• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Parat (Layer)

340
679
108
Bhai jald hi karunga
Aaj to monday bhi bit gaya.
 
  • Like
Reactions: Xlover_manoj

Xlover_manoj

PARAT---(Vasna Ki kahani)
42
55
18
Ashutosh ko kuch samajh nahi aa raha tha.. Ki yeh sab kya ho raha hai… woh toh khud unko guru manta tha… aur woh unka murder kyun karega… ?

“Jaldi chaliye….” SP khan ne kaha!

Ashutosh bina kisi ko dekhe SP Khan ke saath chal deta hai… aur idha poora college bhichakka the ki yeh sab kya ho raha hai?

ab aagey.....


Ab chalo chalte hai usi samay mein:

“Yeh kya guruji… hum mahal mein kya kar rahe hai”? Aranya aur Adyut ne ek saath poocha…

Guruji: mujhe jo sahi laga wohi maine kiya hai... Agar hum log wahan kuch der aur rukte toh hum sab bhasm ho jaate….wahan jo hahakar hota use rokne mein tum aur mein milkar bhi nahi rok sakte the…

Aranya:(gusse mein) jo hota woh hum dekhlete… lekin aise kaayro ki tarah chupkar hum kya karenge… guruji aapne humein humaari nazro se hi gira diya hai… hum soorveer kshatriya hai, humein mrityu se kya dar, woh toh ek din aani hai…

Aagey bhavishya mein hum dono bhaiyo ko “RANNCHHOR”(yudh ke maidaan se kaayoro ki tarah bhagne waale ko Rannchhor kehte hai) kaha jaayega… hum apne purvajo se kaise aankh mila paayenge… aapne toh humein jeete jee mar diya…

Guruji: ( krodh mein kehte hai) bhavishya mein kya hoga, yeh kisne dekha hai…kal usi ka hai jo aaj zinda hai… agar aaj hum log us maidaan e jung mein rehte toh hum log kabke rakh ban chuke hote…

Itihaas zinda aur shoorveer logo ko hota hai, mare hue logo ka nahi… arey tum humein kya gyaan baat rahe ho… tumhe pata hai ki kai yug pehle ek Raja hua karte the…

Woh itne balwaan the ki woh ek baar mein hi pure prithvi ko nasht kar sakte the… lekin unhone bhi apni matra bhimi ko chhodkar kahi dusri jagah apna rajya banaya… unhe us waqt ke dushman aur kareebi log“RANNCHHOR” kehne lage… lekin baad mein usi Raha ko hum Bhagwaan maante hai…

Adyut: aap kiski baat kar rahe hai Guruji?

Guruji(haath jodte hue aur apni aankh band karte hue kehte hai) Mein Bhagwaan Shree Krishna keep baat kar raha hoon….

Yeh naam sunte hi Adyut aur Aranya ke sari jhuk jaata hai aur kehte hai “Jai Shree Krishna”…..

Guruji: ab jo ho gaya hai uspe dhyaan mat do… jo aagey tumhe karna hai us cheez par dhyaan do…

“Ab humein kya karna hoga?” Aranya ne pucha

Guruji kuch kehne hi waale the ki… unke kaano mein ek kathor aur bhari awaaz padi…

“Guruji ko mere pranam” Raja Chakradhari ne Kaha

Raja Chakradhari Aranya aur Adyut ke pita the….

Gurujii: Khush raho vats

Chakradhari: aap logon ka mahal pe hone ka matlab yehi hai ki….hum yudh jeet gaye…

Wah mere sher, humne bahut badi jeet haasil kar li hai… achha hua woh Karan maara gaya…

(chakradhari bahut hi kroor Raja the… uske andar daya ya achhe Raja ki koi nishaani nahi thi…. Lekin usme ek khaasiyat thi ki woh apne baahubal se hi duniya pe raaj karna chahta tha…woh yudh ko yudh kre tarah hi ladta tha… usse chaal ta kapat karke apne dushmano ko ant nahi karta tha)

Chakradhar apne putro ko gale lagakar jeet ki bhadai de raha tha… lekin usse kuch ajeeb laga kyunki un dono ke mukh par koi khushi nahi thi….. Yeh dekh chakradhar kehte hai…

Chakradhar: kya hua tum sab logo ka munh kyu utra hua hai?

Teeno ek dusre ko dekhte rehte hai…

Chakradhar (thoda gussa hote hai) kya hua mein kuch puch raha hoon?

Aranya: ji wo… wo… woh..

Chakradhar:( gusse mein) kya hua spasht bataao

Unko gusse mein dekh Guruji ne saari kahani bataai aur woh kaise Aranya aur Adyut ko waha se le aaaye….

Maharaj Chakradhar puri baat sunne ke baad krodh mein aa gaye aur apne kamar se talvaar nikaal li… aur kehne lage…

Chakradhar: yeh tumne kya kiya guruji… tumne aaj humaari maan pratishta sab nasht kar di… hum kshatriya hai hum kisi bhraman ya Nihaate insaan pe humla nahi karte… lekin aaj aapne humein humare niyam ke viruddh jaane ke liye majboor kar diya hai….

Guruji(mujhe marne se dar nahi hai chakradhar) ek yodha ya Raja kabhi kabhi haalato se majboor hokar apne banaye niyam tod sakta hai toh mein apne sisyo ke jeet ke liye yudh ke banaye niyam tode hai aur mein inhe surakshit is mahal mein laya hoon…

Chakradhar: tumhe lagta hai yeh sab sahi hai…yeh dono ko aagey bhavisha mein nafunsak kaha jaayega… jo apni maut ke dar se maidaan chhod kar bhag aaye…

Guruji: bhaage nahi mein inhe yahan laayak hoon…..aur yeh kya laga rakha hai ki yeh maidaan chhod ke bhaage hai… inhone Karan ka wadh karke yudh toh jeet hi liya tha… toh phir kis baat ka bhay hai aapko?

Chakradhar: mukhe koi bhay nahi hai….lekin tumne humaare purvajo ka naam mitti mein mila diya…

Guruji(muskurate hue) purvajon ka naam kisi ne mitti mein nahi milaya… hai Rajan veer woh hote hai jo nidar aur samay ke hisaab se apne banaye niyam ko tod de… wohi meri dristi mein Veer hai…

Chakradhar: spasht kahiye… kya kehna chahte ho?

Guruji: aaj aapke purvaj bhi yahan hote toh woh bhi yehi karte jo maine kiya hai… sahi samay par apne kadam peeche bhadana hi jeet ka dusra naam hai…jeet ke liye zinda rehna bahut jaroori hai, mar kar kisi ne itihaas nahi badla hai….

Phir bhi aapko lagta hai, yeh sab galat hai toh aap apne marzi ke maalik hai….lekin jo bhi aap mere saath karne waale hai, usse pehle mein aapko kuch dikhana chahta hoon…

Chakradhar: kya dikhana chahte ho?

Guruji ne apni ankhein band karte hue chakradhar ke taraf ek haath kiya(usme se safed roshni nikali aur chakradhar ke aankho mein lagi)

Jab chakradhar ke aankhon mein safed roshni padti hai toh unki ankhein apne aap band ho jaati hai… aur jo unhe dikhai deta hai, woh dekh unke hosh ud jaate hai, pair kaapne lage, maathe pe pasina aane laga, unko pura sareer dar se kaanpnelaga…

(chakradhar ke man ka haal)

Jaise hi chakradhar ki ankhein band hui toh unki wohi yudh ka maidaan dikhai deta hai… jahan Karan ka sar zameen pe pada hua hai…charo taraf khoon hi khoon tha… lekin jab unki nazar thodi aur aagey gayi toh unke hosh ud gaye… .

Maine jab aagey ki taraf dekha toh ek insaan tandav karte hue humaare sainik ko kaat raha tha…woh ek hi waar mein sainik ke do tukde karta aur dusre haath se bache hue tukdo ko aur kaat deta…

Uski gati itni tez thi ki uska koi bhi prahar kisi ko dikhai de nahi raha tha… sab jagah bhay ka nanga nach ho raha tha… har koi sainik yahan waha bhag rahe the lekin koi bhi unke waar se bach nahi pa raha tha….

Maine jab dhyaan se dekha toh, uske gale mein insaano ki khopdi ki maala padi hui thi, kaala sareer, mukh pe tez, aankhein surkh lal, aur aur unke munh par saniko ke laash ke chithde latke hue the…

Mein yeh nazara dekh kar itna ghabragaya ki mere sareer kaanpne lagi aur mein zameen par gir gaya… kuch der baad mujhe hosh aaya toh mere saamne Aranya ka chehra tha aur mera sar uski jaangh pe tha…

Aranya: pita maharaj aap theek hai naa?

Me ghabrate hue guruji ko dekha aur kaha…

Chakradhar: “Hai Guruji” yeh kya tha… woh kaun hai jo itna beraham hai… usse toh koi nahi rok sakta. Kahin aisa na ho jaaye woh humare rajya mein aa jaaye aur hum sabko dardnan mout dede…

Guruji: woh yahan nahi aayenge… unki bhi kuch maryaada hai…

Chakradhar: konsi maryaada… tumne dekha nahi woh kaise us yudh bhoomi mein aatank machaye hue hai… woh koun hai?

Guruji: (ghabraate hue) woh sakshat kaalo ke kaal “Mahadev” Hai….

Chakradhar aur unke bete unka naam sunte hi chonk gaye…

Chakradhar: hai bhagwan mein kitna murkh hoon, aap saamne the aur mein aapko pehchan nahi paaya… mera toh jeevan hi dhanya ho gaya, aapke sakshat darshan hogaye… .

Guruji: murk mat ban rajan, woh rodra roop dharan Mahadev hai…is halat mein dev devta bhi saamne aane se katrate hai… is roop mein sirf aur sirf mrityu milti hai… aise roop mein unke darshan karne ka matlab hai mout…

Chakradhar: lekin swayam Mahadev is yudh mein kyun aaye hai… ? Yeh yudh hum insaano ke beech ka yudh hai… Hum unka saamna kaise kar sakte hai?

Guruji: (sochte hue) yehi toh hum chahte the…

“Chakradhar aur unke bete chonkte hue, ek hi swar mein cheekhte hue bole” ) Kya….le.. Le.. Lekin Kyun?
 

Xlover_manoj

PARAT---(Vasna Ki kahani)
42
55
18
Guruji: (thodi der chup rehne ke baad kehte hai) Rajan yeh kai varsh pehle ki kahani hai… yeh sab suru hua “Maharaj Bhadrapratap” ke kaal mein….

Chakradhar: Kaun Bha… Bhadrapratap…?

Guruji:(muskurate hue kehte hai) Bhadrapratap pratapner ke Raja the, jo apne gyaan, veerta, kutnitik, aur udaarsheelta ke liye prasidh the…unhone apne jeevan mein kayi yudh lade, kayi baar toh kootnitik se kai Rajya bhi jeete…in jeeton se unka naam bahut hi prakhyat hone laga tha….is bhadte prakhyati se kai log naakhush bhi the, lekin kisi mein itni himmat nahi thi ki unse yudhh kare….

Ab chalte hai bhadrapratap ke samay mein…



Chumban lamba tha, woh apne hontho se dheere-dheere uske honth sehla rahi thi, jisse uske reed mein vidyutiya chingariyan si doud rahi thi aur woh ichha kar raha tha ki yeh chumban aisa hi chalta rahe… jo bina vastra ke uske pet pe letkar chumban kar rahi thi, uska naam Vishakha tha… jiska arth tha “Divya Nakshatra”-----aur woh nishandya hi divya prani thi, saleel si madhram aabha waala uska hanthidaant jaisa nirmal waala varan, uska maadak mukh, aur panne jaisi chanchal aankhein apurn roop se uske lehrate, reshmi, sunheri baalon se dakh gayi thi….jabki woh uske chehre par jhukhi uski aankhon, naak aur honthon par param anandpurn chhote chhote chumban jad rahi thi… .

“Mahendra pratap” anand mahal ke kaksh mein reshmi palangposh par nange lete hue the… us kamre mein veena ka dheema dheema swar bikhar raha tha, jahan ek darbari prem rag ke suro se chhed chhad kar raha tha,. Kamre ke purvi deewar se laga ek tasla tha jise sudh gulaab jal se bhara gaya tha, aur theek usi ke saamne ek sunheri deep tha jise chandan ke tel se jalaya gaya tha… mahendra param sukh ki awastha mein tha.

Khud ko vishakha ke gatividhiyon ke adheen karte hue, woh aahein bhar raha tha aur apne ek haath se vishakha ke gore aur bhare bhare nitambo ka masal raha tha… aur apni ek ungli nitambo ke beech ke dararo mein khuded raha tha, jisse vishakha kee saansein tez hone lagi aur woh bhi aahein bhar ke is pal ka mazaa lene lagi…

Phir Mahendra ne apne dono haanthon se uske chehre ko pakadkar apne chehre ki taraf kheencha aur apne honth vishakha ki long aur ilaichi se mehkti saanson mein apni pyaas bhujaane ki koshish karne laga. Uske andar aag lagi hui thi…

Uske gale mein aag lagi hui thi… mahendra ko mehsoos hua ki vish aur parad (mercury) ka mishran uske hontho , jeebh, aur gale ko jala raha hai… toh usne ghabrakar vishakha ke baalon ko chhoda aur apne gale ko pakad liya. Usne cheekhne ki koshish ki lekin uske kanth se koi awaaz nahi nikal saki---uska gala vishakha ke hontho ke aagey waaley hisse se kharaab ho chuka tha.

Vishakha uske sar ko apne sudol aur bade bade vaksh ki garmi ke aashraya mei rakhe hue uske sareer se saans ko khaamoshi se nikalte hue mehsoos karti rahi… andar yuvraj Mahendra Pratap ki peeda se bekhabhar mor abhi bhi naach rahe the… Pratapner ka shaktishali Raja Bhupendrnath ka iklota vaaris aur Yuvraj Mahendra Pratap mar chuke the.

Bharat ke uttar disha mein Ganga ki sundar ghatiyon mein basa ek mahan kshatriya samaaj Pratapner ka Rajya is ghadi shant thi. Sahar ke kile ke chaaro aur khandak mein magarmach gehre neend mein the aur pehredaaro ne sehar ke dwaaron ko raat ke liye band kar diye tha…har jagah maut jaisi khamoshi pasti hui thi…

Ek sadharan se ghar mein, Daksh vishakha ki baaton ko dhyaan purvak sun raha tha… uske dono taraf diye ki halki roshni uske chehre pe pad rahi thi. Jisse uska chehra saaf saaf dikhai de raha tha, who ek bhadda sa dikhne waala vyakti tha, uskuske chehre pe chechak ke daag the aur uske nain-naksh tede se the.

Uske maathe pe chandan ke lep se trishul bana hua tha, usne peele vastra pehn rakhe the aur haathon mein rudraksh ki maala ko pakad rakha tha….woh vishakha ki baato par na dhyaan deke apni kisi yojna ke baare mein soch raha tha…kehte hai ki uske daant janam se hi the, jisse uska vyaktitva par bhaari asar pada…

Kisi jyotishi yogi ne usko dekhkar kaha tha ki yeh bahut hi bada rajyanirmata hoga, aur agar yeh apni hat pe aagaya toh swam parmeshwar ko bhi takkar de sakta hai…uska naam bahut hi aadar se liya karte the aur usne kabhi bhi apne janm ya janmsthan ke baare mein kisi ko nahi batata tha… woh toh bas apne aapko vairaagi kehta tha… .

Khair is waqt woh vairagi, hatya ki jaankari le raha tha aur usne jara sa bhi bhav ya utsah prakat nahi kiya tha….kyunki woh chalank bairaagi jaanta tha ki apni vaastavik bhavnayein prakat karna kabhi laabh dayak nahi hota hai…

Woh man hi man hasein bina nahi reh saka… murkh “Mahendra Pratap” ne yeh vishwas kar liya ki uske bistar par mojud mahila Vishakha thi—divya nakshatra. Us jadbhuddhi ko pata hi nahi chala ki vishakha “Daksh” ki prashikshit vishkanya thi… usne aisi ladkiyon ki vishal saina tyaar kar li thi… jo apne husn aur soundarya se kisi bhi Raja ya Yuvraaj ko mohit karke unke saath sambhog karti thi… aur phir apne laar ko kisi ke munh mein daalkar unhe mout ke ghaat utaar diya karti thi…

“jaakar Mohini ko kehdo Yuvraaj Mahendar Pratap ki mrityu ho gayi hai” chalank bairaagi ne vishkanya ko nirdesh diya aur unka mastishk is poori kahani ke aarambh mein chala gaya….
 
340
679
108
Sorry bhai for delay... Aaj half update daala hai aagey se daily post karunga...
Mitra ek anurodh hoga update post karne k pahle ek baar padh le kaafi galtiyan huyi hai iss baar k update me.

Sath hi sath aisa laga jaise bahut jaldi me likha gaya ho update.

Dher saare mod aur lagta hai kayi alag alag kathanak jude huye hain ek saath.
Achcha update tha par abhi kuch samjh me nahi aaya.
Bas yahi kah sakte hain ki dekhe aage kya hota hai.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Xlover_manoj

PARAT---(Vasna Ki kahani)
42
55
18
Bhai is kahani
Mitra ek anurodh hoga update post karne k pahle ek baar padh le kaafi galtiyan huyi hai iss baar k update me.

Sath hi sath aisa laga jaise bahut jaldi me likha gaya ho update.

Dher saare mod aur lagta hai kayi alag alag kathanak jude huye hain ek saath.
Achcha update tha par abhi kuch samjh me nahi aaya.
Bas yahi kah sakte hain ki dekhe aage kya hota hai.

Bhai yeh kahani 2 tarah se chal sakti hai... Ek sheedhe point to point... Lekin maine alag karne ki koshish ki hai... Jisse thoda confusion bana rahe....Mein direct characters ke movement pe dhyaan de raha hoon...

Jaise vIshakha, Daksh ka koi background nahi bataya...

Yuvraaj Mahendra pratap ka bhi wohi haal hai... Usse vishakha ne Daksh ke kehne par kyun maara?

Aur ab daksh ke point of view se is kahani ko aagey bhadaaunga...

Ek kahani mein dusri kahani jodi hai... Aise bahut se characters ko mishran hone waala hai... Phir yes sab characters ek dusre se kaise jude hai aur in sabka kya point of view hai... In sab ka dhyaan de raha hoon....

Maine plot toh kuch aise hi soch kar rakha hai... Agar aap kahein toh normal kahani ki tarah hi aagey bhadta hoon...

Jaise hum sab log is forum mein anek suspense kahani pad chuke hai....

Jawaab ka intezaar rahega....
 
340
679
108
Bhai is kahani


Bhai yeh kahani 2 tarah se chal sakti hai... Ek sheedhe point to point... Lekin maine alag karne ki koshish ki hai... Jisse thoda confusion bana rahe....Mein direct characters ke movement pe dhyaan de raha hoon...

Jaise vIshakha, Daksh ka koi background nahi bataya...

Yuvraaj Mahendra pratap ka bhi wohi haal hai... Usse vishakha ne Daksh ke kehne par kyun maara?

Aur ab daksh ke point of view se is kahani ko aagey bhadaaunga...

Ek kahani mein dusri kahani jodi hai... Aise bahut se characters ko mishran hone waala hai... Phir yes sab characters ek dusre se kaise jude hai aur in sabka kya point of view hai... In sab ka dhyaan de raha hoon....

Maine plot toh kuch aise hi soch kar rakha hai... Agar aap kahein toh normal kahani ki tarah hi aagey bhadta hoon...

Jaise hum sab log is forum mein anek suspense kahani pad chuke hai....

Jawaab ka intezaar rahega....
भाई आपने जैसे सोच रखा है बिल्कुल वैसे ही लिखो, क्योंकि आपने कुछ अच्छा ही सोचा होगा।
मैंने तो सिर्फ इतना कहना चाहा था कि आप पोस्ट करने के पहले एक बार उसे दुबारा से पढ़ ले ताकि पोस्ट बिल्कुल सही आये।
 

Xlover_manoj

PARAT---(Vasna Ki kahani)
42
55
18
भाई आपने जैसे सोच रखा है बिल्कुल वैसे ही लिखो, क्योंकि आपने कुछ अच्छा ही सोचा होगा।
मैंने तो सिर्फ इतना कहना चाहा था कि आप पोस्ट करने के पहले एक बार उसे दुबारा से पढ़ ले ताकि पोस्ट बिल्कुल सही आये।
Ji abse is baat ka dhyaan jaroor rakhunga...
 
340
679
108
भाई आगे कब तक
 
  • Like
Reactions: Xlover_manoj

Xlover_manoj

PARAT---(Vasna Ki kahani)
42
55
18
jaakar Mohini ko kehdo Yuvraaj Mahendar Pratap ki mrityu ho gayi hai” chalank bairaagi ne vishkanya ko nirdesh diya aur unka mastishk is poori kahani ke aarambh mein chala gaya….

Agla update.....




Maharaj Bhadrapratap apne kaskh mein baithe hue the… unko kisi baat ki chinta sata rahi thi, jiski wajah se unhone khaana peena chhod diya tha aur Rajya path mein bhi dilchaspi nahi le rahe the…unhone kai dino se apne aapko kaksh mein kaid kar liya tha… aur sainiko ka shakt hidayad di gayi ki, koi bhi unhe pareshaan na kare….

Aise kai dino se chal raha tha, Rajya mein sab log pareshaan the aur chinta bhi kar rahe the ki Maharaj kis baat se pareshaan hai… aur aisi kya baat hai jisse unhone apne aapko kamre mein band kar liya….

Is baat se swam maharaj ki patni Rani Ratnavali bhi pareshaan thi… unko bhi kuch pata nahi tha aur unhe bhi apne kaksh mein aane se mana kar diya… unhone bahut koshish ki Raja ki man ki baat jaanne ki, lekin koi nischit jawaab nahi mila….

Rani Ratnavali Raja Yayati ki ekloti putri thi… mana jaata hai ki Ratnavali ka janam aam auraton ki tarah nahi balki aag se utpann hui thi… yeh baat kitni sahi ya galat hai(yeh toh aagey maaloom padega)

Unhone kai prayaas kiye, lekin iska koi faayeda nahi mil raha tha…phir bhi woh haar maanne ko tyaar nahi hui. Raani Ratnavati ne ek aakhri baar prayaas karne ki sochi aur Raja Bhadrapratap se milne kaksh kee taraf chal di…

Kuch der baad Ratnavati kaksh ke saamne khadi thi aur awaaz di…

Ratnavati: Maharaj dwaar kholiye…dekhiye aapse kaun milne aayein hai?

Bhadrapratap: (bhaari awaaz mein) mujhe kisi se nahi milna hai, jo bhi hai unhe kaho yahan se chale jaaye…

Itna sun maharani Ratnavati chonki aur kehne ko hui… ki tabhi unke paas khade vyakti ne mon rehne ka ishaara kiya… aur kehne lage…

Vyakti: “Maharaj agar aap aise khana peena chhodkar vishaadme doobe rahenge toh kaise chalega. Mein aapko halath samajh sakta hoon aapko koi chinta hai joh aapko khai jaa rahi hai. Lekin aap yeh mat bhooliye aapka sarv pratham daittav Rajya ke prati aur Rajya ke praja ki taraf hona chahiye…

Isliye shahatro mein kaha gaya hai ki… ek Raaja ka vilaap ya shok mein doob jaana anuchit hai. Kyunki praja ke liye Raja unke pita, palanhaar aur bhagwaan ke tarah hota hai…

Aap is tarah chinta mein doobkar apne Rajya ke prati kartavyon se vimukh ho jaana aap jaise praja vatsal Raja ko shobha nahi deta”. Rajguru ne shaanti se apni baat ko samjhane ka prayaas kiya…

“Mein bhi unko yehi samjhane ki koshish karti hoon, lekin meri baaton ko nazar andaaz kardete hai. Isliye aapko yahan aane ka nivedan kiya hai”.. Raani Ratnavali ne sammanpurvak kaha…

Maharaj Bhadrapratap apne haath ke shaaheta se sar jhukayein baithe the… lekin jaise hi unhone Rajguru ki awaaz suni. Woh turant khade hue aur darwaaza kholkar bade sammanpurvak andar aane ko kaha aur haath jodkar bade hi sammanpurvak se kaha…

Bhadrapratap: mujhe kshama kariye Rajguru Drityanand ji… mujhe aabhaas nahi tha ki aap yahan swyam padharnege… aap kripa karke aasan grhan kijiye… (ek taraf ishara karte hue kaha)

Rajguru apne aasan par baith jaate hai aur Raja Bhadrapratap aur unki patni ko bhi bhaitne ko kehte hai…

Rajguru: kya baat hai Maharaj aap itne vichlit kyun hai… aap kyun apne Rajya ya Rajya ki praja par dhyaan nahi de rahe hai… aisi kya vipda ya chinta hai jo aap hum sabse chhupa rahe ho?

Bhadrapratap ki taraf se koi jawaab nahi aata hai… woh toh bas apni ankhein neeche karke baithe hue the…

Rajguru: Maharaj mein Rajguru Drityanand aapko vachan deta hai ki aapki har musibat ka hal jaroor nikaal loonga… lekin iske liye aapko humein bataana hoga aisa kya hua jo aap is haal mei hai?

Bhadrapratap: (kuch Sochte hue kehte hai) ha..ha..humne Maharishi “VEDHARTI” ke putra “MRITUNJAY” kee hatya kar di…..

Itna sunte hi Rajguru aur Raani Ratnavati ke hosh udgaye…dono ne ek saath kaha“Kya Yeh Kya kar diya aapne “?

Dono unka jawaab ka intezaar kar rhe the, lekin koi jawaab nahi aaya… Rajguru Drityanand chuppi todte hue kaha…

Rajguru: (krodh mein) hai murkh Raajan. Tumhe pata hai tumne yeh kya kiya… tumhari buddhi bhrast ho gayi thi kya, jo tumne aisa paap kar diya… arey tum toh Raja the, kya tumhe maaloom nahi tha ki ek brahaman ko maarna kitna bada paap hai…

Tum jaante ho Maharishi Vedharti, vishwa vikhyat Vedabhasi(vedo ka gyaan rakhne waala) aur jagat ke sarvashrest vedo mein se ek Vedacharya the… unko toh swyam parmatma bhi aadar karte hai aur aapne unke bete ki hatya kar di…

Aap bhale bhaanti jaante hai agar ek bhraman rootha toh woh Parshuraam Ya Raavan Ban jaata hai… aur dono hi kisi ke liye bhi achhe hai… ek Parshuraam bhagwaan ne is dharti se 21 baar kshatriyon ka sarvanaash kar diya aur dusra Raavan jisne apne baahubal aur tapasya se bholenath ko khush karke shaktiyaan arjit ki… jisse unhone devon ko bhi kaid kar liya tha….

Tumne toh swayam Mahirishi keh jaane waale vedharti ke putra ko hi maar diya… kyun Raajan kyun….. Aisi kya vipda aa gayi thi ki tumne unki hatya kar di….arey murkh woh toh ek seedhe saadhe brahaman the…

Rajguru , bhadrapratap ko krodh mein dekhte hue yeh sab keh rahe the… .

Bhadrapratap unko saant hote hue dekh… woh unke kadmo mein girte hue kaha…

Bhadrapratap: (rote hue) hai Rajguru mujhse bahut badi galti ho gayi… mujhe nahi maalum tha ki woh unke putra hai… agar mujhe gyaat hota toh mein swayam unke charno mein gir jaata…

Mujhe mrityu ka bhay nahi hai… lekin is paap se mere aur mere purvajo ke oopar bahut hi bada kalank lag gaya hai….mein is paap ka praschit karna chahta hoon… koi toh iska hal hoga?

Rajguru Drityanand: brhma hatya ka koi praschit nahi hota hai aur hoga bhi tab bhi mein tumhari koi madat nahi karunga…mein is paap ka bhaagidaar nahi ban sakta…

mein tum aur tumhara Rajya ko chhodkar sada sada ke liye jaa raha hoon…(itna kehkar Rajguru khade ho gaye aur bahar ki taraf jaane lage)

Unko jaata dekh Rani Ratnavati ne kaha…

Ratnavati: (samman purvak haath jodte hue) aap jaana chahte hai toh hum aapko nahi rokenge… lekin jaane se pehle meri baat sunlijiye…

Rajguru: ab kya sunna baaki reh gaya hai?

Ratnavati: Hai Rajguru humne aapko sada apne pitashree ka sthaan diya… aur humesha maine aapki dil se sewa ki hai…aapko is Rajya mein Raja se ooncha sthaan diya hai… lekin aaj is Rajya mein sankat ke baadal mandrarahe hai… toh aap apne kartavya se munh mod rahe hai?

Rajguru: (krodh mein) kaisa kartavya?

Ratnavali: aap is Rajya ke Raaj guru hai… aur sastro ke anusaar jab koi Raja se koi annaya hota hai toh Rajguru ka pratham kartavya Raja ko us annaye se bachana hota hai… agar koi Rajguru is daitav se moonh modta hai, toh woh bhi paap ka bhaagidaar hi hota hai… aapko sastr aur Ved ka gyaan hai… aapse achha iske baare mein koun jaanta hai…

Phir bhi aap jaana chahte hai toh jaa sakte hai… lekin yaad rakhna aapke is acharan ki wajah se duniya aapko kaayar aur kartvyaheen Rajguru kahegi….

Rajguru Rani ki baat sunkar ashmanjas mein pad gaye… aur sochne pe mazboor ho gaye ki agar mein Raja ko aise haalat mein chhodkar jaata hoon toh paap ka bhaagidaar banunga aur madat karta hoon tabh bhi banunga…lekin Rishi Vedarthi ke prakop se kaisa bacha jaaye…woh toh Raja ke saath mujhe bhi mrityu dand denge( woh apne soch mein vyast the, ki tabhi Ratnavati ne kaha)

Ratnavati: aap soch rahe honge ki Raja ki madat karenge toh paap ke bhagidaar banenge, aur nahi ki tab bhi banenge… lekin yeh mat bhooliye shastro mein karam ko jyaada mahatv diya gaya hai….aap apne karam karte jaaiye. Baaki sab parmatma par chhod dijiye…

Rani ki baat sunkar woh bhramit se ho gaye, unhe samajh nahi aa raha tha ki ab kya kara jaaye… ek taraf karam hai aur dusri taraf Dharam… bade hi dharm sankat mein the… (kuch der sochne ke baad kaha)

Rajguru: mujhe nahi maalum aagey kya hoga… lekin Rani Ratnavati mein marte dum tak apne kartavya ka paalan karunga… mein Rajya chhodkar kahi nahi jaa raha hoon…

Phir woh bhadrapratap ke taraf dekhkar kehne lage…

Rajguru: Raja tumhe is paap se mukti mil sakti hai… lekin uska upaaye bahut hi kathin hai….

Bhadrapratap: (haath jodte hue) mein kisi bhi kathnayi ka samna karloonga… lekin ek nirdosh bhraman ki hatya ka bhaar nahi sambhal sakta… agar is keliye mere pran bhi jaaye tab bhi mein peeche nahi hatunga….

Rajguru: tumhare pran dene se kuch nahi hoga…agar is kaam mein tum asafal rahe toh yaad rakhna tumhare vansaj mein har 30 saalon mein kisi ek ki mrityu hona taye hai…

Bhadrapratap: (chonkte hue) yeh kaisa annaya hai… ? Agar paap maine kiya hai toh iski sazaa mere vansaj ko kyun?

Rajguru: bhrama hatya ke paap se mukti paana itna aasan nahi hai… agar tum mrityu ko prapt hogaye tab bhi yeh paap tumhare vansaj ke har ek peedi ko apni jaan deke chukana padega… yehi niyati hai aur yehi parmeshwar ke nazar mein insaaf hai…

Bhadrapratap: nahi nahi mein aisa nahi hone doonga… mujhe bataiye guruji mujhe kya karna hoga… mein apne karmo ki saza aane waale vansaj ko nahi de sakta…

Rajguru: tumhe yahan se kai meelo door himalaya ke choti par basa “Arhint” parvat pe “Mahadev” ki tapasya karni hai….

Yeh sunte hi,Ratnavati beech mein bol padi…

Ratnavati: kshama karna guruji… lekin Arhint parvat par hi kyun? Mahadev toh har ek kan kan mein hai… unki tapasya toh koi bhi kahin se bhi kar sakta hai…

Guruji: (thoda gussa karte hue) mujhe meri baat toh khatham karne dijiye Rani Ratnavati ji…

Ratnavati: (sharminda hote hue) kshama kare guruji… aap aagey boliye..

Rajguru: Arhint parvat se saraswati nadi behti hai… (maana jaata hai ki woh swyam Brahma ji ke paani ke bartan se nikalti hai aur himalaya par plaka se behti hui aagey badhti hai)

Arhint parvat ke paas hi Vishnu Bhagwaan ka mandir bhi hai… jisse pandavo ne banaya tha…

Wahan jaakar mahadev ki aaradhna karne se tumhe nischit roop se hi fal milega… iska mukhya kaaran yeh hai ki…

Tumhare wahan jaane se tumhe teeno ka aashirvaad milega…

  • Mahadev
  • Vishnu Bhagwaan
  • Devi saraswati ji
Bhadrapratap: mujhe kab prasthaan karna hoga… mein jald se jald waha jaana chahta hoon…

Rajguru: jitna jaldi ho sake utna jaldi nikalna hai… waise tumne yeh nahi bataya…tumse hatya hui kaise?

4000 saal baad… (aaj ka samay)


Ab chalte hai professor Ashutosh Vyaas ke paas…

 
Top