Update 48
Aryan ab apne room se bahar aata hai aur dekhta hai ki sana chup chap sofe par baithi hui thi)
Aryan ab sana ke paas aakar baith jaata hai .
Aryan- chalo time bhi kafi ho gya hai kuch hi ghanto tumhare papa bhi aa jayenge hamien ab khana bna Lena chahiye.
(Sana aryan ki baat ka koi jawab nhi deti aur aryan sana ko baar baar bulata hai par response same hi rehta hai )
Aryan- achha agar tumko nhi baat karni toh mein ja rha hun .
(Aryan ab uth ke jaane ka natak karta hai )
Aryan- main ja rha hun tum mujhko rokogi nhi.
Sana- main tumko kyu rokongi jaha jaana hai jao.
Aryan- are yaar kaisi biwi ho tumhara pati jaa rha hai tum usko rok bhi nhi rhi ho
Sana- jaha jaana hai jao .
Aryan- toh tum mujhko nhi rokogi.
Sana- nhi chale jaye mein tumko nhi rokungi
Aryan- tum nhi rukogi toh koi baat nhi mein phir khud ruk jaata hun
Aryan- dekho sana gussa chorro aur agar humne time par lunch nhi bnaya na tumhara baap mujhe bahut baatein sunayega.
Sana- humne nhi tumne .unhone tumko bola hai lunch bnane ko mujhe nhi mr immature aur dusri baat tumhare bolne ke lehje ko kya ho gya hai .
Aryan- sana mujhe tension ho rhi hai yaar tum idhar gussa kar ke baith gyi ho.
Sana- dekho apna kaam karo mere ko phone chalane do
Aryan- achha thik hai sorry please ab toh chalo meri help kardo.
(Aryan ke 2- 3baar mnane par sana bhi maan janti hai )
Sana- thik hai lunch main bnane mein help kar deti hun par mujhse ek vaada kro.
Aryan- kaisa vaada
Sana- aaj ke baad mere aage yeh mere se dance karne ki baat na karna.
Aryan- achha thik hai nhi karta .
Ab sana aur aryan dono kitchen mein chale jaate hai .
Sana- waise tumne kuch socha hai kya bnana hai .
Aryan- nhi
Sana- tum bhi na too much ho abhi tak tumne yeh bhi nhi socha hai ki kya bnana hai
Aryan- tum btao tumhare baap i mean tumhare papa ko kya pasand hai.
Sana- tum na pehle apni language sudharo phir lunch ki baat karte hai .
Aryan- achha sorry galti se muh se nikal gya .
Sana- thik hai aage se dhyan rakhna aur khane mein main soch rhi hun ki abbu ke liye kuch south indian bnate hai unhe south indian khana bahut pasand hai .
Aryan- thik hai chalo phir taiyari karte hai .
Sana- par yaar ek dikkat hai .
Aryan- ab kya hua .
Sana- dosa toh mujhe bnane aata hai par sambhar nhi aati .
Aryan- are yaar sana toh kuch or bna lenge ek kaam karte hai idli bna lete hai .
Sana- par sambhar toh tab bhi bnana padega na .
Aryan- ek idea hai payal bhabhi bahut achha south indian bnati hai unhe puch leta hun
Sana- kon woh jo hamare ghar par ayi thi dinner pe
Aryan- han
Sana- par kya woh tumhari help kar dengi .
Aryan- bilkul kyu nhi karegi
(Ab aryan payal ko video call lgata hai )
Payal- kaise ho aryan aaj tumko bhabhi ki yaad kaise aa gyi .
Aryan- ji thik hun bhabhi aap btao kaisi ho aur woh rohan bhai kaise hai .
Payal- rohan ji toh thik hi hain tum btao koi kaam tha kya.
Aryan- han bhabhi apki help chahiye thi .
Payal - kaisi help
(Ab aryan payal ko saari baat btata hai aur payal bhi rohan ko recipe Btane lgti hai )
Payal- waise sana kaha hai .
Aryan- woh bhabhi idhar hi ye lo baat karo
Sana- kaisi ho bhabhi .
Payal- main toh thik hun tum btao kaisi ho aur han yeh bandar tumhara khyal toh rakhta hai na.
Sana- ji bhabhi yeh mera achhe se khyal rakhte hai aur main bhi bilkul thik hun.
(Payal ab sana ko bhi sab samjhati hai aur phir thori der ke baad baatien karti aur video call end kar deti hai )
(Ab aryan aur sana bhi dono lunch ki taiyari krte hai jaisa sana aryan ko instructions deti hai aryan bhi waisa hi krta hai .Sana aur aryan dono bahut achhe se ek dusre ki help kar rhe the tabhi aryan sabji kaat rha hota hai toh aryan ke haath par chaku lag jaata hai aur sana bhi yeh dekh leti hai )
Sana- kya hua baby cut lag gya dhyan se kaam kia karo na aur yeh kya tarika hai tumhe bola tha na maine ki sabji mein khud kaat lungi .
Ab sana aryan ki ungli ko apne muh me daal leti hai aur aryan bade pyar se sana ki taraf dikhta hai .
Sana- aise kya dekh rhe ho
Aryan- kuch nhi bas yuhi .
Sana- tum idhar aao main khud vegetables kaat lungi .
(Ab sana sabji katne lagti hai aur aryan usko bade pyar se dekh rha hota hai )
(Aryan aur sana dono sath milkar pura lunch taiyar kar chuke the aur ab sana baha aa jati hai tab aryan sana ke liye chai bnata hai aur usko chai Dene ke liye bahar jaata hai )
Sana ki maa- kya baat hai ji dekho toh sana aryan tumse kitna pyar karta hai tumhare liye chai bnakar laya hai tumhare abbu ne toh hame kabhi ek Pani ka gilas nhi lakar diya .
Aryan- nhi maa ji aisi koi baat nhi hai maine toh bas yuhi socha ki sana thoda thak gyi hogi isliye chai bna di waise toh maine apke liye bhi bnai hai .
(Aryan ne jo chai khud ke liye bnai thi woh apni saas ko de deta hai)
Sana ki maa- are wah aryan ek achha pati hone ke ilawa tum ek achhe damad bhi ho .Sana tum sahi thi aryan sach mein ek bahut achha ladka .
(Sana apni maa ki baat sunkar muskrane lgti hai phir uske baad sana ki maa aryan aur sana ke saath do teen baatien krke apne room mein chali jaati hai )
Sana- waise chai bnane ke liye shukriya mr immature.
Aryan- tum bhi toh mere liye itna kuch karti ho maine toh tumhare liye ek chai hi toh bnai hai sath mein abhi tum dekhti jao mein tumhare liye kya kya karunga
Sana- achha kya karoge tum.
Aryan- main tumhare liye ek ghar banaunga usme mein puri family samet rahenge sath hamare kam se kam 6 bache honge aur maine toh unke naam bhi soch liye hai
Sana- kya 6 bache na baba na mein itna load nhi le sakti .
Aryan- toh tum btao kitne bache chahiye tumhe .
Sana- abhi toh do hi thik lgte hai ek ladka aur ek ladki
Aryan- achha thik hai jaisa tum kaho darling.
Sana aur aryan aise hi adhe ghante tak baatien karte hai aur thodi der mein Abdul bhi ghar aa jata hai .
Sana- abbu aa gye aap .
Abdul- han meri bachi .
Sana- chaliye fresh ho jaye jaldi aryan ji akele aap ke liye lunch bnaya hai .
Abdul- achha kya bnaya hai Lunch mein
Aryan- ji sir maine apke liye aaj south indian khana bnaya.
Abdul- tumko kisne btaya ladke mujhe south indian khana pasand hai.
Aryan- ji sana ne .
Abdul- achha toh thik hai mein abhi 10 min mein lunch karke aata hun.
(Ab abdul fresh ho jaane chala jaata hai aur thodi der baad lunch karne ke liye aa jaata hai aur sana bhi pure gharwalo ko lunch karne ke liye bulati .sana aur aryan dono sabhi ko lunch serv kar rhe the )
Abdul- kehna padega ladke tum kafi acha khana bnate ho sach mein maza aa gya
Ruksana - sach mein jiju lunch kafi achha bna hai .
(Jab ruksana aisa bolti hai toh sana uski taraf ghur ke dekhti hai aur ruksana apni nazre niche ko kar leti hai )
(Sana aryan ki tarif sun ke bahut khush hoti hai aur yeh pehli baar tha ki sana ko uspar naaz hota hai .aryan bhi abdul ke aisa kehne par khush ho jaata hai phir dono muskurate hue sabko achhe se lunch karate hai)
Abdul- sach much aryan toh tumne khana bahut achhe bnaya hai mein aaj tumse kafi khush hun .
Aryan- ji shukriya uncle .
Abdul- are isme shukriya kis baat ka waise tum dono ne lunch kyu nhi kiya.
Sana- woh abbu humne socha ki pehle sab ko lunch kra dete hai phir khud baad mein khalenge .
Abdul- toh phir jaldi kha lo kyunki Hume aryan ke kaam ke baare mein baat bhi toh karni hai .
(Abdul ki yeh baat sunkar sana ka chehra khushi se khil uthta hai )
Aryan- ji mein samjha nhi sir aap kis ke baare mein baat kar rhe hai .
Abdul- kyu sana tumne aryan ko bataya nhi .
Sana- nhi abbu abhi tak nhi btaya kyunki mein inko surprise Dena chahti thi .
Aryan- par kya nhi btaya .
Abdul- are ladke jyada tension mat lo pehle lunch kar lo phir mujhe mere room mein tum dono aakar milna phir mein khud tumko bta dunga.
(Abdul ab apne room mein chale jaata hai )
Aryan- kya sana tumne mujhe btaya nhi aur yeh kis kaam ki baat kar rhe hai tumhare papa .
Sana- woh aryan maine yeh baat tumko isliye nhi btai kyunki mein tumhe surprise Dena chahti thi .
(Sana ab aryan ko saari baat bta deti hai sharat wali baat ko chorr kar )
Aryan- sach mein sana itna pyar karti ho mujhse
Sana- or nhi toh kya .
Aryan- toh chale phir tumhare papa se baat karne .
Sana- pehle lunch toh karlo baby
Aryan- nhi sana tumhari baat sunkar hi pet bar gya aur agar sana mein tumhare papa ke sath kaam karne lga toh tumhara har ek sapna aur shonk pura karunga.
Sana- mujhe pta hai baby.
Aryan- sach mein sana tumne yeh surprise dekar mera dil khush kar diya .
Sana- aryan agar sach mein papa ne tumko unki company mein kaam de diya toh hamare hone wale bacho ka future bhi sawar jayega .
Aryan- tum sahi keh rhi ho toh chalo na tumhare papa ke paas chalte hai .
Sana aur aryan ab abdul ke room mein jaate hai .
Abdul- itni jaldi lunch kar liya tum dono ne .
Aryan- nhi uncle humne abhi nhi lunch nhi kiya main toh sana ki baat sunkar bahut khush hun ki aap mujhe kaam karne ka ek mauka dena chahte ho .
Abdul- kaam toh main tumhe de hi dunga pehle tum mujhe ek baat btao ki yeh lunch tumne khud bnaya tha ya sana ne bnaya hai.
Sana- darasal pap woh.
Abdul- mein tumse baat nhi kar rha beti tumhare sohar se kar rha hun isliye tum abhi chup raho.
Aryan- ji uncle sach toh yeh hai ki isne aap se meri side lene ke liye jhuth bola tha maine toh kabhi kitchen mein koi vegetable bhi nahi cut ki han par maine yeh lunch taiyar karne mein puri help ki thi aur aaj toh maine sabji kaati bhi aur bnayi bhi hai .(Sana sochti hai k yeh aryan ne sach kyu bol diya ab toh gharbad ho jayegi)
Abdul- toh mera shaq sahi tha ki tumko khana bnane nhi aata aur sana mujhe tumse yeh umeed nhi thi ki tum mujhse jhuth bologi .
(Sana abdul ki baat sunkar apna sar niche kar leti hai )
Abdul- sorry beta mujhe tumhare jhuth bolne se bahut disappointment huyi hai .
Sana- toh phir abbu aap aryan ki help nhi karoge kaam karne mein.
Abdul- maine aisa kab kaha
Aryan- toh aryan phir aap humse naraj nhi hai .
Abdul- nhi bilkul bhi nhi beta koi baap apni beti se chahe kitna bhi naraj ho akhir jhukna toh baap ko hi padta hai aur sana tumko sach mein bahut pasand karti hai isliye main tumhari madad zarur karunga .
Aryan- shukriya uncle .
Abdul- nhi aaj ke baad tum mujhko uncle nhi papa keh kar bulana .
Aryan- ji papa.
Abdul- yeh hui naa baat beta .
(Sana abdul ki baatien sunkar bahut khush ho jaati hai aur abdul ke gale lagti hai aur abdul usko dular karta hai )
Sana- aap sach mein duniya ke best abbu ho
Abdul- mera bacha .
Abdul- dekho aryan pehle maine sana ko tumhe chorrne ke liye kaha tha par woh meri baat nhi maani aur main bhi ab uski baaton se convince hun ki shayad tum bhi sana ko bahut pyar karte ho isliye tum mere sath kaam karne ke liye itni jaldi maan gye .
Aryan- ji papa mein sana ke achhe future better bnane ke liye kuch bhi karne ko taiyar hun aap bas kaam batiye .
Abdul- dekho maine tumko mere hi assistant ki naukri dena ka socha hai agar mere sath rahoge toh mera kaam bhi jaldi sikh jayoge aur agar aisa hua toh beta mere paas jo bhi hai meri betiyo ke liye hai isliye agar mera kaam achhe se kar payo toh tum is company ke malik bhi ban sakte ho.
(Aryan ko abdul ki yeh baat sunkar hairan tha aur itni badi zimmedari nibhane ko sunkar usko jaise toh chakkar hi aane lgte hai par woh kaise bhi kar ke khud ko sambhalta hai )
(Sana aryan ki taraf dekh kar muskra rhi thi aur usne aryan ke sath sapne dekhna shuru bhi kar deti .Sana ki imagination mein toh aryan pehle hi company ka malik ban gya tha )
Aryan- ji papa aap jo kaam kahenge mein woh karne ke liye taiyar hun sath mein mujhe yeh bta dijiye ki mein kab se apke sath kaam karna shurukar du agar aap kahenge toh mein kal se hi aapke sath par kaam pe aa jaunga.
Abdul- ruko beta thoda sabar toh karo kya sana ne tumhe yeh nhi btaya ki kaam Dene se pehle meri ek sharat hai jo tumhe manane hi hogi .
Sana- aap chinta mat kijiye abbu aryan mere liye kuch bhi kar sakta hai .yeh toh phir ek chotto si sharat hai .
Abdul- achha chalo dekhte hai.
Aryan- isme kya dekhna papa mein sana ke liye har sharat manane ko taiyar hun .
(Aryan ki baat sunkar sana bhi bahut khush hoti hai aur usko bhi lgta hai ki aryan bura nhi hai bas kabhi kabhi koi na koi galti kar leta hai jis se log usko judge karte hai )
Abdul- toh thik hai suno meri sharat yeh hai ki tumhe yeh naukri ke baad isi ghar par rehna hoga sath mein sana bhi indore mein rahegi isi ghar mein aur tumko apne ghar walo ko hamesha ke liye bhul jaana hoga.
(Aryan aur sana abdul ki yeh baat sunkar hairan tha aur aryan ko yeh galatfehmi bhi ho gyi thi ki sana ko is baat ke baare mein sab pta tha par woh surprise ka bahana bna rhi hogi halanki sana ko is sharat ke baare mein koi idea hi nhi tha )
Aryan- sorry papa par yeh aap kya bol rhe ho dekhiye main aap ke sath kaam karne ko bhi taiyar hun aur sath mein is ghar mein rehkar kaam karne ke liye bhi par mein apni family ko kabhi nhi chorr sakta chahe mein apki company ka malik hi kyu na ban jau aur sana bhi yahan par nhi rahegi kyunki uska ghar yahan par nhi balki mere sheher mein mere baba ka ghar hai .
Aryan- kyu sana kya kehti ho maine sahi kaha na
(Sana is baat ka koi jawab nhi deti kyoki woh is waqt apni soch mein dubi huyi thi jis se aryan ki galatfehmi zyada barr jati hai aur dusri taraf abdul aryan ki baat sunkar offend ho jaata hai kyunki usko lgta tha ki koi bhi insan itna achha offer kaise thukra sakta hai )
Abdul- ab mujhe lag rha hai mein bilkul sahi tha .Sana yeh tumhara sohar ek no ka nikkama insan hai isko maine itna acha offer diya sirf tumhari khatir or isne bina kuch soche thukra bhi diya.sana meri baat mano yeh tumse koi pyar vyar nhi karta .agar yeh tumhare liye itna Kam bhi nhi kar sakta hai toh meri baat maan ke tumko isko talaq hi de Dena chahiye. Sana beta sach toh yeh hai ki tumhara nikkah ek ghatiya aur bewkuf insaan se hi huya hai jisko tumhe abhi is waqt chorr dena chahiye aur tum suno ladke tumhari itni bhi aukat nhi ki tum mere samne baith sako yeh toh bas sana ki khatir maine tum jaise chotte insan ko baithne ke layak samjha .
(Sana ko aryan ke liye yeh sab baatien sun kar bahut bura lag rha tha woh bahut dukhi ho gyi thi dusri taraf aryan ko abdul ki baaton par bahut gussa aa rha tha par woh sana ka baap yeh sochkar uski baatein ko ignore karna hi sahi samjhta hai )
Aryan- dekhiye sir aap ko jo sahi lagta hai aap apne perspective se bol rhe ho . mujhe pta hai apko apni beti ki bahut chinta hai isliye aap yeh sab baatien bol rhe ho par aap yakeen maniye main sana se sach mein pyar karta hun isliye na hi mein usko chorrne wala hun aur mein sana se yeh hi expectations rakhta hun ki woh bhi mere ko chorr kar na jaye.
Abdul- dekho ladke baatien mat bnayo aur niklo ab yahan se .yeh to yaad rakhna ki tumhare liye mera paas ab koi kaam nhi hai
aur sana bhi isi ghar mein rahegi tum ab yahan se jaa sakte ho waise bhi ek do kodi ke driver ke bete se umeed bhi kya ki jaa sakti hai .log sahi hi kehte hai ek gareeb apni aukat ke aage kabhi bhi nhi soch sakta aur han ab meri beti ko tu hamesha ke liye bhul jao.
Sana ko aryan ki itni beijjati sunkar abdul par gussa aa rha tha par woh apne baap se juban nhi ladati par chup hi rehti hai par uska man aryan ki itni beijjati ko sunkar bahut dukhi ho jaati hai .
Aryan- dekhiye sar mein abhi bhi aap se is tarah baat kar rha hun kyunki aap sana ke papa ho agar aap nhi hote toh mein apko achhi tarah btata ki meri aukat kya hai .
Abdul- kya aukat hai be Teri tujhe pta hai jitna tera baap kamata hai na utna ek mahine mein sana sirf apne kapdo pe paisa kharcha karti hai tujhe kya lgta hai ki meri beti tere sath khush rahegi nhi bilkul bhi nhi dekhna woh tujse tang ho kar khud mere paas aa jayegi aur tu ab tak yahan par kaise baitha hai nikal Jaa mere ghar se.
Aryan- thik hai sir mere ko bhi yahan par aane ka koi shonk nhi tha mein toh sirf sana ke liye is ghar mein aya tha kyunki usko aap ki bahut yaad aa rhi thi aur han shayad aap sahi hai apki beti shayad sach mein mere sath khush na rhe isliye aap usko yahi par rakhiye mein apne ghar ke liye nikal rha hun.
Sana ko aryan ki yeh baat sunkar bahut jyada takleef hoti hai bas ab usko rona chalu hi hone wala tha .aryan ab wahan se uthta hai aur jaane lgta hai .
Aryan- thik hai sana mein ab jaa rha hun tumse kabhi kabhi phone par baat kar liya karunga .yeh mat samjhna ki main tumse pyar nhi karta bahut zyada pyar karta hun par mujhe tumhare baap ki baat sahi lag rhi hai shayad hi mein tumko kabhi khush rakh pau.
Sana- aise kaise tum chale jayoge mujhe apne sath lekar nhi jayoge .
Abdul- yeh kaisi baat bol rhi ho beta is nikaame ko jaane do yeh tumko koi pyar nhi karta hai aur na hi tumhara is ladke ke sath koi future hai .
Sana- dekhiye abbu apne bahut bol liya mere sohar ke baare mein ab mein inke khilaf ek shabad nhi sunane wali aur yeh sahi tha aap sach mein bahut kadwi baatien bolte ho aur ab sach kahu toh mein apke muh nhi lagna chahti sath mein is ghar mein bhi ab nhi aaungi .
Abdul ab gussa ho jaata hai aur sana ke ek thapad lga deta hai .aryan yeh sab hota chup kar ke dekh rha tha .Sana ab rone lgti hai .
Abdul- dekho ladki yeh insaan tumhare liye bilkul bhi sahi nhi ek din tum hamari baaton ko yaad kar ke royogi .agar tum se sach mein is jeendagi mein koi pyar karta hai toh woh hai mein aur tumhari maa aur tum mere liye is do kodi ke driver ké bete liye zuban lada rhi ho .itne salo ke pyar aur ijjat ka yeh sila dogi.
Sana- kis pyar aur ijjat ki baat kar rhe ho aap agar aap mere sohar ki zara si bhi respect nhi karte aur sath mein dekh chuki ho apka pyar jab apne mujse dance karne ko mana kar diya upar se meri shaadi us kamine suleman se karadi jo mujhe raat din taklif deta rehta tha.
Sana- abbu apko pta hai main aryan se apni life mein tab mili jab mein sabse jyada takleef mein thi tab mera dil kar rha tha ki mein atamhatya kar lu tab aryan ne bhi mere sath bahut galat kiya kyoki tab woh mera apna nhi tha maine toh usko apna sohar bhi nhi mana tha par dhire dhire woh meri care krne laga .mujhse pyar karne laga aur dusri taraf aap mere apne hokar bhi mujhe kabhi samajh nhi paye .apne hi mere dusre nikkah ki ijajat di thi yeh jante hue bhi ki main is nikkah se khush nhi thi par ab main Allah ka shukar karti hun ki mera aryan ke sath nikkah hua bas ab itna hi kahungi ki aaj se aap mere account mein ek rs bhi mat daalna aur mera apse mera sohar apko btayega ki ek asli miya biwi rehte kaise hai are apse achhe toh abhi bhi hum hai hum miya biwi ek kamre mein toh sote hai apki tarah nhi ki biwi ka kamra alag aur sohar ka alag
Sana ab aryan ke paas rote hue jaati hai.
Sana- chalo baby apne ghar chalte hai mujhe yahan par ghutan mehsus ho rhi hai .
Aryan- han chalo sana .
Aryan ab sana ko console karta hua room se bahar chala jaata hai aur abdul apne room mein hi rehta hai .
Second time bhai tum ne heartattack de diya
First time anal wale scene me tabhi laga gaai ye story bhi
Second ye Sana ke ghar ka scene ye yahi baap hai jo samaj ke zooti shan shokat ke liye apna bacho kee bali dete hai kehate hai bohot se janajo ke qafan lal joda hota hai
Pehle khud kee beti ka driver ke bete se nikah karavay fir khud hee use insulting laga
Muze laga sana use aapane baap ke pass laga degi job pe to kaha se self respect rahega bhai
Biwi ke ghar Me kutta aur Ghar Jamai kee same ejjat hoti hai
Frankly aap ne fir se ek positive turn de diya