• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Naukar ke bete ke sath nikkah

Which character do u like the most

  • Aryan

    Votes: 25 78.1%
  • Sana

    Votes: 17 53.1%
  • Karn

    Votes: 5 15.6%

  • Total voters
    32
  • Poll closed .

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,263
38,991
259
Ho sakta hai story kuch logo ke liye boring ho jaye par sex scene tabhi dalunga jab uski need hogi story mein par filhal story dhire dhire hi aage badegi mujhe pta kahani ka tone bahut slow hai par mujhe samajh nhi aa raha ki isko fast pace kaise karu

Baki comment mein bta dena ki story kaise chal rahi agar bekar lag rahi hai toh phir mein band kar dunga kyunki mere paas bhi time nhi hai jyada likhne ka .

bhai sex ke uper to bahut story hai par
pyar ke uper bahut hi kam hai na ke barabar pls 🙏🙏🙏🙏 bhai story ko band mat kar na
time kam ho to 2/3 din mai update de dena par story ko band mat karna
100 mai se 1/2 hi dil ❤️ ko chhujane vali story hoti hai
jinme se ek ☝️aapki yah story hai

Writer bhai story ki pacing thik hai shayad tumko slow isiliye lag rahi hogi kyuki tumne bohot se plot direction abhi adhure chhore hue hai (jaise karan aur hina ka shadi/love relationship, dilawar bhai aur dheeraj ka plot, aur sabse main jo hai wo hai aryan ka ameer banne wala hissa) jo tumne soche toh hoga hi,ki kaise complete karna hai lekin, tumko lag raha hoga hi itne saare kaise jaldi jaldi likhunga sab😅, isiliye tumko pacing slow lag rahi hai story ki....
Aur rahi sex scenes ki baat toh usko namak jaisa swad anusaar dalte raho

Story superb hai aur jisko bekar Lage wo kripya nai padhe🙏🙏
Ab apne dekh hi liya sab kya kah rahe hain... Yahi mera bhi kahna hai

Kisi badlav Ki jarurat nahin ... Kahani aur speed dono sahi ja rahi hain... Likhte raho aise hi
 
nktubhg

Member
329
3,662
124
Update 67 part 2

Sana aur aryan jab niche aa rahe the toh tab hina suman se baith kar baatien kar rahi thi aur ram lal bhi wahi par baitha tha .

Suman - waise meri bahu hai bahut pyari usko achhe se pta hai kiske samne kaise behave karna hai
Hina- rehne dijiye aunty ji yeh sab bas apka veham hai mujhe toh lagta hai apka samne yeh acting karti hai waise bahut tej hai

Sana aur aryan yeh sab stairs par hi khade hokar sun rahe the
Aryan- dekh kya bol rahi hai tere baare mein
Sana- isko mein abhi samjha ke aayi hun ki maa ke samne kuch ulta mat bolna , sahi kiya waise karn bhaiya ne iske sath

Sana ab jaan bhujkar khansti hai taki hina ko pta chal jaye ki woh uski taraf hi dekh rahi hai aur hina usko dekh kar chup kar jaati hai

Suman - are tu chup kyu kar gyi
Hina- kya karu woh dekho aa gyi aapki pyari bahu agar isne sun liya toh bolegi ki mujhe akal nhi hai (dhimi awaz mein)

Ram lal - are sana beti aur aryan aao na wahan kya khade ho yeh tumhari saheli tum dono ki baat hi kar rahi thi
Aryan- Hnji papa humne sab sun liya hai na sana
Sana- hmm waise hina tere baare mein bhi kuch bta du ki tu yahan kya karne aayi hai .
Hina- kya are sabko toh pta hai mein bas tumhare paas rehne aayi hun aur kya
Sana- jhuth kyo bol rahi ho
Suman - kya hina yeh sana kis kaam ke baare mein bol rahi tu yahan rehne nhi aayi kya
Hina- woh aunty ji

(Hina ab sana ki taraf gusse se dekhti hai aur sana usko ankh marti hai )
Suman - bol chup kyon kar gyi
Hina- aunty ji woh ek patient hai actually thoda ziddi type hai par thoda special case bhi hai isi shehar mein rehta hai isliye idhar aayi hun
Suman - btao bhai yeh kaisa patient jisko ghar par hi ilaj chahiye
Hina- woh aisa hi hai.
Suman- par tu rahegi na 4- 5 din
Hina- ji bilkul aunty

Aryan aur ab sana niche aa jaate hai hina ke paas aakar baith jaate hai .

Sana - waise maa ji se kya bol rahi thi yeh mere baare mein .
Suman - tumhare college ke kisse suna Rahi thi
Sana man mein - kamini hina tu toh gyi
Suman - mujhe nhi pta tu bhi itni shaitaniya karti hogi
(Sana phir embrass feel karti hai aur muh niche kar leti hai )
Sana- main ,nhi toh maa ji apko kis ne kaha
Suman - hina hi bta Rahi thi ki kaise tune apne teacher ko hi prank mein fasa diya aur woh tujhe nikalne wale the school se par teri abbu ki wajah se nhi nikala .

(Hina ab jab yeh sunti hai toh wahan se jaane lagti hai par aryan usko baitha deta hai )
Hina- woh jija ji mujhe zara kaam yaad aa gya tha
Aryan - are saali sahiba aap baithiye mein hoon na apke saare kaam karne ke liye
Hina- nhi aap kyo taqlif loge
Ram lal - are isme taqlef kis baat ki aryan kar dega tumhara kaam

(Sana ab fake si smile kar ke hina ki taraf dekhti hai )
Sana- baithe raho idhar hi .

Sana ab apne shoes hina ke pau par rakh kar masal deti hai aur hina apne face par jhutha smile karna pretend karti hai kyunki suman usko hi dekh rahi thi

Sana- koi taqlef hai
Hina- nhi
Sana- toh phir yeh ganda sa muh kyu bna rakha hai
Sana- oh sorry tera muh hai hi aisa hai na shipkali kahi ki
Suman - yeh tum dono apas mein kya khusar phusar kar rahi ho
Hina- kuch nhi aunty bas idhar udhar ki baatien.
Suman- chalo tumhari baatien ho gyi ho toh hum khana kha le
Ram lal - han chalo waise bhi bahut zoro ki bukh lagi hai .
Sana- aap sab baitho mein aur hina khana padosti hai chal hina
Hina- nhi tum jao neha ko keh do mujhe aunty se baatein karne do .
Sana- kar lena 3- 4 din yahi ho kahi jaa nhi Rahi ho
Sana- jaldi chal nhi toh maa ko karn bhaiya ke baare mein bta dungi ( dhimi si awaz mein)
Hina- achha aunty mein aaati hun shayad isko mujhse koi zaruri baat karni hai
Suman - kya baat karni hai hamare samne hi kar lo
Sana- kuch nhi maa ji yeh toh bas aise hi bol rahi hai .

Sana- chup chak aa jaana andar nhi toh karn bhaiya ke baare mein sab ko bta dungi ( dhimi awaz mein)

Sana - chal thik hai behan nhi aana toh rehne de mein akele hi khana pados dungi .

Sana ab kitchen mein chali jaati hai thodi der baad hina bhi wahan khud koi bahana laga ke aa jaati hai .

Sana- aa gyi mein bhi soch rahi thi ki aayi kyu nhi abhi tak.
Hina- agar mein nhi aati toh kya sach mein bta deti tu
Sana- bilkul par yeh sab chorr kamini kahi ki yeh bta ki tu kya bakwas kar rahi hai maa ji ke aage mere baare mein kya prank karti thi dekh hina hamare ghar mein na interfere mat kar
Hina- interfere ? Achaa ab yeh interfere ho gya tu kitni chirrchiri hai sana kya ho gya thoda sa mazak kar liya
Sana- tere mazak ke chakkar mein ab pta nhi maa ji mere baare mein kya soch rahi hogi pagal achha hua waise tere sath ki tera karn bhaiya se jhagda ho gya
Hina- kya boli tu dekha aa gyi naa teri asliyat mere samne toh tu yeh sochti hai mere baare mein
Sana ab apna muh dusri taraf kar leti hai aur hina bhi aise hi karti hai .

Ab dono kitchen mein hi kaam karne lagti hai sana is samay chapati bna Rahi thi aur hina salad kaat Rahi thi .

Sana- achha sun sorry mujhe aise nhi bolna chahiye tha
Hina- tu rehne de bahut gussa hai tum mein mujhe na tu bulaya hi mat kar
Sana- toh ab tu mujhse baat nhi karegi
Hina- nhi
Sana- aise kaisi nhi karegi sun na dekh idhar please sorry bola na maine .hina yaar ab bas bhi kar please tu apni Taraf dekh na maine tujhe samajhaya tha na ki maa ke aage kuch ulta sidha mat bolna phir tune aisa kyon bola
Hina- woh toh bas mein Yun hi chal chorr aage se nhi karti par mujhe tujhse yeh umeed nhi thi ki tu aisa kuch bolegi
Sana- maine konsa dil se bola hai aur sun karn bhaiya se main khud personally baat karungi ki woh tere sath jaldi hi shaadi kar le woh meri har baat maan lete hai
Hina- sach ,tu mujhe yeh manane ke liye nhi bol rahi
Sana- nhi baba sach mein bas ek sharat maa ke aage ab koi faltu ki baat mat karna aur chal ab maine sari chapati bhi bna Li hai in sab ko bahut bukh lagi hogi khas kar papa ko bechare subah se kisi dusri dukan ki talash mein idhar udhar batak rahe hai .
Hina- par tune toh kaha tha ki mil gyi hai dukan
Sana- mil gyi thi par woh itni achhi location par nhi hai upar se tujhe pta toh yeh shehar mein kitna crime rate high hai aur woh area bhi kuch aisa hi hai
Hina-sach mein yaar middle class logo ko kitni dikkat hoti hai na humne kabhi apne ghar par aisa kuch suna bhi nhi hai mera hi dekh le mein khud kaam karti hun par dada ji abhi bhi thik thak paise mere account mein daal dete hai .
Sana- sahi kaha mere liye bhi aisa kuch dekhna bahut ajeeb hai abbu ko ek baar kehti thi toh woh jo chaiye hota toh 2 min ghar par mangwa lete the par yahan toh ghar ka ration dalna mushkil ho jaata mein shadi se pehle soch rahi thi ki kaise aryan ke parents uski sirf thode paiso aur achhe ghar ke liye mujhse shaadi Kara rahe hai halanki uski age abhi sirf 21 - 22 saal hai abhi uski age hi kya hai aur sach kahu chahe mein us waqt bahut gussa thi par mujhe uspar taras bhi aa raha tha par jab maine inke Ghar ki purani photos dekhi toh mujhe bahut bura laga yaar shayad inke Ghar ke halat bahut kharab the pehle shayad yeh inhone sab majburi mein kiya aakhir kiske maa baap apne bacho ke baare mein bura soch sakte hai
Sana- aryan ki bhi kya hi age hai abhi uski mauj masti karni ki age mein bechara zimmedariyo mein band gya hai
Hina- achha toh par phir tere abbu ne teri shaadi kyo kara di thi Teri itni chotti age mein.
(Sana ab is baat ka koi jawab nhi deti )
Sana- chorr na
Hina- kya chorr tune kabhi apne abbu se yeh sawal bhi kiya hai tujhe sab pta hai jyada bholi banane ki koi zarurat nhi hai ladki tere abbu ne sirf tera dance karna isliye churwa diya kyonki tune college mein sirf ek baar ladko ke samne dance kar liya woh bhi jab party ho Rahi thi upar se teri shadi karwa di
Sana- kya bol rahi hai tujhe lagta hai ki aise sab ladko ke samne dance karna sahi harqat thi abbu ne woh kiya jo us waqt unhe jo sahi laga .
Hina- kitna jhuth bolegi khud se sana aur kara di shaadi koi baat nhi par karayi bhi kis se mere kamine cousin se tune woh shadi ke pehle 2 saal kaise kaate hai mujhe hi pta hai tune toh yeh baat na apni maa ko batayi na hi apne abbu ko
Sana- kyu yaad dila Rahi hai woh manhoos din aur sun is baat ka zikar aaj tune kar diya hai par aaj ke baad yeh baat tere muh se nahi nikalni chahiye agar tune yeh baat kisi ko btayi toh tera mera rishta khatam
Hina- nhi btati par yeh baat aryan ko toh btayi hai na tune
Sana- nhi nhi tu pagal hai kya usko yeh baat mein kabhi nhi batane wali kuch Raaz Raaz hi rehne chahiye
Hina- par tujhe nhi lagta yeh janana uske liye bahut zaruri hai woh tera pati hai sana uske teri har baar pta honi chahiye
Sana- tu pagal ho gyi hai kya uske samne toh bilkul nhi pta nhi woh kya karega bechara pehle hi tension mein rehta hai usko lagta hai ki mein yahan khush nhi hu aur woh mera achhe se khyal nhi rakhta .
Hina- pta nhi tu apni feelings kaise daba leti hai behan mujhse toh yeh sab nhi hota chahe uske sath tu khush hai par mujhe pta hai andar hi andar tera yeh so called raaz wali baat aryan ko btana chahti hogi taki kisi ke sath toh tu apni feelings share kare mere sath toh tu abhi bhi us time ki baat nhi karti upar se yeh pretend mat kar ki tu aryan ke sath 2 kapdo mein zindagi guzar legi dil toh karta hi hoga tera naye kapde lene ka jewellery bnwane ka
Sana- sab kuch hai mere paas aur mein kaat lungi uske sath jaise kategi woh hi toh hai ek jisne mujhe sahara diya hai aur ab toh woh meri har baat manta hai mein toh uspar kabhi kabhi hath bhi utha deti hun par ulta mujhe par hath nhi uthata
Sana- chal ab bahut baatein ho gyi khana pados dete hai aur yeh raaj ki baat ka zikar na hi toh achha nhi toh sab mere upar taras khayenge jaise mein koi bechari hun.

Hina kuch nhi bolti aur chup chap khana padosne bahar chali jaati tabhi sana bhi aakar neha ko bulati hai aur sab ko chapati serve karne lagti hai aur phir thodi der baad hina aur sana ka mood achha ho jaata hai aur ab sab hasi mazak karne lage the khana khate hue

Sana- waise maa ji sabzi bahut hi tasty bnayi hai
Aryan- sabzi tasty hai toh ab khati jayogi kya bhukkad kahi ki
Suman - chup kar ja bandar tu kha beta jitna tujhe khana hai yeh toh bakwas karta rehta hai iski bachpan ki aadat hai
Ram Lal - aur kya waise bhi free ka khate khate iska dimag khrab ho gya hai ki ab dusri ki rotiya bhi ginane laga hai

(Rl jab aryan ko aise bolta hai toh sana ko thoda bura lagta hai )
Suman- kya aap bhi ab woh kaam kar toh Raha hai bechara
Ram lal - kaam kar raha hai nalayak ( gusse mein )
Aryan man mein- aaj inhe kya ho gya pehle toh kabhi aise nhi bola inhone. yeh maa bolti toh phir bhi samajh aata chalo chorro yaar mere ko kya sabzi sach mein achhi hai kabhi kabhi toh yeh paneer milta hai khane ko mujhe toh rotiyon par focus karna chahiye mein kab se apne baap ki baat ka bura manane laga

Neha - chalo chorro yeh sab hina ji ek baat btao yeh mere bhai ne sana bhabi ko aakhir manaya kaise ki woh ghar aa jaye
Hina - bta du jija ji
Aryan- mein Zara abhi aaya mujhe na college ka koi kaam yaad aaya ( nikal Jaa bhai idhar se nhi toh beijjati ho jayegi )
Sana- baitho raho ji idhar aur hina dekh kuch bhi mat bol dena aur neha kya karogi yeh sab jaankar
Hina- achha nhi btati waise aunty apko ek baat btau sana ka ek student aaya tha ghar par aur sana ne uske sath hath kya mila liya
toh apke ladke ka muh itna chotta sa ho gya tha
Hina- waise sana woh atul ka kya hua us pagal ne tere se phir koi contact nhi kiya na
Sana - are chorr tu bhi kis badtamiz ka zikar kar rahi hai aur us din ke baad maine uski shakal tak nhi dekhi
Suman - kon atul
Aryan- kuch nhi maa ji tha ek ladka sana ko pareshan kar raha tha
Suman - kya aur tune yeh baat ka zikar bhi nhi kya
Aryan - are maa tension lene ki koi zarurat nhi hai maine aur karn bhai ne usko achhe se samajha diya tha
(Suman jab karn ka naam sunti hai toh usko koi fikkar nhi hoti kyunki chahe uski karn se itni nhi banti hai par usko woh bahut achha samajhti hai aur pehle hi karn ne aryan ki bahut help ki hai woh yeh baat achhe se janti thi )
Ram lal - karn ne samajhaya hoga toh samajh gya hoga waise woh ladka hai bahut samajhdaar

(Hina toh karn ki tarif sunkar muskrane lagti hai )
Suman - apko toh woh samajhdar hi lagega na waise bhi woh apke sath kabhi kabhi drink jo kar leta hai
Sana man mein- kya sach mein mujhe nhi pta tha ki papa bhi drink karte hai
Aryan - neha di time kya hua hai
Neha - abhi sirf 9 baje hai
Sana- kya baat hai apko kahi jaana hai
Aryan- nhi college ka koi kaam hai soch raha hun jaakar kar lu
Sana- baad mein kar lijiyega mein apki help kar dungi
Aryan - pakka
Sana- hmm

Neha- waise bhabhi apko is aryan ki photo dikhau aaj hi mujhe almirah mein mili
Aryan- ab tumko konsi photo mil gyi di meri please sana ke samne toh aap sab aisa mat kiyo karo na
Sana- aap chup karo ji mujhe photo dekhne do
Neha ab sana uski photo dikhati hai phone mein yeh aryan ke school ki 10 th class ki photo thi jisme usne kisi ladki ki dress pehni hui thi .

Sana us photo ko dekh kar muskrane lagti hai
Sana- aryan ji aap toh bahut cute lag rahe ho isme yeh kab ki photo hai neha

Aryan- mere ko bhi dikhao konsi photo hai
Hina- mein bhi dekhungi

Aryan ab apni hi tasveer ko dekh kar mayus sa face bna leta
Aryan- kya yaar di yeh dikha rahi ho tum meri biwi ko
Sana- are kya ho gya aap achhe toh lag rahe ho waise apka make up kis ne kiya hai bade pyare lag rahe par yeh photo hai kaha ki
Neha - school ka play tha toh jiska role tha toh woh aaya nhi toh aditi aur iske dosto ne milkar isko yeh role karne ko convince kar liya
Sana- par sach mein bahut pyari hai yeh photo kya bolte ho aryan ji iska frame bna kar room mein lagwa de kya
Aryan- tu na zyada bol mat mera ab dimag kharab ho Raha hai
Suman - yeh kaise bol raha hai tu thoda tamiz se baat kar uske sath teri biwi hai woh
Aryan- aap sab iski side hi kyo lete ho

Hina- waise jija ji bade hot lag rahe ho tumhe kisi ladke ne wahan par propose toh nhi kar diya .

Ab sab hina ki baat sunkar hasne lagte hai

Aryan man mein - hina teri sulah toh mein ab karunga karn bhai ke sath aur sana baby tum toh aaj raat ko taiyyar rehna mein btata hun tumko par yaar mere sath hi har baar aisa kyu hota hai socha tha shaadi ke baad thodi ijjat bad jayegi par yahan toh 2 log bad gye mujhe zalili karne jab dilawar ke liye kaam karta tha tabhi hi thik tha ek aura tha mere par ab kya fayda

Ram lal - waise mere paas ek khushkabhri hai
Ab sab ram lal ki baat par dhyan dete hai
Sana- kaisi khushkhabri papa
Suman- kya baat hai ji aap kis baare mein baat kar rahe ho
Rl- mujhe market mein ek bahut achhi khasi dukan mil gyi hai kiraye par .
Sana- are wah yeh toh bahut achhi khabar hai papa
Suman - par market mein toh kiraya bahut zyada hoga hum kaha se denge ji itna kiraya
Rl- yeh hi toh khaas baat hai woh dukan bahut kam kiraye mein mil gyi hai kyunki woh dukan aur kisi ki nhi rakesh bhaishab ki hai aur unhone mujhe khud offer ki yeh dukan jab unhe pta laga ki mein khud ka business karne wala hun .
Aryan- kya aditi ke papa apko offer ki yeh dukan lagta hai unko aditi ne yeh baat btati hogi

Sana jab aditi ka naam sunti hai toh uske kaan phir se khade ho jaate par woh kuch zyada react nhi karti kyunki ek toh aryan ne usko bahut achhe se convince kar liya tha aditi ke baare mein aur woh suman ke samne kuch ulta sidha nhi bolna chahti thi

Rl- par sun lo meri baat sabhi woh rakesh bhai sahab ki ladki 3- 4 din tak yahan aa jayegi aur neha tum aur tum bhi suman usko kisi baat par jyada tokna nhi jo karti hai karne do agar late aayegi ghar toh aane Dena , agar ghar par kisi ko sath lekar aati hai toh aane do, uska dil karega woh kare par tum koi bhi interfere mat karna tum sabko pta hai na rakesh bhaisahab ne tab kitna bada tamasha kiya tha jab yeh neha ne aditi ke thapad laga diya tha mujhe yeh dukan bahut mushkil se mili hai aur mein isko kisi bhi tarah khona nhi chahta .

Neha - toh ab kya hum iski ghulam karenge
Suman - tu chup kar neha aap fikkar mat karo ji aap jaisa bol rahe ho waise hi hoga
Neha - par papa
Rl - kuch par nhi beta dekho sach toh yeh hai ki humko ek hisab se uski zee hazuri hi karni padegi hamare paas koi option nhi hai agar tum sab chahte ho ki is ghar ke halat achhe ho toh aisa hi hona chahiye jaisa mein bol raha hun aur tum bhi sana beti meri baat samajh rahi ho na
Sana- aap tension mat lijiye papa aap jaisa bol rahe hai hum sab waise hi karenge waise bhi 2 hafte mein apne ghar chali jayegi yahan par thode na permanent rehne aani wali hai woh
( neha sahi toh bol rahi hai ab uski ghulami thode na karenge par papa ne kaha hai toh karna toh padega par yaar neha ne mujhe btaya hi nhi ki isne aditi ke thapad maara tha mujhe tum par naaz hai neha bilkul sahi kiya tune aur yeh aryan kuch kyo nhi bol raha hai isko toh jaise koi farak hi nhi padta hai aise behave kar raha hai )
Suman - waise mujhe toh lagta hai jab se bahu is ghar mein aayi hai toh ghar ke halat kafi achhe ho gye hai aap bhi hafte ke andar andar khud ka kaam start kar doge sath mein neha ko bhi phir se kaam mil gya hai aur aryan bhi ab vicky ki dukan par lag gya hai bahut lucky hai lgta hai yeh hamare liye
Neha- bilkul sahi kaha maa
Aryan man mein - han sab isko god mein hi bitha lo meri bhi kabhi izzat kar liya karo jab dekho sana ki hi tarif karte rehte hai mujhe toh koi puchta hi nhi
Rl- achha beta aryan
Aryan - ji papa boliye
Rl- beta woh dukan hai uski kal safai kar aana mein Zara dukan par kya fitting achhi rahegi yeh dekhne Jaa Raha hun
Aryan - nhi papa mein kuch nhi karne wala yaar ek toh Sunday ki chutti mili hai usme toh aram karne do aap bhi na mujhe chain se baithne nhi dete
Sana man mein - yeh mr immature kab sudhrega
(Ram lal ab aryan ki baat sunkar gusse mein aaa jaata hai kyunki woh subah ka gya tha aur raat ko aaa raha tha sath mein bahut thak bhi gya tha isliye woh ab aryan ko dantne lagta hai )
Rl- han beta tu kyo kuch karega hum hai na tere naukar are thodi toh kabhi sharam kar liya kar saari umar aise hi rehna hai ab teri shaadi ho gyi hai nikaame thoda toh apni zimmedari ko samajh kab tak free ki rotiya todega
Aryan- yeh aap kya bol rahe ho ab mein apna kaam toh kar hi Raha hun
Rl- kya kaam yeh bhi koi kaam hota hai saari umar aise hi rehna hai tujhe dekh beta hum hamesha tere liye Zinda nhi rehne wale jaldi hi mar jayegnge kab tak tujhe mein aise hi paalunga kuch toh khyal kar
Suman - kya aap bhi usko aise dant rahe ho

(Idhar sab log serious ho gye the kyunki rl bahut gusse mein tha )

Rl- tu chup kar suman mujhe bolne de aaj sun nalayak tujhe zara si bhi akal hai aaj apni behan ke paiso se shopping kar ke aaya hai are tu toh apni biwi ko bhi khud ke paise ki shopping nhi Kara paya aaj tak kab samajhdar bnega tu mein hu aur yeh neha hai jo yeh ghar chala rahe aur kab tak tera kharcha karegi woh bhi 2 -3 saal tak shaadi kar ke is ghar se nikal jayegi aur mein bhi kitni hi der kaam kar lunga khud ke future ke baare mein soch kuch
Rl - is bechari bachi sana par hi thoda taras kha le apna sab kuch chorr ke tere pass aayi hai kabhi yeh socha hai ki iska khyal kaise rakhega kal ko tumhare bache honge unko kya khilayege .mujhe toh lagta hai teri shadi kara kar hi galti kar di tu nhi sudharne wala kab tak tera bhoj dhoyenge hum .tu aaj apni biwi ko apne behan ke paiso se shopping kara kar aaya hai par tujhe koi sharm hi nhi hai teri shadi hui hai uske sath neha ki nhi ki woh tera kharcha kare .apni biwi par 2 rs kharch karne ki aukat nhi hai par baatien kara lo badi badi

Aryan ko ramlal ki baat ka bura lagta hai aur woh bahut dukhi hone ke sath gussa ho jaata hai par us se bhi dukhi sana ho gyi thi .

Sana ko rl ka aryan ko aise dantana bilkul achha nhi lagta hai par woh usko bol bhi kya sakti thi par woh uski gusse mein ki hui baatien sunkar Aryan ke liye bahut dukhi ho jaati hai aur dhire se rone lagti hai .

Sana man mein - yeh papa ne bhi kitna dant diya bechare ko mana ki isne galti ki hai par aise koi dantata hai kya aur ab woh kaam bhi toh karta hai muft ki rotiya thode na todta hai yeh papa ne bahut galat kiya bechare ke sath yeh saare pape ek jaise hi hote hai kya bechara pehle hi tension mein tha ab aur jyada tension lega .mujhe toh samajh nhi aata hai aisa bhi kya bol diya usne jo itna suna Diya aur agar woh yeh hi kaam kar lega saari zindagi toh kare mein bhi koi kaam kar lungi hum sambhal lenge ek dusre ko par chahe koi bhi ho aise toh aage se kisi ko baat nhi sunani wali apne pati ke baare mein aur neha ke bhi saare paise wapis kar dungi mere paas hai maine bacha ke rakhe hai kya din aa gye hai kabhi socha nhi tha ki papa aisa behave karte hai

Aryan ab sana ki taraf dekhta hai jo halke se ansu baha rahi thi .
Aryan man mein- yeh bhi soch rahi hogi ki kis loser ke sath shadi kar li kya karu baby hun mein ek loser nhi hai meri koi aukat aur tum tumhara toh ghar hi hamari colony jitna hoga kab tak rahogi mere sath aise .kab tak apni frustration ko daba ke rakhogi tumhara baap sahi bol Raha tha hamara koi match hi nhi hai.

Suman - dekhiye please chup kar jayiye na dekho na bahu rone lagi hai
Rl - kya chup karu jisko jo karna hai woh kare mein subah ka paglo ki tarah idhar udhar dhake kha raha hun ab aaya hun ghar par isko koi concern hai ki apna kaam karne wale hai isne ek baar bhi mujhse kaam ke baare mein nhi pucha aryan beta jaise Teri harqate hai na toh yeh jo ghar mila hai dahej mein woh bhi bechna padega aur le jaana is bechari ko purane wale ghar mein jisme sirf 2 kamre hai chotte chotte aur ek rasoi phir dekhta hun kaise rehti hai tere sath mein toh keh raha hun chorr de yeh kaam aur mere sath hi aa jaa kaam kar le saari zindagi wahan naukar ban kar rehna hai kya
Aryan- Naukar hi rahunga na aakhir beta bhi toh ek driver ka hun
Suman - badtamiz aise baat karte hai apne papa se ( suman ab aryan ko ek thapad maar deti hai )
Rl- kya fayda isko maar ke hamare hinlasd pyar ki wajah se itna bigada hua hai yeh

Sana ab aryan ki taraf dekhti hai jo bahut serious tha is time par

Hina man mein - are yahan toh kalesh ho gya mujhe bahut aajeb lag raha hai par inke family matter mein. Kaise bolu kuch jab sana hi chup chap baithi hui bechari kaise ri rahi hai

Neha man mein - yeh aaj papa ko ho kya gya hai pehle toh kabhi aise behave nhi kiya

Aryan - han hun badtamiz par apne mujhe ek baar bhi samajha hai meri abhi hi apne shaadi Kara di mera toh abhi tak college bhi complete nhi hua maa ji aur kar toh Raha hu. Mein kaam par sach kahu mera nhi dil karta kuch karne ko jab apne dosto ki taraf dekhta hu woh roj apni gf ke sath ghum rahe hote , masti karte hai apni life enjoy karte hai aur apne mujhe itni zimmedari de di mujhse nhi hota ab aur bardasht.maine kaha tha mujhe shadi nhi karni par aap dono ne ek nhi suni meri
Rl - accha nhi karni thi toh us din jab sana beti ko dekh kar aaya tha toh mujhse kyu kaha ki agar shaadi karunga toh iske sath hi karunga aur kisi se nhi tujhe toh pyar ho gya tha na isko dekhte hi

Sana man mein - kya sach mein mujhe dekh kar isko pyar ho gya tha
Aryan- han ho gya tha kya karu galti ho gyi apni aukat ke bahar pyar kar ke waise bhi h mein upar jaa raha hun terrace par
Rl - maine bhi kha liya khana mein walk par jaa raha hun thodi der mein ghar aa jaunga
Suman - han jao itna kalesh kar ke tum ab walk par jaa rahe ho itna bhi dantne ki kya zaroorat thi usko
Rl - dekh mujhe faltu ka gussa mat dila pehle hi mera dimag garam ho rakha hai

(Ab r lal bhi wahan se chala jaata hai aur suman sana ko chup karane lag Jaati hai )

Suman - chal chup kar jaa beti aise ro mat yeh toh aaj aise hi gusse mein the isliye itna bol diya chal dukhi na ho
Suman man mein. - yeh bechari bhi is ghar mein aakar fas gyi

Suman - neha tu sambhal apni bhabhi ko mein Zara utni der yeh bartan saaf kar deti hu yeh mard khud kalesh kar ke nikal jaate hai phir saara saman humko sametna padta hai .
 
Last edited:

AGENT x SHADOW

Staff member
Moderator
4,881
6,197
144

Bhai mast chal rhi hai story 🎊❤️

Ye hoti hai asli problem middle class family ki Paisa , agar kama bhi rahe ho toh gharwalo ko kaam lagta hai . Mast story ja rhi hai ❤️💗
 
HSJ

New Member
24
26
13
bhai story sahi ja rahi hai
isme realty ko dikhaya gya hai

very nice
 
nktubhg

Member
329
3,662
124
Update 67 part 3

Sana ab bhi ro rahi thi aur suman wahaan se dukhi hokar chali gyi thi .

images

Suman - inko bhi abhi yeh kuch aryan ko sunana tha sab itne khush the ramu ji ko aise nhi karna chahiye tha

Neha idhar baar baar sana ko chup rehne ko bol rahi thi par woh usko na dekh bas halka halka sa ro rahi thi .

Hina - bas kar sana chup kar ja aise nhi rote aisi ladayian toh ghar par hoti hi rehti hai tu thodi toh samajhdari dikha please chup kar ja chal ab yeh ansu ponch .

Neha ab apni kursi se uthkar sana ke paas jaakar baith jaati hai aur uske ansu pohnchane lgti hai

Neha - dekho bhabhi hina ji ek dum sahi hi keh rahi aur aap na yeh rona band karo please aise aap bilkul bhi achhi nhi lgti chalo ab chup kar jao .

Sana ab neha ke hath apne chehre se hata ke apni chupi todti hai .

Sana - mein apne room mein jaa rahi hun aur neha tu bhi chal apne shopping ke saare paise le le mere paas pade hue hai thode paise.

Neha - are bhabhi( sad si awaz mein)

Neha ab sana ko hug karti hai

Neha - kya bol rhe ho aap mein apki nanad hu kya ho gya thodi si shopping kara di apko toh aur waise bhi papa ne aryan ko hi danta hai na apko toh kuch nhi kaha hai phir aap aise kyo ro rahi hun mein samajhti hun ki papa ne khud zyada bol diya aaj par aryan ne bhi toh kaam karne ko mana kiya na waise papa ne kabhi aisa kiya shayad bhabhi woh thode se pareshan hai unko kaam se jo nikal diya hai aur aaj bechare subah se bahar chakkar kaat rhe subah se bukhe the kuch khaya bhi nhi isliye unhe gussa aa gya hoga .

Sana- kya matlab mein kyu ro rahi woh mera pati hai agar usko chahe koi bhi ho kuch bhi bolega yan baatien sunayega toh mujhe hurt nhi hoga kya mana ki uski galti thi par aise toh nhi dantana chahiye tha na papa ko bhi par ab yaar woh kaam kar hi Raha hai na koi vehla ghar par toh nhi baitha hai .

Neha - thik hai mein samajhti hun par aap aise mat royiye

Sana- kuch nhi samajhti hai tu .kab se yeh baatein baar - 2 sabhi ne sunayi hai neha usko pehle maine kitne taane mare usko phir abbu ne bhi aur ab papa ne bhi suna Diya .

Sana- tujhe idea bhi hai woh kitna pareshan hai andar hi andar bechara aur bura mat manana par jab se is ghar mein aayi hun dekh rahi hun sab usko dantate hi rehte hai .

Neha- bhabhi dekho aise rone se kuch nhi hone wala aap please samjho in dono ne phir baad mein sulah kar leni hai aur aap bin baat ki chinta kar rahi ho .

Sana- mujhe pta hai par mujhe nhi achha laga behan jab usko dant par rahi thi Teri shaadi nhi hui na isliye tujhe nhi pta ki jab pati ki beijjati hoti hai na toh pati se jyada uski patni ko taklif hoti hai chahe uske pati ki galti ho ya na ho .

Sana- jab dekho sab usko bolte rehte ho aur yeh baat maa , papa yan phir tumhari hi nhi hai mein bhi toh usko baatien suna hi deti hun aur kabhi kabhi toh hath bhi utha deti hun par usne kabhi kisi ke aage zuban nhi ladai .

Neha - achha thik hai aap sahi keh rahi ho par please ab bas karo chalo mein apko room tak chorr deti hun aap thodi der let jao thoda mood thik ho jayega.

Hina- tu rehne de neha mein chalti hun iske sath.
Neha - aap rehne dijiye waise bhi aap pareshan ho gyi hongi yeh ladai jhagda dekh kar upar se aap itni dur se aayi ho isliye aap bhi thak gyi hogi aap bhi rest kar lo thoda

Sana- han tu aram kar kal tujhe apne patient se bhi toh Milne jaana hai .

Neha - chalo bhabhi thoda aram kar lo tum bhi

Neha ab sana ko samajhate hue upar tak chorrne jaati hai aur woh dono ek dusre ke sath baatein karte hue jaa rahi thi

Sana- ek toh itna bada kalesh ho gya hai aur aryan bhi upar jaakar terrace par baith gya hai tu ruk na mein aati hun isko lekar

Neha - aap tension mat lo mein Chali jaati hu samjhati hun isko
Sana- nhi woh tere kehne par nhi aane wala mujhe hi jaana padega bechara pareshan ho raha hoga kitna khush tha aaj woh par papa ki wajah se dekh kya ho gya
Neha - thik hai bhabhi par isko bhi papa ko driver wali baat nhi bolni chahiye thi

Sana ab neha ki baat ka koi jawab nhi deti kyunki usko pta tha ki neha shayad sahi hi keh rahi hai agar rl ki galti hai toh aryan ki bhi hai kyunki usne bhi badtamizi toh ki thi aur uska rl mana karne ka attitude bhi achha nhi tha

Sana- kya galti thi bol diya hoga usne gusse mein ek toh tum logo ko samajh nhi aata ki woh 22 saal yeh age hi aise hoti hai pehle toh woh Dilwar ki wajah se uski school life bhi barbad hui aur shadi ki wajah se ab woh zimmedario mein band gya hai kahan uske ghumne phirne ki age thi

Neha - bhabhi bura mat manana ab jo hua so hua ab aage badna hai in baton ko hi nhi lekar baithna chahiye usko .

Sana- shayad tu sahi hai

Neha - achha mein ab chalti hun actually abhi mera kaam bahut pending hai mujhe woh karna hai raat tak

Sana- ruk apne paise le jaa

Neha - are bhabhi ab bas karo dekho papa kuch bhi kahe mein aryan ki badi behan hun aur aap uski wife ho aur mujhe pura haq hai aap dono par paise kharcane ka .bhabhi apko aisa nhi karna chahiye maine toh apko kuch nhi kaha phir aap mere sath aisa kyu kar rahi ho chahe aap mujhse age mein badi ho par iska yeh matlab nhi ki mein apni har baar chup kar ke sun logi .

Sana- achha thik hai jaa ab tujhe bhi kaam karna hoga na

Neha- ok bye

Neha ab wahan se jaane lagti hai

Sana- achha sun
Neha - hmm
Neha ab wahin par ruk jaati hai aur sana uske paas aakar usko gale sa laga leti hai .

Sana- thank u mujhe hamesha support karne ke liye tum sach mein bahut achhi ho

(Neha ab sana ki baat sunkar muskra deti hai )
Neha -are aap meri bhabhi ho apko support nhi karungi toh kis ko karungi .

Neha ab niche chali jaati hai

Sana man mein - kitna achha lag raha tha na sab kitne khush the aur yeh bafaltu ka kalesh ho gya upar se itni thakawat bhi ho gyi par abhi is bache ko bhi niche lekar aana abhi bhi hai toh yeh na samajh hi agar bura laga hai toh terrace par jaane ki kya zaroorat kitni hawa chal rahi hai bahar lagta hai baarish aane wali hai
 
Last edited:

krish1152

Well-Known Member
6,857
18,710
188
nice update
 
Mast update hai bhai 🎊 ... Iss kalesh mai galti dekha jaye toh har koi sahi baate bol rha tha haa accept karna muskil tha chaiye woh Aryan ho ya ramlal . Bas ye dono Miya biwi ek dusra ko aisa support aur pyaar karte rahe ab inn dono character sa bahut sa readers jud chuka hai toh aasa hai ki ye dono Miya biwi ek saath rahenga ❤️
 
  • Like
Reactions: HSJ
Top