prakash2piyush
Member
- 346
- 681
- 108

| Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread. |
|---|
| Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread. |
|---|
lajawab likha ApneAshutosh: kaun hai yeh bhagyashali Raja?
Lal Singh: “BHADRAPRATAP”
Ashutosh: aap itne sure kaise hai ki Raja ka naam “Bhadrapratap” hi hai??
Ab aagey......
Lal Singh: ek minute… (apne bag se ek aur box nikaalte hue ashutosh ko dete hai)
Ashutosh: yeh kya hai Sir?
Lal Singh: arey khol ke dekh toh lo.. Kya hai isme..
Ashotosh box khol ke dekhta hai toh… usme Tambe se bana hua ek Rath tha…
Ashutosh: (ankhein chhoti karte hue) Sir yeh toh ek Rath hai… isse kya maalum hoga?
Lal Singh: mujhe yeh 6 mahine pehle Benaras ke khandar mein mila tha… tab maine isse Research ke liye rakh liya tha….
Aur jaise hi maine apne bag mein rakha aur peeche ki taraf muda… ki achanak… .
Ashutosh: achanak kya… aap chup kyun ho gaye??
Lal Singh: (yaha wahan dekhte hue dheere se bole) achanak mera per ek ghadde mein fas gaya… mein ghadde se apna per nikaal hi raha tha ki woh jagah dhasne lagi.. Aur mein 15 feet neeche andhere kamre mein ja gira…
Ek baar toh mujhe dar laga kahin mein is khanadar mein fas naa jaaun… phir bhi himmat karke mein khada hua aur andhere mein bahar nikalne ka raasta khojne laga… .
Kuch der baad dhyaan aaya ki mere paas ek torchbhi hai… torch on karke bahar ka raashta dekhne laga… raasta toh nahi mila lekin…
Ashutosh: lekin kya… .
Lal Singh: (bahut dheere se) mere nazar ek sandook par padi… jo lohe ki thi aur usme bahut bada lock bhi laga hua tha…
Maine kaise bhi karke lock ko toda aur sandook ko open kiya… open karte hi meri nazar ek chhote se box par padi… usko khol ke dekha toh mujhe yeh Tambe ka Rath dikhai diya…
maine paas mein pade ek patthar par torch ko rakh diya aur is rath ko haath mein leke dekhne laga… mein toh bas use utshah purvak dekh raha tha ki… tabhi mujhe yaad aaya… aise rath toh mujhe pehle bhi mil chuke hai…
Ashutosh: Kya….matlab aapke paas already 2 aur hai…
Lal Singh: haan… haan… mere paas already 2 hai… woh mujhe Tungabhadra aur Raigad ke poranik sites pe mili thi… maine us samay socha yeh toh puraanik sabhyata ki koi cheez hai… jo mujhe sarkaar ko de deni chahiye…
Lekin maine socha kyu naa sarkaar ko dene se pehle iska research hi kar liya jaaye… lekin meri research poori nahi hui thi…
Ashutosh: Kyun?
Lal Singh: kyunki mujhe government se order aaya ki Benaras mein Mahadev ke chhote mandir mein ek gufa mili hai… Aur mujhe wahan research karne jaana hai….
Isliye maine woh 2 Rath apne ek aur Dost Dr Raichand ke paas rakh di hai…
Ashutosh: Sir aisa kya hai is Rath mein jo aap itne serious hai???
Lal Singh: pehle toh mujhe yeh sab normal hi lag raha tha… lekin jab mujhe yeh rath benaras mein mila toh mera perception change ho gaya… .
Ashutosh: kya?
Lal Singh: jab maine torch ko side ke pathhar par rakhkar Rath ko dekhne laga. . Jaise hi torch ki light rath par padi toh us kamre mein ek dum Sunheri(gold clour) rang ki roshni ho gayi…
Woh roshni dekhte dekhte ek deewar par Rath ka roop le liya… aur… aur…
Ashutosh: ( aschrya se) aur kya dekha aapne?
Lal Singh: deewar par Rath dikhai de raha tha aur uske neeche ek “Kata Hua Sar pada hua tha”
Ashutosh: (confuse hote hue) sar… kiska Sar?
Lal Singh: yeh toh mujhe pata nahi lekin … kuch hi der mein woh kata hua Sar aur joro se chamakne laga…
Pata nahi kyun maine apna ek haath us chamakte hue Sar ke paas rakh diya…
Jaise hi maine haath rakha toh poori roshni gaayab ho gayi aur mera haath deewar ke andar ke taraf chala gaya… aisa laga jaise ek patthar andar ki taraf khishak gaya…
Patthar andar ke taraf hote hi… ek darwaaza khula…jo koi 4feet ka tha… darwaaza khulte hi mere andar ek gudgudi se hone lagi… mujhe aisa laga ki shaayad mein aaj kisi aise itihaas ke paas pahunchne waala hoon… jo duniya se bekhabhar hai…
Mein dheere dheere karke us kamre mein ghus gaya aur andar jaakar dekha toh mujhe niraasha hui…
Ashutosh: kyun aisa kyu?
Lal Singh: mujhe waha kuch nahi mila…kuch 30 minute tak mein us kamre raha lekin mujhe koi aisi cheez nahi mili jisse mein jaan sakoon aisa kya hai is kamre mein?
Mein niraash hokar bahar ki taraf jaane laga toh mujhe kuch yaad aaya…
Ashutosh: Kya Sir??
Lal Singh: yehi ki… agar yeh Rath itne saalon se yaha rakha hua hai aur achanak is Rath par torch ki roshni padne se mujhe ek aur darwaaza ka pata chala… toh iska matlab mein hi pehla insaan hoon jo yahan tak pahuncha hoon… iska matlab kuch na kuch aisa hai jo mujhe dikhai nahi de raha hai….
Mein phir se us kamre mein har ek cheez bade hi dhyaan se dekhne laga… kuch der baad meri nazar deewaar par bane alwaari pe gayi….
Usko dhyaan se dekha toh us alwaari mein kuch design sa bana hua tha… torch ko aagey karke dhyaan se dekha toh usme Rath jaisa hi design tha…woh dekh meri dimaakh ki batti jali… .
Maine Tambe ka Rath nikala aur usi design mein fit kar diya… jaise hi Rath fit hua toh woh anti clock wise ghoomne laga… jaise hi woh ruka toh…us alwaari ki deewar alag ho gayi…
Deewar alag hote hi usme ek box dikhai diya… jo 8 X 8 ka siza ka tha… usko maine bahut hi dhyaan se khola toh usme mujhe kuch kaagzaat aur ek anghuthi mili…
Anghuthi ko toh maine apne pocket mein rakhli….aur us documents ko padne ki koshish karne laga… toh usme mujhe bas yehi samajh aaya ki…
“Raja Bhadrapratap Arhint parvat par Saraswati nadi ke Paas Mahadev Ki Tapasya karne gaye the… aur wahan par kisi mohini ka bhi jikra hai”
Ashutosh: kaun Mohini aur Badrapratap se uska kya connection hai… yeh Raja Bhadrapratap Kaun hai, aur yeh Rath humein Bhadrapratap ke baare mein kya batana chahta hai??
“Aur haan Sir yeh Kata hua Sar kiska tha?”
Lal Singh: woh toh humein pata lagana padega… lekin ek aur baat hai jo maine tumhe nahi bataai?
Ashutosh: Kya?
Lal Singh: us box mein mujhe ek naksha aur mila hai… jise maine Break bhi kar liya hai aur woh jagah bhi dhoond li hai…aur usme jo cheez hai woh humein kai ansune Raaj se waakif kara degi…
Ashutosh: kahan hai woh jagah Sir?
Lal Singh: woh… woh… Rani Ra….(bolte bolte chup ho gaye… shaayad unhone kuch dekh liya tha)
Ashutosh: kya hua Sir… aap chup kyun ho gaye?
Lal Singh ghabraate hue… ashutosh ke bagal mein baith gaye… aur kehne lage…
Lal Singhdheere se) ashutosh ab jo kehne waala hoon usko dhyaan se sun…
(Ashutosh gambhirta ko samjhte hue haan mein Sar hila deta hai…)
Lal Singh: yeh Rath aur Coin ko apne jaan se bhadkar hifaazat karna… aur mein tumhe baaki 2 Rath ki photos mail kar doonga… agar mujhe kuch ho jaaye toh tum, baaki 2 Rath aur us nakshe ko ek saath laane ki bharpoor koshish karna… yeh sab milkar tumhe ek aisi Rahsymayi Raaj kee taraf le jaayengi… jo shaayad is duniya ke liye mahatvapurn hogi…
Ashutosh: (ghabrate hue) sir aapko kuch nahi hoga…yeh mat bhooliye mein bhi army mein commando tha… aap ke oopar sankat aane se pehle usse mujhse gujarni hogi…
Lal Singh: (chidte hue) tum bachho jaisi baatein naa karo… jab mout aati hai toh kisi ko pata bhi nahi chalti… bas tum mujhse waada karo agar mujhe kuch ho gaya toh tum mera adhoora kaam poora karoge…
Ashutosh(aankh mein aansu laate hue) mein aapse waada karta hoon.. Mein aapka adhura kaam jaroor poora karunga…
Lekin woh naksha aur anghuthi kahan hai?
Lal Singh: tumhe sahi waqt par woh sab mil jaayengi… ab tum yeh Rath aur Coin apne paas rakho…
Ashutosh ne woh sab cheej apne pocket mein rakh liya…
Kuch der baad Lal Singh ne dheere se kaha…
Lal Singh: ashutosh mein tumhe ek diary de raha hoon… yeh diary tumhare liye hi likhi gayi gai… iska istemaal tab karna jab tumhe iski jarurat pade… (itna kehkar woh side mein bane train ke window ko dekhne lage)
Usko dekhte hue Lal Singh ne jor se kaha…
Ashutosh mein yeh Rath aur documents apne paas hi rakhunga… mujhe nahi lagta ki tum iski dekhbaal kar paaoge…
(Ashutosh unki baatein sunkar confuse ho gaya… aur kuch kehne ko hua hi tha ki… Lal Singh ne usse ishaare se mana kar diya ki kuch naa bolo… )
Usse phir bhi nahi samajh aaya lekin ashutosh ne us waqt yehi kaha… theek hai sir aap hi rakh lijiye mujhe toh kuch samajh nahi aayega…
Kuch der baad woh dono Benaras ke station mein utar gaye… aur bahar ki taraf chalne lage… lekin achanak Lal Singh ne kaha…
Lal Singh: bahar kahan jaa rahe ho?
Ashutosh: sir toh phir hum yahan kya karne aaye hai?
Lal Singh: (muskraate hue) kuch nahi…humara aane ka kaam poora ho gaya hai ab humein waapas kanpur jaana hai…
Ashutosh: lekin kyun? Hum itni door aaye hi kyun the??
Lal Singh: bas mera man kar raha tha ki Benaras ka station dekh aaun….
Ashutosh: (maathe pe haath maarte hue) hai bhagwaan ab mein inka kya karoon???
Yeh sun dono hasne lage aur waapas kanpur ke liye chal dete hai…
(Darasal Lal Singh ne train ke window seat par ek transmiter dekh liya tha… unhe sak hua ki koi unki baat record kar raha hai… isliye unhone jhoot kaha ki Rath apne paas hi rakhenge… woh darasal ashutosh ko bachana chahte the… unhone decide kar liya tha ki kanpur pahunchte hi ek nakli tambe ka Rath banwaayega aur apne paas rakhenge)