• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Paap ka samundar

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Dosto ye koi nai kahani toh nai jiska ki mai parichai du........

PAAP KA SAMUNDAR
YE KAHANI TEEN mahasaktiyo ki hogi baki aapko dheere dheere khud hi pata chal jaiega
So wait little bit
 

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Ye kahani ki suruwat maharaj badrasen ki nagri VAYDANTPUR se hoti hai .unke rajya me praja bari khushal ti .aur ho b kyu na unke raja the b bare hi dayalu aur pratapi.
Bhagwan ne har chij se nawaja ta aur sath me maharani kalawati jaisi nekdil istri jo ki sundrta ki prakasta prakasta ti. Unka sansar unke pati k irdgird hi simit ta .wo unpar ankh mund kar viswas karti ti.aur sara din puja path me hi nikalta ya fir pati ki sanidhya me..
Maharaj v unhe chate toh the hi par hasi thitoli b karte te unke sath aakhir vo bechare v jate kaha aisi biwi ko chorkar aakhir apne dil ko kaise kabu karte unke siwa unka humdard koi tha b nai.
Isi trah ek sam maharaj maharani k sath jo ki abi abi apne sayankash me apne angwastra lene aai ti
Maharaj: ohho ab kaha chali aap.
Maharani: kahi nai bas jara rukiye abhi aai mai
Maharaj: kyu kaha ja rahi hai hame yu akela chor kar?hamse jaruri b koi anya karya hai aapke jiwan me .
Maharani:oho aap v na .aap se jaruri mere jiwan me na koi hai aur na koi hoga.
Ye kahte huwe unke aalingan me chali jati hai.bhadrasen b apni patni ko aali gan me lekar unki sundarta me kho jate hai .aur bas ek tak unko hi nihare ja rahe te mano waqt tham sa gaya ho.
Maharani: kya dekh rai hai?
Maharani ,:,yai ki din prati din aapki sundarta me aur v nikhar aata ja raha hai.kya baat hai?
Maharani,:ye toh aapka pyar hai nahi toh bhala mai itni sundar kaha
Hala ki har istri ki trah wo b apni prasansa se gad gad ho gai ti wo b prannath se. Mgar stri laja b ek chij hoti hai aur unki palke iska bhoj sah na payi aur aur sharm se lajaa was apni palke lajawas niche kar leti hai.maharaj unki todi ko pakar kar upar karte hai
Maharani ki palke prem ke vasibhut jhuki hui ti.vo maharaj ki ankho me nai dekh pa rai ti laja aur sankoch se
Maharaj: hamari or dekhiye toh sahi
Maharani ek pal k liye apni palke upar karti hai mgar unn najro ki lalsa ko sah nai pati aur palke band kar leti hai. Maharaj jhuk kar unke palko ko chum lete haiaur maharani unke fauladi sinne me simat jati hai.
Maharaj:waise aap ja kaha rai ti?
Achanak maharani ko yad aata hai ki unki ssam ki puja ka waqt ho chuka hai aur wo harbara jati hai
Maharani:ab choriye v puja ka smaya ho chuka hai mai toh bhul hi gai ti
Maharaj:hmmmm aap aur aapki puja . Mujhe toh lagta hai ye aapki puja hi meri saut hai.mai toh nai jane dunga aapko
Ye kahte huwe unhone ap I pakar aur majbut kar di
Maharani:aap b kaisi baate kar rai hai .mai kahi bhagi toh nai ja rai bas puja kar lu fir ratri k bhojan ka b toh praband karna hai .ab mujhe jane de.
Itna kah maharani muskurati hai
Maharaj: bhojan k liye rasoiya hai toh fir aapko apne komal hAto ko kast dene ki kya,jarurat
Maharani: ji nai wo anya ka,khana awasya bna sakte hai par aapko toh mai apne hato se hi bna kar khilaungi.acha ab choriye
Bhadrasen v haste huwe unhe chordete hai
Maharaj:thik hai jaiye
Maharani ek barfir seunke baho me simat jati haiaur unke sine par chumban lekar chor deti haiaur fir sam k puja k liye apne angwastra lekar sanangrih ki or chal parti hai
 

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Maharani ke jane k baad maharaj kuch deer wahi rahte hai uske baad wo apne kash se nikal kar raj purohit ki traf nikal parte hai
Ab aaye jante hai ish rajya ki suraksha k bare me
Waise toh maharaj samai samai par swaym iski nirikshan karte hai
Par iski raksha ki jimmewari sena ki 8 tukriyoo kii haii pahlee durgg kii rakshaa teeen tukrii kartee haii harr tukrii kaa ekk senanayak haii jiskoo senapatii hi nirdeshh detaa haii .
Baki 2 Durg p do do tukriya tayanat rahti hai aur har durg ko jadui suraksha ghera se surakshit kiya gaya hai jiska nirakshan rajya ki prashid jadugarni sumaila karti hai .
Bina inki jankari me aaye koi parinda b pravesh naikar sakta.

Mahal ki ttha 8 tukriyoo kaa pradhann khudd senapatii veerbhadraa haii aapnee naamm kii hi trahh surveerr.
Ab jhaie hai sumaila ko jo navyuvti hai aisi jo kisi ka b mann moh le chehra ki sundarta ko dekh kar koi kah hi nai sakta ye khatrnak saktiyo ki swami hai.mahraj ki sabse majbut aur ek trah se sabse kamjor v.tantrik saktiyo ki gayata.
Ye majbut kari kamjor kari isliye hai kyuki inka dill inke bash me hi nai. Ye parosi raja chandrasen ko dillojan se chati hai
Chandrasen nihayat hi krur ,shaktisali ttha tantrik saktiyo ka gyata hai. Chandrasen aur sumaila ne ek hi guru aacharya ramshukal se diksha grahan ki ti.jo ki himalaya ki ghatiyo me rahte hai .vahi par sumaila apna dill de baithi.
Chandrasen ki najar ish rajya par bhut pahle se ti aur maharani ko kisi b kimat par hasil karna chata ta.
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Fighter

THE CREATER OF DEVIL FIGHTERS
11,635
25,469
259
:congrats:

Gajab Update Bhai

Kya aap real writer h is story ke or ise complete b krege

Waiting
:balle::armyman::toohappy::biggboss:
 

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Idhar rajya purohit bhaanuman jo ki bhut bare jyotisacharya hai maharaj ki kundli ki ganna karne me vyast te ki tabi siphi aa kar maharaj ki aane ki suchna deta hai.
wo khud aage badhkar maharaj ka swagat karte hai .par maharaj se unke chehre k bhav chup nai pate .
Jispar chinta ki lakire saaf parilakshit (dikh)rai ti .unki samasya bari hi Jatil ti
Maharaj : kya baat hai purohit ji aap chintit pratit ho rai hai
Purohit : vishaya hi chinta ki hai maharaj graho ki dasha ye spast sanket de rai hai ki hamare rajya par koi bhayanak sankat aane wali hai .
Maharaj:isse badi chinta kavisya kya hogi ki itne bare samrajya ka koi yuvraj hi nai mahrani humse nai kahti par santan sukh k liye unki trap humse chipi nai hai.aur hamara durbhagya dekhiye hum chah kar b kuch nai kar sakte apni praja ko unka utradhikari nai de de sakte
Purohit :ish samasya ka samadhan hai hame aacharya ramshukla se milna hoga wo b isi purnima k din .hame iske liye kal hi prasthan karna hoga maharani k sath.
Maharaj:jaisa aap uchit samjhe hum kal himalaya ki or prasthan karenge.waise aap kis baat ko lekar chintit te.
Purohit:graho ki dasha batla rai hai ki Aap p or rajya p bhut bari sankat aane wali hai
Maharaj: mgar ye kaise sambhav hai hame toh kahi koi chuk najar nai aati sabhi vishwas patra hai aur sumaila k rahte koi b hamare sima me pravesh b nai kar sakta.ye sambhav hi nai.hame unpar pura vishwas hai.
purohit:mai unpe shak nai kar raha maharajmai v bhalibhati janta hun unhone rajya k liye kya kuch nai kiya.mgar ho na ho koi to haijise samai rahte khojna hoga varna parinam bhut bura hoga jiski hum kalpana b nai lar sakte.
maharaj:
Acha ispe charcha hum himalaya se lautne k baad karenge. Hum apne guptcharo ko sighra ish karya par laga denge




Idhar rajya ki simao ko langhta huwa ek kabutar van me pahuchta hai ye kabutar koi aur nai balki sumaila hai vo chandrasen ka intjar kar rai ti uska rupyovan dekte hi ban raha ta safed sa ri me uska damkta yovan trasha huwa badan aur unat uroj kisi b purush k iman ko dagmaga dene k liye kafi te.
Tabi waha chandrsen pahuchta hai sumaila usse dekhte hi bhagkar ushse ja lipat ti hai uski aankho ki chamak uski khusi ko spast batla rai ti
Chand bund b uske aankho se nikal jate hai
Chandrasen:,kaisI ho sumaila?
Sumaila :tum se dur rah kar kaisi rah sakti hun.
Chandrasen:durr rahne par viwas b toh tumne hi kiya hai nahi toh kabka ush bhadrasen ko mar chuka hota aur kalawati aaj meri hoti
Sumaila:chandrasennnnnnnnn...............(chikte huwe uske awaj me krodh saf jhalakta haI aur wo use dhakel kar dur khari ho jati hai aankho se mano angare baras rai ho).maine tumse kitni baar kaha haihai kiye vichar apne mann se nikal do
Aur mere hote huwe b kalawati ka sochte ho aakhir kya kami hai mujh me ,kya mai sundar nai?
Chandrasen thora harbara jata hai par jald hi baaat ko sambhalne ki kosis karta hai
Chandrasen :tumhare pyar p mujhe koi shaq nai par ush kalawati ko mai nai chor sakta kyuki bhari swayambar me mujhe apmanit kiya ta mgar ye b sach hai ki agar wo dono sase b le rai hai toh wo tumhari vjah se .tum apne pyar ka sath chor kar unka sath de rai ho
Sumaila (chikate huwe):bas ab aur nai chale jao yaha se nai toh mere hato anarth ho jaiega chale jao
Wo wahi par girkar apne hal p rone lagti hai chandrasen b dekhta ab aur kuch kahna uchit nai hai baat bigar jaiegi chalne me hi samajhdari hai aur wo nikal jata hai
Sumaila wai baiti usse jata dekti rahti hai uske aankho se aansu nirantar bahe ja rai te ek traf uska pyar ta toh dusri traf gadari
Wo dil ki katai buri nai ti par halat uske liye badtar hote ja rai te usse samajhne wala koi b nai ta maa baap kafi pahle hi chal base ashram me hi pali badhi
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Dk89

Active Member
1,127
928
129
:congrats:

Gajab Update Bhai

Kya aap real writer h is story ke or ise complete b krege

Waiting
:balle::armyman::toohappy::biggboss:
Shukriya dost

Bhul vas mai hi vo gushtak hu jisne ye parosa hai aapke samne....

Aur puri toh jarur hogi....
 

Dk89

Active Member
1,127
928
129
date 4
Sumaila hatas aur pareshan ti wo khud hi nai soch pa rai ti ki kya kare wo .
Issi udherbun me na jane wo kab tak sunsan ghane jungle me baithi sochti rai
Fir uth kar usne chalne ka faisla liya aur kabutka ka rup dharan kar urr chali apne aasiyane ki traf
uss bechari ko toh ye b nai malum ki wo bas ek mohra hai ish khel ka chandrasen k liye.shakti kbal par wo kabi b sumaila ko jeet nai shakta ta halaki wo apni shakti ko nirantar badhane me laga ta.yai karan ta ki wo sumaila ko sath lekar chalne k liye majbur ta wo bhali bhati janta ta ki sumaila agar uske sath ho gai toh duniya ki koi b shakti usse prast nai kar sakti
Ye baat sach b ti mgar sumaila kabi galat ka sath nai deti nai toh maharaj bhadrasen ka samrajya kab ka khak ho gaya hota unke liye sumaila akele hi prayapt ti
mgar ish baar wo apne dill se majbur ti jahir si baat hai jo bachi bachpan se hi pyar k liye tarsi ho na kabi maa ka pyar mila na pita ka uske dill ki halat samajh sakte hai.

Idhar jab wo apne mahal pahuchi toh kuch samai k baad usse maharaj ki himalaya ki or prasthan karne wali suchna mili wo jaan kar bhut khus hui mgar ye khusi jada deer ki nai ti jab uska dhayan Chandrasen par gaya.
Kuch deer sochne k baad aakhir me ussne kuch aisa faisla liya jo ki aane wale samai me bhut bari wipda ka karan banegi ek vinash k aagman ka sanket.usne soch liya ki ish baar pyar aur farj dono ko brabar ka sath degi jisse wo in sab me sath ho kar b sath na ho
aur chal pari apne kach ki or ek ghatak shakti ka nirman karne
Wo sakti ti SHAKTI DAND
kya hai ye shakti dand janenge next update me tab tak liye bye bye
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Sumaila ne sevko ko maa kali ki upasna karne k liye puja samagri ikhata karne ka nirdesh diya .
Aur apne mann me ek atal nischya kar li. Ye nirnaya aane wale waqt ko lekar ta jo v nirnaya ta vaidantpur k liye subh toh nai ho sakta.ek trah se wo ish nagar ki reed ti aur jab sarir se reed ki hadi alag ho jaiye toh sarir ki kya halat hogi jara sochiye.
Ish samaiye uske dudhiya sarir par matra gerua rang ki sari lipti ti .ish roop me v uske saundarya ki tulna akalpniya hai.
Usne kali mata ki charno me sar tekk kar anushtan suru kar di.jaise jaise anushtan aage badh rai ti vatavaran bara hi bhayawah hota ja raha ta.aakash me ghane kale badal madrane lage te jisse pura vaidantpur ghir chuka ta .tej hawao k sath sath bijliyo ko apas me takrana prarambh ho chuka ta.
Idhar maharaj ne jab aaisa mausam deka aur anya praja jano ne toh unki samajh me kuch aa hi nai raha ta ki aakhir ho kya raha hai.
Idhar sumaila ne mantra ucharan karte huwe apne hato mechaku uthai aur apni hato me gahra chira laga diya lekin ush vedna kI pira v uske atal nischaya k aage kuch b na ti.
Apne hato se bahte lahu ko usne hawan kund me dalna suru kar diya.
Idhar lahu ka hawankund me jana ta ki bijliyo ka kendra sumaila k mahal ki traf uska hawan kund ho gaya.
Idhar jab maharaj ne dekha ki bijliyo ka kendra sumaila ka mahal hai toh unka mann sumaila ki,raksha aur anjane dar se vhaybhit ho gaya.
Maharani : hame sumaila ke pass ati sighra chalna chahiye vo surakshit toh hai na.
Maharaj badhawas si awasta me ush traf daur pare.sumaila unke liye putri se kam na ti.unhone sadaiw ushe apni putri hi mana ta.
Udhar raj purohit ,senapati aur anyamantri b ush traf nikal chuke te
Bijliyo ka kendra lagatar hawan kund bna huwa ta aur sumaila apne rakt se siche ja rai ti sath hi sath mantra ucharan b karti ja rai ti
Usse apni koi sudh hi nai ti
Maharaj b abtak bhagte huwe sumaila k mahal me pravesh kar chuke te aur daurte huwe usi or ja rai te
Ab tej hawai bawandar ka roop dharan kar dhire dhire hawan kund me pravesh karti ja rai ti aur fir sab sant aur hawan kund me tej praksh k roop me SHAKTI DAND prajwalit ho chuki ti.
Maharaj udhar waha pahuche aur sumaila behosh ho kar wahi girr pari.sarir se kafi rakt bah chuka ta.
Maharaj bhagkar sumaila ko apne baho me uthkar rah vaidya ki traf daur pare.
Sumaila ko ish hal me dekh kar sabhi achambhit te.
Maharaj ki ankho se nirantar aashu bahe ja rai te lekin unke pair bina raj vaidya k ghar pahuche ruke nai.
Maharaj ke piche anya sabhi b lagbhag pahuch hi chuke te
Maharaj: (chila kar)vaiiiiiiddddddd jiiiiiiiii........... vaid ji.....jaldi dekhiyeeri putri ko kya huwa hai
Vaid ji:inhe idhar litaiye aur aap bahar vishram kare.
Maharaj: nai hum idhar hi rukenge aap jaldi kuch kijiye.
Maharaj sumaila ke sarr ko apne godh me lekar vahi baith gai.ab tak maharani b aa chuki ti vo b sumaila ko aaise hal me dekh kar jarwat ho chuki ti unke aankho se v anshu ruuk nai rahe te.
Sumaila ke hath ko apne hatho me tham vahi baith gai.vaid ji nirikshan karne me lage te. Sumaila ka sundar mukhra pila par chuka ta.
Vaid ne jaldi se ek leep tayar kar jakhm p lagaya aur usse pati se bandh diya.ab khun ka rishna band ho chuka ta par sumaila ab v achetan awastha me hi ti usse kuch b hosh na ta.
Vaid: maharaj inhe chit lita de aur aap sabhi kash se bahar intjaar kare.maharaj ne sabhi ko bahar jane ka nirdesh diya koi b bahar jana toh nai chahta ta par nirdesh ka palan toh karna hi ta.
Vaid ji ne apne putri aur patni ko leep tyar karne ko kaha aoushdi ka nam bata kar.fir maharaj ko b samjha kar bahar apne sath hi lete aaye.
Maharani aagrah kar wai ruki rai.
Ab andar sirf istriya hi ti.leep tayar kar bare se bath tub aakar kbartan me ghol diya giya.
Vaid ji ne apni putri ko bahar bula kar ek aur aushdi ki leep di jisse sumaila k sare sarir par lagane paschat bath tub me dalna ta ish prakar ki sarr ko chor sesh sarir pani me duba rahe.
Vo aushdi lekar unki putri andar chali gai.
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Dk89

Active Member
1,127
928
129
Sumaila k jism se uske vastra ko alag kar rani aur sabhi ne milkar leep lagaya pure sarir uske baad usse pani me lita diya gaya jisme ghol ko tayar kiya gaya ta.isse uske sarir me jaan aur rangat badalne lagi.
Kuch samai pani me rakhne k baad use bahar nikal kar swach kapro se saf karne k baad dusre vastra pahnaiye gai ish puri kriya me wo behos hi rai ti
Ab uski halat pahle se behtar ti par hosh aane me abi time lagna ta .halka jwar b ho gaya ta .
Tayar karne k baad vaid ji ko andar bulaya gaya .
Vaid ji ne sumaila k nabj ko check kiya aur kaha ki ab inhe aaram karne de khatre wali koi baat nai hai .ha khun kafi bah jane ki wajah se kamjori rah jaiegi jo ki dheere dheere hi thik hogi.umid hai subah tak hosh b aa hi jaiegi.
Ye baat sunn kar sabhi k chehre p rahat aayi .wo jadugarni ,tantrik hote huwe v sabki chaheti ti ish baat ka jara b ghamand usme lesh matra b nai ta.
Subah k dusre pahar me kahi ja kar sumaila k netra khule.usne dekha uske samip hi raja ,rani,raj purohit ttha vaid ji samip hi baithe te .rani swayam nirantar patti badlne ka kam kar rai ti.ab wah kafi had tak swast b ho chuki ti
Sumaila :aap sab yaha
Maharaj :koi swal nai aaram karo
Sumaila:mai swast hun
Maharani : hame pata hai tum kitni swast ho
Raj vaid ji ek bar fir se nirakshan karte hai
Vaid ji: aap sabi baat kar sakte hai khatre wali koi baat nai hai
Maharaj:hum apni putri se akele me kuch baat karna chahte haikewal mahari aur purohit ji tahrenge
Baki sab kach se bahar nikal jate hai maharaj ke mukh se putri sunkar sumaila k netro me pNi aa jata haiaur wo maharani ki god me hi lipat jati hai lete lete.maharani uska gaal pyar se sahlati aur uske netro se bahte aanshuoo ko saff karti hai
Maharaj:dekho beta hame pata toh nai ki tum kya kar rai ti aur kyu par agar batana,cchaho toh bata sakti ho
Sumaila :maharaj aapne mujhe putri kaha hai .mai aapko aaswast karti hun maine kuch galat nai balki aapki aur praja ki raksha k liye SHAKTI DAND ka nirman kiya hai
Maharaj:aaj achanak se aaisi shakti ki kya jarurat par gAi jisme tumhari jaan tak p ban aaiye
Sumaila :maa kali ki puja me raj vansh ya fir mere rakt ki aawaskta ti .mai kiska rakt bahati isliye mujhe yahi uchit laga.
Maharaj: tumne ek pal k liye v ye nai socha ki tumhari jaan hamare ttha praja k liye kitna mahatwa rakti hai
Sumaila:aaj k baad aapko meri shahyta ki koi aawaskta nai rahegi maharaj isiliye maine SHAKTI DAND ka nirman kiya .ye jadui shakti hai jo lagbagh har ek prakar ki shakti ka samna karne me saksham hai aur iski ek khasiyat ye v hai ki isko kewal aapke raj vansh aur usme v jo iske yogya hoga vahi sanchalit kar payenge. Ye ek pran ghatak aastra hai jo aapke mansik tarango se icha nuroop sanchalit hogi aapke alawa agar wartman me koi isse chala sakta hai toh wo mai hun.lekin mai isse aapko supurd karungi.ab aapko sumaila ki koi awaskta nai hai.ab mai van mee niwas karne ki icchuk hun
Sumaila ki ye baat ki wo rajya chorna chahti hai sabhi par mano vajrapaat hua. Sab ka muhh khula rah gaya aur wee sumaila ko hi ghurre ja rai te .aakhir me iss khamosi ko maharaj ne hi tora.
Maharaj:kya hum jann sakte hai ki itne bare nirnaya k piche wajah kya hai .kya tumhe kisi ne kuch kaha hai naam btao uss saks ka hame.
Sumaila :nahi maharaj hame kisi ne kuch v nai kaha na hi hame koi pareshani hai
Maharaj:fir.....
Sumaila :darasal mai ye nai chahti ki kal aapse ya praja jano k sath gaddari karu.
Maharaj:ye kya boll rai ho tum hum kuch samjhe nai
Sumaila ki najre juk gai usse samajh nai aa raha ta ki bole to bole kya .fir kuch soch kar ussne sachai btana hi behtar samja.
Sumaila :mai pyar k chakar me apne farj se gaddari nai karna chahti.(uski netro se aansu bahne lage te thora ruk kar ussne fir kaha )mai aapke satru CHANDRASEN se prem karti hun.
Ye ek aur bari vajrapat ti sabhi ek dusre ka muh dekte rah gai.kisi ko kuch samajh hi nai aa raha ta ki bole toh bole kya
Sumaila:mai ye nai chahti ki iss rajya ki sarvnash ka karan mai banu.isliye mai ye nagar hamesa k liye chor kar jana chahti hun aur mai aa
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

Dk89

Active Member
1,127
928
129
aur mai aapse mai ye prathna karti hun ki agar aap mujhe apni putri mante hai toh mujhe vivash nai karenge.
Maharaj: thik hai beta hum tum par koi dabaw nai dalenge hamare himalaya se lautne tak tumhe rukna hoga
Sumaila :jaisi aagya maharaj
Maharaj :hum aagya nai nevedan kar rai hai beta .aagya dene ka adhikar toh tumne humse cchin hi liya hai. Ab akhir samai me maharaj na kah hame pita kahna agar hamara jara v mann rakhti ho to.
Sumailatrapkar gale lag jati aur jor se rone lagti hai)pita ji mujhe maff kar dijiyega .mujhse galti ho gai par mai kyaa karu.
Maharaj:nai beta tumse koi galti nai hui aur ab sant raho aur aaram karo maharani aur purohit ji hamari beti ko mahal le chaliye.
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel
Top