• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Naukar ke bete ke sath nikkah

Which character do u like the most

  • Aryan

    Votes: 13 72.2%
  • Sana

    Votes: 7 38.9%
  • Karn

    Votes: 1 5.6%

  • Total voters
    18
  • This poll will close: .

Aar am

Well-Known Member
2,113
1,053
144
Aaj update nhi doge kya Bhai yaar regular update dene ki koshish karo
 
Aar am

Well-Known Member
2,113
1,053
144
Ek update dedo bhai aaj kam se kam
 
ayush01111

Well-Known Member
2,501
2,728
144
Dosto so far story apko kaisi lag rhi hai aur maine kabhi koi story nhi likhi hai isliye thodi galtiyan ho sakti hai isliye kuch galtiyo ko nazar andaz kar dena .
Bahut mazedar ata hai
 
nktubhg

New Member
84
1,407
114
Update 50 part 2

Morning 9: AM
(Police station)
Divya ab mohan ke chamber mein enter karti hai
Divya- jai hind sir
Mohan- jai hind
Divya - sir mere vaade ke mutabik yeh rhe rangha aur sangha ke phone records.in dono ki sabse jyada baat Hui hai viraj naam ke aadmi se jo suleman ka right hand hai uske illegal businesses mein
Mohan- woh bedsheets wala suleman
Divya- ji sir
Mohan- koi dusra contact jis pe tumhe shaq ho.
Divya- nhi sir kisi dusre contact ke Taraf dekhne ki zarurat hai hi nhi kyunki mujhe aisi baat pta chali hai jo yeh pure case ko abhi khatam kar sakti hai .
Mohan - aisi bhi kya baat pta chali tumeh
Divya -sir sangha aur rangha dono suleman ke kafi illegall kaam kar chuke aur sabse intresting baat yeh hai ki jo ladke ke sath ek aurat kal is case ke related police station mein aayi thi woh suleman ki ex wife hai .
Mohan- kya
Divya- ji sir
Mohan- mujhe bhi us miya biwi par thoda shaq toh ho rha tha par mujhe abhi bhi lagta hai ki woh ladka rangha sangha ko aise toh nhi maar sakta .
Divya- sir mujhe aisa nhi lagta woh ladka ka behaviour mujhe kuch thik nhi lag raha tha aur baar baar apni biwi ko dhimi awaz mein kuch na kuch boli ja rha tha us din.
Mohan- shayad tum sahi ho hamein in dono ko phir se investigation ke liye bulana chahiye.
Divya- mujhe bhi yeh hi lagta hai sir .
Mohan- thik hai aisa hi karte par us sab se pehle humko hospital mein jaakar sangha ki halat pta karna chahiye
Divya- jaisa aap kahe sir

Ab divya aur mohan hospital ke liye nikalte hai .
(Hospital)
Mohan aur divya dono hospital mein enter karte hi doctor se milte hai aur sangha ki halat ke baare mein puchne lagte hai .
Mohan- hello doctor kya aap yeh btayenge ki us sangha ko hosh aya kya .
Doctor- darasal baat yeh ki woh patient ab shayad hi hosh mein aa paye .
Mohan- yeh kya bol rhe ho doctor dekhiye mujhe nhi pata aap apni puri koshish kijiye usko hosh mein laane ke liye .
Doctor- dekhiye officer thoda shant rahiye aur humne apni puri koshish ki thi patient ko hosh mein laane ki par abhi woh coma mein jaa chuka hai .
Divya- par doctor apne toh kaha tha ki usko kal tak hosh aa jayega.
Doctor- dekhiye mam aap sahi keh rahi hai par patient ke sar par chott kafi gehri thi aur humne bhi usko hosh mein laane ke liye puri koshish ki but unfortunately woh coma mein hi chala gya .
Divya- sir aap kya yeh bta sakte hai ki sangha ko hosh kab tak aa sakta hai .
Doctor- dekhiye iska koi sahi answer nhi hai ho sakta hai yah bhi possible hai ki use abhi hosh aa jaye aur yeh bhi ho sakta hai ki use shayad kabhi hosh hi nhi aaye par jahan tak mera experience hai usko abhi 2-3 saal tak toh hosh nhi aa sakta.
Mohan singh ab doctor ki baat sunkar frustate ho gya th phir Divya usko shant karti hai phir woh dono hospital se sidha apne police station ke liye nikalte hai

(Suleman office )
(Suleman abhi bhi is baat se anjaan tha ki rangha aur sangha ke sath kya hua par viraj suleman ko puri information Dene ki lye uske office paunch chuka tha jo usko uske khabriyo ne do thi .viraj ne jab yeh khabar suni thi ki rangha mar chuka hai aur sangha coma mein pahunch chuka hai toh usko is khabar par vishwas nhi hota ki yeh sab aryan ne kiya hai ab woh bahut teji se suleman ke office mein aata hai aur hafne lagta hai )

Suleman- are aram se viraj mere se jyada tum excited lag rahe ho mujhe pehle yeh btao ki rangha aur sangha sana ko lekar kab aane wale hai aur woh chutiye ladke ke dono hath kaate ya fir ek hi kaata
Viraj- rangha mar gya us ladke ne rangha ko maar diya ( hanfte hue )
Suleman- kya bol rhe ho rangha kya pehle sans lelo phir bolo aise kuch samajh nhi aa rha hai.

(Viraj ab thodi sans leta hai aur clear awaz mein bolta hai )
Viraj- tumne jis ladke ko marne ke liye bheja tha usne rangha ko jaan se maar diya hai .

Suleman pehle toh viraj ki baat par yakeen nhi hota aur aryan kisi ko jaan se maar bhi sakta hai yeh baat usko hazam nhi ho rhi thi .
Suleman- yeh tum kya bakwas
Kar rahe ho dekho yeh koi mazak ka waqt nhi hai.
Viraj - mein koi mazak nhi kar raha hun suleman yeh baat bilkul sach hai rangha us ladke ke hathon maara gya hai aur usi ladke ne sangha ko bhi coma mein bhej diya hai.
Suleman- mujhe toh vishwas nhi ho rha ki ram lal ka launda kuch aisa bhi kar sakta hai .
Viraj- vishwas nhi hota toh jaa kar khud dekh ayo hospital jahan sangha behosh para hua hai .
Suleman- meri hi galti hai mujhe is aryan ko kam nhi samjhna chahiye tha par maine than liya hai ki mein is ram lal ke launde ko jaan se maar kar hi rahunga .
Viraj- dekho thoda dimag se kaam lo woh atul sahi keh raha tha ki yeh ladka pagal hai aur agar tumne apni ex wife ko ab tang karne ki koshish ki toh woh shayad kuch bhi kar sakta hai tumhe pta bhi hai rangha ki itni buri halat kar di is ladke ne ki uski mausi bhi usko pehchan nhi pai .

Mohan singh ab police station pahunch jaata hai aur pahunchte hi suleman ko phone karta hai aage ki investigation karne ke liye.
(Suleman viraj se baatien kar raha tha isliye phone nhi utha Raha tha )
Divya- isko chorriye sir pehle hamein un pati patni ko investigate karna chahiye.
Mohan- nhi abhi nhi pehle mujhe is se baat karni hai phir mein un dono ke baare mein sochunga.

Mohan phir suleman ko phone karta hai aur is baar suleman uska call utha leta hai
Mohan- hello suleman ji
Suleman- kon bol raha hai
Mohan- ji mein police inspector mohan singh bol raha .
Suleman- ji boliye sir mein apki kya help kar sakta hun
Mohan - ji mujhe apse ek case ke liye investigation karni thi aur sath mein apke dost rangha aur sangha ke baare mein bhi kuch puchna tha .
Suleman- ji kis case ki baat kar rhe hai aur mein yeh rangha ya sangha naam ke kisi insan ko nhi jaanta infact mein toh yeh naam hi pehli baar sun raha hun ( suleman ko pta tha ki usko police ke sath koi na koi deal karni hi padegi kyoki woh hi is case ka prime suspect hoga )
Mohan - dekhiye suleman ji kyo natak kar rhe hai mujhe pata hai ki rangha aur sangha apke liye kafi illegal kaam kar chuke hai .main apse koi behas nhi karunga bas yeh baat kahunga ki jalad hi aap hamare police station apni tashreef layiye woh kya hai na mein khud apko lene aayunga toh na hi apko achha lagega aur mujhe bhi khamka takleef hogi .
Suleman- thik hai sir mein jald se jald apke police station mein investigation ke liye aane ki koshish karunga.
Mohan- yeh hui na baat suleman ji aur dhyan rakhiyega kal tak aap police station tak pahunch jaye toh achha rahega nahi toh baad mein apko hi dikkat hogi

Suleman samajh gaya tha ki mohan use saaf saaf dhamki de rha tha par woh police ko apne tarike se handle karna chahta tha isliye kuch nhi bolta aur phone cut kar deta hai
Viraj- kon tha suleman phone par
Suleman- kuch nhi police ka phone tha investigation ke liye police station bula rhe hai .

Viraj - naam kya btaya police wale ne apna.
Suleman- koi Mohan karke tha .
(Viraj mohan singh ke baare mein janta tha aur usko yeh bhi pta tha ki agar usko abhi nahi roka toh baad mein jakar woh bahut buri musibat ban sakta hai )
Viraj- dekho suleman mein is mohan ke baare mein thoda bahut sun rakha hai is se bach ke hi rehna.
Suleman- toh kya yeh Banda hamare liye khatarnak sabit ho sakta hai .
Viraj- yeh khatarnak sabit ho nahi sakta balki khatarnak hi hai
Suleman- iske senior ke baare mein kuch jante ho .
Viraj- abhi toh nhi .
Suleman- toh phir pata karo aur mujhe saari details bhejo iske senior ki bhi aur iski bhi .
Viraj - thik hai tumhara kaam jaldi hi ho jayega bas thode paise Lagenge .
Suleman- tum paiso ki chinta mat karo woh mein dekh lunga .

(Viraj ab apne kaam par lag jaata hai aur suleman bhi 2-3 meeting karne ke baad police station ke liye nikalne wala tha )

(
Hotel)
Morning 9:30

(Aryan aur sana abhi bhi hotel room mein the par aryan jaag kar taiyar ho chuka tha par sana abhi bhi so rhi thi isliye aryan uske liye coffee lekar aata hai aur usko uthane lagta hai )
Aryan- sana subah ho gyi hai jaldi utho .
Sana- kya hai aryan sone do naa raat ko bhi mein achhe se nhi soyi .
Aryan- dekho sana uth jayo please samjha karo hame bas ek ghante mein delhi ke liye nikalna hai karn bhai ko lene ke liye aur Sath mein yeh dekho main tumhare liye coffee bhi lekar aya hun .
(Sana ab thoda nakhra karne ke baad uth jaati hai aur phir aryan ke sath coffee pine lagti hai )
Aryan- jaldi coffee piyo aur jaldi Read ho jayo phir hum nashta karke yahan se nikalenge
Sana- tum kaise ho aryan tumhe zara si bhi chinta hai tumne ek admi ko maara hai aur police bho hamare piche jaldi hi aayegi par tumko in sab ki chinta nhi hai bas nashte ki pari hai
Aryan- are tum tension mat lo maine soch liya hai in sab ko sambhalne ke baare mein.
Sana- kaise sambhalo in police walon ko tum aryan aur maine bhi kon chakkaro mein fasa diya hai .
Aryan- sana aisa mat bola karo abhi kal raat ko kitna samjhaya tumhe phir woh baat kar rhi ho .
Sana- par aryan mein hi hun jiski wajah se sab kuch hua .
Aryan- dekho baby ab chorr do is baat ko aur ab jo bhi aage hoga usme hum dono ko ek dusre ke sath dena hai aur maine jo tumhe vaada kiya hai usko bhi mein pura karke hi manunga .
Sana- par aryan mujhe toh abhi bhi us police wale ko lekar tension ho rhi hai .
Aryan- baby tum woh police wale ki tension mat lo maine kitni baar toh tumhe bta diya hai ki police ko handle karna mere liye mumkin hai mein kisi aise admi ko jaanta hun jo in police walon ko achhe se handle karna jaanta hai .
(Sana ke man mein abhi bhi kuch sawal the jo woh aryan se puchna chahti thi bas abhi bhi usko lag raha tha ki uske yeh sawal puchne ka sahi waqt nhi aya hai )
(Aryan ab sana ke face ko apne hath mein leta hai )
Aryan- dekho baby tum kisi baat ki fikkar mat karo mein hun naa tumhare sath dekhna na hi mujhko kuch hoga aur tumko toh mein kisi ko touch bhi nhi karne dunga .

(Sana ne jab aryan ki yeh baat suni toh uska mood kuch thik toh hua par abhi woh puri tarah shant nhi hui thi )
Sana- thik hai aryan tum itna hi bol rhe ho toh tumne kuch socha hi hoga .
Aryan- yeh hui naa baat .

(Sana ab aryan ke sath thodi baat karke nahane chali jaati hai aur phir dono nashte ko skip kar sidha karn ko lene ke liye delhi ki taraf nikalte hai )

6a990a49bfa80030bd8831fefc915d30
Sana- tumhara shoulder kaisa hai ab tumne toh mujhe subah bhi dekhne nhi diya aur koi dawa bhi nhi lagayi itna carelessness hona achhi baat nhi hai aryan agar tum tension mein naa hote na phir mein tumko ache se btati khud ki health ka kabhi toh dyan rakha karo na.
Aryan- kaisi baat kar rhi ho tum ho na meri health ka dhyan rakhne ke liye sath mein fikkar mat karo shoulder par chott itni gehri nhi hai ki baar baar dawa lagani pare .
Sana- dekho tum kuch bhi bahana bna lo mujhe pta hai tumhare kafi chot lagi hai mein bhi us waqt wahan thi jab us admi ne tumhe chaku maara tha aur wahan par tum karne bhi kya sochkar aye the achha hota ki tum wahan par aate hi na .
Aryan- han toh mein wahan par
aata nhi aur tumko woh utha kar le jaate suleman ke paas toh yeh achha rehta tumhare liye.jao sana tumse toh mujhe baat hi nhi karni chahiye aur yeh tum kaise soch sakti ho ki main tumhe aise hi marne ke liye chorr deta us suleman ke paas
Sana- aryan mere kehne ka
Aryan- dekho mujhe tumhari koi bakwas nhi sunani please apna muh band karo aur mujhe car chalane do .
(Sana ab chup kar jaati hai aur aryan bhi ab us se koi baat nhi karta phir sana 10 min baad apni chupi todti hai )
Sana- achha sorry mein manti hun ki mujhe woh baat nhi bolni chahiye thi .
Aryan- koi baat nhi par aage se tumne kuch aisa bola toh ek thapad lagaunga .
Sana- kaha pe face par ya fir.
(Aryan sana ki yeh baat sunkar muskrane lagta hai )
Aryan- tumhe kya lagta hai
Sana- mujhe toh lagta hai face par hi thik rahega .
Aryan- acha par mujhe toh lagta woh jagah jyada better rahegi .
Sana- par mujhe aisa kuch nhi lagta
Aryan- achha agar darling tumhe Aisa nhi lagta toh pehle tumne is baat ko cherra hi kyo .
Sana- woh toh bas aise hi muh se nikal gya maine intentionally nhi bola tha.
Aryan- mein sab janta hun kya tum jaan bhujkar bolti ho aur kya nhi jyada drama mat kiyo karo
Sana- achha thik hai humne bola par ab is baat ko chorrkar yeh btao ki tumne aage kya karna hai iske baare mein kuch socha hai .
Aryan- sana socha toh bahut kuch hai par ek baat ka achhe se khayal rakhna ki karn bhai ke samne is baat ka jikar bhi nhi karna nhi toh woh bhi tension mein aa jayenge .
Sana- thik hai
(Ab sana ko lagta hai ki usko ab aryan se saare sawal puch lene chahiye jo uske man mein the )
Sana- ek baat puchu kya.
Aryan-bolo na kya baat hai
Sana- mujhe lagta hai jis tarah tumne atul ko maara tha aur phir in dono ko bhi is baat se yeh samajh aa rha hai ki tum kaafi maar pit pehle bhi kar chuke ho .
Aryan- nhi sana aisi koi baat nhi hai maine toh bas ek do baar college mein ladai ki hogi waise mein bahut Shareef hun.
Sana- achha toh phir woh jo tumne atul ko yeh baat ki thi ki tum pistol chalana achhe se jante ho aur un logo ko bhi jo isko koi hathiyar nhi khilona samjhte hai .
Aryan- maine aisa kuch bhi kaha tha kya mujhe thik se yaad nhi aa rha .
Sana- par mujhe achhe se yaad hai aur aryan meri tumse shaadi hui dekho mujhe tumko har baat btani chahiye jo mere liye janana jaruri hai .
(Sana ab aryan ki taraf gusse se dekhti hai )

Aryan- dekho sana maine tumse koi baat chupati nhi ha aur woh baat toh bas maine us atul ko darane ke liye bol di thi .
Sana- tum mujhse jhuth toh nhi bol rhe na
Aryan- maine aaj tak kabhi jhuth bola hai kya
Sana- tum jhuth ki baat karte ho maine toh aaj tak tum jaisa jhutha insan nhi dekha .
Aryan- are baby kaisi baat kar rhi ho mein is baar sahi mein sach bol Raha hun aaj tak toh maine Bandook kya kabhi kisi ke upar lathi bhi nhi chalayi sach mein mujhe meri Kasam.
Sana- thik hai agar tum aise bol rhe ho toh Maan leti hun par yeh kasam wasam mat khaya karo achi baat nhi hoti .
Aryan- waise sana mera bhi ek question tha
Sana- kya
Aryan- kya tumhare papa nhi is police ke matter ko lekar help kar sakte hai .
Sana- kar sakte hai unke kaafi contact hai par woh hamari help tabhi karenge jab mein tumko talaq de du aur isliye maine is last option maan rakha hai sath mein tumne hi toh kaha tha na ki tum kisi admi ko jaante ho jo tumhari help kar sakta hai uska kya dekho tumne aise hi mujhe shant karne ke liye jhuth toh nhi bola tha na .
Aryan- yeh jo tumne last option rakh rakha hai na isko tum no option mein dalo main tumko koi talaq walaq nhi dene wala aur nhi maine tumhe koi jhuth nhi bola hai police walon ko handle karne ke liye
Sana- waise hai kon yeh admi .
Aryan- hai koi aur waise bhi tum uske baare mein jaankar karogi kya
Sana- main abhi hi thodi der pehle tumhe kaha hai ki main tumhari biwi hun isliye mujhe haq hai tumhare baare mein sab Janane ka isliye mujhe is admi ke baare mein achhe se janana hai kyoki ho sakta hai kabhi tum is admi se contact na kar pao aur phir mujhe karna pare musibat ke waqt hai .
Aryan- thik hai baba darasal yeh mere bade bhai hai hamare dur ke rishtedar hi samajh lo par meri family ki inke sath banti nhi hai par mujhe yeh kaafi pyar karte isliye meri inhone kafi help bhi ki hai
Sana- waise karte kya hai yeh tumhare bhai jo police walon ko handle kar lenge aur inka naam kya hai .
Aryan - kuch nhi bas yeh khud bhi kisi time forces mein phir uske baad inki jindagi mein kuch aisa hua ki hamare sheher ki police bhi inko achhi tarah janti hai waise inka main kaam property ka hai aur unka naam dilawar hai.
Sana- yeh kaisa naam hua
Aryan- are achh toh hai naam
Sana- aryan yeh tumhare dilawar bhai koi galat kaam toh nahi karte
Aryan- are kaisi baat karti ho yeh toh bahut Shareef admi hai
hamara shehar toh inki sharafat ki kasam khata hai

(Suleman office)
Suleman lagbhag apni saari meeting khatam kar chuka tha par usko yeh baat anadar hi andar hazam nhi ho rhi thi ki yeh aryan kaise rangha aur sangha jaise khatarnak admi ko kutto ki tarah maar sakta hai isliye aryan ke baare mein janane ke liye woh apne ek servant ko bulata hai jo ram lal ka dost hone ki wajah se aryan ki family ke baare mein kafi kuch jaanta tha )

(Servant ab suleman ke office mein enter karta hai )

Servant- ji malik boliye kya kaam tha .
Suleman- kya tum us ram lal ke launde aryan ke baare mein kuch jaante ho .
Servant- kya hua us haramzade ne phir kuch kiya malik
Suleman- phir kuch kiya matlab pehle bhi koi kaand kar chuka hai .
Servant- kya btau malik agar is ne koi ek kaan kiya ho toh btau woh toh bachpan se hi bahut harami tha jab dekho mohalle ke bacho se ladta rehta tha par woh mohalle mein famous tab hua jab us ne sidha Dilwar singh ke ladkon se panga le liya.
Suleman- kya dilwar singh woh jo uttarakhand se tha aur idhar settle ho gya.( Dilawar singh ek ex army man tha jo apne halato ki wajah se gunda gardi mein pad gya aur isko ex army hone ke nate modern weapons aur martial arts ka kafi shonk bhi tha . suleman ne jab yeh naam suna toh uski paero tale zameen khisk gyi kyoki shayad hi koi is admi se panga lena chahe )
Servant- ji malik.
Suleman- tumne sahi suna tha na ki woh dilawar singh hi tha jis se isne panga liya .
Servant- ji malik
Suleman- toh yeh ab tak yeh insan zinda kaise hai agar isne dilawar singh se panga liya
Servant- tabhi toh maine is ladke ko haram kaha malik pehle toh isne uske admiyo ko maara par phir dilawar ke sath isne dosti bhi kar li
Suleman- dekh mujhe aise confuse mat kar mujhe puri baat bta .
Servant-malik puri baat yeh hai ki ek din dilawar ke bhanje ne ram lal ki ladki ko cher diya tha aur jab yeh baat uske launde ko pta lagi toh phir usne dilwar ke banjhr samet uske doston ki bhi bahut kutayi ki jab dilwar ko yeh baat pta chali toh usne aryan ko din dihare kidnap kar liya.
Suleman- agar usne kidnap kar liya toh dosti kaisi Hui in dono mein.
Servant- woh malik aryan ko kidnap karne ke baad usko thoda torture kiya tha par phir bhi iski akad khatam nhi huyi yeh dekh kar dilawar ko isme kuch khas baat Nazar ayi phir usne aryan se thodi baatien karna chalu kar di aur jab usko puri baat ka chala ki galti uske bhanje ki thi phir usne aryan ko chorr diya par yeh bhi use offer kar diya ki woh dilawar ke liye kaam kare aur woh ram lal ke launde ne bhi is offer ko maan liya.
Suleman- kya woh launda dilawar ke liye kaam karta hai (is waqt suleman bahut hairani mein tha )
Servant- nhi malik woh usko ke liye kaam karta tha ab usne 1 saal se dilawar ke liye kaam karna band kar diya hai itna hi nhi woh dilwar ke un admiyo se tha jise dilawar ne khud personally weapon chalana aur ladna sikhaya tha .

(Ab suleman itna kuch aryan ke baare mein sunkar ghabrahat ke maare paani pita hai )
Suleman- par dilawar ne use yeh kaam chorrne kaise diya woh toh apne admiyon ko lekar bahut serious rehta hai .
Servant- yeh hi toh main baat hai malik woh sirf uske liye kaam ho nhi karta tha par uska dost bhi ban gya tha aur dilwar aaj bhi usko apna chotta bhai samajhta hai isliye usne is launde ko kaam chorrne ki manjuri de di aur us launde ke sath hamare mohalle mein aaj bhi koi panga nhi lena chahta .
Suleman- toh yeh baat hai isliye mere aage itna uchalta hai yeh launda.
Servant- kya malik isne aap se koi panga liya kya .
Suleman- tumhe is se kya lena dena .
Servant- thik hai malik kya ab mein yahan se jaa sakta hun mujhe kuch zaroori kaam hai .
Suleman- ruko kuch aisi koi important baat btao jo tumne mujhe is launde ke baare mein nhi btayib.
Servant- dekhiye malik maine is launde ke baare mein sab kuch toh bta diya hai par agar apka is launde se koi panga hua hai toh apko iske dost ke baare mein bhi jaan lena chahiye.
Suleman- kaisa dost aur konsa dost .
Servant- iska ek dost hai jiska naam karn hamesha iske sath hi hota tha par ab ka pta nhi par ek baar maine apni ankhon se dekha tha ki ram launde ko kisi ne chanta mar diya tha college mein toh iske dost karn ne uska sar hi far diya .in dono par toh police case bhi lagne wala tha par kaise taise paise dekar is karn ne rajinama karwa liya.

(Suleman ab apne drawers se 5000 ki gaddi nikalta hai aur apne Naukar ko de deta hai )
Suleman- thik hai tum ab yahan se jaa sakte ho par tumhe is baat ko bulna hoga ki hamare bich koi baat bhi huyi thi .
Servant- ji shukriya malik in paiso ke liye aur aap kis baat ke baare mein bol rahe ho mujhe toh kuch yaad nhi aa rha main ab chalta hun .

Ab suleman bhi apni car mein baith kar police station ki taraf nikalta.
 
Last edited:

ARTICUNO

Active Member
725
917
94

Acha toh ye past hai Aryan ka ... Dilawar Aryan ko abhi bhi apna chota Bhai Manta hai ... Aur sayad ab Aryan dilawar ki help sa police wala mamla thanda kar de ... Ab dekhta hai ya suelman kya karega police station mai ... Kya bolega police ko ... Aur ab toh aur mazza aayega 🎊🎊🎊
 
Top