Bahut hi mast update hai bhaiUpdate 50
(Aryan ko car chalate adhe ghante se jyada ho gya tha woh bhi darasal is waqt ghabraya hua tha par sana ki fikkar hone ke karan woh shant hone ki acting kar rha tha taki sana panic na kare .Sana ko sadme se wapis lane ke liye aryan uske sath baatien karne ki koshish karta hai par sana abhi bhi chup thi bas woh yeh soch rhi thi aryan par hamla uski wajah se hi hua hai )
Aryan- dekho sana please mujhse baat karo .tumhare is behaviour se mujhe ab dar lagne laga hai .
(Sana abhi bhi aryan ki baat ka koi jawab nhi deti )
Aryan- sana hosh mein ayo aur mujhse baat karo .
Aryan sana ki halat dekh kar khud Panic karne lgta hai phir woh car ko side par lagakar sana ke kandhe ko hilane lgta hai taki sana uske sath baat kare par sana ko reaction pehle hi jaisa hi rehta woh apni soch se bahar hi nhi aa rhi thi phir sana ko hosh mein lane ke liye aryan uske ek halka sa thapad maar deta hai jis se sana apni thinking se bahar aati hai aur rone lgti hai.
Sana- yeh sab meri wajah se hua sirf meri wajah se (rote hue bolti )
Sana- maine tumse nikkah karke tumhari puri life barbad kardi aryan .
(Aryan ab sana ko console karta hai aur bade pyar se uske sath baat karne lgta hai )
Aryan- dekho baby aise rote nhi hai tum toh samajhdar ho na phir aisi bematlab ki baatien kyo kar rhi ho.
Sana- nhi aryan meri wajah se tumne us admi ko maar diya aur agar woh police wale ko yeh baat pta chal jayegi toh tumhe jail ho jayegi dekho na meri wajah se tum koi na koi musibat mein fas hi jaate ho .
Aryan- dekho shant ho jayo aur yeh kya tum bakwas kar rhi ho yeh lo thoda Pani pi lo sath mein thoda relax karo pehle hum ek rest room book karte hai phir wahan par jaakar baat karenge.
(Aryan ab sana ko apne hath se paani pilata hai .pani pine ke baad sana phir bolne lgti hai ki yeh sab uski wajah se hua aur aryan ko usko chorr dena chahiye par aryan sana ko chup karane ke liye uska face apne hath mein lekar ek kiss kar deta hai )
Aryan- dekho baby please aisa mat bolo .baby isme tumhari koi galti nhi hai .
Aryan- sana mujhe pata hai tumhare man mein abhi bhi hai ki mujhe unhe marna nhi chahiye tha par mere se yeh kabhi nhi dekha jayega ki tum par koi hath uthaye . I luv u sana jaan se bhi jaada aur agar tumhe kisi ne phir hath lagaya toh phir mein uska yeh hi haal karunga.
Aryan- sana ek baat ka jawab do tum mere liye kyu lado thi us atul se ya fir apne papa se .Sana tumhe pta hai mujhe shayad hi laga tha koi mujh jaise nikaame ki kabhi side lega .mujhee hamesha se chahiye tha koi pyar karne wala mere liye stand lene wala phir mujhe tum mil gyi aur jab maine dekha ki tumhe kisi ne maara hai toh mujhe laga mujhe kisi ne chott pahunchayi hai .
Aryan- dekho baby thoda normal ho jayo hum pehle hotel jaate hai phir iske baare mein baat karenge.
Sana aryan ki baat sunkar thoda normal hoti par abhi bhi ro rhi thi aur rote rote aryan ko apni bahon mein le leti hai
Aryan bhi usko apni bahon mein lekar chup kara rha tha .
(Aryan ab sana ko chup karata hai phir uske ansu pahunchta hai )
(Aryan aur sana ab dono kisi local hotel mein check in karte aur ek room book karte hai stay karne ke liye )
(Police station)
(Mohan ne apne niche kaam karne walo ko rangha aur sangha ki puri information nikalne ko kaha sath mein unke saare phone records aur criminal history nikalne ko bola tha)
(Divya thapar )
(Yeh mohan singh ki junior hai aur kafi cases bhi solve kar chuki hai uske sath mil ke .divya dil kafi achhi hai bas upar se khud ko thoda sakht dikhati hai)
Divya ab rangha aur sangha ke baare mein saari information collect karke mohan singh ke chamber mein aati hai .
Divya- jai hind sir.
Mohan - jai hind .Divya ab hamare sangha ji ki kya halat hai
Diya -sir sangha abhi bhi hospital mein unconscious para hua hai doctors ne kaha hai ki usko shayad kal tak hosh aa jaye par abhi uske hosh mein aane ke koi chance nazar nhi aa rhe.
Mohan- inke baare mein kuch information mili tumhe aur phone records ka bhi kuch pata chala.
Divya- ji sir yeh dono judwa bhai hai inki maa baap ki maut bachpan mein hi accident mein ho gyi thi inhone gair kanooni kaam karna bachpan se hi shuru kar diya tha inhone kabhi kisi ka murder toh nhi kiya par nakli sharab bechna, chotti moti choriyan ,lut maar ke kuch case darj hai .inke phone records sir subah tak apki kursi par pade mil jayenge par abhi possible nhi hai baaki yeh kuch ameer logo ke liye paisa vasooli bhi karte the unki bhi list kal tak apko mil Jayegi.
Mohan- thik hai tumne achha kaam kiya aur abhi tum yahan se jaa sakti ho .
Divya- thank u sir.
(Divya ab apni duty khatam kar ke apne ghar ki taraf nikalti hai par mohan ab kisi dusre case ko investigate karne mein lag jaata hai jo usko uske senior ne de rakha tha )
(Suleman aur viraj dono is baat se anjan the ki rangha aur sangha ke sath kya ho chuka hai dusra suleman ne viraj ko sakht mana kar rakha tha ki woh unhe bilkul bhi contact na kare par viraj ko ab koi information mil nhi rhi thi isliye woh rangha aur sangha is waqt kahan isko janane ke liye apni khabriyo ko active kar deta hai )
(Aryan aur sana dono ko room unhone rukne ke liye book Kiya tha usme enter karte hai )
Aryan- dekho sana tum chinta mat karo kal tak sab normal ho jayega aur police ki bhi tum tension na lo mein ek admi ko jaanta hun jo meri is police ke chakkar ko khatam karne ki help kar sakta hai .
(Aryan ki itni violent harqato ko dekh kar aur uska itna kuch hone ke baad bhi normal rehna sana ko aryan ke chracter par thoda shaq ho rha tha usko woh baat bhi yaad thi ki aryan ne atul ko kaha tha ki usko bandook chalana achhe se aata hai .Sana ko aryan ke past ka kuch zyada pta nhi tha .Sana bhi aryan se bahut pyar karti hai par uske man mein aryan ko puchne ke liye lakho sawal chal rahe the par woh abhi chup samajhna hi thik samajhti hai kyunki usko bhi aryan ke face par itna calm hone ki bawjud tension nazar aa rhi thi )
Aryan - sana tum tension mat lo aur ab so jayo waise bhi subah se thak gyi hogi.
Sana- mujhe nind kaise aayegi aryan aaj itna kuch ho gya hai ki meri kuch samajh nhi aa rha hai mera dil kar rha hai ki hum dono kisi aisi jagah chale jaye jahan yeh suleman naam ki musibat hum dono ko phir pareshan na kar sake aur hum dono apni zindagi acche se ji sake .
(Aryan ab sana ko gale lagakar uske maathe ko chumta hai )
Aryan- dekho sana tumhe ghabrane ki koi jarurat nhi hai mein hun naa tumhare sath aur jab tak hum hai ek dusre ke liye woh suleman tumhe touch bhi nhi kar payega.
Sana ka dil kar rha tha ki woh aryan se uske har sawal ka jawab le jo uske man mein aryan ko lekar the par usko yeh bhi pata tha ki aryan upar se chahe jitna marzi calm hone ka natak kar le par sana uski taraf dekh kar bta sakti thi ki aryan bhi usi halaaton se gujr rha tha jis se sana gujr rhi thi .
Aryan ab sana ko apni god mein leta deta hai aur uske sar ko sehla rha tha .Sana ko aryan ki god mein leta kar thoda achha lag rha tha .
Sana- l luv u aryan .
Aryan- I luv u 2 chalo ab so jayo please.
(Sana ab aryan se thoda der baatein karte karte so jaati hai aur aryan ab usko bed par leta kar apne bed se uthkar hotel ki khidki se bahar jhankne lagta hai )
Aryan andar se pura dar chuka tha uska sar fati jaa rha tha .aryan ne sana ke samne baatien toh bahut bol di thi par woh khud andar se bahut pareshan tha .aryan ne gusse mein aakar ek insaan ki jaan le li thi jiske baare mein sochkar uski ankhon se halke halke ansu nikalne lage the dusra usko yeh bhi andaza ho gya tha ki police officer bhi uske piche jarur ayega.
(Aryan ko apne room se hotel ke bahar jo sadak thi woh saaf dikh rhi thi aur bas chup kar ke zameen par hi baith jaata hai usne sana ko toh sula diya tha par usko khud nind nhi aa rhi thi)
Raat ke 2:30 baj chuke the par aryan ko abhi bhi nind nhi aa rahi thi aur tension se bhi uska dimag kharab ho Raha tha tabhi woh tension ko dur karne ke liye ciggerate pine lagta hai
Aryan ciggerate pi rha tha tabhi sana ki bhi achanak jaag khul jaati hai aur woh notice karti hai ki aryan zameen par baith kar ciggerate pi rha hai .
(Sana ko pta tha ki aryan bahut tension mein hai .sana ko uski kafi fikkar thi isliye woh aryan ko kisi baat se rokna nhi chahti thi .Sana ab aryan ke hi pass jakar zameen par aryan ke sath baith jaati hai)
(aryan aur sana ke room mein glasses lage the jis se hotel ki samne wali sadak saaf nazar aa rhi thi aur uske paas hi baithkar aryan ciggerate pi raha tha )
(Sana ab aryan ke paas jakar baith jaati hai aur aryan sana ko dekhte hi apna ciggerate niche fekne lgta hai par sana usko tok deti hai )
Sana- Rehno de fenko mat is baar pi sakte ho mein rokungi nhi .
Aryan- shukriya.
Sana- tum mujhko thodi der pehle tension na lene ko bol rhe the par khud idhar baithkar ro rhe ho .
Aryan- han kya karu khud ko control karne ki bahut koshish kar rha tha ki mein ansu na bahau par ab mujhse raha nhi gya .
(Sana ab aryan ki bahon mein leti hai )
Sana- maine tumhe aur tumhari family ko kaha fasa diya aryan mujhe tumse nikkah karna hi nhi chahiye tha .
Aryan- khud ko kyo baar baar is tarah kos rhi ho aur yeh tumhari family kya hota hai tum meri family ho .tum mera aane wala kal ho sana mein tumhare bina ab apni life imagine hi nahi kar sakta aur hamari shadi honi hi thi yeh hi hamari qismat hai .isme tum kuch na kar sakti thi aur na hi mein isliye please khud ko kosna band karo .
Sana- tum mujhse itna pyar kyu karte ho maine tumhe aaj tak diya hi kya hai aur thode salo mein tumhare kisi kaam ki nhi rahungi phir tum mujhe chorr kyu nhi deta kyu apni jaan ko khatre mein dalna chahte ho
Aryan- kya kabhi yeh koi bta sakta hai ki koi kisi se itna pyar kyo karta hai bas karta hai aur iski koi explanation ho yeh jaruri nhi agar mein tumhari jagah hota hai mujhe pura yakeen hai ki tum bhi aisa hi karti .
Aryan- dekho sana apni bin baat ki guilt trip se ab bahar aao aur yeh chinta mat karo please mein hu na sab sambhal lunga .
Sana- aryan tumhe pta hai na woh log phir hamare piche kisi na kisi ko bhejenge phir hum kya karenge .
Aryan- mein toh wohi karunga jo aaj kiya hai aur agar ab suleman ne phir koi panga liya toh mein use chorrunga nhi .
Sana- aise hi kitne logo se ladoge mere liye.
Aryan- yeh sawal sana mein bhi tumse puch sakta hun jab tum mujhe har baar defend karti ho mere liye apne papa se behas karti ho par mein puchta nhi hun kyunki mujhe tumhara jawab pehle se hi pata hai aur mera jawab woh hi hoga jo hona chahiye.maine tumhare sath 7 phere liye hai koi majak nhi kiya tumhare liye mein apni jaan de bhi sakta hun aur le bhi sakta hun.
Sana- mujhe pta hai aryan par mein toh chahti hun ki tum keh do ki yeh sab mazak tha koi shadi nhi.ab tumhare future ka kya hoga tumhe toh woh police wala kisi na kisi din pakad hi lega aur is sab ki wajah hogi mein jisne tumhari zindagi ko narak bna diya hai .
Aryan- bas karo ab kitna bologi tumhe mein pehle hi bta du ki us police officer ki tension lene ni ki koi jarurat nhi mein usko sambhal lunga ek admi ki help lekar jisko mein jaanta hun aur yeh tumhara future kya hota hai hamara future kaho.
Aryan - hamara future bahut achha hoga aur mere tumhare do bachhe honge jinhe tum apni god mein lekar khela karogi .
Sana- kya sach mein aryan aisa kuch ho bhi sakta hai hamari zindagi mein itna kuch hone ke baad .
Aryan- aisa ho sakta nhi zarur hoga yeh mera vaada hai tumse.
Sana aryan ki baat ko sunkar bahut emotional ho gyi thi aur uski ankhon mein dekh kar use kiss karne lagi
Sana- mujhe toh samajh nhi aata aryan ki khuda ka shukar karu ya fir unko kosu kyunki ek taraf toh tum jaisa sohar mila hai aur dusri taraf yeh suleman jisne meri jindagi ko narak bna diya hai .
(Aryan is baat ka koi jawab nhi deta bas chup rehta hai par usne man mein soch liya tha ki jisne sana ki zindagi ko narak bnaya hai mein uski zindagi ko narak bna dunga)
(Sana ke man mein abhi bhi bahut sawal the jo woh aryan se puchna chahti thi par use samajh nhi aa rha tha ki woh aryan se aise ulte sawal kaise kare )
Aryan- sana time bahut ho gya hai hume ab so jaana chahiye kal humko dekhi ke liye nikalna bhi hai .
Sana- thik hai jaisa tum kaho aryan .
(Aryan ab uthne ki koshish karta hai par us se shoulder par dard hone ki wajah se utha nhi jaata hai phir sana usko uthne mein help karti aur dono bed par let jaate hai .sana aryan ke face ko sehla rhi thi dono is waqt bahut emotional the aur ek dusre ko bahut kuch kehna chahte the par koi bhi kuch bolna nhi chahata tha )
(Sana ab aryan ko thoda comfort dene ke liye uske face ko apni breast se laga leti hai aur dono ki dhire dhire ankh lag jaati hai )
![]()
Bhai Aisa hi update deta Rahi story ekdam mast chal rhi haiDosto so far story apko kaisi lag rhi hai aur maine kabhi koi story nhi likhi hai isliye thodi galtiyan ho sakti hai isliye kuch galtiyo ko nazar andaz kar dena .