalo chalte hain waise bta du hum apki wajah se late huye hai
(Aryan sana ki baat ko koi jawab nhi deta )
Aryan aur sana ab wahan se chala jaata hai par jab sana wahan se jaa rahi thi toh arun ki nazar uske butt cheeks par thi aur woh sana ko man hi man bahut admire kar raha tha
Arun- yeh aurat bahut sexy hai BC saala charlie sach mein bahut lucky hai
Arun ab apni team ke kuch logo ko phone kar ke sana par personally nazar rakhne ko bol deta hai aur yeh bhi baat ka zikar karta hai ki aryan ko id baat ka kuch pta na chale
Arun ab wahan baithkar coffee pine lgta hai tabhi usko abdul ko phone aata hai aur woh smile karta hai
Abdul- hello
Arun- hello abdul ji kaise ho aap
Abdul- mein bilkul thik hun filhal par lgta nhi jyada der tak rahunga maine tumhe kitne paise diye par tumne abhi tak mera kaam nhi kiya aur dekho mein baar baar bol raha hun meri beti sana ko kuch nhi hona chahiye
Arun- aur apke damad ko
Aryan- woh kamina aaj marta hai mare mujhe usse koi lena dena nhi us din hi saala mar jaata toh achha hota
Arun- apko kya lgta hai abdul ji koi bhi ho charlie ko marna itna asan nhi hai woh kya chiz hai kisi din mein apko thik se btaunga
Abdul- dekho us dhokebaaz ka zikar mat karo woh kamine ne meri pyari bachi ko pta nhi kaise apne ghatiya pyar ke natak mein fasa liya hai
Arun- are aram se baat kariye mein apka damad nhi hun jo aap mere se is tarah chilla kar baat kar rahe ho
Abdul- achha thik hai par tum mujhse milne kyo nhi aaye mujhe tumse milna hai mein chahta hun tum hi yeh kaam personally sambhalo
Arun- mein thoda busy hun actually aaj kal isliye sorry mein apka kaam toh nhi kar sakta
Abdul arun ki baaton ko sunkar gusse mein aa jata hai
Abdul - mein tumhe aur dilawar sir ko kitne paise de chuka hun aur tum payment lene ke baad mana kar rahe ho mera kaam karne ke liye
Arun- dekhiye aapka kaam ho jayega mein apka kaam dheeraj ko somp raha hun woh bahut professional hai isliye aap zyada fikkar mat karo aur koi paise dene ki zarurat bhi nhi hai jitne diye hai utne bahut hai bas 3 crore aap mere farm house par bijwa dijiyega
Abdul - paise tumhe mil jayenge par koi galti nhi honi chahiye aur suno dhyan se meri bachi ko koi anch nhi aane chahiye
Arun - kuch nhi hoga dheeraj bahut professional hai woh apki beti ko kuch nhi hone dega baki apka kaam mein personally bhi check karta rahunga isliye fikkar karne ki koi zarurat nhi hai
Abdul - thik hai par mujhe is dheeraj se milna hai aakhir mein bhi toh dekhu kitna professional hai yeh
Arun- chinta mat kijiye woh apko khud apke hotel mein aakar mil lega baki waise ek baat btau mein abhi thodi der pehle apki beti se Mila hun
Abdul sana ka zikar sunte hi emotional ho jaata hai aur uski awaz mein apni beti ko lekar fikkar saaf dikh rahi thi
Abdul - kya sach arun woh thik toh thi na usko koi chinta pareshani toh nhi thi kaisi lag rahi thi usne kapde toh achhe pehne the na
Arun- are aap chinta kyu kar rahe ho apki beti bilkul thik hai aur woh apne husband ke sath bahut khush lag rahi thi
Abdul- isi baat ka toh dukh hai ki woh is dhokebaaz aur makkar ladke ke sath khush hai aur aakhir woh ek gareeb driver ke bete ke sath khush kaise reh sakti hai
Arun- chaliye kuch bhi ho woh khush toh hai na achha abdul ji mein ab phone rakhta hun abhi meri koi important deal hone wali hai isliye mein filhaal apse baat nhi kar sakta parso party mein Milte hai na baki ki baat tab kar lenge
Abdul - achha thik hai par meri beti ko kuch nhi hona chahiye
Arun- aap befikar rahiye sana ko kuch nhi hoga waise apki beti bhi apko bahut yaad karti hai
Abdul- mujhe pta hai
Arun - mein toh kehta hun ek baar aap apni beti se milkar aa jayiye uska mood thodi thik ho jayega
Abdul- jab tak meri beti us 2 kodi ke ladke ko talaq nhi deti mein usko milna toh dur ki baat usse baat bhi nhi karunga
Arun- itni narazgi bhi kya abdul ji mein toh kehta hu ki bhul jayiye ab jo hona tha ho gya
Abdul- abhi toh bahut kuch hona baki hai mein toh trailer dekh chuka hun ab woh kamina ladka puri film dekhega par meri sana ko kuch nhi hona chahiye
Arun- mein zuban deta hun kuch nhi hoga jab tak mein aur dheeraj personally yeh kaam sambhalenge uske baad ki koi guarantee nhi hai
Bhai bahut hi mast update hai

Sana na pheli baar Arun ko dekh ka galat fehmi pal li thi lekin sayad woh kahi na kahi sahi thi .
Aryan ko pta hi nhi ki jisa woh apna dost samajh rha hai , wahi dost uski biwi ka upar najar garya baith gaya hai ab.
Sayad jo log Aryan ko marne aaga tha woh iss Abdul na bheja tha , aur dilawar aj bhi Paisa ka liya hi kaam kar rha hai .
Sayad Aryan ka uss sapne Mai Arun hi tha mask pahena hua .
Ye Abdul bahut hi ghatiya aadmi hai , apni beti ko kabhi khus nhi dekh sakta bas apni baat ego pa la gaya ki uski beti na ek driver ka beta ka saath shaddi ki .
Bhai kahani apni peak mai chal rhi hai , bas ye aasha hogi ki ye dono Miya biwi ek dusre sa alag na ho .
Sana ko apna abbu ki sachai ka pta lag a chaiye , ise Sana ko pta lagega ki woh apna abbu ka liya emotional ho rhi hai wahi abbbu uska sohar ko marna chahta hai