musharrafh804
New Member
- 8
- 1
- 3
Bahut mast update hai bhaiUpdate 42
Morning 9:AM
Hina ki nind khul gyi thi par karn abhi bhi so rha hota hai .hina ab apne room se bahar ati hai tabhi usko kal ke incident yaad ati hai aur woh ab sana ko dhundne lgti hai par usko lag rha tha ki sana abhi Ghar chorr kar jaa chuki hai .hina ko aryan par kafi gussa aa rha tha kyunki usko lgta tha ki aryan ki wajah se itni badi ladai Hui hai .ab hina thoda tension maa aa jati hai isliye karn ko jagane jati hai.
Hina- karn utho jaldi .
Karn- sone da na tang mat karo.
Hina- bat suno yaar lgta hai hina Ghar chorr kar chali gyi .
(Karn ab jaag khul jati hai )
Karn- toh jane do naa acha hua chali gyi bechari is chutiye ke sath waise bhi kon rhega.
Hina- are yaar samjha karo hum usko rokne jaate hai kya pta abhi abhi nikli ho ghar se.
Karn- nhi rehne do jaane do usko.
Hina- kya yaar chorr do ab gussa aur chalo dekhte hai bahar jaakar usko.
Karn- thik hai mein jaata hun tum Ghar par hi rho ya phir us aryan se pucho kya pta usko kuch pta ho.
(Karn ab bahar ki tarf jaata hai aur hina aryan ke room mein enter krti hai )
Hina room mein krte hi dekhti hai ki sana aryan ki bahaon mein baatein daal ke so rhi thi .hina ko yeh sab dekh kar pehle toh apni ankhon par vishwas nhi hota ki sana maze ke sath aryan ki bahaon mein leti hui tabhi karn bhi hina ke paas aata hai.
Karn- chinta mat karo sana ghar par hi hai kyunki bahar ka darwaza band hi hai .
Hina- pta hai ki sana ghar par hi hai .
Karn- agar pta hai toh uthaya kyun aur kahan par hai woh .
Hina- samne dekho bewkuf.
(Karn ab bed ki taraf apni nazar ghumata hai aur woh bhi yeh sab dekh kar hairan tha)
Karn- yeh sab kya bakwas hai.
Hina- kya tumhe yeh bakwas nazar aa rha hai dekho toh sahi kitne pyare lag rhe hai dono.
Karn- kaise bhi lag rhe ho mujhe kya .
Hina- kya karn abhi bhi tum gussa ho .
Hina- mere ko toh room ki halat dekh kar lag rha hai ki kal raat ko inke bich kuch hua hai .
Karn- sex hua hai or kya saaf nazar aa rha hai .
Hina- kya karn tumko pta nhi hain kiske samne baat karni hai.
Karn- are yaar chorro is baat ko mere ko toh yeh samajh nhi aa rha hai ki agar end mein inko yahi sab karna hota hai toh yeh dono itna ladte kyu hai.
Hina- tumhe kya pta pyar ke baare mein kehte hai jahan pyar zada hota hai waha thodi bahut ladai bhi hoti .
Karn- sahi keh rhi ho par inke bich ladai nhi hamesha kalesh hota hai .
Hina- par yeh aryan ne sana ko manaya kaise hoga .
Karn- ab kya pta kisne kisko manaya hai .yeh bhi toh ho sakta hai ki sana khud hamare chale jaane ke baad aryan ke paas chali gyi ho.
Hina- tum sahi keh rhe ho jhagda inka hota aur fas ham jaate hai par yeh dono phir sath mein aa jate hai .
Karn- chorro ab is baar ko mere liye chai bna do utni der mein fresh ho jata hun kyunki mujhe bhi ghar ke liye nikalna.
Hina- nhi yaar mat jao na ruk jao na thode din .
Karn- nhi ab iski problem bhi khatam ho gyi hai mujhe jaane do mera kaam ab khatam ho gya hai .
Hina- acha ab tumhare dost ki problem khatam ho gyi hai toh jaa rhe ho aur hum dono ka kya .kya tumhara mere koi rishta nhi mere liye ek do din ruk nhi sakte kya .
Karn- dekho aise baat mat karo jaise tum meri koi gf ho dost ho dost ban ke rho aur agar chai nhi banani hai toh bol do mein aise hi chala jayunga waise bhi kal ka mera bahut dimag kharab ho gya hai .
Hina- bna deti hu tumko chai aur han jaha jaana hai chale jaana nhi rokungi tujhe ab .(Hina thoda gusse mein bolti hai kyunki karn ki baat se thoda hurt ho gyi thi )
(Hina ab karn ke satha sana aur aryan ki bhi chai bna deti hai aur sana ke kamre mein enter karti hai par sana pehle se jaag gyi thi aur angrai le rhi thi )
Hina- uth gyi maharani ji( hina ko dekhte hi sana ghabra jaati hai aur khud ko bed ki chadar se dakti hai )
Sana- tum...tum kab ayi (sana ko thodi sharm aa rhi thi)
Hina- mein toh yahan thi subah se tum dono hi ghore bech kar so rhe the ek dusri ki bahon mein bahein daal ke jaise
Sana- acha thik hai pure details mein jaane ki zarurat nhi hai .
Hina- waise ek baat btao jab tum logon ko apas mein sulah hi karni hoti hai toh phir itna kalesh kyu karte ho tum log .
Sana-kya hina itni ladai koi jaan bhujkar thodi karta hai .
Hina- kya baat hai bahut samajhdar ho gyi ho lgta hai par kaal raat ko aise bol rhi thi jaise is aryan ki shakal bhi nhi dekhogi aur tum toh gyi bhi nhi apni ammi ke ghar time kafi ho gya hai lgta hai late ho gyi ho.
Sana- kya yaar chorr bhi do is baat ko aur waise bhi mein kya karungi ammi ke paas jaakar .
Hina- acha bachu .
Ab aryan bhi uth jaata hai par usko saara dhyan sana ki taraf hi tha usko pta nhi tha ki hina bhi uske room mein hi hai .
Aryan- are uth gyi tum begum sahiba waise kal raat ko tumhare sath maza aa gya .
Sana- ayan dusri taraf dekho hina is waqt kamre mein hai (dhire se bolti hai )
Aryan- kya ( tabhi aryan dusri taraf dekhta hai aur hina ko dekh kar sharma jaata hai )
Aryan- are hina ji aap kab aayi aaiye na baithiye.
Sana- yeh kya bol rhe ho aryan .
Sana- dekho hina abhi bahar jayo hum change krke aate hai .
Hina- toh yeh jo mein chai lekar ayi hun uska kya .
Sana- bahar rakh di hum change karke bahar hi aate hai.
(Hina ab chai lekar bahar chali Jaat hai )
Aryan- kya sana idhar hi rakhne deti na chai bed par baith kar hi pi lete .
Sana- chup karo tum aur jaldi change karo waise bhi kya pta yeh hina hamare baare mein kya soch rhi hogi mujhe toh ab sharam aa rhi hai .
Aryan- isme sharmane wali konsi baat hai .
Sana- chalo ab jyada baatien mat bnayo change karo aur bahar niklo .
Aryan- acha jaata hun par meri pehle yeh shirt toh utar do.
(Sana ab aryan ko uski shirt pakda deti hai aur aryan bhi apne kapde pehan leta hai )
Aryan- tum nhi aayogi bahar .
Sana- aise hi aa jau kya pehle change toh karne do .
(Ab aryan bahar aakar chai pine lgta hai tabhi wahan par karn bhi aa jata hai taiyar ho kar aur sofe par baith kar aryan ko ignore krta hua apni chai pine lgta hai .aryan karn ko manane ki sochta hai aur usko do tin baar bulata hai par karn koi jawab nhi deta)
Aryan- sorry karn bhai ab maan bhi jayo na kitni der tak gussa karoge tumhara chotta bhai kabhi kabhi galti ho jaati hai chorr do is narajgi ko ab.
Hina- toh tumhare kehna ka matlab tumne karn ki baat na man kar glti ki hai agar sana ko yeh baat sun lyi ki tumne usko sab sach bta ke glti krdi .
Aryan- mere kehna ka yeh matlab nhi tha .
Aryan- dekho karn bhai itna gussa sahi nhi hai chorr do kal jo hua usko bhul jao.
(tabhi sana bhi bahar aa jati hai aur aryan ke paas aakar baithti hai )
Sana- kya hua main bahar ayi hun toh sab chup kyu kar gye.
Sana- kya baat hai aryan koi baat huyi hai .
Aryan- woh karn bhai kal mujhse naraj ho gye tha toh unhi ko bol rha tha ki ab gussa chorr do.
(Sana ab apni jagah se uth kar karn ke paas baith jaati hai )
Sana- ab bas karo karn bhaiya kar do maaf aryan ko aur mujhe bhi kal us thapad ke liye idhar toh dekho meri taraf.
Karn- nhi sana jao mujhe tang mat karo waise bhi tum kyo maafi mang rhi ho tumhari toh galti bhi nhi hai .
Sana- nhi bhaiya aisa bol kar sharminda mat kijiye kal raat ko main thoda gusse mein thi isliye apko thapad maar diya tha please maaf krdo aur aap bhi toh chahte the na ki mere aur aryan ke bich sab sahi ho jaye isliye aapne usko sach batane se mna kiya tha toh ab sab thik ho gya hai par aap naraj ho gye ho chalo na aise mat karo please mere ko apni behan samajh kar maaf krdo .
Karn- dekho sana maafi toh mujhe tumse magni chahiye thi is sab natak ke liye .tum sahi thi ki kahi na kahi aryan aisi harqate meri wajah se hi karta hai isliye mein yahan se jaa rha hun.
Sana- dekho bhaiya bhul jayo kal ki baat ko aur ab maaf kar do usko please meri baat man jao agar aap mujhko apni behan mante ho toh man jayo.
Karn- thik hai maaf Kiya isko .
Karn ki baat sunkar Aryan karn ko hug krne lgta hai aur sana bhi yeh dekh kar hasne lgti hai .
Karn- chal be dur hat mujhse .
Aryan- kya bhai gale toh lgne do.
Karn- acha lag liya tune gale ab chorr de mujhko.
Karn- acha hina kaha hai .
Sana- woh shayad kitchen mein hogi koi kaam tha kya.
Karn- han kuch baat karni thi .
(Karn ab kitchen mein chala jata jahan par hina apna tiffen taiyar kar rhi thi kyuki usko kaam par jaana tha)
Karn- acha hina sorry.
Hina- kis baat ki maafi mang rhe ho.
Karn- woh subah jo maine tumhe thoda gusse se bol diya tha us baat ki.
Hina- koi baat nhi tumne konsa jhuth bola tha sach hi toh kaha tha mein tumhari koi girlfriend thodi na hu jiske paas tum rukoge tum jis wajah sevaaye the woh kaam ho gya toh chale hi jayoge yahan kyo rukoge.
Karn- dekho hina tum toh bura hi man gyi .
Hina- nhi main kyo bura manungi waise bhi tum abhi tak gye nhi time ho gya hai tumhare jaane ka.
Karn- acha yaar maaf kar do ab main manta hun meri galti hai mujhe tumse aise baat nhi karni chahiye thi .
Hina- thik hai kiya maaf par aage se dhyan rakhna par aaj toh tumko nhi jaane dungi ghar.
Karn- thik hai mein aaj ruk jaata hun par kal mein ghar ke liye nikal jaunga .
Hina- thik hai chale jaana par aaj nhi.
Karn- thik hai par yahan mein akele karunga kya .
Hina- ghumne chalte hai aur sath mein sana aur aryan bhi hai kaafi maza ayega..
Karn- nhi .
Hina- kya karn agar bahar nhi jaana hai toh ghar par bore hi honge .
Karn- meri puri baat toh sunlo mein toh yeh keh rha tha ki tumbaur sirf mein chalenge inhe ghar par hi rehne dete hai .
Hina- sach mein.
Karn- aur nhi toh kya .
(Hina aur karn ab bahar aate hai)
Aryan- toh chale karn bhai ab ghar kaafi time bhi ho gya hai .
Karn- nhi mein aaj yahi par rukunga .
Aryan-kyu kya hua .
Hina- kuch nhi hua hai humne socha ki aaj mein aur karn kahi ghumne chalenge .
Aryan- thik hai bhai agar kal jaana hai toh hum bhi idhar hi ruk jaate hai ek din ki toh baat.
Sana- han thik hai koi problem nhi ek din ki toh baat hai .
Karn- toh aap phir ghar par hi ruko hum taiyar hokar nikalte hai.
Aryan- thik hai bhai chinta mat karo.
(Sana ab wahan se uthkar nahane chali jaati hai aur aryan apne room ki safai karne chala jaata hai )
Sana ab taiyar hokar room mein aati hai aur sana itni sundar lag rhi thi ki aryan usko dekhta hi reh jaata hai .
Sana- aise kya dekh rhe ho aryan miya.
Aryan- kuch nhi bas aaj bahut kamal lag rhi ho.
Sana- thanks par ab tum bhi jaa kar shower le lo.
Aryan- chala jaata hun thodi der mein .
(Sana thodi udas thi aaj kyunki usko apni maa ki yaad aa rhi thi)
Aryan- kya baat hai sana itni udas kyu nazar aa rhi ho kisi ne kuch kaha kya.
Sana- kuch nhi bas aise hi .
Aryan- dekho aisa mat karo btao kya baat hai.
Sana- woh bas Ghar walo ki yaad aa rhi thi.
Aryan- toh usme udas hone wali kya baat hai kal ham ghar jaa toh rhe hai.
Sana- mein hamare ghar ki baat nhi kar rhi hun mein apni ammi aur abbu ki baat kar rhi hun.
(Aryan ab jaakar sana ko gale se lgata hai )
Aryan- are darling itni hi yaad aa rhi hai toh chalte hai na unse milne is bahane meri bhi mulaqat tumhare ghar walon se ho jayegi ab toh woh bhi meri family ka hissa hai .
Sana- sach mein hum aisa jaa sakte hai . Kya
Aryan- jaa sakte hai kya ki kya baat karti ho aaj hi chalte hai tumhare ghar .
Sana- sachi ( ab sana khush ho jaati hai aur aryan ko dekh kar smile karne lgti hai )
Aryan- mein taiyar ho jaata hun phir hum nikalte hai indore ke liye .
Sana- par aryan karn bhaiya aur hina bhi toh jaa rhe hai phir hum kaise Jaa payenge .
Aryan- tum chinta mat karo mein unke sath baat kar ke aata hun.
(Aryan ab karn ko Btane jaata hai ki woh bhi sana ke saath bahar Jaa rha hai )
Aryan- karn bhai ek kaam tha .
Karn- bol kya kaam hai .
Aryan- woh darasal baat yeh hai ki mein bhi soch rha hun ki sana ko uske ghar lekar chala jau kyunki baar baar bol rhi thi usko apni ammi ki yaad aa rhi hai .
Karn- par bhai hamare paas ek hi car hai aur tu agar chala bhi jayega toh kal subah tak milkar wapas kaise ayega .
Hina- koi baat nhi isko jaane do hum meri scooty par hi ghum lenge .
Karn- par phir bhi yeh kal tak tumhare yahan kaise pahuncega mere ko kal ghar bhi jaana hai .
Hina- yeh tumne kya ghar jaane ki rat lgayi hui hai do teen ruk bhi jayoge toh kya ho jayega.
Aryan- han bhai ruk jao dekho na bechari hina ji kitne pyar se bol rhi hai .
Karn- acha bhai jahan jaana hai jao par 2 din mein wapis aa jana aur agar nhi aa paye toh phir train se chala jaunga tum meri tension mat lena .
Aryan- thanks bhai .
(Ab aryan bhi taiyar ho jaata hai sath mein sana ki packing mein help karta hai aur usko baad dona car se sana ke ghar ki taraf nikal padte hai )
Okk bhai ... Sabki apni life hoti hai ... Lekin story ko continue rakhna bhale hi hafte Mai 1-2 do lekin story continue rakhna kyuki iss story mai emotions hai ... Aur uska saath saath romance bhi .... Jo bahut hi kaam story mai hota hai ....Ab mein busy ho gya hun isliye roj update nhi de skta par mein story ko puri khatam karne ki koshish karunga .ab 2-3 din tak hi update ayenge phir uske baad shayad update de pau kyunki ab mein bahut busy hone wala hun isliye is mahine ke baad hafte mein ek ya do update de pau par mein story continue ho rakhunga aur usko khatam karne ki koshish karunga par koi vaada nhi kar sakta.