sophistications
Active Member
- 989
- 1,006
- 138
Koi baat nhi bhaiya ...par bhaiya Sona ke sath kuch galat mat hone dena please bhaiya request please bhaiya ...baki story 1number hai bhaiyaUpdate chotta hai kyunki thoda busy hun aur mujhe pta hai ki story dhire dhire hi aage bad rahi hai par mere se aise hi likhi jaa rahi hai
Mast update hai bhaiUpdate 77
Sana ab chup chap apne room mein aati hai aur ab usne rona band kar diya .sana ab gusse mein aakar kisi dabbe se apna mangalsutra nikalti hai aur jaldi jaldi pehanane lgti hai aur phir thoda sa sindoor bhi laga leti hai
Sana man mein - maa ji ne aisa soch bhi kaise liya yaar ki mein mere mr immature ke baare mein aisa kuch soch sakti hun aur yeh sab karne sa kya sahi mein woh salamat rahega agar aisi baat hai toh mein yeh bhi karne ko taiyar hun par maine koi jaan bhujkar nhi kiya maa ko mere se aise baat nhi karni chahiye thi mere sath hi hamesha aise kyu hota hai woh aryan bhi hamesha mujhe baatien sunata rehta hai aur ab maa ne bhi mujhe daant diya
Sana ab udas si shakal bna kar baith jaati hai tabhi usko vicky ke number se call aata hai
Vicky - hello bhabhi
Sana man mein - yeh mujhe kyu phone kar raha hai
Sana - ji bhaiya boliye
Vicky - bhabhi aryan kahan par subah ke 10 phone kar chuka hun mein usko usne ek baar bhi mere phone ka jawab tak nhi diya mein isko koi free ki tankhwah thode na dene baitha hun
Sana ka gussa ab aur jyada ho jaata par kaise bhi kar ke woh khud ko sambhalti hai
Sana man mein- yeh ladka hamesha mujhe fasa deta hai mujhe toh kabhi kabhi lgta hai mein iski kam maa jyada hun kya hai yaar ab yeh vicky ka matter bhi mujhe solve karna padega pta nhi yeh aryan kab sudhrega
Sana- bhaiya actually baat yeh hai ki inki na tabiyat thodi khrab subah se ultiyan maar rahe the aur jab maine dawai di toh woh khakar so gye abhi 20 min hi huye abhi thodi unki tabiyat thik huyi hai mein unhe abhi Kehtu hun kaam par jaane ko
Vicky - achha toh yeh baat toh rehne dijiye bhabhi usko kahe ki rest kare koi baat nhi aur aise rudely baat karne ke liye maafi chahunga woh kya hai na yeh nhi aaya toh thoda kaam ruk gya hai isliye pareshan hun
Sana- aap chinta mat kijiye abhi aate hai yeh kaam par
Vicky - chaliye thik hai ok bye
Sana- ji bhaiya
Sana - yeh vicky itna bhi bura nhi hai mujhe toh lagta hai kafi understanding hai
Sana ab phir se aise hi udas si shakal bnakar baith jaati hai usko is waqt aryan par thoda gussa aa raha tha kyunki usko lag raha tha ki aryan ki wajah se usko daant padi thi tabhi aryan bhi sana ke room mein aa jata hai
Aryan jab room mein enter karta hai toh sana ko dekh kar smile karta hai aur sana gusse wala muh bnati hai .
post images
Aryan- aise kya dekh rahi ho darling jaan logi kya
Sana- dil toh yeh hi kar raha hai aur tum kya meri taraf dekh kar has rahe ho are han tum toh hasoge hi akhir joker ko karne kya aata hai hasne ke alawa.aryan tumhe maza aa raha tha jab maa mujhe daant rahi thi
Aryan - nhi jaana
Sana - kya nhi agar aisi baat nhi hai toh tum mere upar has kyu rahe the
Aryan ab sana ko jaakar gale laga leta hai aur uske gal ke sath apne gal touch karta hai aur sana bhi usko bahaon mein pigal si jaati hai
Sana- chorro mujhe
Aryan - par pakda toh tumne mujhe hua hai
Sana jab dekhti hai ki usne aryan ko apni bahon se pakad rakha hai toh woh aryan ki bahaon se chutne ki koshish karne lgti hai par aryan usko kahi nhi jaane deta
Aryan - are kahan jaa rahi hai
Sana- hatto nhi toh muh tod dungi tumhara
Aryan - apna size dekh pehle phir yeh baat bolna hai
Sana ab aryan ke sath ladne lagti hai aur uski bahaon mein halke se thapad marne lagti hai
Sana- tujhe kya pta hai mein apne college mein karate champion thi
Aryan ab uske hathon ko pakad leta hai
Aryan- han woh toh tujhe dekh kar hi lgta hai
Sana- aryan mere hath chorr de
Aryan ab sana ke hath mod deta hai
Sana - ahhhhh chorr mera hath pehle hi teri wajah se mujhe maa se daant pad gyi hai
Aryan ab aise hi sana ko samne karke usko gaal par kiss karta hai
Sana aryan ke aisa karne par muskra deti hai par phir gusse wala muh bna leti hai
Sana- bas karo baby mat karo yeh sab pehle tum mujhe rulate ho aur phir mujhe pyar kar ke mna lete ho
Aryan- maine kya keh diya yaar tujhe oye meri jana chal ab apna thoda mood sahi kar
Sana- kaise mood thik karu aryan tum khud hi btao maine aise bhi kya galti kar di ki jo maa ji ne mujhe itni baatein suna di ( gusse mein )
Aryan - tum maa se gussa ho
Sana- han hun bilkul yeh koi tarika nhi hota hai aryan are mein koi altu faltu nhi sunane wali tum btao na kya mein soch bhi sakti hun ki tumhe kuch ho jayo are yaar tum toh meri jaan ho
Sana ab aryan ko gas ke gale laga leti hai
Aryan- are aise emotional kyo ho rahi ho aur kya baat hai tumhe achha nhi laga jab maa ne tumhe mangalsutra pehanane ko kaha .kya sana tum yeh sab zabardasti kar rahi ho
Sana- nhi nhi baby mein bhi yeh sab karna chahti hun bas kabhi kabhi bhul jaati hun yeh sab pehanana kyunki yeh sab mere liye bahut nya hai
Aryan- tumhe sach mein koi dikkat toh nhi hai
Sana- naa
Sana- aryan
Aryan- hmm
Sana- tumhe bura laga ki Maine maa ji ke baare mein thoda gusse mein bola
Aryan ab sana ke cheeks ko apne hathon se pakad leta hai
Aryan - are nhi pagli par han agar ab maa aur tum 2- 3 mein sulah nhi kar loge toh mein tension mein aa jaunga
Sana- woh sab mujhe nhi pta mein nhi jaungi maa ke paas baat karne mana ki meri galti thi ki maine mangalsutra nhi pehna par aise kuch ulta sidha bolna kya zaruri tha unka
Aryan- dekho yeh tum dono ka matter hai tum khud hi solve karo par han mujhe koi drama nhi chahiye is mamle mein tumhari taraf se aur khana bhi time par kha lena
Sana- thik hai jaisa tum kaho par pehle tum yeh btao ki vicky bhaiya ko phone kyu nhi utha rahe the
Aryan- achha are han sana ruko mujhe koi kaam yaad aaya mein abhi aata hun
Aryan man mein - are yaar lgta hai yeh vicky ne isko phone kar diya
Aryan aisa bolkar room se jaane lgta hai aur Sana phir aryan ke hath ko pakad leti hai
Sana- kaha Jaa rahe ho meri baat ko jawab do
Aryan- kahan na mujhe koi kaam yaad aa gya
Sana- bahane mat bnao mr immature tumhe apni zimmedari ka ehsas bhi hai aur woh vicky bhaiya tumhe subah ke phone kar rahe hai kam se kam ek baar utha toh lete tum
Aryan - are kya yaar tum ab mujhe lecture de rahi ho
Sana- lecture nhi de rahi hun mein bas yeh samajha rahi hun ki chorr de sab ghatiya harqate aur ek achhe imandar aur mehnati insan bano
Aryan-achha thik hai baba tum aisa gussa mat karo mein ab jaata hun kaam par aur han tum hina ke sath karn bhai ke ghar akele hi chale jaana mein dinner par nhi aa payunga woh pakka mujhse overtime karayega
Sana- ruko baat suno tension mat lo maine unko keh diya Ki tum bimar ho
Aryan - kya par tumne aise kyu bola
Sana- dekho tum jao kaam par jyada aise tension mein mat aayo bas unke samne thodi acting kar lena bimar hone ki
Aryan- yaar yeh sab mujhse nhi hota
Sana- tumse hota kya hai
Aryan- woh hi jo kal saari raat kiya tha
Sana aryan ki baat sunkar blush karne lgti hai
Sana- kya yaar kabhi toh serious ho jaya karo jao niklo ab kaam par pehle hi tum bahut late ho gye ho aur thodi si acting hi toh karni hai
Aryan - tum bhi mujhse har baar fasa deti ho par koi na manage kar du
Sana- fasati nhi bachati hun tumhe woh toh bahut gusse mein the yeh toh maine bukhar ka bahana bna kar unki dant se bacha liya
Aryan - achha meri maa ehsan rahega tumhara toh mein chalta hun
Sana - dhyan se jaana aur han kuch kha bhi lena subah ke bukhe ho
Aryan - tum bhi kha lena ab niche jaakar
Sana- thik hai bye
Aryan- ok bye jaan
Sana- achha ruko suno idhar aayo
Aryan - kya hai
Sana- are idhar aao na
Aryan ab sana ke paas jaata hai aur sana pyar se uske gaal par ek kiss kar deti hai
Sana-l luv u aur thank u mujhe samajhne ke liye
Aryan - yaar tum kitni pyari ho mera toh dil hi nhi kar raha kaam par jaane ko soch raha hun ki bas aaj tumhare sath hi puri shama bita du
Sana- ek no ke kaamchor ho tum tumhe toh akal nhi hai bahut ho gya tumhara Aryan.....
Aryan-- are chup kar ja raha hun ek baak bolna shuru karti hai tjv chup nhi karti
Sana- niklo jaldi yahan se aur sidha kaam par jaana
Aryan - han han jaa raha hun madam ji kaam par hi jaa raha hun bye luv u
Sana- luv u 2
Aryan ab ab medical store par jaane ke liye nikal jaata hai aur sana ko bhi bukh lag rahi thi toh woh bhi niche kitchen mein chali jaati hai
![]()