Update 51
Suleman ab police station par pahunch jaata hai aur mohan singh ke chamber mein enter karta hai .
Mohan- aa gye aap suleman ji aayiye baithiye aap ka hi intezar tha .
Suleman- ji sir apne bulaya tha toh aana hi tha boliye kya investigation karni hai aap ko is case ke baare mein mere se.
Mohan- mere ko bas apse yeh janana tha ki apne rangha aur sangha ko kis kaam ke liye bheja tha aur un illegal kaamo ke baare bhi hum janana chahenge jo apne kitni hi baar unko karne ke liye bole the .
Suleman- dekhiye maine rangha aur sangha ko kahi par nhi bheja aur dusri baat yeh hai ki woh dono mere liye bas chotti motti intrest ke paiso ki vasooli kar chuke hai sath mein sir yeh bhi baat hai ki mein toh inke baare mein jyada janta bhi nhi isliye apka yeh puchna hi galat hai ki maine inhe koi kaam ke liye bheja tha us dhabhe par.
Mohan- achha par maine toh kisi dhabhe ka zikar bhi nhi kiya.
Suleman- dekhiye sir bura mat maniyega par mein jitna apko samajhdar samajhta tha utne aap hai nhi kya apko nhi pata ki yeh social media ka zamana hai police se pehle aaj kal logo ko pehle pta chal jaata hai ki kya kand hua hai aur isliye maine dhabhe ka zikar kiya kyuki mujhe social media mein iske baare mein pta chala.
Mohan- toh apka yeh kehna ki yeh itefaq tha ki aap ne is khabar ke baare mein social media par sun liya par hardly is case ko ek ya fir do local media ke channel hi cover kar rhe hai dusra kya ab is baat ko bhi ittefaq kahenge ki apki ex wife jiski shadi khud apne apke khud ke driver ke bete se karadi jis se aap shayad nafrat karte hai ya karne lage hai woh bhi usi dhabhe mein usi time par thi jab rangha aur sangha ne wahan par attack kiya .
Suleman- dekhiye meri samajh mein nhi aa rha ki aap kya kehna chah rhe maine hi unki shadi karayi par phir mein hi unse nafrat kyu karunga sath mein mujhe is baat ki bhi koi information nhi thi ki yeh wahan se travel kar rhe the .aap meri baat ko samajhiye sir mera is case se koi lena dena nhi hai
Mohan- suleman ji jyada hoshiyar banane ki zarurat nhi hai toh apka kehna hai ki apko is baat ki koi khabar nhi thi ki apki ex wife aur uska pati kahan par the aur kaha Jane Wale the .
Suleman- bilkul mujhe is baat ke baare mein koi jaankari nhi thi ki woh kahan par the aur ya fir kahan par hai .meri toh unki shadi karane ke baad kabhi baat hi nhi huyi .
Mohan-toh apki us ladke se kabhi baat hi nhi Hui aur aap yeh bhi kehna chah rhe hai ki aap us se koi nafrat nhi karte
Suleman- ji meri us ladke ke sath toh kya uske kisi parivaar wale ke sath bhi baat nhi hui aur dusri baat mein uske sath nafrat kis baat ke aadhar par karunga
Mohan- dekhiye suleman ji aap ne police walo ko fuddu samajh rakha hai kya ki aap kuch bhi bolenge hum Maan jayenge .apke phone records humne achhe se check kiye hai apki parso hi aryan aur apki ex wife ke father ke sath baat Hui hai itna hi nhi jahan tak aap keh rhe hai ki mein unse nafrat kyo hi karunga par yeh baat bhi apki jhuth hai kyuki us ladke ke sath phone par baat hone ke baad apne uske baap ko driver ki naukri se nikal diya hai .
Suleman- sir mujhe nhi pta ki aap yeh kya boli jaa rhe hai aur uske baap ko maine isliye nikala kyunki woh apni salary ko lekar bahut Natak karne laga tha isliye nhi ki main uske sath nafrat karta hun
Mohan- suleman ji mein ache se janta hun aap kitna sach bol rhe hai aur kitna sach bol chuke hai .
Suleman- dekhiye sir mein jab se yahan aya hun aap bematlab ke sawal puche jaa rhe hai aur indirectly mujhe dhamkiya bhi de rhe hai mein apse kitni baar bol chuka hun ki mera is ghatna ke sath koi lena dena nhi hai .
Mohan- suno bhai suleman maine tumse bari sharafat ke sath pucha par tum abhi mere aage hoshiyar ban rhe ho par is baat ka dhyan rakho ki mujhe na tum jaise makkaro ki hoshiyari achhi tarah khatam karne aati hai .
(Mohan ki yeh baat suleman ki ego hurt kar deti hai aur waise bhi woh pehle hi uske sawalo se pareshan ho chuka tha isliye ab woh thoda gusse mein aa jata hai )
Suleman- ab tumne bahut bol liya inspector ab meri bhi sun lo mein tumhe kitni baar kaha ki mera is case se kuch lena dena nhi hai aur agar tumne mujhe bina kisi wajah ke haat bhi lagaya toh tumhare liye achha nhi hoga aur main bhi yahan se jaa rha hun aur galti se aage mujhe phone nhi karna nhi toh tumhare liye achha nhi hoga
(Suleman ab mohan ke police chamber se jaane lgta hai usne man mein soch liya tha ki aryan se pehle woh is mohan se apni humiliation ka badla lega )
Mohan- abhi toh jaa rhe ho yahan se par jaldi hi tumse milunga woh bhi pure saboot ke sath phir tumko hawalat ke andar dalunga suleman.
(Suleman gusse ab apni ghadi mein baithta hai aur apne ghar ke liye nikalta hai aur sath mein apne right hand viraj ko phone karta hai )
Viraj- bolo suleman kya baat hai koi problem ho gyi
Suleman- problem nhi bahut badi problem.
Viraj- aisa kya ho gya
Suleman- yeh police wala mohan mere piche hath do kar pad gya aaj nhi toh kal mujhe pakad hi lega isliye iska bhi koi na koi hal dhundna hi padega mujhe .
Viraj- tum chinta na karo suleman iska bhi hal mujhe mil gya samjho .
Suleman- woh kaise
Viraj- tujhe pta hai is mohan ka senior kon hai
Suleman- kon
Viraj- pratap kumar
Suleman- woh kurukshetra wala
Viraj- han
Suleman- yeh toh tune bahut achhi khabar sunayi viraj ab Mera ek aur kaam kar kisi club ya hotel mein meri is pratap ke sath meeting fix kra de
Viraj- tum chinta mat karo suleman tumhari meeting maine kal subah ko hi is pratap ke saath tumhare ghar par hi fix karwa di hai bas tum rokda taiyar rakhna.
Suleman- tumko maine pehle hi kaha tha ki tum paiso ki chinta bilkul bhi mat karna aur han yeh tumne meeting fix karke bahut achha kaam kiya isliye chinta mat karo tumhari khatirdari bhi kal achhe se hogi .
Viraj- shukriya suleman bas ab kal ka intezar rahega.
(Pratap kumar suleman ko achhe se jaanta tha aur kai baar uski help kar chuka . pratap kumar ko sirf paiso se lena dena tha apni police ki duty ko isne kabhi serious nhi lia bas rishwat hi li hai saari zindagi)

(Aryan aur sana dusri taraf karn ko pick kar chuke the aur apne ghar ki taraf nikal chuke the .aryan ne sana ko saaf saaf keh diya thi ki karn ko ladai ki baat ke baare mein kuch pta nhi chalna chahiye isliye woh dono karn ke samne normal hone ki acting kar rhe the )
Karn- waise tum dono ne kafi time lga diya aane mein
Sana- are kaisi baat karte ho bhaiya aap ne hi toh kaha tha aram se aane ko isliye hum aram se aye ki aap bhi thoda hina ke sath quality time spent karlo
Karn- bhabhi aap bhi na kaisi baat karte ho
Aryan- kaisi baat kya bhai tum toh aise pretend kar rahe ho jaise ki humko samajh mein nhi aa rha ki hina ji aur tumhare bich kya chal raha hai
Sana- sahi baat hai aryan dekho toh sahi bhaiya hina ka naam sun kar kaise blush kar rhe hai
Karn- bas karo ab tum dono .yeh tum dono ne pehle se decide Kiya tha ki aaj aap log meri taang khichoge aur aryan ki baat toh mein samajhta hun ki isko aise bin matlab ki baatien karne mein majha aata hai par bhabhi ji aap se yeh umeed nhi thi .
Sana- kya karn bhaiya aap se toh pretend bhi nhi kiya jaata aur agar aap ke aur hina ke bich kuch nhi chal raha hai toh aap bacho ki tarah aise khush kyu ho rhe ho aur ek baat khabardar aapne mujhe bhabhi ji keh kar bulaya mein apko apna bada bhai manti hun isliye aap mujhe sirf sana kehkar bulaya kare.
Karn- par bhabhi kehkar bulane mein kya dikkat hai
Aryan- dikkat hai bhaiya jab aap sana ko bhabhi kehkar bulate ho na tab isko apni age ki yaad aa jati hai aur apko toh pta hi hai aurton ki aadat ka hamesha apni age ko btati nhi toh jab aap ise sirf sana keh kar bulayenga na toh yeh thoda young feel karti hai .
Karn- achha toh yeh baat hai
(Karn aryan ki yeh baat sunkar muskrane lagta haib aur aryan apni hi baat par hasi jaa rha tha par achanak karn ka dhyan sana ki taraf jaata hai jis ne aryan ki baat sun kar muh bna liya tha isliye karn time par hi apna muskurana band kar deta hai par aryan abhi bhi has rha tha )
Aryan- kya karn bhai tumne muskrana kyu band kar diya
(Ab karn ishare se aryan ko sana ki taraf dekhne ko bolta hai jise aryan ki baat ka bura laga tha aur woh aryan ki taraf hi ghur ke dekh rhi thi jab aryan sana ki taraf dekhta hai toh phir sana ke gusse ko dekh kar chup kar jaata hai )
Karn- achha in baaton ko chorro mujhe pehle yeh btao ki sana tumhe apne mummy papa se milkar kaisa laga
Sana- sab badiya raha bhaiya aur apko toh yakeen nhi hoga aryan ne toh ammi abbu ke liye lunch bhi bnaya
Karn- aryan ne sach mein nhi main nhi manta
Sana- nhi bhaiya sach mein aur un dono ko kafi pasand bhi aaya
Karn- kyu be aryan aaj tak hume toh tune chai bhi nhi pilayi apne hath ki aur saas sasur ko sidha lunch bahut galat kiya tumne mujhe toh yeh sochkar hasi aa rhi hai jab aunty yeh baat sunegi ki is lalu laal ne lunch bnaya hai toh unka kya reaction hoga
Aryan- nhi bhai aap bhi aur sana tum bhi sun lo maa ko is baat ke baare mein kuch pta nhi chalna chahiye
Sana- kya aryan ji aap ne kuch kaha
(Sana ab thoda tension se bahar aa rhi thi aryan aur karn ke sath baatein karne ke baad par thodi fikkar abhi bhi usko lagi hui thi par woh aryan aur karn ke sath is waqt kafi comfortable mehsoos kar rahi thi )
Aryan- sidha aryan se aryan ji sana yeh tumhare yeh jo natak hai mein achhi tarah samajhta hun dekho maa ko iske baare mein kuch pta nhi chalna chahiye nhi toh band baj jayegi phir woh mujhse bhi ghar ka lunch banwaya karengi .
Karn- waise ek baat toh manani padegi ki sana ne tumko bandar se insan bna hi diya akhir sach mein tum bahut khushnaseeb ho ki tumhe sana jaisi biwi mili hai
Aryan- aisi koi baat nhi hai karn bhai mein toh pehle hi se gentelman hun bas aap log mere potential ko nhi jaante .
(Sana karn ki khushnaseebi wali baat sunkar chup ho gyi thi kyuki usko phir is baat ki yaad aa jaati hai ki jo bhi hua uski galti se hua )
Karn- are sana tumhe kya ho gya abhi toh has rhi thi achanak tumne itna sad sa face kyu bna liya isne phir se tumko kuch kaha kya
Sana- nhi bhaiya inhone mujhe kuch nhi kaha bas aise hi thoda sar chakra rha hai
Karn- sar chakra raha hai thoda time let jao thoda achha lagega
Aryan- han karn bhai sahi keh rahe thoda let jao baby
Sana- nhi aryan tum worry mat lo mein bilkul thik hun
Karn- dekho mujhe aisa kyu lag raha hai ki tum dono mujhse kuch chupa rhe ho
Sana- nhi bhaiya aisi koi baat nhi hai hum aapse kya hi chalayenge
(Sana karn ki baat sunkar thoda ghabra jaati par tabhi aryan bich mein aakar cover karta hai )
Aryan- hum kya hi chalayenge aap se bhai balki mujhe toh lagta aap humko puri baat btana nhi chahte ho kiapke aur hina ji ke bich mein kya hua hai
Karn- abe tu kehna kya chahta hai
Sana- inke kehne ka matalab kya apke aur hina ke bich koi baat aage badi
Karn- chalo thik hai ab mein tumko saari baat btata hun aur bhabi apke liye bhi mere paas khush khabri hai is nalayak ko lekar
Aryan- pehle aap apke aur hina ji ke baare mein btaiye phir khushi khabri sunenge hum
Karn- toh suno phir mujhe hina ne propose kiya
Sana- sach mein hina ne apko propose kar diya aur apne kya bola
Aryan- kya baat kar rhe woh ghamandi hina ji ne apko propose kiya mujhe toh yakeen nhi ho rha hai aisa kaise ho sakta hai
Sana- tum chup karo mr immature aur karn bhaiya aap toh yeh toh btao apne kya jawab diya
Aryan- bhai ne han ki hogi waise bhi 3- 4 saal se inki zindagi mein sukha pada hua hai
(Karn ab aryan ki taraf dekhta hai gusse se aur aryan apna muh dusri taraf kar leta hai )
Sana- isko chorriye bhaiya yeh toh har jagah bakwas hi karta hai aap btaiye aap ne kya kaha
Karn- darasal maine usko abhi ke liye naa bol diya hai par yeh bhi keh diya hai ki hum ek achhe dost ban kar zarur rahenge
Sana- par kyu bhaiya kya apko hina pasand nhi hai kya
Karn- nhi pasand toh bahut hai bas mein is relation ko dhire dhire lekar aage badna chahta hun aur hina bhi is baat ke liye man gyi hai
Sana- dekhiye Bhaiya mein toh apko yeh hi advice karungi ki yeh slow progress ko chorr kar sidha shadi kar lijiye aur waise bhi hina ki umar 29 saal
Aryan- toh yeh kon sa 18 saal ke launde hai yeh bhi toh 26 saal ke ho gye hai
Karn- lagta hai tumhari zuban zyada ho chalne lagi hai iska ilaj toh mujhe hi karna padega
Aryan- are bhaiya kaisi baat karte ho mein toh bas yu hi mazak kar rha tha
Sana- isko ignore kijiye bhaiya
Karn- tum sahi hi keh rahi ho is admi ko ignore hi karna chahiye
Sana- bhaiya aap kis khushkhabri ki baat kar rhe the waise
Karn- are han woh btana toh mein bhul hi gya toh suno baat yeh hai ki maine aryan ke liye part time job dhund li hai aur paise bhi achhe khase milenge kaam ke hisab se
Sana- sach mein bhaiya are aap ne toh aaj sach mein dil khush kar diya aap toh sahi sabse best ho bhai waise bhaiya kaam kya hai
Karn- kaam toh btata hun par yeh pehle btao ki yeh koi kaam kar payega
Sana- kar payega matlab karne padega aur agar isne nhi kiya toh phir mein mummy ji ko bta dungi yeh ciggerate aur shrab pita hai
Karn- bta dena bas Mera naam nhi aana chahiye
Sana- kyu nhi ayega apka naam aap hi ne toh isko shrab pehle baar pilayi thi.
Aryan- are tum chinta mat karo bhai mein man lagakar kaam karunga par pehle yeh baat toh btao ki kaam hai kya
Karn- kaam yeh hai ki Mera ek dost hai vicku gupta uska ek medical store hai aur usko aise admi ki zarurat hai jo medicine ke bills bna sake aur mujhe lagta hai ki aryan yeh kaam asani se kar lega
Aryan- bhai kaam toh mein kar lunga par salary kitni der rhe hai
Karn- waise toh 12000 keh rhe the par tu chinta mat kar usko keh kar mein 14000 kra dunga
Sana- thank u karn bhaiya hum apka ehsan zindagi bhar yaad rakhenge
(Sana ab soch rhi thi ki karn ne unko kitni achhi khabar di hai par sana ki hi wajah se aryan ke piche police ab bhi pad sakti hai isliye is time par woh kafi emotional ho gyi thi usko ab apne aur aryan ke future ki andar hi andar fikkar hone lagi )
Karn- dekho sana tum bilkul thank u mat karo balki thanks toh mujhe aur aryan ko tumko bolna chahiye ki itna kuch sehan karne ke bawjud tum is aryan ko chorr kar nhi gyi aur jab mein yeh kehta hun ki iski qismat bahut achhi hai ki tumne iske sath shadi ki aur mein dil se chahta hun ki upar wala tumhari jodi bnaye rakhe
Sana- karn bhaiya aap sach mein mere bhai ho aur han us se bhi bhadkar aap bahut achhe insan ho
Karn- aisi koi baat nhi hai bhabhi
Aryan- bhaiya kya aap car chala sakte hai
Karn- kyu tujhe koi problem hai
Aryan- bhai kuch nhi bas thodi tabiyat thik nhi lag rhi
Karn- thik hai mein ghadi chala leta hun mujhe koi problem nhi hai
(Sana ko pta lag gya tha ki aryan ke shoulder par dard ho rha hai isliye usne karn ko ghadi chalane ke liye bola hai )
Sana- karn bhaiya kya aap ek Pani ki bottle le ayenge please mujhe kafi pyas lagi hai
Karn- thik hai abhi aata hun apki pani ki bottle lekar
Karn ab car se utarkar pani ki bottle lene chala jaata hai
Sana- kya hua dard ho rhi hai aryan
Aryan- nhi sana bas aise hi thodi thakwat ho gyi hai tum fikkar mat karo
Sana- dekho jhuth mat bolo mujhe pta hai tumhare shoulder par dard ho rhi hai baby
Aryan- han thodi si ho rhi hai par tum kuch ulti sidhi baat mat karna ab dekho karn bhai bhi aa gye isliye chup hi rehna
(Ab karn bhi pani ki bottle lekar aa jata hai aur sabhi phir baatien karte karte apne ghar ki taraf nikalte hai )
.

Last edited: