• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance PAGLE SAHAB KI KABR (COMPLETED)

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,987
159
Aaj school me kritika nahi aayi thi.thoda khali khali sa laga anirban ko.
Lekin kritika se mile ek din hi hue the.fir bhi kitna akela mehsoos kar raha tha

Achanak use piche kuch fusfusane ki awaz aayi

"Ye ladka Wahi hai na jo train me tha??"

"Usse hame kya,hamara kaam khatam hote hi hum yahan se choo mantar ho jayenge"

"Lekin us din train me ye sab kuch sun raha tha"

"Muh khola to hamesha ke liye muh band kar denge saale ka,filhaal yahan daru ka intezam karna padega"

Arirban unki baatein sun dar sa gaya.

Lekin saath hi saath usne notice kiya ki jo ladke kal use tang kar rahe the aaj uski taraf dekh tak nahi rahe the.

Haan thodi der tak uski aur dekhte hue do teen ladkon ne fusfusaya zaroor lekin uske aage kuch nahi kiya

Anirban sara din sirf school me man lagakar padha.aur notes bhi liya.raat ko chaganlaal ko bhi to sikhana tha

-------------------------------------------------------------------------------

"Aur aise jakadkar aise haath fasakar palti maarna,bas dushman tumhare kadmo me pada hoga"
Chaganlaal ne apne shishya ko talim dena shuru kar diya tha.tay raat ka waqt hua tha

"Baap re ye sab sikhna koi khalaji ka khel nahi"
Anirban karahte hue bola

Chaganlaal hasne laga

AAHHHH

ek cheekh sunai di ladki ki

"Kiski awaaz hai??"anirban ne satark hokar poocha

"Kya malum chodo ye sab "chaganlaal bola

"Nahi chaliye dekhte hai"bol anirban aage badhne laga jahan se awaaz aayi

Ladka kaafi dheeth hai chaganlaal sochne laga

Kuch der jaane par wahan ek ladki lete hue dikhai di.dono daud kar wahan pohunchte hai

"Are ye to kritika hai??"anirban chaunkte hue bola

"Kritika koun??is ilake me kritika........kahin jheeku sardar ki beti to nahi??"chaganlaal ne poochha

"Hum dono saath padhte hai.bataya to tha ki usse shayad class ke kuch ladke darte hain"anirban bola

"Hmmm yani jheeku sardar ki beti hi hai,jab tum keh rahe ho ki isse class me sab darte hai to Wahi hogi"chaganlaal bola

"Lekin ye jheeku sardar hai koun??"anirban ne poochha

"Jab tum yahan a hi gaye ho to jaan jaoge,lekin itna jaan lo ki tumhare class me sab is ladki se nahi iske baap se darte hai.20 saal pehle wala jheeku hota to ab tak 50 laashein gira chuka hota.lekin abhi bhi iske peeche jiska haath hai,jheeku use chodega nahi"chaganlaal bola

"Wo sab to thik hai,ab kya karein??"anirban kritika ke sar ko apne god me liya hua tha.sar se khoon beh raha tha.

"Meri maano,yahi chod do is ladki ko"bol chaganlaal jaane laga

"Nahi,chaganlal is ladki ne mera saath tab diya jab mai ek anjaan tha is jagah me,usne mujhe bachaya tha,ye jaane bina ki mai koun hoon kahan se aaya hoon,mai ise aise nahi chod sakta"
Anirban bola

"Agar nahi chod sakte to le chalo apne ghar par"chaganlaal bola

Aur koi chara nahi tha.chaganlal ke saath anirban ne kritika apne saath apne ghar le aaye.

Aur fir thodi bohut patti bandhakar kuch paani ke chehere lagate hi

AHHHH MMMMMM
WO PAGLE SAHAB KI KABR KHOJ RAHE HAI

bol fir behosh ho gayi kritika

"Sankat"dheere se bola chaganlaal

"Ye pagle sahab ki kabr ke baare me kya bol gayi ??"anirban ne poocha

"Kya??maine kuch suna hi nahi,acha chalta hoon,iske theek hote hi ghar bhej dena"bol chalang maarkar chala gaya chaganlaal

Anirban ke dimag me bohut kuch chal raha tha.thodi der tak hi jaga raha.fir Wahi piano ki awaaz.aankhein fir band hone lagi aur fir wo so gaya
Ye sahi me Bahute intresting hota ja raha he
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,987
159
Subah chidiyon ki chahchahat se kritika ki neend khul gayi.
Uff abhi bhi sar bhari lag raha hai,dard bhi ho raha hai.lekin lekin ye kahan a gayi kritika??
Jhatke ke saath aas paas dekha usne.ye ghar to.....
Aur ye koun so raha hai neeche?? apne kamar se chaku nikal liya kritika ne.wo naya ladka anirban
Lekin uske kapde to waise ke waise hai,
Oh yaad aaya.kuch log us....
Kritika muskurai.anirban bacchon ki tarah soya hua tha.aur uska chehra.kritika bas dekhte hi ja rahi thi
Khair usne desk me se ek pen aur paper liya aur kuch likhne lagi aur fir chali gayi

-------------------------------------------------------------------------------
Alarm ki awaz hi utha paayi anirban ko suraj chadhne laga tha.tapak se uth wo kritika ko khojne laga,na koi nahi mila.neeche aakar usne charo aur dekha.kritika nahi mili.haan uski chitthi mili jo usne desk par choda tha
"Anirban aaj tumne meri jaan bachai,iske liye tahe dil se shukriya dost.mai shayad kuch din tak school me nahi a paungi.lekin tum ghabrana mat.ye choti moti chot mera kuch nahi kar payegi,aur haan is ghar ke peecha jo bagicha hai,aur jo pahad hai uske aas paas bhi na bhagana,tumhare bhale ke liye keh rahi hoon"
Kritika

Uske dimag me bhoochal chal raha tha,ye kaisi jagah hai??aur piano ki awaaz se neend kyun a jaati hai ????ye saheb hai koun??aur khajana???ye chaganlaal koun hai??? kritika se sab kyun darte hai??aur kritika ne peecha bagiche me jaane se mana kyun kiya?? School ka time ho raha tha.anirban ne sochna chod bhagna behtar samjha.

School me bhi kuch khaas nahi tha.tajjub ki baat ye thi ki wo ladke jo use pareshan karte the,aur wo gunde ko train me mile the aaj school se nadarad the.
Kritika aayi nahi.pata tha anirban ko.tabhi
"Kritika ne kaha hai ki tumhe ghar tak chod Doon"ek ladka bola
"Tum koun??"anirban ne poochha,kabhi class me dekha nahi.waise bhi chota dikh raha tha

"Mera naam roshan hai,mai class 10 me padhata hoon"ladke ne bola

"Dekho mai chala jaunga.mujhe ghar tak chhodne ki zaroorat nahi"anirban bola

"Paagal ho?? kritika didi ko pata chalega to kaat ke fenk degi"roshan bola.

Anirban ko hasi a gayi.ek ladki se itni dehshat

-------------------------------------------------------------------------------

Shaam ho gayi thi.cricket match tha school me.khatam hote hote shaam ke baad raat ho rahi thi
Dono baatein karte hue a rahe the.

"Ruk"ek awaz aayi

Anirban ne dekha 4 log saamne khade the,ye Wahi the jo train me a rahe the,Wahi gunde

"Dekho kaise ghoor raha hai hume"bol anirban ka baal pakad ek zordar thappad de dala use

Anirban ke muh se khoon nikalne laga.baaki ke gunde roshan ko dhun rahe the

"Koun ho tum log.?kya chahiye tumhe??"anirban ne poocha

Jawab me ek zordar ghoosa mila jabde par

Door chitak kar gira anirban.

"Saale,bata wo chokri ko kyun bachaya tune??"ek gunde ne bola

"Kyun??tum logo ko takleef kyun hai??tum logo ne to hamla nahi kiya na??"anirban gusse se bola

"Saale harami ke pille"bol gundo ka leader laat barsane laga.

Anirban ki aankhen band ho rahi thi.tabhi usne ghode ki hinhinane ki awaz suni.lekin dekh nahi paaya aur behosh ho gaya

Dheere dheere aankh khola anirban ne.
"Thik to ho na tum??"roshan ne poochha

"Tum thik ho na??"anirban ne poocha,roshan chota tha aur uski zimmedari bhi ek hadh tak anirban ki hi thi

"Arey mujhe kuch nahi hota,mai bhi kritika didi ki tarah strong hoon"roshan bola

Anirban muskuraya,fir use yaad aaya

"Ye ghode ki hinhinane ki awaaz sunai di??"

"Haan pahle sahab ne hame bachaya paya hai??"roshan khush hote hue bola

"Ye pagle sahab koun hai??"anirban ne poochha

"Pata nahi,sirf bade logon ko pata hai,chote bachhon ko kuch batate nahi"roshan bola

"Hmm samajh gaya,ab tum ghar jao ,mai chala jaunga,ja paoge na??"anirban bola

"Bilkul,take care,bye"bol nachte hue roshan chala gaya

-------------------------------------------------------------------------------
Raat ko neend nahi a rahi thi anirban ko.bohut kuch dimag me chal raha tha

Tabhi achanak hasne ki awaz aayi

Anirban chaunk gaya

Chaganlaal diwar ke ek bade se ched se anirban ko dekh raha tha.fir wahan se ek jump maarkar ek badi si photo taang kar us ched ko dhak diya.
Anirban abhi bhi hairan tha.usne socha bhi nahi aisa koi ched hai diwar me.ye sab to movies me hota hai

"Chot nahi lagi itni lambi chhalang lagakar??"anirban ne poochha

"Chot???hah vayubandhan kiya tha na maine??? ek baar kunjlaal babu ne gusse se mujhe teen manzila imarat se neeche fenk diya tha,mai bhi vayubandhan kar neeche girte hi wapas teen manzila ke upar jaakar kunjlaal babu se bola ki ye unhone thik nahi kiya,are bhai kisi ki jaan bhi to ja sakti thi,kunjlaal babu ne samjha mai bhoot hoon aur wo moorchit ho gaye,7 din baad hosh aaya"

Anirban hasne laga.

"Lekin kunjlaal babu ko mare 10 saal ho gaye ,abhi wahan sirf makdi ke jaal aur chamgadad ka raaj hai.kuch purane din yaad aate hai to chala jaata hoon."ek lambi saans lete hue bola chaganlaal

"Waise ye pagle sahab koun the??"anirban ne poochha

"Maine to bataya na ki..."

"Mujhe roshan ne thoda bohut bata diya hai"anirban bola

Chaganlaal gusse se dekhne laga anirban ko.aisa lag raha tha ki kachha kha jayega

"Boliye na"anirban bola

"Tumhe yahan aaye hue 1 mahine bhi nahi hua chokre,ye motinagar hai.yahan door se sab shaant aur normal dikhta hai,lekin saamne aane par Rahasya, shadyantra aur khoon kharabe me aadmi ghoomta rehta hai,jitna jaldi ho sake padhai poori karo aur nikal lo,kyunki abhi tum target ban chuke ho,aane waale dino me aur bhi haalat kharab hogi tumhari"bol chaganlaal wahan se bhaag gaya

Anirban sirf bebasi se dekhta reh gaya
Ye pagle saahab ka rahasya kuchh jyada he gehra lag raha hai :hmm:
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,987
159
Anirban abne bed se utha aur gate ke paas gaya.hariya ki biwi khadi thi

"A m mujhe jaana hai"anirban bola

"Koun hai jo tumhe dara raha hai"jhumri hariya ki biwi boli

"Koi nahi didi"anirban bola

"Didi??"hairan hokar jhumri boli

"Haan mujhse badi jo mera khayal rakhti hai.time par khana aur mere baare me fikarmand hai wo didi hui na"anirban haskar bola

Jhumri kuch boli nahi thagi si reh gayi aur anirban chala gaya

Anirban bataye jagah par pohunch gaya raat ke 11:00 baje
Do teen aadmi khade the

"Police ko inform to nahi kiya na ??"awaaz pehchani si lag rahi thi anirban ko

"Roshan ye tum ho na"anirban roshan ki aur jhapta lekin baaki logo ne usko pakad liya

"Dekho anirban hamari tumse koi dushmani nahi hai,tum hame pagle sahab ki kabr ke paas ke chalo aur ye khoobsoorat kritika tumhari"door khade ek car ji aur dikhaya roshan ne

Car ka darwaza khula aur usme se kritika dikhi muh aur haath bandhe hue the
Ro ro kar bura haal tha

"Kritika ko chod to mai tumhe le chalta hoon"anirban bola

"Good yahi to hum chahte hai"roshan bola

Lekin fir bola

"Well actually mere do ladke kritika ko pakde rahenge jab hum wapas aayenge tab kritika free ho jayegi"roshan haste hue bola

Tabhi 5 log aur dikhe anirban ko
Ye Wahi log the jo train me baithkar aaye the motinagar

Yani ye gunde aur roshan ka group dono mile hue hai??

"Chalo time pass mat karo aur jaldi chalo ladke"gundo ka boss bola

-------------------------------------------------------------------------------

Jheeku sardar police ko lekar kritika ko khoje ja rahe the

"Sardar ghabrao mat wo ladka mere khayal se kritika ke saath hi hoga"chaganlaal bola

"Yakeen ke saath kaise bol sakte ho aur agar hua bhi to akela kritika ko bacha payega??"jheeku sardar bola

"Us ladke me kuch to hai sardar."chaganlaal bola

"Pata nahi mujhe to meri gudiya ki chinta ho rahi hai chahiye"jheeku sardar bola

"Aap bekar me chinta kar rahe hai"chaganlaal bola

"Lekin meri beti ko bachane ke liye agar purane jheeku ko jagana pade wo bhi karunga,25 saal pehle jo jheeku mar gaya tha aaj zinda hoga"jheeku sardar bola

Chaganlaal ye sab sunkar ek baar kaamp utha

-------------------------------------------------------------------------------
Pahadi ke raaste se us jagah ne anirban sabko lekar chal raha tha

"Ye to bata tujh jaise bhondu ko hi ye kabr ke baare me kaise pata chala??"ek gunda bola
Aur sab hasne lage

Anirban chupchap chalne laga

Moahadi ke raaste se hote hue ek gaddhe me utarkar ek surang ki aur gaye

Surang aage badhne laga aur halka sa Neelapan shuru ho gaya

Anirban ko pata tha wo nazdeek pohunch gaya hai

Neeli roshni badhti gayi aur ab sabkuch dikhane laga tha.
Torch ki zaroorat nahi thi

Aakhir wo pal a hi gaya jahan ek badi si khai thi aur khai ke us paar ek kamra

Kamre me Neeli roshni faili hui thi ek vriddh wahan kuch padh rahe the

Awaz se wo padna.chod .khidki se dekhne lage
"Khajana chahiye na tumhe??aao is cross ki roshni ko dekhte hue is seedi ke sahare a jao"vriddh bole

Aur sab dheere dheere seedhiyon se chalne lage

Vriddh ke haath me ek bada cross dikhne laga.cross se roshni bohut zyada badhne lagi
Ek samay par anirban ne bhi aankhen aadhi band kar di.anirban nahi gaya un logo ke saath kyunki wo laalchi nahi tha,bura aadmi nahi tha
Aur waise bhi usko pata tha wahan koi seedi honi nahi chahiye kyunki wahan koi seedi thi hi nahi jab pichli baar gaya tha

Khair sab log seedi se hote hue us roshni me gayab hone lage
Jab tak akhiri aadmi gayab nahi ho gaya tab tak vriddh waise hi us cross ko pakde rahe

"Ab tum bees kadam peecha jao aankh band karke,bibl b padh raha hoon disturb mat karo"vriddh bole

Anirban ki aankhon se aansu behne laga.lekin ye dar ke aansu nahi izzat aur samman ke aansu the

"Aap bohut ache hai pagle sahab,aap aaram kijiye aaj ke baad aapko koi pareshan nahi karega"man hi man bol apne aansu pochte hue aankh band kar bhari mann se bees kadam peecha gaya aur wahan pohunch gaya jahan 2 gunde kritika ko lekar khade the

Anirban ko akele dekhkar unhone apne bandook tankar jaise hi goli chalanr ki koshish ki wahi piano ki awaz shuru ho gayi

Kritika,aur baaki do gunde wahi Awaz sun behosh ho gaye
Jabki anirban par koi asar nahi hua

Khair kuch der baad police a gayi saath me jheeku sardar, chaganlaal dono the

Dono badmaash ko police le gayi aur fir anirban ke paas aayi

"Us kabr ke baare me kuch pata chala??"inspector ne poochha

"Kya kabr??mujhe kuch nahi pata "anirban bola

Doosre din sab anirban ke kamre me baith gaye.
Jhumri ne sabke liye nashte ka intezam kiya tha.ab jhumri bhi anirban se padhai seekh rahi hai chaganlaal aur hariya ke saath
"Wo sab to theek hai lekin ab padhai kar ke is ladke ka dimag aur kharab hoga,fir mere se ye daanv pench kaise seekhega??"chaganlaal bola

Anirban has pada
"Padhai bhi karunga aur daanv peench bhi seekhunga "bol wo kritika ki taraf dekh kar hasne laga

Kritika mand mand muskurane lagi

-------------------------------------------------------------------------------
AFTER SIX MONTHS
"Ari sunti ho hamara arindam first aaya hai poore state me"newspaper lekar daudte hue dr aridhman apni wife se bol uthe

"Mujhe to pata tha ,bas aapko hi ek aankh nahi bhaata tha mera beta"Mrs ghosh muh banakar boli

"To tumhara ladla aur tumhari didi ka beta suraj dono to badmashi me no 1 the,khair bhagwan ka lakh lakh shukra hai ki dono bacche sudhar gaye"mr ghosh bole

Tabhi darwaze par dastak hui

"Ek chitthi hai aapke naam "postman khada tha

Mr ghosh aur Mrs ghosh ne hairaani se chitthi li aur dono padhne lage.
Chitthi arindam ne likhi thi
"Dear mummy and papa,
Aap logo ki badi yaad aati hai,dadi ke bina din nahi nikalta aur chutki wo to har pal yaad aati hai
.ek saal kaise guzar gaya pata nahi chala
Kuch pata chala to ye ki motinagar ab apna sa.lagne laga hai
Padhai me dhyan lag raha hai.yahan ke MLA ne mujhe inaam ke taur par kuch rupaye diye the jo maine school fund me daan kar diye,
Kyunki isi school me mujhe izzat aur naam dono mila
Aapko to pata hi hoga ki wo jo kidnapping case hua tha us kritika naam ki ladki ka.usme bhi police ne mujhe inaam diye jo maine pahadi ke paas wale us garden ki.marammat ke liye kharch kar diye,ab wo koi khandar nahi ek pyara sa baag hai aur us baag me mr henry jefferson ki ek statue bhi lagai hai,
Yahan sab ke saath ghul.mil.gaya hoon
Kritika jaisi ek bohut achi ladki ki dosti mili
Jhumri jaisi didi,aur chaganlaal jaisa ustad jinse sab kuch seekha raha hoon.aap log apna khayal rakhiye

Aur haan college bhi mai yahi karunga aur uske baad hi aap logo ke paas aunga.aap sab apna khayal rakhna dadi ko aur chutki ko dher sara pyar,

Aapka
Anirban"

--------------+++-+++++++THE END+++++++++----------
Bina kisi khajane ke moh ke Anirban ne padhai ka aur achhai rasta chuna aur state me 1st aaya :epic: :good:
Kaha ham sabne socha tha ke story ke akhir me aisa khajana milega, fir hero ki aish hogi, blah blah :blahblah: par jo shanti pagle sahab ne praapt ki thi wahi Anirban ko mili :love:
 
  • Like
Reactions: Swaraj

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
135,974
112,781
354
Hello, Ladies :kiss: & Gentleman, :hi:
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 17th, Nov 2019, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur
Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur
Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.


:thanks:
On Behalf of Admin Team
Regards :-
Siraj Patel


 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,475
150,169
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,475
150,169
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top